- 3,273
- 16,592
- 159
Ko To Rok Lo {Update - 0264}
____________________________
____________________________
Chhoti maa ne mujhe apne pas baithne ko kaha to, mai chhoti maa ke pas baith gaya. Mere unke pas baithne ke bad chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “yaha ek gadbad ho gayi hai. Ladke walon ke yaha se 7 baje juhi ke liye mehndi aana thi. Lekin ab 9 baj gaye hai aur abhi tak unke yaha se mehndi nahi aayi hai.”
“Geeta unhe call laga rahi hai to, wo log call nahi utha rahe hai. Ladke walon ke rishtedar bhi koi sahi khabar nahi de rahe hai. Unke rishtedar kah rahe hai ki, abhi mehndi ki taiyari chal rahi hai. Jaldi hi mehndi pahuch jayegi.”
“Tumhare papa aur mausa ji ne juhi ke mama se kaha ki, wo log jakar unhe dekh kar aate hai ki, waha se mehndi aane me kya problem hai. Magar juhi mama manne ko taiyar nahi hai.”
“Juhi ka mama kah raha hai ki, mehndi ka kya hai. Mehndi to der raat ko ya fir kal bhi aa sakti hai. Magar hume ladke walon ki ijjat itni chhoti si baat par nahi girana chahiye. Unhe iske liye thoda samay dena chahiye.”
“Jab ladke walon ke rishtedar kah rahe hai ki, Abhi mehndi ki taiyari chal rahi hai. Jaldi hi mehndi waha pahucha di jayegi to, hume un par viswas rakhna chahiye. Un par aviswas karke unke maan-samman ko nahi girana chahiye.”
“Juhi mama ki isi baat ki vajah se yaha se koi bhi ladke walon ke pas mehndi ke baare me pata karne ke liye nahi ja pa raha hai. Geeta ko samajh me nahi aa raha hai ki, ab wo kya kare. Hum sab yaha par isi baat se pareshan hai.”
Itna kah kar chhoti maa chup ho gayi. Lekin mere pas unki is baat ka aisa koi jabab nahi tha. Jo inki is problem ko hal kar sake. Isliye maine baat badalte huye kaha.
Mai bola “chhoti maa, ye baat to sach me bahut badi baat hai. Lekin ye geeta aunty ka gharelu mamla hai. Isme hum dakhal kaise de sakte hai. Hum sirf geeta aunty ka sath de sakte hai.”
“Lekin jab geeta aunty ke bhai ko humara sath aur madad chahiye hi nahi hai to, hum geeta aunty ke liye kya kar sakte hai. Fir bhi aap kahe to, mai geeta aunty se baat karke dekhu.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “tumhare papa aur mausa ji to, kab se is baat ko geeta ko samjha rahe hai. Geeta ki samajh me to, ye baat aa gayi hai. Magar geeta ke bhai ka kahna hai ki, use isi shahar me rahna hai.”
“Wo kisi bhi haalat me, juhi ke sasural walon ki najar me apni ijjat nahi girayega. Jab abhi tak ki shadi ki saari rasme juhi ki sasural walon ne puri ki hai to, wo is rasm ko bhi pura karne se pichhe nahi hatege.”
“Unse humari rishtedari jud rahi hai. Isliye hume is rishte ki ahmiyat ko samajhna chahiye aur is samay unka pura sath dena chahiye. Hume kisi ke bahkawe me nahi aana chahiye. Geeta ka bhai bahut der se isi tarah ki baat kiye ja raha hai.”
“Tumhare papa, mausa ji, uncle aur dushyant mausa ji ko, taiyar hokar niche aane bilkul bhi samay nahi laga tha. Kyoki wo log ghar se taiyar hokar aaye the. Yaha unhe sirf kapde badalna the.”
“Isliye wo log kapde badal kar sidhe niche aa gaye. Niche aane par unhe ye sab mamla pata chala ki, juhi ke sasural walon ne abhi tak mehndi nahi bheji hai. Isliye juhi ki mehndi ki rasm suru nahi ho pa rahi hai.”
“Tab un logon ne geeta ke bhai ke samne ladke walon ke ghar chalne ki baat rakhi. Lekin geeta ke bhai ne kah diya ki, ladke walo ki taraf se koi khabar milne se pahle wo is mamle me kuch bhi nahi karega.”
