• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Vega Star

Active Member
995
12,446
124
Update 259

Krupali ghar se nikal gayi, raste se hi usne Shiv ko phone lagaya. Shiv abhi abhi naha kar nikala tha.

Shiv : (Phone ko dekh kar ascharya se)Hello.

Krupali : Tum waha mere ghar gaye muje bataya bhi nahi. (Usne narajgi se kaha)

Shiv : Apke pitajine muje bulaya tha, kyu kya hua?

Krupali : Me tumse milne tumhare saher aayi thi, aur tum ho ki yaha ho hi nahi.

Shiv : Aap waha gayi thi?

Krupali : Aur nahi tho kya, muje tumse urgently milna tha, mebhagi bhagi yaha aayi aur tum ho ki bina bataya yaha se chale gaye, kam se kam bata to dena chahiye tha.

Shiv : Mujt thodi na pata tha ki aap waha aaogi, aur agar aa rahi thi to kam se kam muje phone to kar dena tha.

Krupali : Me tumhe surprise dena chahti thi, yaha to ulta me hi surprise ho gayi. Ab pitaji ko kya kaam aa pada do tumhe waha bulwaya tha, kya tumhe aur paiso ki jarurat padi thi? Agar aisa tha to muje kehte, mene kaha tha na tumhe. (Krupali to aise haq se daat rahi thi jaise apane premi ko daat rahi ho)

Shiv : Muje koi paiso ki jarurat nahi aa padi thi, unhone kisi aur kaam se muje bulwaya tha.

Krupali : Aisa kya kaam pad gaya?

Shiv : Abhi aap kaha ho, muje to trafic ki awaj aa rahi hai.

Krupali : Me wapas apane saher ja rahi hu, tumse milne aayi thi, tum mile nahi to kya karti, wapas ja rahi hu.

Shiv : Koi khas kaam tha?

Krupali : Kyu? Tumse milna koi khas kaam se kaam hai kya? Lagta hai tumhe milne ki koi khwahis nahi hai, hai na?

Shiv : Mene aisa to nahi kaha.

Krupali : (Thoda dhire se)Tum milo, tumhari to me khabar leti hu, abhi cab me hu, jyada bol nahi paungi warna abhi tumhari khabar le leti, (Thoda ruk kar)Kab tak ruknewale ho?

Shiv : Wo pata nahi hai, abhi filhal to yaha hu.

Krupali : Mera wait karna, me kaise bhi kar ke aaungi waha, muje bataye bagair waha se maat nikalna, samje?

Shiv : Ha thik hai, ghar pahuch kar call kar dena.

Krupali : Aisi juthi fikar maat dikhao, jab phone karna tha to kiya nahi aur ab juthi juthi fikar dikha rahe ho. (Me kuchh nahi bola)Achchha rakhti hu, par yaad rakhna, muje bataye bagair nikalna nahi, samje?

Shiv : Ha thik hai. (Unhone phone rakh diya, me soch me pad gaya ki wo mujse milne waha kyu pahuch gayi, mene kapade pehne aur niche chala gaya, niche aunty bethi mera hi intejar kar rahi thi)

Kamnadevi : Aa gaye tum?

Shiv : Ji badima. (Table par nasta na dekh kar)Aapne nasta kar liya?

Kamnadevi : Tuje khilaye bagair me kha leti bhala, wo to Nirmala ka phone aaya tha ki usko chai naste ke liye yahi bej dena. (Jor se aawaj lagate hue)Bahuuuu, o bahuuuu.

Padma : Ji maaji. (Ander se bahar aate hue)

Kamnadevi : Shivu aa gaya hai.

Padma : Ji maaji.

Kamnadevi : (Meri aur dekhte hue)Padma bhi tumhare sath aa gahi hai, tumhe raste na pata ho shayad. (Me kuchh nahi bola, mene Padmaji ko dekha to wo narajgi se muje dekh rahi thi, meri samaj me nahi aaya) Ab khade kya ho jao, Shivu ko bhukh lagi hogi.

Padma : Ji maaji. (Kehte hue wo bahar ki aur jane lagi, me bhi unke pichhe pichhe bahar ki aur nikal gaya, bahar ja kar wo ek car me driving seat par beth gayi, wo naraj thi aur gussa bhi kar rahi thi to mene pichhe bethna hi sahi samja to me pichhe ka darwaja khol kar beth gaya, tab bhi unhone muje gusse se dekha)

Shiv : (Meri samaj me nahi aaya) Ab kya kiya mene, aap gussa ho to me pichhe beth gaya.

Padma : Me tumhari driver nahi hu jo malik ki tarha pichhe beth gaye. (Unhone chidte hue kaha, me bahar nikala aur aage beth gaya, aur maan me gussa karne laga, in ladkio ko samajna namumkin hota hai, unhone car aage badha di) (Darasal Padma ko jana nahi tha, par uski saas ne jor de kar usko jane ke liye taiyar kiya tha to wo thodi gussa thi)(Wo car chala rahi thi, me sirf aage dekh raha tha, thodi hi duri par Beenaji ka ghar aa gaya, agar chal kar aate to dus minute me pahuch jate, par shayad wo chal kar aana nahi chahti thi, bade logo ki bade chonchle, yaha bhi me pehle aa chuka tha, ye haweli unke jitni badi to nahi thi par fir bhi kafi badi thi, shayad aas pass jagah thodi kaam thi, aur yaha waha jaisi security nahi thi. Unhone car khadi ki aur me bahar nikal hi raha tha ki Beenaji ki saas bahar aa gayi, meri aur aate hue)

Nirmaladevi : Aa gaye beta, (Me jhuk kar unke pair chhune laga to unhone muje rok diya aur muje gale laga liya)Mere pair nahi meri chhati se lag beta, jab gaya tha to kitna chhota tha, aur ab dekho, baho me sama bhi nahi raha hai. (Unki awaj se hi lag raha tha ki unka gala bhar aaya hai, me bas aise hi khada tha, thodi der baad unhone muje dekha to unki ankhe sach me bhig chuki thi, unka pyar dekh muje bhi kuchh hone laga)

Shiv : Aunty.

