• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Haweli ~~ " The Night Is Dark " (completed)

What makes reader feel while readng " Haweli " title story?


  • Total voters
    35

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.



PDF Link for this Story : https://www.mediafire.com/file/xpsslq65yowlt7c/Haveli_%7E%7E_The_Night_Is_Dark.pdf/file
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219
Kamre se nikalte hi vo haweli se bahar nikal gayi, aaj usne nashta bhi nahi kiya tha. Manju ne use pucha to usne koi jawab nahi diya aur haweli se chali gayi. Haweli ke piche jahan usne gaddi chhodi thi wahan pahunchne se pehle usne apne aas pass dekha dur-dur tak koi nahi tha. Fir vo jhadiyun mein ghus gayi jahan par usne kal raat gaddi khadi chhod di thi. Malini gaddi ke pass ayi aur use khol kar andar baith gayi. Uski sansein jo abhi tak kabu mein thi andar baithte hi tezz ho chali thi. Uske hath kanp rahe the par fir bhi usne dashboard khola aur usme se chaku nikal liya jise kal raat usne iske andar daal kar chhoda tha. Chaku par abhi bhi khoon laga hua tha jo ab jam chuka tha. Raat ke andhere mein chaku ko vo dhang se nahi dekh payi thi lekin din ki ujale mein vo chamak raha tha. Uska dhayan chamak par nahi balki kuch khoj raha tha jise shayad marne wale ke bare mein pata chal sake. Aise chaku har kisi ke pas nahi hota khuni ne ise sirf marne ke liye hi kharida hai par vo use wahan kyun chhod gaya. Kya vo chahta tha ki vo hume mile ya fir kisi aur ko aur wahan par khoj been ke dauran ranjeet ki lash ke sath kankal bhi mil jaye. Agar aisa ho jata to hume koi bacha nahi pata kyun ki ranjeet ki biwi jarur bata deti ki vo hamare liye mandir mein kaam kar raha tha. Par sawal ye hai ki kya usne abhi ye baat nahi batai hai, vaise to humne use mana kiya tha ki aaj raat ke bare mein kisi se kuch na kahe aur lagta hai usne apni biwi ko kuch nahi bataya tha tabhi usne daroga se shikayat likhwate waqt ye baat nahi kahi thi. Iska jawab to hume usi se lena hoga par filal is chaku se hum us khuni ka pata kaise lagaye aur tab tak ise kahan chupaye.

Malini ko jab kuch nahi mila chaku se jise vo use kuch smajh aa sake to vo usne use chupane ka faisla kiya. Usne pehle use dashboard mein hi dalne ki sochi lekin use sahi nahi laga uske baad usne andar hi kai jagah rakh kar dekha, seat ke niche, seat gadde mein fansa kar lekin kahin bhi jam nahi raha. Vo gadi se bahar ayi usne chaku ko sarre ke pallu se chupa liya tha. Gaddi ki dikki kholi jo khali padi thi use wahan rakhna sahi nahi laga. Par fir usne matt ko uppar utha diya jahan par ek tyre pada tha aur kuch saman. Ek dafa usne socha ki chaku ko tyre ke niche rakh deti hun wahan nazar jana asan nahi hoga. Usne chaku ko pehle wahin ek kone mein rakha aur fir ek hath se matt pakde hue tyre ko uthane ki kosish karne lagi lekin vo bhari tha aur ek hath se uska vajan nahi sambhla jise uska santulan bigad gaya aur vo andar ki taraf gir gayi. Acha hua jada nahi giri agar aur thoda girti to tyre sidhe uske muh par lagta. Dusre hath se matt chhut gaya aur vo uske uppar gir gaya. Use turant uth jana chahie tha lekin vo usi tarah padi rahi, uski nazar samne ruki hui thi. Eka-ek use bablu kaka ki baat yaad ayi ' Bade thakur ko jitna haweli se pyar tha utna unko apni gadi se bhi tha, bas aksar yahi baat kiya karte the akhri waqt mein '

