- 3,273
- 16,627
- 159
Ko To Rok Lo {Update - 193}
____________________________
Subah keerti ki aawaj sunkar meri nind khul gayi. Lekin mujhe abhi bhi bahut nind aa rahi thi. Fir bhi keerti ki aawaj sunkar, maine aankh kholi to, wo mere kamre ke darwaje par khadi, chanda mausi ko aawaj laga rahi thi.
Maine use is tarah apne darwaje par khade hokar chillate dekha to, us par chid-chidate huye kaha.
Mai bola “ye tu subah subah apna gala faad kar chillana band kar aur mujhe chain se sone de.”
Itna bol kar, maine fir se sone ke liye apni aankh band kar li. Lekin meri aawaj sunte hi, keerti mere pas aa gayi aur mujhe hilate huye kaha.
Keerti boli “tum ghode bech kar bade aaram se so rahe ho. Jara uth kar dekho ki, tumhari ladli ne, tumhare kamre ke sath sath, pure ghar ka kya haal bana kar rakh diya hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine fir se aankh kholi aur kamre me yaha waha dekhne laga. Lekin mujhe kahi koi baat najar nahi aayi. Magar jaise hi meri najar farsh par padi, ek pal me hi meri saari nind gayab ho gayi aur mai hadbada kar, uth kar baith gaya.
Mere pure kamre me paani bhara hua tha. Jab mujhe iski vajah samajh me nahi aayi to, maine keerti se puchha.
Mai bola “ye sab kya hai.? Ye kisne kiya hai.?”
Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.
Keerti boli “ye saari karamat tumhari ladli nimi ki hai. Usne hi saare ghar ko pani se bhar kar rakh diya hai.”
Keerti ki baat sunkar maine chaukte huye kaha.
Mai bola “lekin nimi mere kamre me kya kar rahi thi aur usne ye sab kyo kiya.”
Keerti boli “aaj use swimming pool me nahane ka shauk chada tha. Wo apne bathroom me swimming pool banana chahti thi. Lekin ami ne use aisa nahi karne diya. Mai apna mobile tumhare kamre me bhool gayi thi aur usi samay apna mobile lekar tumhare kamre se nikal rahi thi.”
“Nimi ne mujhe tumhare kamre se bahar nikalte dekh liya aur mere bad wo tumhare kamre me ghus gayi. Fir usne tumhare bathroom me pani ki nikasi ko kapde se band kar diya aur bathroom ko pani se bhar kar nahane lagi. Usne socha hoga ki, kapde laga dene se pani bahar nahi aayega.”
“Lekin pani pahle tumhare kamre me faila aur fir dhire dhire tumhare kamre se bahar nikal kar sidiyon se niche jaane laga. Niche pani aata dekh kar chanda mausi bhagti huyi upar aa gayi. Usi samay mai bhi apne kamre se bahar nikal kar aa rahi thi.”
“Maine chanda mausi ko upar aate dekha aur tumhare kamre se pani bahar nikalte dekha to, chanda mausi ke sath mai bhi tumhare kamre me aa gayi. Tumhare kamre me aakar humne dekha ki, pani tumhare bathroom se nikal raha hai aur bathroom ke andar koi hai.”
“Hum logon ne aawaj laga kar darwaja khulwaya aur nimi ke darwaja kholte hi, bahut saara pani bahar nikal kar tumhare kamre me bhar gaya. Tabhi mausi bhi upar aa gayi thi aur gusse me nimi ko pakad kar niche le gayi hai.”
Keerti ki ye baat sunte hi, mai fauran uth kar khada ho gaya aur kamre se bahar jaane laga. Mujhe kamre se bahar jate dekh kar, keerti ne kaha.
Keerti boli “ab tum kaha ja rahe ho.”
Mai bola “mai us nimi ki bachchi ki khabar lene ja raha hu. Usne mere kamre ka kya haal bana kar rakh diya hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “rahne do, ye tumse nahi hoga. Tumhare jaane se mausi bhi use kuch nahi bol payegi.”