“Geeta ke bhai ko sirf apni aur ladke walon ki fikar hai. Use geeta ya juhi ki koi fikar nahi hai. Anu didi thik kahti thi ki, juhi ki shadi ke liye geeta ne jo ladka dekha hai, wo aur uska parivaar bilkul bhi sahi nahi hai.”
Itna kah kar chhoti maa chup ho gayi. Ye dkh kar maine chhoti maa ko unki baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “chhoti maa, mere khayal se anu mausi bilkul sahi thi. Unhe ladka aur ladke ka parivaar pasand nahi aaya to, un ne juhi didi ki shadi me shamil na hone ka jo faisla liya tha, wo bhi galat nahi tha.”
Meri baat sunkar, chhoti maa meri taraf dekhne lagi. Is se pahle ki, wo mujhse kuch kah pati, us se pahle hi richa aunty humare pas aa gayi. Un ne chhoti maa ke pas baithte huye chhoti maa se kaha.
Richa aunty boli “ye itni der se ise kaun sa path pada rahi ho.”
Richa aunty ki baat sunkar, chhoti maa ne muskurate huye kaha.
Richa aunty ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “didi, aisi kuch khas baat nahi hai. Mera beta ab bada ho gaya hai. Wo badi badi baten aur bade bade faisle karne laga hai. Kya aapne chanda mausi ki Mumbai jaane wali naat nahi dekhi.”
“Kitni aasani se isne chanda mausi ko Mumbai jaane ke liye mana liya tha. Aisa hi kuch shikha ki shadi, priya ki tabiyat, ajay ke hospital ko lekar bhi tha. Aisi bahut si baten hai iski, jo mai kabhi aapko fursat me bataugi.”
“Abhi aapne kuch der pahle upar nahi dekha tha ki, isne kitni aasani se hum sabke rukne ke kamre tay karke rakh diye the. Bas isi vajah se ise kuch jaruri baten bata rahi thi. Kyoki ab ye itna samajhdar to, ho hi gaya hai ki, kisi samasya par hum is se baat kar sake.”
Chhoti maa ki baat sunkar, richa aunty ne chhoti maa se kaha.
Richa aunty boli “haan, ye baat to tumhari sahi hai. Tumhara beta lakhhon me ek hai.”
Richa aunty ki baat sunkar chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “didi, aapki ye baat sahi hai. Aap karodo ek bhi kahti, tab bhi mujhe kam lagta.”
Chhoti maa ki baat sunkar, richa aunty ne kaha.
Richa aunty boli “tune suna, teri chhoti maa ne kya kaha. Ab bhi mujhse ye mat kahna ki, mai tera dil rakhne ke liye kahti hu ki, mera punnu lakhon me ek hai.”
Richa aunty ki baat sunkar, mai hasne laga. Kyoki richa aunty hamesha meri tariff yahi kahti rahti hai ki, mai lakhon me ek hu. Abhi humari ye baat chal hi rahi thi ki, mehul humare pas aa gaya. Humare pas aakar mehul ne chhoti maa se kaha.
Mehul bola “aunty, ye kaisi shadi ho rahi hai. Geeta aunty ne itne saare mehmano ko bulaya hai. Sab mehman shadi ki rasm suru hone ka intejar kar rahe hai. Magar yaha shadi ki koi bhi rasm puri nahi ki ja rahi hai.”
“Mujhe to lagta hai ki is shadi ka band baj chuka hai aur ab kal bhi yaha shadi ki koi bhi rasm nahi hone wali hai.”
Hum sab mehul ki baat sunne me lage huye the. Ami nimi bhi humare pas hi baithi tv dekh rahi thi. Tv ki aawaj bilkul band thi aur ami nimi tv me news channel dekhne me lagi huyi thi.
Unhe shayad vaani didi ke aane ka intejar tha. Abhi is pahle ki mehul apni baat puri kar pata tabhi nimi ne shor machete huye kaha.
Nimi boli “tv me vaani didi aa rahi hai. Vaani didi aa rahi hai.”
Nimi ka shor sunkar, hum sabki najar tv par chali gayi. Vaani didi tv par najar aa rahi thi. Wo ek bullet proof jacket pahne huyi thi. Ye dekh kar ami nimi ke chehre par muskurahat aa gayi aur nimi ne chahakte huye kaha.
Nimi boli “didi, wo dekho, vaani didi aapke kahne se bullet proof jacket pahne huyi hai. Wo isme kitni achi lag rahi hai.”
Nimi ki baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “haan, humari vaani didi kisi bhi baat par jara bhi laparwah nahi hai.”
