Ko To Rok Lo {Update - 192}
____________________________
Nikki ka Sms “Aapse Door Hone Ka Irada Na Tha.
Sada Sath Rahne Ka Vada Na Tha.
Aap Yaad Na Karoge, Ye Jante The Hum,
Par Itni Jaldi Bhool Jaoge Andaza Na Tha.”
Abhi mai keerti ko nikki ka Sms pad kar suna hi raha tha ki, mere pas rakhe priya wale mobile ki bhi Sms tone bajne lagi. Jise sunte hi keerti ne meri peeth par chutki katte huye kaha.
Keerti boli “lo ab priya ka Sms bhi aa gaya hai.”
Nikki ka Sms pad kar sunane ke bad, maine priya wale mobile ka Sms dekha aur fir wo Sms bhi keerti ko pad kar sunane laga.
Priya ka Sms “Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi.
Warna Humko Kaha Tumse Shikayat Hogi.
Ye To Bewafa Logon Ki Duniya Hai.
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi.”
Priya ka Sms sunte hi, keerti ne khilkhilate huye mujhse kaha.
Keerti boli “lagta hai, tumne abhi tak in dono ko call nahi kiya hai. Wo dono bechari tumse baat karne ke liye tadap rahi hai aur tum yaha aate hi, unko bhool kar apne me mast ho gaye. Tum sach me bahut bewafa ho.”
Ye kahte huye, usne mere gaal par kaat liya. Magar is baar usne mujhe sirf naam ke liye nahi kaata tha. Balki sach me badi jor se kaata tha. Uske achanak itni jor se kaat lene se mai hadbada kar rah gaya.
Isi hadbadahat me maine keerti ko apne pas se door dhakela aur apne gaal ko sahlate huye, bed par aakar let gaya aur use ghoor kar dekhne laga. Mujhe is tarah se baukhlata dekh kar, keerti aur bhi jor se khilkhila kar hasne lagi.
Mujhe bhi uski in harkaton se behad shukun mil raha tha. Isliye maine us par jhutha gussa dikhate huye kaha.
Mai bola “pagal ho gayi hai kya. Kab se mujhe bematlab me kaate ja rahi hai. Ab tera yadi mujhe kaatne se dil bhar gaya ho to, ye bata ki, tune priya ko kya Sms kiya tha. Ye dekh uska iske pahle bhi ek Sms aaya tha.”
Ye kahte huye mai keerti ko priya ka pahle wala Sms dikhane laga. Jise dekhne ke bad, keerti ne thoda sanjida hote huye kaha.
Keerti boli “maine priya ko Sms se bataya tha ki, tum abhi mehul ke ghar par hi ho. Apne ghar pahuchte hi tum usko call karoge. Wo isi shart par khana khane gayi thi ki, tum ghar pahuchte hi use call karoge.”
“Isliye wo shayad abhi bhi tumhare call ka intejar kar rahi hai. Tum aisa karo, us se pahle baat kar lo. Mai apna dinner bad me kar lugi.”
Ye kahte huye, wo shararat bhari najro se mujhe dekhne lagi. Maine muh bana kar uski taraf dekha to, wo mujhe call lagane ka ishara karke, mere seene me sar rakh kar let gayi.
Abhi mai nikki ko call lagane hi wala tha ki, tabhi keerti ne apni hand free mere hath me thama di. Maine hand free lagayi aur jaise hi nikki ko call lagane ko hua. Keerti ne mere ek kaan se hand free ko nikal kar apne kaan me laga liya.
Uski is harkat par mujhe hansi aa gayi aur maine muskurate huye, nikki ko call laga diya. Mera call jate hi, nikki ne fauran mera call uthate huye kaha.
Nikki boli “aap to sach me bahut matlabi nikle. Yaha se jate hi, hume bhool gaye.”
Nikki ki is baat par maine muskurate huye kaha.
Mai bola “mai to kisi ko bhi nahi bhoola hu. Lekin tum jarur mere waha se aate hi, mujhe aur meri baat ko bhool gayi ho. Warna abhi bhi mujhe aap aap kah kar nahi pukar rahi hoti.”
Meri baat sunkar, nikki ke hasne ki aawaj aayi aur usne muskurate huye kaha.
Nikki boli “kisi aadat ko jaane me thoda wakt to lagta hi hai. Lekin meri is aadat ki aad lekar, tum apni galti par parda dalne ki koshish mat karo. Yadi maine abhi tumko Sms nahi kiya hota to, tumne abhi bhi mujhe call nahi lagaya hota.”