Lekin maine keerti ki baton ko ansuna kar diya aur kamre se bahar jaane laga. Mujhe niche jate dekh kar, keerti bhi bhagte huye, mere pichhe pichhe aa gayi. Hum dono niche pahuche to, chhoti maa nimi par gussa kar rahi thi.
Nimi sirf ek underwear me unke samne sar jhuka kar khadi chhoti maa ki daant sun rahi thi. Lekin jaise hi uski najar mujh par padi, wo bhagte huye mere pas aa gayi. Mere pas aate hi, usne sisakna suru kar diya.
Apni masum bahan ko sisakte dekh kar, mera dil bhar aaya aur mai apna saara gussa bhool gaya. Maine fauran use apni god me utha liya aur use bahlate huye chup karane ki koshish karne laga.
Chhoti maa ne mujhe nimi ko chup karate dekha to, wo nimi ka gussa mujh par utarne lagi. Lekin mai unke gusse ko andekha karke, nimi ko apne sath apne kamre me lekar aa aaya.
Mere sath sath keerti aur ami bhi upar aa gayi. Upar aakar maine kisi tarah nimi ko chup karaya aur fir use bahla kar ami ke sath uske kamre me bhej diya. Unke mere kamre se jaane ke bad, keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “mujhe pahle hi pata tha ki, tum nimi ko kuch nahi kah paoge aur tumhare niche pahuch jaane se mausi bhi nimi ko kuch nahi kah payegi.”
Keerti ki is baat par maine use jhutha gussa dikhate huye kaha.
Mai bola “ye sab tera hi kiya hua hai. Na tu nimi ke samne mere kamre se bahar nikalti aur na hi ye sab hua hota.”
Meri is baat par keerti ne tunakte huye kaha.
Keerti boli “ulta chor, kotwal ko daante. Tumhare kamre me itna sab hota raha aur tum aaram se ghode bech kar sote rahe. Ab saara dosh mujhko de rahe ho. Yadi ye sab mere tumhare kamre me aane ki vajah se hua hai to, aaj ke bad mai tumhare kamre me nahi aaugi.”
Maine keerti ki is baat ko sunkar, apni safayi dena chaha. Lekin wo meri baat ko ansuna karke, mere kamre se bahar nikal gayi. Mai to majak me use chhed raha tha. Lekin wo sach me naraj ho gayi thi.
Kuch der mai keerti ki narajgi ke baare me sochta raha aur fir uth kar fresh hone chala gaya. Mai fresh hokar aaya to, chanda mausi chay nashta lekar aa gayi. Chay nashta karne ke bad, mai taiyar hokar niche aa gaya.
Mai niche pahucha to, keerti akeli baithi thi. Mujhe dekhte hi, usne muh fula liya. Chhoti maa kitchen me keerti ka nashta banane ki taiyari ka rahi thi. Maine unke pas aakar un se kaha.
Mai bola “chhoti maa, aaj keerti ka nashta mai taiyar karuga. Aap jakar bahar baithiye.”
Meri baat sunkar, chhoti maa hasne lagi aur mujhe bahar jaane ke liye samjhane lagi. Lekin maine unki koi baat nahi suni aur unhe kitchen se jana hi pad gaya. Unke jaane ke bad, mai nashta taiyar karne me lag gaya.
Chhoti maa ne shayad, bahar jakar ye baat keerti ko bata di thi. Isliye thodi hi der bad, wo kitchen me aa gayi. Usne apni narajgi ko bhula kar muskurate huye kaha.
Keerti boli “kya mausi ke nashte se mai kam pareshan thi, jo ab tum bhi mujhe pareshan karne ke liye nashta banane me lag gaye.”
Keerti ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “kabhi tune mere hath ka bana nashta nahi kiya hai na. Isliye tujhe aisa lag raha hai. Aaj tu mere hath ka bana nashta karke dekh, tujhe tel masale wala khana bhi feeka lagne lagega.”
