Update :::::: 34
****************
Abbbb takkkkk
****************
meri aankhen jhuki hui thee aur mujhe apne chehre par pooja didi ki jalti hui ankhoh se nikalne wali lapten itni door se bhi mehsoos ho rahi theen. main to apna sarr pehle hi sharam se jhuka hi chuka tha. lekin fir dheere dheere mere chehre ke rang bhi badalne lage.......
mujhe ek baat yaad aa gai thi.....
update:26 me maine kaha tha. k pooja didi ki waja se agar koi bhi mujhse compitition rakhe to main jeet jaaonga. kyunki main agar itna kaabil nahi bhi
tha lekin kabhi aisa ho sakta hai k main apni pooja didi ko haarte huye dekhon.
kabhi aisa ho hi nahi sakta k meri waja se pooja didi haar jaye. meri haar asal me pooja didi ki haar thi. aur aaj meri waja se pooja didi ko haar ho gai thi. compitition to jeeta jaa chuka tha. lekin winner main nahi bann paya tha. winner ka titla to raja le gaya tha. aur main goli khaa karr aa gaya tha........
ye sabb sochte hi maare sharmindagi ke mere maathe parr paseene ki boondein chamakne lageeen.
******************
Update :::::::::34
******************
Abbbbb Aaaaggee
******************
Location: Harsh Chauhaan House:
*************************************
abb pooja didi mere saath kuch bhi karr sakti thee.
meri maa aur behne daldal me phansi hui thi. lekin mujhse bhi zayada fikr meri maa aur behno ki pooja didi ko thi. aur main harr baar koi na koi galti kar hi deta tha. akhir kabb takk main aisi hi galtiyan karta rahunga..
kam umar hoon to kya hua mere paas waqt bhi to nahi hai aur meri raaheh bhi to bohat hi katthan aur kaanton se bhari padi hain. mujhe jald se jald apni saari galtiyon ko sudhaarna hoga... warrnaa meri hi keeee gai galtiyon ka Kham-yaazah meri maa aur behno ko bhugatna padd sakta hai.......... ye sabb sochte sochte mere andar ik laawa sa ubalne laga aur main sabb kuch bhool kar uth betha.
sabb ka kya reaction tha mujhe nahi pata tha. pata tha to bass aaj se koi galti mujhse nai honi chahiye. is baar ki galti me to kudrat ne mujhe bacha liya tha. lekin harr baar aisa ho ye mumkin nahi tha.
main chlata hua aage padha aur pooja didi ke pairon me gir kar maafi maangne laga.
vijay :- pooja didi meri waja aaj aap ki haar hui hai. aap jo chahen mujhe saza de sakti hain. lekin main apni maa aur behno ki kasam kha kar kehta hoon k aaj ke baad main koi bhi galti nahi karoonga... mujhe bass ek baar maaf kardo. main fir kabhi bhi aap ka sarr nahi jhukne doonga...... aaj aapka vijju aapke pairon me beth kar karr kasam khata hai.......................
main aise hi sarr jhukaye pooja didi ke pairon me betha raha. mujhe apne zakham ki koi parwa nahi thi. ho bhi kaise sakti thi meri pooja didi ki ankhen meri haar ki waja se jhuken. ye kaise ho sakta tha.
pooja didi ik anjaan ho kar mere liye aur meri maa aur behno ke liye itna kuch karr rahee theee. agar wo mujhe aise ankhen dikhyengi aur sharmnida karengi.
to kya huaa wo ye sabbb mere liye hi to karrr rahee thee.
unka pyar aur himmat hi mera sabb kuch tha.. mere andar ki aag ko agar pooja didi control na karti to na-jaane meri ki gai kitni hi galtiyon ki waja se aaj mera kya hua hota................... pooja didi jo bhi karti mere saath mujhe manzoor tha.
sabb mohn phhade mujhe dekh rahe the. mere aise jhukne se mere zakhm parr se pirse khoon nikalne laga tha. lekin mujhe is baat ka na to pata tha. aur hi koi parwa.
mere andar jal rahi aag. barson se seh rahi meri maa ka darddddd aur meri behno ki zindagi ko laahaq khatra jiss ke liye main abb takk kuch bhi nahi kar saka tha.....aur pooja didi ke saamne hone wali sharmindgi ne kisi aur taraf dhayan dene layak chhoda hi nahi tha..............
