• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)

How is the Story....?

  • Mind-blowing

    Votes: 186 82.7%
  • Best

    Votes: 19 8.4%
  • Bad

    Votes: 12 5.3%
  • Mind-blowing

    Votes: 8 3.6%

  • Total voters
    225
Status
Not open for further replies.

SmartyAsif

Well-Known Member
2,816
10,980
143
Index :

Update 01 "kismat"
Update 02 "Pyar ka Ehsaas"
Update 03 "Pyar aur Apnapan"
Update 04 "Pyar ki Shuruwaat 1"
Update 05 "Pyar ki Shuruwaat 2"
Update 06 "Pyar ki Shuruwaat 3"
Update 07 "Ek Naya Rishta 1"
Update 08 "Ek Naya Rishta 2"
Update 09 "Ek Nayi Udaan 1"
Update 10 "Ek Nayi Udaan 2"
Update 11 "Ek Nayi Udaan 3"
Update 12 "Ehsaas 1"
Update 13 "Ehsaas 2"
Update 14 "Ehsaas 3"
Update 15 "Ehsaas 4"
Update 16 "Ehsaas 5"
Update 17 "Ehsaas 6"
Update 18 "Chakravyuh 1"
Update 19 "Chakravyuh 2"
Update 20 "Chakravyuh 3"
Update 21 "Dillagi 1"
Update 22 "Dillagi 2"
Update 23 "Naye Rishte ki Shuruwaat 1"
Update 24 "Naye Rishte ki Shuruwaat 2"
Update 25 "Apnepan ka Ehsaas 1"
Update 26 "Apnepan ka Ehsaas 2"
Update 27 "Raaz.... Nafrat ya phir Diwaangi"
Update 28 "Ek Nayi Raah 1"
Update 29 "Ek Nayi Raah 2"
Update 30 "Ek Nayi Raah 3"
Update 31 "Dhamaal 1"
Update 32 "Dhamaal 2"
Update 33 "Dhamaal 3"
Update 34 "Jaane Anjaane 1"
Update 35 "Jaane Anjaane 2"
Update 36 "Apnepan ka Ehsaas 1"
Update 37 "Apnepan ka Ehsaas 2"
Update 38 "Shadi aur Flashback"
Update 39 "Apne Paraye"
Update 40 "Wapsi 1"
Update 41 "Wapsi 2"
Update 42 "Wapsi 3"
Update 43 "Ehsaas"
Update 44 "Anokha Pyar 1"
Update 45 "Anokha Pyar 2"
Update 46 "Mazedaar Shopping aur College"
Update 47 "kahi Unkahi Baaten 1"
Update 48 "kahi Unkahi Baaten 2"
Update 49 "kahi Unkahi Baaten 3"
Update 50 "Sex aur Takraar"
Update 51 "Takraar 1"
Update 52 "Takraar 2"
Update 53 "Takraar 3"
Update 54 "Seduction"
Update 55 "Dhamaka 1"
Update 56 "Dhamaka 2"
Update 57 "Dhamaka 3"
Update 58 "Dhamaka 4"
Update 59
Update 60
Update 61
Update 62
Update 63
Update 64
Update 65
Update 66 "Sexy Dhamaal 1"
Update 67 "Sexy Dhamaal 2"
Update 68
Update 69
Update 70
Update 71
Update 72
Update 73 "Adventure 1"
Update 74 "Adventure 2"
Update 75 "Adventure 3"
Update 76 "Madhur Ehsaas"
Update 77 "Ilaaj ya Maza 1"
Update 78 "ilaaj ya Maza 2"
Update 79 "ilaaj ya Maza 3"
Update 80 "Ek Naya Rishta 1"
Update 81 "Ek Naya Rishta 2"
Update 82 "Ajeeb Surprise 1"
Update 83 "Ajeeb Surprise 2"
Update 84 "Ajeeb Surprise 3"
Update 85 "Gehri Chaal 1"
Update 86 "Gehri Chaal 2"
Update 87 "Gehri Chaal 3"
Update 88 "Sach kadwa ya Meetha"
Update 89 "Sach kadwa ya Meetha 2"

Update 90 "Sahi ya Galat 1"
Update 91 "Sahi ya Galat 2"
Update 92 "Sahi Ya Galat 3"
Update 93 "Ek Naya Rishta"
Update 94 "Ek Naya Rishta 2"

Update 95 "Ek Naya Rishta 3"
Update 96 "Saaya"
Update 97 "Saaya 2"
Update 98 "Diwaangi"
Update 99 "Saazish"
Update 100 "Saazish 2"
Update 101 "Saazish 3"

Update 102 "kadwa Sach"

Update 103 "kadwa Sach 2"
Update 104 "Mystery 1"
Update 105 "Mystery 2"
Update 106 "Mystery 3" (New)
 
Last edited:

SmartyAsif

Well-Known Member
2,816
10,980
143
Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)

Update 14

"Ehsaas 3"


Sultaan sab ko sath le ke wahan aa jaata hai jahan dono Gaon ke log badi besabri se unka intezaar kar rahe the.... Sab aaj behad khush hain.... Unhe anaaj milne waala hai jis se unke khaane ki samasya kuch had tak dur ho jaayegi sath hi Poore gaon ke sath sath unke ghar ke Renovation ka kaam bhi shuru hone waala hai....

