Pratap : "Tum shant ho jao, kuch nahi hoga Aarush ko, main hoon na." (uski awaaz mein himmat thi, lekin main jaanti thi wo bhi utna hi dar gaya tha jitna main)
Main ne Pratap ke saamne haath jod kar usse kehna shuru kar diya, meri aankhon se aansu beh rahe the, mera dil toot raha tha, meri saansein nahi aa rahi thin. Main uske paer par gir gayi, meri duniya bikhar chuki thi, bas ek aas thi ki wo mera beta wapas laaye.
Main : "Aap kuch bhi kijiye, bas mere Aarush ko mujhe lauta dijiye. Main aaj tak aapse kuch nahi maanga, aur nahi kabhi zid ki, par aaj main aapke saamne haath jodti hoon, use wapas laayiye na please..."
(main uske paer par girne lagi, mera pura jism kaanp raha tha, main apni izzat bhool kar bheek maang rahi thi)
Pratap : (mujhe utha kar, uski aankhen bhi bhar aayi thin) "Tum... tum rona band karo, hum abhi police station chalte hain, kuch nahi hoga use."
Udhar police station mein...
Aarush ko jail ke andar band kiya ja chuka tha. Wo unko samjha-samjha kar thak chuka tha, lekin wo log uski ek baat nahi sun rahe the. Uska sar abhi bhi dard kar raha tha, uski patti se khoon ruk gaya tha, lekin uski aankhon mein neend nahi thi, sirf chinta thi.
Uski khud ki parva nahi thi, usse toh bas meri chinta ho rahi thi. Unse jaate hue bhi meri hi chinta thi, usse baaki kisi cheez ka dar nahi tha. Wo soch raha tha — "Mom ko bahut tez bukhar hai, kya wo doctor ke paas gayi? Kya wo kuch kha rahi hai? Kya wo ro rahi hai?" Uska haath jail ki rod par tha, uski aankhen door kahin kho gayi thin, bas meri tasveer uski aankhon mein thi.
Kuch der baad hum sab police station pahunch gaye.
Andar jaate hi main idhar-udhar Aarush ko dhundhne lagi, meri aankhen tez chal rahi thin, mera dil dhak-dhak kar raha tha.
Jaise hi wo mujhe jail ke andar dikha — pareshan, baitha hua, uska sir jhuka hua tha, wo apni ungliyon se kuch soch raha tha — main bhag kar uske paas gayi.
Aarush ne mujhe dekha, uska chehra khila, wo khada ho gaya, aur mujhe salaakhon ke andar se apni baahon mein bhar liya. Uski baahon mein aate hi mujhe sukoon mila, jaise meri duniya wapas aa gayi.
Main kha thi, ye bhool kar sabke saamne usse gale laga kar rone lagi, meri awaaz poore police station mein goonj rahi thi, meri saansein nahi aa rahi thin, main phoot-phoot kar ro rahi thi. Aarush ki aankhen bhi nam thi, usne dheere se mere baalon ko sahlaya
Tabhi ek police lady guard wahan aayi aur mujhe Aarush se door karne lagi, lekin wahan ek senior lady inspector bhi thi, usne usse mana kar diya — "Thik hai, rahne do."
Us lady inspector ki aankhon mein hum dono ke liye ek alag hi nazar thi, jaise wo samajh rahi thi ki yeh maa-bete ka rishta kuch aur hi hai, kuch gehra hai.
Phir Pratap, Anjali, aur uska pati inspector se baat karne lage.
Pratap : (ghusse mein, )
"Aap ne mere bete ko kyun andar kiya? Galti to un gundo ki thi na? Unhone pehle hamla kiya, meri wife ki izzat lutne ki koshish ki, aur ulta aapne usse hi andar kar diya."
Fir wo lady inspector bhi wahan aayi aur Anjali se baat karke usse jo bhi hua, wo sab batane ke liye kaha. Wo baat kar rahe the, lekin main wahan nahi thi, aur unpar dhyan bhi nahi de rahi thi, main bas Aarush ka haath pakad kar wahan khadi thi, uski ungliyon ko apni ungliyon mein uljha kar. Uska haath garam tha, mera haath thanda, lekin dono ek doosre mein jud gaye the.
Aarush : (meri aankhon mein dekhte hue, pareshan) "Aap clinic gayi thi? Kitna bukhar hai aapko?"