sabb kabhi mujhe aur kabhi pooja didi ko dekh rahe the. mere aisa karne se pooja didi ki ankhon me chamak aane lagi. fir pooja didi ne ek baar sabb ki taraf dekha
aur khaas karr harsh chauhaan ki taraf dekha. harsh chauhaan bhi ankhen phhade pooja didi ko hi dekh rahe the. harsh chauhaan parr nazar padte hi pooja didi ke honton par ek rehasmaaai muskan aa gaaiiii.
jise dekh kar harsh chauhaan jaisa ghaag banda bhi ek baar heraaan reh gaya. wo pooja didi ki muskan kaa matlab samajh gaya tha. aur heraan bhi tha. k pooja didi ne kaisi game kheli hai. ek hi teer me kai shikar kar diye the pooja didi ne.....
apni friend reena ka badla bhi le liya. delhi sheharr se ek gandh ke saath uske gande doston ko bhi marwaa diya aur vjiay ko bhi aise apni galti ka ehsaaaas karwa diya.......... aur vijay ne apni maaa aur behooo ki kasam kha kar aage koi bhi galti na karne ka bhi keh diyaaaaaaaaaa.........harsh chuhaan pooja didi ko aankhen phhade dekhne laga..........
pooja didi sabb ko ek nazar dekh kar apne hath ko badha karr mere sarr ki taraf laane lagi. aur fir mujhe apne sarr parr pooja didi ka haath mehsoos hone laga. tabb jaa ke mujhe kuch rahat mili warna main bata nahi sakta k mere andar kya kuch chalne laga tha. ik aag to shuru se hi thi mere andar aur bhi na-jaane kya kuch hone laga tha mere andar. lekin pooja didi ke haathon ke suparsh ne mujhe kuch kuch shaant kar diya. tabb achanak se mujhe apne zakham me firse dard hone laga.
lekin abb basssss bohat huaaaaaaaaaaaaaaaaa abb aur nahi.........
dard to saari zindagi milte hi rahege.jitne dard meri maaa ne jhele hain aur jitne zakham meri maaa aurr behno ke andar hi andar bante jaa rahe hain......
mera dard aur mera zakham to maa aur behno ke zakham ke aage kuch bhi nahi....
kya harr baar aise hi khud ko bebas,lachar aur dard me bilbilata hua paata rahunga....... bassss bohat hua aaj se sabb kuch badal ke hi rahunga...
pata nahi aaj mujhe kya hua tha. mere dard ne mujhse haar maan li thi ...
aur main bhi apne dard ko bhool kar pooja didi ke hathon ki ungliyon ko apne sarr ke baloon me chalta hua mehsoos karne laga. ek sakoon to mill hi raha tha pooja didi ki ungliyon ke mere sarr ko chhone se. lekin ek aisa laawa bhi mere andar hi andar kahin janam le raha tha.
jo mujhe andar se kuch aur hi banaaa raha tha.
kuch der aise hi main pooja didi ke pairon me betha raha aur pooja didi mere sarr me apni ungiyaan chalaati raheen. fir pooja didi ne mere kandhon se pakad kar mujhe uthne ka signal diya to main pooja didi ka ishara samajh kar khada ho gaya......
pooja didi meri ankhon me ghorse dekh rahi thi. shayad wo jan'na chahti thi
"jo maine bola hai mian kitna us parr sabit qadam reh sakta hoon. main bhi pooja didi ki hi ankhon me dekhta raha. kai mint takk hum aise hi ek doosre ki ankhon me dekhte rahe.
mujhe kaafi der ghaur se dekhne ke baad baad pooja didi ki ankhon me wahi pehle wali chamak aane lagi aur fir pooja didi ne mujhe gale se laga liya. pooja didi ke hath meri peeth me lage zakham ki waja se khoon me rangne lage aur mujhe bhi is baat ka pata chal gaya lekin yahan is baat ki parwa hum dono me se kisi ko bhi nahi thi.
aise na-jaane aur kitne zakham meri raah me aane wale the. pooja didi ki daring ki waja se aaj maine ek naya janam le liya tha. aisa mujhe lagg raha tha. baaki to aage chal kar hi pata chalega.....
hamare milan me chahe jitna bhi time lage' kisi ko is baat ki ijazat nahi thi. k wo rang me bhang daale aur hamare milan ko adhura banane wala raaj bhi abb is baat ko bade achhe se jaan gaya tha. aur baaki sabb bhi abb shaant pad chuke the.
