• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,309
174
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF POLICE KO SAM KE COTTAGE ME DRUGS MILTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF INSPECTOR RAJESH EKPREET PAR PISTOL TAAN DETA HAI PAR TABHI SANVY WAHAN PAHUNCH JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-21

FINAL PART


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





pehle se gili zameene aur paani ko itni asaani se SOKHTE NAHI...

aandhi chalti hai jab toh raaste se hath jaate hai log,tufaan ko aane se ROKTE NAHI...

bandhuk haath me hai par chalegi nahi goli tujhse kyunki,

jo THOKNE ka madda rakhte hain,woh itna BHONKTE NAHI...



us RAJESH ko lagatar ghur in lines ko bolte hue mai uski taraf badh chuka tha...

par mai akela nahi tha... mere saath RESORT ke kuch security guards bhi the..

hatte katte mushtande the woh sab ke sab jinhe mai hi kisi kaam se lekar gaya hua tha...

anyways,us RAJESH ki taraf badhne ke beech jab meri nazar sabhi girls ke faces par padi jo is waqt unke aansuon se bhari hui toh pehle se hi laal hui padi meri aankhon me jaise ek khoon utar aaya tha..

us RAJESH ki woh aakhri baat jo usne girls ke liye kahi thi,woh suni thi maine...

wahin dusri taraf mera yun aana,phir meri boli hui baat aur ab uski taraf badhne par bhi pehle toh normal hi raha woh RAJESH lekin jab meri aankhon ki laali dekhi usne toh ek pal ke liye ghabra gaya tha woh..

corrupted zaroor tha woh par saath hi saath ek experienced police officer bhi tha..

is waqt mere face ki intensity se andaza laga liya tha usne ki ye banda tedha hai..

isiliye us ghabrahat ke beech bhi turant khudko normal kar kuch kehne ko hua woh par tabhi..

us tak pahunch chuka tha mai aur agle hi pal uske us haath ko jisse usne gun pakdi hui thi,usse EKPREET ke sir se hata apne maathe ke beecho beech rakh diya maine aur ye dekh mere dost toh dare hi par us RAJESH ka toh dimag hi ghum gaya..

kuch samajh hi nahi paaya tha woh par tabhi..


MAI-kya hua...thokne waala tha naa tu... ye naa sahi,mera bheja toh tere bandhook ki nali ke saamne hai...

ek baap ki aulad hai toh daba trigger...daba na madarchod...


DHADDH.....


aakhri baat chillakar boli thi maine jiske baad padi meri laath us RAJESH ke chest par..

tezi se piche ki taraf jaakar gira woh aur ye dekh saare constables lapakne ko hue meri taraf par mere saath aaye guards ne un sabka raasta rok liya tha...


MAI-kya bola tu is jagah ko..randi khaana...

DHAKKK.. CHATAKKHHHH....DHAKKK...

MAI-randi khaana woh hota hai jahan tujh jaise dalle paida hote hain behenchod...

DHABBBB....


mere usse laath maarne ke turant baad khada ho mujhe hit karne aage badha tha RAJESH jispar uske right hand ko block kar maare the do tamache maine usse..

ussi beech kahi thi maine apni baat jiske baad ek baar phir mujh par jhapta tha woh par tabhi uske haath ko lock kar apne kandhon ke pressure se utha uski hi movement se create hue power ko use kar aage ki taraf patak diya tha maine usse...

wooden floor tha cottage ka jispar yun pressure se girne ki wajah se pura back chatak sa gaya tha us RAJESH ka..

par in sabke beech mere sabhi dost hairan bhi hue,dare bhi aur saath hi saath itne der se jo frustration aur ghussa un sabke andar panap raha tha,usse sukoon bhi mila...

hairan isiliye hue woh sab kyunki height.size aur taakat,in dono maamlo me kahin aage tha mujhse woh officer par jin techniques se maara tha maine usse, aisa laga unhe ki ek trained martial artist apna gur dikha raha hai..

dare isiliye kyunki chaahe jaisa bhi ho,par tha toh RAJESH MISHRA ek police officer woh bhi INSPECTOR..

par bina us point par dhyan diye suth diya tha maine usse...


SONU-yye ssaala ppagal hhi hhai ppura...

RAJAT-haan yaar...sanka toh aage piche kuch nahi dekhta ye...

NITS-GALALTH ke saath GALATH karne se sahi kuch nahi hota..par maanana padega..85 kg ke upar hoga ye RAJESH par kitne araam se thobi pacchad de diya lounde ne...

SAM- technique perfect ho toh saamne waala kitna hi taakatwar kyun naa ho,zamin par aa hi jaata hai...


ek taraf ye saari baatein kar rahe the mere dost aur dusri taraf dhobi pacchad khaane par girne ke kuch der baad khud ko sambhal khade hote hue...


RAJESH-ek on duty police officer par haath uthaya hai tune...teri jo haalath karunga mai,soch bhi nahi sakta tu...


ek patla dubla ladka tha mai par jis speed aur technique ke saath ab tak maara tha maine usse,ye dekh man hi man hairan ho chuka tha RAJESH..

wahin lambi lambi saanson ke beech uski kahi baat ko sun...


MAI-on duty officer..matlab kaanoon,law ki baat kar raha hai tu.....

wahi law jiske NDPCS act ki adhiniyam ke tahat, yadi kisi bande ke paas se nasheele ya manodaihik chizon ki baraamadagi ke baare mein pehle se news mili ho, to aise bande ko giraftar karane ya even talaashi lene ya zabt karane ki power police officer ke paas hoti hi nahin hai..

sirf metropolitan magistrate,first class magistrate ya in dono ke absence me special cases ke liye rakhe gaye second class magistrate ko hi us bande ke khilaaf talaashi aur giraftaari ke warrent jaari karne ka hakh hota hai jispar drug consuming aur distribution crime ka aarop ho..

par kya aisa hua hai idhar...

antways,ye toh hua pehla clause..ab agar baat karen second and the most important clause ki toh...

jab bhi pre info ke base par raid ki jaati hai, to NDPS act ke code 41 (2) aur 42 (1) ke according written right holding officer ya charged special officer ke alaava koi aur officer ke through talashi, zabti ya giraftari investigation ko nuksaan pahuncha sakti hai..

agar bataye gaye kisi bhi rule ka paalan authority ne nahi kiya toh iska faayda jispar ilzaam lagaya jaa raha hoga,usse milega...

am i right or am i right officer...


pure rules aksharaksh sahi bole the maine jisse sun aankh aur gaand dono hi khul gaye the us RAJESH ke..

ek school going ladka tha mai..mai hi kya,yahan moujud har woh shakhs jispe drugs supplier ka ilzaam lagaya tha RAJESH ne,woh sab students the..

isiliye hi toh bina khaas taiyari ke aaya tha woh... usse laga tha ki normal school going bacchon ko handle karna kaun si badi baat hogi..

jab tak humari taraf se retaliation hoga,joki obviously hamare parents ke through hi ho payega,tab tak toh drugs aur woh chaar bande jo uske gawah the,unke dum par media me baat faila dega woh jisse usse ek strong backup mil jaayega...

aakhir public support se bada koi support jo nahi hota..

khair,kuch seconds lage usse meri baaton ke sach ko hazam karne me jiske baad..


RAJESH-last aaya na tu yahan crime scene par.. situation dekh google kiya hoga tune niyam jaanane ke liye..

par koi faayda nahi beta...bhale hi warrent nahi hai mere paas lekin drugs toh baramad hue hi hain yahan se aur drug effected bande bhi issi resort me moujud hain..

itna kaafi hai tum sabko lamba lapetne ke liye..

MAI-dimag me gobar bhara hai kya tere...!!! drugs, effected bande,inme se kisi bhi chiz par tera comment tabhi maayne rakhta jab ye sab achanak hi tere saamne aaye hote..

par tu planning ke saath yahan aaya tha jo tujhe kisi bhi tarah ke action ke liye unauthorized bana deti hai..

phir bhi,itni mehnet ki hai tune...apna pichwada sujaate hue itni door aaya hai tu toh aise hi toh naa jaane denge tujhe..

de bhi dete par jo bakwas tune hamari friend's ke liye ki,uske baad toh saste me naa chhutega tu..

RAJESH-acha..aur kya karega tu...!!!waise bhi mujhpar,on duty officer par haath uthakar pehle hi apni kabr khod li hai tune...

MAI-on duty officer..ye shabd zyada der tak sajega nahi tere mooh par..

par woh baad me.. filhal jo scene chal raha hai,usse clear kar lete hain...

le aao bhai,patko idhar dono chutiyon ko...

DHABBBB...DHABBBB..

meri baat khatm hui hi thi ki guards ne do logon ko hamare beech patak diya jinhe dekh aakhein badi ho gayi thi girls ki par unse zyada fati RAJESH ki..

REASON..

NAMITH aur DEEPESH....

ye dono hi gire pade the hamare beech...mooh maar khaa khaakar suja hua tha dono ka..sense toh pura tha dono ko par situation dekh dimag sunn hi padh gaya tha unka..


MAI-jaanta hai naa dono ko...

RAJESH-nnnahi toh...aur police ke saamne kisi innocent ko aisi halaath me daal saamne rakhna, it's a big crime...


hadbada gaya tha DEEPESH aur khaaskar NAMITH ko dekh RAJESH...

kyunki apne bade bhai ke through jiska connection tha RAJESH se,usse mil, usse acha khaasa paisa khila is kaand ke liye raazi kiya tha usne...

jaanta tha mai ye baat par filhal is connection ko saabit karne ka na logic tha,naa matlab isiliye...


MAI-innocent aur ye dono...ye pura kaand in dono ne hi toh racha hai...

RAJESH-bakwas mat kar ladke.. khudko aur apne doston ko bachane ke liye innocent bacchon ko fasa raha hai tu..

drugs is room se mila hai aur in dono ko tumhare log laaye hain yahan...

inka is drugs aur case se koi lena dena nahi hai...inhe toh pata bhi nahi hoga ki kyun laaya gaya hai inhe yahan..

NAMITH-jee sir...aapne bilkul theek kaha...mai toh apne friend's ke saath apni colony ke ground me tha ki tabhi ye SANVY in logon ke saath aaya wahan aur mujhe maarte hue yahan lekar aa gaya..

DEEPESH-mere saath bhi yahi hua SIR..mai toh morning yahan se checkout karke jaa raha tha ki tabhi ye NITS aur SONU ne mujhe parking ke paas gher liya..

bohot maara in dono ne mujhe aur yahan ke guards ke through mujhe pakadwa kisi room me lock kar diya aur ab yahan laakar patak diya..

we are completely innocent sir..


us RAJESH ki baat sun ek opening window dikha tha NAMITH aur DEEPESH ko jiska faayda uthathe hue apni apni dalile di dono ne jispar...


MAI-suje hue mooh ke saath wakayi sharif lagte ho be dono...

tum dono ki hi tarah kuch aur sharif log bhi hai idhar..miloge..!!!

DHABBBB...DHABBBB...DHABBBB...DHABBBBB...


SAM ke ishare par ek ke baad ek chaar ladke jinke haath pair bandhe hue the,unhe feka gaya NAMITH aur DEEPESH ke paas jinhe dekh ek baar phirse aankhein badi ho gayi un dono ki...

wahin un chaaron ka sir jhuka hua tha....


NITS-ab inhe toh pehchaante hi hoge naa be...classmates hain tum dono ke..

wahi chaar log jinhe hamare khilaaf forced toxicology ka gawah banana chahte the tum dono..

BASANT-ye jhooth hai...woh chaaron alag hain aur abhi bhi behosh pade hain...


head constable BASANT tapaak se bola beech me jispar muskuraya mai aur..


MAI-aapko kaise pata constable sir..!!!gawahon ke shinaakth ke liye toh baaki constables gaye the...

aap toh cottages checkout kar rahe the...

BASANT-woh,woh mai..


hadbada gaya tha BASANT...


MAI-itni jaldi mat hadbadayiye... bohot mouke aane waale hain abhi..

RAJAT-shuruat turant kar dete hain...

aa jaao guys...


thoda zor se bola RAJAT ne jiske baad cottage me enter hue 4 ladke jinhe dekh ab baari thi sabhi constables ke aankhein faadne ki..

kyunki ye wahi chaar ladke the jo unhe room 124 me behosh mile the..


SONU-hhairan hho ggaye nna...yye ccharron kkoi ggawah nnahi balki hhamare classmates hhain jjinhe hummne SSAMRAT kke ccharron lladko kko ppakadne kke bbaad unkke eqqiuped rroom mme rrakhwwa ddiya ttha...

auur wwoh ssaare drugs jjo yye bbas hhalka sa lle oout hhone waale the,hhumne llene nnahi ddiya innhe wwoh...

cclean hhain yye ssab abbhi....

aur yye ccharon bbehosh nnahi tthe,bbas bbehosh hhone kka nnatak kkar rrahe tthe...

ggreat jjob gguyzz...ppolice wwaale bbhi guess nnahi kkar ppaaye ttumhari accting.. bbrilliant..


jahan SONU ki baat par woh chaaron bas muskura bhar diye wahin SONU ne jo kaha,usse sun...


MAI-woh isiliye kyunki ye sab corrupted hain, imaandar hote toh chalti naa budhi inki..

upar se hum sab thehre school going students isiliye overconfidence tha inhe ki araam se lapet lenge hum sabko..

RAJESH-zabaan bohot chalti hi teri ladke par faayda ab bhi zyada nahi hai tum sabko..

haan,ye ho sakta hai ki ye gawah negetive hon par drugs se bhara ek pura bag issi kamre se mila hai jo is ladke ko aur agar tum sab iske saath ho toh tum sabko bhi guilty banata hai...

HAHAHAHAHA...


us RAJESH ki baat par hasne lage the hum sabhi boys jispar hairani se dekhne laga woh hume jispar...


SAM-hairan mat ho..yahin hain hum..sab samajha denge tujhe woh bhi proof ke saath...

le aao...dikhao inspector sahab ko picture...


un do attendents me se ek ko jisse hamare liye hi rakha gaya tha, kahi ye baat SAM ne jiske baad ek laptop liye aaya woh aur hum sabke aage bed par rakh diya usse..

laptop open hi tha jisme kisi video ko paused mode me rakha hua tha par bed par rakhte hi video play kar diya usne jiske baad jo scene chala,usne us RAJESH aur uske constables ko toh hairan kiya hi,par sabse zyada hairan aur dar paida hua tha DEEPESH ke chehre aur man me...

REASON..

is waqt laptop me kal shaam ki hi video chal rahi thi jisme saaf dikh raha tha DEEPESH...

haathon me uske wahi bag tha jisme drugs thi jisse usne last wardrobe ke khaanche me rakh diya tha...

aur bag wardrobe me rakh room se nikal gaya tha woh...

video clear tha isiliye shak ki koi gunjaaiyish nahi thi..

drugs hamara nahi us DEEPESH ka hi tha,ye proof kar diya tha humne par in sabme bhi man hi man loophole talash kar raha woh RAJESH jisse ek halka sa window mil bhi gaya jisse woh bolne ko hua par tabhi...


MAI-yahi bolna hai naa ki zaroori toh nahi,agar bag DEEPESH ne rakha ho toh hume fasane ka plan bhi ussine banaya ho...

hum bhi toh usse fasaane ke liye bag usse yahan rakhwa sakte hain aur isiliye hi video bhi banayi humne...


mere tark ko joki wakayi woh dene waala tha,sun chup reh gaya RAJESH..

is beech apni baat bolte hue haath SONU ki taraf kiya usne jispar ek mobile joki DEEPESH ka tha aur jiska pehle hi password break kar chuka tha woh,meri taraf badha diya usne..

last whatsapp message joki NAMITH ko is morning yahan se checkout karte waqt type kiya tha usne par situation under control aur normal feel kar us text ko delete nahi kiya tha usne,usse khol us RAJESH ke mooh ke saamne kar diya maine jisse padh aise dekha RAJESH ne DEEPESH ko jaise mind teleporting communication ke zariye usse chutiya bol raha ho...


HOW......!!???


itni der se chupchap ye sab dekh aur lagatar hairan ho rahe NAMITH ne aakhirkaar ek shabd ka woh sawal puch hi liya jo uske sabhi sawalon ka kendra bindu tha..

mujhse hi pucha tha ye sawal NAMITH ne jispar usse dekh halka sa muskuraya mai aur...


MAI-andar aa jaa bhai....


mere yun awaaz dene ke kuch seconds baad cottage me enter hua KALPESH...wahi FUSION SHOP waala...

aur usse yahan dekh aankhein badi ho gayi NAMITH aur DEEPESH ki jiske baad..


NAMITH-KALPESH,tu....tune bataya in sabko...


ghusse se bhar kahi thi ye baat NAMITH ne jispar..


NITS-arre nahi bhai..bohot imaandar dost hai tumhara..isne nahi bataya hume kuch..

par haan,tum sabke plan ke baare me pata hume tum dono se hi chal gaya tha...


NITS ki baat palle nahi padi thi NAMITH ke isiliye aakhon me sawal liye woh hum sabko hi ghoor raha tha jispar...




A SMALL FLASHBACK:-




BHAI KUCH SAMAJH ME AAYE,AISA BOL...


DEEPESH ki baat par muskuraya NAMITH aur...


NAMITH-plan simple hai par super effective bhi...par pehle ye bata ki us pedler ka stock ab bhi apne paas rakhta hai tera bhai ki nahi...!!!

KALPESH-abbe us akele ka hi nahi,2,3 aur pedlers ka bhi stock rakhta hai woh...

un sabke trusted circle me aata hai mera bhai aur sabse zyada grahak bhi ussike contact se bane hain un sabke....

parso bahar jaane se pehle apne room bulaya tha usne mujhe...

mujhse toh kuch chhupata nahi hai woh..2 bag pade the udhar jinhe bed ke neeche rakh mujhe dhyan dene ka bol nikla woh..

NAMITH-kahan hai tera bhai...???

KALPESH-masoori gaya hai apni bandi ke saath..

NAMITH-wapsi...

KAPESH-exact toh nahi bataya usne par monday se pehle nahi aayega woh...

NAMITH-phir toh tention hi nahi hai koi..sun, uske room se drugs ka ek bag mujhe nikal ke dega tu..

PRINCE me banda hai apna ek..DEEPESH...ye SANVEER,SAM aur uske dost nahi jaante usse..

in sab SIRIUS waalon ke jaane se pehle hi usse us bag ke saath bhejunga mai RESORT jahan in sabka wait karega woh..

aur un sabke wahan aate hi mouka dekh unme se kisi bhi ek room me rakh dega woh us bag ko..

bag plant karne ke agle hi din padegi SAMEER CHANDER ke resort me police ki raid...

drugs toh unhe mil hi jaayegi par SIRIUS waalon par case strong karne ke liye kuch aur bhi hoga wahan..

in SIRIUS waalon ke resort pahunchne waale din hi apne chaar aur bande bhi bhejunga mai wahan jo drug implantation waali raat khud bhi drug le out ho jaayenge...

aur jab raid padegi toh drugs ke saath apne bande bhi nashe me dhut milenge wahan jo hosh me aate hi ye gawahi denge ki SAM aur uske sabhi doston ne unhe jhaanse me lekar resort bulwaya tha aur drugs lene ke liye force kiya...

aur jab woh nahi maane toh un sabne zabardasti unhe snorts aur injections de diya...

bas,is statement ki der hai jiske baad us SAM, SANVY aur uske sabhi doston ki life barbaad ho jaani hai...

KALPESH-baaki sab toh theek hai par un drugs ka kya...???agar police ke haathon chaddha drugs toh wapas milne se raha..

aur bhai, laakhon ka maal hai woh...woh pedlers bhai ko nahi chhodenge aur bhai mujhe nahi bakshega...

NAMITH-abbe relax...kuch nahi hoga waisa...agle hi din wapas mil jaana hai tujhe woh bag...meri guarantee hai..

ab drugs ki chinta chhod aur batao guyz, kaisa laga plan...!!!

KALPESH-maan gaye bhai..kamal ka harami hai tu saale..sab kuch theek se ho gaya toh maza hi aa jaayega..lanka lag jaane waali hai un sabke life ki..



FLASHBACK ENDS:-



SONU-aurr kkoi ssawal...??


SONU ke phone me chal rahi thi ye recording jiske pura hote hi wapas apni jeb me rakh liya usne apna phone...

wahin us recording ko aankh kaan aur baaki sab chhed khol sun rahe the NAMITH aur DEEPESH par samajh unhe ye nahi aa raha tha ki unke plan ko record kiya kaise hum sabne..

unke confused expressions unka ye sawal clear bata raha tha jispar..


MAI-zyada ganit mat laga..batata hun..yaad hai us din FUSION me jab apni shopping kar bathroom gaya tha mai..

SONU ka phone tab mere paas hi tha jisse wapas loutne ke baad usse nahi pakdaya tha maine balki recording on kar chupke se apne hi ek shopping bag ke andar slip in kar diya tha..

tum dono ko ghoor rahe the SONU NITS us waqt jinhe apne saath neeche le gaya tha mai..

baaki sab bags toh pakad liye the maine bas ek bag jisme SONU ka mobile tha,wahin chhod diya tha..

mujhe maalum tha ki hamare jaane ke baad koi na koi khichdi pakaoge tum sab joki pakayi tumne aur woh saari baatein record ho gayi mobile me..

SONU wapas louta apni chhuti bag lene jiske baad usse aur NITS ko tum sabki recording sunayi maine..

in dono ke baad baaki boys ko bhi tumhari planning batayi humne aur phir banaya tumhare plan ke har step par counter plan..

sirf tere hi bande PRINCE me nahi hain NAMITH..hamare bhi hain.

unse tere is dost DEEPESH ki puri details le li thi humne..

PRINCE me padhta hai tu aur woh bhi ussi class ka part hai jisme KHANAK padhti thi pichle saal tak..

EKPREET-aur beta DEEPESH...pool ke paas jo takraya tha mai tujhse,woh achanak nahi hua tha..

plan tha woh hamara tujhe KHANAK ki nazaron me laane ka taaki uske zariye hum tujhe apne kareeb rakh saken..

kal raat ko jo tune sleeping pills milayi thi sabke drinks me,woh sirf girls ne hi pee thi,humne nahi..

hum toh early morning hi uth gaye the taaki police ke aane tak saari plannings set kar saken..

