- 401
- 821
- 94



















HotKumar office chale gye aur vijay collage ke liye nikal gya aur main jab kaam se free hue to dimag main aaya ki dekhu letter box main kaun letter daal raha hai.
to ghar ka main darwaja maine khula rakha aur nazar letter box par kar li
main karib 2 ghante dekhti rahi par koi nahi aaya main bahar bhi aai par sub janne wale he the ab in main kaun ho sakta hai pata nahi
jab kafi time ho gya to maine darwaja band kiya aur apne room main aa gai aur pata nahi mujhe kya hua maine almira se black saree nikali aur pehnne lagi aur jab tyar ho gai to khud he apne ap ko sise main dekhne lagi
ne ap ko dekh kar muskura padi
Jo bhi hai bol to such he raha hai ki main black main kisi apasra se kam nahi lagti .
Tabhi mujhe laga ki darwaja par koi hai to main jaldi se bahar aai aur darwaja khola to koi nahi tha
Idhar udhar dekha koi anjan dikhai nahi diya to maine darwaja band kiya aur andar aa kar phir se apne ap ko sise main dekhne lagi .
Par dil main wahi soch ki kaun hai ye kam se kam pata to hona chahiye kahi koi mera picha na kar raha hoon ya koi galat aadmi ho
Tension to thi par kar kya sakti thi kisi se is bare main bol bhi nahi sakti malum pada ki main he badnaam ho gai issi bajah se kumar bhi chup the .
Tabhi doorbell baji to ghadi dekhi to 2 baje the is time kaun ho sakta hai maine darwaja khola to koi nahi tha
Main mann main kaun ho sakta tabhi dimag main khyal aaya ki kahi letter box
To maine jaldi se usse khola to ha wahi thi wahi pink paper ya kahu love letter
Maine usse jaldi se nikala aur andar aa gai
Is tarah din main kaun ho sakta hai.
Kaun kar raha hai ye sub par maine letter nahi khola aur kumar ko call kari
Kumar- ha kya hua phir koi letter hai kya
Me-tumhe kaise pata kumar
Kumar-matlab such main phir se
Me- ha Kumar abhi abhi kisi ne doorbell ring ki aur letter chhod gya.
Kumar-kya likha hai
Me- maine check nahi kiya
Kumar-to padho na
Me- nahi ap aa kar padh lena meri himmat nahi ho rahi kholne ki
Kumar- isme himmat wali kya baat hai pata to pade ki aage kya likha hai apsara wali baat ke aage aur muskura pade
Me- kumar tumhe ye mazak lag raha hai aur mera dar ke maare bura haal hai
Kumar- mazak nahi lag raha priya bas ye soch raha hoon ki kya ye tumhara diwana hai ya koi sanki aadmi agar diwana hai to jab tum se jawab nahi milega toh ek do letter ke baad band ho jayega
Aur koi sanki pagal hoga to wo khatarnak hai .
Me- ab main kya batau
Kumar-tabhi to bol raha hoon ki padho kya likha hai
To maine letter khola
Kumar-padho priya
Me-
Hello priya
Kaisi ho mujhe galat mat samajhna main kuch bhi kabhi bhi tumhare liye galat nahi soch sakta bas dil ki baat bol deta hoon.
Janta hoon do baccho ki maa ho pyar karne wala pati hai acchi family hai to main usse kharab nahi kar sakta kyu ki main apni priya ko dukhi nahi dekh sakta .
Bas tum se dil ki baat kehne ka mann karta hai to bol deta hoon
Maine kaha tha na ki Black saree main kisi apsara se kam nahi lagti aur main padhte padhte ruk gai
Kumar- kya hua ruk kyu gai
Me- wo wo kumar
Kumar- kya hua priya kuch blackmail wali baat to nahi likhi
Me- nahi nahi wo main
Kumar-bolo na priya kya likha hai
Me- wo maine abhi black saree pehni hue hai aur letter main wahi likha hai ki main black saree main apsara lag rahi hu
Iska matlab koi hamare ghar ke andar dekh raha hai .
Kumar- kya bakwas kar rahi ho priya ghar main kaise koi dekh sakta hai tum bahar gai hogi kali saree pehn kar to dekha hoga
Me- nahi kumar main bahar nahi gai bas jab doorbell baji tabhi gai thi
Kumar- nahi andar koi nahi dekh sakta tum jarur bahar gai ho
Me- ha yaad aaya kumar ki doorbell se pehle mujhe laga tha ki darwaje par koi hai to gai thi dekhne aur uske 10 minute baat he doorbell baji thi .
Kumar- to ho gya na pehle kisi ne ya kahu issi aadmi ne pehle darwaje ko bajaya aur chala gya aur jab dobara gai to letter rakh gya.
Me- ha par kaun hai
Kumar- aur kuch likha hai kya
Me- ha
Kumar: to padho na
Me-
Priya ji ap such main bahut khubsurat hai bata nahi sakta jab se ap ko dekha hai diwana ho gya hai aur aj to black saree main dobara dekh liya
Ab baki baat baad main
Aap ka Aashiq
Me- bas
Kumar kuch nahi bole
Me- kya hua
Kumar-bas ye he soch raha hu ki ye aadmi hai kya na demand kar raha na kuch galat bol raha par hai kaun
Me- mujhe dar lag raha hai kumar kyu ki jo bhi hai aas pass ka he hai
Kumar- ha ye to hai ki aas pass ka he hai par kaun
Aur jawab hum dono ke pass nahi tha.
![]()










