Ghat pahunch kar shreyas ne auto wale ko paise diye aur usi se puch lia " bhaiya ye pujariji ka bhawan kahan milega? "
" kaun se pujari ka bhaiya ji ? "
" kitne pujari hai yahan par ? "
" ghat par ayein aap yahan to har jagah pujari hi dikhenge apko "
" bade pujariji " use yaad aya ki us chai wale ne yahi bataya tha.
" vo to nahi malum bhaiya ji " shreyas ne ek pal uski taraf dekha phir vahan se chal diya. Vo ganga ghat par jaise hi aya hawa ke sath ganga nadi ki thandak use mehsus hui. Varanasi ka ganga ghat par logon ki bheed dekh vo ye sochne laga ki anshika aur nidhi use kahan milengi. Soch kar vo aage badha aur phool mala bechne ki ek choti dukan par ja khada hua
" bhaiya "
" han ji bhaiya ji kaun si dun, 50 wali ya 100 wali " vo kagaz ki donne mein mala dalne laga.
" bade pujariji ka bhawan kidhar hai? "
" bhawan ke liye aap vo sidiyan dekh rahe hain bas wahi pakad lijeye mil jayega "
" ji shukriya " shreyas ne phone nikala aur anshika ko call kiya " anshika kahan ho ? " phone uthate hi usne pucha.
" hum ghat par hi hai shreyas "
" kis taraf " shreyas ankhein idhar udhar ghumata hua khojne ki kosish karne laga.
" pata nahi ghat hi hai "
" theek hai ek kaam karo tum pujariji ke bhawan ke bare mein kisi se pucho " anshika ne bina sawal kiye wahi kiya jo shreyas ne kaha. Shreyas phone se sun sakta tha ki anshika jkisi se puch rahi hai. " hum atte hain " shreyas ne phone cut kiya aur dukan wale ke bataye raste ke anusar shreyas sidiyan chadta gaya kareeb kuch sidiyan chadne ke baad usne dubara bhawan ke liye pucha to us admi ne gali ki taraf ishara kiya. Shreyas kuch dur chala to use ek pujari raste mein chalta dikha.
" pujari ji " shreyas unke sath sath chalne laga. ' shiv hi shiv hai shambu shiv hai ' pujari bolte hue shreyas ki taraf dekhte hue chal raha tha. Usne pehle apni puri vaddi khatam ki aur phir bola " batao beta kya seva kar sakte hain hum apki, kaun si puja karwani hai tumhe "
" bade pujariji ka bhawan kahan milega ? "
" bhawan ye to raha samne tumhare " shreyas ko unhone ishare se samne dikhaya to ek khuli hui jagah dikhi.
" ye to ghar hai "
" uske sath mein jo mandir jaisa dikh rha hai wahi bhawan hai "
" ji shukriya " vo jane laga par pujari ne use rok liya " koi badi pooja hai kya ? "
" ji nahi mujhe bade pujariji se milna hai "
" bade pujariji se? lekin unka to swargvas ho chuka hai "
" kab ? "
" bahut saal hue "
" aur amba mata ? " shreyas ne jab ye sawal kiya to uska dil zoron se dhadkne laga ek hi kadi mili thi use kuch khojne ki aur vo nahi chahta tha ki tute.
" unke bare mein to hume nahi malum "
" par mujhe kaha gaya ki vo bhawan mein milegi " shreyas sochne laga ki ye amba mata koi hai bhi ya koi resgister mein kuch bhi likhwa kar chala gaya.
" kya baat hai beta, pareshan lag rahe ho " pujari ke sawal par shreyas kuch bolna chahta tha lekin kuch keh nahi paya " fikar mat karo bhole nath ki nagri hai yahan sabka bhala hota hai, waise bhawan mein chote pandit hai tum unse mil kar dekh lo kya pata kuch mil jaye tumhe " pujari ke kehte hi shreyas ke mathe ki shikan ek dum hatt gayi.
" apka bahut-bahut shukriya "
" sab uppar walle ke hath mein hai khud ko bhole ke hath chhod do " bolte hue vo wahan se nikal gaye. Shreyas ek pal unhe jata dekhta raha phir jaise hi aage badha piche se anshika ki awaz ne use rok diya.
" shreyas " awaz sunte hue shreyas piche muda to anshika aur nidhi uske sath aa khade hue. " shreyas pujariji ka bhawan kisliye, kuch mila hai? "
" han anshika jo envelope aya tha vo kisi amba mata ne bhijwaya tha "
" amba mata? "
" han usi ko janne ke liye bhawan jaa raha hun shayad wahan se kuch unke bare mein pata chale " shreyas ke batane ke baad teno bhawan ke samne jaa khade hue. Bhawan ka gate band tha. Shreyas ne use dhang se dekha har jagah om se likhe hue shabd aur bholenath ki tasveer uppar deewar par lagi hui thi.
" koi hai " shreyas ne awaz lagai par andar se koi awaz nahi ayi to shreyas ne darwaje par dastak di.