Main : (bas na maine gardan hilayi, meri aankhen uski aankhon mein thi, main kuch bol nahi pa rahi thi)
Aarush : "Aap meri baat sunti kyun nahi? Ruko, main Anti se bolta hoon."
Main : (uska haath zor se pakad kar, rone lagi) "Nahi, jana mujhe kahi nahi. Kyun dikha rahe ho aise jaise kuch hua hi nahi ho? Kyun karte ho sab itna mere liye? Mar jane dete na mujhe, tumhe itni takleef toh nahi hoti."
(mera gala bhar raha tha, meri aankhen laal thin)
Aarush : (mere kareeb aa kar, dheemi awaaz mein, sirf mere kaan mein) "Aap kuch bhi mat bolo samjhi aap, aapke siwa main kuch bhi nahi hoon. Aur... aap meri sirf maa nahi ho, pata hai na?"
Main : (uski aankhon mein dekhte hue, rone lagi) "Tum ghar chalo na, main tumhe aise nahi dekh sakti, meri jaan nikal rahi hai."
Aarush : (muskurane ki koshish karte hue) "Kuch nahi hoga, main jaldi hi yahan se nikal jaunga. Jab hamne kuch galat nahi kiya, toh hamare saath bhi galat nahi hoga. Bas aap thoda patience rakhiye." (usne mera gaal sahla diya, uski ungliyan mere gaal par thi, meri aankhen band ho gayin)
Main kuch nahi boli, bas uska haath zor se dabaya aur uski aankhon mein dekh rahi thi. Wahan khadi lady inspector humein hi dekh rahi thi aur thodi-thodi muskura rahi thi, jaise wo keh rahi ho — "Yeh rishta kuch alag hai."
Wo log baat karke wapas hamare paas aa gaye.
Main : "Kya hua? Kab chhod rahe ho Aarush ko?"
Pratap : (sar jhuka kar) "Wo log nahin man rahe, aur jisne Aarush par kes kiya hai, wo abhi yahan aane wala hai thodi der baad."
Main : "Hum lawyer ke paas jayenge, mujhe bas mera Aarush wapas chahiye."
Pratap : (sans lete hue) "Dekhte hain."
Phir kuch der hum khade ho kar Aarush ke saath baat karne lage, halaanki police station mein yeh baat karne ki permission nahi hoti, lekin meri haalat dekh kar us lady inspector ne permission de di thi.
Main uski baahon ko choo rahi thi, uska chehra dekh rahi thi, uski aankhen dekh rahi thi, jaise main use apni aankhon mein bhar rahi hoon.
Kuch der baad wahan Rocky, Vikrant, aur 2 aadmi aur aa gaye.
Wo jaise hi andar aaye, Pratap sab ko dekh kar dang reh gaya. Uske chehre ka rang udd gaya, uski aankhen fati reh gayin. Usne pehchaan liya — yeh Taniya ka pariwar tha, yeh wo log the jiski wajah se uski zindagi mein itna kuch ho raha tha.
Inspector : "Excuse me, aap sab yahan aayenge."
Hum sab unke paas chale gaye. Vikrant inspector ke saamne chair par baitha tha, uski chaal mein ghamand tha, jaise wo janta hai ki wo kuch bhi kar sakta hai.
Pratap : (ghabra kar) "Rocky, tum? Aur Vikrant uncle aap? Matlab aapne Aarush par kes kiya? Aur woh hamla..."
Main :
"Pratap, aap sab ko jaante ho?"
Pratap : "Haan, ye Taniya ke chahe-bhai hain, aur ye unke bhai hain."
Main : "What?
Matlab yeh sab us Taniya ne..."
Vikrant : "Are nahi, humne kya kiya? Kiya toh tumhare bete ne hai."
Main : (ghusse mein chilate hue) "Nahi, yeh sab jhooth hai, aap sab ne milkar humein phansane ki koshish kar rahe ho."
Pratap : (Vikrant se) "Yeh sab kya hai uncle? Aapne aisa kyun kiya?"
Vikrant : "2 minute, sabhi bahar chalo."
Fir hum sab bahar chale gaye, police station se jaha koi police nahi thi, wahan Vikrant baat karne laga.
Vikrant : "Kuch din pehle, Pratap teri wife ne meri beti par sabke saamne chanta mara, aur tere bete ne toh haad hi kar di, mere bete ka sar hi fod diya."