Malini ki nazar wahan thi jahan shayad hi kabhi kisi ki nazar jati, niche se piche wali seat mein ek jagah bani hui thi jiske andar kuch pada tha. Malini ne fauran wahan se use bahar nikala aur jis chiz ko vo itne waqt se khoj rahi thi vo uske hath mein thi. " vasiyat aur zameen ke kagaz " file ke andar kagaz dekhte hi malini samajh gayi thi. Usne chaku wahin usi ke andar dala jahan se usne file nikali thi aur matt niche karke gaddi mein aa baithi. Vo kuch der unhi kagazon ko padti rahi aur fir file band karke apni gaddi dauda di.

" hume andaza tha ki aap hume yahin milenge " malini gaddi se utarte hi boli.

" maliniji aap aur yahan " ajit ko malini ke yahan hone ki umeed nahi thi.

" jaise aap hamari haweli aa sakte hain to kya usi tarah hum nahi aa sakte " vo ajit ke najdeek pahunchi. Ajit wahan khada chai pii raha tha.

" ek chai aur dena " ajit ne awaz lagai aur ek cup chai ka glass lekar wahan rakhe fatte wali table par baith gaya. Usne malini ko bhi baithne ka ishara kiya aur vo wahan jaa baithi.

" khaiye kaise mulakat karni padi apko " chai ki chuski lete hue ajit bola.

" bas chai pine ki icha thi apke sath " malini ne glass uthaya aur chai ki chuski le li.

" achi tarah se janta hun aap kyun ayi hai hamare pas " ajit ne kaha

" aur vo kya wajah ho sakti hai "

" wahi ki hume koi sabut mile ho apke khilaf to uske bare mein jankari lekar use bach sakein " ajit ki baat par malini muskura di.

" apke pas koi sabut hote to aap yahan chain se chai nahi pii rahe hote " malini janti thi ki ajit ke pas is baat ka koi jawab nahi hoga " hum apko ye batane aye hain ki jo apne humse aaj subah kaha usme kuch sach nahi tha "

" hum kuch samjhe nahi " ajit ke jawab dene ke tarike ko malini ache se samjh rahi thi kyun ki kuch isi tarah subah usne bhi aise hi jawab diya tha jo sach nahi tha.

" yahi ki apne kal mandir mein kisi ki cheekh suni " ajit chai pite hue ruk gaya.

" aap ye kaise keh sakti hai? Police wale hum hai aur aap hume hi uljhane ki kosish kar rahi hai "

" uljha nahi rahe bas wajah bata rahe hain kyun ki agar apne cheekh suni hoti to aap mandir ki talashi le rahe hote na ki hamari gaddi ke bare mein puch rahe hote " malini ne ek hi baar mein apni baat kahi aur chai pine lagi. Ajit kuch nahi keh saka aur yun hi baitha raha.

" apko lagta hai ki hume samajh nahi aa raha aap kya karna chahte hain " malini ki tone aur sawal ajit ko ache se samjha rahe the ki vo use kya kehna chahti hai.

" wahi jo apne kiya tha apko to malum hi hai " ajit ko samajh aa chuka tha ki baat ghumane se kahani nahi badelgi.

" humne jo kiya tha uske piche wajah thi " malini ne bas itna hi jawab diya to ajit ko gussa aa gaya.

" apne hamari behen ko bina kisi sabut ke adhar par doshi karar kara diya tha, kya apne mauka diya tha use? "
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219
" agar shalu doshi nahi thi to vo gaon chhod kar kyun bhagi. Hum jante hain apke pas bhi is baat ka koi jawab nahi hai "

" Apko lagta hai ki shalu gaon chhod kar bhag gayi thi? Kya aap wakai nahi janti ki uske sath kya hua? " ajit ki baat sun malini ke mathe par halka bal chadh aya.