NITS-aur SANVY kuch gurads ko lekar gaya tha NAMITH ko uthane...aakhir main culprit yahi toh hai..

hamari baat ya phir ue kahun ki unki planning par jo counter planning ki thi humne,usse sun dimag ghum chuka tha unka..

DEEPESH ko ab samajh me aa raha tha ki kyun NAMITH ne usse mujhe seriously lene ko kaha tha..

par ab faayda kya tha..lanka toh lag hi chuki thi in dono ki...

khud me khoye hue ye sab soch rahe the woh dono par tabhi cottage me enter hue JIGNESH UNCLE..KALPESH ke father..

jaisa ki bataya tha maine ki unke kaafi ache relations hain meri mom ke saath isiliye KALPESH ko drag karne ke bajaye aaj subah NAMITH ko uthwane se pehle unke paas jaa saara sach saboot ke saath bata diya tha maine..

achi khaasi sutayi ki thi unhone KALPESH ki aur uske saath woh bhi idhar aaye the..

JIGNESH uncle ko dekh aankhein jhuka li thi NAMITH aur DEEPESH ne..

par isse uncle ka un dono ke prati ghrina,ghussa bilkul zara bhi kam nahi hua tha..

bina kuch kahe SAM, EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ke saamne haath jod diye unhone jispar turant aage badh unka haath pakad liya SONU ne aur..


SONU-aappki ggalti nnahi hhai unncle...aapne ttoh bbas appne bbete kko ffreedom hhi di,ppar wwoh us azzadi kka ssahi isstamal nnahi kkar ppaya toh issme aappka kkya kkasoor..

MAI-apne bache ke gunah ke liye ussike umr ke ladkon ke aage haath jodne padh gaye tere dad ko..

tere occhepan aur neechta ki isse badi kya saza mil sakti hai inko..


meri baat sun sir sharmindagi se jhuk gaya tha KALPESH ka par jo usne kiya tha ya phir ye kahun ki karne ki koshish ki thi,uski maafi sirf sharmindagi toh chuka nahi sakti thi...


RAJESH-alright then...tumhara phone tumhe hume handover karna hoga..

recording ki voice authenticity karwani zaroori hai..par abhi ke liye ye tum sab clear ho..

BASANT,daal in sabko jeep me... JUVILINE bhejna padega in sabko..


NAMITH, DEEPESH aur woh chaar lounde jo NAMITH ke bolne par yahan aaye the,unki taraf ishara kar boli ye baat RAJESH ne jispar..


EKPREET-aise kaise chale inspector...ek culprit toh tum bhi ho...

pehle toh bina permission,warrent mooh uthaye chale aaye yahan aur uske upar battamizi ki hum sab aur khaas kar girls se...

pehle toh haath jod maafi maang in sabse warna yahin chhil denge tujhe...


jo jo baatein kahi thi us RAJESH ne,woh naa EKPREET bhula tha aur naa hum..

gurrate hue kahi thi ye baat usne jispar muskura utha RAJESH aur...


RAJESH-beta dhamki apne umar ke loundo ko dena,mujhe nahi...mujhse maafi mangwayega tu..

bhulo mat ki abhi bhi minor catagory me aate ho tum isiliye false investigation jaisi maamuli complaint par mera kuch bigaad nahi paaoge tum sab..

ek warning milegi mujhe aur bas,sab clear...

abhi on duty hun mai isiliye saamne se kuch nahi kar sakte tum sab mera aur agar kiya toh mera kisi bhi tarah se jawab dena completely legal maana jaayega..

aur yahan jo bhi hua,uske binah par bhi kuch nahi kar sakte tum sab kyunki proof nahi hai kuch tumhare paas...

yahan ke staaf ki gawahi zyada maayne rakhegi nahi aur iske alawa aur kya hi dikha sakte ho tum...


jab SONU apne phone ki recording sabko suna raha tha,tab us scene ke beech ek aur scene chal raha tha...

woh INSPECTOR RAJESH us recording ko sunte hue us area ki taraf badh chala tha jahan se DEEPESH ke room me aane aur bag me rakhne ki recording ki gayi thi..

camara abhi bhi laga tha wahan par filhal off tha jisse RAJESH ki anubhavi aankhen turant taad gayi thi..

upar se recording ke dauran NAMITH ki kahi gayi saari baaton me kahin bhi RAJESH ka direct zikr nahi hua tha...

ye ek bada plus point tha uske liye jiska faayda abhi utha raha tha woh...

anyways,uski baat sun EKPREET aur uske saath hum sabhi muskurane lage aur ye dekh RAJESH ki aankhein sochne waale andaz me choti ho gayi..


MAI-zyada mat soch,bas sunta jaa...jis camera ke off hone ke kaaran uchak raha hai tu,woh is room me laga ek maatra camera nahi hai..

NITS...


mere NITS ka naam lete hi haste hue NITS aage badha aur BED me chadh ek point par pahunch apni ungli point ki usne jisse dekh aankhein badi ho gayi RAJESH ki..

ek micro camara us pointed jagah par laga hua tha joki chaalu tha..

aur wahi nahi,us jagah ke baad NITS RAJESH ke paas pahunch uske right taraf ki diwaar ke taraf badh gaya jahan ek aur camara bugged tha jisse dekh dimag hi ghum gaya RAJESH aur uske saath uske sabhi constables ka bhi..

kaafi paas tha woh camara aur jaise khada tha RAJESH,uske according uski har baat ke saath facial expressions bhi saaf dikh rahe the us camara me...


RAJESH-ek baar me batao,recording kahan par ho rahi hai...???


ek dhamki bhari gurrahat thi RAJESH ke sawal me jisse sun hasne lage hum sab aur..


EKPREET-recording..abbe live telecast ho raha hai yahan chal raha har scene...


hadbada aur ghabra gaya tha RAJESH EKPREET ki baat sun jispar..


EKPREET-relax..kisi channel par nahi, sirf ek connection gaya hai in camaras ka jisse dekh bhi sirf ek hi shaksh rahe hain...

SAM-le,khud baat kar le...


EKPREET ki baaton ke dauran ek number dial kar diya tha SAM ne jiske dusri taraf se pick up karte hi mobile speaker par rakh phone aage kar diya tha SAM ne jiske baad...


INSPECTOR RAJESH MISHRA...


pehli baar kisike mooh se apna naam sun gaand fati hogi RAJESH MISHRA ki joki laazmi bhi tha...

police department ke count road,nardev shashtri marg,D.I.G office se khud DIG KEWAL KHURANA ki awaaz thi ye jisse sun pehle toh hadbadaya RAJESH aur phir..


RAJESH-good morning sir..sir mai..

D.I.G-not a word officer..tumhari kahi har baat clearly suni hai maine...

who the hell do you think you are...jaante ho kin bacchon par itne serious allegation laga rahe ho..

SIRIUS SCHOOL ke students hain woh sab joki pure uttarakhand ka sabse reputated institution hai..

aur tum mooh uthaye MRS SMRITI CHANDER ke resort me chale gaye woh bhi bina warrent...

kaise explain karoge apni ye non sensical action ko...!!

RAJESH-sorry sir par aaj morning hi mujhe ye info mili ki yahan resort me drugs aur drug victims hain..

maine socha ki agar warrent ke through gaya toh kaafi time lag jaayega aur evidence, victims,sab clear ho jaayenge..

D.I.G-accha...and how did the plan went out exactly...!!!

ek tricked scene me fasaya gaya tha un bacchon ko..but leave that thing..

baat kaise kar rahe the tum un students se..aur language,kya yahi language apne ghar ki ladies par bhi istamal karte ho tum...!!!

today,you have disgraced the whole department through yours action..


pehle ek student ke haathon sutayi aur phir sabke saamne D.I.G ka yun sunana..andar se toh bohot sulag raha tha RAJESH par filhal kar kuch kar sakta tha nahi woh isiliye...


RAJESH-sorry sir..it wont happen again..

D.I.G-woh pata hai mujhe..law ko apni property samajh jitna karna tha,kar chuke tum..

lekin ab tumhare saath sab by law hi hoga..

but first things first...maafi maango sabhi bachon se...


D.I.G ki baat sun hum sabko dekh sir halka neeche kar..


RAJESH-sorry...for everything..

ANJALI-sorry my foot...mother fucker son of a bitch...


dheere par ek gurrahat ke saath di thi ye gaali ANJALI ne jo RAJESH ke kaano me padh chuki thi par react toh kar sakta tha nahi, isiliye shaant hi raha woh..

par ANJALI ki baat ya phir ye kahun ki uski gaali sun halka halka has diye the hum sab jisne us RAJESH ke dil ko aur jalaane ka kaam kiya tha...

anyways,RAJESH ke apology ke baad...


D.I.G-constables..jitne bhi alleged suspects hain,baramad kiye drugs ke saath unhe JUVILINE le kar jaao...


sabhi constables jinki D.I.G ki awaaz sun pehli hi fati hui thi,unke order ko sun woh sab aise harkat me aaye maano agar ek second ki bhi deri hui toh phone par hi gaand maar lega D.I.G unki..

agle 1 minute me hi NAMITH, DEEPESH,KALPESH jiske saath uske dad bhi gaye aur woh chaar bande jinhe gawah ke roop me hume trap karne ke liye laaya gaya tha,woh sab constables ke saath cottage se jaa chuke the..

aur aisa hote hi ek baar phirse ubhri phone par D.I.G KEWAL KHURANA ki awaaz...


D.I.G-and for you officer..aaj kiye tumhare action ke liye tumhe substantial proof ke saath ek written statement S.S.P desk par issue karwani hogi...

par tab tak indefinite period ke liye, you are SUSPENDED....

beep...

apna faisla suna call rakh diya D.I.G ne jisse sun jabde sakhti se bheench gaye the us RAJESH ke par ab kare bhi toh kya..

jo boya tha,uska hi phal khaa raha tha woh...

kuch seconds yunhi apne ghusse aur apmaan ke ghoont ki leher ko zabt karte hue khada raha woh aur phir dheere se cottage ke bahar jaane ke liye kadam badha diye usne...

humne bhi roka nahi usse aur jane diya par jahan hum the,us room se nikal door ke dusri taraf pahunch joki surveillance free area tha,rook palta hamari taraf yaa phir ye kahun ki meri taraf woh aur..


RAJESH-naam kya hai tera...???

NITS-kyun, substantial proof me iska bhi naam add karega kya...!!!

MAI-SANVEER AHARYA...


NITS ke taunt ke baad bina laag lapeth apna naam bata diya maine jispar..


RAJESH-ye din nahi bhulne waala mai..aaj tak kisi ne ungli tak nahi uthayi thi mujhpar aur tune haath utha diya..

manmane encounters kiye hain maine par saza toh door, inquiry tak nahi hui thi mujhpar kabhi..

lekin aaj ek investigation ke liye jiske fail hone ke piche bhi tera hi dimaag tha,life me pehli baar suspend hua hun mai...

you have to pay for this..you will pay for this...


RAJESH ki dhamki sun ek lambi saans chhod uski taraf badha mai..

mere sabhi dost bhi saath hi the mere... anyways,uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad uske aankhon me dekha maine jahan mere saath kuch bura karne ka conviction saaf dikh raha tha..


MAI-tere is jhuthe ghamand ka kaaran khud hi bata diya tune..

tere lagatar kiye gaye GALATH kaamo ko GALATH nahi thehraya tha kisine..

aur aaj jab woh GALATH wakayi GALATH saabit hua toh us sahi faisle ko bhi GALATH hi maan raha hai tu...

koi naa..tere jaise GALATH aadmi se sirf GALATH ki hi ummid ki jaa sakti hai...

aur rahi teri mere saath kuch GALATH karne ki baat toh..

try kar ke dekh lena...fail hua toh koi baat nahi par agar wakayi galti se bhi mujhe taklif pahuncha gaya tu toh...





hamesha kaanpega tu,tere sir par dar ka woh CHHAT BANEGA....

jiski buri gath ko koi padh naa sakega,tu woh KHATH BANEGA....

sukoon ki saanson ka daur khatm ho jaayega tera...

jo teri har SAHI cheez ko mita dega, SANVEER woh GALATH BANEGA...











AAJ KE LIYE ITNA HI...











AAPKA APNA V...J...
Sab plan hua fail.culprits are going to jail.Rajesh bhi fasgaya ho gaya suspend.but Rajesh future me sanvy see revenge le sakta hai.amazing update.
 

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,309
174
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AND GROUP KHUDKO NIRDOSH SAABIT KAR DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF D.I.G KEWAL KHURANA RAJESH MISHRA KO SUSPEND KAR DETE HAIN..

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-22


DATE-17TH JUNE 2019

PLACE-SIRIUS





DHABBBB...


PPAGAL HHO GGAYA HHAI KKYA BHOSDIKE...


ek mukka jamaya tha SONU ki peeth par NITS ne jispar bhadak gaya SONU..


NITS-chup saale...acha khasa ghar me chill karne ka plan tha mera,par nahi..

gaand me chul ka keeda kaata mereko jo teri baaton me aa gaya..

kya bola tha tu..!!ppehla ddin hhai..ppadhayi nnahi hhogi..

mmast cchill kkarenge sschool mme..

landu, tere chill ke chakkar me gaand chhil gayi meri..

aur ye saale sabhi teachers ko ho kya gaya hai.. vacation ke baad pehla din hai session ka par padha aise rahe hain maano aaj ke baad classes hi naa lagne waali ho jaise.....


khud se hi budbudaate hue ye saari baatein kar raha tha NITS par tabhi...


GOOD AFTERNOON STUDENTS...


bas is ek awaaz ne NITS ki woh saari budbudahat, frustration ek jhatke me hi khatm kar di thi..

NITS ki hi kya, class ke sabhi ladke ka yahi haal tha..

REASON...

ANSHUMALA LAKHMANIA...

SECTION B ki maths aur SIRIUS school ki sabse khubsurat teacher jinhone is waqt class me enter maari thi..

halki naarangi printed colour ki shifon saari me classroom ke andar bhi apni be-intehan khubsoorati se bin baarish indradhanush dikha diya tha unhone sabhi male students ko..

actually vacation ke vaad first day of school ka aakhri par free period tha ye jispar ANSHUMALA ma'am ka substitution laga tha..

aur unka yahan aana saare male students ke liye woh refreshing moment tha jisne din bhar ke hectic schedule ko ek jhatke me chilled out kar diya tha..

anyways ma'am ke gesture ka reply dene ke baad hum sabhi baith gaye..

ANSHUMALA ma'am ki ek aadat thi aur woh ye ki zyadatar woh smile karti rehtithi joki is waqt bhi unke face par saji hui thi.

uss smile ke saath unhone is new batch par ek bharpoor nazar daali par aisa karte waqt unki nazar ek jagah par pahunch tik gayi..

ye jagah meri thi jo is waqt apne dono haath gaalon par tikaaye unhe hi dekh raha tha..


ANSHUMALA-SANVY....!!!!

MAI-haaye....

hahahaha....


ma'am ke mere naam pukarne par mere reaction ko dekh aur sun RASHI aur KHANAK ko chhod sabhi students has diye the..

un sabhi ko pata tha ki favourite student tha mai unka aur shayad hi aisa kabhi hua hoga jab ma'am ke saath ek healthy flirting nahi ki hogi maine..

(NOTE: ANSHUMALA MA'AM ka kirdaar mere real life se inspired hai..)

anyways,un sabko toh mera ma'am ke saath ravaiya pata tha par RASHI aur KHANAK mere aise reaction ko aakhein faade dekh rahe the..

wahin mere "haaye" ko sun MA'AM ne apne sir par haath maar liya..


ANSHUMALA-tu maar khaayega mujhse SANVY....

MAI-it will be my pleasure ma'am..

HAHAHAHAHA...


mere reply ko sun aur khaaskar jis tarah se woh reply diya tha maine,kisi sache aashiq ki tarah,usse dekh phirse has di thi puri class...

par is baar un sabke beech ek muskurahat ma'am ki bhi thi jiske baad apne sir ko shake karte hue...


MA'AM-so,how is this new session treating you students...???

MAI-subah se ab tak toh hell tha par ab heaven sa feel ho raha hai ma'am...

HAHAHAHAHA...

students ke giggling hasi ke beech is baar ma'am meri taraf badhi aur mere paas pahunch..


ANSHUMALA-tu kabhi sudhrega ki nahi..har waqt masti hi sujhti rehti hai tujhe..

MAI-lie detecter test kar lijiye ma'am..ek shabd bhi jhooth saabit hua mera toh jo bolo aap phir...


mere is tark par bas muskurakar mere kandhon par halki chapat lagaate hue palath gayi ma'am jiske baad..


ANSHUMALA-so,maths ke kuch imp. questions discuss kar len...!!!

SAB-no ma'am please...

NITS-ma'am MAALVIYA SIR ne aaj maths ki do do classes li hain..ek hi din me pura chapter khatm kar diya unhone...

aur naa padha jaayega aaj...

ANSHUMALA-haan,ehsaan kiya hai naa tumne sir ko chapter complete karne dekar..

duffers course jitna jaldi complete hoga, revision ke liye utna zyada waqt milega na tum sabko...


ma'am ki baat sun kaha nahi kuch kisine par padhaku bacchon ko chhod mooh sabhi ke utre hue the jisse dekh..

ANSHUMALA-ok fine...nahi padhaungi mai..

SAB-thank you ma'am...

ANHUMALA-ek second...itni jaldi excited hone ki zaroorat nahi hai..

puri baat sun lo pehle...free period ke liye ek task dungi mai..a kind of challenge..

agar pura kar diya tumme se kisine bhi toh class free ho jaayegi or else we will discuss some important topics of maths..


free period ke ehsaas se jitni jaldi khush hue the sabhi, ma'am ke us challenge waali baat se woh khushi utni tezi se feeki bhi padh chuki thi aur woh isiliye kyunki sab jaante the ki bhale hi ANSHUMALA ma'am ek teacher thi par attitude unka kisi competitive bacche se kam nahi tha..

aur unke diye challenge bhi utne hi atrangi hote the...

par backout karne ka matlab tha sidhe sidhe ek aur mathematics ki class isiliye...


RAJAT-what's the challenge ma'am...!!!

ANSHUMALA-oh,very simple..ek mathematical tounge twister hai jisse one go me clearly bol kar dikhana hai tumme se kisi ek ko bhi...

agar kisi ek ne bhi aisa kar diya toh class free ho jaayegi...


tounge twister ka task sun chill out ho gaye sab...

kyunki SIRIUS ek convent international school tha isiliye shakespeare plays jinme hard se hard words ke collaboration se likha script yaad karna padta tha,woh bhi bol lete the kayi students toh aise me ek tounge twister bolna kaun si badi baat hone waali thi un sabke liye...

issi thought ki wajah se chill out the sab ke sab aur ye dekh halki si muskurayi ma'am aur..


ANSHUMALA-so,ready..!!!

SAB-yes ma'am..


confidence se bhara yes gunj utha pure class me jisse sun...


ANSHUMALA-fantastic.. alright then, here we go...

"a mathematician can mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation.so if a mathematician can mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation, why can't you mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation like the mathematician who mathematically mathematises mathematics in a mathematical mathematiculation."


simple hai naa...ok, toh kaun karega sabse pehle try...???


MA'AM ke bole tounge twister ko sun pehle hi aankhein badi ho chuki thi sabki aur ab jab unki baari thi us tounge twister ko repeat karne ki toh fuse ud chuka tha sabka...

ek dusre ko dekh rahe the sab aur ma'am un sabki haalath dekh halke halke smile de rahi thi...

wahin mujhe toh is challenge se koi matlab tha nahi.. mai ab bhi dono haath gaalon par tikaye ma'am ko hi dekh raha tha...


MA'AM-so,bolo phir..kaun karega sabse pehle try...!!!!???

ANJALI-ma'am, SANVY ko hi boliye naa...usse plans aur counter plans banana, challenge accept karna,edge tak chizon ko kheenchna acha lagta hai bohot...


piche palat mujhe ghusse se ghoor kahi ye baat ANJALI ne jispar..


ANSHUMALA-yeh toh maine bhi suna hai ki hamara SANVY kaafi bada challenger hai...

bhale school ka match ho ya dusre school ke students ke beech se hamare students ko unharmed nikaalna...sab badi asaani se kar leta hai SANVY...


house match me jo hua aur usse pehle SAMRAT waalon ke saath hue pange me apne doston ko mera bachana,ye baat puri school jaanti thi aur ANSHU ma'am ka toh favourite tha hi mai..

isiliye un situations ka example diya unhone mujhe jispar..


MAI-hamara SANVY nahi sirf aapka ma'am..aur tounge twister nahi hai mere bas ki..

haan,ek tounge twister pata hai mujhe jo is ANJALI par bohot suit hoti hai..

ANHUMALA-really..?!!kaun si..??

MAI-

bakwas me ki bakbak bakbak se zyada bakwas hoti hai jo bakwas ke beech ki bakbak ko yaa toh bakbak banati hai ya bakwas...

HAHAHAHAHA....


mere tounge twister ko sun ma'am aur puri class has padi thi wahin ANJALI mujhe yun ghurne lagi maano agar class khaali hoti toh pel deti mujhe..

anyways,mere kahe tounge twister ke baad ma'am ne apna twister firse repeat karte hue usse bolne ka sabko challenge kiya jispar kuch students ne koshish ki par aadha bhi kaamiyab nahi ho paaya koi bhi...

aur isiliye challenge ma'am jeet gayi jiska matlab tha ki class free nahi jaane waali thi..

maths ki book nikaali ma'am ne aur pehle dono chapters se kuch imp questions nikaal unhe narrate karne lagi jispar man maarkar students un questions par focus karne me lag gaye..

TRRRRRRR...

tounge twister challenge ki wajah se last study segment waali class jald hi khatm ho gayi.

final bell baj chuki thi aur aisa hote hi ek raahat hi saans li sabhi students ne aur apni apni copies bag me daal class se nikalne lage...



ANSHUMALA-mujhe laga tha tu tounge twister atleast try toh karega hi...


SAM, EKPREET aur RAJAT ke baad jab mai SONU aur NITS ke saath ma'am ke paas se hokar class se nikalne ko hua toh unki is baat se badhte kadam rook gaye mere...

SONU aur NITS ko aage jaane ka bol mai palta ma'am ki taraf aur...


MAI-zaroor karta ma'am agar challenge jeetne par milne waala prize mujhe acha lagta...

ANSHUMALA-matlab!!!

