Update 39
Idher woh Doctor jhakmi halat mein hi apni gaadi mein baith ke bhaag jaata hai.
Hospital mein firings ki awaaz sunke uss waqt waha present saare staffs aur patients darr jaate hai par guards ke kehne pe sablog thoda shant hote hai par unke mann mein darr baitha rehta hai.
Agli subah pura parivaar phir se hospital mein aajata hai. Unhe bhi Aryan ke upar hue humle ke baare mein pata chal gaya tha.
Shekhar Krishna ke paas jaake uske kandhe mein haath rakh kar usse kehta hai.
Shekhar – Main kis muh se tumhara dhanyawaad karu beta. Tumne ek baar nhi 2 baar Aryan ki jaan bachai hai. Tumhara bahot bahot shukriya.
Krishna – Yeh aap kaisi baat kar rahe hai Uncle. Yeh toh mera farz tha. Uncle Aunty aur Aryan ne mere liye itna kiya hai ke uske badle main jitna bhi karu kam hai.
Shekhar – Bhagwan tumhari saari ichhaye puri kare.
Krishna – Uncle jab tak Aryan yaha pe hai humhe uske liye kuch selected doctors aur nurse ki ek team banani hogi. Aryan ke cabin mein sirf aur sirf wahi doctors aur nurse andar jaayenge. Unke alawa bade se bada doctor bhi andar nhi jaayega. Aur unn selected doctors ki list ek guard ke paas aur ek Veer Uncle ke paas hogi.
Ishant – Main abhi iska bandobast karta hu. Aur abse Aryan ki security double hojayegi.
Shalini – Par woh doctor tha kaun.
Krishna – Woh jo bhi tha jaan pehchan ka tha. Usse humari puri khabar thi. Usse achhe se pata tha ke yaha kitni security hogi aur usse kin kin chizo ki jarurat padegi.
Shekhar – Par usee innsab ke baare mein pata chala kaise chala.
Krishna – Koi hai jo Aryan ke pal pal ki khabar uske dushman ke de raha hai.
Abhi aur koi kuch bolta tabhi doctor Aryan ke cabin ke a dar se bahar aajata hai jo andar Aryan ke checkup ke liye gaya hua tha.
Doctor ko dekhte hi Sangeeta aur Shalini usse puchne lagti hai.
Sangeeta – Doctor ab kaisa hai mera beta. Thik toh hai naa woh.
Shalini – Haa doctor aapne kaha tha 24 ghante ke baad aap aage kuch bol paayenge. Ab toh 24 ghante hone ko aaye hai. Aryan thik toh hai naa.
Doctor – Dekhiye aaplog shant hojaaiye. Patient ki halat abhi bhi najuk hai. Par uski halat mein sudhar bahot hi dheere dheere horaha hai. Patient respond toh kar raha hai aur response rate bahot hi slow hai. Hum apni puri koshish kar rahe hai baaki sab bhagwan ke haath mein hai. Yeh bol Doctor waha se chala jaata hai.
Waha khade sabhi ki halat yeh sunne ke baad kharab hojaati hai. Sangeeta toh yeh sunne ke baad sidha Mahira ke saamne aake khadi hojaati hai.
Sangeeta – Ab toh khush hona tum. Yehi chahti thi naa tum.
Mahira jiske mann mein ek guilt tha bojh tha woh Sangeeta ki baat sunne ke baad aur badh jaata hai uske aankhon se aansu girne lagte hai.
Sangeeta – Woh tum hi thi naa jiske wajah se Aryan sidhiyon se neeche gira tha jiske wajah se uske sir mein chott lagi thi.
Waha khade sabhi jab yeh baat sunte hai toh unhe bhi shock lagta hai.
Shalini – Yeh kyaa bol rahi ho tum Sangeeta.
Sangeeta – Main sahi keh rahi hu. Tumhari iss beti ki wajah se hi Aryan hospital mein admit hua tha. Isne 2 raaton se Aryan ko tarah tarah se pareshan kiya tha jiske wajah se woh 2 raaton tak so nhi paaya tha. Aryan mujhse har raat baat karta tha. Uss raat ko bhi kiya tha. Woh toh mujhe bol tak nhi raha tha par maine usse bulwa liya.
Shalini – Kyaa yehsab sach hai Mahira. Kyaa Sangeeta jo kuch bhi bol rahi hai woh sach hai. Kyaa Aryan ki uss halat ke peeche tumhara haath tha.