Meri baat sunkar, keerti hasne lagi. Fir wo mere pas hi baith gayi aur mujhe nashta banate huye dekhne lagi. Keerti se baat karte karte, maine nashta taiyar kar liya aur fir keerti ko bahar chal kar baithne ko kaha.
Keerti ke bahar jaane ke bad, maine nashta lagaya aur nashta lekar bahar aa gaya. Keerti, chhoti maa aur vaani didi ke sath baithi huyi thi. Mujhe nashta late dekh kar, keerti aur chhoti maa hasne lagi.
Usi samay chanda mausi upar se ami nimi ko lekar aa gayi. Wo dono humare pas chup chap khadi hokar dekhne lagi ki, yaha par kya chal raha. Wahi vaani didi ne jab mujhe nashta late dekha to, mujhe fatkarte huye kaha.
Vaani boli “kya tum mumbai ye sab hi sikhne gaye the, jo waha se aate hi nayi bahu ki tarah kitchen sambhal liya. Ek ladka hokar, ladkiyon wale kaam karte, tumko sharam aana chahiye. Lekin tum to apni saari sharam bech khaye ho.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine nashta keerti ke samne rakh kar, use nashta karne ko kaha aur fir vaani didi ki is baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, jab ladkiyon ke ladkon wale kaam karne me koi sharam wali baat nahi hoti hai to, fir ladkon ke ladkiyon wale kaam karne me sharam wali baat kaise ho gayi.”
“Waise bhi chhoti maa kahti hai ki, ladka ho ya ladki dono ek saman hai. Jab ladkiyan ladkon ke kaam karne me pichhe nahi rahti hai to, fir ladkon ko bhi kisi kaam me ladkiyon se pichhe nahi rahna chahiye.”
“Maine ye sab mumbai se nahi, balki chhoti maa se seekha hai. Mumbai jakar to, maine sirf itna jana hai ki, meri chhoti maa duniya ki sabse achi maa hai aur unki sikhayi kisi baat ke liye, mujhe sharam mehsus karne ki jarurat nahi hai.”
Itna kah kar mai muskurate huye, vaani didi ke pas baithi chhoti maa ke pas aa gaya aur unke gale me bahen daal kar un se lipat gaya. Vaani didi ne meri baat sunne ke bad, ek najar nashte ki taraf dekha aur fir mujhse kaha.
Vaani boli “lekin tumko malum hai ki, abhi keerti ki tabiyat sahi nahi hai aur uske liye ye sab khana mana hai. Aise me tumko uske liye ye sab nahi banana chahiye tha.”
Vaani didi ki baat sunte hi, ami ki samajh me aa gaya ki, keerti ka nashta maine banaya hai aur usi baat par vaani didi mujhe fatkar laga rahi hai. Ye baat samajh me aate hi, ami nashte ke upar jhuk kar uski khushbu lene lagi.
Ami ki is harkat se, sab hairani se uski ko dekhne lage. Ami ne nashte ki khushbu ko sungha aur fir vaani didi se mera bachav karte huye kaha.
Ami boli “didi, ye to daliya, papita aur nibu pani hai. Mummy bhi to keerti didi ko nashte me ye hi sab bana kar khilati hai. Bhaiya ne inko dusre tarike se banaya hai. Isliye ye aise dikh rahe hai.”
“Hum log to ise bahut baar kha chuke hai aur hume ye bahut jyada pasand hai. Aap bhi yadi ek baar bhaiya ke hath ka bana daliya kha logi to, aap apni biryani ko khana bhool jaogi.”
Ami ki baat sunkar, vaani didi gaur se ami ka chehra dekhne lagi. Sabhi jante the ki, vaani didi ko biryani bahut pasand hai. Isliye ami ne unhe biryani ki misal di thi. Lekin ab jab ami mere banaye nashte ki tarif kar rahi thi to, aise me nimi ka is kaam me pichhe rahne ka sawal hi paida nahi hota tha.