MAI-aapne kaha tha ki agar kisine aapke bole tounge twister ko perfectly mimic kar liya toh aap class free kar dengi..

mujhe ye condition excitable nahi laga isiliye try nahi kiya maine..

ANSHUMALA-ok...the MR SANVEER AHARYA ko excitable lagne waala condition kya hota..???

MAI-well hamare next free period me bhi substitute teacher aap hi rahengi,agar ye promise karti aap toh aapka har challenge accept karta mai..

ANSHUMALA-SANVY.. phir shuru ho gaya naa tu...

MAI-its true ma'am...

ANSHUMALA-acha..tu bhul raha hai ki sirf attempt karne par sharth pure nahi maane jaate...you have to win them...

MAI-pata hai ma'am...aur accept kiye gaye challenge ko nahi haarta SANVEER AHARYA..


meri baat sun kuch pal dekha mujhe ma'am ne aur...


ANSHUMALA-alright then...agar tune one go me wahi mathematical tounge twister jo class me bola tha maine, clearly repeat kar diya toh i promise ki is section ki agli free class mai hi lungi..

MAI-well in that case,i accept the challenge..

ANSHUMALA-par mai bata dun ki kisiko bhi maine us twister ko one go me clearly bolte nahi suna...

anyways,tu karke dekh le try.. toh dhyan se sun..sirf ek baar bolungi...

MAI-

a mathematician can mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation.so if a mathematician can mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation, why can't you mathematically mathematise mathematics in a mathematical mathematiculation like the mathematician who mathematically mathematises mathematics in a mathematical mathematiculation.

aisa hi kuch tha naa ma'am...


ma'am ke bolne se pehle hi unke tounge twister ko clearly repeat kar puchi ye baat maine jispar aankhein faade dekhne lagi woh mujhe aur ye dekh muskuraya mai aur...


MAI-i will see you in the next free period then ma'am...good bye...


ma'am ko ussi shocking condition me chhod class se nikal gaya mai jiske baad..


ANSHUMALA-what the hell...yaad tha isse wph twister aur aise hi bol.diya usse jaise saalon ki practice ho..

hai kya aakhir hai ye ladka....!!!!!

SAM-arre baat toh suno yaar tum log..!!!


class ke just bahar ANJALI ka haath hold kiye request si ki thi SAM ne chaaron girls se jispar mooh banate hue woh sab nikal gaye...

REASON...

kal ke hamare epic last day of vacation ke baad der shaam hum sab wapas dehradun pahuche the.

waise toh saari chizen exactly jaisa plan kiya tha maine,waisi hi hui thi par girls jinke liye woh sab kisi sudden shock se kam nahi tha,unhe pura din lag gaya tha kal ghati ghantnaon se khudko ubharne ke liye...

ubhar toh woh gaye the par humare plan ke baare me unhe pre-informed naa rakhne ki wajah se humse naaraz chal rahe the chaaron...

subah se hi sabhi boys unse baat karne ki koshish kar rahe the par woh sunne tab naa..

abhi bhi mooh fulaakar jaa chuke the woh sab jiske baad..


MAI-itni jaldi naa maanengi ye sab..time lagega..de unhe...


class se bahar aa chal rahe scene par nazar padte hi kahi ye baat maine jispar..


EKPREET-yahi toh kabse bol raha hun mai in chutiyon ko par dosti ke saath aashiqui ka bhi bhoot hai naa..

asaani se thodi naa utrega...ab chaloge bhi,campus se bahar nikle,usse pehle baat karni hai usse...

MAI-puch kya raha hai...???chalo be...


ye bol aage badh gaya mai aur mere piche woh sab bhi ho liye...



ROHAN...!!!!!!


apne kuch doston ke saath apni class se nikal premises se aage badhte hue parking ki disha me badh rahe ROHAN ka swagat SAM ke is awaaz ne kiya jispar apne doston ko aage badhne ka bol ko bol woh hamari as in hum sab boys ki taraf badha jo ussika wait karte hue ground me baithe hue the..

kyun..??reason toh obvio hi tha..

kal jo hua,woh saari baatein,chizen toh clear hi thi siway ek chiz ke aur woh tha ROHAN ka SAM ko warn karna...

aur isiliye hi hum sab aaj school off hone ke baad apni class se thoda jaldi nikal uska yahan entry and exit gate se pehle bane ground me uska wait kar rahe the...


ROHAN-hey guyzz..look,mai jaanta hun kya puchna chahte jo tum..

NITS-antaryaami toh shuru se hi hai tu tabhi toh ye jaante hue bhi ki hamare khilaaf banaye tere har plan ka matiyameth hum kar hi denge, phir bhi gaand illi karne se baaz nahi aata hai tu...

ROHAN-sense of humor...nice..par filhal mera aisa koi irada nahi hai...

SONU-wahhi ttoh jjaanana hhai hhum ssabko..hhar wwaqt hhamare kkhilaaf pplotting kkarne waala ttu, ttere mman mme acchanak hhamare lliye itnna ppyar kkahan sse jjaag ggaya kki hhume wwarn kkarne kke lliye kkal ccall kkiya ttune...

SAM-and most importantly,tujhe pata kaise chala ki mere resort me drugs planted tha...

ROHAN-firstly,haan ye sach hai ki i don't like you SAM...tujhe beat karna chahta hun mai..tera woh school champ ka khitaab chhinana chahta hun mai aur haan,mai maanta hun ki uske liye mai kuch bhi karta aaya hun..

aur teri hi tarah,i don't like any of your friend.. aur ye SANVY...i just don't like you,i hate you..tu kal mar jaaye,mujhe ghanta fark nahi padega..

infact,mai toh treat dunga agar aisa hua toh..

MAI-feelings are mutual brother... bas fark itna hoga ki meri mout par tu party dega par teri mout par mai shraadh rakhunga..

ROHAN-pata hai mujhe...par woh dusri baat hai...lekin kal jo hone waala tha woh ek complete different scenario tha...

mujhe DUSHYANT ne bataya tha ki uske friends SAM tere resort me drugs plant kar tum sabko fasaane waale hain..

usse laga ki mujhe woh sab jaan khushi hogi..

SAM-aur tujhe nahi hui...!!!

ROHAN-surprise hoga tu,par haan..nahi hui thi mujhe khushi..i mean common yaar,drug case.. seriously...

haan mai tujhe beat karna chahta hun chaahe koi bhi tarika kyun naa aazmana padh jaaye mujhe...

par kal jo hone waala tha,woh completely below the belt tha... tum sabki life kharab ho sakti thi.

ab jitna bhi kameena kehlo mujhe par waisa toh kabhi nahi chah sakta mai..

vacation par bahar gaya tha mai,parso hi louta wapas...

kal morning jab globe chowk waale ground gaya toh DUSHYANT mila mujhe...

aur baaton baaton me usne jaise hi drugs ke baare me bataya mujhe,i called you..

par tune uthaya hi nahi..aur jab uthaya toh late ho chuka tha..

you said ki police aa chuki thi udhar..but thank god ki koi scene create nahi hua..

par surprised bhi hun mai...i mean,nikle kaise tum sab us mess se..kya police ko drugs nahi mile udhar..

SAM-drugs bhi mila aur usse wahan rakhne waala bhi...hume sab pehle se hi maalum tha..

we were just playing around...jo hume trap karna chahate the,humne unhe hi trap kar diya...

anyways,woh sab chhod..

agar wakayi tu hamara sahi chahta tha,then i really appreciate that..i hope ki tere kisi naye game ya new trap ka base nahi tha woh call..

ROHAN-dont worry dude..aisa kuch nahi hai...


ROHAN ki baat par kuch seconds dekhte rahe hum sab usse par phir..


SAM-chal phir.. thanks for the gesture..


usse haath milaate hue kahi ye baat SAM ne jiske baad hum sab exit ki taraf badh gaye..

wahin hume piche se jaate dekhte ROHAN ke face par ek evil smile naach rahi thi aur waise bhi muskurate hue...


ROHAN-

"jaal toh hai mere dushmano par naya nahi,PURANA HAI...

aur bicchaya kuch yun hain maine ki fas tum sabko usme khudbakhud JAANA HAI"....


SAME DAY:-



PLACE-B.O.B BRANCH





MA'AM,B.M SIR BULA RAHE AAPKO...



apne cabin me baith laptop par kaam karti VERONICA ko table boy ne kahi ye baat jispar bina zyada pratikriya diye woh apni jagah se uth khadi hui...


VERONICA-yes sir...


BANK OF BARODA, DEHRADUN HEAD BRANCH,newly appointed B.M,MR HARISH KHATRI ke cabin ki us glass gate ko dhakel andar aate hue ye sanshipt sa sawal kiya VERONICA ne..


(NOTE:-MR HARISH KHATRI...ek 45 years old lagbhag 6 feet unche aakarshak vyaktitv ke maalik... pichle mahine hi inka yahan dehradun transfer hua tha..isse pehle ye RISHIKESH B.O.B BRANCH ke B.M the...

waise toh khushmijaaz kism ke vyakti hain ye par apne opposite gender as in ladies ke maamle me thode reserved hain...jitni zaroorat,utni hi baat karte hain ye un sabse...

yahan tak ki is ek mahine me MRS VERONICA PAUL AHARYA joki yahan branch me unki second best officer thi, unse bhi open nahi hue the ye..to the point hi rahe the ye apni FIELD OFFICER se.)


HARISH-MRS VERONICA...please sit..


bohot shaalinta purv kahi ye baat MR HARISH ne jispar unke saamne waali seat par baith gayi VERONICA...


HARISH-ULIP(UNIT LINKED INSURANCE PLAN)

PPF(PUBLIC PROVIDENT FUND)

APF(ARMY PENSION FUNDS)


in teeno schemes,plans ke baare me toh suna hi hoga aapne..!!!

VERONICA-ofcourse sir... government linked schemes hai ye sab joki national level par operate hone waali hai...

ULIP aur PPF public welfare ke liye ab tak ki sabse important, profitable aur high returns schemes hain aur har army regiment ke liye,un sabki families ke liye APF bohot faaydemand hone waala hai..

a very good initiative taken by both government body and every bank's entrepreneurs...

par abhi toh time hai shayad in teeno hi schemes ke launch me..

HARISH-jee..abhi toh in teeno hi plans ke perfect layouts, structure, payment dispatch procedure,return policies ke proper calculations ki report taiyar karni baaki hai jo lagbhag saare banks ke chosen representatives ne karni shuru bhi kar di hai..

aur hamare state uttarakhand ke B.O.B me is plan par kaam karne ke liye mujhe chuna gaya hai..

VERONICA-really..wow.. congrats sir...

HARISH-thanks aur aapko maine issi silsile me baat karne ke liye bulaya hai.

darasal mai chahta hun ki aap officially mere saath in plans ke sabhi aspects par kaam karen.

infact, maine aapka naam bank ke board of directors of refer bhi kar diya hai..

VERONICA-what..!!!i mean,thanks sir ki aapne mujhe is laayak samjha par it's a gigantic project..

i am not sure ki i am good enough to handle all this...

HARISH-oh common,MRS VERONICA...ye aapki modesty hai,bas..mere paas aapke yahan kiye har work ki file hai...

aapke ab tak ke B.O.B service records ke according aisa koi loan aur investment plan nahi jisse aapka approval mila ho aur woh loan return nahi hua ya woh investment plan fail hua ho..

100 percent profitable record hai aapka...

infact,aapki farsightedness ki wajah se hi aapko B.O.B ke bohot se sub branches me bhi tour provide kiye jaa chuke hain..

dehradun ki hi tarah chakrata, clement town,haridwar,landor,chamba aur inke saath kuch jagah par bhi aapke impliment kiye gaye saare schemes ka return percentage 100 percent raha hai...

mujhe toh ye samajh me nahi aa raha ki ab tak aapki post FIELD OFFICER tak hi kaise halt par hai..

i mean,aise results ke baad aap kamsekam division officer ki post toh deserve karti hi hain..

actually,woh post bhi choti hogi aapke calibre ke hisaab se...

but ab aisa nahi hoga..is project ki completion ke baad i am sure ki aapko much higher position ke liye turant consideration milega...

shayad promotion ke saath aapka transfer DELHI maine branch me bhi ho jaaye...

MAA-thanks for such appreciation sir par the thing is i love it here.. mujhe dehradun aur apni ye moujuda post, dono hi pasand hai..

mere koi high ambition nahi hain..agar aapko lagta hai ki mai itne privileged plan ka hissa banane ke laayak hun toh mai definately apna best dene ki koshish karungi par reason koi promotion nahi bas wahi hoga jo ab tak raha hai..my job...


VERONICA ki baat sun aur jis saadgi se usne promotion ki sifarish ke liye mana kar diya tha, hairangi se dekhne lage HARISH unhe jiske baad..


HARISH-you are something else MRS VERONICA...aaj ke daur me jab ethically ya non ethically log har kisi ko dhakka maar yaa piche dhakel khud sabse aage nikalna chahte hain wahin aap,itni hunarmand hone ke baawjud kuch zyada hi suttled hain..

no desire,no urge to be in the top... incredible...


HARISH ki baat sun halka sa muskurayi VERONICA aur...


VERONICA-sir,zarooraten ek bhikaari ki bhi puri ho jaati hai par khwaishen toh rajaon ke bhi pure nahi hote..

phir aise me khwaishon ka bojh dhona hi kyun...???

waise bhi mere husband hamesha kaha karte the ki,

"jo khwahish aur zaroorat ke beech zaroorat ko CHUNTE HAIN.

asal khushi ke daaman ko aise hi log CHUMTE HAIN"..


bade saaf aur naram alfazon me apni baat keh gayi VERONICA jiske baad..


VERONICA-sir,aaj ke kaafi documentations sheets pending hain..so,can i..

HARISH-ya,ya, please go..


HARISH ki baat sun ek baar phir oupcharik smile dete hue VERONICA apni jagah se uth cabin se bahar nikal gayi..

aur piche se unke aur unke ass ko hasrat-e-nazaron se dekh rahe HARISH ne apne seene ko sehlana shuru kiya aur..


HARISH-intelligent,smart,khubsoorat, sexy,sensual par simple...deadly combination hai yaar ye patakha toh....

par paisa,power, position kaam nahi aane waale isse pataane me...

isse lapetne ke liye iski hi tarah saadgi ka chutiyapa karna padega...waqt lagega saala isme..

par lagana toh padega hi...afeem ke lath ki tarah hai saali jo lag chuki hai mujhe...ab....





aag lag chuki hai dil me,tere husn ke baarish se hi isse BUJHAAUNGA MAI...

jo bhi gaana pasand hai tujhe,tujhe paane ke liye us geet ko GAAUNGA MAI...

haan thoda mushkil hai tujhe kareeb se mehsoos karna magar...

bohot jald apna diwana bana tujhe apne neeche SULAAUNGA MAI....













AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J...
Ladkiyan thoda nakhus hain ladkon se kunki unko thoda insult kiya Rajesh ne.Rohan ka khurafati dimag koi plan jarur kar raha he.Harish sala tharki nikala veronica k piche padha he budha.
 

Villain1825

its villain
636
2,368
123
waitinggg bro
.
.
read my stories....

Villain (running)
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,305
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF JUNAID HUSSAIN VERONICA KE BAARE ME GALATH BOLNE KE KAARAN DONO GUARDS KO PEETNE KE BAAD DHAMKI DETE HAIN,DUSRI TARAF VERONICA AUR HARISH KI CLOSENESS KAAFI BADH GAYI HAI WAHIN TEESRI TARAF ROHAN NE BHI SAM AUR USKE FRIEND'S KE LIYE KOI PLAN BANAYA HUA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-32

DATE-2ND OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-B.O.B





BEEP...BEEP....BEEP....BEEP....



AB ITNA HOT BHI NAA DIKHO KI KAAM ME DIL LAGE HI NAA...


apne cabin me baithi amount structural chart ko dekh analyse kar rahi VERONICA ke mobile ka msg tone ghanghana utha jisse jab open kiya usne toh HARISH ke is text ko padh muskurayi woh..

waise toh aaj GANDHI JAYANTI hai, matlab public holiday...par jo teen gigantic projects abhi abhi national level par paas hue the,unka first month review chaalu tha..

constant payment monitering,drafts dispatchment analogs aur sabse important loan accounts ke digital display system ke charts bana government ke financial body ko har din bhejna pad raha tha sabhi banks ke employees ko...

yahi wajah thi ki september second weak se lekar october ke second weak ke end tak kisi bhi prakaar ke public holiday ko bank employees ke liye rule off kar diya gaya tha..

isiliye hi bank ka main shutter down kar andar sabhi employees apna kaam kar rahe the...

siway hamare HARISH babu ke jinke velle hone ke baawjud filhal paanchon ungliyan ghee me thi...

teeno hi plans ka shray milne ki wajah se next month state officer ki post mil jaane waali thi usse...

par most importantly, VERONICA jiske saath kuch din pehle restaurant me hui harkat ki wajah se nazdiki aur badh chuki thi uski...

ab lagatar text karte the woh dono jisme normally flirting hi hoti thi..

aur yahi kaam ab bhi jaari tha....


VERONICA-kaam me dil nahi dimag lagaya jaata hai jo i hope ki sahi salamat hai tumhara...


apni taraf se is text ko aage badha diya tha VERONICA ne jiska jawab 20 second ke andar hi aa chuka tha..


HARISH-dil dimag sab ek chehre ke aage bebas ho chuka hai...

batao,khabar bhi naa hai us surat ko ke kitna khatarnaak hai uske didaar ka asar...

ab fariyaad karen bhi toh karen kisse...!!!hamara toh taklif bhi ussi chehre se hai aur ilaaj bhi ussi mukhde se...

VERONICA-kya baat hai...!!!aaj toh tumhara flirt shayarana ho gaya hai...

HARISH-ab kya hi haal batayen aapko apna...khair, woh sab chhoden aur ye batayen ki us din restuarant me aapke bole "PHIR KABHI"ka waqt kab aayega...

VERONICA-hahaha...itna besabr hona bhi sahi nahi...

HARISH-besabr...!!! madam hafta guzar gaya us din ko..aur kitna sabr..

ab yaa toh aap us KABHI ko ABHI bana dijiye yaa phir hamari jaan hi le lijiye...

ab ye jeena bhi kya koi jeena hai jisme itne kareeb hokar bhi door door hain hum..

tumhe theek se mehsoos bhi nahi kar paa raha mai...kuch toh rehem karen apne deewane par..


aakhir me rone waale emoji ke saath text bhej diya HARISH ne par jab msg recieved dikhaane ke kuch der baad bhi koi jawab nahi aaya VERONICA ki taraf se toh man hi man halka nervous ho gaya HARISH...


HARISH-saali naraaz toh nahi ho gayi...shit...le dekar toh itne kareeb aayi hai,kahin kuch GALATH naa ho jaaye...

ek kaam karta hun..jaakar sorry hi bol deta hun...

BEEP BEEP....

apne chair se uthne hi waala tha HARISH ki tabhi msg flash hua uske mobile par...


VERONICA-aaj raat..8 baje..mere ghar... don't be late...

world cup ya gold medal jeetne ki jo khushi hoti hai,msg padhkar wahi khushi dikhne lagi thi HARISH ke face par jiske baad ek aur second bhi rook naa paaya woh..

turant apni cabin se nikal VERONICA ke cabin ki taraf badh chuka tha woh...


VERONICA-relax...bank me hain hum...


VERONICA ke cabin ki kaanch waale door ko khol uske paas tezi se aane laga tha HARISH par VERONICA ki baat sun turant rook gaya woh..

transparent thi ye cabin jiska excitement ke kaaran dhyan nahi aaya tha HARISH ko..


HARISH-pakka....

VERONICA-nahi kaccha..par 8 baje tak pak jaayega...


HARISH ko toh yakin hi nahi ho raha tha ki jis plan ke tahat yahan aaya tha woh aur VERONICA ki jis khubsoorati ko peene ki soch ab tak anginat baar muthiya maar chuka tha woh,uska woh sapna aaj raat pura hone waala hai..

khushi uske face par saaf dekhi jaa sakti thi par tabhi ghuma uske face par "SANVY" ka chehra aur aisa hote hi upar se uska chehra aur underwear ke andar ufaan maar raha uska louda ek saath apne tevar badal chuke the...


HARISH-ghar par toh tumhara beta SANVY bhi..

VERONICA-hoga naa..woh bhi tumse dobara milkar bohot khush hoga...

HARISH-oh.. ofcourse...

HAHAHAHA...


chudi hui kutiya jaisi shakal ho gayi thi HARISH ki jisse dekh has padi VERONICA aur...


VERONICA-apne friend's ke saath plan hai aaj SANVY ka.. isiliye hi toh bola maine "AAJ"..


par agar milna hai SANVY se toh bol dungi usse mai... apna plan cancel kar dega woh...


HARISH-nahi nahi...i mean abhi toh umar hai uske ghumne phirne ki...mat rokna usse...

ok then..i will see you at 8..sharp...


ye bol VERONICA ke smiling face ko dekhne ke beech apni be-intehan khushi ko face me dikhne se rokne ki naamumkin koshish karte hue palath gaya HARISH...

apne cabin ki taraf badhte HARISH ke kaano me VERONICA ka kaha woh ek shabd abhi bhi gunj raha tha...

"AAJ".. VERONICA ka khudse is shabd ko kehna jannat jaisi feeling dene laga tha HARISH ko...

VERONICA ke ras ko peene ke khwab ko dekhne ke beech ye khushkhabari dene ke liye is plan ki jadh,neev DEVANG MALHOTRA ko call laga chuka tha HARISH....





PLACE-36TH MALL





HEY WHAT'S UP...???KYA BAAT HAI,ITNI URGENTLY BULAYA MUJHE...!!!!


mall ke 5th aur aakhri floor par bane bowling alley jiska naam "STRIKING POINT" tha,wahan pahunchte hi saamne lounge me baithi KHANAK se puchi thi maine ye baat...

12 baje,bowling ka plan bana tha hum sabka aaj par KHANAK ne mujhe ghar par phone kar aadha ghanta pehle hi bula liya tha...

akele aane ko kaha tha mujhe usne isiliye sawal mera laazmi tha...


KHANAK-actually mujhe bowling nahi aati...

MAI-toh..!!!