Ami nimi ki baat sunkar, mehul ne bhi hanste huye kaha.
Mehul bola “tum dono bilkul sahi kah rahi ho. Vaani didi is bullet proof jacket me bilkul hitlar lag rahi hai.”
Mehul ki baat sunkar, maine us par gussa karte huye kaha.
Mai bola “tu chup-chap tv dekh aur hume bhi dekhne de. Inke sath milkar shor mat macha.”
Meri baat sunkar mehul ne mujhe dekh kar bura sa muh banaya aur fir sabki tarah chup-chap tv dekhne laga. Waha tv me vaani didi shayad Mumbai me huye hadse ke baare me media ko kuch batane ja rahi thi.
Ye dekhte hi, chhoti maa ne ami se tv ka remote manga aur tv ki aawaj khol di. Vaani didi ko tv me aata dekh kar humare ghar ke sabhi humare pas aa gaye. Sab vaani didi ko dekhne me lage huye the.
Tv vaani didi ke aane ki baat sunkar, geeta aunty aur juhi didi bhi humare pas aa gaye. Wo bhi tv me news dekhne lage. Abhi koi news reader aaj ki Mumbai ki news ki bhumika taiyar karne me laga hua tha.
Maine fauran apna mobile nikala aur priya ko call laga diya. Priya ke call uthate hi maine us se kaha.
Mai bola “kya kar rahi ho.”
Priya boli “kuch nahi, abhi khana kha kar apne kamre me aayi hu.”
Mai bola “iska matlab ye hua ki, tumhe nahi malum hai ki, tv me vaani didi ka interview aa raha hai.”
Priya boli “nahi, mujhe nahi malum tha. Abhi hum sab khana kha kar uthe hai.”
Mai bola “to fir fauran apna tv chalu karo, tumhe usme vaani didi najar aa jayegi.”
Priya boli “ok, mai abhi apna tv chalu karti hu.”
Mai bola “ye baat apne ghar ke baki logon ko bhi bata dena. Taki wo bhi vaani didi ka interview dekh sake. Mai yaha thoda shadi me fasa hua hu. Isliye barkha didi, shikha didi ya nisha bhabhi ko waha call lagane ka samay nahi nikal pauga.”
“Isliye tum ye khabar barkha didi, shikha didi aur nisha bhabhi ko bhi de dena. Warna bad me wo mujhse shikayat karegi ki, mere pas tumhe ye baat batane ka samay tha. Magar mere pas itni jaruri baat unhe batane ka samay nahi tha.”
Meri ye baat sunkar, priya ne hanste huye kaha.
Priya boli “hehehe, tum iski chinta mat karo. Mai abhi jakar ghar ke sabhi logon ko ye khabar de deti hu aur nisha bhabhi, shikha didi, barkha didi ko bhi call karke ye baat bata deti hu.”
“Unhe ye bhi bata dugi ki, tum waha par shadi me fase huye hone ki vajah se un logon ko call nahi laga paye ho.”
Priya ka jabab sunkar, maine us se kaha.
Mai bola “thik hai, fir mai call rakhta hu.”
Priya boli “ok, tum call rakh sakte ho, bye.”
Mai bola “bye.”
Iske bad maine priya ka call kaat diya aur sabke sath tv dekhne me lag gaya. Tabhi tv me Mumbai hadse ki news aane ki baat sunkar, aniruddha, niranjan aur manik bhi humare pas aakar news dekhne lage.
Kuch hi der me Mumbai hadse ko lekar vaani didi ka interview suru ho gaya. Vaani didi ne apna interview suru karte huye kaha.
Vaani didi boli “Mere pyare desh vasiyon. Aaj mai aapke samne ek jaruri baat batane ke liye aayi hu. Mai janti hu ki aap mujhe jante nahi hai.”
Vaani ki baat sunkar juhi didi ki shadi me shamil hone aayi ek ladki ne tv ke baat sunkar, tapak se kaha.
Lakdi boli “aap CID officr vaani roy hai.Aap ko bhala kaun nahi janta hai. Mujhe nahi lagta ki, aisi koi ladki hogi, jo aapko janti nahi hogi.”
Wo ladki shayad abhi abhi aakar hum logone me shamil ho gayi thi. Isliye use nahi malum tha ki, vaani didi ko tv me dekh kar nimi pahle hi shor macha chuki thi. Jis se sab vaani didi ko dekhne ke liye ikattha huye the.
Lekin jab wo ladki sabki taraf dekhne lagi ki, kya wo sab vaani roy ko nahi jante hai. Tab bua ji ne us se kaha.
