• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Haweli ~~ " The Night Is Dark " (completed)

What makes reader feel while readng " Haweli " title story?


  • Total voters
    35

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
Andhera itna tha ki kali padh chuki haveli hote hue bi dikhai nai de rhi thi, charon aur sanata tha aur haveli ke aas pass dur dur tak is andheri raat mein koi bhi nai tha, kuch tha to vo sanata jiski awaz suni to nahi jaa sakti thi lekin mehsus jarur ho rahi thi....

Us sanate aur andhere mein jahan roshni ka namo-nishan na tha, usi samay haveli ki khidkiyun par ek roshni jhalak rahi thi jese vo us roshni se khidki ke bahar jhankne ki kosish kar rahi ho par darasal vo khidki se bahar nahi balki dhire-dhire niche utar rahi thi. Ek hath mein laltein liye aur dusre hath mein ek glass vo dhire-dhire sidiyan utar rahi thi. Uske chehre par ghabrahat thi, sidiyan utarte sath hi usne bina der kiye apne kadam samne kamre ki taraf badha diye par vahan pahunchte hi vo ruk gayi. Uski sansein ek dum hi tez ho chali thi, blouse mein kasi uski chatiyan zor-zor se uppar niche hone lagi, usne kuch pal yun hi vahan khade guzar die aur phir darwaje par halka dhakka dete hue use khol dia, andar roshni pehle se thi uske sath us kamre mein ek awaz gunj rahi thi jo haveli mein to thi par bahar tak nahi pahunch rahi thi.



PDF Link for this Story : https://www.mediafire.com/file/xpsslq65yowlt7c/Haveli_%7E%7E_The_Night_Is_Dark.pdf/file
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
मंदिर..... लगता है उस क़ातिल का गुप्त ठिकाना है । और वो राजेंद्र के अलावा मालिनी का भी जाना पहचाना है ।
वो तो शुक्र है कि " कौन है उधर " के जबाव में मालिनी ने कुछ कहा नहीं..... नहीं तो हो सकता था कि वो भी राजेंद्र के साथ साथ कतल कर दी गई होती....... आखिर इतनी अंधेरी रात में सुनसान जगह पर मंदिर के पास और कौन होगा !
कंकाल जो एक बच्चे का था... उसके पास से एक अंगुठी मिली लेकिन मालिनी उसे हड़बड़ाहट में वहीं गिरा आई..... अंगुठी से बहुत कुछ पता चल सकता था ।

मंदिर के उस कमरे के दरवाजे को आलमारी से ढ़का गया है जहां से सुरंग का रास्ता जाता है..... सुरंग को बंद करके फिर बाद में उसे आलमारी के द्वारा कवर किया गया था.... आलमारी के बंद दराजों में शायद उस क़ातिल का कुछ सामान वगैरह हो सकता है ।
मंदिर के पिछले हिस्से में पानी का जमाव और सुरंग में भी पानी का होना..... कहीं सुरंग में जाने का कोई और भी रास्ता तो नहीं है ?

अब स्टोरी की घटनाक्रम काफी तेजी से बदल रहा है ।

Beautiful Update with fabulous writing skills Harshit bhai ?
Thikana to nhi keh sakta lekin han koi jaruri chiz jarur hai.
Bahut si chizen hai bhai jinhe abhi pura karna baki hai aur ab usi ki tayari chal rahi hai ki kaise....
Umeed kam hai ki us almari mein kuch milega lekin use jada bada sawal ki ab vo wahan jayegi kaise....
Apka anuman aur sandeh ke piche koi raaz to jarur hoga...
Ab kyun ki kahani mein pehli baar kuch mila hai.

Thank you so much bhai :hug: keep reading...
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
matlab sab kuch khula khula hai I mean to say ki pehle hi koi aake udhar ched chad kar chuka hai us jagah ko...
Kahi yeh kankal uske kisi apne ka toh nahi... lekin joh bhi ho mandir ke andar yeh naa karna chaahiye tha... Shayad ghor paapi hi hoga koi... jo kisi bachhe ko maar ke udhar dafna diya.... jisne bhi kiya usko kadi se kadi saza milni chaahiye...
Kamal hai... itni raat gaye koi aur bhi bhatak raha hai wahan par ...
even andar bhi aa gaya... ab koun hai ye.. yeh toh aage hi pata chale
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
Saza mile tabhi to vo khoj been kar rahi hai :D
Koi yun hi nahi bbhatak raha hoga aur yun hi aisa kuch nahi ho raha hoga.
Keep reading naina ji thank you :hug:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
Haweli ane se pehle usne gaddi rok vo utari aur haweli ki taraf paidal chal di. Haweli pahunchne se pehle use us admi ki gaddi dikhi jise vo aya tha. Malini uske pas gayi aur usne ek pathar sadak se uthaya aur uski headlight par de mara. Usne pathar wahin fenka aur haweli ki taraf badhi. Reh-reh kar uske dimag mein sirf ranjeet ka chehra aa raha tha. Malini ne khidki kholi aur chadh kar apne kamre mein ayi aur khidki band kar di. Vo admi abhi bhi usi tarah so raha tha koi halchal nahi thi kisi ko kuch malum nahi hua tha ki malini haweli chhod kar gayi thi. Usne bathroom tak jane mein hi apne kapde utarne shuru kiye aur sare kapde utar kar nangan awastha mein bathroom ghuste hi shower on karke uske niche khadi ho gayi. Uska jism itni sardi mein aag ki bhati ki tarah tap raha tha isliye thande pani ka bhi ehsas use nahi hua. Shower ke niche khade hote hi jaise usne ankhein band ki samne ranjeet ka chehra aa gaya jo khoon se latpat tha aur malini ko keh raha tha ' soch lijeye ek baar fir '

Malini ne turant ankhein kholi aur shower band kar diya, use aisa lagne laga tha jaise ranjeet ki atma uske sath mandir se ayi ho aur har kadam uske sath ho. Jo usne kiya tha vo bahut galat tha lekin halat ne use majbur kar diya tha. Badan poch kar vo bahar nikli aur apne utare kapde lekar andar aa gayi. Khoon ke dhabbe uske kapdon mei lage hue the jinhe usne ragad ragad kar saaf kiya lekin vo saaf nahi hue halke nishan abhi bhi maujud the. Vo ruki nahi aur ek baar dhone ke baad fir kapdon ko ragadne lagi. Uska kandha dard karne laga tha lekin jab tak usne ranjeet ka khoon puri tarah se nahi hata diya vo nahi ruki.

Bahar aakar usne almari se apne kapde nikale aur blouse peticot mein hi bistar par lait gayi. Vo janti thi ki aaj use nind nahi ayegi. Par jo usne socha tha use ab vo bhatak nahi sakti thi, use andhesha ho gaya tha ki kal ki subah se uski zindagi palatne wali hai. Usne apna hath piche kiya aur apni bra ke hook khol diye. Blouse ki dori usne pehle se hi khuli chodi thi aur aise mein ab uski pith bilkul nangi ho gayi. Usne razai ko uppar liya aur apna jism kamar tak dhak liye.

Ranjeet uska khoon, mandir mein kankal aur us kankal se mili anguthi jo use galti se wahin gir gayi thi koi tha jo nahi chahta tha ki vo kankal mile yani vo insan nahi chahta ki kisi ko vo anguthi mile jise us kankal ki shenat ho sake isliye usne ranjeet ko mara. Par use kaise malum hua ki ranjeet wahan maujud tha? Kya vo kafi waqt se uspar nazar banaye rakha tha? Agar han to usne use pehle kyun nahi mara aur aaj ki raat hi kyun chuni? Aur agar nahi to sawal wahi hai ki kisi aur ko kaise pata ki ranjeet mandir mein maujud tha. Aur agar us shaks ko ye pata tha ki ranjeet wahan maujud hai to kya ye bhi pata tha ki hum wahan hai uske sath? Agar han to usne hume zinda kyun chhod diya aur ranjeet ko maar kar chala gaya aur agar nahi to use shaq jarur hoga ki ranjeet kiske kehne par wahan maujud tha? Shaq hum par sabse jada hoga hi rahega isliye vo hume isme bhi fasane ki kosish karega. Ye bhi ho sakta hai ki vo shaks hamare wahan hone ke bare mein janta tha aur isliye usne ranjeet ko mara taki hum pakde jaye jaise vo un sabhi mardo ko maar raha tha jo hamare sath bistar par aya? Kya ye shaks ek hi hai? Lagta to hume yahi hai ki vo ek hi shaks hai jo hume fasana chahta hai uska maksad yahi hai ki hume haweli ka raaz na malum ho. Agar aisa hai to fir vo awaz kiski thi jo hume mandir se nikalne ke baad sunai di thi? Kya vo hamara veham tha ya fir wahan sach mein koi maujud tha? Koi gaon wala ya fir koi aur? Malini ki bachi hui raat inhi sawalon mein beet gayi. Ek do baar uski ankh bhi lagi lekin ranjeet ki laash uske samne aa jati aur vo ghabra kar unhe khol leti.

Subah us admi ki nind tuti, shayad bahut der tak sota raha use yahi abhas hua aur vo apni ankhein dhire-dhire kholne laga. Ek pal use samajh nahi vo kahan hai sabse pehle uski nazar farsh par padi jahan par uske kapde pade aur uske sath kuch kapde aur the. Nazar ghumate hue usne apne bagal mein laiti malini ko dekha jiski khuli hui pith dekh use samajh aya ki vo kahan hai. Vo apni jagah se khada hua aur tab use apne lund par dard hua jise usne pakad liya. Lagta hai raat kuch jada hi kar liya tha. Yahi soch usne apne kapde pehne aur malini ke kapde jo uske kapdon ke uppar pade the unhe wahin rakh diya. Malini jaag rahi thi aur use sab mehsus ho raha tha ki vo admi kya kar raha hai.

" uth gaye aap " malini ne apni nazar nahi feri.

" ji.. han. " vo admi malini ki taraf ghuma par malini ne kuch nahi kaha to vo apne kapde pehnne laga. " aap kapde pehiye hum atte hain " malini kehte hue khadi hui aur razai odhe hi bathroom ke andar ghus gayi. Us admi ki icha thi malini ko dekhne ki kyun ki uska chehra use yaad nahi aa raha tha sab kuch dhundla sa tha uske liye kal raat jo bhi hua lekin sab kuch dekh kar usne yahi samjha ki kal raat is aurat ne jam kar uske sharir se mehnat karai hai. Malini bathroom se bahar nikli, vo admi kapde pehen chuka tha aur jab malini bahar ayi to usne uska chehra tha. Use chehra yaad nahi tha jaise har baat uske liye dhundli thi ye bhi waisi hi thi.

" aap kuch khana pasand karenge ? "

" ji..nahi mujhe ab nikalna hoga "

" bahut acha " malini ne kamre ka kiwad khola aur vo bahar nikli. Manju haweli ki safai ka kaam kar rahi thi aur bablu kaka abhi-abhi haweli ke andar dakhil hue the.

" thakurain vo haweli ke bahar kisi ki gaddi khadi thi hum dekhne gaye to koi dikha nahi kya koi " bablu kaka itna hi bol paye ki malini ke kamre se vo admi bahar nikla. Manju kaam karte hue ruk gayi aur bablu kaka hairani mein kabhi us admi ko dekhte to kabhi malini ko.

" vo gaddi inhi ki hai kal raat inki gadi ki light kharab ho gayi thi aur kohre ki wajah se inhe rukna pada aur humne panha de di " malini ne jab jawab diya uske baad kisi ki himmat nahi thi kuch puchne ki.

" bahut acha thakurain " bablu kaka ne bas itna hi kaha.

" ab hum chalte hain, panha dene ke liye dhanywad " vo admi keh kar jane ko hua par uske kadam samne se atte police wale ko dekh ruk gaye. Malini ki nazar jaise hi daroga ajit par gayi uske chehre ke bhav badal gaye.

" kya hum andar aa sakte hain? "
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
lo ho gaya chyappa... par gayi uske dil ko thandak... ab khud bachane ki khatir rajendra ki lash ko chupa diya par joh fingerprints har jagah chhod aayi uska kiya... upar se jisne abhi "koun hai udhar" kaha tha kya usne gaadi ko nahi pehchanega kya... ki woh haweli ki gaadi hai... aur katil ko toh pata hi hai....
Lagta hai woh anguthi ya toh us bachhe k hai ya phir katil ka ya phir jishne ushe wahan dafnaya tha... aur shayad bacha aag lagne ki wajah se mara hai..
Btw yeh katil wohi hai jisne haweli aur malini ki pungi bajane ki pran liya hai..
rajendra ne "aap" kaha
matlab jahir si baar hai ki kis sur mein Aap kahke sambodhid kar raha tha us katil ko... kisi anjan ko akasmaat wahan pe dekh ke ya koi pehchaan wala ko dekh hairan hoke... yeh bhi sochne wali baat hai...
aainn :hmm2: main kyun soching itni saari baatein aur sambhabnaye... harsu ji hai na.. aane wale update mein bata hi denge :D

Khair Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
(ho na ho ye kaatil woh tharki vikrant hi hai)

Finger prints ke liye safai kar di na usne puri ki puri aur kahan gaon mei koi finger priints chck krta firega :D
Gaddi pehchan leta sawal to apka bahut sahi hai vaise :D
Aag? kaise andaza lagaya apne aag ki wajah se mara?
Aaj to apke bade hi sawal the :D kahani ki pakad bana rakhi hai apne.
Hahahaha vikrant se itni nafrat kyun hai re baba :D

Thank you so much naina ji :hug: keep reading... :dost:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
Malini shayed sach ke kareeb pehuch ti. Ja rhi hai ,ho na ho katil jo bhi hai usey malum tha ki malini surang me hai . Wo shayed usey fasana chata hai marna nahi .
Hmmm apki assumption bhi dhayan mein rakhte hain.
Keep reading thanks bhai :hug:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Finger prints ke liye safai kar di na usne puri ki puri aur kahan gaon mei koi finger priints chck krta firega :D
Gaddi pehchan leta sawal to apka bahut sahi hai vaise :D
Aag? kaise andaza lagaya apne aag ki wajah se mara?
Aaj to apke bade hi sawal the :D kahani ki pakad bana rakhi hai apne.
Hahahaha vikrant se itni nafrat kyun hai re baba :D

Thank you so much naina ji :hug: keep reading... :dost:
aji abhi savaalon ka daud aaye hi kaha hai... sukur manaiye ju aur nain11ster ji favorite writers mein se hai....isliye no savaal jawab :D
me masoom reader, masoomiyat se bhari mah revos :lollypop:
(hints aapko tabhi samajh jaane chahiye the jab meri ju ke thread pe ek post jisme avi ko chaar comments chaar savaal, aur woh bole mujhe ki baks du ushe :D)
 
Last edited:
  • Haha
Reactions: harshit1890

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Haweli ane se pehle usne gaddi rok vo utari aur haweli ki taraf paidal chal di. Haweli pahunchne se pehle use us admi ki gaddi dikhi jise vo aya tha. Malini uske pas gayi aur usne ek pathar sadak se uthaya aur uski headlight par de mara. Usne pathar wahin fenka aur haweli ki taraf badhi. Reh-reh kar uske dimag mein sirf rajendra ka chehra aa raha tha. Malini ne khidki kholi aur chadh kar apne kamre mein ayi aur khidki band kar di. Vo admi abhi bhi usi tarah so raha tha koi halchal nahi thi kisi ko kuch malum nahi hua tha ki malini haweli chhod kar gayi thi. Usne bathroom tak jane mein hi apne kapde utarne shuru kiye aur sare kapde utar kar nangan awastha mein bathroom ghuste hi shower on karke uske niche khadi ho gayi. Uska jism itni sardi mein aag ki bhati ki tarah tap raha tha isliye thande pani ka bhi ehsas use nahi hua. Shower ke niche khade hote hi jaise usne ankhein band ki samne rajendra ka chehra aa gaya jo khoon se latpat tha aur malini ko keh raha tha ' soch lijeye ek baar fir '

Malini ne turant ankhein kholi aur shower band kar diya, use aisa lagne laga tha jaise rajendra ki atma uske sath mandir se ayi ho aur har kadam uske sath ho. Jo usne kiya tha vo bahut galat tha lekin halat ne use majbur kar diya tha. Badan poch kar vo bahar nikli aur apne utare kapde lekar andar aa gayi. Khoon ke dhabbe uske kapdon mei lage hue the jinhe usne ragad ragad kar saaf kiya lekin vo saaf nahi hue halke nishan abhi bhi maujud the. Vo ruki nahi aur ek baar dhone ke baad fir kapdon ko ragadne lagi. Uska kandha dard karne laga tha lekin jab tak usne rajendra ka khoon puri tarah se nahi hata diya vo nahi ruki.

Bahar aakar usne almari se apne kapde nikale aur blouse peticot mein hi bistar par lait gayi. Vo janti thi ki aaj use nind nahi ayegi. Par jo usne socha tha use ab vo bhatak nahi sakti thi, use andhesha ho gaya tha ki kal ki subah se uski zindagi palatne wali hai. Usne apna hath piche kiya aur apni bra ke hook khol diye. Blouse ki dori usne pehle se hi khuli chodi thi aur aise mein ab uski pith bilkul nangi ho gayi. Usne razai ko uppar liya aur apna jism kamar tak dhak liye.

Rajendra uska khoon, mandir mein kankal aur us kankal se mili anguthi jo use galti se wahin gir gayi thi koi tha jo nahi chahta tha ki vo kankal mile yani vo insan nahi chahta ki kisi ko vo anguthi mile jise us kankal ki shenat ho sake isliye usne rajendra ko mara. Par use kaise malum hua ki rajendra wahan maujud tha? Kya vo kafi waqt se uspar nazar banaye rakha tha? Agar han to usne use pehle kyun nahi mara aur aaj ki raat hi kyun chuni? Aur agar nahi to sawal wahi hai ki kisi aur ko kaise pata ki rajendra mandir mein maujud tha. Aur agar us shaks ko ye pata tha ki rajendra wahan maujud hai to kya ye bhi pata tha ki hum wahan hai uske sath? Agar han to usne hume zinda kyun chhod diya aur rajendra ko maar kar chala gaya aur agar nahi to use shaq jarur hoga ki rajendra kiske kehne par wahan maujud tha? Shaq hum par sabse jada hoga hi rahega isliye vo hume isme bhi fasane ki kosish karega. Ye bhi ho sakta hai ki vo shaks hamare wahan hone ke bare mein janta tha aur isliye usne rajendra ko mara taki hum pakde jaye jaise vo un sabhi mardo ko maar raha tha jo hamare sath bistar par aya? Kya ye shaks ek hi hai? Lagta to hume yahi hai ki vo ek hi shaks hai jo hume fasana chahta hai uska maksad yahi hai ki hume haweli ka raaz na malum ho. Agar aisa hai to fir vo awaz kiski thi jo hume mandir se nikalne ke baad sunai di thi? Kya vo hamara veham tha ya fir wahan sach mein koi maujud tha? Koi gaon wala ya fir koi aur? Malini ki bachi hui raat inhi sawalon mein beet gayi. Ek do baar uski ankh bhi lagi lekin rajendra ki laash uske samne aa jati aur vo ghabra kar unhe khol leti.

Subah us admi ki nind tuti, shayad bahut der tak sota raha use yahi abhas hua aur vo apni ankhein dhire-dhire kholne laga. Ek pal use samajh nahi vo kahan hai sabse pehle uski nazar farsh par padi jahan par uske kapde pade aur uske sath kuch kapde aur the. Nazar ghumate hue usne apne bagal mein laiti malini ko dekha jiski khuli hui pith dekh use samajh aya ki vo kahan hai. Vo apni jagah se khada hua aur tab use apne lund par dard hua jise usne pakad liya. Lagta hai raat kuch jada hi kar liya tha. Yahi soch usne apne kapde pehne aur malini ke kapde jo uske kapdon ke uppar pade the unhe wahin rakh diya. Malini jaag rahi thi aur use sab mehsus ho raha tha ki vo admi kya kar raha hai.

" uth gaye aap " malini ne apni nazar nahi feri.

" ji.. han. " vo admi malini ki taraf ghuma par malini ne kuch nahi kaha to vo apne kapde pehnne laga. " aap kapde pehiye hum atte hain " malini kehte hue khadi hui aur razai odhe hi bathroom ke andar ghus gayi. Us admi ki icha thi malini ko dekhne ki kyun ki uska chehra use yaad nahi aa raha tha sab kuch dhundla sa tha uske liye kal raat jo bhi hua lekin sab kuch dekh kar usne yahi samjha ki kal raat is aurat ne jam kar uske sharir se mehnat karai hai. Malini bathroom se bahar nikli, vo admi kapde pehen chuka tha aur jab malini bahar ayi to usne uska chehra tha. Use chehra yaad nahi tha jaise har baat uske liye dhundli thi ye bhi waisi hi thi.

" aap kuch khana pasand karenge ? "

" ji..nahi mujhe ab nikalna hoga "

" bahut acha " malini ne kamre ka kiwad khola aur vo bahar nikli. Manju haweli ki safai ka kaam kar rahi thi aur bablu kaka abhi-abhi haweli ke andar dakhil hue the.

" thakurain vo haweli ke bahar kisi ki gaddi khadi thi hum dekhne gaye to koi dikha nahi kya koi " bablu kaka itna hi bol paye ki malini ke kamre se vo admi bahar nikla. Manju kaam karte hue ruk gayi aur bablu kaka hairani mein kabhi us admi ko dekhte to kabhi malini ko.

" vo gaddi inhi ki hai kal raat inki gadi ki light kharab ho gayi thi aur kohre ki wajah se inhe rukna pada aur humne panha de di " malini ne jab jawab diya uske baad kisi ki himmat nahi thi kuch puchne ki.

" bahut acha thakurain " bablu kaka ne bas itna hi kaha.

" ab hum chalte hain, panha dene ke liye dhanywad " vo admi keh kar jane ko hua par uske kadam samne se atte police wale ko dekh ruk gaye. Malini ki nazar jaise hi daroga ajit par gayi uske chehre ke bhav badal gaye.

" kya hum andar aa sakte hain? "
joh ho gaya so ho gaya... ab ushe is baat pe dhyaan deni chahiye ki aage kya... ushe kuch aisa intezaam kar leni chaahiye jiske chalte woh aage chalke fanse na... kyunki abhi toh khamoshi chaii huyi hai par jald hi aane wala waqt ke sath ek tufaan aane ko hai.. shayad haweli mein rahne walo ka jindagiya badal de...
Woh katil joh bhi hai woh kisto mein dar ka saza ya ye kahi jaaye ek tarah se chetavani hi de raha hai malini ko.. chetavani isliye kyunki katal unhi logo ka kiya jo malini ki sang so rahe the . saza e dar isliye kyunki usne malini se jude logo ka hi khoon kiya hai lekin yahan pe twist yeh hai ki marne wale ya toh malini sang intimate hone wale log ya phir woh log joh ush raj se parda hatane mein malini ki madad kar rahe the... baat saaf hai katil ko yeh baatein hargiz pasand nahi .
Shayad kaatil bahot karibi logo mein se ek hai joh pal pal ki khabar rakhta hai... ya phir woh joh malini ki sath rahti ya rahta hai.. lo ab yeh ajit bhi aa gaya.. :sigh:
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
(aur haan.. us tharki vikrant ki wajah se hi yeh sab ho raha hai... isse pehle malini fanse.. malini jaake vikrant ko maarke ushe thikana laga de)
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,343
304
Finger prints ke liye safai kar di na usne puri ki puri aur kahan gaon mei koi finger priints chck krta firega :D
well.. gaon wale toh nahi par woh ajit jarur chhan bin karega... chaliye fingerprints ko jane dete hai hum.. par woh lady's chappal ya jo bhi pahan ke gayi thi uske nishan mitti pe uska kya.. clue khud chhod ke aayi hai woh ..aur jahir si baat hai wahan pe gaon ke admi jaane se dare toh koi aurat kyun jaane lagi... yeh ajit jis tarike se malini ki piche laga hua hai isse to lage ki kadi se kadi mila hi lega woh toh... ab malini ke upor hai ki woh kaise khud ko bachati hai is mamle mein fanse se..
Aag? kaise andaza lagaya apne aag ki wajah se mara?
mitti ki wajah nahi aag ki wajah se Kala pare dhaatu.. aur anghuthiya toh kisi na kisi dhaatu se hi bante hai na...
Hahahaha vikrant se itni nafrat kyun hai re baba :D
favorite story character neelam uske wajah se aaj is duniya mein nahi hai . chaahe indirectly hi sahi.. :mad:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
" kya hum andar aa sakte hain? " ajit ne haweli mein kadam rakha aur sabhi ki taraf dekha. Har shaks uski jaan pehchan ka tha sivai ek shaks ke. " kya hum kuch galat waqt par to nahi aye "

" daroga aap subah-subah haweli kaise " bablu kaka uski taraf ghumte hue bole.

" jahan juram wahan police suna to hoga apne? "

" jurm? kaisa jurm? haweli mein kis jurm ki baat kar rahe hain aap? "

" humne to nahi kaha ki jurm haweli mein hua hai? " ajit ki baat par bablu kaka shant ho gaye. " hum to yahan kuch sawal karne aye the bas "

" kaise sawal ? "

" apse nahi thakurain se sawal hai hamare " ajit malini ki taraf dekhne laga. Malini abhi tak shant khadi thi, man mein dhero sawal liye.

" humse kis tarah ke sawal? " malini ne chehre par chai sabhi ghambhirta ko hatate hue pucha. " agar aap abki baar bhi unhi khoon ke bare mein puchne aye hain to koi faiyda nahi hum pehle hi apko bata chuke hain ki "

" nahi, uspar abhi tehkikat chal hi rahi hai. Jald hi uska sabut bhi hume mil jayega filal hum kisi dusre kaam se aye hain "

" jaise ki? " ajit ek pal malini ko ghurta raha. Uske chehre par muskan thi lekin malini ke nahi, vo jitna chuapye utna uska asar chehre par padhta jaa raha tha.

" kal raat aap kahan thi? " malini ko jaisa shaq tha, ajit ne wahi sawal kiya.

" daroga aap jante hain ki kisse sawal kar rahe hain " bablu kaka bich mein bol uthe.

" kanun ke liye har insan ek jaisa hai bhale hi vo haweli ki thakurain kyun na ho "

" daroga "

" kaka " malini ne bablu kaka ko wahin rok diya. Vo mahol ko jada kharab karke baat nahi badana chahti thi. " inhe sawal karne dijeye " malini kuch kadam aage ayi vo sirf yahi chahti thi ki ajit ka dhayan us admi par kam rahe. " kal raat hum roz ki tarah haweli mein hi the "

" kya aap yakeen se keh sakti hai? kyun ki agar apne humse jhooth kaha to "

" hum kahan rehte hain uspar yakeen se kehne ki jarurat nahi hai. Kal raat hum haweli mein the yahi sach hai " malini ne uski ankhon mein dekhte hue jawab diya.

" theek hai maan lete hain par kya kisi ne apko haweli mein dekha hai? kehne ka matlab maan lijeye ki agar kisi ne apko haweli se bahar dekha ho aur aap sach keh rahi ho to yakeen kaise dilayegi? " ajit ne sawal ko ghuma kar pucha. Malini ek pal shant khadi rahi.

" humne dekha hai inhe haweli mein " us admi ne jawab diya aur ajit ki nazar malini se hath kar uspar chali gayi.

" apka parichye? "

" vo apka sawal nahi hai inspector, sawal ye hai ki humne thakurain ko haweli mein dekha hai kyun ki kal raat inhone hi hamari madad ki thi "

" madad ? "

" han, kal hamari gaddi ki headlight tut gayi thi jiski wajah se kohre mein dekh pana mushkil ho gaya tha isliye inhone hume apni haweli mein panha di " jaisa malini ne kuch der pehle bablu kaka ko bataya tha theek wahi us admi ne inspector se kaha. Ajit wahin khada raha us admi ko dekhta raha.

" tumhara naam? " ajit ne pucha.

" apko jo janna tha vo apne jaan liya lekin aap hume ye bata sakte hain ki aap subah hamari haweli par is tarah ke sawal humse kyun kar rahe hain ? " malini nahi chahti thi ki ajit us admi se itne sawal kare. Ajit ne apna dhayan usi par banaye rakha par malini ke sawal par use jawab dena pada.

" ranjeet ko janti hai aap? "

" kaun? " malini ka dil zoron se dhadak utha.

" ranjeet jo haweli ke liye kaam karta tha "

" haweli ke liye bahut log kaam karte hain daroga ji sabke naam hume kaise yaad rakh payenge lekin aap uske bare mein kyun puch rahe hain "

" uski biwi ne shikayat darz karai hai ki uska pati kal raat se gayab hai aur ghar nahi lauta hai "

" chinta wali baat hai lekin isme hum apki kya madad kar sakte hain "

" uski biwi ne bataya ki vo apke liye pichle kuch samay se kaam kar raha hai aur aap keh rahi hain ki aap use nahi pehchanti "

" kara hoga, hum aksar haweli ke kaamo mein logon ko shamil kiya karte hain " usne ajit ko jawab diya " kaka aap pata kijeye ki ranjeet ki biwi kahan rehti hai aur fir hume bataiye "

" ji thakurain "

Ajit malini ke bartav ko gaur se dekh raha tha " hume umeed hai ki aap sahi keh rahi hogi? "

" beshak " malini chota sa jawab dete hue chup ho gayi. Uske man mein bahut se sawal ghum rahe the lekin vo abhi bas ajit se picha chhudwana chahti thi.

" apki gaddi kal kahan thi? "

" jahan honi chahie, haweli mein hi " malini jawab dete hue is baar thoda atak gayi. Use umeed nahi thi ki vo gaddi ke bare mein kuch kahega.

" kya apko pakka yakeen hai? "

" ap aise keh rahe hain jaise apne hamari gaddi kahin aur dekhi ho "

" kash dekh pata lekin andhere mein kuch dikha hi nahi "

" hum apki baat nahi samjhe "

" hamara ghar mandir ke raste se hokar padta hai aur kal raat jab ab hum apne ghar jaa rahe the to mandir se kisi ki cheekh suni. Itni raat ko mandir mein kaun ho sakta hai vo bhi gaon ke sabse prachalit shrapit mandir jahan din mein koi nahi ata to humne socha dekh lein aur tab hume wahan kisi ki ahat hui koi tha jo wahan se bhag raha tha, humne pucha bhi ki kaun hai aur us disha mein gaye bhi lekin tab tak vo wahan se nikal chuka tha. Uske pas koi gaddi thi paiyun ke nishan dekh kar to yahi samajh ata hai isliye socha puch lun apse bhi " ajit baat sunte hi malini ko samajh aa gaya ki kal raat vo awaz kiski thi. Yani agar kal vo wahan dikh jati to aaj vo haweli mein nahi balki jail ki salakhon mein hoti kyun ki uske wahan hone par sawal hote aur sawalon ke piche jawab chupe hote jo mandir mein the.

" hamari gadi haweli mein hi thi lekin kuch kharabi aa gayi thi isliye theek hone ke liye di thi "

" kahan par "

" seher se bahar nadi ke kinare jo garage bana hai wahin, kahiye to apko unka naam aur number bhi de dein? " malini ne is baar jawab dene mein koi galti nahi ki.

" achi baat hai, hume kuch aur puchna hoga to jarur puchne ayenge apse. Filal aap apni bajuon par lagi chot mein kuch laga lijeye " ajit ki baat sunte hi malini ki ankhein khuli reh gayi. Usne apni nazre nahi jhukai aur na hi apni bajuon ki taraf dekha.

" ji shukriya "

" aur han aap, aapki light sach mein kharab hui thi ya phir kisi ne usko tod diya tha? " ajit ka sawal is baar malini ke piche khade admi se tha.

" ji.. ? " vo hairani mein khada tha.

" nahi vo wahan kanch pade the apki gadi ke pas to socha puch lun ki kharab kaise hui? "

" vo...vo tut gayi thi raste mein socha tha andhere se pehle theek karwa lunga lekin kara nahi paya aur kal raat jab kuch nahi dikha to khud hi dekhne laga usme kuch kanch ke tukde wahin gir gaye honge " us admi ke bolte hi malini ko dhayan aya ki vo kal is baat ka khayal nahi rakh payi jab usne kanch toda to tukde wahin reh gaye the.

" hmm ho sakta hai aur ye bhi ho sakta hai ki kisi ne use jaan kar toda ho " ajit jawab dete hue malini ko dekhne laga. " acha to hum chalte hain koi aur sawal honge to apse fir mulakat hogi " ek dafa ajit ne haweli ke har shaks ko dekha aur wahan se nikal gaya.

Ajit ke jane ke baad vo admi bhi wahan se chala gaya, bablu kaka bhi wahan khade na rahe aur chale gaye. Manju jo itni der se kaam ko roke hue the vo bhi kaam niptane mein lag gaye. Malini ek pal wahin khadi rahi aur phir apne kamre mein chali gayi. Kamre mein jatte hi usne apni bajuon ko dekha jahan par lambe lambe nishan bane hue the jispar khoon jama hua tha. Koi bhi dekh kar bata sakta tha ki kisi patli chiz ki ghisad se ye jhakam hua hai par malini ko malum tha ki ye jhakam kal raat mandir ane aur jane mein jis jhadiyun se hokar vo guzari thi unhi ki wajah se ye nishan mile the. Uski nazar nahi gayi thi lekin ajit ne dekh liya tha. Uska shaq ab hum par aur bhi jada gehra hota jaa raha hai, use shayad malum ho chala hai ki kal hum hi the mandir mein isliye ab vo hum par aur kadi nazar rakhega tabhi vo haweli aya tha humse puch tach karne. Par ranjeet ki biwi ne shikhayat darz ki ye baat hume thodi khatak rahi hai. Jarur iske piche us ek insan ka hath hai jisne uski madad ki hogi, vikrant, hume jo bhi karna hoga behad dhyan se karna hoga, ek galat kadam shaq ki sabhi suiyun ko hamari taraf modh dega. Malini sochte hue bathroom mein chali gayi.

Malini janti thi ki aisi anhoni hone ke purre asar hai isliye usne faisla kar liya tha ki agar aisa hua to kaise bachna hai. Vo ye baat kisi ko bhi pata nahi chalne de sakti thi isliye vo kal haweli ane tak yahi soch rahi thi ki kaise is baat ko sabse chupaya ja sake, manju se bhi lekin jab Bablu kaka ke ane ki khabar mili to usko ek rasta dikh gaya. Usne soch liya tha ki vo manju ko bablu kaka ke sath rehne ka bol degi taki raat ko jo ho uske bare mein un dono ko kuch pata na chale. Iske baad use ek aise sabut ki jarurat thi jo haweli se na juda ho aur uske liye gawahi de sake ki vo raat bhar uske sath hi thi. Isliye usne har-bar ki tarah ek admi bulaya jo aya to uske sharir ko thanda karne tha lekin is baar malini ka irada kuch aur tha. Isi liye usne use nashe ki dawa di aur uske lund ko itni baar hila kar uska ras nikala aur apne kapde uske kapdon ke sath bikhair diye aur khud uske bagal mein akar lait gayi taki jab vo admi subah uthe to use kuch yaad na rahe lekin apne aas-pass ke banaye gaye vatavaran se use wahi lage jo vo karne aya tha uppar se lund mein dard hone par use yakeen ho gaya ki usne kiya bhi wahi hai. Raat ko haweli atte waqt gaddi ki light todne ke piche ka maskad uske hone ka vajud batana tha taki na bablu kaka ko shaq ho na hi manju ko.

Humne sab kuch sirf isliye kiya taki agar hume mandir mein kisi ne pehchan liya to use bacha ja sake aur sab kuch bilkul wesa hi hota lekin ek anhoni ne sab badal diya. ranjeet ko marne wala insan hamari har soch ko maat de gaya, agar humne ye sab na socha hota to subah ajit ko hum par vishwas dilana namumkin ho jata. Nahate hue malini apni soch mein dubi hui thi. Uske chehre ki chinta ye bata rahi thi ki kuch aur hai jisko lekar vo behad ghabrai hui hai jise usne abhi kahani mein chupaya hua hai. Kuch aisa jo uske sath kal raat hua par usne apni soch mein chupa rakha tha. Badan pochte hue uski nazar kal raat walle kapdon par padi jise usne ragad ragad kar dhoya tha jise yaad karte hue use kal raat ki ghatna yaad ayi jab vo mandir ke kamre par tala laga kar aage badhi hi thi aur uska paun kisi chiz par pada tha.

Andhere mein use dikha nahi lekin jaise hi usne use uthaya to uske mathe par bal padh gaya. Uske hath mein chaku tha jispar khoon laga hua tha aur vo khoon kisi aur ka nahi balki ranjeet ka tha ye use samjhte hue der nahi lagi. ranjeet ki lash dekhne ke baad uske man mein sabse pehli baat yahi ayi thi ki kya marne wale ne kuch chhoda hai? Par ab jab chaku uske hath mein tha tab na to vo usko wahan chhod nahi sakti thi aur na hi apne sath le jaa sakti thi lekin halat ke aage majbur hokar vo chaku ko lekar mandir ke usi raste se utri jis taraf se vo ayi thi. Sochte hue malini ne badan par towel lapetta aur bahar nikal gayi.
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,994
8,985
219
joh ho gaya so ho gaya... ab ushe is baat pe dhyaan deni chahiye ki aage kya... ushe kuch aisa intezaam kar leni chaahiye jiske chalte woh aage chalke fanse na... kyunki abhi toh khamoshi chaii huyi hai par jald hi aane wala waqt ke sath ek tufaan aane ko hai.. shayad haweli mein rahne walo ka jindagiya badal de...
Woh katil joh bhi hai woh kisto mein dar ka saza ya ye kahi jaaye ek tarah se chetavani hi de raha hai malini ko.. chetavani isliye kyunki katal unhi logo ka kiya jo malini ki sang so rahe the . saza e dar isliye kyunki usne malini se jude logo ka hi khoon kiya hai lekin yahan pe twist yeh hai ki marne wale ya toh malini sang intimate hone wale log ya phir woh log joh ush raj se parda hatane mein malini ki madad kar rahe the... baat saaf hai katil ko yeh baatein hargiz pasand nahi .
Shayad kaatil bahot karibi logo mein se ek hai joh pal pal ki khabar rakhta hai... ya phir woh joh malini ki sath rahti ya rahta hai.. lo ab yeh ajit bhi aa gaya.. :sigh:
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
(aur haan.. us tharki vikrant ki wajah se hi yeh sab ho raha hai... isse pehle malini fanse.. malini jaake vikrant ko maarke ushe thikana laga de)

Apke sawal the na ki vo aisa sab kyun kr rhi hai manju ko kyun chhoda uska jawab apko mil gaya hoga ab tak to :D
Aa chuki hai madam ab khamoshi ka waqt khatam ho gaya...
Malini ko chetavni de rha hai hmm par sawal ye bhi banta hai na ki uske sath humbistar walon ko marne ka faiyda kya?
Karibi nahi hai par han karib jarur hai :D
Thank you naina ji :hug: for reading nd liking :dost:
Hahaahaha fir vikrant aise kaise maar de, khuni thodi hai vo :roflol: Baki jaisa aap kaho karwa dete hai :D
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top