Ko To Rok Lo {Update - 0261}
____________________________
Keerti boli “ab uski is baat ka jabab do. Tumhe to shayari karni hi nahi aati hai.”
Ye kahte huye keerti ne apna mobile me ek shayari khol kar mere samne rakh di. Ye dekh kar mere chehre par bhi hansi aa gayi aur maine priya se kaha.
Mai bola “ye sab shayari meri samajh me nahi aati. Lekin mere pas bhi ek shayari tumhe sunane ke liye hai.”
Meri baat sunkar, priya ne khush hote huye kaha.
Priya boli “mujhe tumhari shayari samajh me aa jayegi. Tum sunao na, kaun si shayari sunana chahte ho.”
Priya ki baat sunkar, maine use keerti ke mobile ki shayari sunana suru kar di.
Mai bola “Tu Ruthi Ruthi Si Rahti Hai Ae Jindgi.
Koi Tarkeeb Bata Tujhe Manane Ki.
Mai Saanse Girvi Rakh Dunga Apni,
Bas Tu Keemat Bata Muskurane Ki.”
Meri shayari sunkar, priya ne khilkhila kar hanste huye kaha.
Priya boli “ye to sach me bahut achi shayari thi. Mujhe bahut pasand aayi.”
Mai bola “ye to mai bhi janta hu. Isliye to tumhe khush karne ke liye maine tumhe ye shayari sunai hai.”
Meri baat sunkar priya fir khilkhila kar hasne lagi. Use is tarh se hasta hua dekh kar mujhe bahut acha lag raha tha. Aakhir wo meri chhoti bahan thi aur mai use isi tarah se khush dekhna chahta tha.
Mai janta tha ki, jis din uske samne baat khulegi ki, mai uska bhai hu, us din use bahut bada jhatka lagega. Wo is baat ko itni aasani se sahan nahi kar payegi. Fir bhi uska khayal rakhne ka mera farz banta tha.
Mai yahi chahta tha ki, wo chahe humare sath rahe ya Mumbai me rahe. Lekin hamesha khush rahe. Is se jyada mai kuch nahi chahta tha. Mai inhi baton me ulajh kar apni soch me gum ho gaya. Tabhi priya ne mujhse kaha.
Priya boli “ye batao ki, tumhe Mumbai ke hadse ke baare me pata chal gaya hai na.”
Mai bola “haan, wo mujhe school me hi pata chal gaya tha. Aaj Mumbai me hadse ki vajah se humare shahar ke sabhi school ki chhutti kar di gayi hai. Bad me ye baat waha par sabse phone par baat hone par bhi pata chali hai.”
Meri baat sunkar, priya ne puchha.
Priya boli “vaani didi to aaj Mumbai me hi hai. Fir wo abhi tak mujhse milne kyo nahi aayi.”
Priya ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “Mumbai me itna kuch chal raha hai. Vaani didi apne usi kaam me busy hai. Waha se free hote hi, wo tumse jarur milegi.
Priya boli “ok, mujhe unse milne ka intejar rahega.”
Priya ki baat sunkar, maine us se kaha.
Mai bola “aaj mai apni aunty ki beti juhi ki shadi me ja raha hu. Isliye ab teen din me apne ghar me nahi rahuga. Is vajah se shayad ab samay par tumse baat na ho paye. Lekin shadi me samay milte hi mai tumse jarur baat karuga.”
Priya boli “tum shadi me kab ja rahe ho.”
Mai bola “hum aaj sham ko 5 baje durgapur ke liye nikal rahe hai aur sham ko 7:30 baje tak waha pahuch bhi jayege. Mai apne is shadi me jaane ki baat kal tumhe batana hi bhool gaya tha.”
“Aaj juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari ko lekar mere pas jara bhi samay nahi tha. Lekin aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se mera tumhe tumhe call lagana roj ke samay se pahle ban raha tha.”
“Isliye aaj maine Mumbai hadso ki vajah se tumhara haal chaal janne aur apne juhi didi ki shadi me jaane wali baat batane ke liye tumhe roj ke samay se pahle call lagaya hai. Taki tumhara haal chaal jaan saku aur tumhe mere juhi didi ki shadi me jaane wali baat bhi bata saku.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, tum aaram se apni juhi didi ki shadi me jao. Mai tumhe mujhse baat karne ke liye pareshan nahi karugi.”