Bua ji boli “beti, tumne shayad sach kaha. Har ladki vaani ko janti hai. Vaani hai hi aisi.”
Ladki boli “fir aap log mujhe aisa kyo dekh rahe the. Jaise aap log vaani roy ko nahi jante ho.”
Ladki ki baat sunkar bua ji ne us se kaha.
Bua ji boli “vaani mere hi beti hai aur ye sab vaani ke rishtedar hai. Aise me vaani ki tariff sunkar kaun khush nahi hota.”
Bua ji ki baat sunkar wo ladki muskurane lagi. Iske bad fir sab vaani didi ka interview dekhne lage. Vaani didi ne media ko sambodhit karte huye kaha.
Vaani didi boli “aaj ka din humare desh ke liye bahut khushi ka din hai. Lekin aaj ki subah se pahle humare desh ko desh ke dusmano se bahut khatra tha. Mumbai 100 se jyada aatankwadi ghus gaye the.”
“Jine Mumbai mafiya sharan diye huye tha. Lekin na to aatankwadi hi humari najro se chup sake aur na hi Mumbai mafiya humari najar se bach saka. Hum aatankwadiyon ki yojna ki jaankari lag chuki thi.”
“Wo humare desh ke kayi Shahron me ek sath hamla karne ke mansube lekar Mumbai me dera dale huye the. Lekin ye humari najron me lagatar bane huye the. Magar hume ek sath aatnkwadiyon ka aur Mumbai mafiya ka safaya karna tha.
Isliye humne in par lagatar najar banayi rakhi aur apni saari taiayri ke sath aaj subah 5 baje ek sath in par dhawa bol diya. Jis se saari Mumbai is karyawahi se dahshat me aa gayi.
Lekin Mumbai police ne Mumbai ki janta ko suchit kar diya ki, Mumbai me aatankwadi guse huye hai, jin par karyawahi chal rahi hai, isliye aaj Mumbai ki janta apne gharo se bahar na nikle.
“Aatankwadiyon ke taar Mumbai mafiya ke sath videshon se bhi jude huye the. Isliye hume Interpol ki madad li. Interpol ki madad se humne aatakwadiyon ko videshon se madad pahuchane walon par bhi usi samay dhawa bol diya.
“Humne 100 se jyada aatankawadiyon ko maar giraya hai aur Mumbai ke adhe se jyada mafiya ka safaya kar diya hai. Baki ke Mumbai mafiya ka safaya karne ki humari karyawahi abhi bhi chal rahi hai”
“Videshon me bhi in aatankwadiyon ko madad pahuchane walon ka safaya jari hai. Ye karyawahi humari jaldi hi puri ho jayegi. Humara desh ab aatankawadiyon se puri tarah se surakshit hai.”
“Mumbai ke log bhi puri tarah se nishint rahe. Hum jald se jald mumbai mafiya ka puri tarah se safaya kar dege. Tab tak Mumbai ke log apne ghar ke andar hi rahe aur is karya me humara sahyog kare.”
Itna kah kar vaani didi chup ho gayi aur Mumbai police commisionar ka interview chalne laga. Sab tv dekhne me lage huye the. Lekin keerti ka dhyan kahi aur laga hua tha. Maine keerti ki najron ka pichha kiya to, wo juhi didi ko dekh rahi thi.
Juhi didi is samay tv dekhne ki jagah mujhe hi dekh rahi thi. Meri najar un par padte hi, unke chehr par muskurahat aa gayi. Unhe muskurate dekh kar, maine bhi muskura diya aur mai uth kar unke pas aa gaya.
Unke pas is samay geeta aunty aur unki mami baithi huyi thi, Jinke bich me juhi didi baithi thi. Mai aakar unki mami se thodi duri par baith gaya. Ye dekh kar juhi didi uth kar mere pas aakar baith gayi.
Ab geeta aunty aur juhi didi ki mami se hum bahut antar par baithe huye the. Juhi didi ke mere pas aakar baithte hi, maine unse kaha.
Mai bola “didi, aapne ye apni kya haalat bana li hai.”
Meri baat sunkar, juhi didi ne kaha.
Juhi didi boli “tum aa gaye ho to, ab meri haalat bhi achi ho jayegi.”
Meri baat sunkar, juhi didi ne kaha.
Mai bola “didi, mai to hamesha aapke pas hi hu.”