Nimi ne bhi fauran ami ki tarah aage aakar, pahle nashte ki khushbu lene ka natak kiya aur fir vaani didi se kaha.
Nimi boli “didi, bhaiya ke hath ka bana daliya itna testy hota hai ki, uske samne halwa bhi fail hai. Mai to apne janamdin me sabko yahi daliya banwa kar khilaugi.”
Nimi ki ye baat sunte hi, sabke sath sath vaani didi ki bhi hansi chhut gayi. Lekin nimi me itna dimag nahi tha ki, wo humare hasne ka matlab samajh sake. Isliye usne humari hansi ko andekha kar, keerti ke pas baithte huye, us se kaha.
Nimi boli “didi, mujhe bhi aapka nashta karna hai.”
Nimi ki baat sunkar, keerti uski taraf nashta badane lagi. Lekin maine keerti ko aisa karne se rokte huye kaha.
Mai bola “tu inki fikar mat kar, mujhe pahle se hi pata tha ki, ye dono jarur aisa kuch karegi. Isliye maine inke liye bhi nashta bana liya tha. Tu apna nashta kar, mai inke liye nashta lekar aata hu.”
Ye kahte huye mai ami nimi ke liye nashta lene jaane laga. Lekin tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.
Vaani boli “abhi maine bhi nashta nahi kiya hai. Mere liye bhi thoda nashta le aana.”
Vaani didi ki baat sunte hi, mere chehre par muskurahat aa gayi aur mai nashta lene kitchen me chala gaya. Maine sabko nashta lakar diya aur fir chhoti maa ke pas baith kar, sabko nashta karte dekhne laga.
Ami, nimi aur keerti ne to, nashta muh me rakhte hi, nashte ki tarif karna suru kar diya. Ami nimi to aisi thi ki, yadi mai unhe namak ka pani bhi sharbat bol kar de deta to, wo dono isi baat par bahas karti najar aati ki, un dono me se kiska sharbat jyada meetha hai.
Iske bad rahi keerti ki baat to, uske liye, ye hi bahut khushi ki baat ho gayi thi ki, maine uske liye apne hathon se nashta taiyar kiya hai. Wo to mere diye dard me bhi, kabhi koi nukhsh nahi nikalti thi, fir meri di huyi khushi me uske koi nukhsh nikalne ka sawal hi paida nahi hota tha.
In teeno se hi, mere banaye nashte me koi kami jaan pana, bilkul samundar me giri pani ki boond ko dudhne jaisa tha. Jis vajah se in teeno se apne nashte ki tarif sun lene ke bad bhi, meri najar vaani didi par hi tiki huyi thi.
Magar jab nashta ho jaane ke bad bhi vaani didi ne nashte ke baare me kuch nahi bola to, maine khud hi vaani didi se kaha.
Mai bola “didi, aapko nashta kaisa laga.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne apne chehre par bina kisi bhav ko laye, ek najar meri taraf dekha aur fir khade hote huye kaha.
Vaani boli “thik hi hai, mere jaane ke pahle mujhe biryani bana kar bhi khila dena.”
Itna bol kar vaani didi apne kamre ki taraf chali gayi. Lekin vaani didi ke muh se itna sunte hi mera chehra khil utha. Kyoki vaani didi ek hansni ki tarah thi. Jo doodh me mile pani me se sirf doodh ko hi peeti thi aur pani ko chhod deti thi.
Wo chand me bhi daag dud nikalne wali thi. Aise me uske muh se mere hath ke nashte ka thik hona aur mere hath ki biryani khane ki baat nikalna bhi, kisi tarif se kam nahi tha.
Mai to vaani didi ki itni hi baat se khush ho gaya tha. Vaani didi ke humare pas se jaane ke bad, maine palat kar keerti ki taraf dekha. Lekin wo ami nimi ko gaur se dekhne me lagi thi.
Keerti ke sath sath meri najar bhi ami nimi ki taraf chali gayi. Ami nimi gusse me vaani didi ko jate huye dekh rahi thi. Unko shayad vaani didi ki baat pasand nahi aayi thi.