mujhe zakham to aaya tha lekin abb is badli hui situation me kisi ko ghamgeen hone ki zaroorat hi nahi rahi thi. padma aunty, maalti bhabhi aur maalikan ke saath baaki sabb ke chehron par'se dard ki bajaye ek muskan chhalak rahi thi.
aise hi kai mint guzre to pooja didi ne mujhe khud se alag kiya. aisa pehli baar hua tha k pooja didi ne itni jaldi mujhe chhod diya tha. shayad baaki sabb ki waja se....................................
pooaja didi ne mujhe khud'se alag kiya to fir sabb ki taraf dekh kar ek muskan ke saath sarr ke ishare se boli.........
"mill lo is gadhe se jiska bhi mann hai milne ka"
fir kya tha jis ka mann zayada dukhi tha wo mujhse zayda der mila lekin akhir-kar meri jaan chhot hi gai..... aur fir sabb ko mere zakham se behne wale khoon ki chinta satane lagi................pooja didi hans kar boli....
pooja didi :- bass bass abb shaaant ho jaao. abb is ka firse khoon nikal raha hai. pehle us ka kuch karo.. ye pyaar baad ke liye bacha kar rakh lo...........
sabb ne bhi pooja didi ke aise bolne se daant dikhane shuru kar diye...... firse meri seva shuru ho gai.................. pooja didi firse boli
pooja didi :- chalo abb sabb kuch khaa hi late hain raat se kuch bhi huye hain sabb ke sabb kahi vijay ko theek karne ke chakkar me bhook ki waja se gir na paden. aur vijay ka baad sabb ki treatment shuru ho jaye............ shetal chehakte huye boli.........
shetal :- pooja didi mujhe pata chal gaya tha abb aisa hi kuch hone wala hai. is liye maine pehle hi breakfast banane ko bol diya tha...................
natasha aur deeksha aunty ke saath harsh chauhaan bhi shetal ko dekhne lage....... k shetal kabb breakfast ke liye bolne gai thi.....
asal me jabb pooja didi ne mere sarr par hath rakha tha to kuch hi der me shetal bahar jaa akr maid ko breakfast ready rakhne ka bol aai gai.........
natasha aur deeksha aunty ne to shetal ko gale laga liya aur uske gaalon ko choomne lagi.........
natasha :- waah meri pari itni samajhdaar kab se ho gai................
shetal :- (shetal chidte huye) kya matlab hai aapka. main aapko bachhi lagti hoon jo mujhe is sabb ki samajh nahi hogi............(meri atraf dekh kar) main bhai se bhi ek saal badi hoon.. samjhi aap
natasha :- aur nahi to kya tum abhi choti si bachhi hi to ho......
bass fir kya tha(natasha ne bhi mahol ka rang badalne ke liye shetal ko chhed diya tha) shetal apni didi ke peeche peeche bhaagne lagi. lekin natasha kahan uske haath aane wali thi.
achanak se pooja didi ne natasha ka hath pakad kar shetal ke hath me de diya. sabb pooja didi ke aisa karne se hasne lage aur natasha pooja didi ko ghoorne lagi....
abb mahol kya badla tha sabb ke sabb mil'kar nautanki karne lage the.....
vijay to apni pooja didi ko dekh raha tha aur soch raha th. agar main ye sabb na karta to pooja didi aise khush dikhai deti kyaaaa. nahi pooja didi hamesha aise hi hansti muskurati rahe... aur main abb kabhi bhi pooja didi ko ghamgeen nahi hone doonga.
aise hi kuch der sabb ki masti chalti rahi....
1 ghante baad sabb breakfast karke free huye to pooja didi ne harsh chauhaan ko akele me baat karne ka ishara kar diya............................................
*********************************************************************************
pooja didi aur harsh chauhaan dono ek hi room me bethe the aur door ko andar se kundi lagi hui thi. koi disturb na kare.........
aisi kya baat karne wali thi pooja didi harsh chauhaan se.............
breakfast abhi shuru nahi hua tha. k padma autny ke mobile ki ghanti baji. to padma aunty ne mobile ko dekha to ajit bhai ka number dekh kar khush ho gai. lekin pooja didi ki nazar padma aunty par chali gai. wo bhi samajh gai k fone kis ka ho sakta hai. islilye pooja didi ne padma aunty se mobile le kar pehle ajit bhai se baat karne lagi. padma aunty ne bhi koi aitraz nahi kiya tha aur mobile pooja didi ko de diya tha.......