" hum kuch samjhe nahi "

" kuain mein kud kar jaan de di thi usne " ajit ki baat sunte hi malini ki ankhein hairani mein badi ho gayi. Ek pal use vishwas nahi hua jo usne suna.

" kya aap humse ek aur jhooth to nahi bol rahe? " malini yakin nahi karna chahti thi.

" apni behen ke liye hum jhooth nahi kahenge malini ji "

" par vo aisa kyu karegi " malini sochne lagi aur fir use laga ki " ise to saaf zahir hota hai ki usi ne hamari behen rani ko mara aur atmgilani ke chalte usne khudkhushi kar li " malini ne pakke yakeen se kaha.

" hume bhi yahi laga tha aur yahi maan bhi liya tha lekin kuch salon baad maa ke muh se nikal gaya ki shalu pet se thi " ajit ki ye baat malini ke liye ek aise jhatke jaisi lagi jise vo ek pal tak mehsus karti rahi.

" aap ye kya keh rahe hain darogaji " malini ka muh hairani mein khula dekha ajit soch mein padh gaya.

" aap aise bartav kar rahi hai jaise apko malum hi nahi "

" hume kaise malum hoga? hum to hamesha yahi sochte aye ki vo gaon chhod kar chali gayi aur kuch waqt baad aap bhi hume kabhi nahi dikhe "

" apke bapu ne apko nahi bataya ? " is baar hairan hote hue ajit bola.

" bapu ne? yani unhe pata tha ? "

" han, maa se jab shalu ke bare mein suna to mene unse pucha ki unhone hume kyun nahi bataya. Tab unhone puri sachai batai ki agar vo ye batate ki shalu ne khud apni jaan di thi kyun ki vo pet se thi ye baat usne maa se kahi thi aur jab maa ne use khub sunaya aur mar jane ke liye kaha to usne usi din kuain mein kud kar jaan de di. Ye baat gaon walon ko na pata chale isliye jab aap log us din hamare ghar aye the tab mere bapu ne jhooth kaha ki vo bhag gayi aise mein badnami hoti lekin vo gaon mei reh sakte the varna gaon walon ko pata chalta to vo hamare pariwar ka jeena mushkil kar dete. Maa ne hume bataya tha ki kuch samay tak jab apke bapu rani ke khoon ke liye shalu ko lekar gaon mein dabab banane lage taki hume gaon se nikal diye jaye to ek din bapu ne akar apke bapu ko sab kuch bata diya taki mamla wahin khatam ho jaye. Hume laga ki jaise hume pata hai apke bapu ne bhi apko bata diya hoga " ajit bolte hue shant ho gaya par malini soch mein padh gayi. Use ache se yaad tha ki kuch waqt tak sab shalu ko khojte aur roz is bare mein ghar ke andar bhi baat hoti ki unke pariwar ko gaon se nikal denge lekin fir ek din sab kuch shant ho gaya, na hi kisi ne shalu ko khojne ka aur pryas kiya aur na hi bapu ne kuch kiya yani vo jaan chuke the aur unhone humse baat ye baat chupai thi.

" malini ji ? " ajit ne teen se char baar awaz lagai tab malini hosh mein ayi.

" yakeen nahi hota ki itihas ke pano mein kuch aisi batein chupi hoti hai jo insan ke aaj ko badal deti hai. Hume aaj tak shalu ko rani ka katil mante aye hain aur hamesha yahi sochte the ki kash hum use saza de sakte lekin ab lagta hai ki itne salon ki karwahat ek pal mein kahin khatam ho gayi. Maaf kijeyega jo bhi hua apki behen ke sath par vo apki behen ke sath hamari ek achi dost bhi thi " malini apni jagah se khadi hone wali thi.

" kya aap janti hai ki shalu kiske bache ki maa banne wali thi? " ajit ke sawal par malini ne na mein sar hila diya aur wahan se uth khadi hui. Abhi vo koi aur sawal karne ki himmat mein nahi thi.