Priya ki baat sunkar, maine priya se kaha.
Mai bola “tum in baton se pareshan mat hua karo. Bas khush raha karo. Tumhe hansta khilkhilata hua dekh kar mujhe khushi hoti hai.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, ab tum mujhe hamesha hansta khilkhilata hua dekhoge. Lekin iske liye tumhe hamesha aise hi mere sath rahna hoga.”
Priya ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “tum iski fikar mat karo. Mai hamesha tumhare sath hu.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, mai ab hamesha aise hi khush rahugi. Ab tum ye batao ki, tumhari aunty ki beti ki shadi me tum jakar bor to nahi ho jaoge.”
Priya ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “meri aunty ki beti ka naam juhi hai aur mai unhe juhi didi kahta hu. Wo bachpan se mere school me hi padti aayi hai. Isliye wo hamesha se mere bahut hi karib thi.”
“Bas is saal wo college me pahuch gayi, jis vajah se mera aur unka sath chhut gaya. Magar fir bhi wo mujhe bahut pyar karti hai. Itni kam umar me unki shadi karayi ja rahi hai, jis se wo is shadi se jara bhi khush nahi hai.”
“Wo ye shadi karna nahi chahti thi. Magar is mamle me koi bhi unka sath dene ko taiyar nahi tha. Jis vajah se unki ye shadi unki marji ke khilaf hone ja rahi hai. Meri do mahine se unse baat nahi huyi hai.”
“Jis vajah se wo bahut pareshan chal rahi hai. Wo mujhse milne mere ghar bhi aayi thi. Magar mai Mumbai me tha. Jis vajah se unke mere ghar aane ke bad bhi wo mujhse mil nahi saki thi.”
“Apni shadi ko lekar is samay wo bahut pareshan chal rahi hai. Kal unki shadi hone ja rahi hai. Mujhe nahi malum ki, abhi wo kis haal me hai. Isliye mai jaldi se jaldi unke pas pahuchna chahta hu.”
Meri baat sunkar, priya ne mujh par gussa karte huye kaha.
Priya boli “tum bhi bahut ajib ho. Tum apni juhi didi ke baare me itna jyada sochte ho aur unke dard ko samajhte ho to, tumhe unka in sab baton me pura-pura sath dena chahiye tha.”
“Tumhe jab malum hai ki, wo is shadi se khush nahi hai aur wo ye shadi karna hi nahi chahti hai to, tumhe unki ye shadi tudwane me unki puri madad karna chahiye thi. Tumhe unke liye aisa kuch karna chahiye tha, jis se unki marji ke khilaf hone ja rahi unki ye shadi ruk jati.”
Priya ki baat sunkar, maine juhi didi ki shadi tudwane wali baat ke baare me use bataya. Jise sunkar usne khush hote huye kaha.
Priya boli “tum bilkul sahi kar rahe ho. Is kaam me yadi tumhe meri koi madad chahiye ho to, mujhse bol dena.”
Priya ki baat sunkar, mai apni bholi bahan ke swabhav ke baare me sochne laga. Wo sach me itni achi thi ki, use har samay dusro ki parwah rahti thi. Is samay bhi juhi didi ko na janate huye bhi wo unki madad karne ke liye taiyar thi.
Mai nahi janta tha ki, meri ye chhoti bahan kab janegi ki, mai uska bada bhai hu. Mujhe us pal ka besabri se intejar tha. Maine priya ki ye baat suni to, muskurate huye us se kaha.
Mai bola “nahi, mujhe is kaam ke liye tumhari kisi madad ki jarurat nahi hai. Lekin yadi kisi vajah se is kaam ke liye mujhe tumhari madad ki jarurat padi to, mai tumse iske liye jarur kahuga.”
Meri baat sunkar, priya ne muskurate huye kaha.
Priya boli “ok, tum jaldi se apni juhi didi ki shadi me pahucho, is samay unhe tumhari bahut jarurat hai. Wo tumhare aane ka besabri se intejar kar rahi hogi. Unhe is baat ki ummid jara bhi nahi hogi ki, ab koi unke liye kuch kar sakta hai.”
