Naik
Well-Known Member
- 22,321
- 79,010
- 258
Bahot badhiya shaandar updateUpdate- 35
Subha ko uth kr dev kamre se bahar aaya aur dutt ko samjha diya ki uske kamre me koi ander na jaye, fir dev niharika ke kamre me gaya to paya ki riva niharika se lipti hui so rhi h, aaj pheli bar niharika aur riva ek sath aise so rhi thi, dev unhe bina pareshan kiye bahar nikal gaya, wo mahal ke bagiche me gaya to dekha charan singh aur sambhu bagiche me tahal rhe hain,
Dev ko dekh kr sambhu ghabra gaya, wo charan ke piche chip gaya,
Charan- kaise ho rajkumar
Dev- mere halchal puchne ka adhikar main sabko nhi deta, lekin kabhi kabhi salah jarur de deta hu, agar jinda rhena chahte ho to is rajay ko chod kr chale jao, aur dubara idhar mat aana, main itni jaldi pratap singh ko naya sadma nhi dena chahta, agale sadme me abhi samay h, aur ek baat aur main rajmahal me chup ho gaya tha iska ye matlab mat samjhna ki mujhe koi rok sakta h, agar koi galat harkat ki to raja maharaja kya dono rajay milkr bhi mujhe rokna chahenge to bhi nhi rok payenge,
Charan- are tum to dhamka rhe ho, mhemano ko kon dhamkata h,
Dev- tumhari itni aukat nhi h ki tum yaha ke mhemaan ban sako,
Charan- main yaha bas dono rajyo ko ek karne aaya hu, lekin tumhe apni takat per kuch jyada hi ghamand ho gaya h, agar kabhi mera aur tumhara aaman samna hua to tumhari ye galatfhemi dur kar dunga main,
Dev- abhi aajma le,
Tabhi waha bhawar singh aur satavik aa gaye,
Bhawar singh- ye kya ho rha h, mhemano se aise kon baat karta h,
Dev- meri bheno ki jindagi ka faisla karne ka adhikar aapke pas nhi h ab, aur ab aisi koi galti mat karna ki mujhe ye bhi bhulna pad jaye ki aapse mera koi rishta bacha h,
Bhawar singh- tum mujhe dhamka rhe ho, apne raja ko dara rhe ho,
Dev- main kisi raja ko nhi manta, jis raja ko main manta tha usne mujhe bahut phele marwa diya h, ab mere liye aap sirf ek insan hain, aur mujhse jude logo ke jeevan ka faisla karna band kr dijiye, kal sabha me main chup rha taki parja ke samne is rajay ke raja ka apmaan na ho,
Satavik- dev shant ho jao, ye rajay ki baate hain josh me nhi ki jati, bhavishya soch kr ki jati hain,
Dev- aap kabse raja ke salahkar ban gaye, kya rajguru ka pad aapne le liya h,
Satavik- nhi beta bhaiya kahi vyasath hain isliye main yaha hu,
Dev- matlab aap koi nhi h, to mujhe salah mat dijiye,
Dev charan ko gusse wali najro se dekhta hua nikal gaya, wo mahal se bahar nikal gaya jaha abhendra uska intejar kr rha tha,
Abhendra- dev guru ji aapka intejar kar rhe hain, wo subha se do bar khabar bhijwa chuke hain,
Dev turant bhomik ji ki taraf chal diya,
Waha pahucha to dekha manisha aur sugandha yudh kala ka abhyash kr rhi thi, unhe dekh kr dev ko khushi hui,
Bhomik ji- dev tum aa gaye, mujhe bahut jaruri baat karni thi,
Dev- ji guru ji boliye kya hua,
Bhomik ji- mujhe umeed h maine pata kar liya h ki rajveer ko kaha rakha ho sakta h,
Dev khushi se jhum utha- kaha guru ji jaldi bataiye kaha,
Bhomik ji ne dev ko kal ki sari ghatna keh sunai,
