• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Major Sahab

Abeeha

New Member
5
15
4
Raat ky 10 baj rahy thy or Saba or uska shouhar Ashraf dono apny
kaanoon pr haath rakh kr apny bedroom main bethy huy thy. kabhi
Ashraf apny sir ko bed pr rakhy hoy sarhaany ky neechy ghusaa daita or
kabhi bechain ho kr uth bethta or apny hathoon ki aik aik ungli apny
kaanon main ghusaa laita yahi haal Saba ka bhi tha. lakin in sub
koshishon ky bawjood un dono ko us cheez sy chutkara nahi mil paa rha
tha jiski wajah sy undono ki yeh halat ho rahi thi. ghussy ky maary
Ashraf ka bura haal ho rha tha lakin wo bari hi mushkil sy khud pr qaboo
kr paa rha tha.
Un dono noujwaan or newly wedded jory ki pareshaani ki wajah thi
buhat hi ouunchi or bhadi si music ki awaaz jo ky aik puraani si tape pr
chalti hoi casset sy aa rahi thi or yeh tape recorder unky bilkul saath
waly flat main rahny waly retired major Johar ky haan chal rha tha. lakin
Major sb apny hamsay ko pareshaani or apny ghar main chal rahy tape
recorder dono sy hi laa ilam thy. or uski wajah yeh thi ky music or tv
chalta hoa chor kr wo kub ky so chuky thy or unko ab koi ilam nahi tha ky unky irdgird kya ho rha hai. so gye huy thy ya shayad apni aadat ky
mutabiq sharab peety hoy behosh ho gya tha. khuch pata nahi tha. or
aisa yeh koi pahli baar nhi ho rha tha balky har hafty main do teen baar
aisa zaroor ho jaata tha jiski wajah sy tamam hamsaay un sy tang aa
chuky hoy thy. lakin major Johar ki ghuseeli tabiat or intehaai naa
munasib behavior ki wajah sy koi bhi unky saamny aany ki jurat nhi krta
tha.
Jub Ashraf sy bardasht na ho paya to us ny apny sir ky ooper rakha hoa
takya uthaaya or zoor sy usy door pary hoy sofy pr phainkty hoy utha or
bola, is buddhy ganwaar janwar ko aaj khuch sikhaa kr hi aana pary ga.
is kameeny ko to insaanoo ky beech main rahny ka koi saleeqa hi nahi
hai.
Jaisy hi Saba ny apny shouhar ko ghussy main dekha to jaldi sy uthi or
usy rokty hoy boli, nahi nahi aap nahi jaao, aap ghussy main ho aap
ruko main unko kah kr aati hoon. aisy aap ky jaany sy baat barh jaay gi.
apni biwi ky baar baar kahny pr Ashraf ruk gya wahin bedroom main hi
or phir saba ny bed pr para hoa gown apny night suit pr daala or uski
doori baandhti hoi bedroom sy bahir nikal aai. apny flat ka main gate
unlock kr ky wo bahir corridor main nikli to paanchwin manzil ka corridor
bilkul khaali tha. Saba apny flat ky darwazy sy nikli or bilkul saath ky
darwazy ki traf barhi. usky chehry pr bhi na chaahty hoy bhi ghussa or
intehaai nafrat thi.ku ky wo bhi us buddhy retired major ki tabiat sy achi
trah waqif thi.
Saba ny Major Johar ky darwazy pr jaa kar apni naazuk naazuk goori
goori or patli unglion ko morty hoy ahista ahista knock kya......aik
baar....... doosri baar....... teesri baar..........lakin har bar ki dastak ka
nateeja to aik hi nikal rha tha ky darwaza nhi khulna tha nahi khula. or
khulta bhi tab na jub koi andar sun rha hota to.jaisy jaisy Saba knock
kye jaa rahi thi waisy waisy hi uska ghussa bhi barhta jaa rha tha.
Saba ko apni unglion main thora pain mahsoos hoa to us ny apna haath poora khola or is baar ghussy ky saath poory haath ki madaad sy lakri
ky darwazy ko peetny lagi. itni zoor sy darwaza peetny ky baad Saba ny
idhar udhar dekha ku ky usy yaqeen tha ky wo kameena major nikly ya
na nikly lakin baqi ky 4 flats main sy koi na koi zaroor nikal aaye ga
bahir. Lakin Khuda ka shukar tha ky abhi tak koi nahi nikla tha waisy koi
nikal bhi aata to bhi usy koi parwah nhi thi.
Jub buhat zoor zoor sy do teen baar darwaza peeta gya to andar sharab
pee kar sooty huy Major sab ko shayad khuch khuch hosh aany laga us
ny pahly apny kaan kholy or jub usy yaqeen ho gya ky koi bahir unka
darwaaza torny ky darpy hai to bari hi mushkil sy ab unhon ny apni
aankhon ko khola jo ky nashy ki wajah sy dobara sy band hoi hoi jaa
rahi thin. apni aankhon ko jagaany ky baad ab baari thi sub sy mushkil
kaam ki yaani apny soy hoy wajood ko jagaany ki taky wo apny
darwaazy tak pohnch sakain.
Kisi na kisi trah sy khud ko hosh main laa kar Major Johar apny
darwaazy ki traf barha lakin is doraan bhi 3 baar darwaaza peet dya gya
tha. Jaisy hi Major ny darwaza khola to apni aankhon ky saamny aapny
hamsaay ki intehaai khoobsorat or jawan goori chitti biwi ko dekha kr
thora nasha or hawa ho gya or aankhain poori trah sy khul gain. or woh
sharab or neend ky asar sy surakh ho rahi apni aankhain khool kr apny