KHANAK-what toh...!!! BOWLING hamare group me sabko aati hai siway mere..

ab jab sab aayenge toh sidhe groups bana khelne lag jaayenge..

par mai kaise participate karungi jab basics bhi clear nahi hain mere...

embarrassing hoga naa isiliye tumhe half and hour pehle hi bula liya taaki kuch guidence le sakun...!!!

MAI-mujhse...!!!dont you think sikhne ke liye SAM would have been a better option...


meri baat sun meri aankhon me jhaankte hue sir shake kiya KHANAK ne aur...


KHANAK-NAISHA ne bataya mujhe ki you are good in bowling..

waise tumhe sikhane me problem hai kya...!!!

MAI-mujhe kya problem hogi..chalo...

hang hon,pay kar leta hun pehle...!!!

KHANAK-zaroorat nahi hai..do game ka kar chuki hun mai..aur pata hai,bas ye hour hi free hai sabke liye..uske baad ke 2 hours SAM pehle hi book kar chuka hai..

MAI-woh chaahe toh pura din bhi book kar sakta hai...ye mall uski mom ka hai...

KHANAK-really..i didn't know that...

MAI-waise kya pehle kabhi bowling nahi ki hai tumne...!!!


alley area me enter kar chuke the hum jiske baad bowl hold se ek ten pin standard ball nikaal usse halka halka juggle karte hue pucha tha maine apna sawal jispar....


KHANAK-kisi ko bataoge toh nahi...!!!

MAI-bomb ki location dene waali ho kya jo itna secretive sound kar rahi ho...

just spill it out...

KHANAK-2 saal pehle ek baar try kiya tha.woh jo dusri mall hai naa,wahan par..

lekin bowl drop karte karte disbalanced ho gayi aur wahin bowling floor par gir gayi...

HAHAHAHA...


KHANAK ki baat par has pada mai jispar ghurne lagi woh mujhe..


MAI-pejhle toh usse floor nahi LANE kehte hain.. friction normal floors ke mukaable zyada hota hai yahan isiliye ho jaata hai waisa kabhi kabhar..

KHANAK-jo pehle hi pata hai mujhe,wahi bas repeat karo tum...

20 minutes bache hain bas sabke aane me... kamsekam basics toh clear kar do tab tak..

MAI-itne time me basics hi clear honge bas..

alright, simple hai..ye jo ball pakdi hai maine,isse 10 pin standard ball bolte hain..

normally bowling issi se ki jaati hai...dekho isme teen holes bane hain..

jo do saath waale hain, middle aur ring finger jaata hai inme aur jo ye saamne alag hole hai,isme thumb...

aur ye jo holds me do alag alag types ke balls dekh rahi hi,ye hain candle pins aur duck pins ball..

jab perfect angles me alag alag ho chuke PINS ko girana hota hai tab use me aate hain ye dono balls...

equipments ke basic bas itna hi hai..

ab aate hain tumhare first attempt me girne waali baat par...


meri baat par phirse ghura mujhe KHANAK ne jispar...


MAI-arre arre mazak udaane ke liye nahi kaha maine ye..

bowling karne ka sahi tarika batane ke liye woh example liya maine..

dekho, kuch aisa try kiya hoga tumne..


lane ki taraf halke tezi se badh ball drop karne ka action karte hue kahi thi ye baat maine jisse dekh KHANAK ki aankhein halki badi ho gayi aur..


KHANAK-arre..how did you know..???exactly aisa hi kiya tha maine...

MAI-rocket size thodi na hai.. normally amateurs first time aise hi bowl karte hain aur kyunki lane ka friction zyada hota hai upar se bowl ki weight bhi toh pair slip ho hi jaata hai...

idhar aao aur dekho dhyan se..


lane ki line se thoda piche haththe hue kahi thi ye baat maine jispar KHANAK dhyan se dekhne lagi mujhe...


MAI-firstly,ring aur middle finger holes me half se zyada dug in karna hai aur thumb one fourth but strongly..

kyunki throw under arm hota hai isiliye hatheli neeche point karte waqt bilkul straight honi chahiye...

jitna hatheli tilt karogi,utna throw lane me jaane ke bajaye ball gutter ke taraf ghumegi...

ek baar wrist position sahi ho gayi toh one two one ki count me halka,zyada nahi halka speed lete hue aage badhna hai aur jab throw karne ka time aaye tab left pair aur right haath ek swing me aage aane chahiye...

aise...

DROOOO...


detailing dete hue demo bhi de raha tha mai..

aage badh bowl throw kar diya tha maine jo tezi se aage badhti chali gayi aur..

DHADDHHHH..

perfect 300...

clap,clap clap...

KHANAK-wow, awesome....


pure 10 pins neeche gir chuke the jisse dekh impress hote hue KHANAK mere paas aa chuki thi...


KHANAK-mai toh aise hi dar rahi thi..ye toh bada asaan hai...

MAI-really..ok then.try...

KHANAK-sure..


ek aur bowl nikaal usse pakda diya tha maine jiske baad jaisa maine bataya tha,sab waisa hi kiya KHANAK ne..

bina floor me fisle lane me bowl straight dribble kar di thi usne jo lagbhag apni aadhi doori tay karne tak sidhi hi rahi thi....

par phir disha badalti chali gayi bowl ki aur pins tak pahunchne se kuch metres pehle hi woh gutter me utar gayi...


KHANAK-shit...

MAI-hahaha..

KHANAK-whats so funny..

MAI-your over confidence...


dekhne se jo chiz jeetni asaan lagti hai,asal me hota hai nahi waise...

practical detailing bohot zaroori hoti hai...

MAI-guru mantra hai..yaad kar lo,zindagi sudhar jaayegi...

KHANAK-ok gurudev..par kripaya apni is chaatra ka maargdarshan kijiye..


naatakiya tarike se haath jodte hue kahi thi ye baat KHANAK ne jispar muskuraya mai bhi aur ek nayi bowl slot se lete hue...


MAI-jadli sikhna hai toh saath me karna hoga phir..

KHANAK-paas aane ka acha bahana hai...

MAI-bahane ki zaroorat hai mujhe..!!!


bowl ko juggle kar KHANAK ke ekdum kareeb aate hue kahi thi ye baat main jispar halki sharm aur muskurahat ke saath mujhe dekhne lagi thi woh....


YE DIN DAHADE SARE AAM HO KYA RAHA HAI YAHAN...!!!


NITS ki awaaz thi ye jo baaki sabke saath bowling alley ke just bahar khada hum dono ko ghur raha tha...

uski awaaz sun aur phir sabko dekh jo hum dono ko hi ghur rahe the,jahan ek taraf KHANAK halki hadbada gayi wahin mai normal hi raha aur....


MAI-wahi ho raha hai jo alley me hona chahiye...we were bowling man...

NITS-acha..!!!!lane toh saamne hai...aur tum dono toh ek dusre ko dekh rahe the...

MAI-bowl fekne ke angles bata raha tha isse mai...

EKPREET-beta bowl ka toh pata nahi par fek zaroor raha hai tu..

par lapet naa rahe hum..batao sach sach.. setting wetting toh nahi ho gayi tum dono ki woh bhi bina humare knowledge ke...

NAISHA-eww.. setting.!!!!what a down marketi word...

NITS-market baad me decide karenge,pehle jawab de be..

MAI-de toh diya..you guys don't believe me...!!!!

SAB-no....

MAI-then see for yourself..ready KHANAK..

KHANAK-ready..for what...????


mere yun achanak bolne se hadbada gayi thi KHANAK par uski ye hadbadahat agle hi pal aur badh chuki thi...

REASON...

apni baat bol mai turant harkat me aaya tha jiske agle hi pal meri body badi tezi se ghumte hue KHANAK ke piche pahunch chuki thi..

sati hui thi hum dono ki body jiske turant baad apne left hand se KHANAK ke waist ko pakad alley ki taraf ghum chuka tha mai..

apne upper body ko aage pressure diya tha maine jiski wajah se KHANAK bhi aage jhukti chali gayi..

mera right hand KHANAK ke hand se hote hui thoda aur neeche hua aur aisa hote hi...

DROOOO...

bowl lane me fek di thi maine..par piche se dekh rahe mere sabhi doston ko aisa hi laga tha ki maine aur KHANAK ne saath bowl feki thi...

DHADHHHH...

perfect 300..

ek baar phir saare pins neeche gir chuke the aur saath hi saath mere sabhi friends including KHANAK,sabke mooh khul chuke the...

haath ko jhatka dete hue palta mai sabki taraf aur....


MAI-hence proved....




PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




DING DONG.....


baalon me mehengi boiayurveda non sticky gel lagaye,white printed shirt joki gehri khaakhi rang ke trousers me tuck in thi,uske upar duma dolby ki black blazer daale jiske bahar aur andar black saffron ki men's perfume perfect maatra me chidki hui thi, sharp 8 baje SANEEL'S RESIDENCE ke entrance door ke bahar khada tha HARISH KHATRI...

bilkul on time tha woh aur hota bhi kyun naa..ghar ke andar woh jism jo moujud tha jisse aaj haasil karne ki chaah hi usse DEHRADUN laaye hui thi...

aaj VERONICA ke saath shaaririk sukh bhogte hi jo vittiya vridhi milne waali thi usse, double charge hua pada tha HARISH us pal ki soch se..


KHATTT..


bell baje kuch pal hi beete the abhi ki door unlock hone ki awaaz sun aankhein chamakne lagi thi HARISH ki lekin jaise hi woh door pura open hua,us chamak ko sammohan me tabdil hone me ek pal bhi nahi laga tha..

har waqt saari aur dheele suits me rehne waali VERONICA is waqt ek sleeveless chust kurti aur jeans me saamne thi uske jisme uske sharir ka har kataav aise khul kar saamne aa raha tha ki kapdon ke andar hone ke baawjud bas dekh bhar kar har naapne waali chiz ka size jaancha jaa sakta tha...

baal geele the aur khule hue bhi jo lagbhagh kamar tak jaa rahe the VERONICA ke aur chehra bin shringar ke bhi aise damak raha tha maano chaand ki roshni suraj se nahi balki issi rukhsaar ke aadhin ho...

HARISH khud bhi acha khaasa handsome tha..issi quality ke liye hi toh DEVANG ne chuna tha usse is kaam ke liye..

aur abhi puri tarah ready hone ke baad uska charm thoda extra badh bhi gaya tha lekin VERONICA naam ki is jeeti jaagti TAJMAHAL ke aage apne charm par hi doubt hone laga tha HARISH ko...


VERONICA-tv laga dun...!!!

HARISH-excuse me...!!!


VERONICA ke is out of the context sawal se apne sammhon se jaise achanak hi bahar aaya tha HARISH..


VERONICA-tv...ab agar yahi khade rehne ka iraada hai toh time paas ke liye kuch toh lagega naa...

HARISH-dil lage rahe,uske liye tumhara ye chehra hi kaafi hai..

tum saamne ho toh kisi aur chiz ki talab naamumkin hai..

you are looking very beautiful VERONICA.. here, flowers for a flower and wine taaki mere behekne ka kaaran sirf tum hi naa bano...


ek haath me pakde rose ke bukey aur dusre me thaame wine ki bottle ko aage karte hue di thi ye compliment HARISH ne jisse thanks kehte hue le liya VERONICA ne..


VERONICA-come...



wapas palat aage badh chuki thi VERONICA jiske baad usse ya phir ye kahun ki uske back ko nihaarte hue apna pehla kadam rakha HARISH ne SANEEL'S RESIDENCE ke andar...

par aisa hote hi SANVY ka face jaise achanak hi click hua tha uske zehen ne isiliye...


HARISH-waise SANVEER chala gaya apne friends ke saath..!!!

VERONICA- nahi..hai abhi apne room me..rooko,bulati hun..

HAHAHAHAHA...


bukey ek table par rakh palathe hue kahi thi ye baat VERONICA ne par jab HARISH ka reaction jo kisi mare hue suar ki tarah ho gaya tha,dekha usne toh has padi woh...


VERONICA-mazaak kar rahi thi...woh toh aadha ghante pehle hi jaa chuka hai...waise ek baat batao, morning bhi SANVY ke naam se hadbadaye the tum aur abhi bhi...!!!

darte ho kya mere bete se...???

HARISH-are you kidding me..!!!usse kyun darun bhala mai...

baccha hi toh hai...!!!

VERONICA-woh bhi tehzeeb se bharpoor...yaad hai last time tumhare liye tumhari car ka gate khud khola tha usne.

aaj hota toh is baar bhi waisa hi karta...

HARISH-aakhir beta jo aapka hai...asar toh hoga hi...

VERONICA-waise agar bas yahin gallery me hi rehna hai toh should i bring a chair...


baat karte hue hall se pehle bane gallery me hi khada ho gaya tha HARISH aur dhyan uska bhi is taraf nahi gaya tha par ab jab VERONICA ne is par mazak kiya toh has pada woh aur...


HARISH-ab aapka ghar hai..jahan chaahen,wahan baitha dijiye... ab bhale woh idhar gallery me ho ya phir aapke bedroom me...

VERONICA-iraade nek nahi lagte janab ke...filhal toh tashrif hall me hi rakh lijiye,baaki baad me dekhte hain...


halka blush karne ke beech palat aage badh chuki thi VERONICA aur ye dekh man hi man balliyan ucchalne laga tha HARISH...

SANVY ke naa hone ki khabar sun confidence wapas aa chuka tha uska aur ab woh VERONICA ke jism ko mehsoos karne me deri nahi karna chahta tha...

par ekdum se toh jhapat sakta tha nahi VERONICA par isiliye jazbaat aur lund, dono ko kaabu me kar hall ki taraf rukh kar liye usne...


HARISH-wow..nice place...


hall me kadam rakhte hi wahan ke saaj sajja ko dekh taarif ki thi HARISH ne jispar..


VERONICA-make yourself comfortable...laao,mai jacket rakh deti hun...waise wine abhi piyoge yaa dinner ke waqt...

HARISH-arre mai khud kar lunga..

rahi baat wine ki toh jab bhi sahi lage tumhe...iltaja itni si hai ki pilaaye bas aap apne haathon se...


HARISH ki baat par bas muskurate hue kitchen ki taraf badh chuki thi VERONICA...

wahin apni jacket ko khol paas ke stand me usse latka di thi HARISH ne par aisa karte waqt jacket ke deep pocket ko check karna nahi bhula tha woh...

REASON...

shirt ke button se bas thoda bada ek mini hidden spy FHD camara tha us jacket me with a 4k 1080p resolution..

wifi oriented tha tha woh camara jiska connection HARISH ne pehle hi apne mobile se connect kiya hua tha..

apne nek iraado ko us camara me jisse detect karna bohot zyada mushkil tha,kaid kar DEVANG MALHOTRA ko dene ka plan tha uska..

anyways,us camara ko check karne ke baad palta HARISH aur sofe par baith gaya par aisa karte hua kuch aisa dekha usne jisse uski gaand sofe par tikne se pehle hi jal uthi thi...

SANEEL AHARYA ki picture..woh badi si picture jo diwaar me tang is hall ki shobha aur badha rahi thi...

us jeevant tasvir ko aur usme dikhne waale aakarshak vyakti ko dekh ek pal me hi HARISH khud ko chota aur sadharan mehsoos karne se rok nahi paaya tha...

lambe choude sharir aur suraj ki tarah damakte SANEEL ke face ko dekh HARISH ke man ke kisi bhaag ne uske dimag ko ye sandesh bhej diya tha ki is dharti par VERONICA naam ki chandni ka agar koi chaand ho sakta tha toh woh bas is tasvir ko amar karta vyakti hi tha...

ek nirjeev aur goongi tasvir bhi kisi ka aatmvishwas hila sakti hai, HARISH ke man ki haalath is baat ka pramaan tha..


VERONICA-that's my husband...SANEEL...


haathon me do glass liye jo wine se 50 pratishat bhare the,khadi thi VERONICA jiski awaaz sun jaise SANEEL ki tasvir se mile trance se bahar aaya HARISH..


HARISH-thanks...


VERONICA ke haath se muskurakar ek glass lete hue kahi thi ye baat HARISH ne par ye muskurahat us jalan ka mukhouta tha,jo SANEEL ki tasveer dekh mehsoos kar raha tha HARISH...

wahin apne glass ko hold kar HARISH ke saamne waale sofa chair par baith gayi VERONICA...


HARISH-waise kaafi achi personality thi tumhare husband ki...

VERONICA-hmm... thanks... kuch khaaoge...!!!

HARISH-jo maanguga milega...


ek seduction ke saath VERONICA ko dekhte hue kahi thi ye baat HARISH ne is soch se ki hamesha ki tarah sharma jaayegi VERONICA jisse uski haan samajh usse apne aagosh me kheench lega woh,par jo hua uski kalpana nahi ki thi HARISH ne...

wine ki ek sip lene ke baad usse side me rakh uthi VERONICA aur aage badh cross leg kar sidhe HARISH ke godh me baith gayi woh...

ispar pehle toh hadbadaya HARISH lekin phir man ka laddu gubaara bankar futne laga tha uske...

apna wine glass bhi side me rakh VERONICA ko dabochne ke liye apne dono haath uske ird gird lapetne hi laga tha woh par tabhi uske haathon ko apne haathon ke giraft me lekar unhe jakadte hue neeche rakh diya VERONICA ne aur HARISH ke face ke kareeb apne face ko le jaa apni nasheeli aankhon se dekhne lagi woh usse..

wahin HARISH toh VERONICA ki body se aa rahi khushbu se hi hypnotize state me chala gaya tha.


VERONICA-flirt karne tak ka safar tumhara tha...uske aage ka raasta mai tay karungi...

HARISH-jaisa husn-e-mallika chaahen..waise bhi paani sharir par gire yaa sharir paani ko lage, bheegna toh sharir ko hi hai..


bas ek sip li thi ab tak HARISH ne wine ki par awaaz me uske madhoshi aisi thi maano puri bottle gatak chuka ho woh...

HARISH ki baaton ke dauran VERONICA uske labon ki taraf badh gayi thi aur hone waale chumban ko puri tarah mehsoos karne ke liye HARISH ki aankhein apne aap band ho chuki thi...


VERONICA-NEETA....kaisi thi woh...!!!

HARISH-what...!!!


aadhe inch ke faasle par roka tha apne labon ko VERONICA ne aur pucha ye ajeeb sa sawal jispar turant apni kholi aankhein HARISH ne...


VERONICA-kaisi thi tumhari wife..did you love her...!!!

HARISH-ye kaisa sawal hai.. ofcourse i loved her...par abhi ye sawal kyun..???

VERONICA-aise hi..acha ye batao ki agar zinda hoti woh toh kya tab bhi mere kareeb aate tum...!!!???

HARISH-kabhi nahi...


loyalty level check kar rahi thi VERONICA,yahi thought aaya HARISH ke dimag me..

shayad jaanchna chah rahi thi uska character woh jisse manipulate karne me toh maahir tha hi HARISH isiliye face par fake confidence laate hue mana kiya tha usne..


VERONICA-and what about your daughter, CHHAYA...!!!!kya woh dekh sakti hai apni mom ki jagah kisi aur ko..???

HARISH-CHHAYA ki mom ke zinda rehte sirf ussika tha mai..itna kaafi hai meri beti ke liye...

apna justification de diya tha HARISH ne...


par in saari baaton ke dauran honth itne kareeb the VERONICA aur HARISH ke ki behadh mushkil se control kar paa raha tha woh khudko..

jawab de VERONICA ko chumne thoda aage hone ko hua woh par VERONICA thoda piche hat gayi aur..


VERONICA-mumbai me kahan rehti hai tumhari beti..!!!

HARISH-offo,ye kya non logical sawalon ki jhadi laga rakhi hai tumne..???


halke frustrate hote hue kahi thi he baat HARISH ne par phir turant khudke emotions ko control kiya usne aur...


HARISH-i mean,ye saari baatein,sawal jawab baad me bhi toh ho sakte hain naa..!!!abhi meherbani kar is pyase ko apne labon ka paani pilado...

VERONICA-pyaas bujhaani hai..!!!woh toh mai yahin se bas apne labon ko kuch baar hilaakar bhi bujha sakti hun...

HARISH-mai samjha nahi...!!!

VERONICA-vivanta tower,flat number 126,area,opposite laxmi plaza,new link road, anushakti nagar,division mumbai north east, chembur,pincode 400094...

HARISH-what the fuc***.ahhhhh..


fuck pura nikal nahi paaya HARISH ke mooh se kyunki usse pehle hi VERONICA jo ab bhi uske godh me hi baithi thi,uska right hand bijli ki tarah tez ghum gaya..

VERONICA ke index aur middle finger ke beech fasi ek aadhi razor blade thi jo HARISH ke right taraf ke lip edge ko kaaththe hue left taraf apna mark chhodte hue nikal chuki thi...

bilkul kisi surgeon ki tarah ka perfect cut kiya tha VERONICA ne jisne bilkul ek straight line sa banate hue HARISH ki dono taraf ke honth ko kaat diya tha...

jahan aisa karte hi khadi ho chuki thi VERONICA wahin chehre ke dono taraf se nikalte khoon ki patli dhaar ko mehsoos kar chhatpatate hue sofe se neeche ludak chuka tha HARISH....


HARISH-you bloody bitch...


apne dono haathon me face se nikalte khun ko dekh ghusse se bhadak uththe hue VERONICA ko maarne ke liye aage badha HARISH par tabhi...


KHATTT.....DHAKKKK........AHHHHHH..


HARISH ke right hand ko block kar apne shoulder ke through ek jhatka sa diya VERONICA ne aur uske aisa karte hi HARISH ke us haath ka jod dislocate ho chuka tha...

is naye dard ki cheekh tak nahi nikli thi HARISH ke mooh se aur usse pehle hi apni jagah par hi badi tezi se ghumi VERONICA..

agle hi pal uska right leg pura straight angle banata hua hawa me uth chuka tha jo pada sidhe HARISH ke mooh par..

zor se cheekhte hue ghoomkar neeche zamin par gir pada tha woh...

pehle dono cheeks par pada cut, phir ek haath ke bone ka dislocate hona aur phir leg slap jiska kisi patthar se takrane waala impact hua tha HARISH par..

seh nahi paaya tha us amount ka pain HARISH..zameen par bas pada pada dard se tadapte hue apne pairon ki chatpatahat se apna pain zaahir kar raha tha woh..

wahin is beech VERONICA jaise kuch hua hi nahi tha,us andaz me ghumi aur HARISH ke jacket se woh camera nikaal usse toss sa karte hue wapas sofa chair par baith chuki thi...