" sahi kaha tha apne " ajit ki awaz sun malini gadi ka gate kholte hue ruk gayi aur uski taraf dekhne lagi.

" humne apse jhooth kaha tha ki humne mandir mein kal raat koi cheekh suni thi balki hum jab hum wahan se guzar rahe the to humne kisi ko mandir ke piche se gaddi le jate hue dekha tha. Socha itni raat is mandir ke pas se gaddi lekar kaun guzra hai to wahan dekhne ke liye ruk gaye " malini ko ab samajh aya ki vo kyun uski gadi ke bare mein puch raha tha kyun ki use shaq tha jo gadi usne raat ko dekhi thi vo haweli ki thi tabhi vo apne shaq ko yakeen mein badalne haweli aya tha.

" kya apne gaddi aur us shaks ko dekha tha? "

" nahi andhera itna tha ki dur se kuch dekh nahi paya. Hum apni gadi ke liye wapis aa hi rahe the ki hume kisi ke hone ki ahat hui par shayad vo hamara veham raha hoga, wahan jo koi bhi tha vo pehle hi apni gaddi se ja chuka tha. Aaj subah humne tyre ke nishan bhi wahan bane hue dekhe jis taraf humne gadi jatte hue dekha tha par aage jakar vo nishan khatam ho gaye to pata nahi lag paya ki vo gaddi kis aaur gayi " malini janti thi ki ajit janta hai ki kal raat vahi thi mandir mein par do wajah se vo ab uspar itni jaldi shaq nahi karega pehla jo uske man mein kadhwahat thi shalu ko lekar vo shayad khatam ho chuki thi. Uski wajah se vo bilkul waisa hi kar raha tha uske sath jaisa usne shalu ke sath kiya tha. Dusri wajah ye bhi thi ki uske pas koi pakke taur par sabut nahi tha isliye vo kuch kar bhi nahi paa raha tha.

" shukriya " malini itna bol kar gaddi mein baithne lagi.

" waise aapka sach mein andaza tha ki hum yahan milenge ya fir "

" apki chauki gaye the wahin se malum hua " malini ne ajit ko bich mein roka.

" ranjeet ki talash ke liye nikle the "

" umeed karte hain ki vo apko jald se jald mil jaye " malini ne jawab diya aur bina uski pratikriya jane gadi mein baithi aur usi raste par dauda di.
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
:roflol: kahe

:roflol: Are swaymbar thodi na chalu kia hai :roflol:

Wah ek taraf yahi ladki kehti thi haunted mein koi marna nahi chahie.
Ab dekho yaahn khoon ki nadiyan bahane ko taiyar hai :roflol:

Aisa kar denge :don:
Yeh update tha is post pe.. kahe edit kiya aapne :bat:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Woh kamdev99008 ji ki kahani mein joh promukh kirdaar raginee ji hai unko modeling karne na di writer sahab ne... kam se kam aap toh chance de dijiye is kahani ki pramukh kirdaar malini ko
:roflol: Are swaymbar thodi na chalu kia hai :roflol:
swaymbar kaise hua... :?: are aisa karne se kahani ek badhiya twist legi.. aap vishvas kariye kahani superhit aur haan us ajit ki shaadi kara dijiye aur phir isko bhi Chutiyadr sahab ke story character vikas jaisa bana dijiye :D

Wah ek taraf yahi ladki kehti thi haunted mein koi marna nahi chahie.
Ab dekho yaahn khoon ki nadiyan bahane ko taiyar hai :roflol:

Aisa kar denge :don:
Kyunki is kahani mein ek se badhkar ek kamine bhare pare hai aur sab ke sab jhingul hai :D
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219
इंस्पेक्टर अजीत भी कम रहस्यमई नहीं है !
अजीत - शालु - रानी...... शालु के साथ सेक्स किया और कुछेक दिन बाद रानी की मौत हो गई - ये गुत्थी भी अभी सुलझी नहीं है ।
अजीत को मध्य रात्रि में मंदिर के पास होना और उसे मंदिर से किसी के चिखने की आवाज सुनाई देना...... जब उसे मंदिर से चिखने की आवाज आई तो उसे वहां जाना चाहिए था । उसे अच्छी तरह से तहकिकात करना चाहिए था । और अगर सही तरीके से पड़ताल करता तो उसे बंद कमरा और उस कमरे से होकर जाने वाली सुरंग का भी पता चल जाता । और सुरंग का पता चलता तो राजेंद्र की लाश भी बरामद कर लेता ।

मालिनी ने अपने विटनेस के लिए शहरी बाबू का इस्तेमाल किया लेकिन सौभाग्य से ये विटनेस उसके लिए बहुत ही कारगर रहा । और विटनेस की दरियादिली की भी दाद देनी होगी - उसके कार की टुटी हुई हेड लाइट पर मालिनी के झुठे बयान का सपोर्ट किया ।

मालिनी ने पहले तो अंगूठी गिरा दिया और फिर बाद में मर्डर विपन चाकू भी वही ( शायद ) छोड़ आई । ये दोनों चीजें उसके लिए बहुत काम की चीज है- अगर वो अपने शंका का समाधान करना चाहती है तो ।

Beautiful Update with fabulous writing skills Harshit bhai.

Apki guthi sulajh gayi bhai kuch hadh tak matlb jaiseapko malum tha ki mei kya likhne wala hun :D
Daryadali naih thi sirji, vo uska plan tha, malini ka. Koi bhi mard uske sath ata tha to kabhi uske bare mein kisi ko nahi batata tha. Jab malini ne jhooth kaha to usne uska sath isliye diya kyun ki malini pehle se hi baat kar chuki thi.
Anguthi gira di lekin murder weapon to vo sath lay thi. Use kuch khas milega nahi use llekin kuch mil jayega.
Apke sawal aise the jaise apko malum hai ki ane wale update mein whi likhne wala hun :D

Keep reading bhai thank you so much :hug:
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,042
8,999
219
ajit baal ka khaal nikalne par utaru hai... ganimat hai ki malini ne kuch cheeje apni haq mein rakhi taki agar shaq bhi ho tab bhi apni aurr se safayi de sake... waise ajit ka bas chale toh abhi ushe hawalat daal de par bina subut uske bhi haath bandhe hai... lekin sochne wali baat yeh hai ki ajit sirf usike piche kyun para hai... kya koi purani khunnas ke chalte..
us chaaku ke sath kiya kya malini ne...
I think... kuch baaton ko gaur kare toh shaq ki sui meera aur vikrant par bhi jaati hai... matlab agar us hawali ek matr malkin malini ko hata de toh shayad karuna sang milke ya khud dono akele hi us haweli aur usse jude jitne bhi baaki bache jamin zaydad hai ushe hadap sake.. waise bhi abhi tak thakuro ke bahot sare jameen zaydad hadap chuke hai is vikrant aur uski patni meera ne..
manju aur bablu kaka pe bhi shaq hai ab toh...
Btw abhi joh admi haweli pe ruka tha ab woh shikar banega us katil ka.. malini ko is baat pe gaur karni chahiye..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
Apne bhi jo sawal kiya aise kiya jaise malum tha ki jawab ane wala hai :D Koi nahi apki khunas wala jawab de diya hai humne :D
chaku ajit sab aage de dia hai...
Shaq ke ghere mein kaun nahi ata nainaji har koi hai khud malini bhi hogi kisi na kisi baat ko lekar. Mujhe nahi lagta koi zameen hadpi hogi vaise aap sharmaji ko bhool gayi :D
Bablu kaka :shag: aur manju :drool:

Thanks naina ji :hug: keep reading... :dost:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.