Dev- lekin humne tino jagah ek sath humla kiya to bhawar singh samjh jayega ki ye rajveer ko bachane ke liye kiya h, aur wo ye bhi samjh jayega ki ye sab main hi kar sakta hu,
Bhomik ji- nhi aisa nhi hona chahiye, tumhe abhi uska samna nhi karna h, abhi sahi samay nhi aaya h, ek jagah to main apni shaktiyo se aram se ghus sakta hu, kisi ko pata nhi chalega, agar rajveer waha hua to main bahar la sakta hu, lekin bhawar singh ko pata chal jayega, fir ek yudh shuru ho sakta h,
Abhendra- agar hum aisa kuch kare ki jaise khud rajveer ji ander se suraksha tod kr bhag gaye hain, to kaisa rhega,
Bhomik ji- bahut achha vichar h, isse kisi per shak bhi nhi jayega,
Dev- guru ji mera krodh badh rha h, mera man kar rha h main sabkuch tabah karke mama ko chudwa lau,
Bhomik ji- abhi wo samay nhi aaya h jisme tumhari asali takat ya shakti ka pata chale, mujhe to isi baat kr dar h kahi satavik ne bhawar singh ko bata diya ki tumhare pas shakti h to shamshya khadi ho sakti h,
Dev- fir aap hi bataiye kya kare,
Bhomik ji- tumhe kuch nhi karna h, main un jagaho per jaunga aur rajveer ko dhundhunga, tum log bahar intejar karoge, aur kuch gadbad hoti h to samhaloge, agar rajveer ander milta h to main use bahar launga is trha se jaise ander se rajveer humla karke khud bhag gaya ho,
Dev- jaisa aapko thik lage,
Bhomik ji- to chalo,
Bhomik ji dev aur abhendra chal diye rajveer ki talash me, is sab me dev ye bhul gaya ki aaj mahal me ladkiyo ki shadi ka faisla hona tha, uske dimag me bas rajveer ghum rha tha,
Wahi revati puri raat jagati rhi aur sochti rhi akhir me usne faisla kr liya ki use kya karna h, wo uthi aur ek chitthi likhne baith gai, fir usne apni sabse khas dasi ko bulwaya, bas yahi ek dasi thi jisper wo bharosa kar sakti thi, kyoki wo bachpan se uske sath thi,
Revati- sarita main tumhe ek kaam de rhi hu, aur ye samjh lo ki agar ye kaam nhi hua to main jinda nhi rahungi, lekin is kaam ko karne me tumhe bhi khatra ho sakta h,
Sarita- rajkumari aisa kyo bol rhi ho, aap kaam bataiye main apni jaan dekr bhi wo kaam karungi,
Revati- main tum per bharosa kr rhi hu aur apni jaan ko tumhare hawale kar rhi hu,
Sarita- rajkumari main jaan de dungi lekin aapka bharosa nhi tutne dungi,
Revati- ye lo chitthi aur is chitthi ko tumhe bhawanpura ke **** gaon me abhendra naam ke aadmi ko dena h, khayal rhe ye chitthi kisi aur ke hath me na pad jaye, ye chitthi us tak pahuchni jaruri h, aur usse bolna ki unke pas aane wali amwashya tak ka samay h,
Sarita ne chitthi li- rajkumari wo to humara dushman rajay h,
Revati- ab ye hi mera rakshak ban sakta h,warna mera antim samay aa gaya h,
Sarita- aisa mat kahiye rajkumari main abhi nikalti hu waha ke liye,
Revati ne sarita ko kuch sone ke sikke diye, sarita turant waha se nikal gai,
Udhar bhawar singh ke mahal me sabha baith chuki thi, bhawar singh ne sabhi ko sabha me aane ka aadesh diya, lekin rajguru ab bhi waha nhi aaye the, ab bhawar singh ko chinta hone lagi, isse phele aisa kabhi nhi hua tha, bhawar singh ne turant seniko ko rajguru ke ghar bheja pata karne ke liye, satavik bar bar koshish me tha ki rajguru is sabha me na aaye, wo chahta tha ki rajguru ke aane se phele bhawar singh apna faisla le le, kyoki use umeed thi ki rajguru ye shadi ab nhi hone denge,