Mai bola “aisi baat nahi hai. Mai to yaha aate hi, sabko call lagana chahta tha. Lekin yaha aane ke bad, mujhe samay hi nahi mil pa raha tha.”
Ye kahte huye mai use apne yaha aane ke bad ke haalat batane laga. Meri abhi nikki se baat chal hi rahi thi. Tabhi priya ka call aane laga. Priya ka call aate dekh kar maine ye baat nikki ko batayi aur use good night bol kar call rakh diya.
Mere call rakhte hi, keerti ne mere seene se apna sar utha kar, mujhe hairani se dekhte huye kaha.
Keerti boli “are tumne call kyo rakh diya. Lage hath priya se bhi baat kar lena tha na.”
Mai bola “priya se baat karne ke liye hi to, maine call rakha hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne mujhe muskura kar dekha aur apna sar na me hilate huye, wapas mere seene par sar tika kar baith gayi. Mujhe uske is tarah se muskurane ka matlab samajh me nahi aaya to, maine us se puchha.
Mai bola “tu is baat par is tarah se kyo hans rahi hai. Kya maine koi galat baat kah di.”
Keerti boli “tum bilkul buddhu ho. Unke ek sath aaye Sms ko dekh kar bhi, itni si baat tumhari samajh me nahi aayi ki, wo dono is samay ek sath hai. Ab bekar ki baton me samay barbad mat karo aur priya se bhi baat kar lo.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine muskurate huye priya ko call laga diya. Mera call jate hi priya ne fauran call uthate huye kaha.
Priya boli “tum bahut bade jhuthe ho. Jab tumhe mujhse baat karni hi nahi thi to, jhutha vada karne ki kya jarurat thi. Kya kisi ko is tarah intejar karwana achi baat hai.”
Priya ki is baat ko sunkar, keerti ke sath sath mujhe bhi hansi aa gayi. Keerti isliye hans rahi thi. Kyoki kuch der pahle usne bhi priya ko lekar mujhse yahi baat kahi thi. Maine hanste huye priya ki is baat par safayi dete huye kaha.
Mai bola “tum galat soch rahi ho. Yadi mujhe tumse baat nahi karni hoti to, mai abhi bhi tumko call nahi lagata. Mujhe abhi itne samay tumko call karne ki kya jarurat thi.”
Priya boli “ab apni safayi dene ki koshish mat karo. Sach to ye hai ki, tumko mujhse baat hi nahi karni thi. Wo to maine tumko kisi ke sath baat karte range hathon pakad liya hai. Warna tum bad me mujhse kah dete ki, tumhari nind lag gayi thi.”
Mai bola “ab tum fir galat soch rahi ho. Abhi mai kisi aur se nahi, balki nikki se baat kar raha tha. Tum chaho to abhi nikki se ye baat puchh sakti ho.”
Priya boli “mujhe kisi se kuch nahi puchhna. Tumhari ye baat yadi sach bhi hai. Tab bhi iska matlab ye hi hota hai ki, tumhe sabse aakhiri me mujhse baat karne ki yaad aayi hai.”
Mai bola “yaar aisa kuch nahi hai. Tum jara meri pareshani ko bhi samajhne ki koshish karo.”
Ye kahte huye, mai nikki ki tarah priya ko bhi apne yaha aane ke bad ki baten batane laga. Jise sunne ke bad, priya ne hanste huye kaha.
Priya boli “niti didi ne sirf waha hi nahi, balki yaha bhi tumhari pol khol kar rakh di hai.”
Priya ki is baat ko sunkar, maine hairan hote huye priya se kaha.
Mai bola “kyo, kya hua. Ab niti ne waha mere baare me kya bol diya.”
Meri is baat par priya ne hanste huye kaha.
Priya boli “niti didi se yaha sabko pata chal gaya hai ki, tum plane baithte hi, ladkiyon ki tarah foot foot kar rone lage the.”
Ye baat bol kar priya ek baar fir khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti apne muh par hath rakh kar apne aapko hasne se rokne ki koshish karne lagi. Priya aur keerti dono ko niti ki is harkat par hansi aa rahi thi.
Magar mujhe niti ki is harkat par chid chhut rahi thi. Lekin maine apni is baat par parda dalte huye priya se kaha.
Mai bola “apno se door hone ka dard kise nahi hota hai. Mujhe bhi apno se door hone ka dard hua aur is dard ne mujhe aansu bahane ke liye majbur kar diya. Ab koi ise ladkiyon wali baat samjhe to, mai kya kar sakta hu.”