Sultaan : Jaisa ki aap sab jaante hain aap sab ko yahan kis liye bulwaya gaya.... Aap sab ko aap ki zaroorat ke samaan ke sath sath anaaj bhi diya jaayega sath hi aaj se hi Gaon ke Renovation ka kaam bhi shuru kiya jaayega... Us sab ke liye mujhe in kaagazon pe aap sab ki manzoori chahiye.... In kaagazon me ye likha hai ki Sk Group of Companies dono Gaon ko Renovate karwa rahi hai.... Renovation ka matlab hai Gaon ko dubara se banana..... Sath hi yahan jis cheez ki zaroorat hai use poora karna.... itna hi nahi dono gaon ke har ghar ko pakke ka banwana taaki aap sab ko aage koi takleef na ho.... Renovation ka poora kharcha Sk Group of Companies hi degi.... Ye kaam Dono Gaon ke Sarpanch aur Thakur Sahab jo ki yahan ke MLA bhi hain unki dekh rekh me hoga.... Jisme unka sath Pihu Mehek Rukhsaar aur Sohni dengi.... Ye sab aapke hi Gaon ki betiyaan hain jo aap sab ka bhala Sab se behtar jaanti hain.... Inke kehne pe hi ye sab ho paa raha hai.... Agar ye aap sab ki taqleefon ke baare me na batati to aaj ye na ho raha hota.... To main ye chahta hoon ki aap sab is nek kaam me dil se inka poora poora sath den.... Baat ko zyada na kheenchte hue main chahunga ki aage ka kaam ye chaaro jald se jald shuru karen.... To jis jis ka naam pukara jaayega wo aage aa ke apne Gaon ki in Betiyon se apni zaroorat ka samaan aur Anaaj lega.... Sath hi gaon ke har ek Parivaar ko 20 hazaar Rs bhi diye jaayenge.... Taaki sab ki haalat ko kuch had tak sudhaara jaa sake.... Baaki Renovation ka kaam kar ke Gaon waale paisa bhi kama sakte hai.... Apna ghar banane ke sath sath unko is kaam ka mehentana bhi milega....

Sultaan ki baat sun ke Jahan sabhi gaon waale khushi se taaliyaan bajate hue Daddu, Kamar Singh, Samar Singh, Thakur Sahab ke sath sath Pihu Mehek Rukhsaar aur Sohni ki taareef karte nahi thak rahe hain wahin Parivaar ke sabhi sadasya hairaani se Sultaan ko dekhe jaa rahe hain.... Unhe samajh nahi aa raha hai ki sab kuch Sultaan ne khud kiya.... Aur naam unka liya....

Pihu : Ye kya Sultaan sab kuch kiya tumne sab saha tumne Gaon ko un kameene logon se bachaya tumne unhe anaaj aur Paise tum baant rahe ho.... Gaon ke Renovation ka kaam tum karwa rahe ho aur naam humara aage kar rahe ho.... Jis tareef ke haqdaar tum ho use bhi tumne hamare naam kar diya.... Pooch sakti hoon ki aakhir tumne aisa kyun kiya....?

Daddu : Main batata hoon ki Sultaan ne aisa kyun kiya....? Is sab ke peeche ek khaas wajah hai aur wo wajah ye hai ki Sultaan koi aam insaan nahi balki Neki ka Farishta hai.... Jo chup chaap logon ki bhalayi karta hai.... Taaki unhe khushi mil sake.... Logon ko khushi de ke use khushi milti hai.... Ye sab kaam Sultaan bina kisi lalach ke karta hai....

Sultaan : Daddu aap ne jo bhi kaha wo kuch had tak theek hai magar Aakhiri baat sahi nahi hai.... Main laalchi hoon... Bahut laalchi hoon... Mujhme itna laalach bhara hai jitna is duniya me shayad hi kisi ke dil me itna laalach ho.....

Sultaan ki baat sun ke sab hairaani se use dekhne lagte hain....

Daddu : Ye tu kya keh raha hai main kuch samjha nahi..... Jahan tak main tujhe samajh paaya hoon... tu ne aaj tak sab ko sirf diya hi hai kisi se badle me kuch nahi liya.... To ye laalach waali baat kahan se beech me aa gayi... Sultaan aur Laalchi ye mumkin nahi.....

Sultaan : Mumkin hai Daddu.... Mere liye aapke dil me jo pyar hai wo aapko mere laalach ko dekhne nahi de raha hai.... Haan ye sach hai main bahut bada laalachi insaan hoon.... Jise rishton ki laalach hai.... Apno ke sath ki laalach hai... Unke Pyar ko paane ki laalach hai.... To main sab ke sath is laalach se dil khol ke aachhayi karta hoon taaki badle me mujhe unke sath ke sath unka pyar bhi dil khol ke mil sake.... To hua na main laalchi....

Sultaan ki baat sun ke sab laajaab ho jaate hain.... Sath hi behad khush bhi....

Daddu : Beta ji.... Kaash jo laalach tere dil me hai wo duniya ke har insaan ke dil me hota to ye duniya Jannat se kam na hoti... Sab hansi khushi rehte....