Udhar dev mahal me tha nhi, amita aur somiya dev ke kamre me nangi besudh soi padi thi, akshara aur riva teyar hokr sabha me pahuch gai, baki sabhi log aa chuke the, akshara ne dekha ki amita aur somiya nhi aai hain, use yaad aaya ki wo dev ke pas thi, wo turant unhe dhudhne ke liye nikal gai,
Akshara jab dev ke kamre ke bahar pahuchi to waha dut baitha hua tha, akshara ander jane lagi to dut uski taraf guraya, akshara dar kr piche hath gai, dutt ki aawaj sunkr nihairka apne kamre se bahar aai, usne dekha ki dut dev ke kamre bahar khada h aur akshara ko ander nhi jane de rha, niharika ko ajeeb laga, wo turant akshara ke pas aai,
Niharika- akshara kya hua
Akshara- choti maa dekho dutt ander nhi jane de rha,
Niharika ne dutt ke sir per hath firaya, niharika samjh gai ki dutt dev ka aadesh ka palan kr rha h,
Niharika- ruk main ander hokr aati hu,
Ab akshara ghabra gai, use dar tha agar amita aur somiya is samay dev ke kamre me mili to gadbad ho jayegi,
Akshara- nhi choti maa koi baat nhi main baad me aa jaungi, aap rhene dijiye,
Niharika- are tu kyo chinta karti h main aati hu,
Niharika ander chali gai, ander jate hi niharika ne jo najara dekha use dekh kr uske hoto per muskan aa gai, kyoki samne amita aur somiya bilkul nangi pair failaye bister per besudh padi hui thi, niharika samjh gai dev ne dutt ko ye adesh kyo diya tha, lekin dev waha nhi tha, niharika ne dono ke upper chadar udhai aur bahar aa gai,
Akshara waha se bhag gai thi, use dar tha ab usse sawal honge, akshara ke waha se jane se niharika samjh gai ki akshara ko sab pata h,
Niharika man me hi- dev ne apni manjil lagbhag pa hi li h,
Akshara sabha me aakr baith gai,
Riva- akshara amita aur somiya kaha h, maharaj sabko bula rhe hain,
Akshara- mujhe nhi pata,
Sabha shuru ho gai, charan aur sambhu bhi sabha me aakr baith gaye,
Bhawar singh- sabha shuru ki jaye,
Satavik khada hua,
Satavik- maharaj kal jo charan singh ne sabha me prastav rakha tha, us per kafi vichar karne ke baad mera manna h ki hume uski baat maan leni chhaiye, isse dono rajyo ke bich ki dushmani bhi khatam ho jayegi aur vyapar bhi badhega jisse dono rajyo ki parja ka bhala hoga,
Kamya- main satavik ji ki baat se shemat hu,
Satavik aur kamya ki baat sunkr riva aur akshara ki sans atak gai, wo bas dev ka intejar kar rhi thi, lekin dev ka koi aata pata nhi tha,
Suraj- mujhe bhi ye prastav thik laga maharaj, raja maharaja purani baato ko yaad karke rajay ke bhavishya ko barbaad nhi karna chahenge,
Jwala- main suraj ki baat se shemat hu,
Abhijeet- main bhi,
Amrawati- meri betiyo ki shadi ho mujhe isse jyada aur kya chahiye,
Tabhi somitra ne jo bol diya usse sab chonk gaye,
Somitra- yaha dev nhi h, kya uska faisla mayne nhi rakhta, use is shadi se aitraj tha to uska faisla janna bhi jaruri h,