“Lekin maine dekha hai ki, kuch ladkiyan aisi bhi hoti hai. Jinhe kisi se door hone par koi farak nahi padta. Unki aankh me to kisi se door hoti samay ek aansu bhi nahi aata hai. Ab kya aise me, ise tum ladko wali baat kahogi.”
Meri ye baat sunkar, priya samajh gayi ki, mera ye ishara usi ki taraf hai. Usne meri is baat par bhanbhanate huye kaha.
Priya boli “hey, ye tum ghuma fira kar mujhe taane kyo maar rahe ho. Ab yadi mujhe tumhare jaane par rona nahi aaya to, kya mai jabardasti rone ko baith jati. Mai to tumko sirf niti didi ki baat bata rahi thi aur tum mujhe hi taana marne lage.”
Mai bola “maine to wo hi baat kahi hai, jo sach hai. Ab sach baat buri to lag hi jati hai.”
Meri is baat ke jabab me priya ne muskurate huye kaha.
Priya boli “acha, aisi baat hai. To lo, ab bura manne ki tumhari baari hai.”
Priya ki is baat par maine chuakte huye kaha.
Mai bola “kya matlab.?”
Lekin meri is baat ke jabab me priya ne ek shayari karte huye kaha.
Priya ki shayari “Kayi Jakhm Aise Hote Hai, Jo Dikhaye Nahi Jate.
Kayi Raaz Aise Hote Hai, Jo Bataye Nahi Jate.
Kuch Log Hote Hai, Jindagi Me Khas Itne.
Ki Unke Samne Aansu, Kabhi Bahaye Nahi Jate.”
Priya ki shayari sunte hi, mujhe uske bura manne wali baat ka matlab samajh me aa gaya tha aur maine us par jhallate huye kaha.
Mai bola “maine tumko……...”
Abhi mai apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki, priya ne meri baat ko bich me hi kaatte huye kaha.
Priya boli “maine tumko kitni baar bola hai ki, mujhe ye sher aur shayari bilkul bhi samajh me nahi aati.”
Itna bol kar, wo apni kahi baat par khud hi khilkhila kar hasne lagi aur uske sath sath mere aur keerti ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Use hansta hua dekh kar, mere dil ko bhi shukun mehsus ho raha tha. Isliye maine is baat ko aage badate huye kaha.
Mai bola “achi baat hai. Abhi to tum shayari ki baat par mera majak uda lo. Lekin mai bhi tripti ka pata laga kar, us se sher aur shayari seekh kar, tumhe iska jabab jarur duga. Tab dekhuga ki, tum mera majak kaise bana pati ho.”
Meri is baat par priya ne mujhe chhedte huye kaha.
Priya boli “hey, yadi tumne us pagal tripti ka pata lagane ki koshish ki to, mai tumhari tripti ko bhadka dugi. Fir sher aur shayari seekhna to door ki baat hai. Tumhe jo gaana gana aata hai, tum wo bhi bhool jaoge.”
Priya ki is baat par maine bhi darne ka natak karte huye kaha.
Mai bola “are, mai tumse sirf majak kar raha tha. Tum niti ki tarah kahin sach me aag lagane ka kaam mat kar dena. Warna is baat ko sunkar, tripti to meri jaan hi le legi.”
Meri baat ko sunkar, priya fir khilakhilane lagi aur keerti mere seene se apne sar ko utha kar, mera chehra dekhne lagi. Maine muskurate huye keerti ka chehra wapas apne seene par rakh liya aur uske sar par hath ferne laga.
Wahi jab priya ka khilkhilana thama to, usne kuch sanjida hokar, tripti ki vakalat karte huye kaha.
Priya boli “tum tripti ko bekar me badnaam kar rahe ho. Wo bilkul bhi aisi nahi hai. Tum bahut kismat wale ho, jo tumhe tripti jaisi pyar karne wali ladki mili hai.”
Priya ki ye baat sunkar, mere hath, keerti ke sar par chalte chalte ruk gaye. Mujhe keerti ke pyar ke baare me kisi se janne ki koi jarurat nahi thi. Lekin priya ki is baat ne mujhe uske khayal janne ko majbur kar diya aur maine us se kaha.
Mai bola “tumhari to us se sirf ek baar baat huyi hai. Fir tum uske baare me, ye baat itne yakin se kaise kah sakti ho.”