Main : (uski baat kaat kar) "Haan, maara tha Aarush ne, lekin tumhare bete ne galti ki thi, girls ched raha tha. Aur maine kyun maara Taniya ko, yeh tumhe pata hoga hi."
Vikrant : "Galti kar di tum dono ne, pure sheher mein hamari badnaami ho gayi, yeh baat sab jagah phail gayi."
Pratap : "Dekhiye, main sab ki taraf se maafi maangta hoon, aap ye kes wapas le lijiye."
Vikrant : "Main ek baar bol diya, toh apne shabd wapas nahi leta. Tum chaaho toh lawyer le kar apne bete ko chhuda sakte ho, fir bhi main agar kes wapas lena chahoon toh wo bhi nahi hoga. Tum Taniya se pyaar karte ho isse mujhe ab koi problem nahi, lekin tumhari wife aur bete ne galat kiya."
Main : "Galat humne nahi, tumhare bachon ne kiya hai."
"Jhooth ho tum sab."
Vikrant : "Chalo, main chalta hoon, mujhe meeting mein jaana hai."
Phir Vikrant aur baaki log chale gaye, unki chaal mein wo ghamand tha, jaise wo janta hai ki wo jeet gaya.
unke jane ke bad main pratap ke pass gai or ak jor ka tamacha uske muh par mar diya, or uske ungli dikha kr
Main : (rone lagte hue) ye... Ye sab tumhri wajh se ho rha hai, tum meri zindgi se dur kyun nahi chale jate
Fir anjali ne mujhe piche kiya or andar le kar aai
Hum sab andar gaye, toh lady inspector hamare paas aayi.
Lady Inspector : (samjhaate hue) "Dekhiye, main jaanti hoon aap sach keh rahe hain, lekin wo aadami bada hai, uski kaafi upar tak pahunch hai, hum isme kuch nahi kar sakte. Haan, agar aapke paas iska koi proof hota, toh hum abhi Aarush ko chhod dete, aur ulta unpar kes ho jaati."
Main : "Ab hum kya karein?"
Inspector : "Aap abhi lawyer se hi baat kar lijiye."
Inspector se baat kar ke hum Aarush ke paas gaye, usse sab bata diya.
Aarush ki aankhon mein gussa tha, lekin wo control mein tha. Usne kaha — "Koi baat nahi, sach ki hamesha jeet hoti hai."
Phir police ne humein ghar jaane ke liye bol diya, magar main Aarush ko chhod kar ghar wapas jana nahi chahti thi. Jaise-taise kar ke wo log mujhe ghar lekar hi aa gaye, ghar mein bhi main shanti se nahi baith pa rahi thi, mera bukhar aur badh raha tha, main kisi ki baat nahi man rahi thi. Mera dimaag wahan tha, jahan mera Aarush tha.
Dekhte-dekhte raat ho gayi.
Anjali ne uske pati ko ghar bhej diya aur wo mere saath aaj ki raat yahi ruk gayi. Maine ek paani ka boond tak nahi piya tha, mujhe Aarush ki bahut yaad aa rahi thi, uska chehra, uski baatein, uski muskurahat, uska pyaar.
Phir main uth kar bedroom mein chali gayi, aur bed par baith kar rone lagi, apne aap se baatein karte hue.
"Ye kya ho raha hai sab hamare saath? Kyun meri life mein itni musibatein aa rahi hain? Kya bigada hai kisi ka humne? Aarush... mera pyaar... kyun dur hai wo mujhse? Main nahi reh sakti uske bina. Kal hi toh tumne mujhe propose kiya tha na
, aur aaj mujhse dur chale gaye. Kyun? Batao kyun?"
Main bas bedroom mein baith kar roye ja rahi thi, meri aankhen suji hui thin, mera gala baith gaya tha. Tabhi Anjali mere paas aa gayi.
Anjali : (mere paas baith kar) "Sweety, bas na, abhi kitna royegi? Dekh kya haal bana liya hai tune apna." (usne mera sar haath lagaya) "Bap re, tujhe kitna bukhar ho gaya hai."
Main : (ronte hue) "Hone do."
Anjali : (ghabra kar) "Tu samajhti kyun nahi? Doctor ke paas bhi nahi jaa rahi tu. Ruk, main tujhe medicine deti hoon."