Somitra ki baat se sabhi ke chehre per gusse ke bhaw the, bhawar singh aur kamya ne gusse me jalti hui aankho se somitra ko dekha, somitra samjh ai galat samay per galat baat bol di h, wo chup chap niche baith gai,
Bhawar singh- matlab pura pariwar shemat h to mujhe bhi koi aitraj nhi h, lekin phele pratap singh ki beti ki shadi humare pariwar ke kisi ladke se hogi,
Charan- hume manjur h, aap jisse kahenge hum usse shadi karwa denge,
Bhawar singh- uske baad humari charo betiyo ki shadi tum charo bhaiyo se karwa di jayegi, tum apne pariwar ke sath yaha aao aur khud faisla kar lo konsa bhai humari kis beti se shadi karega,
Riva aur akshara ki aankho me aansu bhene lage the, dev ki rah dekhte dekhte un dono ki himmat tutne lagi thi,
Lekin tabhi ek jor dar aawaj gunj gai,
Ye shadi bina meri marji ke nhi hogi, aur main is shadi se inkar karti hu,
Riva aur akshara ne umeed bhari najro se sabha ke darwaje per dekha to waha se niharika chali aa rhi thi aur sath me tha dutt, niharika ki chal kisi baghin se kam nhi thi, uska roop puri sabha ko chakachondh kar rha tha, jab charan kin ajar niharika per padi to wo use dekhta hi reh gaya, uski samjh me aa gaya uske pita pratap singh niharika ke liye itne pagal kyo h, charan singh ke man bhi wahi bhaw ubhar rhe the,
Charan singh man me- is aurat ko pane ke liye to koi bhi insan sansar ke kisi bhi rajay ko thokar mar sakta h,
Bhawar singh- ye humara faisla h, aur raja ka faisla koi nhi badal sakta,
Niharika- ye meri betiyo ki jindagi ka faisla h, aur main ye adhikar kisi ko nhi deti ki wo meri betiyo ki jindagi ka faisla apne sawarth ke liye kare, dev is samay yaha nhi h lekin uski maa yaha khadi h,
Kamya- tumhari sirf ek beti h baki tino humari betiya hain,
Niharika- ab wo meri betiya hain, aur unki jindagi ka faisla wo karengi ya main karungi,
Bhawar singh- tum hoti kon ho mere adesh ka ulanghan karne wali,
Bhawar singh ye baat chikh kr bola, bhawar singh jitni jor se chikha tha use jyada jor se dutt ne dahad mari, dutt ki dahad se puri sabha kanp uthi,
Niharika ne dutt ke sir per hath firaya,
Niharika- tum logo ke swarth ke liye meri betiyo ki bali nhi di jayegi,
Charan- maharaj ye kaisa rajay h jaha raja ki baat koi nhi sunta, jaha aurte bhi maharaj ki baat ka ulanghan karti hai, aisa rajay humare sath milkr apne shatruo se kaise ladega,
Niharika- jaha aurat koi bolne ka adhikar nhi diya jata wo jagah narak ban jati h, aur tera rajay ek narakh hi h, us narakh me meri betiya nhi jayengi,
Niharika ne riva aur akshra ko uthne ka ishara kiya, wo dono turant uthi aur niharika ke piche chal di,
Niharika ke jate hi bhawar singh gusse me aag babula ho gaya,
Bhawar singh- main ise jaan se maar dunga, ise rajay me lana hi nhi chahiye tha, ye aurat is rajay ka nash kar degi,
Kamya- isne raja ka apman kiya h ise saja milni chahiye,
Charan- maharaj waise to apmaan humara bhi hua h lekin fir bhi main aapse akele me kuch baat karna chahunga,
Satavik ne bhawar singh ka ha me garden hilai,
Bhawar singh ne turnat sabha khatam kar di aur ek kamre me aa gaya, uske sath kamya charan sambhu aur satavik the,