Priya boli “tumhari khushi ke liye usne mujhse baat ki thi. Is se bad kar, uske pyar ka tumhe aur kya sabut chahiye.”
Priya ki is baat me bahut dam tha. Fir bhi maine is baat ko taalte huye kaha.
Mai bola “tumse baat karne ki uski khud ki marji thi. Maine use tumse baat karne ko nahi kaha tha. Fir isme meri khushi kaha se aa gayi.”
Priya boli “haan, tumhari ye baat sahi ho sakti hai. Lekin bhagwan ne tumhe mehsus karne ke liye dil aur bahane ke liye sirf aansu hi nahi diye. Balki tumhari khopdi me ek 50 gram ka bheja bhi diya hai.”
“Kabhi kabhi tum apne us bheje ka bhi istemal kar liya karo. Uske istemal karne se wo ghat nahi jayega. Balki tum aise betuke sawal karne se bach jaoge.”
Priya ki ye baat sunkar, keerti ki hansi chhut gayi aur usne apna chehra mere seene me chhupa liya. Wahi mai priya ki is baat ko sun kar sann rah gaya. Usne ek teer se do nishane laga diye the.
Ek to usne meri baat ka jabab de diya tha aur dusra kuch der pahle maine use jo na rone ka taana maara tha, uska badla bhi le liya tha. Keerti ko priya ki in baton me maja aa raha tha. Isliye maine bhi isi baat ko aage badate huye kaha.
Mai bola “tum kahna kya chahti ho. Jo kahna hai, saaf saaf kyo nahi kah deti.”
Priya boli “tumko saaf saaf hi sunna hai to, wo bhi sun lo. Duniya ki aisi kaun si ladki hogi, jo us ladki se khushi khushi baat karna chahegi, jo ladki uske boyfriend se pyar karti ho.”
“Tripti ne tumko meri narajgi ki vajah se pareshan dekha hoga. Jis vajah se usne tumhari khushi ke liye, khud se mere se baat ki aur fir tumhe mumbai dikhane ke bahane se mere sath ghumne ki ijajat bhi de di.”
“Jitna pyar wo tumko karti hai, utna pyar tumhe koi nahi kar sakta. Wo sirf tumse hi nahi, balki tumse judi har chij se pyar karti hai. Ab meri baat tumhari samajh me aayi ya fir mai is baat ko aur bhi jyada saaf karke batau.”
Priya ki is baat par maine hanste huye us se kaha.
Mai bola “haan, haan, meri samajh me sab kuch aa gaya hai. Lekin ab bahut jyada raat ho gayi hai. Ab yadi tumhara baat karna ho gaya ho to, hume so jana chahiye.”
Priya boli “ok, apna aur tripti ka khayal rakhna. Good night.”
Mai bola “ok kal baat karte hai. Good night.”
Itna bol kar maine priya ka call rakh diya. Priya ka call rakhne ke bad, maine keerti se kaha.
Mai bola “ye le, meri priya se bhi baat ho gayi. Ab tu bata ki, kya tujhe abhi bhi lagta hai ki, priya aur nikki ek sath hai.”
Meri ye baat sunkar, keerti ne hasna suru kar diya aur mere gaal par chutki kaatte huye kaha.
Keerti boli “haan, wo dono ek sath hi hai. Tabhi to nikki se baat karte samay priya ka call bhi aa gaya tha.”
Mai bola “ye to usne ye dekhne ke liye lagaya tha ki, mai use call kyo nahi kar raha hu.”
Keerti boli “nahi, aisa nahi hai. Nikki se tumhari jyada lambi baat chalti dekh kar hi, priya ne tumhe call lagaya tha. Taki tum nikki ka call rakh kar, us se baat karo. Yadi aisa nahi hota to, tumhara call busy dekh kar, use ye lagta ki, tum mujhse baat kar rahe ho.”
“Aise me use humari baat me rukawat dalne ka pachhtawa hota aur wo sabse pahle tumse humari baat me rukawat dalne ke liye sorry bolti. Lekin uski baton se aisa kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.”
Keerti ki baat sunkar mai hairani se usko dekhne laga. Lekin mujhe aisa hone me bhi koi badi bhari baat najar nahi aa rahi thi. Isliye maine keerti ki is baat ko kaatte huye us se kaha.
Mai bola “chal mai maan leta hu ki, is samay priya aur nikki ek sath hai. Lekin unka ek sath rahna koi badi baat nahi hai. Kyoki nikki priya ki vajah se hi uske ghar me rahti hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne thoda gambhir hote huye kaha.