Mahira jo yeh sab sunn kar ro rahi thi woh Shalini ki awaaz sunke ab darne lagti hai. Uski himmat nhi horahi thi ke woh apni nazre upar kare aur sawaal ka jawaab de.
Sangeeta – Aree Aryan ne toh mujhe bol diya tha ke main kisi se iss baare mein kuch naa kahu. Woh apni najuk halat mein bhi iska hi bhala soch raha tha. Aur dekho aaj iski wajah se hi mere bete ki kyaa halat hogyi hai.
Itna bolne ke baad Sangeeta waha se Aryan ke cabin mein chali jaati hai.
Shalini jab yeh sunti hai ke Aryan ke sir mein chott Mahira ke wajah se lagi thi toh usse bahot gussa aata hai woh tezi se Mahira ki taraf aati hai.
Shalini – Mahira maine tumse kaha tha thoda sabar rakho. Par tumne meri ek baat nhi maani. Dekha kyaa hogya thaa tumhare masti mazak ke chakr mein. Uss din bhi maine tumhe mana kiya bahar jaane se par tumne uss din bhi meri baat nhi maani. Aree Aryan hospital mein hone ke baad bhi sirf tumhe bachane ke liye tumhe khojne ke liye raat bhar sadko pe ghumta raha.
Mahira – Rote hue. I am Sorry mummy. Mujhse bahot badi galti hogyi. Mujhe maaf kardijiye. Mujhe nhi pata tha mera chota sa mazak itna bada ban jaayega. Please mujhe maaf kardijiye.
Shalini – Tumne iss baar koi choti galti nhi ki hai Mahira. Tumhari uss ek galti ki saza ek bekasoor bhugat raha hai.
Mahira – Main maanti hu saari galti meri hai. Mujhe woh sab nhi karna chahiye the. Please mujhe maaf kardijiye. I am Sorry. Mujhse bahot badi galti hogyi hai.
Shalini bina kuch bole waha se Aryan ke cabin mein chali jaati hai aur idher Mahira roti rehti hai.
Sangeeta baar baar Aryan ko apna beta keh rahi hai kahin yeh ladka uska bhatija Aryan na hokar uska beta Rishi toh nahin na..... Aur woh ladka Krishna hi asal mein Aryan toh nahin na dekhte hain ki inki haqeeqat kya hai........... Aur kab tak Yeh chhipi rahegi
Kisi ki bhi pakad mein kyun nahin rahi yeh baat ki.......... Shalini ne Aryan ko ekbar bhi beta keh kar nahin pukara aur woh aise tuti hui bhi nahin dikh rahi hai jaise ek maa apni aulad ki is halat par toot jaati hai...........use dukh toh hai par vaise nahin jaise ek maa ko hona chahiye................ Uska reaction dekhkar aisa lag hi nahin raha ki woh uski maa ho
Iske ulat vahin dusri taraf Sangeeta ka har reaction toot toot ke do baatein bata raha hai pehli baat yeh ki ho na ho wahi is zakhmi Aryan ki maa hai aur dusri yeh ki yeh Aryan nahin Rishi hai dekhte hain yeh raaz sabke samne kab khulega aur tab sabki reaction kya hogi yeh dekhna bhi dilchasp hoga
Mahira ko kab mu'afi milegi dekhte hain kyunki usne Jo ghalati karo hai woh waqai kaafi badi hai
Woh naqli doctor uska boss aur saathi next kya plan karenge Aryan and family ke khilaf dekhte hain aur Aryan and family uske plan ko nakaam kaise karte hain yeh dekhna bhi dilchasp hoga
Aryan ko hosh kab tak aayega kahin is bich phir koi musibat na aa jaye inke liye
Mahira ka first impression toh Sangeeta ke saamne zero ho gaya ab dekhte hain ki aage uske impression mein koi sudhaar hoga ki nahin aur kitna waqt lekar woh apna impression change kar paayegi
Krishna ko Aryan ki team join karwa dein toh woh bhi inke aur nazdeek reh paayega aur shaayad dushman ko phir koi mauq'a na haath lage in logon ke khilaf kuch bhi karne ka.....
Lage haathon Aryan Krishna Mahira Ishita ki love life ke bhi kuch darshan karwa do bhai
Dekhte hain aage kya kya hona hai