HARISH-how....???


apne camera ko VERONICA ke haathon ne ucchalta dekhte hue bas ek HOW me apne dono hi sawal puch daale the HARISH ne..!!!

apni beti ka actual address pata hone ka sawal..!!!

and most importantly,apne iraadon ki bhanak hone ka sawal...


VERONICA-HARISH KHATRI...born on 11th march 1974,jalgaon,maharashtra...

blood group o+ hai tera joki hamare desh me tere jaise tharkiyon ki tarah sabse common hai...

schooling teri wahin jal gaon ke ORION ENGLISH MEDIUM school se hui thi par graduation kiya tha tune NESS WADIA COLLEGE, PUNE se..BATCH 1995...

5 saal baad year 2000 me NEETA se shaadi hui teri jiska surname shadi se pehle TEWANI tha...

NEETA ke dad GAUTAM TEWANI ki jute chappal ki dukaan hai jalgaon me..

shaadi ke do saal baad ek beti ka baap bana tu...

CHHAYA KHATRI jo filhal mumbai santacruz based D.A.V public me 12th padh rahi hai...

ye thi teri biological aur social background..

thoda personal info ki taraf aayen toh daaru aur chicken, dono hi theek se pachti nahi tujhe phir bhi fate tak in dono ka hi intake karta hai tu,natija,piles ka ek operation pehle hi ho chuka hai tera...

second surgery ke liye bhi mumbai ke city hospital doctor MR PRASHANT KUKREJA suggest kar chuke hain tujhe par aayurvedic dawayiyon se kaam chala raha hai tu...

par asar dhang se naa ho raha bilkul bhi...garmi jo itni zyadi hai tere me...

logon ko khun ki ultiyan hoti hai par tujhe khoon waali tattiyan ho rahi hai...


us hadh se zyada dard me bhi VERONICA ki baat sun sir sharm ke maare neeche ho chuka tha HARISH ka par kahan maalum tha usse ki ye sab toh kuch bhi nahi tha....

VERONICA ki life kharab karne ka uska plan ab ussi par implify hone waala tha...

khair, apni baat ko aage badhate hue...


VERONICA-mumbai se dehradun transfer hokar aane waala pehla banda hai tu...ajeeb thi ye baat par jaanta hai usse bhi ajeeb kya tha...

yahan aane ke baad shuru shuru me tera ravayiya...meri taraf dekhta hi nahi tha tu...

normal aur natural show karne ki jagah aisa behave karta tha tu maano 16th century me hain hum jahan parayi naari ko dekhna bhi apmaan maana jaata tha...

apne aap ko hadh se zyada sharif dikhane ke chakkar me khudko bewakuf saabit kar raha tha tu..

aur sabse badi bewakufi thi teri mujhe lagatar follow karna...yaad hai jab mujhe lift di thi tune or to be more precise, meri scooty ki hawa nikaal mujhe jhaanse se apni gaadi ne baithaya tha tune,yahan chhodne par pata chala tha tujhe ki mera beta hamare piche tha..

ek baar bhi click nahi kiya tujhe ki pehle bhi woh hamare piche aaya hoga...

khair,shak toh tujhpar bohot pehle se hi ho gaya tha mujhe jo pukhta kuch yun ho gaya...


apna laptop jo paas hi rakha hua tha,usse ab tak open kar chuki thi VERONICA jiske baad jab uska screen HARISH ke saamne aaya toh mooh uska ek baar phirse chudi hui kutiya ki tarah ho chuka tha..

bank ke har corner me including B.M cabin ka purana C.C.T.V futtage chal raha tha laptop me jisme sirf HARISH ke scenes dikh rahe the..

woh saare scenes the usme jinme woh apne laptop me VERONICA ki pics jo chupke se kheenchi thi usne,usse enlarge kar apna lund masal raha tha ya phir bank ke alag alag portion se usse taad raha tha...


VERONICA-bhaavi state officer HARISH KHATRI JI.....itni mehnat ki hai aapne mere piche toh inaam toh banta hi hai..

COME OUT....


halke zor se boli thi ye baat VERONICA ne jiske baad piche jahan uska bedroom tha,door khula uska aur aisa hote hi do log nikle uske andar se jinhe dekh aankhein bahar hone ko aayi thi HARISH ki..

NEETA aur CHHAYA.. uski biwi aur beti thi ye dono jinhone saari baatein sun li thi..

un dono ki aankhon se girte aansu aur saath hi saath HARISH ke liye ghrina is baat ka saboot the...


VERONICA-tune toh abhi dekha hai par ye dono pehle hi dekh chuki hain teri saari kartootein..

apni zinda biwi ko jis tarah mara hua bataya tha tune,woh scene bhi dekh chuki hain ye dono...

HARISH-CHHAYA,NEETA,i swear..ye jo bhi bola hai isne,ye sab jhooth hai...

mujhe fasaane ke liye isne ye sab kiya hai...



"hello...well done.HARISH....maanana padega..kaafi kam waqt lagaya tumne veronica ke kareeb aane me..

HARISH-ye toh hona hi tha sir..bas ek do din aur, phir VERONICA mere bistar par hogi...

"agar aisa ho gaya toh tumhara future shine karega HARISH..."

HARISH-adha shine toh already karne laga hai sir...

is VERONICA ke presentation ki wajah se mai B.O.B ka state division head officer banane waala hun..

aap bas baaki aadhi chamak ka khayal rakhiyega..woh ek crore...

"hahaha...uski fikr bilkul bhi mat karo tum...just remember our deal...

fuck her,film her,degrade har, humiliate her and finally destroy her..

izzat aur ghamand dono utaar us do kaudi ki aurat aur uske ladke ko DEHRADUN se bahar fikwana hai mujhe..

itna kar lo toh ek kya do crore mil jaayega tumhe...

HARISH-done and thank you very much for the upgraded offer MR DEVANG MALHOTRA...




kuch dino pehle HARISH aur DEVANG ke beech hui ye convo chalne lagi thi VERONICA ke laptop me..

itna hi nahi,us audio ke baad jitne baar bhi baat chit hui thi un dono ke beech including aaj jab BANK me VERONICA ke usse ghar bulaane par HARISH ne ye baat share ki thi DEVANG se,woh saari baatein bhi recorded thi us laptop me..


VERONICA-dobara bata kaise fasa rahi thi tujhe mai...!!!


recordings ka daur jab band hua toh laptop close kar ghumi VERONICA HARISH ki taraf jo ek baar phir mooh faade VERONICA ko hi dekh raha tha..

ab bolne ke liye kuch bacha toh tha nahi uske paas...


VERONICA-isse pehle ki tu phir HOW bhonke,phone de apna...


phone ka logic toh samajh me aaya nahi HARISH ke par halaath uski aisi blank ho rakhi thi ki abhi tak salamat uska left haath apne pant ki pocket me gaya jiske agle hi pal uska iPhone 8 plus uske haath me the...


VERONICA-third display scroll kar..last right ki taraf kya likha hai dekh...!!!


SPYIC app tha us jagah par jisse dekh ek baar phirse aakhein badi ho gayi thi HARISH ki..

ek professional phone tap app tha ye jo implanted tha HARISH ke mobile me...

HARISH ko andaza hone laga tha ki uski biwi aur beti ki saari info bhi issi ke through nikaalni start ki hogi VERONICA ne...


VERONICA-jitni shiddat se mere back ko ghurta tha tu,uska 10 percent concentration bhi apne phone par kiya hota kabki nazar padh chuki hoti teri is app par.

waise dekh kar faayda kuch hota nahi kyunki tere phone ka IOS mere laptop ke control panel se connected hai..

phone se delete hone ke baad bhi jab tak iska subscription mere paas hai,activate hi rehti ye tap service tere mobile par..


is waqt apne kapde faad haath jod lena chahta tha HARISH VERONICA ke aage par ek haath toh tut chuka tha uska..

matlab woh bhi naa ho sakna tha usse..


NEETA-you disgust me HARISH...bolna toh bohot kuch hai par jitne ghatiya insaan ho tum,faayda kuch hona nahi hai..

divorce notice aur paper pahunch jaayega tumhare paas..papers par chupchap sign kar dena warna tumhara asli chehra puri duniya ke saamne laane se hichkichaungi nahi mai..

HARISH-please aisa mat bolo..i lu...

NEETA-dont you dare say that you love me..tum sirf apne aap se hi pyar karne ke laayak ho HARISH...

and i am done with you...

CHATAKKKHH...


aage badh ek zor ka tamacha HARISH ko jadne ke baad ghar se nikal gayi thi NEETA..

CHHAYA-i am ashamed of you dad...

HARISH-CHHAYA please,beta meri baat toh suno...


bolte gidgidaate reh gaya HARISH par uski ek nahi suni CHHAYA ne aur apni mom ke peeche peeche woh bhi ghar se bahar nikal gayi..

wahin dusri taraf VERONICA wapas sofa chair me baith chuki thi jispar nazar padte hi sehem gaya HARISH..

apni chamakti aankhon se yun dekh rahi thi VERONICA usse jaise shikari apne shikar ko dekhta hai..

ab tak jis VERONICA ko dekha tha,jaana tha HARISH ne,is waqt ussi lady ka ek complete dusra version baitha tha uske aage jiske baare me naa woh kuch jaanta tha,aur naahi usse jhel sakta tha woh..


VERONICA-pata hai NASA me 70 percent women astronauts aur scientists sirf isiliye shaadi nahi karti kyunki unhe unki IQ ke takkar ka saathi nahi milta...

i am better than them aur tujhe laga ki tu pata lega mujhe...!!! seriously...!!!

SANEEL AHARYA...mere husband..late kabhi nahi lagati mai unke naam ke aage kyunki mere dil,dimag aur aatma,teeno me hi zinda hain woh...

waise mere husband ki pic dekhte hi apni mardangi par shak hone laga tha naa tujhe...!!!


sach thi VERONICA ki baat isiliye bas sir jhuka liya tha HARISH ne jisse dekh khilkhila kar hasi woh par uski ye hasi itni sard aur khatarnaak thi ki HARISH ka lund zindagi me pehli baar hawas ki wajah se nahi balki dar ki wajah se akad gaya tha...


VERONICA-chalen...!!!!


is achanak out of the box baat ko samajh nahi paaya tha HARISH aur isiliye aankhon aur face par sawal liye woh dekhne laga tha VERONICA ko...


VERONICA-arre...DEVANG se milne..plan ka aakhri step toh wahi tha naa.. let's do it then...

AHHHHH....


kuch kehne se pehle hi cheekh nikal chuki thi HARISH ke mooh se..

REASON...

HARISH ke ussi toote hue haath ko ek jhatka diya tha VERONICA ne jiske baad usse kheench apne kandhe par laadh darwaze ki taraf aise chal padi thi VERONICA jaise usne kisi 85 kilo ke aadmi ko nahi balki ek navjaat bacche ko uthaya ho...



PUCK PUCK....DHAKK..


pehle ek haath se HARISH ki car key jo ussi ke jacket se li thi usne, door unlock button ko push karne ke baad dikki kholi VERONICA ne..

normally har gaadi ki tarah tray lagi thi dikki ke upar jisse apne haathon ke ek crack se todte hue HARISH ko feka VERONICA ne andar...


HARISH-please... maaf maaf kar do mujhe...i swear i will leave this city aur dobara kabhi nahi dikhunga mai tumhe..

VERONICA-shiiiii...ek aur shabd nikla toh dusra haath aur dono pair bhi tod dungi tujhe..


jab se apne kandhe par laada tha VERONICA ne HARISH ko,tab se hi maafi maange jaa raha tha woh par finally is warning ko sun honth pure sil gaye the uske..

HARISH ko andar fek dikki ko open hi chhod driving seat ki taraf badh chuki thi VERONICA..

THABBB....

ek taraf door open kiya VERONICA ne aur dusri taraf dikki band hui aur ye kiya tha..

HARISH-SANVEER...


dikki band hone se pehle mere chehre ko dekh bas itna hi bol paaya tha HARISH...


"YAAD HAI LAST TIME TUMHARE LIYE TUMHARI CAR KA GATE KHUD KHOLA THA USNE.

AAJ HOTA TOH IS BAAR BHI WAISA HI KARTA...


kuch der pehle MAA ki kahi is line ko kaise taal sakta tha mai..

band dikki ke andar pade HARISH me dimag me bhi kuch der pehle VERONICA ki boli ye lines gunj uthi thi..

anyways,dikki band kar ek baar MAA ko dekh jahan mai ghar ki taraf badh chuka tha wahin MAA bhi car me baith accelerator par pair daba chuki thi...





PLACE-MEAL CAGE RESTUARANT



DHAKKKKKKK....


restaurant ka entrance door khol HARISH ko neeche floor par fekte hue andar enter hui VERONICA...

MEAL CAGE RESTUARANT...

yaad toh hoga hi ye restuarant...ye wahi jagah hai jahan aaj se saath saal pehle SANEEL AHARYA ne DEVANG MALHOTRA ko uski aukaad dikhayi thi..

plan ke according aaj VERONICA ke saath sex ke baad DEVANG ne HARISH ko usse yahin laane ke liye bola tha taaki jahan kuch saal pehle uski insult hui thi,aaj wahin woh VERONICA ki aabru nilaam kare..

pura restaurant book kiya hua tha DEVANG ne aaj aur bas apne 4 bodyguards ke saath yahan kuch der pehle hi aaya tha woh..

abhi champagne ka ek glass hi khaali kiya tha usne ki tabhi pehle entrace door par padi laath se ubhri awaaz aur phir apne pyaade HARISH ko neeche girte dekh ek jhatke me khada ho chuka tha DEVANG...


"paani hai hum,magar samandar ke jisse PIYA NAHI JAA SAKTA...

dard hai hum,aur dard ko dard DIYA NAHI JAA SAKTA...

aam bande ki sateek paribhasha hain hum....

bina humare kaam KIYA NAHI JAA SAKTA aur,

bhid kar humse JIYA NAHI JAA SAKTA"....



saath saal pehle DEVANG ko bole SANEEL AHARYA ke dialogue ko repeat kiya VERONICA ne jiske baad...


VERONICA-jab mere husband ne ye lines boli thi tujhe toh woh baat sirf unke liye hi nahi kahi thi,woh hum dono ke liye tha par tere jaise jaahil se samajhdaari ki ummid bhi koi kare toh kare kaise...


jis tarah apni baat bolte hue DEVANG ke taraf badh rahi thi VERONICA,uska ek bodyguard joki 6.2 se bhi halka upar tha,woh raasta block karte hue saamne khada ho gaya par ye block ek second ka bhi nahi ban saka tha...

KHATTTT...

araam se aage badhti VERONICA ki body achanak se hi 360 ghum gayi jiske agle hi pal uske pehne pointed hills ka edge part us bodyguard ke sir me padh chuka tha..

pahad sa dikhne waala woh bodyguard naa sirf neeche gir chuka tha balki saath hi saath us hit ka impact itna zyada tha ki girte hi behosh bhi ho chuka tha woh...

BHAKKK, DHADDHHHH,GHHHHDHAKKKKK....

abhi baaki teeno bodyguard situation ko samjhe bhi nahi the ki tabhi VERONICA ki body kisi rubber ke gudiya ki tarah baari baari par behadh tez un teeno ke paas pahunchi aur isse pehle ki woh react bhi kar paate,woh teeno zamin par the..

2 aur 3 number ke bodyguard toh pehle waale ki tarah turant hi behosh ho chuke the aur chowtha banda jiske pehle back aur phir gardan par hit kiya tha VERONICA ne,woh kuch seconds chhatpatane ke baad faint ho gaya tha..

HARISH jiski pehle se hi haalath kharab thi,woh toh restuarant ke hard surface se takraate hi apna conscious kho chuka tha..

aur in sabke beech the hamare DEVANG bhai sahab...bas in kuch lamho me hi VERONICA me SANEEL dekh liya tha usne..

yahi wajah thi ki naa toh ab tak ek shabd nikla tha uske mooh se aur kuch seconds me hi jo halaath kar di thi uske so called tough, trained bodyguards ki VERONICA ne,aage bolne ki himmat bhi jaati rahi thi DEVANG ki..


CHATTAKHH... CHATTAKHH... CHATTAKHH.... CHATTAKHH.... CHATTAKHH... CHATTAKHH....


abhi apne bodyguards ki durgati dekhi hi thi DEVANG ne ki tabhi VERONICA pahunch chuki thi uske saamne jispar woh kuch kar ya bol bhi paata,usse pehle ek ke baad ek kayi thappad pad chuke the uske dono taraf ke gaalon par...

the toh ye ek lady ke haath par vazan unme kisi tagde bande se bhi kahin zyada tha jiska saboot tha DEVANG ka face jo dono cheeks aur lips ki side se buri tarah fath chuka tha...

saath hi saath un thappadon ke impact se sir bhi ghum chuka tha uska jisse control karne ke beech...


VERONICA-mere husband ne teen maare the last time..is baar 6 pade hain tujhe...

last time ki tarah dhamki deni ho agar toh nikaal phir phone apna aur laga apne baap logon ko...

last time C.M ko lagaya tha naa.. agar ab pehchaan unse upar tak ki ho chuki ho toh wahan laga le phir...


jis confidence se baat se kahi thi ye baat VERONICA ne,phone toh naa nikala DEVANG ne par haan,haath pair kaampne zaroor lag gaye the uske..

door khade MEAL CAGE ke saare staff bhi is scene ko kisi movie ki tarah dekh rahe the..ab pela bhi ussi filmy andaz me tha sabko VERONICA ne..

khair, DEVANG ki fati aankhon me uski zyada fati gaand ko mehsoos kar liya tha VERONICA ne isiliye halke se muskurayi woh aur haath aage badhaya usne jispar hadbada kar piche hatne ko hua DEVANG par usse collar se pakad wapas kheencha VERONICA ne aur phir uske gaal ko thapthapane lagi woh...


VERONICA-aurat zaat hai,kamzor hai,bebas hai,kuch bhi kar sakte hain,ye soch woh "GALATH"hai jisse "SAHI" bhi hum auraton ki chuppi ne hi kiya hai...

warna ek aurat ki buland awaaz tum jaise 100 naamardon ki goti sukhaane ke liye kaafi hai..

aur rahi meri baat toh khud par ehsaan kar aur yaad rakh ki..






haathi ka daant,ek DIKHAANE ka,ek CHUPAANE KA....

jeetna hum chaahte nahi aur maada nahi kisika hume HARAANE KA....

yaad rakh,jab maarne waale ke naam ke piche "AHARYA" laga ho toh...

chup chaap maar KHAANE ka aur BHOOL JAANE KA....












AAJ KE LIYE ITNA HI...











AAPKA APNA V...J...
nice update bhai
 

Rajesh

Well-Known Member
3,857
8,185
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM SHARTH KE MUTABIK KHANAK SE FLIRT KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY APNE SABHI DOSTON KO DUSHYANT AUR USKE DOSTON SE BACHA LETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-7


CITY-DEHRADUN

PLACE-WELL CARE HOSPITAL


7 SAAL PEHLE:-





35 LAKH...!!!!!!PAR DOCTOR SAHAB,MERE PAAS SIRF 20 LAKH RUPAY HI HAIN....

IDHAR UDHAR SE AUR 5 LAKH TAK MAI PRABANDH AUR KAR SAKTA HUN...

AUR AAPNE TOH KAHA BHI THA KI KIDNEY TRANSPLANT 20 SE 25 LAKHS TAK HO JAAYEGA PHIR YE 35 LAKHS KAISE...!!!


SHRIKANT DUBE, SIRIUS ke HINDI teacher ne kahi thi ye baat dehradun ke sabse bade hospital,WELL CARE ke NEPHROLOGIST doctor se..

REASON...

aaj se do saal pehle ek car accident me jisme MR SHRIKANT DUBE ke bete,unki bahu aur ** saal ki poti bhi saamil thi,usme unke bete aur bahu,dono ki death ho gayi thi...

bahu toh on the spot guzar gayi thi aur beta 3 din tak hospital me zindagi ki jung ladne ke baad finally haarkar mout ki neend so gaya tha..

bach paayi sirf unki poti thi par condition uski bhi kaafi kharab ho gayi thi...

darasal SHRIKANT DUBE ke poti ki kidney uske paida hone ke baad se hi weak thi par us accident me dash board ke pure mid area ko hit hone ki wajah se unki poti ke internal organs me bhi damage aaya tha..

baaki pura sharir toh recover ho gaya par uski ek KIDNEY kaafi zyada damage ho chuki thi jiski wajah se usse regular dialysis lena padh raha tha..

tab tak jab tak uska woh damaged kidney transplant nahi ho jaata...

aur aaj finally woh din aa chuka tha jab SHRIKANT DUBEY ki poti ke liye KIDNEY donar mil chuka tha but jisse sun jahan ek taraf woh behadh khush hue the,wahin dusri taraf KIDNEY TRANSPLANT me lagne waale paise ko sun unki khushi gum me badal chuki thi....

SHRIKANT DUBEY, SIRIUS ke behadh purane teachers me se ek the aur SALARY bhi unki kaafi achi thi...

60 k kamate the woh har mahine ke par poti ke har month ka dialysis kharch hi itna mehenga tha ki pichle 2 saalon se savings unki naa ke barabar ho rahi thi..

uske upar 2 saal pehle hue accident me apne bete ko bachane ke liye apne pure jeeven ki jama punji paani ki tarah baha di thi unhone..

unke bete ki savings ka ek bada hissa bhi us dauran khatm ho chuka tha....

ab le dekar bas ek 20 lakh ki kul savings thi unke pass jo ab unki poti ko nayi zindagi dene ke liye kam padh chuki thi..

swabhimani SHRIKANT DUBEY ke haath bhi aaj us doctor ke saamne jude hue the jo aankhon me aansu liye bas ek ummid liye us doctor ko dekh rahe the jo unki baatein sunane ke baad..