Kuch der baad Anjali medicine le kar aayi aur mujhe khila di. Tabhi uski nazar mere gale mein pehne pendant par padi, usne usse haath mein liya — wo J aur A, humari pehchan.
Anjali : (hairan ho kar) "Woww, kitna pretty hai. Kab liya?"
Main : (ronte hue, pendant ko chhute hue) "Main nahi liya."
Anjali : (aur hairan) "To Pratap ne diya?"
Main : (sar jhuka kar) "Nahi na."
Anjali :
"Matlab... Aarush ne diya?"
Main : (pendant ko chumte hue, aankhon mein pyaar) "Haan, kal hi diya tha."
Anjali : (muskurate hue) "Bahut pyaara hai." (usne meri taraf dekha, jaise wo kuch samajh gayi ho, lekin kuch nahi boli)
Maine usse ring nahi dikhai, nahi toh wo galat samajhti, kyunki yeh rishta abhi duniya ke saamne nahi aa sakta tha.
Phir kuch der baad Anjali ne mujhse baat ki, mujhe shant kiya, aur khane ke liye bola, toh maine nahi kaha, mujhe nahi khana tha kuch bhi. Mera pet toh band ho chuka tha, bas Aarush ki yaad thi.
Raat ke 9 baj rahe the.
Hum teeno hall mein baithe the, bas kuch na kuch raasta nikal rahe the. Anjali soch rahi thi, Pratap gehri soch mein tha, aur main bas Aarush ko yaad kar rahi thi.
Udhar police station mein...
Aarush bahut pareshan ho gaya tha. Meri bahut chinta ho rahi thi usse, wo baar-baar jo bhi police wala dikhta, usse baat karne ki koshish karta. Phir wahan inspector aa kar chair par baith gaya.
Aarush : "Inspector, mujhe ek baar phone karne ko mil sakta hai? Bahut important hai."
Inspector : "Hero, tum yahan ghoomne nahi aaye ho, jao baitho chup-chaap."
Aarush : "Dekhiye, mujhe bas meri maa se ek baar baat karne dijiye, unko bahut tez bukhar hai, bas ek baar main unse baat kar loon."
Inspector : (sir hilate hue) "Sorry, Aarush Tripathi."
Aarush ki baat koi nahi sun raha tha, jabki uski koi galti bhi nahi thi. Aur upar se mera dard wo kaise seh leta? Usne jor se apna haath uss lohe ki gate par maara, toh wo gate hi hil gaya, wahan ke saare police wale uski taraf dekhne lage.
Ek pal ke liye toh sabhi dar gaye the, uski aankhon mein wo aag thi, wo khauff tha, jo sabko dara raha tha. Ledi inspector bas Aarush ko dekhe ja rahi thi, wo uthi aur Aarush ke paas gayi.
Lady Inspector : (narm awaaz mein) "Aarush, main samajh sakti hoon tumhari takleef, lekin hum kuch nahi kar sakte, we are sorry."
Aarush : (bina uski taraf dekhe) "Hmm."
Lady Inspector : (muskurate hue) "Bahut pyaar karte ho apni maa se... that's really nice."
Phir wo wahan se chali gayi, lekin uski aankhon mein Aarush ke liye ek alag hi nazar thi, jaise usne pehli baar kisi bete ko apni maa ke liye itna pagal dekha ho.
Hamare ghar...
Hum hall mein baithe the, sabhi soch rahe the. Main Aarush ko miss kar rahi thi, uska haath mera haath chhone ki tadap thi.
Main : (Anjali se) "Anju, kya hum abhi Aarush se mil kar aa sakte hain? Mujhe bahut bechaini si ho rahi hai."
Anjali : (mera haath pakad kar) "Janvi, main samajh sakti hoon, lekin hum abhi nahi ja sakte. Aur Aarush bhi thik hoga, OK?"
Pratap bas kuch gehri soch mein tha, achanak wo kuch soch kar utha.
Pratap : "Janvi, tum log hamari car se gaye the?"
Main : (hmm)
Pratap : "Aur yeh sab kahan hua? Matlab hamari car wahan khadi thi tab, ya fir tum log car se dur the?"
Main : (yaad karne ki koshish karte hue) "Car ke paas hi, car ke aage."
Pratap : "Wait! Agar jo main soch raha hoon, wo hua hai toh hum Aarush ko chhuda sakte hain."