Keerti boli “tumko kya lagta hai ki, tumko waha par itne saare logon ka pyar aur sath kiski vajah se mila hai.”
Keerti ki is baat par maine bina ek pal ki der kiye hi, us se kaha.
Mai bola “isme lagna kya hai. Tu khud janti hai ki, ye sab riya aur nikki ki vajah se hi hua hai. Yadi riya mujhe apne ghar nahi le gayi hoti aur waha meri nikki se mulakat nahi hoti to, mai itne logon se kabhi nahi mil pata.”
Meri is baat par keerti ne muskurate huye kaha.
Keerti boli “kya tumne kabhi is baat ko socha hai ki, jab pahle din hi tumne nikki ke sath jhagra kar liya tha to, fir wo dusre din khud se tumhari madad karne ke liye kyo aakar khadi ho gayi thi.”
Mai bola “isme sochna kya hai. Usne khud bataya tha ki, us hospital me uski ek friend ke bhai doctor hai. Wo unhe bhai manti hai aur un se hum logon ko bahut madad mil jayegi. Jis vajah se wo humare sath gayi thi.”
Keerti boli “pahle mujhe bhi nikki ki ye baat sahi lag rahi thi. Lekin priya tumhe kab se pyar karti hai. Ye baat janne ke bad, ab mujhe in sab baton ki sachchai kuch aur hi najar aa rahi hai.”
Keerti ki is baat ko sunkar, mai samajh gaya tha ki, uska ishara kis taraf hai. Isliye maine chuakte huye kaha.
Mai bola “tu kahna kya chahti. Kahin tujhe is sabke pichhe priya to najar nahi aa rahi hai.”
Keerti boli “haan, sach yahi hai ki, is sab ke pichhe priya hi hai. Jis din tumhare mumbai jaane ki baat tay huyi thi. Tumne usi din riya ko bata diya tha ki, tum mumbai aa rahe ho. Ye baat agle din riya ne apne ghar walon ko batayi hogi.”
“Priya ne to tumhari tasvir pahle hi riya ke mobile me dekh li thi. Jab use pata chala hoga ki, tum aa rahe ho to, usne kisi tarah se tum logon ko apne ghar me rukwane ke liye apne ghar walon ko taiyar kar liya hoga.”
“Fir waha par tumhare nikki se jhagra kar lene ke bad bhi, usne nikki ko tumhare sath jaane ke liye majbur kiya hoga. Jiske bad tumhari nikki se dosti ho gayi aur hum har baat hone ki vajah nikki ko hi samajhne lage the.”
Itna bol kar keerti chup ho gayi. Lekin uski is baat ne mujhe sochne par majbur kar diya tha. Lekin abhi bhi mere man me kuch aise sawal the. Jinki vajah se mai keerti ki is baat ko sach manne ke liye taiyar nahi tha.
Keerti ko bhi shayad ye baat mehsus ho gayi thi ki, mujhe uski is baat par yakin nahi ho raha hai. Isliye usne mujhse kaha.
Keerti boli “kya hua.? Kya tumhe meri ye baat sahi nahi lag rahi hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine apni khamoshi todte huye kaha.
Mai bola “tu shayad bhool gayi hai ki, mere kisi ladki ko pyar karne wali baat, nikki ko pahle din hi pata chal gayi thi. Jabki priya ko ye baat mere janamdin ke din pata chali thi.”
“Yadi nikki priya ki vajah se hi mera sath de rahi hoti to, usne ye baat pahle din hi priya ko bata di hoti. Lekin nikki ne aisa kuch bhi nahi kiya. Jiska matlab saaf hai ki, jaisa tu kah rahi hai, waisa kuch bhi nahi hai.”
Meri is baat ko sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.
Keerti boli “bhool mai nahi rahi hu. Bhool to tum rahe ho ki, priya dil ki marij hai aur tumhare ghar chhod kar chale jaane se hi uski kya halat ho gayi thi. Inhi sab baton se bachne ke liye nikki ne priya se ye baat chhupa kar rakhi hogi.”
“Warna tum khud soch kar dekho ki, jo nikki tumse dosti nibhane me pichhe nahi hati. Wo apni bachpan ki saheli ke sath dosti me kaise dhokha kar sakti hai. Tum mano ya na mano. Lekin sach wo hi niklega, jo maine tumse bataya hai.”
Itna bol kar keerti chup ho gayi. Lekin ab mujhe bhi uski in baton par yakin hone laga tha. Isliye maine us se shikayat karte huye kaha.