Vaani didi ke jate hi, chhoti maa ne ami nimi ko tokte huye, taiyar hone ko kaha aur apne sath le gayi. Unke jaane ke bad, keerti uth kar mere pas aa gayi aur fir chhoti maa ke kamre me jati, ami nimi ki taraf dekhte huye kaha.
Keerti boli “tumne ami nimi ka gussa dekha. Wo vaani didi ko kaise gusse me ghoor kar dekh rahi thi.”
Keerti ki is baat par maine hanste huye kaha.
Mai bola “isme itna hairan hone wali koi baat nahi hai. Un dono ke samne yadi koi mujhse akad dikha kar baat karta hai ya fir meri baat ka sahi se jabab nahi deta hai to, unko gussa aa hi jaata hai.”
“Lekin humare liye khushi ki baat ye hai ki, ab wo dono pahle wali ami nimi nahi rah gayi hai. Unhe apne gusse par kabu pana aa gaya hai. Warna yadi wo pahle wali ami nimi hoti to, abhi tak vaani didi se jhagarna suru kar deti.”
Meri baat sunkar, keerti ne khilkhila kar hanste huye kaha.
Keerti boli “tum jaisa soch rahe ho, waisa kuch bhi nahi hai. Wo dono abhi bhi tumhare khilaf kuch nahi sun sakti hai. Lekin ye un dono ki majburi hai ki, wo chah kar bhi vaani didi se jhagra nahi kar pa rahi hai.”
Keerti ki is baat par maine hairan hote huye us se kaha.
Mai bola “kyo, kya hua. Kya kisi ne unse kuch kaha hai.”
Keerti boli “vaani didi ne yaha aate hi, gusse me tumhe bahut bhala bura bolna suru kar diya tha. Ye baat ami nimi ko sahan nahi huyi. Un dono ne vaani didi se jhagra karna suru kar diya tha.”
“Mausi dono ko chup karane ki koshish karti rahi. Lekin jab dono chup nahi huyi to, mausi ne gusse me un par hath utha liya. Lekin vaani didi ne mausi ko nimi par hath uthane se rok diya.”
“Iske bad vaani didi ne un dono ko dhamki di thi ki, ab yadi dono me se kisi ne bhi, unke sath badtamiji karne ya un se juban ladane ki koshish bhi ki to, wo un dono ko to, kuch nahi kahegi. Lekin tumhe apne sath puna lekar chali jayegi.”
“Us samay mausi ne bhi vaani didi ki haan me haan milate huye unse kah diya ki, ab yadi wo dono vaani didi ke sath koi badtamiji karti hai to, vaani didi ko tumhe apne sath puna le jaane ki puri chhut hai.”
“Isi vajah se wo dono vaani didi ki kisi baat ko sunkar bhi unke sath koi badtamiji nahi kar rahi hai aur na hi un se juban ladane ki galti kar rahi hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, mai soch me pad gaya. Mujhe soch me pada dekh kar keerti ne iski vajah puchhi to, maine us se kaha.
Mai bola “ab mujhe samajh me aa raha hai ki, airport se lekar abhi tak ami nimi, vaani didi ki har baat ko sunkar bhi chup kyo hai. Lekin ye sirf tufan ke aane ke pahle ki shanti hai. Wo itni jaldi haar manne walon me se nahi hai.”
Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “tum bilkul sahi soch rahe ho. Maine un dono ki baten suni thi. Wo dono sirf tumhare aane ka intejar kar rahi thi aur ab tumhare sath mil kar vaani didi ko sabak sikhayegi.”
“Abhi unko tumse baat karne ka mauka nahi mila hai. Isliye wo abhi tak shant chal rahi hai. Lekin tumse baat hote hi, wo tumhare samne sabse pahle vaani didi ko sabak sikhane wali baat rakhne wali hai.”