pooja didi :- ajit bhai main pooja bol rahi hoon.
ajit bhai :- kaisi ho pooja beti.....(pooja didi ajit bhai ko bhai bolti thi lekin ajit bhai pooaj didi ko beti hi bolte the)
pooja didi :- bhai main theek hoon aap sunayen wahan sabb theek hai...
ajit bhai :- kahan sabb theek hai. kal se shweta behen ki tabiyat bohat hi khatab hai. to
pooja didi :- kya hua maa ji ko' jo uski tabiyat kharab ho gai......
ajit bhai :- pata nahi jo maine suna hai. us'se pata chala hai k kaal raat hote hi shweta behen ko dil me dard uthne laga tha. aur vijay ko bohat hi yaad karr rahi thi.
"pooja didi sabb samajh gai kisi bhi maa ka dard aise hi to nahi badh jaata.yahan vijay ke sath jo bhi hone wala tha. wahan maa ji ko bhi unke dil ne bata diya tha"
pooja didi :- abb kaisi hain maa ji
ajit bhai :- suna hai kall se behtar hain abb. raat ko rekhaa baai ne ek dortor ko bula liya tha. to abb shweta behen so rahi hain . abb raat se behtar hain wo. ek baat aur bhi karni thi.(akhir me ajit bhai ki awaz dheere ho gai aur wo dukaan ke bahar idhar udhar dekhne lage)
pooja didi ke kaan khade ho gaye ajit bhai ke dheere bolne se..
pooja didi :- ji bhaai boliye main sun rahi hoon.(pooja didi bhi thoda side ho gai thi)
ajit bhai ne fir sabb bata diya jo sonakhshi ne apne bete anil ke zariye ajit bhai se bolne ko kaha tha.............. sabb sunn kar pooja didi ki ankhen ubalne lageen. suba ke jaise fir'se unki ankhon ne rang badal liya tha... jo suna gaya tha wo bohat hi bhayaankar tha..........................
pooja didi :- ajit bhai aap plz ye padma aunty ko matt batana.. main khud hi jabb mujhe sahi laga "to sabb ko bata doongi.." abhi aap kisi ko kuch matt batana...
ye bol kar aur kuch der aur baat kar ke pooja didi ne mobile padma aunty ko de diya tha....
lekin sabb ke saamne pooja didi fir se normal hi dikh rahi thi...............
******************************************************************************
pooja didi ne harsh chauhaan ko bhi saari baat bata di thi. harsh chauhaan bhi ye sabb jaan kar sunnn reh gaya k baat itni bhi seedhi nahi hai. jitni main samajh raha tha. us unknown ke baare jaan kar to pata lagta hai. kuch to bohat hi bada hai jo parde ke peeche chhuapa hua hai.................
harsh :- to pooja beti tumhara kya kehna hai vijay ko ye sabb bata dena chahiye.
pooja didi:- nahi uncle abhi vijay ko ye nahi bataya ja sakta. vijay me jitni bhi bardasht hai main bohat achhe se jaanti hoon. meri hi waja se vijay khud ko shaant rakh paata hai. warna uske andar ka dard baar baar bahar nikal kar us'se galtiyan karwata rehta hai.vijay har pal har lamha mere saath rehta hai. main vijay ki rag rag ko jaan gai hoon. vijay kahan kitna sehn kar sakta hai ye bhi mujhe pata hai.
abhi to sirf rekhaa baai ka hi hum sabb ke mind me tha. k wo akeli hi maa ji ke saath ye sabb kar rahi hai. lekin baat kahin badh kar nikli...abhi to sirf ek unknown ka pata chala hai aur na-jaane kitne aise hoonge jinho ne milkar maa ji ko rekhaa baai takk pohnchhaya hai. jabb takk saari baat pata nahi chalti. hum vijay ko kuch bhi nahi bata sakte. warna wo stupid humen bataye bagair hi kahi wapis rekhaa baai ke paas na chala jaye....... nahi jabb takk vijay kuch bann nahi jaata main nahi chahti k vijay ko is sabb ka pata chale.....
harsh chauhaan :- pooja beti tumne bilkul sahi kaha.... vijay ke liye jo bhi zaroori hai wo tum'se better kaun smajh sakta hai..............
pooja didi :- uncle aap ek kaam to karwa hi sakte hain..
