UPDATE 1
शुरुवात / SHURUWAAT
THE BEGINNING
Desh ke sabse bade sheher mein ek do-manzila (ground aur first floor) + terrace wala ghar.
First floor ke corner room mein bane gym mein ek 22 saal ka ladka subah 5 baje uthkar exercise kar raha hai. Do ghante ki kadi aur intense exercise ke baad woh naha-dhokar ready ho jaata hai.
Neeche naashte ki table par ek aurat nashta serve kar rahi hai, aur ek ladki madad kar rahi hai. Ek aadmi table ki main kursi par baithe hain.
Ladka: Good morning, maa, papa aur didi.
Teeno: Good morning, Aditya.
Aditya bhi jaakar table par baith jaata hai. Apna manpasand nashta dekhkar uski aankhon mein chamak aa jaati hai.
Aditya: Thanks, maa. Aaj to aapne mera favourite nashta banaya hai.
Kamini: Is thanks ki haqdar main nahi, teri didi hai. Usne hi banaya hai.
Aditya: Are yaar, phir to mood hi kharab ho gaya. Pata nahi kaisa taste hoga.
Nisha: (thoda gusse mein) Kya matlab hai tera? Main achha khana nahi bana sakti kya?
Aditya: Are didi, itna to majaak samajh jaiye. Aur maa, waise bhi thanks to aap ko hi jaayega. Aapne hi to didi ko sab kuch sikhaya hai.
Kamini: Haan, thik hai. Ab jaldi kha lo. Tumhe aaj college jaldi jaana hai na?
Aditya: Haan, maa. Aaj jaldi pahunchna hai.
Ye kehkar Aditya jaldi se khane lagta hai, phir sab ko bye kehkar apne bike par baithkar nikal jaata hai.
Lagbhag 15 minute baad Aditya "Amar Jyoti College" mein enter karta hai. Uske andar aate hi bahut si nazrein us par tik jaati hain. Ladkiyaan uski fit body aur tez dimaag ki fan hain, jabki ladke isi baat se jalte hue use dekhte rehte hain.
Lekin Aditya in sab par dhyaan diye bina sidha Rajeev ke paas pahunch jaata hai.
Rajeev aur Aditya ki mulakat college mein hi hui thi. First year mein hi dono ki dosti ho gayi, aur ab final (fourth) year tak aate-aate yeh dosti itni gehri ho chuki thi ki pure college ko inki pakki dosti ka pata tha.
Aditya: Aur bhai, kaisa hai?
Rajeev: Bus, sab badhiya. Tayaar aaj ke liye?
Aditya (ek confident smile ke saath): Main humesha tayaar rehta hoon, tu to jaanta hi hai. Waise, teri jaan-e-jigar kaha hain?
Rajeev: Pata nahi, kaha reh gayi? Are, aa gayi dono.
Aditya ne pichhe mudkar dekha to use do khoobsurat ladkiyaan aati hui dikhi. Saare ladke unhe hi dekh rahe the, par dono kisi ki taraf nazar daale bina sidhe Rajeev aur Aditya ke paas aa gayi.
Pehli ladki thi Rati—Rajeev ki judwaa behen, us se bas 5 minute chhoti.
Dusri ladki thi Rashmi—Rajeev ke dil ki jaan. Dono ek dusre se bahut pyaar karte hain. Pichhle 1.5 saal se dono ek dusre ko pasand karne lage the, lekin dono ko ek dusre ko batane ki himmat nahi thi. Aditya Rashmi ka bachpan ka dost bhi hai, to jab usko jab is baat ka pata chala to usne ek tagda plan banaya aur dono ko ek dusre se milwa diya.
Rati: Good morning, Aditya.
Aditya: Good morning, Rati. Good morning, bhabhi.
Rashmi: Good morning, Aditya. Waise, kam se kam college mein toh mujhe bhabhi na kaha karo. Kisi ne sun liya toh gadbad ho jaayegi.
Aditya: Aji, hum aise gadbad se darne walo me se nahi hain. Maine hi aap dono ko milwaya tha, to main kaise aap dono ko bichhadne de sakta hoon?
Rashmi: Ye to sach kaha tumne. Lekin tumse 'bhabhi' sunna thoda ajeeb lagta hai. Ek hi umar ke hain hum. Pehle to naam se hi bulate the.