Nirmaladevi : Aunty nahi beta, chachi hu teri, bhale tere liye me ajnabi sahi, par mera to apana hai tu. (Unhone fir muje gale lagaliya to mene bhi unhe apani baho me bhara, meri najar Padmaji par padi to wo muje gusse se dekh rahi thi, meri samaj me nahi aaya ki wo muje kyu aise dekh rahi hai. Padma: (maan me gussa kar rahi thi) khud ko aise dikha raha hai jaise sach me inka khoya hua bhatija ho, wo to bholi hai par ye ek number ka chunt hai, kaise khud ko wahi dikha raha hai, me sab janti hu ki ye sabko dokha de raha hai. Muje kuchh kuchh to samaj me aa raha hai ki pitaji kya kar rahe hai, aur isko bhi kuchh de rahe honge ye sab karne ke liye.

Nirmaladevi : (Shiv ko )Aa ander aa (Padma ko)Aur tu kya khadi hai waha, ye ajnabi hai yaha se tera to apana ghar hai, kya tuje bhi nimantran dena padega?

Padma : (Apane chehre par hasi laane ka prayas karte hue)Nahi chachiji, me to bas.

Nirmaladevi : Aao ander chalo dono. (wo Shiv ko apane sath liye hi ander gayi, Padma pichhe pichhe ander gayi) Bahuuuuuu. Shivu aa gaya hai. (Shiv ko) aa beta(Wo usko sidha dinning table par hi le gayi)Tuje bhukh lagi hogi, meri wajah se tu late ho gaya.

Shiv : Nahi aisi koi baat nahi hai. (ek naukarani apane hath me kuchh khane ka saman liya waha aayi aur pichhe apane hath me tray liye Beenamadam bhi aayi, unke hath me tray me dudh ka bada glass bhi rakkha hua tha, hamari nigahe mili to do pal hum dono ek dusare ko dekhte rahe, par turant hi unhone najare ghuma li aur chalte hue table ke pass pahuchi, mere samne unhone dudh ka glass rakhdiya aur parathe bhi the. (Padma sab ascharya se dekh rahi thi, wo naukrani apane sath chai ka sab le kar aayi, aur Beena, Chachi aur uske samne chai rakhne lagi)

Nirmaladevi : Beena ne bataya ki tu chai nahi pita. (wo muskurate hue boli)(Padma ne Beena ko dekha to dono ki najre mili, par turant Beena ne najare hata li jaise kaam me ho aur sab nasta sabke samne karne lagi)Sab isine banaya hai, subah se kitchen me lagi hui hai.

Padma : Lagta hai kafi kuchh janti hai iske bare me. (Beena ander se thodi hil gayi par khud ko sambhalte hue)

Beena : Roz hamare waha aata hai ye, Juhi aur Ye dono sath me hi to practice karte hai, to sab pata hai. (Padma kuchh nahi boli aur chai nasta karne lagi, usko bhi bhukh lagi thi, Nirmala Shiv ke pass me hi bethi thi)

Nirmaladevi : Paratho ke sath makkhan nahi diya isko. (apani bahu ko daat te hue wo boli)

Beena : Usko aise hi pasand hai, dudh me mene badam pista aur sab dala hua hai. (Beena jaise apani saas ko safayi de rahi thi)

Nirmaladevi : Achchha achchha. (Shiv ko)Beta sharmana nahi, ye bhi tera hi ghar hai. (Mene muskurate hue unhe dekha, hum sab ne nasta kiya, parathe waqayi swadist the, uske baad hum sab aage sofe par beth gaye, me aur aunty ek sofe par, Beenaji ek sofe par aur Padmaji dusare sofe par.)Badebhaisahab kuchh bhi kahe par mere dil ne to maan liya hai ki tu hi hamara Shivans hai, sach kehti hu, jab pehli bar tuje dekha tha tabhi hi laga tha ki tu mera apana hai. (wo mera shir aise sehla rahi thi ki mere baal tak bigad rahe the, wo fir apani unglio se hi usko sawarti thi) Pata nahi wo konsa mahus din tha jis din tu hamse alag ho gaya, pata nahi kaise kaise din dekhe honge tune, soch kar hi ruh kaanp jati hai, uparwale ka laakh lakh sukar hai ki tu sahi salamat hai. (Unki ankhe fir bhig gayi, unhone apani ankhe pochhi) Ab tu aa gaya hai to sabse pehle Chandrika se mil aana, wo to bechari bawali ho gayi hai, na khud ka hos raha na duniya ka. (Unki ankhe fir chhalak aayi) (Mera bhi maan kar raha tha ki ek baar unhe milne jau, par kaise jau samaj me nahi aa raha tha, agar ye baat tay hoti ki me hi unka beta hu to haq se sab se pehle me wo hi kaam karta, par yaha to aisa kuchh pakka hai hi nahi, sab apane apane tark laga rahe hai, par fir bhi muje kaise bhi kar ke unhe milna hai kyu ki mera dil bhi ab unhe milne ko tadap raha hai, par me ek dum se koi khatara nahi lena chahta, muje soch samaj kar hi kadam badhana hoga, me nahi chahta ki Udesinh ko me koi mauka du, abhi muje unke hisab se hi chala hoga, mere liye itna hi kaafi hai ki wo dono sahi salamat hai, me nahi chahta ki meri wajah se unke upar ko khatra aaye) Ek taraf to dil chahta hi ki turant unse mile par dusari aur ye bhi dar laga rehta hai ki waha jayega to Sukhdevbhai sahab se mila padega aur aisa hua to fir wahi sab hoga, muje bhi badebhai sahab ki baat me sachchai najar aati hai, ye sab usi ki wajah se hua hai, us waqt agar sabne iska virodh kiya hota to aisa kuchh hota hai nahi.