Phir Sultaan dono Gaon ke logon ko alag alag taraf se aane ko kehta hai.... Sath hi Chaaro ladkiyon ko gaon waalon ko unki zaroorat ka samaan anaaj aur Paise baantne ko kehta hai...

Sultaan ke kehne pe ek taraf Sohni list ke hissab se ek ek kar ke apne Gaon ke logon ka naam pukaarne lagti hai aur Rukhsaar Rashi ke sath mil ke unhe Samaan anaaj aur Paise baantne lagti hai... wahin dusri taraf Mehek ke naam pulaarne pe Pihu Shanno ke sath mil ke apne Gaon ke logon ko anaaj ke sath sath Paise baantne lagti hai inki zaroorat ka samaan to inhe kal hi Pihu aur Shanno ne baant diya tha...

Gaon waale Samaan anaaj aur Paise le ke khushi khushi Renovation ke Papers pe Sign karte jaate hain.... Sab behad khush ho ke Sultaan ke sath wahan maujood Parivaar ke sabbi logon ko dil khol ke aashirwaad aur pyar bhi dete hain....

Sab ko samaan baantne ke baad wahan kuch packets bach jaata hai... jise dekh ke Rukhsaar hairat se poochti hai....

Rukhsaar : Sohni list ko check kar koi reh to nahi gaya....

Sohni : Nahi maine sab check kar liya hai kisi ka naam nahi bacha hai sab ko samaan baant diya gaya hai....

Rukhsaar : Sab ko samaan baant diya to phir ye samaan kiska hai....

Sultaan : Ye tumhara samaan hai... List me tum apna aur apne ghar waalon ka naam likhna bhool gayi thi....

Samar Singh : Are beta iski kya zaroorat thi....

Sultaan : Kaise zaroorat nahi baba... Jab yahan sab ko mila hai to aap ko bhi to milna chahiye ye sab aap ka hai... Ise aap ko rakhna hi hoga.... Aur baaki bache paise aap dono gaon ki bhalayi ke liye istemaal karenge....

Sultaan ki baat maan ke Sarpanch ji wo samaan rakh lete hain....

Sultaan : Ab baari hai inaam ki.... Itna bada kaam kiya hai to inaam to banta hi hai....

Mehek : Inaam....!!!!! Kise mil raha hai inaam....

Sultaan : In sab ko (Rukhsaar Sohni aur Shanno ki taraf ishara kar ke ) Ye sab wo hain jinhe khud se zyada apne gaon waalon ki fikr hai.... Aaj Pihu ke sath sath in sab ki bhi wajah se sab itne khush hain sath hi aage bhi wo khush rahenge....

Ye keh ke Sultaan saamne pade 3 bade Packets ki taraf ishara kar ke kehta hai....

Sultaan : Wo raha tum teeno ka inaam.... Jaa ke use khol ke dekho....

Sultaan ki baat sun ke sab ko badi hairaani hoti hai....

Mehek : Sultaan yahan 3 nahi balki 4 ladkiyaan hain to inaam to 4 hona chahiye na....

Mehek ki baat sun ke Pihu muskurate hue kehti hai....

Pihu : Mera inaam mujhe Sultaan ne pehle hi de diya tha.... (Apni Bike ki taraf ishara kar ke) Wo dekho wo hai mera inaam....

Mehek : Wow yaar ye to kamaal ki bike hai... (Sultaan se) Pihu to Bike chala leti hai to tumne use Bike di magar in teeno se to Bike sambhalne se rahi.... To inhe kya inaam de rahe ho....?

Sultaan : Inaam saamne rakha hai.... Ye khud khol ke dekh le ki inhe kya mila hai....?

Sultaan ki baat sun ke teeno aage badh ke Parcel ko kholne lagti hain.... Uper ka hissa phaadne ke baad jaise hi wo uska Cover utaarti hain saamne ka nazara dekh ke teeno khushi se uchal padti hain....

Mehek : Wow Yaar ye to Suzuki ki Latest Model hai.... Suzuki Burgman.... Mehngi aur behad Stylish....

Wahin Sab hairat se un teeno Scooty ko dekh ne lagte hain.....

Samar Singh : Beta itne mehnge Inaam ki kya zaroorat thi....

Sultaan : Baba Pihu ke jaise in teeno ne bhi jo kaam kiya hai uske aage to ye inaam bahut chota hai.... Inka sab ke liye apnapan pyar aur Sab ki bhalayi ke baare me sochna behad kaabile tareef hai.... Pihu ke sath sath inki jitni parshansha ki jaaye wo kam hai.... Main chahta hoon ki aap Is sab me in ka poora sath de....

Rukhsaar : Baba dekho ye hum teeno ka inaam hai.... Aur wo Pihu ka.... Hai na shaandaar....

Samar Singh : Haan meri bachhi... Tum sab ka inaam bahed shaandaar hai..... Mujhe garv hai tum chaaro pe.... Tum jaise betiyaan jis gaon me ho us gaon me rehne waalon ko kabhi koi takleef nahi hogi....

Daddu : Sahi kaha Samar tumne.... In ladkiyon ne jo kaam kiya hai wo wakayi me kaabile tareef hai....

Thakur Sahab : Sab se badh ke kaam to Sultaan ne kiya hai.... Jo ki kisi....