“Unhe to is baat ka andaja bhi nahi hoga ki, tum yaha unki shadi tudwane ke liye lage huye ho. Mujhe ummid hai ki, tum apne mission me jarur kaamyab hoge. Tumhari juhi didi ki shadi bhi tutegi aur tum unki car bhi wapas le aaoge.”
Priya ki ye baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “tumhari baat bilkul sahi hai. Juhi didi ki shadi bhi tutegi aur unki car bhi unke pas wapas aayegi. Sath hi geeta aunty ki vajah se juhi didi ne itne din tak jo pareshaniya sahi hai, uski saza bhi geeta aunty ko jarur milegi.”
“Lekin muje bas ye baat samajh me nahi aa rahi hai ki, mai juhi didi ko ye sab baten call laga kar bata du ya fir mere unke pas pahuchne par hi unhe ye sab baten pata chalne du.”
Meri baat sunkar priya ne kaha.
Priya boli “tumhe is baare me jyada sochne ki jarurat hi nahi hai. Tumhe unke pas pahuchne me sirf 4-5 ghante hi to baki hai. Unhe saari baat tum apne pahuchne ke bad hi pata chalne do.”
“Taki jo pareshaniya un ne uthayi hai, un sab pareshaniyon ki saza wo dusre logon ko milte dekh sake. Unke liye sabse achi baat yahi rahegi ki, unke khilaf chalne walon ko unke samne saza milti rahegi aur unhe bad tumse pata chalega ki, ye sab karne wale sirf tum the.”
Itna kah kar priya chup ho gayi. Lekin mujhe juhi didi ko call na kar pane ki sahuliyat bhi de gayi thi. Priya ke dimag par mujhe kabhi koi shak nahi tha. Bas mai itna nahi janta tha ki, priya aur keerti me se kiska dimag tej chalta hai.
Mai abhi priya ki isi baat ko soch raha tha ki, keerti ne dhire se mere kaan me call rakhne ki baat kahi. Jise sunne ke bad maine priya se kaha.
Mai bola “acha priya, mujhe lagta hai ki, ab mujhe call rakhna chahiye. Yadi iske bad bhi mai tumse baat karta raha to, mujhe bulane koi na koi aa jayega.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, ab mai tumhe pareshan nahi karugi. Lekin ab jab tum mujhe call karna to, juhi didi ke baare me achi khabar dena.”
Mai bola “ok, tumhe is baare me achi khabar jaldi hi sunne ko milegi.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, mujhe tumhari is khabar ka intejar rahega.”
Mai bola “ok, bye. Ab mai call rakhta hu, bye.”
Meri baat sunkar, priya ne kaha.
Priya boli “ok, bye.”
Mai bola “bye.”
Iske bad maine call kaat diya aur apne kaan se hands free hata di. Priya ka call kat jaane ke bad, keerti ne bhi apne kaan se hands free nikalte huye kaha.
Keerti boli “hume upar aaye bahut der ho gayi hai. Ab hume niche chalna chahiye.”
Keerti ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “thik hai, chalo niche chalet hai.”
Ye kahte huye mai khada ho gaya. Maine apna bag uthana chaha to, keerti ne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “tum iski chinta mat karo, ise mai le chalti hu.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “tu itni si baat ke liye mujhe pareshan kyo karti hai. Mai apna bag niche lekar chal raha hu na.”
Meri baat sunkar, keerti khamoshi se mujhe dekhne lagi. Maine apna bag uthaya aur fir keerti ko chalne ka ishara kiya. Keerti mere aage aage chalne lagi. Hum dono niche pahuche to, waha sabke bag ek sath rakhe huye the.
Mujhe apne bag ke sath dekh kar ami ne mujhe bhi apna bag sabke bag ke sath rakhne ka ishara kiya. Ami ka ishara samajh kar maine bhi apna bag sabke bag ke sath rakh diya.
Shayad chhoti maa ne hi ye saare bag ek sath rakhwaye the. Lekin kyo, ye baat meri samajh me nahi aa rahi thi. Kyoki car me to sab alag alag ja rahe hoge aur unke bag bhi unke pas hi rahna the.