Bhawar singh- aaj sabha me jo hua wo thik nhi hua h, main in dono maa beto ko rajay se bahar kr dunga lekin shadi wahi hogi,
Charan- maharaj mujhe lagta h dev aur rani niharika is rajay ke liye bada khatra h, aur maine suna h dev bahut takatwar bhi h, agar wo ladne per aaya to bahut nuksan karega,
Bhawar singh- humne use us rakshash se ladne ke liye yaha wapas bulwaya h, lekin tabse wo rakshash aaya hi nhi h,
Charan- maharaj meri janakari ke hisab se wo rakshash tabhi aata h jab koi yudh ho aur khas kr bhawanpura aur pratapgad ke bich yudh ho rha ho, jab tak aise halat nhi bante to rakshash aayega hi nhi, aur agar rakshash aayega hi nhi to aapko dev ki jarurat hi kya h, agar hum lade hi nhi to rakshash yaha nhi aayega,
Kamya- sahi kaha ye to humne socha hi nhi tha, wo rakshash tabhi aaya h jab dono rajyo ki sena aapas me lad rhi hoti h,
Bhawar singh- lekin ab hum use wapas le aaye hain, ab hum use kaise bahar nikalenge,
Charan- sath milkr,
Satavik- ab ye itna aasan nhi h,
Charan- kyo nhi aasan, aap itne shakti shali hain, aap chahe to kuch bhi kar sakte hain, aura b main aa gaya hu,
Satavik- tum uska kuch nhi bigad sakte,
Charan- aapko meri takat ka andaja nhi h,
Satavik- tumhe uski shakti ka andaja nhi h, uske pas aisi takat h ki hum sab milkr bhi uska kuch nhi bigad sakte,
Bhawar singh- aap khena kya chahte hain, saaf saaf boliye,
Satavik- wo ab phele wala dev nhi h jise koi bhi mar sakta tha, ab uske pas wo
Kamya- kya satavik ji,
Satavik- uske pas wo shakti h jise aap khoj rhe hain,
Satavik ki baat sunte hi bhawar singh kamaya charan aur sambhu ki aankhe fati reh gai muh khula reh gaya, wo sabhi achambhe se satavik ko dekhte reh gaye,
Bhawar singh- ye kya keh rhe ho aap,
Satavik- main sahi bol rha hu, tin shaktiyo me se ek shakti is samay dev ke ander h, aur agar hume use rokna h to hume wo tisri shakti khojni hogi, warna hum uska kuch nhi bigad sakte, wo akela nhi h bhomik uske sath h, aur bhomik ke ander bhi mere jitni shakti h, sirf main dev ko rok skata hu lekin bhomik mujhe rok lega, aur aap sab milkr bhi dev ko nhi rok payenge,
Kamya aur bhawar singh apne sir per hath rakh kr baith gaye, unki to puri duniya hi khatam si ho gait hi, jis shakti ki talash me unhone pura jeevan nikal diya wo shakti dev ke pas chali gai thi, bhawar singh apni kursi se gir pada,
Kamya ne use samhala,
Satavik- maharaj nirash na ho, abhi tisri shakti bachi hui h hume jaldi se use dhundhna hoga,
tabhi bhawar singh ke wo senik wapas aa gaye jo rajguru ko khojne gaye the, jiski khabar bahar khade senik ne bhawar singh ko aakr di, bhawar singh ne turant un seniko ko ander bulwaya,
bhawar singh- kya pata chala, kaha h rajguru,
Senik- maharaj rajguru apne ghar me nhi hain, aur kisi ko nhi pata wo kaha gaye hain, unke pariwar se pata chala ki wo raat me ek kitab padh rhe the aur aur puri raat kitab ko padhte rhe, fir wo subha hone se phele hi chale gaye bina kisi ko bataye hue,
Senik ki baat sunkr bhawar singh aur satavik chonk gaye,
Satavik- konsi kitab padh rhe the, kaha h wo kitab
Senik- nhi pata shayad unhi ke pas h,