DOCTOR-sorry sir par mai chah kar bhi kuch nahi kar sakta...aapki poti ko jo kidney transplant hone waala hai,uska arrangement yahan se nahi hua hai..

humne aapki poti ke reports bohot se hospitals me bheje the aur cross match, HLA testing ke according jahan par se result aaya hai woh delhi ke indraprastha Apollo hai..

aapki poti ko operate karne ke liye jo doctor aa rahe hain,woh bhi ussi hospital se hain...

isiliye is transplant me jo amount quote kiya gaya hai,ye unka hi bataya gaya payment hai joki non bargaining hai...

aapko pure 35 lakhs arrange karne hi honge aur woh bhi 48 ghante ke andar...so please hurry up....

ek kaam kijiye,20 lakhs aap aaj hi advance amount ke tour par reception me jama karwa dijiye aur operation se pehle baaki ke 15 lakhs arrange karke submit kar dijiyega...


kuch patients ke reports check karte hue chalte chalte hi WELL CARE HOSPITAL ke hallway me hi ye saari baat jiske baad woh doctor ek dusri section ki taraf badh gaya aur piche chhod gaya niraash khade hue SHRIKANT DUBEY ko...

ab ek hi chaara tha unke paas..apne purkhon ke makaan ko bechne ka par itne kam waqt me waisa ho paayega bhi ki nahi,ye confirm nahi tha...

khair,T.A.T..THREE ACCOUNTS TRANSACTION. us time ki bank dwara shuru ki gayi ek Internet banking ki suvidha jiske antargath aap apne accounts se kul teen accounts me jitne chaahe paise, transfer kar sakte the..

issi service ke through apne account se 20 lakhs pay kar reception se us payment ki receipt lete hue bojhil kadmo ke saath SHRIKANT DUBEY hospital se nikal apne ghar ki taraf chal pade..

abhi kuch dino pehle hi unki poti ka last dialysis session hua tha aur isiliye woh filhal ghar par aaram kar rahi thi..

apne ghar pahunch apne poti ke paas hi baith jo abhi so rahi thi, halke aansu baha rahe the SHRIKANT DUBEY par tabhi unka dhyan tuta..

unhone gour kiya ki kaafi der se unka mobile jisse apni poti ko sote dekh unhone vibration me rakh diya tha,vibrate ho raha tha..

WELL CARE HOSPITAL...yahi naam flash jo raha tha mobile ke display par jisse bujhe man se recieve button swipe karte hue apne kaan me lagaya unhone par khudke hello kehne ke baad saamne se jo baatein kahi gayi,usse sun unka pura facial expression hi change ho chuka tha..

aansu toh ab bhi unki aankhon me the par chehra khushi se damak raha tha..


SIR,THE REST LEFT 15 LAKHS JAMA HO CHUKA HAI...AAP APNI GRAND DAUGHTER KO LEKAR HOSPITAL AA JAAIYE...

SHAAM TAK DELHI SE JO DOCTOR AAPKI GRAND DAUGHTER KO OPERATE KARNE WAALE HAIN,WOH YAHAN AA JAAYENGE...

AS SOON AS HE ARRIVES,WE WILL START THE TRANSPLANTATION...


ye the doctor ke woh shabd jinhe saaf saaf sunkar bhi SHRIKANT DUBEY yakin nahi kar paa rahe the...

khair,khudki khushi ko niyantrit kar is chamatkar ko hazam karte hue unhone apni poti ko uthaya aur apne purane ambassador car me usse baithakar woh turant pahunche hospital..

turant hi unki poti ko admit kar diya gaya aur pre-transplant ke saare procedures bhi shuru ho gaye..

wahin SHRIKANT DUBEY SIR pahunche DOCTORS cabin me aur..


DUBEY-doctor sahab..ye sab kaise..???baaki ke paiso ki vyavastha kaise hui,kisne ki..???


DUBEY sir ke sawal aur unke face par dikh rahe aascharya ko dekh muskuraye doctor aur..


DOCTOR-ki hai kisi ne...unhe apne liye GOD'S sent ANGEL hi samajh lijiye..dekhiye,naam toh nahi bata sakta mai..jisne aapki madad ki,mana kiya hai unhone..

par haan,ye zaroor bata sakta hun mai aapko ki jisne bhi ye kiya hai,usne aapki madad sirf financially nahi ki hai par saath hi saath DELHI se jo doctor aaj shaam tak yahan pahunchenge, aisa possible bhi unhone hi kiya hai..

warna un doctor ka yahan aana toh day after tomorrow ka fixed tha but the guy who helped you,unhone mere saamne hi kuch phones kiye jiske baad indraprastha Apollo se call aaya mujhe ki the appointed NEPHROLOGIST DOCTOR is arriving here today itself..


doctor ki baat sun ek baar phirse haath jud gaye SHRIKANT DUBEY ke jiske baad bade hi anurodhmaya awaaz me...


DUBEY-doctor sahab... meri poti hi mere jeene ka ek maatra sahara hai..

aur jinse mere us sahare ke liye itna kuch kiya hai,kripa karke mujhe uska naam batayen..

aise bade hruday waale vyakti ka agar mai saamne se dhanyawad naa kar sakun,toh mujhe ye baat jeevan bhar kasotegi...


jis chehre aur bhaavna ke saath kahi thi ye baat SHRIKANT DUBEY ne,ek halki si smile aa gayi doctor ke face par aur..


DOCTOR-fine...SANEEL AHARYA...


EXCUSE ME SIR...


peon ki awaaz thi ye jisse sun apne khayalon aur beeti yaadon se bahar nikle DUBEY SIR jiske baad...


DUBEY SIR-bolo..

PEON-SAMEER CHANDER... EKPREET SINGH BAL...RAJAT AGRAWAL...NITENDRA BHATNAGAR.... SONU SHRIVASTAV.....SANVEER AHARYA.....

in sabko PRINCIPAL MA'AM ne office me bulaya hai..


us parchi me jisme hum sabka naam likha tha,padhte hue kaha peon ne jispar..


DUBEY-toh farmaan aa hi gaya...jaaiye aap sab...jis bhi krida me bhaag liya tha aap sabne,uska puraskar lene ko ghadi aa chuki hai....

hum sabko ghurte hue kahi ye baat SIR ne jispar ek ek kar hum sab apni jagah se uth nikalne lage..

waise mujhe chhod SAM, EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ke haath me plasters aur sir par lagi patti ko dekh sir kya baaki sab bhi samajh chuke the ki koi kaand hua hai...

sirf ANJALI,NAISHA,KHANAK aur RASHI hi the jinhe kal se hi pata tha hamare kaand ke baare me isiliye unke faces par bas fikr jhalak rahi thi par baaki ki class jinhe kuch bhi idea nahi tha,un sabke chehre par sawal naach uthe the..

khair,SAM,RAJAT, EKPREET,NITS aur SONU,joki mujhse aage the,sir ko cross karte hue aage badh chuke the par jab aisa hi maine kiya toh...


SIR-SANVEER MAHODAYA....kya aap batane ka kasht karenge ki is baar kaun sa utpaath machaya hai aapne...???

MAI-ishwar shakshi hai MAANANIYA SHIKSHAK MAHODAYA....aapki saaf vaani ki tarah mera bhi har karya swatch hota hai...

"kintu us vinashkaari antha man chaap kano dwara buna hua samay chakshayu yantr mere har vighn ka adhaar hai"....


ek baar phir meri kahi gayi baat ka matlab naa toh kisi student ko samajh aaya aur naahi sir ko par is baar sir pehle se hi muskurane lage aur...


DUBEY-ab apni is atti gehri avum mahan vishleshan ka saral arth bhi bata dijiye...

MAI-"kismat" sir...

hahahahaha.....

zor se has padi puri class mere us line ka single word answer aur matlab jaankar..


SAM, EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU joki PRINCIPAL'S OFFICE jaane ke naam se halke nervous the,woh bhi has pade the..

par sabse badi smile naach uthi thi DUBEY sir ke chehre par jinhone aage badhkar mere kaan pakde aur..


DUBEY-ab kya hi kahen tumhe..jab koi vyakti ek hi samay me maha murkh aur prakhyand pandit ki tarah ek mishrit vyavhaar karne lage toh ya toh woh thug hota hai yaa koi tejasvi sidh purush...

kintu sidh purush hone ke liye tumhari aayu bohot kam hai aur thug hone ke liye tumhara hriday behadh saaf...


kaan chhod mere kandhe ko thapthapate hue kahi ye baat sir ne aur hum sabko jaane ka ishara kiya jiske baad hum sab class se nikal gaye..

wahin hume yaa phir ye kahun ki mujhe jaate dekh...

us purani yaad me jiske baare me peon ke aane se pehle woh khoye hue sir,us drishya ka antim sira unhe phir se yaad aane laga...

us din doctor ne sirf DUBEY sir ko SANVY ke dad ka naam hi nahi bataya tha balki kyunki apne credit card se pending amount pay kiya tha SANEEL AHARYA ne, isiliye unka kuch info bhi tha reception ke computer par jiske through unke adress par pahunche the DUBEY sir aur unhe personally mil thanks kaha tha unhone..

ussi dauran unhe ye bhi pata chala tha ki unka beta matlab SANVY ka SIRIUS me hi new admission hua hai aur SANEEL ne DUBEY SIR ko wahin school me bhi ek do baar dekha hai..

SANVY me puri uski dad ki jhalak thi..

yahi wajah thi ki uski har badmashi ko naa sirf maaf karna balki man hi man unhe enjoy bhi karte the DUBEY sir..

aaj bhi SANVY ko dekh uske LATE PITAH ki yaad aa gayi unhe jiske baad unki aankhon ke kinaare halke bheeg se gaye jinhe saaf karte hue man hi man ek dua si maangi unhone...


DUBEY SIR-upar waala tumhare PITAH ko swarg pradan kare mere bacche aur tumhe sansaar ka har sukh mile...


SANVY ke face ko feel kar man hi man ye dua si padhi DUBEY sir ne aur class se nikal pade...




OUT SIDE PRINCIPAL'S OFFICE:-




BHAI,SACH ME GAAND FATH RAHI HAI YAAR...

gaandu sa mooh banate hue kahi ye baat NITS ne jispar...


MAI-accha..kal jab chowda hokar bhidne lag pada tha un SAMRAT ke madarchodon se tab gaand teri sil gayi thi kya bhosdike...???

NITS-bhai,10 se zyada baar alag alag tarike se suna chuka hai tu,ab jaane dena..

saala ek toh kal tooti haalath me jab ghar pahuncha toh dukh jatana chhodkar aisi aisi gaali di mere baap ne jo saala mai bhi aaj tak kisi ko nahi baka hun...

SONU-mmeri bbhi ssame hhalat hhui bbhai...bbohot sunnaya mmom ddad ne..cchutki ttoh rone lag ggayi tthi...

SAM-sabka scene same tha bhai..meri mom ne bhi jam ke khaatir dari ki..

EKPREET-mera baap toh bahar hai aur mom bhi mumbai gayi hui hai...par mere chacha ne bata diya hai dono ko..

dono ke aane ke baad class lagegi meri..

RAJAT-mere parents bhi bahar hain bhai..par pata unhe hi chal chuka hai.

GOD knows kya punishment denge...???

MAI-beta pehle PRINCI se nipat lo tum sab...

NITS-dara mat be...saala PRINCI se toh eye contact me bhi faththi hai meri..

aisa lagta hai jaise aankhon se andar ke woh secrets bhi nikaal legi jo khud tak se nahi bola maine kabhi...

JAAIYE...


NITS ki baat par koi kuch kehta ki tabhi PRINCIPAL'S OFFICE ka door khula aur peon ne bahar aate hue hum sabko andar jaane ke liye kaha...

mai toh bedhadak andar ghus gaya par baaki sab halke sehme hue dheere dheere enter hue.

PRINCIPAL RANJANA MATTHEWS...joki is waqt apni chair par baith apne laptop me kuch type kar rahi thi..

mere aur mere baad baaki sabke aane ke baad bhi unki nazar apne laptop par hi rahi aur kuch der tak uspar work karne ke baad usse band kar unki nazar sabse pehle padi mujhpar joki right end me khada tha..

par ye nazar fraction of the second ke liye hi meri taraf gayi thi jiske baad unki nazar baaki paanchon par padi aur aisa hote hi un sabki bigdi haalath aur kharab ho gayi..

yahan tak ki SAM joki SIRIUS ka sabse popular banda tha,ek PRINCI hi thi jiske aage uski bhi fath kar haath me aa jaati thi..

anyways,kuch der un sabko dekhne ke baad....


PRINCI-i know every single detail of what happened yesterday..

isiliye,SAMEER, EKPREET, RAJAT, NITENDRA & SONU...you all are suspended for a weak...


PRINCI ki baat sun ek dum se hadbada gaye woh paanchon aur..


SAM-but ma'am...!!!this was all ROHAN'S fault...hum toh...

PRINCI-ROHAN has also been suspended for a weak...

tum aisa kuch nahi keh sakte SAMEER jiska mujhe andaza nahi hai..

par agar phir bhi tumne koi naya explanation diya joki completely worthless hi hoga, toh tum sabka suspension period badh jaayega...


ab iske aage SAM yaa phir baaki chaaron bhi kya hi kehte..

woh jaante the ki PRINCI ke faisle badalne ki kuvvat unme toh kya unke parents me bhi nahi thi...

isiliye apne apne sir ko drop kiye hue woh paanchon palatne lage par tabhi..


MAI-excuse me MA'AM...this is not fair...

PRINCI-and how'z that...???


ye bolte hue PRINCI wapas apne chair ki taraf ghum uspar baith gayi jiske baad...


MAI-because these guyz are getting suspended but not me..

PRINCI-kyunki in paanchon ki tarah apna machismo,fake virility, manliness dikhane nahi gaye the tum...

you went their to save your friends...and because of that,you are not at fault, atleast not this time...

MAI- MA'AM,mai wahan sirf apne doston ko nahi balki SIRIUS ki reputation ko bhi bachane gaya tha..

woh reputation jisse SAMRAT ke students hamare hi ek school ke student ke saath milkar kharab karne waale the...

aapne ROHAN ko in sabki tarah ek week ke liye suspend kiya jabki asli culprit wahi hai...

MA'AM,jo kal hua,woh koi normal teenage brawl nahi tha,balki ek pre-planned attack tha jisme aapke school ke champion ko SAMRAT waale hamesha ke liye apahij banana chahte the..

aur in sab ki jadh hai ROHAN...jisse sirf suspension mila hai aur woh bhi in sabki tarah,same duration ka..

aur ye sab meri hi tarah SAMRAT waalon se sirf isiliye bhidne chale gaye the kyunki un sabne yahan SIRIUS ki mitti me aakar yahin ke students ko gaali di thi...

machismo,fake virility, manliness ke saath saath ek aur bhi chiz thi jiske liye kal ye sab ladhe the..

THE PRIDE OF SIRIUS...

aur isiliye sorry to say ma'am but for me,your decision is not justified...


jis tarah MA'AM ki aankhon me direct dekhte hue joki koi bhi SIRIUS ka banda nahi kar sakta tha,kahi thi maine ye saari baatein, aankhein badi ho chali thi mere doston ki...

par mera un sabke liye yun stand lena, isse behedh khush bhi the woh sab...

wahin meri baat sun kuch pal mujhe dekhte rehne ke baad...


PRINCI-writing me denge aap paanchon ki dobara aisi galti nahi hogi...

suspension aap paanchon ka cancel kiya jaata hai but saza toh aap sabko milegi hi..

agle ek hafte tak aap paanchon school hours ke baad ek ghanta community class me bitayenge jahan aapko proper behaviour ke lessions padhaye jaayenge..

saath hi saath, Saturday ko aap paanchon ART HALL aur PLAY HALL ki puri safayi karenge..

got it...!!!

SAB-yes MA'AM and thank you..we promise,this wont happen next time...

PRINCE-for your own good,i hope so..jaa sakte hain aap sab..aap nahi SANVEER..


mai bhi baaki sab ke saath nikal hi raha tha ki MA'AM ki baat sun mai rook gaya..

baaki sab ek baar mujhe dekh cabin se nikal gaye jiske baad MA'AM apni seat se uthkar theek mere saamne aakar khadi ho gayi aur...


PRINCI-khud ke liye suspension maang rahe the tum...de dun..???


MA'AM ki baat sun sir halka neeche kar halka sa muskuraya mai jisse dekh...


MA'AM-did a said something funny...???

MAI-no ma'am...

MA'AM-fir smile ki wajah..???

MAI- MA'AM,aap un paanchon ko bhi suspend nahi karne waali thi toh phir mujhe kaise karti..????

MA'AM-kaan kharab ho gaye hain kya aapke SANVEER AHARYA...??

maine un paanchon ko suspend kar diya tha..

MAI-woh jhuth tha..

aur waisa aapne isiliye kaha tha kyunki ROHAN ko resticate nahi kiya jaa sakta tha as uske dad SIRIUS ki school division ke TRUSTEES me se ek hain..

waise toh usse suspend karna bhi bohot badi baat thi par itna aap kar sakti thi jo aapne kar bhi diya tha par deep down aap jaanti thi,ki kal jo hua,usme main culprit ROHAN hi tha isiliye mere friends ko uske barabar hi saza dena GALATH tha...

par ek valid likhit ya phir moukhik maanya tark aapko chahiye tha par kisi teacher ka nahi balki STUDENT ka taaki agar aage koi problem ho toh aap us tark ko joki maine de diya sur jo aapke is cabin ke camara me record bhi ho chuka hai,usse dikha aur suna saken..

mere explanation se pehle jo aap wapas apni seat par jakar baithi thi woh yunhi nahi tha...

tab aapne apne laptop se wall par lage camara ka face thik mujhpar focus kiya tha taaki mera statement perfectly record ho sake...


jahan ye saari detailing dekar mai sir neeche kar khada ho gaya wahin MA'AM ke face par ek bright smile naach uthi thi..


MA'AM man me-absoloutly brilliant...


man hi man ye bol ma'am wapas apne laptop ki taraf gayi aur usse apni taraf ghuma unhone ek video play karkar meri taraf kar diya...

ROHAN ke saath kal gate se hokar bike bhagate hue jo mai nikla tha,ussika ka video chal raha tha is waqt us laptop me..

darasal hamare school ke aas paas ki 5 kilometres ki radius tak lagatar surveillance cameras lage hue the jinme mai capture ho chuka tha..

kuch waqt us video ko play rakhne ke baad usse pause kar PRINCI wapas meri taraf ghumi aur...


PRINCI-stuntman banane ke liye school college ya kisi degree ki zaroorat nahi padti SANVEER....

aur limelight me dikhne ke liye bhi ye hunar kaafi acha hai...


ma'am ki baat sun ek pal ke liye dekha maine par phir...


MAI-sorry ma'am...it won't happen next time...

MA'AM-hmm..you can leave...


MA'AM ki baat sun mai palta aur cabin se bahar nikal gaya jiske baad....


MA'AM-SANVEER AHARYA...galti tumhari bhi kahan hai...???





jaise fasal ugaane ke liye beej toh BONA HI HAI...

jab aakhein bojhil hone lage,unhe toh SONA HI HAI....

raat apne saath beshak laata hai andhera magar...

TUM woh suraj ho jisse aakhirkaar, ROSHAN toh HONA HI HAI...













AAJ KE LIYE ITNA HI.....












AAPKA APNA V...J....
Fabulous update bro maza aa gaya
 

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,309
174
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ ANSHUMALA MA'AM KE TOUNGE TWISTER KO SAAF SAAF BOL UNHE HAIRANGI ME DAAL DETA HAI,DUSRI TARAF ROHAN SAM AND GROUP KO USKE CALL AUR INTENTION KI AUTHENTICITY JUSTIFY KARTA HAI WAHIN TEESRI TARAF B.O.B MANAGER HARISH VERONICA KO HAASIL KARNE KA MAN HI MAN FAISLA KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-23


DATE-24TH JUNE


PLACE-KHANAK'S HOUSE....





NAMASTE AUNTYJI...MAI KEYA,PAICHANAYA...


entrance door se andar aate hi hall me baithi aunty ko dekh kahi thi maine ye baat jisse sun palti aunty meri taraf.

mujhe aur mere saath meri puri paltan ko dekh unka sad chehra khushi se khil sa utha..


AUNTY-SANVY...bacchon.. what a pleasant surprise...???!!!

MAI-haina...ab itne pleasant weather me itni pleasantly beautiful girl ko agar unke pleasant birthday me ye pleasant surprise naa dete hum toh pleasant word ke saath unpleasant naa ho jaata bhala...

so happy birthday...

SAB-happy birthday aunty....

AUNTY-thanks bacchon..

and my,my...kaafi acha word play tha ye..but ek correction hai, girl nahi,women...

aur ye sab itna kuch kya lekar aa gaye aap sab..itni formality ki zaroorat nahi the bacchon...


aage badh mujhe hug karne ke baad baaki sabko ek beautiful smile dekar thanks kehte hue jab unki nazar mujhe chhod baaki sabke haathon me pakde flower bookeys par padi toh kahi unhone aage ki baat...


SAM-its your birthday aunty... unfortunately hume thodi der pehle hi pata chala isiliye kuch extra aur alag laa nahi paaye hum sab...


ek ke baad ek un bookeys ko unhe dete hue kahi apni baat kahi SAM ne jispar un bookeys ko le side me pade table par salike se rakhti chali gayi aunty...


wahin SAM ki baat sun...


MAI-dont count me in that...


ek servent ke haathon se apne do shopping bags ko lete hue kahi thi ye baat maine jispar mujhe ghusse se dekhne lage mere sabhi dost...

REASON...

apni bmx se aaya tha mai aaj yahan...aur aunty ke liye gifts maine dopahar ko hi le liye the.

par baaki sabko is birthday ke baare me aadhe ghante pehle hi bataya tha aur gifts ke naam par sirf bookeys laane ko kaha tha..

wahin apne laaye bags ko yahan aate hi bahar garden me chuppa diye the maine...

aur jab baaki sabke saath andar aaya mai toh ek servent jisse pehle hi maine un bags ko collect kar hamare piche rehne bola tha, right time par usse woh bags le liya maine..


MAI-dobara mujhse game nahi loundo...udhaar chukta hua...


halka peeche ho un sabko ek saath phusphusayi thi ye baat maine jisse sun meri is harkat ka reason samajh gaye woh sab.

hamare KHANAK'S house ke first visit me aisa hi kuch mere saath kiya tha unhone..

sabne gifts discuss kiye the par mujhe bataya nahi tha aur ye udhaar ab chuka diya tha maine..

anyways,aage badh dono bags aunty ko pakda diye maine aur...


MAI-correction ki zaroorat naa hai aunty...girl is the perfect word to describe you..

kyunki itni khubsurati ke saath aap apni beti ko bhi complex de doge...toh hui naa aap girl...