Itni baat bol kar keerti fir se khilkhilane lagi. Lekin uski is baat ne mujhe aur bhi jyada soch me daal diya tha. Mujhe soch me pada dekh kar, keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “abhi to jang suru bhi nahi huyi aur tum abhi se soch me pad gaye.”
Mai bola “tujhe majak sujh raha hai. Tu nahi janti ki, ami nimi mujhe vaani didi ko sabak sikhane ke liye kis kis tarike se taiyar karegi aur kya tu vaani didi ke gusse ko nahi janti hai ki, wo jara si bhi badtamiji sahan nahi karti hai.’
“Tune dekha to tha ki, kaise un ne mehul ko pata chale bina hi, use dhool chata di thi. Ab pata nahi mera kya haal hone wala hai. Mai to yaha wapas aakar fas gaya hu. Is se acha to ye hi hota ki, mai kuch din mumbai me aur ruk jata.”
Meri baat sunkar, keerti fir se khilkila kar hasne lagi. Lekin mai use kuch bol pata, us se pahle hi, mehul ka call aane laga. Mai apna gussa us par utarna chahta tha. Magar mere kuch bol pane ke pahle hi, usne mujhse kaha.
Mehul bola “sun, mai kuch din ke liye mama ke ghar ja raha hu aur mera number band rahega.”
Mehul ki baat sunkar, mujhe samajh me aa gaya ki, wo achanak mama ke ghar kyo bhag raha hai. Maine keerti ko mehul ke jaane ki baat batayi to, usne mere hath se mobile le liya aur mehul se baat karne lagi.
Keerti ne mehul ko samjha diya ki, usne vaani didi ko sab samajha diya hai. Wo unse phone par baat karke unse sorry bol de to, vaani didi ka raha saha gussa bhi khatam ho jayega aur use unse muh nahi chhupana padega.
Mehul ki vaani didi ko call karne ki himmat to nahi ho rahi thi. Fir bhi keerti ke samjhane par usne aisa karne ki haami bhar di. Mehul ke call rakhne ke bad, keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “vaani didi ko dekhte hi, sab ke sab ghar chhod kar bhagne ki kyo sochne lagte hai.”
Mai keerti ki baat sunkar, us par gussa karne laga aur wo mujhe isi baat ko lekar pareshan karne lagi. Tabhi chhoti maa ami nimi ke sath aa gayi. Wo shayad kahi jaane ki taiyari me thi.
Abhi mai unse iske baare me puchh pata ki, tabhi vaani didi bhi niche aa gayi. Wo bhi kahi jaane ki taiyari me lag rahi thi. Vaani didi ko aate dekh kar chhoti maa ne mujhse kaha.
Chhoti maa boli “mai ami nimi ke sath keerti ko doctor ko dikhane le ja rahi hu. Vaani apne kaam se bank ja rahi hai. Tum bhi vaani ke sath bank chale jao aur tumhare khate me, jitne bhi paise hai. Unme se das hajar chhod kar, baki sab mere khate me daal do.”
Chhoti maa ki ye baat sunkar, maine chaukte huye unse kaha.
Mai bola “lekin chhoti maa mere khate me pahle se hi dedh lakh rupye se jyada the. Mai aisa karta hu ki, dedh laakh rupye apne khate me chhod kar, baki aapke khate me daal deta hu.”
Lekin chhoti maa ne meri baat ko kaatte huye kaha.
Chhoti maa boli “maine tumse jitna karne ko kaha hai, sirf utna karo. Mujhe kuch samjhane ki koshish mat karo.”
Mai bola “lekin chhoti maa….”
Magar chhoti maa ne meri baat ko bich me hi kaatte huye kaha.
Chhoti maa boli “tumne suna nahi, maine kya kaha. Ab iske bad mai kuch bhi sunna nahi chahti.”
Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai chup karke rah gaya. Apni baat kahne ke bad, chhoti maa, keerti logon ko lekar chali gayi. Lekin jate jate wo mera saara mood kharab kar gayi thi aur ek pal me hi mujhe kangal bana gayi thi.
______________________________