Satavik- maharaj hume bhaiya ko dhundhna hoga,
Bhawar singh- kya hua, kuch gadbad h kya,
Satavik- mujhe thoda samay chahiye,
Satavik turant jameen per baith gaya aur aankhe band kr li, bhawar singh kamya aur charan uske pas me khade ho gaye,
Satavik ne dhayan lagana shuru kr diya, ab uski shakti itni badh chuki thi ki use kisi ke bare me pata karne ke liye hawan karne ki jarurat nhi padti thi, wo dhayan laga kr bhi pata kar leta tha, satavik ne rajguru ko ek gode per jate hue dekha,
Satvik- bhaiya ghode per kahi ja rhe hain, aur wo uttar disha ki taraf ja rhe hain,
Satavik ne aur dhayan lagaya
Satavik- wo raat me ek kitab padh rhe the jiska naam tha humara rajay aur ye kitab maharaj surybhan ji ne likhwai thi, humare pitaji se,
Bhawar singh- uttar disha ki taraf bina mujhe bataye hue, rajguru aisa kabhi nhi karte, waha aisa kya hua h jis wajah se rajguru ne apna niyam tod diya h,
Satavik ne aankhe khol di,
Satavik- uttar disha, aur wo kitab humara rajay, unhe pata chal gaya h, hume uttar disha ki taraf niklana hoga,
Bhawar singh- kya pata chal gaya h,
Satavik- us shakti
Kamya- bas ye sabha filhal yahi khatam hoti h, charan singh hum is bare me baad me baat karenge, filhal tum apne rajay lot jao, hum apne pariwar ko samjha kr khud tumhare rajay me aayenge,
Charan singh- thik h rani, hume aagya dijiye, hum apne rajay ki taraf nikal jate hain,
Charan aur sambhu turant waha se nikal gaye,
Kamya- aap log kisi ke samne bhi sab bolne lagte hain,
Satavik- maaf karna maharani lekin baat hi aisi h main khud ko rok nhi paya,
Bhawar singh- ab bataiye kya hua,
Satavik- bhaiya ke hath me jo kitab thi usme is rajay ka ithas h, matlab aapke aur mere purvajo ki likhi hui kitab h, aur us kitab me jarur in shaktiyo ka jikar hoga, kyoki humare purvajo ko in shaktiyo ke bare me pata tha,
Bhawar singh- ha pata tha, mere dada ji ko pata tha,
Satavik- bhaiya uttar disha ki taraf jar he hain to lagta h unhe tisri shakti ka pata chal chukka h, ho na ho wo shakti uttar disha me h, ohh main ye kabhi soch kyo nhi paya ki ek shakti dakshin disha me mili dushri humare rajay me matlab Madhya me to tisri shakti uttar disha me ho sakti h,
Bhawar singh- ooohhhh isiliye dada ji ne kaha tha uttar aur dakshin per najar rakhna, aur main murakh apne uttar aur dakshin ke rajyo se dushmani karke baitha hua hu, isi wajah se aaj tak pratapgad se dushmani ki hui thi, lekin dada ji uttar aur dakshin ki shaktiyo ka jikar kr rhe the,
Kamya- hume niklna chhaiye turant,
Bhawar singh ne turant seniko ko bulaya aur apne sabse tej dodne wale ghode teyar karwaye aur apne 100 seniko ke sath kamya aur satavik ko lekar turant uttar disha ki taraf nikal gaya,
Wahi charan ne bahar niklte hi apna ek senik apne rajay me bheja aur pratap singh se ek sena lekar uttar disha me jali pahuchne ko bola, aur khud sambhu aur sath me aaye seniko ke sath uttar disha ki taraf dod pada,
