Update 1
Birbhum jila ek chota sa gaon, subha ka waqt tha, Charon or pakshiyon ki chahal pahan Suraj abhi thoda sa hi utha tha Puri tarah se uski Roshani Dharti ke Mati Ko nahin chhu rahi thi, gaon Mein pair paudhe, Charon or hariyali hi hariyali najar aati isi gaon Mein ek Chhota sa Ghar-
Aditya abhi so raha tha, kal usne kafi der raat mein ghat aaya tha, interview Dene Gaya tha kal subha Shahar Mein, Shahar se gaon lautate waqt Raat ho chuki thi, ghar lautate hi usne Bina khae piye hi so gaya tha,
Aditi, Aditya ka maa, subha ke pahle Kiran se pahle hi uth chuki thi, use sari raat nind nahi aye thi kyuki uska eklauta beta Bina khae piye , bina kuch hi so chuka tha raat mein,
Aditi Aditya ke kamre mein aaye aur usne dekha Aditya so Rahi hai, Aditi uske bagal mein bistar par baitha gai.
Aditi : Aditya.... Aditya!!
Par Aditya to gehri neend mein tha. Aditi ne fir prayas Kiya aur is baar usne Aditya ke balon ko pyaar se sahmat hue-
Aditi : Aditya! Beta utho, subha ho chuki hai.
Fir bhi aditiya nahi utha, Aditi ne kuchh der aur prayas kiya, ab aditiya nind se uth ne laga, usne apne Aankhe malte huye upar dekha to paya Aditi uski maa pyar se usse hi bula rahi hai kab se.
Aditya : maa??
Aditi : ab ja ke uthe ho tum!
Aditya: aap kab se bula rahi thi?
Aditi : kab se? Adhe ghante se bula rahi hun.
Aditya : maaf karna maa. Nind mein tha.
Aditi : koye baat nahi, par. Pahle ye batao, Raat mein kuchh khaye Bina hi kyon so gaye?
Aditya ka mu latak gaya.
Aditi : kiya huya? Aditya!
Aditya : kuchh nahi, bas aise hi maa, par aap ki aankhein kyun Kali padh chuki hai? Aap ne raat bhar soya nahi?
Aditi ( smile ) : jab beta kuchh kahe Bina, kuchh khaye Bina so Jaye. To kyun si maa ko nind aayegi.
Aditya ko apni kiye ka pachtawa huya, usne apne mu neecha kar liya.
Aditi : interview mein kucch huya tha Kiya?
Aditiya : nahi bas...
Aditi : Kiya huya batao to Sahi.
Aditya : maa wo... Lagta hai is baar bhi mein fail ho jaunga interview mein.
Aditi : accha to iss wajah se chintit ho itna ki Bina khaye so jayo ge?
Aditya : ........
Aditi : koye baat nahi, ab utho aur fresh ho ke pahle khana kha lo thik hai, maine subha subha tumhare Mann pasand Paratha banaya hai aur dahi bhi hai.
Aditya : aap ne subha subha itna pareshani kyon kiya maa.
Aditi : is mein pareshani kaisa? Ab baatein mast karo, chalo jao aur fresh ho lo.
Aditya ( smile ) : think hai, maa!
Ab tak mahool bilkul Shant lag Raha par aditiya jab bistar se utha, tabhi usne apne bap ki khari khoti sunna padha
Kaushik : ohh to Sahab utha gaya hai? Dhanya Ho Dhanya Ho.
Aditya ne palta kuchh nahi bola aur fresh hone jane laga. Ya ab roj ka ho chuka tha.
Kaushik : kiya re, kitni baar tujhe bola hai faltu ka interview mein mera Paisa barbaad maat kar. Kheton Mein ja aur kheti badi Karen.
Aditi : wo Paisa barbaad nahi karta, jyadatar kheti Bhari Aditya hi karta hai unhin paison mein se vah apne interview dene ke liye jata hai, agar koi is ghar mein paison ki barbadi Karti hai to vah aap hai.
Kaushik ( gusse mein ): kiya kaha tune.
Aditi : jo bhi kaha sach hi to kaha paison ki barbadi aap bhi karte ho Sara Din daru pi ke tahalte rahte Ho bas.
Kaushik (gusse mein) : teri itni majal tu mere upar baat kare..tujhe to mein.
Aditya wahi khara sab dekh raha tha, par jab uske pita ne uski maa ke upar thappad Marne ke liye haath Uthaya to Aditya jo gussa ab tab Sula ke Rakha tha ab wo ugal ne wala tha.
Aditya ( shout ) : bas papa, maa ke upar haath maat utha na. Nahi to mein.....
Aditya ne pura shabd bola nahi, par uski gusse wali aankhon ko dekh ek pal ke liye uske pita bhi dar gay tha. Par fir usne gusse mein kaha.
Kaushik : jiyada bol nikal raha hai tera ka hai na, maat bhul mein baap hun tera aur tu rehta Hai mere ghar mein, jiyada gussa chadh Raha hai to ja nikal ja mere is ghar se.
Aditya yaha majboor tha, uske paas khud ka koye Paisa nahi tha. Agar ghar se Nikal jata to rehta kaha, jo jameen pe wo kheti Wadi ka kam Karta tha vah jameen Uske pita ka hi tha. Aditya yaha apne gusse ko dabate huye, ye kehte huye Ghar se nikal gaya~
Aditya : maa, mein jaa raha hun khet Mein, ab sham ko lautunga.
Bas ye kehke wo ghar se nikala, Aditi usse rokne ki koshish karte huye.
Aditi : beta pahle nasta to karlo..... Aditya ruko.... Suno...... Kaal raat tumne kuchh khaya bhi nahi tha... Ruko.....
Par Aditya ja chuka tha, Aditi usse pukarte reh gai.
Aditi ( gusse mein ) : usne Raat bhar kucch khaya nahi, kaal subha wo Shahar gaya tha pata nahin waha usne kuchh khaya bhi hoga ya nahi.. aur subha hote hi aapne usko bhala bura keh diya....
Kaushik : mere ghar mein rehta hai, mere paiso pe khata hai aur mujhpe hi unchi awaz mein baatein karta hai, tu sukar mana ki aaj tak tum donon ko ghar se nikala nahi.
Aditi : mehnat karta hai mera beta, wo tumhare paiso pe khata nahi.
Kaushik ka gussa apne sikhar pe tha. Usne apna haath Uthaya aur Aditi ke gaal pe ek thappad mara, Aditi neeche gir gaye.. aur rote huye
Aditi ( crying ) : bas yahi karna aata hai, daru Pina aur mujhe maara.
Kaushik : bohat ho gai Teri Rona dhona chal ja nasta la jaldi aur paise nikal daru pine jana hai.
Kaushik Jab se bidhi nikaali aur use funkte huye
Kaushik : abhi tak nahi gai, kiya aur thappad khana hai tujhe.
Aditi roti huye kamre se nikal gaye.
Haar subha yehi hote aaraha hai, Yehi tha kahani ke hero Aditya ki jindegi.