Anjali : "Kaise?"
Pratap :"Darasal hamari car mein aage aur piche camera hai, toh shayad usmein kuch record hua ho."
Anjali : "Haan, lekin uske liye car ka chalu hona zaroori hota hai na? Janvi, kya us waqt car chalu thi?"
Main : (sir pakad kar) "Mujhe kuch bhi yaad nahi... bahut darr tha, bahut andhera tha."
Pratap : "Ruko, main abhi car mein dekh kar aata hoon."
Pratap car ke paas gaya, usne car se wo record nikal li, jo record ho chuka tha sab — Bhagwan ka lakh lakh shukriya ki uss waqt car chalu hi reh gayi thi. Wo recording mein saaf dikh raha tha — kaise un gundon ne hamla kiya, kaise unhone meri izzat lutne ki koshish ki, kaise Aarush ne apni jaan bachayi, aur kaise wo log humein maarna chahte the.
Pratap : "Janvi! Record mil gaya!"
Main achanak khadi ho gayi, meri aankhen khushi se bhar aayi, maine Anjali ko jor se gale laga liya, meri aankhon se khushi ke aansu behne lage. Mujhe pata tha is saboot se Aarush chhut hi jayega, mera beta wapas aa jayega.
Main : "Chalo, chalo! Jaldi! Hum abhi chalte hain Aarush ke paas."
Pratap : "Wait, Janvi, hum abhi nahi ja sakte, itni raat ko kuch nahi ho sakta. Hum kal subah hi nikalenge police station."
Main : "Iska matlab mera Aarush wapas aayega mere paas?"
Jaise-taise raat nikal gayi.
Raat ko kisiko bhi khana nahi khaya tha, aur main toh raat bhar soyi nahi thi, aur nahi Aarush udhar so paaya tha, mujhe bahut miss kiya hoga usne.
Main bas leti rahi, aankhen band karke, lekin neend nahi aayi, bas Aarush ki yaad thi, uska chehra tha, uski baatein thi.
Agli subah...
Main jaldi uth gayi thi — soyi hi nahi thi raat bhar, bas let gayi thi aankhen band karke. Kitchen mein ja kar sab khana banane lagi, mera bukhar abhi bhi tha, aur kal se kuch khaya-piya nahi tha, isliye bahut kamzor ho gayi thi main, fir bhi main ne sab khana bana liya. Aarush ne kuch nahi khaya hoga, isliye uske liye sab bana rahi thi, mujhe pata tha aaj woh zaroor ghar aayega. Uske favourite dishes, uski pasand ki coffee, sab kuch.
Anjali : (neend se uth kar, kitchen mein aate hue) "Are sweety, tu itni subah khana bana rahi hai?"
Main : (muskurate hue) "Hmm, Aarush aayega, usse bhookh lagi hogi na."
Anjali : (hastate hue) "Thik hai, main ready hoti hoon, fir hum chalte hain."
Thodi der baad main bhi nahakar ready ho gayi, aaj main ro nahi rahi thi, balki bahut khush thi, mere Aarush mere paas wapas aayega. Main bahut excited thi, jaise koi bachchi ho.
Phir hum sab police station ki taraf nikal gaye.
Udhar jaate hi main daud kar Aarush ke paas chali gayi, mujhe dekh kar wo khada ho gaya, bahut khush ho gaya, mujhe subah-subah wahan dekh kar uski aankhen chamak uthin.
Main : "Baby, tum... tum ab chhut jaoge, hum ghar wapas chale jayenge."
Aarush : (muskurate hue, meri aankhon mein dekhte hue) "Mom, mujhe pura yakeen tha, aap mujhe yahan 2 din bhi nahi rakh sakti."
Aarush aur main wahan haath mein haath daal kar baatein karne lage, aur udhar Pratap, Anjali, aur uska pati (jise Anjali ne bula liya tha) inspector ko saara saboot record dikha rahe the. Recording mein saaf dikh raha tha — Aarush par janleva hamla, aur mere upar buri niyat se aane walo ko.
Inspector : "Oh my God! Aap toh sahi keh rahe the, isme saaf-saaf dikh raha hai — Aarush par janleva hamla, aur aapki wife ke upar buri niyat dalne walo ko."
Anjali : (ghamand se) "Toh ab bolo inspector, kya abhi bhi hamare Aarush ki galti hai?"