Kamre se nikalte hi vo haweli se bahar nikal gayi, aaj usne nashta bhi nahi kiya tha. Manju ne use pucha to usne koi jawab nahi diya aur haweli se chali gayi. Haweli ke piche jahan usne gaddi chhodi thi wahan pahunchne se pehle usne apne aas pass dekha dur-dur tak koi nahi tha. Fir vo jhadiyun mein ghus gayi jahan par usne kal raat gaddi khadi chhod di thi. Malini gaddi ke pass ayi aur use khol kar andar baith gayi. Uski sansein jo abhi tak kabu mein thi andar baithte hi tezz ho chali thi. Uske hath kanp rahe the par fir bhi usne dashboard khola aur usme se chaku nikal liya jise kal raat usne iske andar daal kar chhoda tha. Chaku par abhi bhi khoon laga hua tha jo ab jam chuka tha. Raat ke andhere mein chaku ko vo dhang se nahi dekh payi thi lekin din ki ujale mein vo chamak raha tha. Uska dhayan chamak par nahi balki kuch khoj raha tha jise shayad marne wale ke bare mein pata chal sake. Aise chaku har kisi ke pas nahi hota khuni ne ise sirf marne ke liye hi kharida hai par vo use wahan kyun chhod gaya. Kya vo chahta tha ki vo hume mile ya fir kisi aur ko aur wahan par khoj been ke dauran rajendra ki lash ke sath kankal bhi mil jaye. Agar aisa ho jata to hume koi bacha nahi pata kyun ki rajendra ki biwi jarur bata deti ki vo hamare liye mandir mein kaam kar raha tha. Par sawal ye hai ki kya usne abhi ye baat nahi batai hai, vaise to humne use mana kiya tha ki aaj raat ke bare mein kisi se kuch na kahe aur lagta hai usne apni biwi ko kuch nahi bataya tha tabhi usne daroga se shikayat likhwate waqt ye baat nahi kahi thi. Iska jawab to hume usi se lena hoga par filal is chaku se hum us khuni ka pata kaise lagaye aur tab tak ise kahan chupaye.

Malini ko jab kuch nahi mila chaku se jise vo use kuch smajh aa sake to vo usne use chupane ka faisla kiya. Usne pehle use dashboard mein hi dalne ki sochi lekin use sahi nahi laga uske baad usne andar hi kai jagah rakh kar dekha, seat ke niche, seat gadde mein fansa kar lekin kahin bhi jam nahi raha. Vo gadi se bahar ayi usne chaku ko sarre ke pallu se chupa liya tha. Gaddi ki dikki kholi jo khali padi thi use wahan rakhna sahi nahi laga. Par fir usne matt ko uppar utha diya jahan par ek tyre pada tha aur kuch saman. Ek dafa usne socha ki chaku ko tyre ke niche rakh deti hun wahan nazar jana asan nahi hoga. Usne chaku ko pehle wahin ek kone mein rakha aur fir ek hath se matt pakde hue tyre ko uthane ki kosish karne lagi lekin vo bhari tha aur ek hath se uska vajan nahi sambhla jise uska santulan bigad gaya aur vo andar ki taraf gir gayi. Acha hua jada nahi giri agar aur thoda girti to tyre sidhe uske muh par lagta. Dusre hath se matt chhut gaya aur vo uske uppar gir gaya. Use turant uth jana chahie tha lekin vo usi tarah padi rahi, uski nazar samne ruki hui thi. Eka-ek use bablu kaka ki baat yaad ayi ' Bade thakur ko jitna haweli se pyar tha utna unko apni gadi se bhi tha, bas aksar yahi baat kiya karte the akhri waqt mein '

Malini ki nazar wahan thi jahan shayad hi kabhi kisi ki nazar jati, niche se piche wali seat mein ek jagah bani hui thi jiske andar kuch pada tha. Malini ne fauran wahan se use bahar nikala aur jis chiz ko vo itne waqt se khoj rahi thi vo uske hath mein thi. " vasiyat aur zameen ke kagaz " file ke andar kagaz dekhte hi malini samajh gayi thi. Usne chaku wahin usi ke andar dala jahan se usne file nikali thi aur matt niche karke gaddi mein aa baithi. Vo kuch der unhi kagazon ko padti rahi aur fir file band karke apni gaddi dauda di.

" hume andaza tha ki aap hume yahin milenge " malini gaddi se utarte hi boli.

" maliniji aap aur yahan " ajit ko malini ke yahan hone ki umeed nahi thi.

" jaise aap hamari haweli aa sakte hain to kya usi tarah hum nahi aa sakte " vo ajit ke najdeek pahunchi. Ajit wahan khada chai pii raha tha.

" ek chai aur dena " ajit ne awaz lagai aur ek cup chai ka glass lekar wahan rakhe fatte wali table par baith gaya. Usne malini ko bhi baithne ka ishara kiya aur vo wahan jaa baithi.

" khaiye kaise mulakat karni padi apko " chai ki chuski lete hue ajit bola.

" bas chai pine ki icha thi apke sath " malini ne glass uthaya aur chai ki chuski le li.

" achi tarah se janta hun aap kyun ayi hai hamare pas " ajit ne kaha

" aur vo kya wajah ho sakti hai "

" wahi ki hume koi sabut mile ho apke khilaf to uske bare mein jankari lekar use bach sakein " ajit ki baat par malini muskura di.

" apke pas koi sabut hote to aap yahan chain se chai nahi pii rahe hote " malini janti thi ki ajit ke pas is baat ka koi jawab nahi hoga " hum apko ye batane aye hain ki jo apne humse aaj subah kaha usme kuch sach nahi tha "

" hum kuch samjhe nahi " ajit ke jawab dene ke tarike ko malini ache se samjh rahi thi kyun ki kuch isi tarah subah usne bhi aise hi jawab diya tha jo sach nahi tha.

" yahi ki apne kal mandir mein kisi ki cheekh suni " ajit chai pite hue ruk gaya.

" aap ye kaise keh sakti hai? Police wale hum hai aur aap hume hi uljhane ki kosish kar rahi hai "

" uljha nahi rahe bas wajah bata rahe hain kyun ki agar apne cheekh suni hoti to aap mandir ki talashi le rahe hote na ki hamari gaddi ke bare mein puch rahe hote " malini ne ek hi baar mein apni baat kahi aur chai pine lagi. Ajit kuch nahi keh saka aur yun hi baitha raha.

" apko lagta hai ki hume samajh nahi aa raha aap kya karna chahte hain " malini ki tone aur sawal ajit ko ache se samjha rahe the ki vo use kya kehna chahti hai.

" wahi jo apne kiya tha apko to malum hi hai " ajit ko samajh aa chuka tha ki baat ghumane se kahani nahi badelgi.

" humne jo kiya tha uske piche wajah thi " malini ne bas itna hi jawab diya to ajit ko gussa aa gaya.

" apne hamari behen ko bina kisi sabut ke adhar par doshi karar kara diya tha, kya apne mauka diya tha use? "
wait a minute.... yeh din ke ujale mein lal ten kyun?? :waiting1: khidki pe aaine ki jagah loha laga diya kya :waiting1:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.



Oh teri.... matlab yeh bablu kamina jhingul aur manju lage pare hai aur tharki malini wohi dekhne gayi thi:confused: taaki uske kaam mein koi khalal naa aaye...
matlab bechari manju ko fansa hi liya us kamine budhe ne.... :mad2: aur iski wahaj sirf aur sirf ye b**** malini hai.. sharam na aayi ishe khud toh b**** hai hi ab dusro ko bhi banaane chali :mad:
us budhe ki toh aisi ki taisi... jaake us gehno ki dukan meera ki sang muh kyun nahi Kala kar leta... kamina kahika...
are yeh buddhau mar kyun nahi jaata kahi jaake :mad2:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top