Fir in sab bags ko ek sath rakhne ka kya fayda tha. Ye mujhe samajh me nahi aa raha tha. Mujhe is tarah khoya hua dekh kar, keerti ne mujhse puchha.
Keerti boli “aisa kya soch rahe ho ki, yaha kisi ki baat par tumhara dhyan hi nahi hai.”
Keerti ki baat par maine chaukte huye kaha.
Mai bola “kyo, kya hua.”
Keerti boli “bua ji, tumse puchh rahi hai ki, hum sabka car me jana sahi rahega ya fir jaise mausa ji ne sabke liye ek bas kar li hai, usme jana sahi rahega.”
Keerti ki baat ne mujhe chauka kar rakh diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, papa ne bus kyo ki hai. Hum log itne jyada to, hai nahi ki hume bus me jana pad jaye. Hum sab to waise hi car me ja sakte the.
Maine ek najar bua ji ki taraf dekha to, wo mujhe hi dekh rahi thi. Meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai is baat ka kya jabab du. Khair ye sawal mujhse kiya gaya tha aur iska jabab bhi mujhe hi dena tha.
Isliye maine ami nimi ki taraf dekha. Shayad ami mere is tarah se dekhne ka matlab samajh gayi thi. Isliye mere uski taraf dekhte hi ami ne kaha.
Ami boli “bhaiya, juhi didi ki shadi me jaane ke liye hum sab bahut log hai. Isliye papa ne bus me jana thik samjha hai. Bus me hum sab ek sath safar kar sakege.”
Keerti aur ami ki baat sunkar, mujhe apne bap par bahut gussa aa raha tha. Isliye maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, ye sab kya hai. Mushkil se hum 15-16 log hi to hai. Isme bus karne ki kya jarurat thi. Hum sab car me bhi to ja sakte hai.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “isi vajah se to didi ne tumse puchha hai ki, kis tarah se humara durgapur jana sahi rahega.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine bua ji se kaha.
Mai bola “bua ji, humara car me hi durgapur jana sahi rahega. Yadi kisi ko kisi jaruri kaam se kahi aana jana bhi pad gaya to, uske pas apni car rahegi. Hum log jyada se jyada 17 log hi hai. Hum log aaram se 6 car me aa jayege.”
Meri baat sunkar, bua ji ne mujhe gaur se dekhte huye kaha.
Bua ji boli “hum 17 kaha sirf 14 log hi hai.”
Bua ji ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “bua ji, wo kya hai ki, vaani didi ne apne 3 CID officer aniruddha, niranjan aur manik ko bhi humare sath durgapur bhejne ka faisla kiya hai. Isliye hum kul 17 log hai.”
Meri baat sunkar bua ji ne puchha.
Bua ji boli “lekin vaani ne to is baare me humse kuch nahi kaha tha.”
Mai bola “ji bua ji, vaani didi ne pahle ye baat kisi ko nahi batayi thi. Un ne sirf ye kaha tha ki, hum log nishchint rahe, unke officer humari suraksha karte rahege. Lekin aaj din un ne mujhe call karke kaha ki, humare sath durgapur unke ye 3 officer bhi jayege.”
Meri baat sunkar bua ji ne mausa ji, uncle aur chhoti maa se kaha.
Bua ji boli “mere khayal se bhi bus ki jagah par car hi sahi rahegi. Lekin amaranth ka dil bhi nahi toda ja sakta hai. Isliye hum bus bhi apne sath lekar chale to sahi rahega.”
Bua ji ki is baat ko sabne sahmati de di. Abhi sabka sahmati dena pura bhi nahi hua tha ki, tabhi papa apne kamre se nikal kar aa gaye. Unhe dekh kar mujhe samajhte der nahi lagi ki, wo mere niche aane ke kuch der pahle hi ghar aaye hai.
Bua ji logon se apni bus wali baat puri kar lene ke bad wo shayad muh hath dhone apne kamre me chale gaye the. Us aadmi ko dekh kar shadi me jaane ka mere saara mood kharab ho gaya.
Is samay papa ko yaha dekh kar, mujhe waha rukna sahi nahi laga aur mai waha se uth kar apne kamre me aane laga. Tabhi papa ne mujhe tokte huye kaha.