Agale kuch hi ghanto me ye sab ho gaya, idhar bhomik ji apni shakti ka istemal karke kuch palo ke liye adrishya hokr us jagah pahuch gaye, pheli dono jagah unhe kuch nhi mila lekin tisri jagah unhe kamyabi mil gai, jameen ke niche bane ek gupt jagah thi jaha per rajveer ko rakha hua tha, uski suraksha me bahut se senik the, jo hamesha wahi rhete the, wo kabhi us jagah se bahar nhi nikalte the, unka pariwar bhi wahi rheta tha, wo log senik bankr nhi balkar aadiwasi bankr us jagah rhete the, unhone us jameen ke upper apne jhode dale hue the, bhomik ji ander ghus gaye, lekin jab unhone rajveer ki halat dekhi to wo saham gaye, kyoki itna bada yodha aaj ek sukhe patte ki trha ho chukka tha, adhmara sa besudh behal pada thaw o hosh me bhi nhi tha, bhomik ji chahte the ki rajveer sabko marta hua bahar niklega to aisa lagega ki rajveer khud bhaag gaya lekin ye sambhav nhi tha, lekin rajveer ko bahar bhi nikalna tha,
To bhomik ji wapas bahar aa gaye,
Dev- kya hua guru ji
Bhomik ji- rajveer mil gaya h lekin uski aisi halat nhi h ki wo kisi ko mar kr bahar aa sake,
Dev- to aap sabko mar kr bahar aa jate,
Bhomik ji- nhi dev main kisi ki hatya nhi kar sakta, chahe mere pran hi kyo na jar he ho, mera karam logo ko thik karna h unhe marna nhi, aur maine khud se aur upper wale se vachan badh hu, main kisi ki hatya nhi karunga,
Dev- fir to ek hi rasta bacha h,
Abhnedra- to shuru kare
Dev- guru ji aap kisi ko nhi dikhne chahiye aur abhendra hum aise jayenge ki koi hume phechan na sake,
Dono ne khud ko ek lutere ke bhes me teyar kiya,
Fir Dev aur abhendra ne apne hathiyar utha liye aur chal diye, aur dev ki takat aur abhendra ka hathiyar chalana, job hi samne aata rha wo use marte chale gaye, lekin aurto aur bachho ko unhone nhi mara, bhomik ji sabse phele rajveer ke pas chale gaye the, unhe dart ha kahi apneaadmiyo ko marta dekh ander wale senik rajveer ko na mar de,
Kuch hi samay me dev aur abhendra sabko marte hue ander ghus gaye aur rajveer ko aajad kr diya, dev ne rajveer ko apne kandhe per uthaya aur waha se nikal gaye, piche chod gaye khoon aur lashe aur un per roti hui aurte,
Rajveer ko lekar wo sidhe apne gupt sathan per pahcuhe, waha bhomik ji ne sambse phele rajveer ka nirikshan kiya, rajveer ko achhe se dekhne ke baad,
Bhomik ji- iski halat bahut kharab h, iske ander bas jaan ruki hui h, khoon ki bahut hi kami ho chuki h, aisa lagta hai jise ise mahino se kuch khane ke liye nhi diya gaya, iske shareer me pani ki bhi kami ho gai h, ye bhook pyas aur maar ki wajah se ek achet nindra me chala gaya h, iska upchar karna hoga isme hume samay lag sakta h,
Mahel ke andar bagawat Shuru ho gayi h
Pehle Dev ne bhawar sigh ko dhamki di ab sabke saamne Niharika ne dhamki de Dali
Charan ko chakkar aa gaya ek Baar ko Niharika ko dekh kar
Satvik tow ziada takatwar hota jaa Raha
Ab sab raj guru ke peeche jaa rehe h dekhte h unke Saath kia hota h
Tow bhawar Singh ko pata chal ki doosri Shakti dev ke paas h
Ranveer ko chhuda lia gaya Lekin bechare ki halat bahot kharab h dekhte h kab hosh aata h uneh
Revati ne apni sabse wafadar dasi ko chitthi dekar Bheja h dekhte h kia woh apna kaam kar payegi
Dekhte h aage kia hota h
Badhiya zabardast shaandar update