Abhi Thakur Sahab itna hi keh paaye the ki tabhi Sultaan unhe beech me hi rok deta hai....

Sultaan : Baba.... Main aapko baba keh sakta hoon na.... Are main bhi kitna paagal hoon.... Meri Dost ke baba mere bhi baba hi hue na.... Haan to baba aapki baat beech me kaatne ke liye maafi chahunga.... Agar baat zaroori na hoti to main aisa na karta.... Wo baat ye hai ki sab ko anaaj aur paise to baant diye ab bacha Renovation ke sath sath School College aur Hospital ka kaam to wo kal se shuru ho jaayega.... Aur sab se zaroori baat main soch raha tha ki agar aapki ijazat ho to Pihu ke Gaon ki tarha kyun na is Gaon me bhi Ghar me istemaal ka samaan banane waali Factory lagwa di jaaye jisme yahan ki Ladkiyaan auraten aur Mard kaam kar ke paise kama sake.... Is se inke sath sath gaon ki bhi tarakki hogi....

Thakur Sahab : Ye to badi khushi ki baat hai.... Main is me poori tarha se tumhare sath hoon.... Rahi tumhari tareef to wo main keh ke rahunga.... Tum wakayi me insaan....

Sultaan is baar bhi unhe apni tareef nahi karne deta wo phir se unhe beech me rok deta hai....

Sultaan : Aap ko aur sath hi sab ko is sab me poora sath dena hoga.... Mujhse zyada gaon waalon ki zarooraton ko aap sab achhi tarha se jaante hain aur ye bhi ki use poora kaise kiya jaaye... Paison ki fikr aap sab ko karne ki zaroorat nahi wo sab Sk Group of Companies dekh legi.... Jab bhi kuch zaroorat pade wo aap mujhe bata dijiyega.... Use foran poora kar diya jaayega.... Filhaal ke liye dono Gaon ke Renovation ke liye Paise ******* Bank me jama karwa diye gaye hain.... Rahi baat meri tareef ki to uski zarra barabar bhi zaroorat nahi....

Daddu : Ye nahi Sudharne waala Gajendra.... Ye kisi ko bhi apni tareef nahi karne deta.... Ye sirf dena jaanta hai... Shayad tabhi iske baba ne iska naam Sultaan rakha hai.... Taaki ye Sultaan ki tarha dil khol ke sab ki madat kar sake....

Ye keh ke Daddu Sultaan ko apne seene se laga ke pyar ke sath sath Aashirwaad bhi dete hain....

Dheere dheere sab gaon waale khushi khushi apne ghar chale jaate hain.... Aur ye sab hansi khushi Kothi ke under.... Sab sath mil ke hansi khushi khana khate hain....

Phir jo baat Mehek kehti hai use sun ke Sultaan ke sath sath Rashi ke chehre ke bhi bhaav badal jaate hain....

Mehek : Rashi.... Tune bataya nahi tu Sultaan ko kaise jaanti hai.... Tu yahan rehti hai aur Sultaan wahan ***** Sheher me rehta hai jahan mera bhi ghar hai.... Pichle 5 saal se tu wahan aayi nahi to tu Sultaan se kab mili....

Sultaan : W.... Wo.... Kuch nahi bas aise hi..... Aur waise bhi beeti baaton me kya rakha hai.... Use choro aur ye batao ki tum College jaane ke bajaye yahan Gaon me kya kar rahi ho.... Tumhe aage padhayi nahi karni hai kya....?

Mehek : Aage ki padhayi ke liye maine College me Admission liye hua hai wo bhi Non Attending.... To mujhe regular basis pe College Attend karne ki zaroorat nahi hai.... Haan to Rashi bata na tu Sultaan se kab aur kaise mili....?

Sultaan : Yaar kaha na wo baat itni zaroori nahi.... Chor na us baat ko....

Sultaan ki baat sun ke wahan maujood sabhi hairaan ho jaate hain unhe samajh nahi aa raha hai ki aakhir Sultaan Rashi ko kuch bhi batane se kyun rok raha hai... Thakur Sahab se jab raha nahi jaata to wo Sultaan se sawaal kar baithte hain....

Thakur Sahab : Aisi kya baat hai Sultaan jise tum Rashi ko batane se rok rahe ho....

Is se pehle ki Sultaan kuch kehta Rashi beech me bol padti hai....

Rashi : Wo is liye kyun ki us baat me khushi se zyada Gum dukh aur Takleefen hai....

Thakur Sahab : Gum aur Takleefen....!!!!

Rashi : Ji haan aur sath hi beintehaan dard bhi.... Jise sehna kisi aam insaan ke bas ki baat nahi....

Mehek : Kisne saha wo dard....? Batao Rashi kisne....

Rashi : S.... Sultaan ne...

Ye kehte hi Rashi ki aankhen nam ho jaati hain..... Uske lab khamosh ho jaate hain.... Rashi aage kuch bol hi nahi paati beeti baaten yaad karte hi uski aankhon se aansu behne lagte hain.... Jise dekh ke wahan maujood sabhi ghabra jaate hain.... Sab se Zyada to Thakur Sahab....

Sultaan : Ye kya Rashi tum ro rahi ho....? Maine tumhe mana kiya tha na rone se.... Yun apni aankhon se aansu baha ke mujhse kiya waada tum tod rahi ho.... Kya bas itni ki ehmiyat hai tumhari nazaron me meri aur mere waade ki....