Shiv : Kya hua tha, kis baat ka virodh kiya hota?

Nirmaladevi : Chhodna wo sab purani baate, jo hona tha wo ho gaya, koi tal nahi paya, par ab tumhe unlogo se dur hi rehna chahiye, bhaisahab koi na koi rasta jarur nikalenge, jaha itne saal bit gaye waha ye kuchh din bhi bit jayenge.

Padma : Aap kis bare me baat kar rahi ho chachiji, aisa kya hua tha us samay.

Nirmaladevi : Chhodna bahu, ab purani bato ko yaad kar ke kya fayeda, jo galti ho gayi so ho gayi, wo baate na maan ne ka natija Yogendra bhi bhog rahai hai, Chandrika bhi, ye bhi aur hum sab bhi. Ab un baato ko wahi dafan kar diya jaye wahi achchha hai. Mera beta sahi salamat laut aaya hai ye kya kaam hai. (Beena ke maan me bhi kayi sawal the aur Padma ke maan me bhi par wo janti thi ki unhe abhi uttar nahi milega to wo dono kuchh nahi boli) In sab bato ko chhodo aur mere bete ko aaram karne do, ja beta aaram karna hai to.

Shiv : Abhi kya aaram karna, waise bhi me din me aaram nahi karta, yaha kuchh karne ko hota nahi isliye muje jabardasti aaram karna padta hai.

Nirmaladevi : Agar aisa hai to jao khet ghum aao, ya fir gaav ghum aao. Khane ke waqt par aa jana wapas.

Padma : Gaav me ghumne jaise hai kya, aur khet me bhi ja ke kya karna?

Nirmaladevi : Hum yahi hai to hame lagta hai ki waha ghumne me kya hai, par ye dono to bahar hi rehte hai, inhe achchha lagega, agar tum nahi jana chahti to (Beena se)Tum le jao isko, waise bhi isko car chalana aata hi hai.

Beena : (Waise bhi Beena ko Shiv se baat karni thi to wo turant taiyar ho gayi)Ji maaji, me chalijati hu.

Padma : (Wo maan me gusaa hone lagi, ye kaha fas gayi me, khud ko sambhalte hue wo boli)Me bhi akele kya karungi, me bhi chalti hu. (Beena ko achchha nahi laga par wo kya kehti, so tino waha se nikal gaye, Shiv ne car chala li aur wo dono pichhe beth gayi, car chal padi, Padma ne Beena ke fule hue pet ko dekh kar kaha)Kab ki date di hai doctor ne.

Beena : (Apane pet par hath rakhte hue)Tin mahine baad ki date hai.

Padma : Aapko dekh kar lagta hai ki itna intejar nahi karna padega, ye jald hi aapki god me hoga.

Beena : (Ascharya se)Hoga se kya matlab hai aapka, hogi bhi ho sakti hai.

Padma : Aksar gavo me ye sab baate hoti rehti hai, log garbhvati strio ko dekh kar hi samaj jate hai ki ladka hoga ki ladki.

Beena : Achchha, wo kaise (Uski utsukta badh rahi thi)

Padma : Agar garbhvati stri ka pet bahot bada nahi hota aur uska sharir bhi agar jyada masal nahi hota to samajme aa jata hai ki ladka hi hai, aur apke lakshan bhi wahi issara karte hai.

Beena : Lagta hai tumhe in sab ki bahot knowledge hai.

Padma : Ab kya kahu aapse, jo bin bachcho ki hoti hai wahi ye sab gyan batorti rehti hai, mera bhagya apke jitna achchha to hai nahi to bas idhar udhar se gyan hi bator leti hu. (Uske chehre par pida ubhar aayi, Beena ne uska hath pakad liya)

Beena : Kyu fikar karti ho aap, aapko bhi ye sukh milega, sab achchha ho jayega. (Mere kaan me unki bate pad rahi thi par me car chalne me hi dhyan laga raha tha, aur waise bhi muje unki bato me kya padna, mene raste ke liye Beenamadam se puchha to unhone muje rasta dikhaya, hum sab khet par pahuch gaye, aaj waha koi nahi tha, matlab ki na Pruthvi tha na Udesinh, sab apane apane kaam me lage hue the, car ko aate dekh Sukhi unki aur dekhne lagi, wo wahi bahar kaam kar rahi thi, jaise hi uski najar pichhe bethi aurto par padi wo turant waha pahuch gayi)

Sukhi : Are chhoti malkin aap log?

Padma : Kya chachi, kitni baar kaha hai ki muje chhoti malkin maat bualiye. (Usne mithi narjgi se kaha)

Sukhi : Ab chhoti malkin ko chhoti malkin na kahu to aur kya kahu, are aaj to do do malkin sath me aayi hai. (wo khus hote hue boli)

Beena : Inko aap jo kehna hai kaho, me kaha se aapki chhoti malkin ho gayi?

Sukhi : Aap jo bhi kaho par aap bhi to malik ki bahu ho to chhoti malkin hi hui, aaiye aaj is taraf kaise aana hua?

Padma : Socha ki aan khet hi ghum aaye, (Shiv bhi car se bahar aa chuka tha aur aas pass dekh raha tha)

Sukhi : Aap bethiye me pani lati hu. (Kehte hue wo jaldi se ander chali gayi, hum sab wahi lagi kurshio par beth gaye, Beena Shiv ko dekh rahi thi)

Beena : Kitna achchha lagta hai na yaha? Tumhe kaisa laga Shiv?

