• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Lockdown story

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
906
109
Doston mujhe nahi pata k ye afsana yahan post karna chahiye ya nahi lekin ye maine ek story challenge ke liye likha tha..aur mujhe usme 120 writers me se 5 number mila tha....
AP ke comments ka intezar rahega
Thank you.
 
Last edited:

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
906
109
Waba
وبا


“Rani balion ka gham na kar’ din bhale ho jawen to do ki jagha char gharwa dun ga”
Gulu band aur tike ki bari bhi aap yun hi kahe thay par tar tar girvi hua phir bik gya”’palat kar sona to chor jhota moti bh na ban paya”.
Are rani nokri hath se na jati to sone ka sog tujhe kahe lagne deta aur is nagore dees main kuch upper ho jawe hai te bakht se hi palte hai’ “do hazar se sadhe “barah hazar par kod lia sona ab bhook se ladein keh saj dhaj ke roven.
Bhok ka sunte hi bahu rani ne jhat se balian mian ji ke hath rakh di aur apni jan par to jhel leti magar ab to beta bhi tha teen sal ka’ is ke bhokon bilakne ke tasawar se hi dar gayi.
“Yeh roo siah bhok ne bhi hamara aangan hi tak rakha hai nachne ko”.
Badi maa ke kan pe jali padi to josh kha gayin.
Are bahu apne lekh kos’ rizaq to aurat ke muqadar ka mile hai aur jitni teri zuban “chale hai barkat ka farishta to koos’ pare hi rahe hove is ghar se ‘hum to aath soo main “ghar chalain they tujhe teen hajar main mout kyun dikhe hai , aur han mian jab paun ki juti ko sir per rakho to yahi hobe hai jo tere sath ho” Allah ki panah jo kabhi hamne apne khasam ke samne jeebh dant tale se nikali ho ‘ raha, mian ’ biwi ne baat keh li sun li chor di”…
magar badi maa to qissa hi aur tha’ kisi baat par atakti to kehne wale ko khob bajati ghar ghar ja kar dohrati’ apne ko kosti aur jo koi dusra mil jata to aik se do bhale. Aise main kon in ke muhn lag kar apne sir khak dalwye..
Mayke guzra bachpan aur bahu rani chupke se bawarchi khane khisak leen’ bartan manjhte shadi ke chao wale din yad kar kar roti rahi.. mina ji ki contract ki nokri main acha bura ghar chal raha tha keh sarkar ne bina pakka kiye rukhsat de di. Ab do char bacho ke tution main char afarad ka ghar aur kiraya kaise pura ho pata’ har charhte mahine kuch bechna parta.
Padosan ne ghar ke halat main jhank kar dekha to bahu se boli “behan do dus jamat pass ki wo to ghar ki hasti main bhool bhal gayi phir hath pair to salamat hain na tere’ kaho to badi kothi walon se kahun ke kam ka?”.
Urti urti baat bari maa tak pohnchi to dono jano ko bitha lia “main yun kahun ke mohtranio ke nikle pet aur badi kothi ke pichwade dafan hue paap tum ko maloom nahi kia jo tum padosan ki baton par kan dhare ho. Aur mian saaf bolo to ghar se wahi joro nikle hai jiska man mian se shant na ho”
Mian biwi ko to jaise sun kar saanp song gaya . bari maa jo badhi to padosan ke hasab nasab main dakhil ho gayi , sare agle pichlon ko kabar se nikal kar in ke woh karname bayan kie keh inke murdon ko ke farishte bhi heran sunte reh gaye keh yeh sab kab hua jo hum likhne se reh gaye…
Ek din paka teen din chala kar bhook nang ke din kat rahe the keh khof asman se utarne laga’ khabar phel rahi thi keh shahr bhar main waba chal nikli hai jo ek se dusre ko lag rahi hai.. bimar ka sans rukta tha is main ‘ aur bukhar se nidhal ho kar subah ka marez sham tak chal basta. Sarkar ne sab nafoos ko gharon main band kar ke galyon mein pehra khara kar dia, mian ji jo tution parhane jate the wo silsala bhi band ho gaya , ghar main kya jama to jo hafte bhar se upper chalta . jan ke lale par gaye . waba to shayad reham kha jati magar bhook to kaleeja sukhane lagi. Bacha doodh ko rota to pani gale main utarna parta.. bari maa ki pension ke 500 bhi khatam ho hue to pan aur afun ka nasha jisam torne laga..
“Dekho jo kismet ka likha ho is se nahi lara jata aur jaan bachane ko to khanzer bhi khane se mana nahi “
chupke se badi kothi walon ka dar khatka lo bahu “ na kuch banta dekh kar bari maa ne bahu ke kaan main sargoshii ki…
Badi kothi walon ki taraf pegham bheja to inhon ne kora tak na khola aur kehla dia keh khoof ke din jhat javen to chakar lagaiyo…
Sab ghar bade asmaan ki taraf munh kiye mout utarti dekhte rahe , ek roz masjid ke khadim ne speaker main bool sunaya keh union council ke daftar form jama ho rahe hain , mustehqen ko rashan mile ga ..
Mian ji apna shanakhti card le kar pohnche to sharayat ki parakh par na ehal bol diye gaye, keh in ke nam se qarz tha.. ghar ghar aa kar biwi ko bhijwa dia. Biwi lambi katar main khari hui to aurton ne chadar main lipti chuii muii se sawal jawab shuru kar diye, jab pata chala keh bari maa ki bahu hai keh
“ haye ye din bhi aane the” ..
Sham ko bahu rani form le kar gahr pohnchi ‘ ise pur kar ke tasdeeq ke wasty agle roz mian counselor ke ghar ke bahar lagi bheed main khak phankte rahe… agle roz biwi ne din union counsel bitaya to form jama hua.. char din mazeed intezar ke kate to rashan ki line main lagne ki bari aayi. Bahu rani rashan ka tora liye ghar pohnchi to bari maa ne ankhein jhuka lein.
Sham ko chulhe se dhuu utha to sab ki sans chali.. bahu ne sab ko khana parosa aur bari maa ki bhap ka intezam kia..
Bari maa bhap le lo aur hath dhoti raho ‘ ye mozi waba akasr budhon ko lag rahi hai’ “Allah tere dushmano ko bhi bachaye maa”.
Hamdardi ke bol se bari maa ka dil khon sa ho gaya.. bahu jali kati sun kar bhi maa sa pyar to karti thi..
Aaj subh sawere aangan aaya suraj kuch udas sa tha.. nashta banati bahu ko khansi si aa rahi thi ‘ geeli lakriyoun ka dhuuan charh raha hoga.. magar dopehar tak bukhar se chehra bhi surkh ho gaya.. mian ne ghor kia to iska dil jaise bethne sa laga.. ados pados se kaha suna to bole keh mian Allah kher kare bahar haal tum log bahu rani ko alehda kamre main kar do.. sab ghar wale bahu rani ko palang pe chor kar baramde main utar aaye… Ehtiat bhi Allah hi ka hukam hai..
Raat utri to bahu rani ke sans lambe hona shuru ho gaye…. Bari maa ne sanso ka shor suna to bhag kar kamre ki khirki ko ja lagi. Ae meri Rani! Ae teri jaan ka sadqa de dun ae meri beti..”mujhe kabar ki matti na mile jo kabhi tere bhale ke siwa bola ho.”
“ Meri maa mujhe rab maaf kare jo main tujhe kabhi apni maa ke siwa kabhi kuch samjha ho ‘ mera tha hi kon maa tum logon ke siwa.”
Bahu ne ukharte sanso se alfaz jama kiye to bari maa khirki mein aur mian sehn main phoot phoot kar ro diye…
Palang par pheli tangon ki pindli , pindli par charhne lagi’ zehan main apna waqt pura karne ke bad wapas lotne laga, bachpan ke jhoole’ sarson ke khet’ school ke chamakte din, jawani ka joban , shadi ki ratein’ aur mera beta
Haye mera beta…….
Haye mein itna dard tha keh dadi ne pote ko maa ke pass jane ke liye chor dia.. mian ji dore to inhone lapak kar maa ke pass hote bête ko goad main bhar lia, maa ka dil akhri dafa dharka, bête ki taraf utha kanpta hua hath dhak se palang par gir gaya
Larazte hont kuch der bad sakit ho gaye.
Darwaze ki taraf uthi khuli ankhein pathra gayin
Aur in se nikle ansoun ka akhri qatra gaal par dhalak gaya.