Rashi : Tum mere liye kya ho ye mujhse behtar kaun jaanta hai... Tum ho to main hoon.... Warna aaj ye Rashi bhi na hoti.... Tumse hi to mera wajood hai.... Ye aansu to beeti baaten yaad karke apne aap hi bina ijazat ke meri aankhon se beh nikle.... Rahi baat tumhare waade ki to tum aur tumhara waada mere liye sab se badh ke hain....

Thakur Sahab se jab apni beti ka rona bardasht nahi hota to wo Rashi se pooch baithte hain....

Thakur Sahab : Rasshi aakhir baat kya hai bataogi mujhe....

Rashi : Sultaan ke waade ke aage main majboor hoon Baba.... main kuch nahi bata sakti....

Thakur Sahab : Tum nahi bataogi to Sultaan mujhe batayega... batao Sultaan aakhir wo kya baat hai....?

Sultaan : Kuch nahi Baba.... Baat bas itni si hai ki jab Rashi School ki taraf se apni School team ke sath Sports Competition ke liye Shimla gayi thi wahan main bhi apni School Team ke sath gaya tha... Wahin humari Mulaakaat hui.... To jab dono alag alag School se the to dono me takraar mera matlab hai Sports me bhidat to honi hi thi.... To usme pehle to hum khoob jhagde phir baad me Achhe dost ban gaye.... Aur phir ek Din Rashi ek problem me phas gayi jis se maine use bahar nikaal... Jisme mujhe thodi chot aayi thi aur dard bhi hua tha.... Bas baat itni si hai aur kuch nahi....

Thakur Sahab : Ji nahi baat sirf itni si nahi hai jitni tum bata rahe ho.... Kyun ki meri Rashi itni kamzor nahi ki itni si baat pe ro de.... Bachpan se le ke aaj tak maine ise kabhi rote hue nahi dekha.... Aaj saalon ke baad maine apni Laadli beti ki aankhon me aansu dekhe hain... Jo is baat ka saboot hai ki baat zaroor bahut badi hai.... Shayad behad dardnaak jise yaad kar ke Rashi ke masoom dil ke bardasht ki had paar ho gayi aur wo dard jise isne apne under daba rakha tha wo iski aankhon se aansu ban ke beh nikla.... Yahan koi bachha nahi hai jis se tum baaten chupa ke behla rahe ho.... To jo asal baat hai wo batao....

Sultaan : Baba jo beet gaya use yaad karne se kya fayeda.... Jo aage aane waala hai hum ko uske baare me sochna chahiye...

Thakur Sahab : Matlab tum poori baat nahi bataoge.... Koi baat nahi.... Tum na sahi magar mujhe yakeen hai ki meri Laadli beti apne baba se koi baat nahi chupayegi.... Meri bachhi bata mujhe aisi kya baat hai jise yaad karte hi teri aankhon me aansu aa gaye.... Tujhe apne baba ki kasam mujhe poori baat bata....

Rashi : Mujhe maaf karna Sultaan baba ki kasam ke aage main majboor hoon mujhe unhe sab sach sach batana hoga....

Sultaan : Main nahi chahta tha ki wo baat kisi ko bhi pata chale... Magar tumhari baat bhi sahi hai.... Ye tumhare baba hain.... Inki kasam ki bahut ehmiyat hai.... Bata do inhe sab kuch magar yahan sab ke saamne nahi balki akele me....

Thakur Sahab Thoda gusse me : Akele me nahi yahin batao sab ke saamne....

Daddu : Haan hum bhi jaan na chahte hain ki aisi kaun si baat hai jisko batane se tum dono itna katra rahe ho.... Batao Rashi baat kya hai....?

Rashi ek lambi saans leke khud ko thoda shaant karne ke baad apni baat shuru karti hai....

Flashback....

Rashi : Bachpan se hi main bahut ziddi thi.... Jo mujhe chahiye hota tha wo bina maange hi mil jaaya karta tha... Maa Baba ki eklauti aulaad hone ke naate mujhe unka bharpoor pyar milta tha.... Baba mujhe kisi bhi cheez ke liye mana nahi karte the.... Uski bahut si wajah thi.... Jaise ki main Padhayi aur khel kood me bahut aage thi.... Hamesha hi First aaya karti thi.... Jab bhi koi mujhse aage nikalne ki koshish karta to main use kisi bhi tarha se rok leti kabhi khud se aage jaane nahi deti.... Saam daam dand bhed main har hatkande apnaati.... School to kya humare poore ilake me aisa koi na tha jo mujhse ulajta.... Baba ke MLA hone ki wajah se sab meri har jaayaz ya nazaayaz baat ko sar jhuka ke maan lete the... Iske sivaye unke paas aur koi raasta nahi tha.... Jo meri baat nahi maanta tha uski main Baba ke pehelwaano se jam ke dhulayi karwaati.... Main ek Sherni ki tarah poore ilaake me ghoomti thi.... Raees baap ki laadli aulaad aksar aisi hi hoti hai jaisi main us waqt thi.... Behad bigdi hui....