Shiv : Achchhi jagah hai? Jab bhi aata hu achchha lagta hai. (Tabhi Sukhi hath me pani liye waha aa gayi aur sab ko diya)

Padma : Kya chal raha hai chachi? Sab thik hai na? (Generally puchha)

Sukhi : Ab hamara kya hai, bas kat rahe hai din. (Wo thodi udas dikh rahi thi)

Padma : Kya hua chachi, koi paresani hai kya?

Sukhi : Nahi, aisi koi baat nahi hai, bas chalta rehta hai, aap bataiye kya banau aap ke liye?

Beena : Abhi kuchh banane ki jarurat nahi hai, hum abhi khana kha kar hi nikale hai, bas tahelne aaye the, aur kuchh nahi.

Sukhi : Aaj to badal bhi nahi hai, aisi dhup me aap kaha yaha tehlne aayi, aaram se ghar me hi rehti, aisi halat me jyada ghumna achchhi baat nahi hai. (Uske pet ko dekhte hue kaha)

Beena : Ghar me betha rehna bhi achchhi baat nahi hoti, thoda thoda ghum fir na chahiye, sehat achchhi rehti hai, kya aap in halat me ghar me bethi rehti thi?

Sukhi : hamara kya hai, hume to aadat hai, jab Sarvan mere pet me tha tab bhi me kheto me kaam karne aati thi.

Beena : to fir, ghumna firna sehat ke liye achchha hota hai, aaj to hum isse ghumane lagye hai. (Shiv ki aur issara karte hue)

Sukhi : Ek baat puchhu malkin, ye kon hai, kayi baar yaha aaye hai, surat bhi kuchh jani pehchani lagti hai, bade malik se to puchh nahi sakti thi.

Beena : Ye Yogendrachacha ka ladka hai. (Beena ne janbuj kar ye bataya)

Sukhi : Kya? Tabhi me kahu ki ye itne janepehchane kyu lag rahe hai, par unke bare me to kuchh aur hi suna tha humne. Chalo achchha hai, uparwale ka lakh lakh sukar hai ki ye sahi salamat hai (Ab wo meri aur gaur se dekh rahi thi) Sach me ye unki hi chhabi hai. (Padma bhi Sukhi ko dekh rahi thi, usko samaj nahi aa raha tha ki akhir sach kya hai, uska pati kehta hai ki ye wo nahi hai, aur jisko dekho wo ye kehta hai ki ye wahi hai, uska dimag confuse ho raha tha)

Padma : Ek baat batau chachi, abhi is baat ki pusti nahi hai ki ye wahi hai, sab ko bas lagta hai ki ye wahi hai.

Sukhi : Ab me kya janu ye sab, par mene chhote malik ko dekha hua hai, ab to kafi baras ho gaye unhe dekhe, par fir bhi muje unka chhehra achchhe se yaad hai, wo bahot saral swabhav ke the, wo aksar yaha sab ki madad kiya karte the, unhone hamari bhi bahot madad ki thi, Sarvan ke paida hone me dikkat ho rahi thi, mere bachne ki bhi ummid nahi thi, unhone hi pass ke saher ke aspatal me muje bharti karwaya tha aur humse paise bhi nahi liye the, aise devtasaman aadmi ka chehra kaise bhul sakti hu me. Inhe dekh kar sach me unki yaad taja ho jati hai. Muje aaj bhi yaad hai, kaise inka(shiv ki aur issara kar ke) janam din manaya jata tha, pure gaav ko nauta diya jata tha. (Unki baat sun kar muje bahot sukun mehsus ho raha tha) Par ek baat samaj nahi aayi, ye to bademalik ke sath aaye the, aur humne to kuchh aur hi suna tha.

Padma : Kya suna tha?

Sukhi : ab me kya kahu chhotimalkin, humne to jo suna wahi mana tha, par ye to bade malik ke sath hi aaye the aur jab aap hi keh rahi hai ki ye wo hai to matalb bade malik bhi jante honge, lagta hai sab juthi afwahe thi. Bhale hi laakh burayi sahi par wo aisa to nahi kar sakte the. (Uske muh se kya nikal gaya ye soch kar wo khud dar gayi, Padma ki aur dekh kar)Maaf karna chhoti maalkin, muh se nikal gaya. (Padma samaj rahi thi ki wo uske sasur aur pati se darti hai so apane muh se bure insan nikal jane se wo dar rahi thi ki kahi unhe na pata chal jaye, par Padma ke liye ye koi nayi baat nahi thi, wo janti thi ki uske pati kya gul khilate hai, Padma ne kuchh nahi kaha bas fiki si muskan di)(Sukhi baat badalte hue)Aap log agar ghumna chahte hai to ghum aaiye, me Sarvan ko bhejti hu sath me, agar kuchh fal val todne ho to wo tod dega.

Padma : Uski koi jarurat nahi hai, waise bhi yaha gumne jeisa kya hai, mere liye to koi nayi baat nahi hai.

Beena : Shiv aaya hai to usko ghuma lo, me aisi halat me aise ubadkhabad rasto par nahi ja sakti warna me hi chali jati. (Beena ne asamrthta dikhayi)

Shiv : Nahi koi baat nahi, hum yahi beth te hai.

Beena : Ab aye hi ho to ghum lo, tumhe to koi dikkat nahi hai na Padma?