Papa bole “tumne in logon ko ye baat batayi ki, nahi ki, hume bus me durgapur jana chahiye ye car me jana chahiye.”
Papa ka ye sawal sunkar, mai chauk gaya. Iska matlab to yahi samajh me aa raha tha ki, papa apni baat sabse kah kar yaha se chale gaye the aur mujhe bura banane ke liye ye baat sabse mujhe puchhne ke liye kah diya tha.
Papa ki ye chaal to, meri samajh me aa gayi thi. Lekin ab baat mere hath se nikal chuki thi aur sabke samne aa chuki thi. Fir bhi maine is baat se apna bachav karte huye kaha.
Mai bola “mujhe lagta hai ki, hume car me hi durgapur jana chahiye. Kyoki waha se yadi kisi ko achanak wapas aana pada to, wo bus ke chakkar me nahi rahega aur apni car me wapas aa sakega.”
“Fir bhi bua ji ka bus apne sath le chalne ka tarika bura nahi hai. Is se ek vahan atirikt humare sath rahega aur uski hume jarurat padi to, hum uska upyog kar sakege.”
Apni itni baat kah kar mai chup ho gaya. Meri baat sunkar, bua ji ne apni baat papa ke samne rakh di. Jiski sahmati papa ne bhi de di. Iske bad maine waha rukna bekar samjha aur mai apne kamre me aa gaya.
Mujhe apne kamre me jaate dekh kar ami nimi bhi mere pichhe pichhe mere kamre me aa gayi. Ami ne mere kamre me kadam rakhte huye kaha.
Ami boli “bhaiya, aapne bilkul sahi jabab diya hai. Papa ne bus wali baat aapke niche aane ke pahle hi sabke samne rakh di thi. Sab iske liye taiyar ho gaye the. Lekin papa ne kaha ki, shayad tum is baat ke liye taiyar na ho.”
“Kyoki unka har faisla tumhe pasand nahi aata hai. Isliye is baare me tumse puchh liya jaye. Taki is baat me tumhari bhi sahmati mil sake. Isliye bua ji ne ye baat aapse puchhi thi.”
“Is baat ke liye mausa ji ne papa se kaha bhi tha ki, bado ke is faisle me tumse kuch puchhne ki ya tumhari sahmati lene ki kya jarurat hai. Magar papa ne unki baat nahi maani aur ye baat tumse puchh lene ko kaha tha.”
“Papa ki ye baat sunkar bua ji ne saaf kah diya tha ki, unhe papa ka bus me jaane ka faisla jara bhi bura nahi laga hai. Isliye iske baare me tumse kuch puchhne ki koi jarurat nahi hai. Lekin papa ne unki baat bhi nahi maani aur unhe hi aapse ye baat puchhne ke liye kah diya.”
“Sath hi aapko apna faisla sunane ke liye bhi kah diya tha ki, punnu ki baat sunne ke bad wo khud is baat me apna faisla suna de. Isliye bua ji ne aapse ye sawal kiya tha aur aapki baat sunkar apna faisla bhi suna diya tha.”
Ami ki is baat ko sunkar, mujhe yakin ho gaya ki, mera bap apne besir pair ki baton se sabki najro me mujhe bura banana chahta hai. Lekin wo aisa kyo kar raha hai, ye meri samajh me nahi aa raha tha.
Mere bap ne mere Mumbai aate jaate rahne ki baat par mausa ji (keerti ke papa) ko bhi bhadka ke rakh diya tha aur unhe mere khilaf le aaya tha. Aisa hi kuch wo humare durgapur jaane wali baat ko lekar kar raha tha.
Wo bina vajah ke humare durgapur jaane ke liye car ki jagah bus le jana chahta tha. Magar iske liye usne meri sahmati ko bich me daal diya tha. Lekin iske liye use meri sahmati nahi mil saki thi.
Mai janta tha ki, mera bap kitna bada kamina hai. Mujhe pura viswas tha ki, is samay mere bap ke dimag mere khilaf koi sajish chal rahi hai. Jo wo mujhe sab taraf bura banane me tula hua tha.
______________________________