harsh chauhaan :- haan haan pooja beti bataao mujhe kya karna hai. maine to pehle bhi vijay se kaha tha k main uski maa aur behno ko wahan se nikalne ki koshish kar sakta hoon. lekin vijay nahi maana... abb tum jo kehna chahti ho kaho...
mujhe to khushi hogi agar main kisi kaam aa saka..... warna yakeen karo beti mujhe behad sharmindgi hoti hai ye soch kar k main itna powerfull ho kar bhi kuch nahi kar paa raha hoon ......
pooja didi :- uncle aap sharminda na hoon.. vijay bhi apni jaga sahi hai. aap ke aadmiyon ki koi bhi chook vijay ka sabb kuch ujaad kar rakh degi..aur abb to hum sabb aage ki haqeeqat bhi jaan gaye hain. kuch bhi karna ho humen soch samajh kar hi karna hai.
harsh chauhaan :- pooja beti jaisa tum munasib samjho. mujhse jo chahti ho mujhe bata do main kuch bhi karne se peeche nahi hatoonga....... abb wo baat bataao jo bolne wali thi...........
pooja didi :- us unknown ka pata chalne se humen ye to andaza ho hi gaya hai. k baat jo humne sochi thi abb wo nahi rahi. to hamen bhi abb aage ka plan badalna padega...... abb maa ji aur behno ko bachana hi nahi hai balke maa ji ke saath aisa karne walon se badla bhi lena padega. aur jab vijay ko jabb is baat ka pata chalega to kya wo khud ko rok payega........ is liye main aapse ye kehna chahti hoon k aap apne source se saari haqeeqat ka pata lagwayen.... humen shuru se harr baat ka pata hona chahiye......... tabb hi hum aage ka sahi se soch sakte hain... warna hum kab takk maa ji aur vijay ki behno ko bachate rahenge.... ek baar bachaya aur wo sabb firse dhhar liye gaye. to gadbad ho sakti hai... aap apne admiyon se asal me hua kya hai. wo pata karwayen. tabb aage ka sochenge..........
harsh chauhaan :- pooja beti pehle to main tumko thanks bolna chahta hoon.. halanke tumse bada hoon lekin fir bhi tumne mujhse koi kaam to liya hai. mujhe badi khushi hui is baat se. bass abb mujhe koi sharmindgi nahi rahegi k main kuch kar nahi paya. jaisa kaam tumne bola hai wo to mere lilye koi mushkil hi nahi hai... main jald hi apne admiyon ko is kaam me laga deta hoon. mujhe lagta hai ye kaam jaldi hi ho jayega.. kyunki sirf akeli rekhaa baai hi nahi us unknown ko jaanti hogi... kothe par rehne wale aur bhi kai honge jo ye jaante honge k wo kaun hai kahan rehta hai. aise hi to nahi kai saalon se aa raha hai... aisa banda kahan chhup sakta hai kisi se. pata nahi vijay se kaise chhupa reh gaya ........
pooja didi :- thanks uncle aapne ek mushkil to hall kar hi di hai....
harsh chauhaan:- pooja beti kyun aur sharminda kar rahi ho... ye koi itna bada kaam bhi nahi hai mere liye aur waise bhi ye kaam to main apne admiyon se karwaaonga. agar meri jaan ki bhi zaroorat pade to main hazir hoon.
pooja didi :- nahi uncle main aap ko sharminda nahi kar rahi....
harsh chauhaan:- tum to jaanti hi ho pooja beti vijay mere liye bhi bete samman hi hai. aur usne natasha ki izzat bacha kar mera sarr bhi salamat rakha hai to fir mujhe apni jaan ki kya parwa ho sakti hai.....(ye bol harsh chauhaan ki ankhen namm hone lagee. (itna storng-man ki ankhen bhi aaj namm ho hi gai thi.)
pooja didi ne harsh chauhaan ke hath ko pakar liya aur boli.
pooja didi :- uncle aise to na bolen please hum sabb ek hi to family hain.
harsh chauhaan:- nahi pooja beti tum jo bhi kaho. jabb mujhe deeksha ne bataya tha k train me kya kuch ho chuka hai aur fir jabb maine vijay ki halat dekhi thi.
to sakht sharminda hua tha k ek chhote se bachhe ne meri beti ko bachaya jo khud bhi shadeed zakhmi tha. lekin vijay beta na apni jaan ki parwa na karte huye bhi mere ghar ki izzat bachaai..... aaj takk maine is baat ko dil me chhupa kar rakha hai. warna jitna main bahar se strong nazar aata hoon. utna hoon nahi. apne dushmano ke liye hi main khatarnaak hoon... lekin vijay bete ke liye mere dil me jo feelings aa chuki hain. mai to wo khul kar zahir bhi nahi kar sakta........