Raashi : Us waqt main 9th Class me thi jab mujhe pata chala ki Humari School Team ko Sports Dance aur Singing Competition ke liye Shimla jaana hai.... Ye baat pata chalte hi meri khushi ka thikana na raha.... Bachpan se hi main Shimla jaana chahti thi.... Magar kabhi jaa na saki.... Choti hone ki wajah se Akele main jaa nahi sakti thi aur Baba apne kaam me itna Busy rehte the ki badi mushkil se hi wo apne Busy Schedule me se kuch waqt wo mere liye nikaal liya karte the.... wo itni lambi chutti le ke mujhe apne sath wahan le nahi jaa sakte the... Mera Shimla ke sath itna lagav hone ki sab se khaas wajah thi wo sapna jo mujhe har roz aata tha.... Jisme mein ye dekhti thi ki mere sapno ka Rajkmaar safed libaas pehne safed ghode pe sawaar ho ke saamne se bade shaan se chala aa raha hai aur mujhe ghode pe baitha ke apne shahi mehel me le jaa raha hai.... Bachpan se hi main apne Rajkumar se milne ke liye bechain rehne lagi.... Main roz uper waale se ye dua maangti thi ki wo kisi bhi tarha bas ek baar mujhe Shimla pahuncha de taaki main apne sapno ke Rajkumar se mil sakun.... Aur saalon baad aakhir kar uper waale ne meri dua kubool kar li aur apni School ki Sports Team ke sath main Shimla ke liye nikal gayi.... Is ummeed se ki wahan yakeenan meri mulakaat mere sapno ke Rajkumar se ho hi jaayegi aur aakhir kaar hua bhi waise hi....

Stadium me jahan Competition hona tha wahan maine Pehli baar Sultaan ko dekha.... Use dekhte hi mere dil ki dhadkan jaise ruk si gayi sath hi dil se ek awaaz si aayi....

Ye to ye to wohi hi hai tere Sapno ka Rajkmaar....

Aur tabhi anjaane me hi sahi jaane kaise mere muh se wo baat nikal gayi.... Jise sunte hi wahan maujood sab hairat se kabhi Sultaan ko dekhte to kabhi mujhe....

Rashi : Haye....!!! Itna Handsome koi kaise ho sakta hai....

Tabhi wahan maujood apni team ke ek ladke ki baat sun ke meri tantra tooti jise sunte hi mere Honthon ki muskaan gayab ho gayi aur uski jagah mere chehre pe gussa aa gaya jiska asar us ladke ke gaal pe nazar aane laga.....

Ladka : Vimal Singh

Vimal : To aakhir Sherni ko bheegi billi banane waala aa hi gaya.....

Ye keh ke Vimal ne hasne ke liye apna muh khola hi tha ki tabhi ek jhannatedaar thappad ki awaaz goonj uthti.... Sath hi Vimal ke gaal pe Rashi ki paancho ungliyon ke nishaan chap gaye.....

Chataaaaaaaaaak....

Rashi : Saale kameene teri himmat kaise hui mera sath aise baat karne ki..... Teri itni bhi aukaad nahi ki meri or nazar utha kar bhi dekh sake..... Aur tu hai ki tu ne mujhe ek Sherni ko bheegi billi kaha.... Kameene.... Is se pehle ki main gusse mep aa ke sab ke saamne tere kapde utarwa ke tujhe zaleel karu.... Jaldi se mere kadmon me gir ke mujhse maafi maang.....

Rashi ki baat sun ke Vimal ko uspe gussa to bahut aata hai.... Uska dil chahta hai ki wo Rashi ko is thappad ka poora jawaab de magar chah ke bhi aisa karne ki na hi uski himmat hai aur na hi aukaad.... marta kya na karta na chahte hue bhi wo Rashi ke kadmon me gir ke us se maaf maang leta hai....

Maafi maangne ke baad Vimal apne man me ye faisla karta hai.... Kameeni aaj jaise tu ne sab ke saamne mujhe zaleel kiya hai is ka main tujhse aise badla lunga ki tu phir kabhi kisi ko apna muh dikhane ke kaabil nahi rahegi.... Ye baaten apne dil me sochte hue wo wahan se chala jaata hai....

Is sab ke baad jaise hi maine saamne dekha wahan Sultaan ko naa paa ke jaane kyun main idhar udhar apni gardan ghuma ke use dhoondhne lagi....

Mere paas khadi meri Dost Neelo ne mujhe bataya ki wo jaa chuka hai.... Uski baat sun ke jaane kyun mere dil me ek tees si uthi magar maine khud ko sambhaal liya.... Sath hi bade akad ke sath apna muh banate hue kaha....

Rashi : Tujhse kisne kaha ki main use dhoondh rahi hoon....

Neelo : Nahi kaha to nahi magar Jis tarha se tu idhar udhar dekh rahi thi mujhe laga ki tu use dhoondh rahi hai....

Rashi : Wo itna bhi khaas nahi ki main Rashi Singh use dhoondhne lagu....

Neelo : Wo kya hai ye tu nahi jaanti is liye aisa keh rahi hai....

Rashi : Achha aisa kya khaas hai usme jo tu baar baar uske baare me keh rahi hai....?

Neelo : Ye pooch ki usme aisi kya khaas baat nahi hai.... Wo padhayi ke sath sath Sports me number one hai....