AUNTY-acha beta..aunty se hi flirting..nice... dekhe zara, aapke gifts bhi aapki flirtings ki tarah ache hai ki nahi...


wakayi kisi teenage girl ki tarah excited hote hue un bags ke andar bane wraps ko unfold karne lagi aunty..

women and their craze for gifts..


AUNTY-wow... it's beautiful....


pehle bag se nikle maroon colour ki printed georgette silk saree ko dekh aur usse chhute waqt SHILPA aunty ke face par taarif saaf dikh rahi thi par saath hi saath hairan bhi the woh aur isiliye us saree ki taarif karne ke baad...


AUNTY-issi tarah ke piece ke liye..

MAI-subhash bhaiya se kaha tha aapne,jaanta hun mai...

AUNTY-kaise..??

MAI-aaj hi li hai isse maine FUSION se..jab SUBHASH bhaiye ko bataya maine ki saree aapke liye le raha hun mai toh unhone ye waali suggest kiya tha unhone..

bataya unhone ki last time jab aap wahan gayi thi toh issi tarah ke piece ke liye pucha tha aapne par tab is colour aur print me ek bhi saree available nahi tha..

agar mai isse nahi bhi leta tab bhi FUSION se aapko iske liye call zaroor aata...

isiliye yahi le liya maine...

AUNTY-its really beautiful..thanks beta...

MAI-pleasure aunty...


mujhe thanks bol aunty second bag kholne lagi par jab woh bag khula toh uske andar rakhi chiz ko dekh ek baar phirse mujhe hairani se dekhne lagi aunty..

ek maroon ripped blazer tha us bag me jo uncle ke liye liya tha maine par aunty ke hairan hone ka reason alag aur do the..

pehla toh ye ki blazer ka design bilkul waisa tha jaisa unke husband ko pasand tha aur dusri,us blazer ko pura open kar jab theek se dekha aunty ne toh feel kiya unhone ki blazer ki fitting uncle ke liye perfect thi...


AUNTY-SANVY, blazer toh bilkul waisa hi hai jaisa pasand hai aapke uncle ko..

tumhe unki choice kaise pata chali...???

MAI-ye right se third room aapka hi hai naa..!!!

AUNTY-haan...

MAI-walls par aapke aur uncle ki kuch photos lagi hai wahan..har pic me uncle ne shirt ke upar alag alag colour ki blazer pehni hai..

ussise andaza lagaya tha maine ki shayad uncle ko shirts ke upar blazers pehenana kaafi pasand hain..

AUNTY-beta, second baar aa rahe the aap hamare ghar...aur us room me toh gaye hi nahi the aap last baar... phir....

MAI-yahan se bhi straight view hai aunty un walls ka..

last time jab dinner me aaya tha mai,tabhi yahan se guzarte waqt dekh liye the woh saare photos maine..

aur size ka toh clear andaza lagaya tha maine...

AUNTY man me-kya hai ye ladka..sarees ki tahen ek second bhar ke liye dekh guess kar liya tha isne ki silk georgette pehenana pasand karti hun mai..

aur yahan,itni door se guzarte hue ek sarsari bhar nazar se dekh liya isne un photos aur inke pehnave ko..


TUM SAB YAHAN KYA KAR RAHE HO...????


is nayi awaaz se aunty apni soch se bahar aayi...

wahin hum sab bhi hamare right ki taraf ghume jahan se aayi thi ye awaaz joki KHANAK ki thi..

aur jo is waqt apne dono kamar par haath rakh ghusse se hum sab ko ghoor rahi thi...

aur wahi kya,uske saath hi khade the ANJALI, NAISHA aur RASHI..

same expressions aur body language ke saath..


MAI-dekh rahe ho aunty apni ladki ko...ghar aaye mehmaan se kaise baat kar rahi hai ye...!!!

KHANAK-tum aur mehmaan..bade aaye...

ANJALI-kya kar rahe ho tum log yahan...!!!

NITS-chanda jama karne aaye hain..par saari jama punji ki parchi toh tum sabne hi kaat li hogi ab tak...

ANJALI-bakwas band kar apni aur tum sab,niklo yahan se...aunty ke birthday celebration me you boys are not allowed to participate..

MAI-toh tu kya kar rahi hai idhar..ladke se kam toh tu bhi naa hai...

ANJALI-teri toh mai...

AUNTY-arre ek second...ho kya raha hai ye sab...!!?


mujhe maarne aage badhne waali hi thi ANJALI ki tabhi AUNTY ki awaaz se khadi reh gayi woh apni jagah..

wahin apni baat ko aage badha...


AUNTY-KHANAK..mujhe laga tune bataya hoga in sabko mere birthday ke baare me...

KHANAK-mai kyun bataungi inhe..??

SAM-haan,jis celebration me inke liye gifts naa aayen,uska information nahi deti ye sab hume...

NITS-laalchi auratein...

NAISHA-chup ho jaa NITS nahi toh mooh tod dungi tera mai...

NITS-dekh le RAJAT...kaisi gundayi ladki ko date kar raha hai tu...

sabke saamne dhamki deti hai ye.. abhi bhi time hai, bach jaa warna pata nahi kya haal karegi tera ye...

NAISHA-you..

AUNTY-ek minute bacchon..kya laga rakha hai ye sab aap sabne...

aur mere sawal ka jawab nahi diya abhi tak....

MAI-kal shaam uncle ka phone aaya tha mere ghar par aunty.. unhone hi bataya tha mujhe ki unhe urgently kisi high ranked officers meet ke liye shimla jaana padh raha hai aur aaj birthday hai aapka...

task diya unhone mujhe ki unke absense ki wajah se jo udaasi aap feel karengi,usse door karun mai so here i am.

KHANAK-toh isiliye number liya tha unhone mujhse tumhare ghar ka...

MAI-yup..unhe maalum tha ki unke naa hone par aunty sad hongi jisse door karne ki responsibility unhone mujhe di.

KHANAK-hahaha very funny...meri mom ko cheer karne ke liye mai kaafi hun..

ANJALI-hum..

KHANAK-exactly...

MAI-ye bhi sahi hai..ab cartoon network dekhkar har koi cheer-up toh hota hi hai..

KHANAK-hume cartoon network bola tumne..

AUNTY-ye ho kya raha hai aap sabke beech...koi jhagda hua hai kya tum sabka...!!!


KHANAK aage kuch keh paati,uske pehle hi aunty ne rakha apna sawal jispar..


MAI-aapko nahi pata aunty...???

AUNTY-kya nahi pata...???

MAI-in sabki naarazgi ka reason...!!!

AUNTY-nahi toh...ab hua kya hai,bataoge bhi...


aunty ki baat sun ek baar sabhi girls ki taraf dekha maine jinke faces par nervousness saaf dikhne laga tha aur KHANAK toh halki dar bhi gayi thi..

darasal SAM ke resort me hue kaand ke baare me kuch nahi bataya tha usne ya kisi bhi girl ne apne apne ghar par..

un sabko maalum tha ki jo hua,woh itni badi baat thi ki agar unke ghar waalon ko pata chala toh un sabka aage se kahin bhi akele bahar ghumne jaana band kar diya jaayega aur gaali padegi,woh alag..

in sabhi speculations se paida hua dar un sabke aur khaas kar KHANAK ke face par saaf dikh raha tha jisse dekh halka sa smile kar...


MAI-SAM ke resort se hi muh fula hua hai in sabka... actually hamare kuch rival bande aaye the wahan jinhone ek game ke liye challange kiya tha hume..

ab woh game thoda risky tha isiliye girls ko us game se door rakha tha humne...

bas,issi baat se naraaz hain ye sab..

AUNTY-really...!!!!ye kya baat hui bacchon.. aap sabka benifit dekh rahe the ye sab aur inhi se naaraz ho tum sab...

ANJALI-aunty,jab ye khud bol raha hai ki game risky tha toh in sabko bhi khelne ki kya zaroorat rhi..

avoid bhi toh kar sakte the...

MAI-aunty,aap bataiye..army man ki wife hain aap..

kya kisi ladhayi ya challenge se piche hath hamesha safe raha jaa sakta hai..

khaaskar tab jab aapka challenger, dushman continously aapko bin wajah pinch kar raha ho...

aise me backout karna chahiye ki phir once and for all,us challenge ko accept kar hamesha ke liye woh account close kar dena chahiye..

AUNTY-he is right girls....kabhi kabhi backout karna future ke liye GALATH ho sakta hai...

aur waise bhi school me ho aap sab.. rivalries, challenges,ye sab toh hote hi rahenge.itna seriously nahi lena chahiye in sabko..

SAM-wahi toh samjhane ki koshish kar rahe hain hum in sabko itne dino se par ye maane tab naa...

MAI-arre naa maanane de..inhe manane ka kota waise bhi pura ho gaya apna..

idhar hum aunty ka birthday celebrate karne aaye hain,focus ussi par rakhte hain...

NITS-exactly...RAJAT, tu cake laaya ki nahi...

RAJAT-laaya hun naa yaar..

NAISHA-usse apne paas hi rakho...cake humne pehle hi ready kar liya hai aur aunty wahi cake kaatengi..

apna cake khudhi kaat kar khaalo tum sab...

AUNTY-agar aap sab aise hi jhagda karte rahe toh nahi kaat rahi mai koi cake...

MAI-mai bhi yahi soch raha tha aunty..in sabko ladhte rehne dete hain,hum dono chalte hain ek badhiya candle light dinner par...

AUNTY-sounds like a plan...

KHANAK-what the hell..mom...

AUNTY-what mom...???ye sab bacche mera birthday celebrate karne aaye hain yahan aur aap sab apni ladhayi beech me involve kiye jaa rahe ho..

but enough now...aap sabse ek saath ek gift chahiye mujhe..

room me jaaiye and patch up..sort out everything aur uske baad hi cake katega...


jahan apni baat bol aunty kitchen ki taraf badh gayi wahin sabhi girls hum boys ko kuch seconds ghurti rahi aur phir wapas ghoom us decorated room ki taraf jahan SHILPA AUNTY ka birthday celebrate hona tha, mood gayi..

hum boys bhi unke peeche ho liye the..

MAI-haash..nice bed KHANAK...


room pahunch kood gaya tha mai KHANAK ke pink gadde, bedsheet waale bed par joki kaafi flexible tha..

gadde par halka halka ucchalte hue uski taarif ki maine jispar kuch seconds mujhe ghoorte rahe sab girls aur phir...


ANJALI-last time guyzzz..last time...iske baad aisa koi stunt repeat kiya naa toh kabhi baat nahi karenge hum tum sabse...

what...!!!ab sorry nahi bolna...

SAB-sorry...


ek lay me saath saath sorry bola sab boys ne jispar saare girls ki nazar tiki mere thobde par..

ab mai hi tha jisne kuch nahi bola tha..wahin bed par padi ek magazine nikaal padh raha tha mai aur jab sabhi girls ki ghurti nazar ke beech bhi meri aankhein us magazine me dhasi rahi toh...


NAISHA-we are waiting SANVY...

MAI-mat karo..sorry waali train naa rookti mere platform par...

ANJALI-kaise rookegi..!!!ego waale train ne saare platforms cover jo kar rakhe hain...

KHANAK-really SANVY.... GALATH hone par galti maan leni chahiye...


KHANAK ki baat sun magazine se nazar hata un sabko dekha maine par mere aisa karte hi ek second me un sabke facial expressions change ho gaye...

is waqt meri un sabko ghoorti aankhon me wahi ghussa tha jo tab hi dikhta tha jab mai kisiki bajaane ke liye aage badhta tha..

woh ghussa jisse feel karte hi ghabrahat feel hone lagti thi in sabko..

wahi ghabrahat dikhne lagi thi girls ke face par jisse dekhte hue un sabke paas pahuncha mai aur...


MAI-agar resort me naa karte toh kisi aur jagah unhi drugs ke case me lapeth lete woh hume..

par jo kiya humne,uski wajah se ab aisa kabhi nahi hoga..

kya,isiliye GALATH hun mai...!!!

chahta toh compramise kar sakta tha..un logon se peacefully baat kar maamla hone se pehle hi rafa dafa kar sakta tha...

par agar aisa karta toh woh log fattu samajhte humko aur kahin dusri jagah kisi naye plan ke saath gher lete hum sabko..

par unki ghinouni harkat ke liye unhe saza dena chahta tha mai jo de bhi di bhi maine...

kya, isiliye GALATH hun mai...????

boys ko tumhe plan batane se maine hi roka tha kyunki...

enjoy karne gaye the tum sab wahan...

aur pehle se plan batakar dil dimag aur khaaskar tum sabke chehron par lagatar 2 dino tak dar ke saaye nahi dekhna chahta tha mai...

kya, isiliye GALATH hun mai...???

aur agar hun, toh mai GALATH hi sahi..

facial expressions theek karo be sab...aunty aa rahi hai...


aakhri baat tezi se side table par rakhe cake ki taraf mudte hue kahi thi maine..


AUNTY-kya hua...abhi tak sort out nahi hue aap sabke issues...!!!!


do servents jinke hold kiye trays me snacks aur soft drinks the,unke aage chal kar room me enter kar rahi aunty ne pucha ye sawal..


MAI-purana waala ho gaya aunty,ab naye stock ka problem discuss ho raha hai...

AUNTY-matlab...!!!

MAI-cake... girls bol rahi hain ye waali jo unhone laayi hai,woh kaatengi aap aur boys bol rahe hain ki unka laaya cake katega...

KHANAK-par mom wahi cake kaatengi jo hum laaye hain, right mom...


mere jhooth ko carry forward karte hue apne mom se kahi ye baat KHANAK ne jispar baaki sabhi girls ne bhi same reaction diya aur un sabki nadani bhari zid par muskurayi aunty aur..


AUNTY-SANVY beta aapne hum nahi boys kaha... matlab is bematlab ke jhagde ka hissa nahi hain aap...!!!

MAI-naa..cake koi bhi ho chalega aunty par katna tab tak nahi hai jab tak sabse important chiz saath saath nahi hoti..

AUNTY-sabse important chiz...!!!ab woh kya hai...???


ishara kiya maine NITS ko jiske baad apna phone nikaal woh kuch karne laga..

is dauran AUNTY aur baaki girls kabhi mujhe toh kabhi NITS ko dekhti jo phone me kuch seconds ungliyan chalane ke baad bas screen ki taraf dekh raha tha..


HELLO MY LOVE...HAPPY BIRTHDAY...


mobile screen aunty ki taraf kar diya tha NITS ne jispar is waqt ek whatsapp video bar open tha..

aur screen ke dusri taraf the PRABAL uncle jinhe dekh sab samajh gayi aunty..

darasal uncle ke yun unke birthday se do din pehle conference meeting ke liye outdoor jaane ki wajah se naaraz chal rahi thi unse aunty aur unka call nahi utha rahi thi..

aaj birthday tha unka par aaj bhi uncle par naarazgi ke chalte phone avoid kiya hua tha unhone.

haan,taklif toh unhe bhi ho rahi thi par ghussa us taklif se zyada tha...

but abhi uncle ko live phone par dekh jaise woh ghussa turant pighal sa gaya aunty ka aur ek behadh pyari muskaan unke face par aa gayi...

itna hi nahi, uncle ke face par is waqt dikh rahe smile and most importantly,unke liye beshumar pyar ko dekh aunty ko apne behaviour ke liye guilt bhi feel hone laga tha jisse uncle ki anubhavi nazaron ne turant pehchaan liya aur aankhon hi aankhon me zyada naa sochne ka ishara bhi kar diya unhone..

wahin apne dad ko dekh KHANAK kaafi exited ho gayi thi..


KHANAK-hey dad..

UNCLE-hey princess....

KHANAK-i am missing you a lot papa...yahan hona tha aapko aaj..

UNCLE-jaanta hun beta and i am sorry ki nahi hun mai wahan..


ye sorry bola uncle ne bhale hi KHANAK ko tha par waisa bolte waqt nazarein unki aunty ki taraf ghumi thi...


SAB-hello uncle...

UNCLE-hello bacchon..so, how's everything going... party ho rahi hai...

SAM-bas abhi cake kaatengi aunty uncle...

UNCLE-arre, abhi tak cake nahi kata...???

AUNTY-all thanks to SANVY.. virtually hi sahi,apke saamne hi kaatna hoga cake, aisa plan tha inka..

waise bataya nahi tha aapne ki apna quater back SANVY ko banaya hua tha aapne...!!!

UNCLE-hahahaha...ab aap naraz thi humse..saare patte dikha diye the humne par nahi maan rahi thi aap toh socha,ikka try karke dekhen..

aur dekhiye,sahi gira hamara ikka...

AUNTY-ab ye toh sach hai..

KHANAK-aap love birds baad me bhi baat kar sakte hain.. abhi cake kaaten..

dekhiye,cake bhi wait wait karke udaas ho gaya hai...


KHANAK ke bolte tak cake waali trolley table ko khiskaate hue aunty ke saamne centre of the room me le aaya tha mai.


MAI-aunty,18 toh pura ho hi gaya hoga aapka,utne hi jala raha mai candles..


us bade se pineapple flavoured cake ke ird gird candle ka circle banate hue kahi ye baat maine jispar uncle aur baaki sab has diye..


AUNTY-badmash..bas masti sujhti rehti hai har waqt..

mere kaan ko halka sa press kar kahi ye baat aunty ne..

anyways,kuch hi der me candles lag chuke the jinhe light bhi kar diya tha maine..


MAI-here we go then..blow kijiye aunty and make a wish..


HAPPY BIRTHDAY TO YOU...

is birthday hymn ke beech candles blow kar aunty ne cake ke do bade piece cut kiye..

pehla bite unhone apni beti KHANAK ko khilaya aur dusra mujhe...

mere baad baaki sabhi ko bhi khud ek ek bite khilaya aunty ne par is beech uncle ko apne phone me call karne ka ishara bhi kar diya tha aunty ne...


UNCLE-alright then.. thanks bachhon aaj ke din ko apne presence se itna colourful aur cheerful banane ke liye...

par the celebration is not over yet.. dinner yahin karna hai aap sabko...

honey..

SHILPA- servants ko already bol diya hai maine...

UNCLE-good...ok bacchon,bye take care..and SANVY,thanks..

SAB-bye uncle...


hang up kar diya phone uncle ne par unke aisa karne ke kuch hi palon baad aunty ka mobile joki is waqt vibrating mode me tha,woh ghanghana utha..


AUNTY-i will be back bacchon..jogesh(servant)...snacks serve karo sabko...KHANAK,help him...

MAI-aunty, formality ki zaroorat naa hai..jo lena hoga, khud hi le lenge hum...

NITS-jee aunty..khaane ke maamle me sharm nahi karte hum..haan,in ladkiyon ko naa mila kuch aur complaint lekar aayi ye aapke paas toh suniyega mat bas..

ANJALI-jitna thusna hai thus lo bhukkadon..hume shouk bhi nahi hai...


ANJALI ke us taane ko bilkul nazarandaz karte hue hum sab jahan jagah mili baith gaye aur lage saare snacks aur beverages khaane aur gatakne..

wahin meri aur NITS ki baat sun already on call ko kaan me lagaye woh aur unke piche piche unka servent room se chale gaye..

anyways,kuch der tak toh hum sabko khaate normally dekhti rahi sab girls par jab kuch der baad snacks aur drinks aadhe se zyada khatm ho gaye par hamare haath aur mooh chalna band nahi hue toh aane laga un sabko ghussa..


MAI-abbe woh apna laaya cake kidhar hai..!!!

SONU-ye iddhar hhi rrakha hhai..

MAI-wapas second hand bechna hai kya...!!!nikaalo be...


2 kg ka black forest cake laaye the hum jiske box ko open kar hum sabke beech me rakh diya NITS ne.

wahin black forest flavour ANJALI aur NAISHA ka favourite tha..

shayad RASHI aur KHANAK ko bhi kaafi pasand tha isiliye chaaron hi us cake ko dekh rahi thi..

par naa humara dhyan unki nazaron ki taraf gaya aur naahi humne pucha un chaaron se kuch..

saleeke se cake ke kuch slices alag kiye maine aur sabhi boys ki plate me daalne laga unhe aur ye sab dekh ghusse ka paara pura chadh gaya ladkiyon ka aur..


ANJALI-kutte ki dum ho tum sab ke sab..aur SAM,itna atticate nahi hai tumme ki hume pucho..

SAM-bor bobby,mmoi ttoh bos..


pehle se mooh me bhare chocolate sandwich ke upar cake bhi thussa hua tha SAM ne aur waise hi boli apni naa samajh me aane waali baat usne jispar usse ghoorne ke baad girls khud hi aage aayi aur plastic knife utha hamara waala cake cut karne lagi aur ye dekh..


MAI-arre arre..apna laaya cake khaao naa..hamare waale me kaahe nazar gada rahe ho...

ANJALI-hamara waala..wahi jo pehle hi char chuke ho tum sab..chup chaap baitha reh SANVY nahi toh pura cake mooh par maarungi mai..

MAI-aise....


apne haathon me pakde cake ke slice ko ANJALI ke mooh par poththe hue kahi ye baat maine jispar..

HAHAHAHAHA....

jahan ek taraf sabhi boys zor se has pade wahin dusri taraf girls ka dimag kharab ho gaya...

aur ANJALI,uska toh mooh hi chota sa ho gaya tha...


RASHI-gaye tum sab aaj..


mitti uthane ke style me cake ke kuch part ko uthaya RASHI ne apne haath par aur ragad diya us cake se sane haath ko EKPREET ke mooh par..

same chiz KHANAK ne SAM ke mooh par cake massage karkar ki...


RAJAT ka mooh NAISHA ne us black forest cake se kaala kar diya tha jiske baad uske aur RASHI ke haath badhe NITS aur SONU ki taraf...

aur bhaagne ki koshish ke beech bhi un dono ke mooh aur gale par cake ka lep lag chuka tha..

ab sirf mai bacha tha par mera ye sober status bhi bas kuch seconds ka mohtaj tha..

ANJALI ne ek nahi balki apne dono haathon ko cake ke bade hisse se san liya tha aur uske woh dono haath mere mooh ke taraf badh bhi chuke the...