Padma : Koi baat nahi, le jati hu. (Wo thoda muh bigadte hue khadi ho gayi, mera koi maan nahi tha unke sath jane ka par ab wo khadi ho gayi thi to me bhi khada ho gaya)

Beena : Tum dono ja aao, tab tak me kuch banva deti hu, aaoge to bhukh lag jayegi. (Hume bolne jaisa kuchh tha nahi to hum dono nikal gaye, wo aage aage chal rahi thi aur me unke pichhe pichhe, kheto ke kinare bani pagdandi pe chalte hue hum aage badhne lage, dono hi chup the, thodi dur aage jane ke baad wo boli)

Padma : Tum yaha kyu aaye ho?

Shiv : (Muje unki baat samaj nahi aayi)Aap kehna kya chahti hai?

Padma : Itne bhole nahi ho jo meri baat samaj na sako, muje pata hai ki tum wo nahi ho jo sab samaj rahe hai, pitaji ne tumhe kisi kaam ke liye yaha bulwaya hai.

Shiv : Agar janti hai to fir puchh kyu rahi hai.

Padma : Me jan na chahti hu ki akhir tumhe yaha chacha ka beta banakar kyu bulwaya gaya hai?

Shiv : Abhi to apane kaha ki aap janti hai, fir kyu puchh rahi hai?

Padma : Jyada hoshiyar ban ne ki koshis mat karo, sidhe sidhe batao ki yaha kyu aaye ho? Paiso ke liye hi na?

Shiv : apko kya lagta hai?

Padma : Sidhi baat ka sidha jawab dena nahi aata tumhe.

Shiv : Aur apko kyu lagta hai ki muje kyu jawab dena chahiye?

Padma : (Uske aise jawab se Padma ko gussa aa raha tha)Pata nahi kyu pitaji ne tumhe yaha bulwaya hai, ek baat apane dimag me achchhe se bitha lo, jaisa tumhe dikh raha hai waisa sab hai nahi.

Shiv : Kehna kya chahti hai aap?

Padma : Ye tumhe sab pata chal jayega, tumhe lag raha hoga ki yaha sab sahi hai, jis din sab samaj me aayega tab pata chalega tumhe.

Shiv : Kya pata chalega? (Hum waha pahuche waha kuchh log kaam kar rahe the, wo uth kar unhe pranam karne lage par wo bina koi jawab diye aage chalti rahi, me bhi unke pichhe chlata raha, waha aage kuchh paido ki katar lagi hui thi, hum unke niche hote hue aage badhne lage, hamari bat kuchh samay ke liye band ho gayi)

Padma : Yaha jaha tak tumhari najar ja rahi hai wo sab hamari jamin hai, Tum jante nahi mere pati ko, ye jo harkate tum kar rahe ho na, agar unhe pata chal gaya to kat ke kaha dafna denge pata hi nahi chalega tumhe.

Shiv : Agar itni hi jamine hai to fir aur jamine kyu chahiye apke pitaji ko? Aur aisi kya harkat kar di mene jo aap muje ye dhamki de rahi hai. (Muje pata tha ki wo kis bare me baat kar rahi hai par fir bhi me anjan hi raha, unhone palat kar muje ghur kar dekha, me bas muskuraya, wo aur gusse se muje dekhne lagi)

Padma : Abhi thik se bade bhi nahi hue tum, kyu apani jaan gavana chahte ho?

Shiv : Par mene aisa kiya kya hai wo to bataiye, aisi kya harkat kar di mene jo apani jaan gavani pade.

Padma : Tumhe pata hai ki me kya baat kar rahi hu, aur jitne bhole tum dikhte ho utne bhole tum ho nahi, me sab samaj rahi hu.

Shiv : Thank you. (Mene muskurate hue kaha to wo fir ruki aur muje dekhne lagi)

Padma : Kis baat ka thank you?

Shiv : Apne kaha na ki me bhola dikhta hau, to prasansa ke liye thank you.

Padma : Shayad tumhe samaj me nahi aa raha, ye sab hamara ilaka hai, yaha ke log bhi hamare hai, yaha se gayab hue to koi puchhne bhi nahi aayega, yaha tak ki police aur prasasan bhi nahi. To apani had me raha karo, warna binawajah mare jaoge.

Shiv : Fir se thank you. (wo fir muje ghur ke dekhne lagi) Ye thank you iss liye ki aapko meri fikar hai.

Padma : Muje koi fikar vikar nahi hai, me bas tumhe cheta rahi hu. (Wo bolte bolte chal rahi thi ki unka pair ek chhote patthar par pada to unka balance bigad gaya aur wo girne ko hui hi thi ki mene turant unhe pakad liya, par sochne ka samay jyada tha nahi aur mene pichhe se hath aage kiya tha to mera hath unke bade stan par chala gaya aur unka ek stan mere panjhe me sama gaya, mene ye janbuj kar to kiya nahi tha, par durbhagya mera ki ye sab ho gaya, wo kathor stan mere panjhe me the, wo sambhal kar khadi hui aur gusse se boli) Tumhari himmat kaise hui muje aise chhune ki?

Shiv : Sorry, mene jan buj ke nahi chhua tha, apko bachane ke liye pakada tha aapko.

Padma : Tum kya samajte ho? Me samajti nahi kya, tum janbuj ke ye sab kar rahe ho, chhota bachcha samaj ke samja rahi hu to shayad tumhari samaj me nahi aa raha, agar mene Pruthvi ko batadiya kit tum muje kis tarha dekhte ho to tumhari kya halat hogi wo tum soch bhi nahi sakte.