Aditya: Marwaogi kya, bhabhi? Rajeev hai yaha par. Ye Rati se 5 minute aur mujhse to kuch mahine bada hai. To phir main aapko kuch aur kaise bol sakta hoon? Ye Rajeev mujhe zinda nahi chhodega.
Rajeev (hasi ke saath): Haan, haan. Jaise mujhse bada dar lagta hai tujhe. Kya hi bigaad lunga main tera?
Aditya: Bhai, tu mujhe maarke mera kuch nahi bigaad sakta, ye hum chaaron achhe se jaante hain. Lekin tu agar mujhse gussa ho gaya toh ye dosti tut jaayegi—aur woh main hone nahi de sakta. Teri bhalai ke liye.
Rajeev: Meri bhalai ke liye? Kya matlab?
Aditya: Bhul gaya kya? Shanti mausi ne kya kaha tha? “Agar tum dono ki dosti kabhi bhi kisi bhi kaaran se tuti, to Rajeev, teri khair nahi.”
Rajeev: Kya yaad dil diya, bhai? Wo warning kabhi bhul sakta hoon main? Mausi bahut pyaar karti hain humse, lekin unka gussa alag level ka hai. Lekin tu to alag hi farishta hai. Pata nahi kya jaadu kiya tune, wo tujhse humesha achhe se pyaar se hi baat karti hain. Aur upar se tune unhe Rashmi ke liye bhi mana liya.
Rashmi: Haan, ye to humesha dara hua rehta tha ki mausi ko kabhi pata chala to kya hoga? Lekin Aditya, tumne to mausi ko itni aasani se mana liya aur unhone bhi bade pyaar se mujhe swikaar liya.
Aditya: Are bhabhi, aap dono ka rishta maine karwaya hai to use aage le jaane ki zimmedari bhi meri hui na. To bus, maine wo kar diya. Waise, ek baat toh bataiye—aaj aap dono ek saath kahan se aa rahi hain? Aur Rati Rajeev ke saath kyun nahi aayi?
Rashmi: Woh mujhe Rati ka thoda kaam tha, toh maine use subah hi apne ghar bulwa liya tha. Waise, maine toh aapka 'bhabhi' kehna swikaar kar liya. Lekin devarji, aap mujhe meri devrani se kab milane wale hain?
Aditya: Kaun si devrani? Aisi koi nahi hai. Hoga to aapko to pata chal hi jaayega. Ab chalein kya? Program shuru hone wala hai.
Rajeev: Haan haan, chalenge. Abhi thoda time bacha hai uske liye. Lekin koi nahi hai? Sach bol na?
Rashmi: Kaisa sach? Tum mujhse kuch chhupa rahe ho?
Rajeev: Are Rashmi, main bhi puri baat nahi jaanta. Lekin main jaanta hoon ki iske dil me koi to hai. Iske aankho me ek pyaar chhupa huwa hai—kiske liye, ye main nahi jaanta. Lekin pakka ye kisi se to pyaar karta hai, lekin isne bhi use abhi tak nahi bataya hai.
Rashmi: Kya? Itni badi baat tumne humein nahi batayi, Aditya?
Aditya: Bhabhi, aapse main nahi chhupaunga. Yeh baat Rajeev ko bhi maine nahi batayi hai, lekin pata nahi ise kaise pata chal gaya. Haan, ek ladki hai. First year se hi usse pyaar karta hoon main. Lekin use pata nahi hai, kyunki maine use bataya nahi hai.
Rashmi: To phir kab batane wale ho?
Aditya: Sahi samay ka intezaar hai, bhabhi. Woh sahi samay jald hi aane wala hai—lag raha hai. Lekin ab uske baare mein koi sawaal nahi. Aapko bina bataye kuch nahi hoga—aap teeno ko us samay pata chal hi jaayega. Ab humein chalna chahiye.
Rashmi: Thik hai. Ab main koi sawaal nahi puchhungi. Tumhe jitna samay lena ho, le sakte ho. Lekin—karna jald hi padega. Humari koi madad lage toh zaroor batana. Tumne humara 1.5 saal ka pyaar mila diya, hum dono milkar tumhare 3 saal ke pyaar ko pura karne ki koshish karenge. Ab chalo.