Lady Inspector : (sir hilate hue) "No way."
Phir unhone Aarush ko jail se bahar nikala, ek-ek karke Aarush sabke gale mila, sabki aankhen bhar aayi thin.
Aarush : (Pratap se thoda ghusse mein) "Mujhe aap se baat karni hai, ghar ja kar."
Anjali : (mujhe Aarush ki taraf dhakelte hue) "Aarush, le isse aur sambhal, hamse toh isse nahi sambhala jaata. 2 din mein kya haal kar liya hai khud ka dekh."
Us waqt na main kuch boli, na Aarush, bas ek smile ki aur Aarush ne mujhe hug kar liya.
Ye tha mera sukoon, meri duniya, mera pyaar.
Phir main Aarush ke mathe par ek kiss kiya aur thoda ghusse mein inspector ki taraf dekha.
Main : (mazboot awaaz mein) "Inspector, abhi us MLA ko call lagakar yahan bulao."
Thodi der baar MLA bhi wahan aa gaya, Aarush ko bahar dekh kar wo thoda chok gaya, Rocky bhi tha uske saath, uske toh jaise totte udd gaye. Unke chehre ka rang safed pad gaya, wo ek doosre ko dekhne lage.
Main : "Inspector, mujhe iski poori family par kes karni hai. Inhone saath milkar mere bete aur mujhe par janleva hamla kiya, humein maarne ki koshish ki, aur meri izzat par haath daala."
Sabhi meri baat sun kar dang reh gaye, wo MLA bhi. Bas ek Aarush hi tha jo meri taraf dekh kar smile kar raha tha, jaise wo keh raha ho — "Yeh meri mom hai."
Vikrant : "Ye... yeh tum kya keh rahi ho?"
Inspector : "Sir, inke paas saboot hai."
Rocky : "Konsa saboot?"
Phir inspector ne unhe record dikhaya, usne Aarush ka wo aakhri scene bhi dekh liya, jisme Aarush ne us gunde ki kalai ukhaad di thi. Wo dono toh jaise chup hi ho gaye, aur Aarush ki taraf dekhne lage, bahut zyada ghabra gaye the wo dono. Unke haath kaanp rahe the, unki aankhen fati reh gayin.
Vikrant : "Kya hum akele mein baat kar sakte hain?"
Aarush : "Tujhe jo bolna hai, yahi bol. Zyada time nahi hai tere paas."
Vikrant : "Pratap, zara samjhao apne wife aur bete ko, meri poori family barbaad ho jayegi, meri kursi chali jayegi."
Pratap : "Aapne yeh karne se pehle socha tha meri family ka kya hoga? Main kuch nahi kar sakta, sorry."
Inspector : "Vikrant Sir, Rocky, you are under arrest."
Ye sunte hi dono ke hosh hi udd gaye, police unko jail ke andar le jaane lagi, wo humse maafi bhi maang rahe the, lekin hum ab unki ek nahi sun rahe the. Main unki taraf dekhte hue khadi thi, mere dil mein ek aag thi, lekin mera dimaag kuch aur soch raha tha.
Main : (achanak) "Ruko, inspector."
Wo sab ruk gaye aur wapas hamari taraf aa gaye, sabki nazar meri taraf thi, sab hairan the.
Main : "Suno, Vikrant. Main tum par kes nahi karti."
Ab ye sunte hi mere saath aaye sab ke hosh udd gaye, Aarush toh mujhe wahan se side mein lekar gaya.
Aarush : "Mom, yeh aap kya kar rahi ho? Unko unki saza milni chahiye."
Main : (uski aankhon mein dekhte hue, samjhaate hue) "Baby, isse kya hoga? Woh paisa wala bada aadmi hai, wo firse bahar aa jayega. Uske baad toh wo aur hamare piche pad jayenge, yeh silsila khatam hi nahi hoga. Main nahi chahti ki yeh kabhi dohraye, mujhe tumse dur hona nahi sehna."
Aarush : "But mom..."
Main : (uska haath daba kar) "Ek baar tum mujhse dur ho chuke ho, main ab aur yeh nahi seh sakti baby. Please samjhao jao, main tumhare siwa nahi jee sakti ab aur."
Aarush : "Amm... jaisa aapko thik lage."
Fir hum wapas unki taraf aa gaye.