Shiv : Mene kaha na ki mene janbuj kar nahi kiya, aur mene apko un najaro se dekha hi nahi tha, aur na hi abhi mera koi irada tha apko chhune ka, aage se aap girnewali hongi to me kuchh nahi karunga chahe aap gir kyu na jao. (Mene bhi halke gusse se kaha, to wo muje gusse se dekhne lagi pa fir shant ho gayi, aur aage chalne lagi, wo kuchh bol nahi rahi thi) Agar apko lagta hai ki mene ye janbuj kar kiya hai to apane pati ko bata do, aur mene aapko janbuj kar dekha bhi nahi tha, bas najar chali gayi thi. (wo ruk gayi aur mud kar meri aur dekha, kuchh pal wo muje dekhti rahi, fir aage badhne lagi)

Padma : Pata nahi in kheto me dekhne jaisa hai kya? (Wo jhunjhlate hue boli).

Shiv : Ye to apani apani najar par depend karta hai, kon kis najar se dekhta hai.

Padma : Achchha, tum kis najar se dekh rahe ho? (Taunt marte hue wo boli, par meri samaj me nahi aaya ki wo kiski baat kar rahi hai, kheto ki ya khud ki)

Shiv : Ek baat bataiye, aapko kya najar aa raha hai in kheto me?

Padma : Aur kya najar aana hai, khet hai aur kya?

Shiv : wo to muje bhi pata hai, par kuchh to najar aata hoga aapko?

Padama : Muje aisa kuchh khas najar anahi aata, khet hai to khet hai.

Shiv : Do minute rukiye. (wo ruk gayi aur meri aur dekhne lagi)Ye khet sirf khet nahi hote, sab ko apane apane hisab se sab najar aata hai, jaise agar kishan ye khet dekhta hai to usko apani mehnat najar aati hai, achchhi fasal dekh kar usko apana aanewala bhavishya khushal najar aata hai, agar koi jamindar isko dekhega to usko paise najar aate hai, agar koi scientist dekheta to usko ek chhote se bij se nikala ek jiv najar aayega, jo apani jati ko aage badhane ka prayas kar raha hai, premi jode ko romance karne ki jagah najar aayegi, wahi bachcho ko khelne kudne ka ek aur tarika najar aayega, har koi apane apane hisab se dekhta hai.

Padma : Achchha, par tumhe kya najar aa raha hai?

Shiv : Filhal to muje ye kudrat ka hasin najara najar aa raha hai (Mene janbuj kar unhe upar se niche dekhte hue kaha)(Uske kehne ka matlab samajte hue Padma fir gussa ho gayi)

Padma : Muje lagta hai hume wapas chalna chahiye, kafi dur nikal aye hai hum.

Shiv : Kyu dar lag raha hai?

Padma : Apani jamin par khadi hu, me kyu darungi?

Shiv : Shayad mujse dar lag raha ho.

Padma : Me kyu darungi tumse? Yaha kis ki himmat hai jo Pruthviraj ki Padma ko hath bhi laga kar dekhe.

Shiv : Nauta de rahi ho kya? (Mene bhi chheda)

Padma : Apani ghatiya soch apane pass hi rakkho, Padma itni sasti nahi hai aur itni najuk bhi nahi hai jo kisi aire gaire ko chhune bhi de, log bhale kuchh bhi samje, par muje pata hai ki tum sirf ek paltu ho jo paiso ki haddi dekh kar yaha dum hilane aaye ho, (Unki baat se muje itna gussa aaya ki mera maan kiya ki unka wo hal karu ki wo yaad rakkhe, par mene khud ko sambhala, mera chehra laal ho gaya tha, jise dekh kar wo boli)Kyu bura laga na? isiliye keh rahi hu, apani aukat maat bhulo, aur apani nigaho ko sambhal ke rakkha karo.

Shiv : Ye meri ankhe hai, inhe agar kuchh achchha najara dikhega to ye dekhengi, agar aap Padma hai to me bhi Shiv hu, kisi ke baap se bhi nahi darta, aur meri fitrat nahi hai ki me aisi waisi chijo ko dekhu, chaliye muje bhi nahi ghumnahai, jo dekhna tha wo dekh liya. (Keh kar me ghum gaya aur wapas chalne laga)(Padma usko dekhti rahi, wo aage aage ja raha tha, usne bhi apane kadam badha diye, dono chalte hue wapas usi jagah aa gaye jaha se wo chale the)

Beena : Badi jaldi gaye?

Shiv : Aap aayi hoti to aur samay lag jata, ajnabio ke sath gumne ka kaha maza ata hai. (Shiv ne bina dekhe Padma ko sunaya to Padma bhi ander se gussa ho gayi)

Padma : Kisi ne nauta nahi diya tha, bhabhi ne kaha to me le gayi thi tumhe.

Beena : Are tum dono to jaghadne lage, kya hua? Kuchh hua kya?

Padma : Kya hoga? Pata nahi khud ko kya samajta hai. (Kehte hue wo makan ke ander chali gayi)

Beena : Kya hua Shiv? Ye kyu itna gussa hai aur aise lehje me baat kar rahi hai?

Shiv : (Sambhalte hue)Kuchh nahi hua, wo bas keh rahi thi ki me yaha paiso ki wajah se aaya hu, me koi unke chacha ka ladka nahi hu, aise hi sab suna rahi thi muje.

Beena : Unhe abhi kuchh pata nahi hai to aise bolrahi hogi, Tune kuchh kaha to nahi?

Shiv : Me kyu kahuga, muje kya lena dena unse. Aur mere bhi palle ye baat nahi pad rahi ki aap ko kyu lagta hai ki me wahi hu?

Beena : Kyu ki tu hai, unki bato ka bura maat laga, wo samajti nahi hai na is liye aisa keh rahi hai. Muje pata hai ki tu wahi hai... (Abhi wo kuchh bolnewali hi thi ki Sukhi apani bahu ke sath hath me dudh liye aayi, to hamari baat ruk gayi) Padma nahi aayi?