" lagta hai koi nahi hai " nidhi ne kaha aur idhar udhar dekhne lagi.
" nahi ek pujari mile the unhone kaha ki chote pandit rehte hain idhar " shreyas ne dubara awaz lagai aur darwaja pita isbar aisa laga mano andar halchal hui ho. Andar se kundi khulne ki awaz ayi aur phir darwaja khul gaya.
" kaun hai " samne takreeban 60 saal ke pandit shreyas ke samne khade the, chehre par kamjori aur safed balon wali dadhi nikal rahi thi.
" ji chote pandit se milna tha " shreyas bola.
" chote pandit ke naam se log mujhe hi jante hain lekin tum kaun ho? "
" aap chote pandit hain " vo ek pal ruka " ye bade pujariji ka bhawan hai na ? "
" han par tum kyun ye sawal kar rahe ho "
" kya aap amba mata ko jante hain ? " shreyas ne fauran apna sawal kiya. Chote pandit ki choti ankhein naam sunte hi badi ho gayi.
" tum amba mata ko kaise jante ho? kaun ho tum ? "
" yani aap amba mata ko jante hain " shreyas ko jaise umid dikhi.
" han lekin tum kaun ho aur unke bare mein kyun puch rahe ho "
" unhone meri maa ko khat likha tha takreeban saal bhar pehle " shreyas ne envelope unke chehre ke samne kiya " lekin mei kisi karran use padh nahi saka kya aap mujhe bata sakte hain ki vo kahan milegi " pandit envelope par likhe hindi bhasha mein shilpi ke naam ko padhne lage aur phir unhone apni nazar utha kar shreyas ki taraf dekha.
" tum delhi wale ho " unka sawan sun shreyas hairan ho gaya. Use to delhi ka ghar yaad nahi tha lekin uska pariwar harshit papa, shilpi maa wahin rehte the.
" apko kaise pata ? " shreyas bechain nazron se pandit ko ghurne laga.
" kyun ki ye khat mene hi bhijwaya tha " dusri hairan kar dene wali baat shreyas ne jab suni to uski ankhein ek pal wahin jami rahi. " apne? par register mein to amba mata likha tha ? " vo hairan ke sath pareshan bhi tha.
" han sahi likha hai daftar mein naam kyun ki khat unhone hi bhijwaya tha par ye naam mene hi likha tha aur khat bhi mein de kar aya tha us daftar mein "
" aisa kya tha is khat mein panditji, aap jante hain? " uska dil zoron se dhadak raha tha.
" vo to mujhe nahi pata beta ki khat mein kya likha tha lekin jo bhi tha shayad behad jaruri tha shayad ek aisa sach jo amba mata chahti thi ki tum tak pahunche " sach aur jaruri ye do shabad to usi din samajh gaya tha jab us shaitan ne andar likhi baton ko nasht kar diya tha.
" to amba mata kahan hai mujhe unse milna hai ab wahi sach bata sakti hai "
" ab ye mumkin nahi hai beta "
" kyun ? " uske dil mein dar ki ek lehar daud padi
" kyun ki unhe ab koi hosh nahi hai pichle saal hi jab unhone mujhe ye khat diya uske agle din vo kabhi uthi nahi tabse zinda lassh hi hai " chaukhat par khade khade itni baat cheet ke baad shreyas ke hath kya laga? Kahani ke itne nzadeek pahunch kar bhi vo use dekh na saka, sun na saka. Vo ek pal piche hua par agle hi pal bol pada.
" kya hum unhe dekh sakte hain ? " shreyas ke sawal par ek pal ke liye pandit sochne laga. Aur pehli dafa usne shreyas se nazar hata kar uske piche khadi nidhi par dali aur use hote hue anshika par jise dekh vo kuch pal wahin dekhta raha. " ye tumhare sath hai " shreyas ne ishara samjha jo anshika ki taraf tha.
" han ji ye meri patni hai anshika " shreyas ki baat sun kar pandit ji bahar nikle, shreyas hat gaya aur panditji anshika ke karib aa pahunche.
" beti apna sidha hath dena " pandit ke kehne par anshika ne shreyas ki aaur dekha aur phir apna sidha hath aage kar diya. Pandit ne anshika ka hath apne hath mein jaise hi liya use usi waqt chhod diya aur ek kadam bahut tezi se piche hue " har har mahadev har har mahadev " vo piche itni jaldi hue ki jo chaukhat darwaje par bani thi vo use takrate hue gir gaye.
" panditji " shreyas unki taraf badha.
" andar mat ana bahar hi raho " shreyas fauran apni jagah ruk gaya, sabhi pandit ki halat dekh kar ghabra gaye. Agle hi pal pandit khada hua aur usne darwaja band karke kundi laga di. " pandit ji ko kya hua ? " anshika ghabrai hui boli. Nidhi ne turant use sambhala, shreyas bhi hairan tha ki achanak kya hua.
" panditji " usne gate khat-khataya.