Rashi : Wo to main bhi hoon.... Mere hamesha hi 90 se 96 ke beech Percentage aaye hain....

Neelo : Wahin uske 99 se 100... Sath hi wo itna achha gaata aur dance karta hai jiska jawaab nahi.....

Rashi : Dance me to mere bhi koi jawaab nahi....

Neelo : Uski Dashing Personality aur Smartness har ladki ke dil ko uska diwana bana deti hai....

Rashi : Diwaane to mere bhi bahut hain....

Neelo : Jahan tu sab ko apna gussa dikhate hue sab pe apna huqum chalate hue unhe apne kadmon ke neeche rakhte hue unpe raaj karna chahti hai.... Wahin wo apne pyar aur apnepan ki wajah se sab ke dilon pe raaj karta hai.... Wo Sirf naam ka hi nahi balki dil ka bhi Sultaan hai....

Neelo ke muh se Sultaan naam sun ke mere muh se bhi Sultaaaaaaaaan nikal gaya....

Neelo : Sultaaaaaaaaan nahi balki Sultaan naam hai Dashing Dilwaale ka....

Rashi : Teri baaton se lag raha hai jaise tu bhi uski diwaani hai....

Neelo : Tu ne to mere dil ki baat keh di... Haan ye sach hai ki main uski diwaani hoon.... Magar wo meri range se bahar hai.... Meri kya wo to teri range se bhi bahar hi hai.... Tu chahe jo bhi kar le wo tere hath nahi aane waala....

Neelo ki baat sun ke mere ehem ko thees lagi sath hi mujhe uspe behad gussa bhi aane laga is se pehle ki main use kuch kehti koi peeche se aa ke mujhse takra gaya.... Gusse me maine bina dekh ke ek zordaar tamacha uske gaal pe raseed kar diya....

Rashi : Abe Kameene dikhayi nahi deta kya....? Khoobsurat aur haseen Ladki dekhi nahi ki kutte ki tarha apni laar tapkaate hue use cherne uske kareeb pahunch jaate ho.....

Phir jaise hi meri nazar takraane waale pe padi main use dekhti hi reh gayi.... Wo koi aur nahi balki Sultaan tha....

Sultaan : Tameez se Madam.... Mujhe dikhayi bhi deta hai aur sunayi bhi.... Wo to aap ladki ho warna jo baat aapne kahi aur sath hi jis hath se aapne mere gaal ki sikaayi ki agar aapki jagah ye kisi ladke ne kiya hota to ab tak uska hath uske kandhe se ukhad gaya hota.... Rahi baat Khoobsurati ki to Khoobsurat wo hota hai jiska dil Khoobsurat ho sath hi uski zubaan meethi ho..... Magar mujhe to aap me ye dono hi baaten nazar nahi aa rahi hain jis se ye lage ki aap zara si bhi Khoobsurat ho.... Rahi baat aap se takraane ki to main aapse takraaya nahi tha balki maine to aapko ghaayal hone se bachaya hai....

Phir wo mere hath me Season ball thama ke wahan se chala gaya.... aur main gusse me use jaate hue dekhti rahi.... Asal me hua ye the ki peeche Ground pe Cricket ka match ho rata tha.... Jisme Batsman ne zordaar shot maara Season ball seedhe meri taraf aa ke mere sar se takraane hi waala tha ki tabhi Sultaan jo wahan se guzar raha tha uski nazar us ball pe padi aur usne ball ko mere sar pe lagne se pehle hi Catch kar liya... Jisme uske hath se mere kandhe ko dhakka laga.... Magar mujhe is baat ki zara bhi fikr na thi ki pata karun ki wakayi me hua kya tha.... Na hi ye ki uska Shukriya ada karne ke bajaye maine na sirf use galat baaten kahi balki uske gaal pe thappad bhi raseed kar diya.... Uski baat sun ke mujhe apni galti ka ehsaas bhi nahi ho raha tha balki ulta mujhe uspe gussa aane laga... Aisa pehli baar hua tha ki kisi ne mujhe Rashi Singh ko sab ke saamne ulti seedhi baaten kahi.... Itni himmat aaj tak kisi ki nahi hui jitni usne ki.... Gusse se mera dimaag phatne laga.... Wahin mujhe gusse me dekh ke sab wahan se 9 2 11 ho gaye.....

Rashi : Tu ne mujhe sab ke saamne zaleel kar ke achha nahi kiya Sultaan.... Dekh ab main tere sath kya karti hoon.... Main teri wo haalat kar dungi ki tu us pal ko kosega jis pal tu ne sab ke saamne meri beizzati ki.... Tu yahan jeetne aaya hai na.... Magar main aisa hargiz nahi hone dungi.... Main teri har jeet ko teri haar me badal dungi.... Bas dekhta jaa ab tere sath kya hota hai... Just wait and watch....

Ye keh ke main gusse me tamtamati hui wahan se chal di....

Rashi ki baat sunte hi wahan maujood sabhi ko uspe gussa aane lagta hai... Gussa to badon ko bhi aata hai magar wo khamosh rehte hain..... Wahan Mehek gusse me Rashi pe cheekhte hue use thappad maarne ke liye uspe jhapat padti hai...

Mehek : Teri himmat kaise hui Sultaan pe hath uthane ki.... Thappad maara tha na tu ne Sultaan ko.... Ruk abhi batati hoon main tujhe....