Sukhi : Nahi wo ander hi bethi hai, sab se baat kar rahi hai, aap log lijiye na. (Mene dekha ki unki bahu ghunghat tane hue hi thi, meri samajme nahi aaya ki wo aisa kyu kiye hue hai, me unhe dekh raha tha par unka chehra dhaka hua tha, par halka halka dikh raha tha, mene dekha ki unhone bhi muje dekha par fir apani nigahe fer li, mene bhi unse najar hata li)

Beena : Dudh sirf ye pita hai, mere liye kyu le aayi?

Sukhi : Aisi halat me dudh achchha hota hai, chai se kya milega aapko, jab yaha taja dudh hai to fir chai kyu pini, aap dudh pijiye. (Beena ne bhi muskurate hue dudh utha liya, sukhi wahi beth gayi thi to aur aage baat nahi hui, wo bas idhar udhar ki baate kar rahi thi, uske baad hum Beenaji ke ghar ke liye nikal gaye)

Yaha Udesinh ne Sukhdev ko phone lagaya tha. Phone par Udesinh ka naam dekh kar Sukhdev ke chehre par sikan dikhi, par fir khud ko swasth karte hue usne phone utha liya.

Sukhdevi : Hello. (Bina kisi utsah ke)

Udesinh : Kaise ho Sukhdev?

Sukhdev : Ye puchhne to phone nahi kiya hoga aapne. (Taunt me)

Udesinh : Bilkul sahi keh rahe ho, waise bhi muje kya fark padta hai ki tum kaise ho, waise mera bhai kaisa hai?

Sukhdev : Aaj bahot dino baat bhai ki yaad aayi. (Udesinh has pada, jab wo ruka to Sukhdev ne fir kaha)Kahiye kis liye phone kiya aapne?

Udesinh : Tumhari ye baat bahot achchhi lagti hai muje, dil me chahe laakh galiya nikal rahi ho par juban se tumhare hamesa respect hi milti hai.

Sukhdev : Sab ka apana apana nature hota hai, jaise kuchh logo ke sath agar aap bhalayi bhi karo to bhi wo bichchhu ki tarha kaat hi lete hai.

Udesinh : (Fir has pada)Ha ha ha ha, chalo koi baat nahi, aaj me bahot khud hu to tumhari baat ka bura nahi manunga. (Sukhdev kuchh nahi bola)Puchhoge nahi ki kyu khus hu?

Sukhdev : Bataye bagair to aap rahenge nahi, kahiye.

Udesinh : Tumhare liye ek khus khabari hai, ya ho sakta hai ki dukhkhabari bhi ho.

Sukhdev : Sidhe mudde ki baat kijiye.

Uesinh : Mera bhatija laut aaya hai.

Sukhdev : Kaha gaya tha wo?

Udesinh : Tum to aise anjan ban rahe ho jaise tum jante hi nahi ho.

Sukhdev : Jignesh muje bata kar thodi na jata hai ki wo kaha ja raha hai, aur uske laut aane ko kis tarha ki khuskhabari bata raha hai aap.

Udesinh : Yaar sach me tum bahot mazakiya ho, mera ek hi bhatija hai kya.

Sukhdev : Jaha tak muje pata hai aapka ek hi bha...ti....ja.... (Bolte bolte uski juban ladkhada gayi)

Udesinh : Lagta hai ab samaj me aaya tumhe.

Sukhdev : Aaj din me hi suru ho gaye hai kya?

Udesinh : Tumhari kasam Sukhdev, subah se ek bund gale ke niche nahi gayi hai, ha par aaj sham ko jarur ji bhar ke piunga.

Sukhdev : Kya kehna chahte hai aap, saaf saaf kahiye.

Udesinh : Is se kitna saaf saaf kahu, mera bhatija yani Shivans laut aaya hai.

Sukhdev : (Uski aawaj kaanp gayi)Kya b bat kar rahe hai aap?

Udesinh : Wahi jo tu samaj raha hai, wo mil gaya hai muje.

Sukhdev : Kaha hai wo?

Uesinh : Me tumhe kyu batau.

Sukhdev : Agar tumne usko kuchh kiya na to yaad rakhna, is baar me apani sari hade bhul jaunga.

Uesinh : Ha ha ha ha.....(wo joro se hasne laga, kafi der wo thahaka maar maar kar has raha tha uske baad khud ko sambhalte hue wo bola)Muje to laga tha ki tum laakh sawal karoge, par tum to badi aasani se maan gaye, abhi tak to tumne usko dekha tak nahi aur maan gaye ki wo muje mil gaya hai.

Sukhdev : (khud ko sambhalte hue)Muje pata hai ye sach nahi hai, kya yahi bakwas karne ke liye aapne phone kiya tha.

Udesinh : Tumhe kya lagta hai me mazak kar raha hu? bilkul nahi, tum samaj nahi rahe ho, muje wo nahi, par tumhare tale ki chabi mil gayi hai, aur rahi baat man ne ki, ki wo wo hai ki nahi, wo to jab tum usko dekhoge to samaj jaoge. (Sukhdev ko pashina aane laga, usko dar lagne laga ki wo agar sach keh raha hai to Shivans uske changul me hai, wo kisi bhi tarha usko bachana chahta tha)

Sukhdev : Muje milna hai us se.

Udesinh : Milwa denge, milwa denge, itni jaldi bhi kya hai, tumne is daulat ke liye bahot tarsaya hai muje, ab bari tumhari hai, aur ek baat dhyan se sun lo, Shivans ab meri hi baat manega, usko jo me kahunga wahi wo karega, samje. Chalo rakhta hu, fir baat karunga.

Sukhdev : Hello... helloooooo. (Par samne se phone cut ho gaya tha)

Udesinh : Ab tuje samaj aayega ki tumne kis se panga liya hai.

