UPDATE 2
Kuch police wale unlasho ko mark kar rahe the aur sab chize likh rahe the,
Ammi ke age policewale khade the jo kisi ko bhi aage jane nahi de rahe the, par wo jagah itni dur bhi nahi thi ki unsab ke chahre na dikhe. Ammi ko us adhmare insaan ka chahera dikha, unhe bhi readers ki tarah laga tha ki wo abba honge par nahi wo ek aam sa dikhane wala aadmi tha. Uske baad jab ammi kin ajar un lasho pe gai to unko pata chala ki wo bhi ek police wala tha par dusra, dusre ka chehra dekhte hi ammi ki saanse tham si gayi…. Wo abba ki hi laash thi.
Unhe laga ki ye sab unki galti hai, wohi abba ko chudane nahi gai jaldi aur jiski wajah se yeh sab hua he. Ammi ne hosh sambhalne ke baat saamne diwar bane police wale ko kaha ki unhe andar jane de kyoki un lasho me se ek unke shohar ki hai. Ye sunne ke baad police wala ammi ko uske sp ke paas le gaya.
SP: kya aap ise jaante ho? Kya lagte hai aapke yeh?
Ammi: ji ye mere shohar hai…. (rote hue).. the….
SP: maaf kijiye ga par aapke man me jo saval honge unka jawab dene se pahele mujhe aapse kuch jaroori sawal puchne honge
Ammi: mujhe abhi bhi kuch samaj nahi aa raha ki ye kya hogaya hai sab lekin agar aapke sawal ke baad hi agar mujhe jawab milenge to thik hai puchiye
SP: kya aapko pata tha ki aapke shohar jail se bhagne walw the ya bhagne ki firak me the?
Ammi: na..nahi to, aur ye aap kya bol rahe he ki wo yaha se bhagne wale the?
SP: dekhiye lagata hai aapko is baare me nahi pata lekin wo bhagne wale nahi the, wo bhaag rahe the, jisme unka encounter hua hai.
Ammi: Kya? ye kya bakwaas hai?
SP: haan, aur ye bakwaas nahi hai, aur wo jo marne ki halat me dikh raha hai wo ek police wala hai wo saade libaas me yaha aya tha aur jab yaha pe shift change hoti hai us time ka fayda utha ke aapke shohar ko chuda ke bhaagne me madad kar raha tha, us bich ek police wale ne unko dekh liya lekin us sade libaas wale ne police wale pe goli chala di. Jiski laash aap waha dekh rahi hai.
Tabhi ek hawaldar waha aaya aur sp ko bola ki us gaddar policewala sub uglne ko taiyaar hai jisne keidi (abba) aur dusre aadmi ko chabi deke help ki thi.
Wo hawaldar SP ko dusri aur leja raha tha jaha us corrupt police wale ko rakha gaya tha to ammi bhi bina soche unke pichhe chaldi,
SP ek room me aaya jaha par ek aadmi bandha tha aur torture kiya ja raha tha,
Hawaldar: sir, hamne ise bahot torture kiya tab jake ye sab uglne ko raazi hua hai
SP: bahot achhe
Fir us bandhe hue insan (Hasnain) se,
SP: kya jante ho batao sab detail me, agar kuch bhi miss hua to aur 4 ghante torcher challega
Parvez: n..na..nahi s..sir ple..ase, mai saab bata..ta hun. Baat yeh hai ki sahil (jo aadmi bahar adhmara pada tha saade libas mai) is kaidi ko janta tha our usne hi hamari pahechaan karwayi. Fir usne ek plan bataya ki is kaidi(abba) ko 2- 3 din bahar jana hai to hamne 2 mahine pahle kaidi ko bahana karke hospital le gaye. Jaha se use hamne 2 din bahar nikala, uske liye mujhe aur sahil ko paise mile, ward ke bhar me duty par tha to ye bahot aasan tha.wo un do dino me kaha gaya tha mujhe nahi pata wo sahil ko hi pata hoga.
Aur use jail se permanently bahar nikal ne ki baat sirf ek hafte pehle hi hui thi, sahil ne kaha ki us kaidi ko shayad jyada saja hogi isliye ise yaha se bahar nikal na hai. Jiske baad hamne sab planning kiya lekin us dusre policewale ne hame dekh liya. Iske badle hume paise milne wale the.
SP: (hawaldar ko) waah ye to tote ki tarah bol raha hai,
(hanain se) uske baad? Use yaha se nikal ne ke baad? Baad ka plan batao (ek haath se Hasnain ke baal pakad kar kursi ki piche ki or kichta hai)
Room se lag kar ammi bhi ye sab baat suni, unhe laga kahi vo log bhaag kar ghar ki taraf na aane vale ho kyoki agar aisa hai to unse bahot sawal honge, jiska vo kuch javaab nahi de payegi.
Parvez: (karaah te hue) sir.. vo dono yaha se sidha shaher ke bahar ki hotel jate aur me apne ghar jakar jaldi se gaav nikl jane wala tha. v.. vo dono….
SP: ab bol bhi vo dono, kya? Kya karne vale the vo? Vaha se alag ho kar kisi dur gaav jane vale the? (Hasnain ki kharocho par namak lagate hue)
Parvez: aaahhhh…. Aisa mat kijiye sir, batata hu. Jab meine sahil ko chabi lakar di to vo tale ki taraf badha, use laga me chala gaya hu. Mujhe laga wo log bhaag ne ke baad mere paise na dene ka plan kar rahe honge to isiliye me waha diwar ke pichhe se sun raha tha. Par mene kuch aur hi suna…
Mene suna ki….