Mai bola “jab tujhe in sab baton ka aehsas pahle se hi tha to, tune mujhe ye baat pahle kyo nahi batayi.”
Keerti boli “nahi, mujhe in baton ka aehsas pahle se nahi tha. Mere dimag me ye baten tab aayi, jab mujhe pata chala ki, priya tumhe pichhle ek saal se janti hai. Isi vajah se maine priya se ankita nahi tripti ban kar baat ki thi.”
“Taki der saver yadi use nikki se is baat ka pata chal bhi jaye ki, tum kis ladki ko pyar karte ho to, uske dil ko is baat ki thes na lage ki, tumne kisi galat ladki se uski baat karwayi thi.”
Keerti ki ye baat sunkar, mujhe priya ki kahi baat yaad aa gayi ki, tripti sirf tumse hi nahi, balki tumse judi har chij se pyar karti hai. Ye baat yaad aate hi, mere chehre par muskurahat aa gayi.
Mai muskurate huye bade gaur se uska chehra dekhne laga. Mujhe itni gaur se apna chehra dekhte dekh kar, keerti ne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “kya hua.? Mujhe dekh kar muskura kyo rahe ho.”
Mai bola “kuch nahi, mai ye dekh raha hu ki, aaj teri aankhon me nind nahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne mujhe jor se apni bahon me jakad liya aur fir dhire se kaha.
Keerti boli “nahi, aaj mujhe nahi sona, aaj to hum saari raat baat karege.”
Mai bola “nahi, abhi teri tabiyat sahi nahi hai. Abhi tera jyada jagna thik nahi hai. Ab bahut raat ho gayi hai. Ab tu so ja.”
Ye kahte huye maine keerti ki aankhon par hatheli fer kar, uski aankhen band kar di aur fir uske sar par hath ferne laga. Usne apni aankhne nahi kholi. Lekin dhire se mujhse kaha.
Keerti boli “ek baat puchhu.”
Mai bola “tujhse kaha na, ab koi baat nahi. Baki ki baat kal karege.”
Keerti boli “sirf ek aakhiri baat.”
Mai bola “chal puchh le.”
Keerti boli “tum jab se aaye ho. Tumhe ek baar bhi mausa ji dikhayi nahi diye hai. Tab bhi tumne kisi se iske baare me nahi puchha. Kya tumko pata hai ki, mausa ji kaha hai.”
Mai bola “mujhe nahi pata ki, wo kaha hai aur na hi mujhe iske baare me pata karne ki jarurat hai. Magar mai itna jarur janta hu ki, vaani didi ke aate hi, unka koi na koi business tour nikal aata hai. Abhi bhi shayad wo kisi business tour par hi chale gaye hoge.”
Meri baat sunkar, keerti khilkhila kar hasne lagi. Lekin meri baat ke jabab me usne kuch bhi nahi kaha. Jiska matlab saaf tha ki, maine abhi jo baat kahi hai, wo puri tarah se sahi hai.
Iske bad na to keerti ne kuch kaha aur na hi maine us se kuch kaha. Wo mujhe mujhe pakad kar leti rahi aur mai uske sar par hath ferta raha. Kuch hi der me uski nind lag gayi aur uska chehra dekhte dekhte pata nahi kab meri bhi nind lag gayi.
Subah keerti ki aawaj sunkar meri nind khul gayi. Lekin mujhe abhi bhi bahut nind aa rahi thi. Fir bhi keerti ki aawaj sunkar, maine aankh kholi to, wo mere kamre ke darwaje par khadi, chanda mausi ko aawaj laga rahi thi.
Maine use is tarah apne darwaje par khade hokar chillate dekha to, us par chid-chidate huye kaha.
Mai bola “ye tu subah subah apna gala faad kar chillana band kar aur mujhe chain se sone de.”
Itna bol kar, maine fir se sone ke liye apni aankh band kar li. Lekin meri aawaj sunte hi, keerti mere pas aa gayi aur mujhe hilate huye kaha.
Keerti boli “tum ghode bech kar bade aaram se so rahe ho. Jara uth kar dekho ki, tumhari ladli ne, tumhare kamre ke sath sath, pure ghar ka kya haal bana kar rakh diya hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine fir se aankh kholi aur kamre me yaha waha dekhne laga. Lekin mujhe kahi koi baat najar nahi aayi. Magar jaise hi meri najar farsh par padi, ek pal me hi meri saari nind gayab ho gayi aur mai hadbada kar, uth kar baith gaya.
______________________________