Sukhdev apane phone ko dekhte hue soch raha tha ki uski baat me jara bhi sachchayi ho sakti hai kya?

Aiswarya : (Dopahar ke khane ke waqt)Kya hua beti, kha kyu nahi rahi hai?

Prakruti : (apani soch se bahar aate hue)Nahi kuchh nahi mummy.

Aiswarya : Kya kuchh nahi, mene tuje kaha ki diwali ki shoping kar le, uske liye bhi mana kiya tumne, khane par bethi hai aur fir bhi dhyan kahi aur hai, akhir tere dimag me chal kya raha hai?

Prakruti : Apane bhagya par ro rahi hu mummy, ye kaisa bhagya likha hai mera, aap keh rahi ho ki ye sab meri kundali me likha hai, kya ye sab sach me sach hota hai?

Aiswarya : Ab kya kahu me beti.

Prakruti : Aap itni padhilikhi ho, papa bhi hai aur muje bhi itna padha rahi ho, par fir bhi hum sab in sab bato par viswas kar rahe hai, kitni ajeeb baat hai.

Aiswarya : Hum bhi viswas nahi karte the beta, hum bhi in sab bato ko nahi mante the, par jaisa kuchh hua, wo dekh kar hume bhi viswas karna pada, ab dudh ka jala chhachh bhi funk funk kar piyega, aisi halat ho gayi hai hamari. Par tu ye sab kyu soch rahi hai, muje nahi batayegi? (Prakruti chup rahi, wo bas apani maa ko dekh rahi thi)Tu us ladke ke bare me soch rahi hai na? (Prakruti ascharya se apani maa ko dekhne lagi) Me maa hu teri, sab samajti hu, sach sach bata, kya soch rahi hai tu uske bare me.

Prakruti : (Chhupate hue)Aisi koi baat nahi hai mummy, me kuchh nahi soch rahi hu uske bare me.

Aiswarya : Mujse bhi chhupayegi?

Prakruti : Batanelayak aisa kuchh hai bhi nahi mummy, aap jo soch rahi ho aisa hamare bich kuchh bhi nahi hai, usne aur mene pehle hi ek dusare ko keh diya tha ki hamare bich aisa waisa kuchh bhi nahi hai aur na kuchh hoga.

Aiswarya : Ye sab aisi bate hoti hai jo koi plan kar ke nahi kar sakta, aur me saaf dekh sakti hu ki tumhari ankho me kya hai, agar tumhare dil me kuchh hai to baat kar us se.

Prakruti : Kya baat karu mummy jab aisi koi baat hai hi nahi.

Aiswarya : Ab kya kahu me tujse, ye to tuje hi tay karna hai ki kuchh hai ki nahi.

Prakruti : (Baat ko ghumate hue)Papa ne kaha tha ki usko paise chahiye honge, to mene us ko ye bhi kaha ki jo chahe mang sakta hai.

Aiswarya : To kya usne kuchh jyada mang liya? (Wo bhi thoda chintit ho gayi)

Prakruti : Nahi mummy, usne to saaf mana kar diya, upar se keh raha tha ki apane papa se puchho ki wo meri kitni kimat samajte hai, agar tumhari kimat dene ki takat hai to baat kare, kyu ki me anmol hu uske liye.

Aiswarya : Itna to wo keh raha hai, fir dikkat kya hai?

Prakruti : Kya keh raha hai?

Aiswarya : Uski najar me tum anmol ho iska matlab wo tumse pyar karta hai, tabhi to aisa keh raha hai.

Prakruti : Aap galat samaj rahi ho mummy, wo bas muje ye keh raha tha ki ek baap ke liye uski beti anmol hoti hai to wo meri jaan ke badale me kimat kaise tay kar sakte hai. Wo alag hai mummy, wo dusaro jaisa nahi hai.

Aiswarya : Wo tumse pyar karta hai ki nahi ye to pata nahi par muje lagta hai tum uske pyar me jarur pad gayi ho.

Prakruti : Aisa kuchh bhi nahi hai mummy, mene apane dimag se ye sab fijul ki baate nikal di hai, aap janti ho ki me aisa waisa kuchh bhi nahi kar sakti, na me kar sakti hu na meri kundali muje ijajat deti hai. (aiswarya bhi dukhi ho gayi, uske chehre par bhi nirasa saaf dikh rahi thi)

Aiswarya : Chhod ye sab, jo hoga uparwala dekhega, humne kisi ka kya bigada hai jo wo hamare sath galat karega, tu khana kha.

Prakruti bhi khana khane lagi, par maan me wahi sab chal raha tha, wo soch rahi thi

Prakruti : Wo Yogendra uncle ke bare me kyu puchh raha tha, kya wo mere bare me bhi janta hoga? Aur jaisa mummy keh rahi hai kya sach me muje us se pyar ho gaya hai, par ye kaise ho sakta hai, mene khud ko samja liya tha ki me in sab se dur hi rahungi, meri jindagi ka ek hi maksad hai, doctor ban na aur logo ki seva karna, me kyu in sab bato ko soch rahi hu, muje in sab se dur hi rehna chahiye, par fir bhi ek baat baar baar mere dimag me aa rahi hai ki wo Yogendra uncle ke bare me kyu puchhh raha tha?



Raat ko Sukhdev apane ghar pahucha, wo pura din paresan raha tha, jab se uski Udesinh se baat hui thi wo sab tark vitark kar raha tha ki kya aisa ho sakta hai jo wo bata rahe the. Uska dimag keh raha tha ki ye koi chal hai, kyu ki ye sambhav nahi tha, wo isi kasmakas me tha.
 

realfriend

R@#F&D
351
551
108
Well Done Clapping GIF by MOODMAN
great yaar........
 
Top