saamny khari khoobsorat Saba ko dekh kr bola,
haan kya baat hai? kyun mery ghar ka darwaza torny ko aai khari ho.
Saba ky chehry pr usy intehaai nafrat or ghussa to saaf nazar aarha tha
lakin wo bhala kisi ky ghussy ya nafrat ki parwah kyun krny laga.
Saba: koi shouq nahi hai mujhy youn aadhi raat ko tumhary ghar ka
darwaza peetny ka. yeh jo shour machaa rakah hai tum ny apny ghar
main isy band kr ky maro jaa kar taky koi or bhi sukoon sy so saky yaha
pr.
Major: hahahahaahahah................ acha acha kr daita hon band isy bhi....... lagta hai is shor main tery us thooku ka khara nahi hota jo us
ny tujha is waqt mery paas bheja hai isy band karwaany.
Saba ka chehra yeh baat sun kar ghussy sy surakh ho gya or uski
aankhon sy jaisy aag nikal rahi ho lakin wo sirf apny haathon ki
muthyaan bheench kr rah gai. is khabees insaan sy aisi hi batoon ki
umeed thi usy lakin wo koi tamasha khara nahi krna chahti thi.
Saba: band kro apni bakwaas or is shor ko bhi. tum sy ziada ghatya
insaan to main ny aaj tak nahi dekha jisy auron sy baat krny ki bhi
tameez nahi hai.
yeh kah kr Saba apny flat ki traf mur gai wo koi or baat na krna chahti
thi or na sun na chahti thi.
Major: hahahahahahaha............ or main ny bhi tumhary shouhar jaisy
ghatya aadmi nahi dekha kabhi jo aadhi raat ko apni biwi ko doosry
mard ky ghar bhejta hai............hahahahhahahha
Is baat ny aik baar phir Saba ky tan badan main aag laga di thi us ny
foran hi mur kr peechy dekha to Major ny hansty hoy usy aik aankh
maari or zoor sy apna darwaaza band kr lya.
Saba ki nazar apny flat ky saamny waly flat ki darwazy pr pari to dekha
ky waha pr Mansoor sb khary hain. wo bhi buhat hi bechaargi wali
nazroon sy uski traf dekh rahy thy. udhair umar ky Mansoor sb intehaai
shareef aadmi thy or apni family ky saath bilkul saamny rahty thy or
unky saath Ashraf or Saba ky achy marasm thy.
Saba ny Mansoor sb ko dekha to sharminda ho kr apni nazrain jhukaa
lin.
Mansoor: baiti tum is gandy insaan ky monh na laga kro. kitni baar tum
logo ko mana kya hai.
Saba ny sharmindi sy sir jhuka lya or jaisy uski aankhon sy aanu nikalny
ko hi thy lakin saath hi nafrat bhi andar hi andar or barah gai thi. lakin aik baat thi ky apny ghar ka darwaza band krny tak us bheyaanak music
ki awaaz bhi band ho chuki thi. apny ghar ka darwaza andar sy lock kr
ky Saba apny bedroom ki traf barhi yeh usy hi maloom tha ky is itny sy
kaam ky lye wo kis qadar zaleel ho kar aai hai us besharm buddhy ky
haathon. lakin usy pata tha ky usy yeh baat apny shouhar Ashraf ko
nahi batani hai balky us sy chupaani hai..................jaisy wo ab tak
chupaati aai hai............... apni tazleel or beizati ko ku ky woh nahi
chahti thi ky uska shouhar us sy lar pary jaa kr or phir woh kameena
shahks usky shouhar ko koi nuqsaan pohnchaay.
islye Saba ny fridge sy thanda paani nikaal kr peeya or phir bedroom
main jaa kr khamooshi sy bed pr apny shouhar ky saath lait gai.
Ashraf: koi badtameezi to nahi kr rha tha wo kameena???
Saba: nahi mazrat kr rha tha ky aankh lag gai thi is lye aisa ho gya.
Ashraf ny bhi ab karwat li or sony laga. Saba bhi karwat ly kar Ashraf ki
peeth sy chipak kr lait gai or us kameeny insaan ki batoon ko apny
dimaagh sy nikaalty hoy khud ko neend ki waadyoon main ly jaany ki
koshish krny lagi.
Saba or Ashraf ki shaadi ko abhi koi 6-7 maheeny hoy thy. Dono apni
shaadi sy behad khush thy or apni shaadi ky ibtedaai dinoon ko khoob
khoob enjoy kr rhy thy. Isi lye Ashraf jo ky pahly apny bary bhaai ky
saath rahta tha ny ab apny lye rahny ka alag bandobast kr lya tha. yeh
bandobast yahi tha ky ab Ashraf ny is building main aik flat ly lya tha or
ab unko qareeb aik maheena ho gya hua tha yaha shift huy. yeh aik 5
manzla building thi jiski her manzil pr 6 flat thy. inko aakhri manzil pr hi
jaga mil saki thi. is sy ooper khaali chath thi jiski seedhyaan bhi aik
corner sy jaati thin. tamam flats ky rooms ki settings aik jaisi hi thin.
main door sy enter hony ky baad aik sitting room tha jo ky guests ky
bethny or tv lounge ky lye istemaal hota tha. isi sitting room ky aik hissy
main chota sa kitchen tha. phir aik bedroom tha jisky saath hi attached
bathroom tha andar hi. Sitting room sy aik window bahir ki traf khulti thi
aik choti si balcony main. yeh balcony kapry waghaira sukhaany ky lye
or bethny ky lye istemaal hoti thi. Saba ky flat ki balcony Major sb ky flat qareeb 4 foot tak ho gi.
 
Top