Main : (Vikrant se) "Main bas ek baat ke liye kes nahi karungi — ek shart."
Vikrant : "Kya?"
Main :"Tum kabhi hamare piche nahi padoge. I mean, meri family se dur rahoge, hamesha-hamesha ke liye. Yeh sab yahan khatam kar doge aaj, jaise tum humein nahi jaante, aur hum tumhe nahi jaante."
Vikrant : (kuch soch kar, majboori mein) "Thik hai, mujhe manzoor hai."
Rocky : "Dad!"
Vikrant : "Tu chup kar."
Main : "Thik hai, yeh sab likh kar apni sign karke inspector ko do abhi."
Phir usne wo saari baatein likhi aur inspector ko kagaz de diya, Anjali ne uska ek photo apne phone mein kheech liya, taake koi dhoka na ho.
Sab ab mit chuka tha.
Main khush thi, meri duniya wapas aa gayi thi. Hum sab ghar ki taraf nikalne wale the, tabhi Aarush Rocky ke paas gaya aur uske kaan mein kuch bolne laga. Main ne dekha, Rocky ka chehra safed pad gaya, uske mathe par pasina aa gaya, wo darr gaya tha, bahut zyada. Lekin main ne kuch nahi kaha, mujhe pata tha mera beta kuch aisa keh raha hai jo uski jaan mein jaan daal dega.
Hum sab car mein baithe.
Anjali ka pati drive kar raha tha, Pratap uske side mein baitha tha, aur piche Anjali, main aur Aarush the. Main ne Aarush ka haath apne haath mein le liya, uska kandhe par sar rakha, aur aankhen band kar ke baith gayi. Bas Aarush ko feel kar rahi thi, use apne andar sama rahi thi, uski khushbu, uski garmi, uski dhadkan. Itne dino baad sukoon mil raha tha, jaise koi bhayanak sapna khatam ho gaya ho.
Main : (dheere se) "Baby, tum us Rocky se kya baat kar rahe the?"
Aarush : (muskurate hue) "Kuch nahi mom, bas aise hi. Aapka phone kahan hai?"
Main : "Ghar par bhool gayi."
Aarush : (Anjali se) "Anti, aapke phone mein Doctor Suman ka number hai?"
Anjali : "Doctor Suman? Hmm, hoga shayad, lo dekh lo."
Aarush ne Anjali se phone liya aur Suman ko call kar diya.
Dr. Suman : "Hello?"
Aarush : "Hi Anti, main Aarush bol raha hoon."
Dr. Suman : "Haan Aarush, kya baat hai? Aur yeh Anjali ke phone se kyun phone kar rahe ho?"
Aarush : "Anti, kya aap abhi hamare ghar aa sakti hain? Mom ko thoda zyada bukhar hai."
Dr. Suman : "Achha, thik hai, main bas kuch der mein aa jaungi. Waise kab se bukhar hai usse?"
Aarush : "I think 2 din se."
Dr. Suman : "Thik hai, main aa jaungi."
Main ne Aarush ko mana kiya, "Chhodo baby, mat bulao." Lekin usne meri baat nahi suni. Baaki sab bhi sun rahe the.
Anjali : (Aarush se) "Yeh achha kiya tune, varna ye madam toh hamari ek baat nahi sun rahi thi. Aur pata hai tujhe? Isne kal ek kuch nahi khaya, paani tak nahi piya."
Aarush : "Mom, yeh kya baat hui? Ghar chalo, main batata hoon." (uski awaaz mein gussa tha, lekin wo pyaar tha, chinta thi)
Main bas chup-chaap uske kandhe par sar rakh kar baith gayi, meri aankhen band thi, lekin mere honthon par muskaan thi. Kuch der mein hum sab ghar pahunch gaye the, aur main jaanti thi ki ab sab thik ho jayega, kyunki mera Aarush mere saath tha, mera pyaar, meri duniya, mera sab kuch.
---------------------------------------------------------------------------------
post achi lage to like jarur karna
Behtreen update !










Sabkuchh shanti se sulajh gaya ! Samasya aur bhi gambhir ho sakta tha ! Thank God the car was in running condition and everything got recorded !
Thanks a lot for keeping up your promise (of posting of this update today) and living up to your high standards of writing skills,despite your current ill health !
I wish you, your family and sincere friend Anjali, All the Best !