Kaidi(Abba): sahil jaldi kar
Sahil: jaldi to hai aur kitni jaldi karu
Kaidi: tujhe pata to hai mujhe kis chiz ki jaldi hai
Sahil: kya bhai us baat ke liye to mujhe bhi hai, akhir tune wada kiya hai ki tu apni biwi ko meri rakhel banayega agar main tujhe yaha se bahar nikalu to..hehe..maja aayega aaj raat….
Kaidi: dekh wo teri rakhel nahi banegi chahe to tu sirf ek mahine khel sakta hai uske saath
Sahil chabi ghumne se pahele ruk jata hai,
Sahil: kya matlab? Tune wada kiya tha ab mukr raha hai?
Kaidi: nahi, mujhe usse badala lena hai saali ne ek dusre sect ke kutte ke bachhe ko apne paas rakha lekin mujhe 3 mahine chhudaya tak nahi. Ussko to main tujhe dene ke baad bahoto se chudwaunga aur randi banaunga, tino betiyo ko bhi kisi kothe wali ko bech dunga. fir use aur us kutte ki aulaad ko kisi sumsaan jagah lejakar uske saamne us kutte ko marunga aur us ke baad use bhi dhire dhire marunga, itna ki vo apne marne ki dua karne lage … (kamini Muskaan chahre par aa jati hai)
Sahil: koi nahi ek mahina hi sahi uske saath kya karta hu tu dekhna teri torcher ki khwahish bhi me puri kar dunga
Kaidi: haha.. thik hai tala to khul gaya ab niklte hai
SP: kaise log the vo harami madarchod sale achha hua ek kamina mar gaya
Tabhi dusra hawaldar sp ko batata hai ki sahil koma me ja chuka hai, kab bahar ayega pata nahi.
SP: waise to ye buri news hai hame uska statement nahi mil payega par jo hua wo aur achha hota agar vo bhi mar jata. koi nahi kamse kam ham us aurat ki zindgi Dozakh banne se bacha paye. Wo shayad bahar hai, use to uske shohar ki is planning ka kuchh pata nahi hai. to hame insaniyat ke nate use sab bata na chahiye aur postmortem ke baad agar wo chahe to body ko le ja sakti hai aur agar wo claim nahi karti to use kahi dafna denje Sarkar ki taraf se.
SP bahar aata hai to wo chouk jata hai, ammi waha jamin pe padi thi aakh se aasu beh rahe the. SP ne lady hawaldar ko bulwa kar ammi ko shant karwaya, ammi abhi bhi un bato ko soch rahi thi jo uske shohar ne uske baare me aur uske bachhe ke bare me kahi thi. Use to yakin nahi ho raha tha ki uske shohar ke dil me itna zehar kaise hai.
SP: agar aap waha thi to mujhe jyada kuchh batane ki jaroorat nahi hai. Par mujhe ye puchna padega ki kya aap aake shohar ki body ko claim karegi?
Ammi: NAHI, kabhi nahi. Aapko jo karna hai kijiye me us kamine ko nahi janti
SP baat ko samajte hue
SP: thik hai ise Sarkar ki taraf se kahi dafna diya jayega. Aur ek baat, is ghanta ke baare me bahar nahi bataya jayega aur aap bhi nahi bataiyega. Ye case active rahega kyoki isse juda ek aadmi sahil abhi koma me hai wo apni safayi nahi de sakta. Wo koma se bahar aake aap ko nuksan pahucha sakta hai ya iske jaan pahechaan vale aapko nuksaan pahucha sakte hai. Isliye aap kisiko bhi insab ke baare me mat bataiye sirf yahi batana ki bhagte hue encounter hua hai.
Ammi sochne ke baad,
Ammi: mujhe bhi apne baccho ki fikr hai main vaisa hi karungi, shukriya.
SP sir do lady hawaldar ko ammi ko ghar tak chhod ne ke liye kahte hai, ammi unke saath ghar aati hai. Ghar me aakar mujhe aur chhoti behn ko apne sine se laga leti hai or rone lagti hai.
Kuch samay tak logo ne tarah tarah ki baate ki par is encounter se ander ki baat kisi ko nahi pata thi…. Samay bitta gaya aur saari jimmedari apne par le kar ammi hamari mushkilo se bhari zindgi chalane lagi.
Ye saab baate mujhe ammi ne marte hue batyi thi, uski taklif me kabhi utni nahi samaj paya tha jo uske aakhri samay par pata chalne par samaj pa raha tha. Ab to bas is gam tha. Us deewar se main…
Us diwar se main niche utar kar lift se niche aaya abhi mujh par sharab ka thoda asar tha par utna nahi ki bewkufo ki tarah building se kud jau. Me building se bahar nikla jo ki bade raste se attach thi. Tabhi maine dekha ki ek chhota bacha akele road cross kar raha tha aur ek truck tezi se uski taraf ja raha tha shayad uska break fail tha, main bina kuch soche us doudte hue us bachhe ko zor se dusri taraf dhakka de diya, par ab main us truck ke saamne tha. Fir mujhe sab ghumta dikha aur meri aankhe bandh hone lagi…
Sirf ek hi baat mare zahen me thi us vakht ki kaash me itne regrets ke saath nahi marta aur kaash mebhach jau aur apni kuchh hi sahi galtiya thik kar pau. Lekin ambulance ka siren sunne ke saath hi meri maut ho gayi…..
WORD COUNT: 1500+