Juhi didi boli “tum abhi iske pahle mere pas kaha the. Tum to mujhe apna mobile number tak dekar nahi gaye the. Kya koi jara si baat par kisi se itna naraj ho jata hai.”
Juhi didi ke dard tha. Jo unki baton me saaf najar aata tha. Unke is dard ka jababdar ek tarah se mai hi tha. Juhi didi ki ye baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “didi, mai aapse bilkul bhi naraj nahi hu. Mera yakin kijiye, mujhe achanak hi mehul ke sath Mumbai jaana pada. Isliye mai aapko apna naya mobile number nahi de paya tha.”
“Fir Mumbai pahchne ke bad mujhe itna samay hi nahi mil saka ki, mai aapko call kar saku. Mujhe nahi malum tha ki, mere mobile number na dene se aap itni jyada pareshan ho jayegi.”
Meri baat sunkar juhi didi ne kaha.
Juhi didi boli “kya in do mahino me tumhe meri ek baar bhi yaad nahi aayi.”
Juhi didi ki baat sunkar, mere pas unse kahne ko kuch nahi bacha. Ye Mumbai me kaisa ulajh gaya tha ki, juhi didi ko ek baar bhi yaad nahi kar saka. Isliye maine juhi didi ko apni safayi dete huye kaha.
Mai bola “didi, mere pas aapko batane ke liye ek aisi baat hai, jise sunne ke bad, aap meri is galti ko maaf kar degi. Aap jab bhi mujhe fursat me milegi, mai aapko wo baat batauga.”
Meri baat sunkar, juhi didi ne gaur se meri taraf dekhte huye kaha.
Juhi didi boli “thik hai mai fursat milte hi, tumse baat karugi. Lekin tumhe malum nahi hai ki, mai apni shadi ko lekar kitna pareshan hu.”
Juhi didi ki baat sunkar, maine ek najar ami, nimi aur keerti ki taraf dekha to, wo hume hi dekh rahi thi. Mujhe dekh kar ami nimi murskurane lagi. Ye dekh kar maine juhi didi ki baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, jara ek najar udhar dekhiye.”
Meri baat sunkar, juhi didi ne mere ishare ko samjh kar ami nimi ki taraf dekha to, wo unhe bhi dekh muskurane lagi. Ami nimi ko muskurate dekh kar, juhi didi ne bhi unhe dekh kar muskura diya aur fir dhire se mujhse kaha.
Juhi didi boli “ami nimi is tarah mujhe dekh kar hans kyo rahi hai.”
Juhi didi ki baat sunkar, maine bhi dhire se kaha.
Mai bola “kyoki un ne aapki saari pareshani door kar di.”
Meri baat sunkar, juhi didi ne chaukte huye kaha.
Juhi didi boli “tum kahna kya chahte ho.”
Mai bola “jin baton ko lekar aap itne din se pareshan thi, wo sab ami nimi ne mujhe bata di hai aur maine unko hal karne me hi laga hua hu. Jaldi hi aapki saari pareshani door ho jayegi.”
Meri baat sunkar juhi didi ke chehre par khushi chhalakne lagi aur un ne khush hote huye kaha.
Juhi didi boli “kya ye sach hai.”
Mai bola “haan didi, ye sab sach hai.”
Meri baat sunkar, juhi didi ki aankhon me khushi ke aansu chamakne lage. Un ne dhire se mere hath par apna hath rakha aur use daba diya. Maine bhi juhi didi ke hath par hath rakh kar kaha.
Mai bola “didi, ab mai aa gaya hu. Ab aap kisi bhi baat ki bilkul bhi chinta mat kijiye. Ab aap khush rahiye aur chup-chap ye dekhiye ki is shadi kya anjam hota hai.”
Meri baat sunkar, juhi didi ki aankhon me aansu aa gaye. Un ne apne aansu ponchhe aur fir muskura kar meri taraf dekhne lagi. Magar abhi bhi unki aankhon me aansu jhilmila rahe the.
Meri taraf dekhne ke bad un ne fir se ami nimi ki taraf dekha to, ami nimi fir juhi didi ko dekh kar muskurane lagi. Ami nimi ki is harkat ko dekh kar, juhi didi ne unhe apne pas aane ka ishara kiya.
Juhi didi ka ishara pakar ami nimi uth kar juhi didi ke pas aakar khadi ho gayi. Ami nimi ko apne pas pakar juhi didi unke samne aakar baith gayi aur fir un ne ek sath ami nimi dono ko apne gale se laga liya.
_____________________________
Last edited: