Rajendra ne mashal ko wahin laga diya jahan se nikala tha aur almari khiskane laga. Zameen par itni mitti thi ki vo fisalti hui hatt gayi aur malini ki nazar darwaje par padi jo utna hi bada tha jitni ki almari.
" tumne ise aise hi khoja hoga? "
" nahi thakurain almari udhar hi thi jidhar mene abhi ki hai "
" yani jab tum is kamre mein aye to ye darwaja yahan maujud tha, bina talle ke? "
" talla? nahi thakurain darwaja khula hua tha " malini jawab sun sochne lagi lekin abhi waqt kam tha.
" aur ye almari? "
" band hai thakurain, sirf pehle wala daroj hi khulta hai jisme kafi purana saman pada hai " rajendra ne bataya to malini ne khol kar dekh liya. Puja ki purani thali, kuch aur bartan ke sath kathaon ki kitbatein padi thi jinpar mitti jami hui thi.
" theek hai tum ise kholo " malini ne niche walle drawer khol kar dekhe par vo khule nahi. Rajendra ne kiwad par lagi choti kundi hatai aur khol diya. Malini theek uske samne hi khadi thi kuch sidiyan jo niche ki aaur jaa rahi thi.
" yahin hai surang thakurain, sidiyun se niche. Jab mujhe mili thi tab band thi lekin dhire-dhire khod kar humne ek chota rasta bana liya, abhi aage badh hi rahe the ki hume vo mil gaya " rajendra ka ishara kankal ki aaur tha.
" theek hai chalo "
" nahi thakurain hum nahi jayenge, hum apko yahan tak le aye kyun ki apke bade upkar hai hamare uppar lekin ab hum niche nahi jayenge. Vo kankal abhi bhi hamari ankhon ke samne hai " rajendra ki ankhon mein khauf dekh malini kuch bol hi nahi payi aur soch mein khadi rahi " hum to kehte hain aap bhi jane dijeye, bhool jaiye is jagah ko warna ko kankal kha jayega "
" hume mashal do " itna samjhane par bhi malini ne rajendra ki nahi suni. Usne bhari man se mashal malini ko pakda di. " tum yahin ruko hum thodi der mein atte hain "
" agar apko kuch ho gaya to " rajendra ne malini ko jane se pehle toka.
" to tum jaise aye the aur jis tarah yahan chizen padi thi waise karke chale jana, kisi ko malum nahi hai ki tum hamare liye kaam karte ho " malini ne bekhauf hokar jawab diya. Rajendra kuch nahi bol paya aur usne han mein apna sar hila diya.
Malini ne mashal ko majbuti se pakda aur sidiyan utarne lagi. Dar uske man mein bhi panap raha tha uppar se din mein dekha sapna uski ankhon ke aage aa chuka tha. Vo sidiyan utari aur jaise hi kadam surang mein rakhe vo pani mein dub gaye. Malini ne roshni se niche dekha to pani puri surang mein bhara hua tha par behad kam. Malini dhire-dhire aage badne lagi, ek dafa usne uppar ki aaur dekha jahan rajendra khada tha aur torch ki roshni sidiyun ki taraf hi thi. Jaise-jaise vo aage badhti gayi roshni kam hoti chali gayi aur fir sirf wo aur jalti mashal. Agar vo mashal bhuj jati to andhera malini ko kha jata.
Pani ki tapakti bundon ki awaz aur uske pairon ki chapak ke sath uski tez chalti sansein thi jo thand aur dar ki wajah se thi. Surang bilkul sidhi thi par kitni gehri wo ye baat nahi janti thi uska dimag ab sawalon mein lipta hua tha. Mandir ke us kamre ka tala kaise khula tha jab use itni puja path se band karwaya gaya tha? Kaun ho sakta hai jisne tala khola? Kya vo janta tha ki is kamre ke bheetar kya hai? Dusra sabse eham sawal vo almari us kiwad ke aage se hati hui thi kyun? Agar koi chahta nahi tha ki kisi ko gupt raste ke bare mein malum ho to usne almari ko wahan se hata kar kiwad khula hua kyun chhoda hua tha? Kya aisa ho sakta hai ki akhri baar jo koi bhi aya ho usne apna kaam karne ke baad jaldbazi mein aisa kiya ho? Ya fir.. ye bhi ho sakta hai ki babuji ne jab surang band karwai ho aur jise karwai ho usi ne use aise chhod diya ho? Par unke alawa jahan tak hume pata hai ya to sirf bikram jante the ya fir vo insan jise us din babuji baat kar rahe the. Kaun tha vo admi? Kya wahi to akhri baar nahi aya tha yahan? Hume us insan ko hi khojna hoga shayad wo is paheli se parda hata sake. Malini sochte hue aage badh rahi thi ki use ek shor sunai diya, sanata itna tha ki halka shor bhi surang mein gunj utha. Ek pal usne lautne ki sochi lekin vo ruki nahi aur aage badhti gayi.
Har samay reh-reh kar uske dimag mein bas ye aa raha tha ki vo aisa kya khojna chahti hai ek kankal mein? kyun ayi hai vo? Lekin shayad jigasya use khinch layi thi jab se usne surang mein kankal suna tha. Ho sakta tha ki rajendra ne kankal ko dhang se dekha hi na ho aur dar jane ki wajah se usne andaza lagaya ho ki vo kisi bache ka hai. Uske dimag mein tha ki vo kankal bikram ka bhi ho sakta hai, vo aisa chahti nahi thi lekin dimag bahut kuch soch leta hai. Iske alawa ho sakta hai ki kuch kankal se kuch mil jaye jo pehchanne mein kaam aa sake ki kankal hai kiska. Malini man se is dehshat par se dhayan hata dena chahti thi isliye usne khud ko apne sawalon mein gher liya tha.
' aah-hh ' malini ke hath se mashal girte hue bachi. Uska dil zoron se dhadakne laga. Sehmi hui ankhon se vo us taraf se apni ankhein hata hi nahi paa rahi thi. Samne deewar ke sahare par kankal pada tha jo pura mitti se nahi hata hua tha lekin itna ki samajh mein aa sake ki vo kankal kiska ho sakta tha. Malini wahin khadi rahi aur usne mashal ko aage ki taraf kiya taki dur khade reh kar hi dekh sake. Mashal ki aag ne use samjha diya ki vo kankal kisi bade ka nahi balki sach mein kisi bache ka hai. Surang bas wahin tak khodi gayi thi. Malini dhire-dhire aage badi aur kankal ke najdeek pahunch gayi. Sar ek taraf jhuka hua tha aur vo baithi hui awastha mein thi. Malini ek pal use dekhti hui sochti rahi ki kaun ho sakta hai vo behram jisne ek bache ke sath aisa kiya aur kaun ho sakta hai ye bacha?
Malini ne apna hath aage badhaya aur baki kankal ke uppar se mitti hatane lagi aur tabhi uski nazar ek chiz par padi jise ache se samjhne ke liye usne mashal ki roshni ko uspar dala.
Rajendra ko samajh nahi aa raha tha ki vo kya kare, malini abhi niche thi aur bahar darwaje par koi hakat ho rahi thi yani koi tha jo bahar se darwaja kholne wala tha. Vo kuch kar pata ise pehle vo darwaja khula aur rajendra ki nazar samne padi " aap "