" nikal jao tum log aur yahan mat ana "
" par panditji mein bina jawab ke vapis nahi jaunga, kaun hai amba mata aur kaise janti hai vo meri maa ko kya hua tha ek saal pehle aur kisne diya tha unhe 30 saal pehle ek chota bacha " shreyas chillaya aur gehri gehri sans lene laga. Andar se koi awaz nahi ayi aur ek pal sab ki dhadkne tezi se daudti hui usi taraf dekhti rahi.
Kundi khulne ki awaz ayi aur darwaja khol pandit bahar aya " chota ladka "
" han pandit ji chota ladka jise takreeban 25 saal pehle meri maa use yahin ghat se lekar gayi thi " shreyas ne is baar aram se kaha.
" mahadev mahadev " pandit bahar aya aur bahar se darwaja laga diya. " chalo mere sath " usne anshika ki taraf dekhe bina hi wahan se chal diya. Teno khade use jata dekhte rahe phir shreyas ne anshika ka hath thama aur usko lekar chal diya. Vo sab sidiyan utarte hue ganga nadi ki taraf jaa rahe the aur ant mein ghar ke bilkul najdeek aa gaye jahan ganga nadi ka jal unke pairon ko chu sake.
" us ladki ko wahin rehne do " panditji ko sun kar shreyas aur anshika wahin ruk gaye. Pandit ne hath mein ganga jal liya aur phir puja karta hua piche aya. Uski muthi mein thoda jal tha, " aage aao " shreyas anshika ko aage lekar ane laga " sirf tum hi " anshika ne na mein sar hilaya par shreyas ne use ankhon se hi samjhaya ki kuch nahi hoga. Anshika ke dil mein ghabrahat ko shreyas ache se mehsus kar paa raha tha par vo phir bhi ek kadam aage badi aur pandiji ke samne aa khadi hui.
" hath aage karo " anshika ne hath aage kiya jise dekh panditji ne phir puja ke path pade aur padte waqt jal ki bundein hath par chidakte hue ungliyun tak aa gaye aur jaise hi anshika ke us ungli par ganga jal pada jahan usne ring pehen rakhi thi vo ungli kali padhne lagi aur dekhte hi dekhte kali papdi ne ungli ko gher diya jise dekh anshika ghabra gayi aur chilla padi.
" shreyasss....s.s.s. " anshika ko aise chillata dekh jab shreyas uske pas aya to anshika ki kali ungli dekh vo bhi ghabra gaya. Usne panditji ki taraf dekha.
" ghor anarth, anarth ho gaya beta tu apne sath apni biwi ko nahi laya ek aisi buri shakti ko laya hai jiska prakoop mene aaj se sal bhar pehle dekha tha jiski wajah se amba mata ka aaj ye haal hai " pandit ne apni batai hui baat ka kuch sach ab samne rakha.
" par anshika ki ungli panditji " jaise hi shreyas ne puch kar ungli ki taraf dekha to vo vapis se pehle jaise ho gayi, use kuch samajh nahi aa raha tha " kya hua tha us raat, kya aap sab jante hain aur bata nahi rahe? "
" nahi beta mei tujhse kuch nahi chupa raha teri baat sahi hai 30 saal pehle hamare ashram se hi teri maa ek ladke ko le gayi thi us waqt mei bade panditji ke nirakshno mein hi tha aur ye vakya mere samne ka hi hai lekin mujhe lagta hai tu abhi ek baat nahi janta "
" kaun si baat panditji "
" vo ladka jo teri maa lekar gayi thi vo amba mata ka hi beta tha aur unhone khud hi use teri maa ko saunpa tha " panditji ki baat sun shreyas hairani mein bas dekhta raha. Kahani jitni asan dikhai ya samajh aa rahi thi utni thi nahi.
" amba mata kaha hai panditji " shreyas ko ab bas unse milna tha, unhe dekhna chahta tha ek baar akhir kyun unhone apne beta shilpi ko diya? kya vo shilpi maa ko janti thi ya phir kahani kisi aur taraf jaa rahi hai. Panditji unhe wahan le jane lage, choti si kuttiya jitna ghar tha baahr darwaje par dastak di to ek jawan ladke ne darwaja khola jisne panditji ko dekhte hi unke per chuhe.
" amba mata ki halat mein koi sudhar "
" ji nahi vo abhi bhi wesi hi hai "
" theek hai unse koi milne aya hai inke kuch khane ka prabhand karo "
" ji " keh kar vo chala gaya aur panditji shreyas, anshika aur nidhi ko lekar kuttiya ke bhitar ghuse. Bich mein ek chota sa baramda tha jo khuli chatt ke niche tha aur usi ke theek samne kamre mein vo ek khat par besudh hokar laiti thi. Panditji pehle andar ghuse aur phir unki taraf dekh kar unhe pranam kiya aur shreyas ko andar ane ka ishara diya. Shreyas andar aya, uska dil zoron se dhadak raha tha phir jaise hi uski nazar unpar padi
" ye hai amba mata ? " uske muh se bas yahi nikla