Is se pehle ki Mehek Rashi ko thappad maarti Sultaan foran aage badh ke use rok leta hai.....

Sultaan : Mehek tu paagal to nahi ho gayi.... Ye kya karne jaa rahi hai.... Wo koi gair nahi balki behen hai teri....

Mehek gusse me : Behen hai to kya haan.... Ise to kya is duniya me aisa koi nahi jo mere rehte tumhe chu bhi sake aur isne tum pe hath uthaya..... Aaj main ise nahi chorne waali....

Sultaan : Wo sab beeti baaten thi.... Wo Rashi alag thi aur ye alag hai.... Tum agar us Rashi ko thappad maarti to shayad main kuch na kehta magar ise nahi.... Ye tumhari tarha meri dost hai.... Meri dost ko tum thappad maaro ye main kabhi nahi chahunga.... Please meri khatir shaant ho jaao....

Jahan Sultaan ki baat sun ke Mehek badi mushkil se khud ko kaabu karti hai.... Wahin Rashi aankhon me aansu liye Mehek se kehti hai....

Rashi : Mehek meri behen.... Bas ek thappad ki baat sun ke agar tumhe mujh pe itna gussa aa gaya to aage ki baat sun ke to tum yakeenan mera khoon hi kar dogi.... Sultaan ke liye mujhe wo bhi manzoor hai....

Rashi ki baat sun ke sab hairat se uski taraf dekhne lagte hain....

Dadi behad gusse me : Aisa kya kiya tha tu ne Mere Sultaan ke sath jo tu Mehek ka tera khoon tak karne ki baat keh rahi hai.... Bata mujhe kya kiya tha tu ne is masoom ke sath....

Sultaan : Nahi.... Bas bahot ho gaya.... Rashi tum aage kuch nahi kahogi.... Ye baat yahin khatam....

Sultaan ki baat sun ke sab ek sath kehte hain....

Nahi hum ko poori baat sun ni hai aisa kya kiya tha Rashi ne tumhare sath.... Jab tak Rashi poori baat bata nahi deti yahan se koi nahi hilega.....

Sultaan : Ji nahi ab Rashi aage ek lafz bhi nahi kahegi.... Main nahi chahta ki beeti baaten sun ke Rashi ko sab ke saamne sharminda hona pade..... Kyun ki ye wo Rashi nahi hai jisne mere sath Shimla me galat kiya tha balki ye to meri pyari si masoom si Dost hai.... Aur main nahi chaahta ki ateet me ki hui galtiyon ko sab ko bata ke meri dost ko zara si bhi sharmindagi ho....

Tabhi Rashi Sultaan ke kareeb jaa ke uski aankhon me ilteja bhari nazron se dekhte hue kehti hai....

Rashi : Sultaan Please mujhe poori baat bata lene do.... Isi bahane pichle 1 saal se mere dil pe jo bojh hai wo kuch halka ho jaayega.... Is bojh ko apne dil me dabaye main yun ghut ghut ke nahi jee sakti.... Main tumhare hath jodti hoon.... Mujhe is bojh se chutkaara paa lene do... Sab ko ye pata chalne do ki paison ke sath sath taaqat ke ghamand me insaan andha ho ke jo bhi karta hai wo Sirf aur sirf galat hi hota hai.... Please Sultaan.... Please....is baat ki ijazat de do... Please....

Sultaan : Nahi Rashi kabhi nahi.... Main ye nahi kar sakta.... Agar tum wo pehle waali Rashi hoti to main khud sab ko poori baat batata magar is waqt mere saamne jo Rashi khadi hai wo behad masoom aur Pyari hai.... Jo bahar se jitni Khoobsurat masoom aur pyari hai use se kayi zyada uska dil Khoobsurat aur masoom hai... Main apni masoom dost ko kaise sab ke saamne us galti ko kubool karne ki ijaazat de doon jo usne ki hi nahi....

Thakur Sahab : Kyun nahi de sakte ijazat....? Jab tum khud is baat ko maante ho ki jisne tumhare sath galat kiya hai wo Rashi ye nahi hai to ise apni baat keh ke apne dil ka bojh halka kar lene do.... Kyun ki meri beti Rashi ne jo bhi galat bartaav tumhare sath kiya hai uski utni jimmedaar wo nahi hai jitna uska pita hone ke naate main hoon..... Kyun ki mere laad pyar ki wajah se hi wo itna bigad gayi ki usne sab ke sath sath tumhare sath bhi galat kiya.... Use wo sab keh lene do jo wo kehna chahti hai.... Taaki sach jaan ne ke baad koi bhi baap apni beti se itna andha laad pyar nahi kare ki wo ladki masoom aur Nek logon ke sath galat bartaav karne lage....

Thakur Sahab ki baat sun ne ke baad Sultaan kuch keh hi nahi paata wo khamosh ho jaata hai.... Jise Rashi uski sehmati maan ke aage ki baat batane lagti hai....
 

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,877
18,020
189
Suppper update bro



Bhai mera ek guzarish.


Meri aashiqi tumse hi ka update dobhai bahut din ho gya hai. Update aaye.
 
  • Like
Reactions: Naik
Status
Not open for further replies.
Top