"pooja didi aaj harsh chauhaan ki batein sunn kar heraan thi. kahaan harsh chauhaan jaisa insaan jo poore india me ek strong bussinessman hai. ajj kaise imotional ho raha hai."
pooja didi ne harsh chauhaan ko kuch der dilase diye kuch aur bhi baatein hoti raheeen. fir baat vijay ko le karke hone lagi. aur ye socha jaane laga k vijay ke liye kya best hai. tabb pooja didi boli
pooja didi :- uncle abb time nahi raha hamare paas.aap to apna kaam apne admiyon se karwa hi lenge.lekin humen abb vijay ko bhi sanjeedgi se lena hoga.. jaisi jung vijay ke liye future me aane wali hai..uspar soch vichaar karna hamare liye behad zaroori hai..vijay abb 15 saal ka hogaya hai aur abhi bhi wo kuch bhi nahi hai.
badan me taqat aur sehnn karne me vijay bohat aage badh chuka hai. lekin damag se aur ladaai me vijay kuch bhi nahi. yahan reh kar vijay wo nahi bann sakta jo vijay ko banna chahiye .. main soch rahi hoon. vijay ko ek special trainer ki zaroorat hai ..... baat agar sirf rekhaa baai ki hoti to shayad yahan reh kar kuch kiya ja sakta tha. lekin vijay ko aage chal kar ek bohat hi badi jung ladni pad sakti hai......is ke liye vijay ko nakaabil-e-taskhir insaan bann kar ubharna hoga.. warna vijay ke liye kuch bhi nahi bachega.....aur hamesha ke liye vijay ki maa aur behno kabhi us daldal to kabhi kisi aur daldal me phansti hi rahengi.....
agar ko us admi se takrana hai to vijay ko
"Himmat-Wala"
banna hoga...
aur doosri baat vijay me chalaki aur damag ka istemaal karne ki sahi shakti bhi nahi hai..............is ke liye humen kuch karna padega ..... vijay akela kuch bhi nahi kar sakta.
na-jaane aage chal kar aur kitne unknown ayenge vijay ki
raaaaahh me...""""""""""""
harsh chauhaan pooja didi ki baat sun kar gehri soch me doob gaya aur sochne laga. k uske aise kaun se sources hain jo vijay ke kaam aa sakte hain. waise to wo kai logon ko jaanta tha lekin vijay ke liye jo sabb se perfect ho "wo kaun ho sakta hai"
harsh chauhaan kaafi der sochta raha...
pooja didi:- uncle kya sochne lage.....
harsh :- pooja beti main soch raha hoon k vijay ke liye sabse perfect kya hoga. waise to main khud kaai logon ko jaanta hoon. jo vijay ko trained kar sakte hain. lekin main ghor kar raha hoon. aisa kaun hai jo vijay ko jald se jald aur zayada se zayada trained kar sake...
pooja didi :- uncle ek baat aur bhi hai....?
harsh :- wo kya pooja beti?
pooja didi :- pehle us pehlwan ji se baat na karlen. kyunki pehlwan ji ki Prescription ki waja se vijay me bohat se badlao aye hain...taqat ke saath saath vijay ki sehn shakti bhi pehle se bohat badh gai hai. vijay ko sirf training hi nahi taqat ki bhi zaroorat hai. aur pehlwan ji ke paas vijay kai mahino se jaa raha hai. aur pehlwan ji ke saath mashwara na karna pehlwan ji ke saath na-insafi hogi. jitna unho ne vijay ke liye kiya hai wo sabb dil se kiya hai. warna aaj ke zamane me aisa kamm hi log karte hain. thhode se hi sammay me unho ne vijay ko bohat kuch diya hai ..... ek baar unse baat kar lete hain...
harsh chauhaan :- theek hai pooja beti mujhe bhi ye sahi lagta hai. aur vijay ke pehle guru bhi wahi hain to itna haq to unka banta hi hai....
fir kuch der aur dono me kuch baatein hui is ke baad dono vijay ke paas chale gaye..
*****************************************************************************