 

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
906
109


“ Mout aayi waba main to hamein nind aa gayi
Nikli badan se jaan to kanta nikal gaya “’

 
Last edited:
  • Wow
Reactions: Hayaan

rahul.das

乂D??️
523
585
108

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
45,794
157,687
304

Hello Everyone :hello:
We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC)..

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.

Regards :Xforum Staff.

 

Agasthya

𝕿𝖍𝖊 𝕯𝖊𝖛𝖎𝖑 𝖄𝖔𝖚 𝕯𝖔𝖓’𝖙 𝕶𝖓𝖔𝖜..
Staff member
Moderator
38,319
18,973
274
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
45,794
157,687
304
Annual Story Contest - XForum
Hello everyone!
We are thrilled to present the annual story contest of XForum!
"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Win cash prizes up to Rs 8500!"


Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 8000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 25th March ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th April 2025 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Important Links:
- Chit Chat Thread (For discussions)
- Review Thread (For reviews)
- Rules & Queries Thread (For contest details)
- Entry Thread (To submit your story)

Prizes
Position Rewards
Winner 3500 ₹ + image Award + 7000 Likes + 30-day Sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 2000 ₹ + image1 Award + 5000 Likes + 15-day Sticky Thread (Stories)
2nd Runner-Up 1000 ₹ + 3000 Likes + 7-day Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-Up 500 ₹ + 3000 Likes
Best Supporting Reader (Top 3) 500 ₹ (Each) + image2 Award + 1000 Likes
Reporting Plagiarized Stories imag3 200 Likes per valid report


Regards, XForum Staff
 
Top