45 degree angle left switch..3 feet door table aur uske 8 feet baad room ka door...ek chota aur do bada jump kaafi hoga..

us cake se present aur future me bachne ke saare calculations kar liye the maine aur isiliye jaise hi ANJALI ke dono haath mere kareeb pahunche toh 45 degree left sarakte hue apne left hand ke power se khudko ek jhatka diya maine..

khada ho chuka tha mai jiske baad apni pehli chhalang se us table ko cross kar liya tha..

phir jaisa socha tha,do lambe chhalang aur maare maine..aisa karte hi room ke door ke just bahar pahunch chuka tha mai...

wahi mere is sudden move se pehle toh hadbadayi ANJALI par phir jab usne mujhe door ki taraf jump karte dekha toh doudi woh mere piche..


MAI-too late chudail...

THAKKK.

door bahar se band kar diya tha maine..


DHKKKK...DHKKKK..DHKKKK....

ANJALI-door khol kamine warna acha nahi hoga...

MAI-correction..door khol diya toh acha nahi hoga mere liye...

ANJALI-i swear mai chhodungi nahi tujhe SANVY..

MAI-i know.. tabhi toh band kiya hai door...

RASHI-khol naa yaar SANVY..i need to go to the bathroom...

MAI-itni si baat.. don't worry..bas piche mudo,to the left, ek door dikhega tumhe..usse kholo, bathroom hai uske dusri taraf..

KHANAK-please naa SANVY..kholo naa door..

MAI-aww..playing cute..!!! lolypop ka shouk nahi hai madam,kisi aur ko khilao...

ANJALI-chuchaap gate khol de SANVY warna..

MAI-warna tu phir dhamki degi..yahi toh kar sakti hai filhal..de,de..

mai aata hun tab tak..


mooh par naa sahi par haath me cake laga hua tha mere jisse saaf karne ke liye mai kitchen ki taraf badh gaya..

wahin mere piche se chillati rahi sabhi girls par jab mera koi reaction nahi aaya toh unke saath phase boys par apna ghussa nikaalne lagi woh sab...


FMMMHMMMMF...

hand wash kar mai wapas aa hi raha tha ki aunty ke room se halke sisakne ki awaaz aayi mujhe..


MAI-aap theek hai aunty...!!!!


aunty ke aadhe khule aadhe band door ko halka slide karte hue kahi ye baat maine..

haathon me phone pakde sir neeche kiye khudko control me rakhne ki koshish ke baawjud bhi unki aankhon me nami thi..

par meri awaaz sun mujhe apne saamne dekh unhone turant apni palke saaf ki aur muskurakar dekhne lagi mujhe jispar..


MAI-mai KHANAK ko bhejta hun aunty..

AUNTY-andar aao...


mujhe moodkar jaate dekh apne paas bulaya aunty ne jiske baad mai unke paas khada ho gaya aur ye dekh mera haath pakad mujhe apne paas baithaya aunty ne aur kuch seconds dekhti bhar rahi woh mujhe...


AUNTY-ek hi baar saamne se mile hi aap KHANAK ke dad se..

par bas us ek mulakat me bhi apni gehri chhap chhodi hai aapne unpar..

woh kayi baar keh chuke hain ki agar unka koi beta hota toh woh bilkul aapki tarah hota...

MAI-arre isme kaun si badi baat hai..abhi itna late bhi nahi hua hai.. KHANAK ki badi behen hi lagti ho aap aur uncle toh hain hi super fit..

le aayiye KHANAK ka ek chota bhai...


mazak hi kiya tha maine par meri baat sun smile toh diya aunty ne par aankhon me ek pain tha unke jisse dekh..


MAI-mazak kiya tha aunty maine..par bura laga ho aapko toh really sor..

AUNTY-kuch GALATH nahi kaha aapne beta.. but the thing is ki jab aaj tak ek bacche ke liye bhi taiyar nahi hue tumhare uncle toh dobara ka sawal hi nahi uththa..


ab laga mujhe jhatka..baat hi kuch aisi keh di thi aunty ne...


MAI-toh aunty KHANAK...???

AUNTY-PRABAL aur mai college buddies the aur woh shuru se hi pyar karte the mujhse par mai kisi aur ki taraf attracted thi...

final year me thi mai jab i got pregnant from the guy i loved..

par usne mujhe apnaane se saaf mana kar diya...

toot gayi thi mai.. suicide attempt karna chahti thi par apne kokh me panapne waali jaan ki wajah se nahi kar paayi..

par shayad aage jaakar zaroor kar leti agar PRABAL ka saath na mila hota mujhe...

unconditionally support kiya unhone mujhe..chahte toh bol sakte the mujhe shaadi karne ko aur samaaj ke dar se mai haan bhi keh deti par aisa kuch nahi kiya unhone..

bas us tufaan bhare waqt me mera haath pakde khade rahe..

aur phir paida hui KHANAK... us aadmi ka khoon jisse nafrat karte the PRABAL lekin KHANAK ko pehli baar dekh jitni khushi maine unki aankhon me dekhi thi,utni toh maine bhi mehsoos nahi ki...

un saath guzaare palon me mujhe bhi pyar ho chuka tha unse jiska izhar KHANAK ke paida hote hi kar diya maine unse..

khush toh bohot hue woh par us khushi ke beech ek vaada bhi kiya unhone mujhse..

vaada ki KHANAK hi sirf unki beti,unki waaris hogi...uske baad unhe aur koi aulaad nahi chahiye hogi jisse hamari beti ka pyar share ho..

shuru me toh mujhe laga tha ki emotion se bhar keh di thi unhone woh baat par guzarte waqt ke saath unke us vaade ka seriousness samajh aaya mujhe..

he is the best father KHANAK could have ever got and the best husband i could have ever imagined of..

pichle do dino se naraaz hun mai unse..pachason baar call kiye honge unhone par apni narazgi ke chalte baat nahi ki maine unse...

par thodi der pehle jab unka wahi saaf dil sa chehra phone par dekha maine..

unki aankhon ka woh pyaar jo aaj bhi wahi pehle sa hai toh apni harkat aur khudpar bohot ghussa aaya mujhe..

call par bhi unse baat hui par agar us waqt kamzor padti ya roti toh unhe taklif pahunchati isiliye call rakhne tak strong rakha tha khudko..

par call hang-up hote hi woh sab phirse yaad aa gaya..bas isiliye aankhein bhar aayi thi meri..

MAI-kya KHANAK jaanti hai ki..

AUNTY-haan..12 saal ki thi woh jab pata chala tha usse...

MAI-wow...matlab agli baar jab uncle se milunga toh ek nahi do salute karne padenge mujhe..


mahoul ko halka karne ke liye kahi thi maine ye baat jispar muskura uthi aunty aur..


AUNTY-aur woh kyun..???

MAI-ek unke behetarin fouji hone ke liye aur dusri,usse bhi behtar insaan hone ke liye..


meri baat sun muskurate hue mere sir par haath fera aunty ne aur..


AUNTY-pata hai,aaj tak kisise bhi ye saari baatein nahi ki maine.. KHANAK se bhi nahi,par aapse share karne ka dil kiya toh kar diya...

aur result bhi acha hi aaya...jo guilt feel ho raha tha,woh kam ho gaya..

man halka ho gaya mera...

MAI-matlab therapy session kaam kar gaya...

AUNTY-therapy session..par advice toh di hi naa aapne kuch..

MAI-kabhi kabhi baatein sunana apni baat rakhne se zyada asar karta hai...

aur advice unhe diya jaata hai jo apni raah bhatak gaye hon..par jo bhatke raahon se sahi raaste par pahunch chuke hon,unhe zindagi ke falsafe samjhaye nahi jaate,unse khud nasihate li jaati hai...

AUNTY-apni umar se koson aage ki soch rakhte hain aap SANVY...shararat aur sanjeedgi ka aisa mishran nahi dekha maine kabhi...


muskura bhar diya mai aunty ki baat sun jiske baad..


AUNTY-ek baat batayen...jo kisise nahi kaha,woh aapse isiliye keh gayi mai kyunki sirf PRABAL hi nahi,mai bhi aapko apna beta hi maanti hun...

MAI-ab ye bataane ki zaroorat nahi thi aapko...jab aaj ghar aaya mai aapke toh mujhe pehli baar dekh khushi aur garv,ye dono hi bhaav the aapke chehre par..

aur bhaavon ka woh mishran sirf ek maa ke chehre par hi dikh sakta hai...


meri baat par aage badh maatha hi chum liya tha aunty ne mera..


MAI-oh shit...sabko KHANAK ke room me band kar diya tha maine..

AUNTY-badmash....


apni bol bolte hue tezi se nikla tha mai aunty ke room se aur meri baat sun mujhe badmash bol woh washroom ki taraf badh gayi thi..


MAI-koi pratha hai kya..!!!ghar me ek ka rona band hoga toh dusre ka shuru ho jaayega..


aunty ke room ke just bahar khadi ab tak hamari baat sun rahi KHANAK se bola maine ye jispar uske dusri taraf badhte kadam turant rook gaye..

darasal kitchen me hand wash karte waqt hi ek servant ko kuch der baad KHANAK ke room ko kholne ke liye bol diya tha maine..

us waqt sabhi apne cake painted bigde thobde ko dhone me lage the..

KHANAK ne sabse pehle ye kaam kiya tha isiliye room khulte hi woh mujhpar apna frustration nikaalne bahar nikli thi.

jis angle me khada tha mai aunty ke room me, KHANAK ne dekh liya tha mujhe aur meri taraf badhi woh par room ke paas pahunch jab aunty ki baatein padne lagi uske kaano me toh chupchap door ke dusri taraf chipak un baaton ko sunane lagi thi woh..

par dekh toh maine bhi usse liya tha aur jab maine uski dabi pairon ki awaaz ko room se door jaate hue feel kiya toh bahana bana bahar aaya mai...


KHANAK-thanks...kal se hi sad thi meri mom..par tumne woh sadness puri khatm kar di...

aur wakayi woh saari baatein mujhse bhi nahi ki thi mom ne par tumse ki...

so thanks again..meri mom ka man halka karne ke liye...


rookte hi jab kareeb gaya mai uske,toh waise hi bane hue kahi ye saari baat mujhe usne jispar..


MAI-sirf thanks...

KHANAK-aur kya chahiye...???


meri taraf palat meri aankhon me dekh pucha usne jispar..


MAI-jo maanguga,dogi...

KHANAK-agar bas me hua toh zaroor...

MAI-kuboolnama chahiye mujhe...

KHANAK-kuboolnama...???kis chiz ka...

MAI-kuch aisi chizon ke liye jisse tumhare mom dad ki khushi aur sukoon hamesha barkarar rahega..


meri is baat par kuch kaha nahi KHANAK ne bas haan me palke jhapkayi usne jispar...


MAI-


sach ka ghar dil me hota hai,dekhna ho usse toh man me jhaankne ke liye hamesha aankhein MOOND LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

zindagi ki roti banana sikhna asaan nahi,par vaada karo ki ek din us roti ko banane waala aata theek se GOONTH LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

aansu ki koi bhaasha nahi hoti,par sirf khushi me nikle, UNKI aankhon me aansuon ki sirf wahi BOOND DOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

tumhare wajood se do aur logon ki saansein judi hai,un saanson ke liye apne wajood ko har baar DHOOND LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Khanak ki maa k past thoda dhuk bhara tha.sanvy ko kanak ki maa aur papa bahut trust karte hain.amazing update.
 

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,309
174
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA AUR HARISH TEENO INVESTMENT PLANS KE UPAR KAAM KARNA SHURU KAR CHUKE HAN WAHIN DUSRI TARAF PRINCIPAL RANJANA MATTHEWS UNKE SAWAL PAR RAAZ KE NOTE DOWN KIYE JAWAB SE KAAFI IMPRESS HO JAATI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-25


CITY-DEHRADUN

PLACE-B.O.B BRANCH

DATE-1ST AUGUST




SANVEER AHARYA....WOW, IT'S A STRONG NAME...


apni coffee ka sip lete hue di thi apni raay HARISH ne VERONICA ko..

morning se lagatar un teen plans par continously work karte rehne ke baad mind fresh karne HARISH aur VERONICA bank ke baaju me hi bane coffee house me coffee peene pahunche the..

ab woh dono sirf job associates hi nahi balki dost bhi the isiliye informal baatein bhi common thi unke beech..

par is ek mahine me indirectly ghuma phirakar bas VERONICA ke likes aur dislikes hi pata kiye the HARISH ne...

waise toh VERONICA ab bhi thodi reserved hi rehti thi par phir bhi thoda bohot hi sahi,uske baare me jaanane laga tha HARISH...

aur zyadatar VERONICA ki har pasand aur napasand waali baaton me kahin na kahin woh apne bete SANVY ka zikr kar hi deti thi..

ab SANVY toh pet name hi ho sakta hai isiliye abhi jab HARISH ne SANVY ke full name ka pucha toh bataya VERONICA ne jispar uski pratikriya par muskurate hue...


VERONICA-with an even stronger character...

HARISH-woh toh hoga hi..aakhir tumhara jo beta hai...waise kaun se school me padhta hai tumhara beta...???

VERONICA-SIRIUS INTERNATIONAL SCHOOL...

HARISH-really.. wow..jahan tak mujhe pata hai,SIRIUS toh yahan dehradun ka, infact pure uttarakhand ka sabse bada school hai aur utna hi reputative bhi..

VERONICA-haan...

HARISH-study aur acadamics me toh kaafi strong hoga tumhara beta ya phir he is into sports...!!!

VERONICA-aisa kuch nahi hai..he is an average student...

HARISH-what..!!!par ye kaise possible hai...??i mean mom itni talented aur beta average...


HARISH ki baat par bas smile karte hue kandhe uchka diye VERONICA ne jispar..


HARISH-phir toh kaafi strict rehti hongi aap uspar...!!!

VERONICA-kisliye..kyunki woh ek average student hai..mujhe fark nahi padhta is baat se..

percentage acha ho naa ho, character acha hona chahiye jo mere bete ka hai..he is one of a kind...

naa koi GALATH sangati hai uski aur naa aaj kal ke teenagers ki tarah GALATH shouk..aur mere liye itna hi kaafi hai..

HARISH-ye bhi hai..but uska acha character bhi tumhari hi toh den hain...

VERONICA-zyada taarif nahi kar rahe aaj kal tum meri...

HARISH-arre...ab jo hai so hai...your son is lucky to have a mother like you...

but ek problem khud hi khadi kar di hai tumne apne bete ke saamne...!!!

VERONICA-problem khadi kar di...maine..!!!woh kya...???

HARISH-ab jab bada hoga tumhara beta aur shadi ke liye ladki dekhega toh mujhe nahi lagta ki koi bhi girl pasand aayegi usse..??

VERONICA-kyun nahi aayegi..???

HARISH-tumhari wajah se..i mean woh daily tum jaisi khubsoorat shaksiyat ko saamne se dekhta hai toh aise me khubsoorati ka jo parameter uske dimag me hoga, woh toh shuru hi tumse hota hoga..

aise me tumse kam beautiful face toh pasand aayegi nahi usse par tumse zyada chhodo, tumhare aas paas ki bhi koi ladki milne se rahi usse..

HAHAHAHAHA.....


HARISH ke is indirect complement ko sun halke zor se hasi VERONICA jiske baad...


VERONICA-kuch bhi matlab...mere jaisi kya,mujhse behtar milegi mere bete ko..

aur woh sab chhodiye,MR HARISH,bhul rahe hain aap ki friends hain hum..aur friends se yun flirt nahi kiya jaata..

HARISH-GALATH... agar flirt healthy ho toh sabse zyada friends se hi karna chahiye...

VERONICA-baatein banana chhodiye aur coffee complete kijiye... thandi ho rahi hai...nikalna bhi hai phir..waise bhi thoda late ho gaya hai aaj..

SANVY wait kar raha hoga..

HARISH-arre itni jaldi bhi kya hai..!!5.30 hi toh hue hain...and your son is a grown up boy...aur badhte bacche apni hi duniya me mast rehte hain...

VERONICA-mere bacche ka defination nahi hai ye statement...

HARISH-really...

VERONICA-really...chalen...


baaton baaton ne HARISH ne bhi apni coffee khatm kar ki thi isiliye table par coffees ka bill with tip rakhte hue VERONICA uth khadi hui thi aur ye dekh..


HARISH-zaroor jaayenge par pehle ye rakh lo wapas...bill mai de raha hun...


VERONICA ke table par rakhe paise wapas uske haathon me thamate aur issi bahane uske haathon ko halka press ke saath touch karte hue kahi ye baat HARISH ne jispar...


VERONICA-arre,ye kya....

HARISH-relax..out of courtesy nahi balki out of better investment de raha hun mai bill...

VERONICA-aur woh kaise...???

HARISH-simple...coffee bill bhi koi bill hota hai.. isiliye isse mai de raha hun..

aur tum,agar kabhi mujhe lunch ya dinner karwane ka man ho toh us waqt bill tum de dena...


indirectly lunch aur dinner ka puch liya tha HARISH ne VERONICA ko jispar halke se hasi woh aur..


VERONICA-waah,200 ko coffee hai aur lunch 2000 ka hoga..

1800 ka interest kuch zyada nahi hai...

HARISH-ab dosti ki hai toh itna toh karna hi padega par tention na lo tum..

B.M hun toh easy installments service de hi sakta hun..

e.m.i karwa lenge..ab toh khush...

HAHAHAHAHA..


jahan HARISH ke sense of humour par haste hue sir ki shake kar aage badh gayi VERONICA wahin usse piche se checkout karte hue HARISH bhi uske piche ho liya...

bank ki bike parking aage thi aur car ki piche...coffee shop se nikal bank parameters ke andar jaane ke baad ek dusre ko bye bol VERONICA bike parking me apni scooty ki taraf aur HARISH pichli parking me apne car ki taraf badh chale the...


VERONICA-shit...ab ye kya ho gaya...???


apne hand bag ko seat ke andar rakhne ke baad jab scooty par baithne ko hui VERONICA tab unki nazar padi saamne ke tyre par joki puncture hua pada tha..

HARISH-kya hua,abhi tak gayi nahi tum...???


kahin phone laga hi rahi thi VERONICA ki tabhi unke baaju me aakar ruki swift dzire ke kaanch ko neeche kar pucha ye sawal HARISH ne aur phir turant apni car se utar VERONICA ke paas chal pada...


VERONICA-ye tyre puncture ho gayi...

HARISH-oh,bad luck.. commercial zone hai ye..puncture shop toh yahan aas paas hai hi nahi...

VERONICA-i know...mai SANVY ko bol deti hun..woh le aayega kisiko isse banane..

HARISH-arre kahan bacche ko pareshan kar rahi ho...mai guard ko bol deta hun..

woh ye puncture theek kar scooty tumhare ghar chhod dega...and for you, driver toh aapke saamne hi hai..

mai drop kar deta hun tumhe tumhare ghar..

VERONICA-arre nahi nahi..iski zaroorat nahi hai..i will manage...tumhe bhi toh ghar ke liye late ho raha hoga...

HARISH-mujhe koi late nahi ho raha..aur manage kyun karogi tum..mai hun naa..after all..what are friends for...

guard.... idhar aao...


bank main entrance ka bada sa shutter girane ke baad apne manager aur field officer ko door se dekh wahin khada tha ek gaurd jo HARISH ki awaaz sunte hi lapka uski taraf..


GUARD-jee sir...!!!

HARISH-madam ka ghar dekha hai...!!!

GUARD-jee..

HARISH-ye inki scooty ka tyre puncture ho gaya hai..isse banwa kar inke ghar chhod doge..!!!baaki bacha rakh lena..


500 ka ek note nikaal us guard ke haath me thamate hue kahi ye baat HARISH ne...


VERONICA-arre itna zyada dene ki kya zaroorat hai...???


50 ke andar puncture ban jaana tha..450 alag se dena sahi nahi laga tha VERONICA ko..


HARISH-bilkuk zaroorat hai...out of bank, hamare employee nahi hain ye..aise me itna benefit toh milna hi chahiye...

ab ye sab chhodo aur bina if aur but ke baithiye is gareeb ki car me...


passenger door ko kholte hue bade adab se sir halka jhukakar kahi ye baat HARISH ne jispar smile karte hue apni scooty ki chaabi us guard ko dekar car me baith gayi VERONICA...

DHABBBB...

VERONICA ke baithne ke baad door band kar ek vijayi smile face par odhte hue dekha HARISH ne us guard ko jisne bhi muskurate hue halka sa thumps up kiya usse..

REASON...

lunch hours ke baad VERONICA ki scooty ko puncture ussi guard se karwaya tha HARISH ne taaki bank hours ke baad lift dene ke bahane kuch der aur woh uske saath reh sake aur saath hi saath bina bulaye hi sahi,VERONICA ke ghar pahunch jaaye woh...


IN CAR:-


VERONICA-hello..haan theek hai..de do...

RADHASWAMI NAGAR me ghar hai mera...GLOBE CHOWK se right...

HARISH-aur right ke baad central venue building waale round about se left...

akashwaani tower ke baaju se phir right aur aa gaya tumhara RADHASWAMI NAGAR...

jaanta hun mai us colony ke baare me...


kisi ko phone me apni sanshipt baat bol call hangup karne ke baad jab VERONICA ne apna adress batana chaha toh us baat ko beech me hi kaat usse khud pura karte hue apni car right ki taraf turn ki HARISH ne jispar....


VERONICA-arre,yahan kahan mod rahe ho...GLOBE CHOWK toh straight aage tha...

HARISH-pata hai..par shayad tumhe ye nahi pata ki aaj dopahar se hi kisi demand ko pura karne ke liye logon ne us chowk ko pura block kar diya hai aur dharne me baithe hain...

ab udhar se bike nahi nikal sakti toh meri car kahan se niklegi...!!!

VERONICA-oh....

HARISH-fikr mat karo..ek reputated bank manager ke saath ho tum..kidnap nahi karunga tumhe mai...

VERONICA-hahahaha...pata hai..par agar tum kidnapper hote bhi toh fark nahi padta mujhe...

HARISH-acha.. aisa kyun...???

VERONICA-kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi...

HARISH-kyun nahi hoga...???

VERONICA-SANVY...

HARISH-SANVY.. tumhara beta..uska kya lena dena is baat se...

VERONICA-pura ghar hi drop kar rahe ho tum mujhe yaa chowk par hi chhod doge..??

HARISH-ye kya baat hui..?? ofcourse ghar hi drop karunga...

VERONICA-toh khud dekh lena...


ek smile ke saath kahi VERONICA ne ye baat jisse dekh man me..


HARISH-ye toh aise react kar rahi hai jaise koi top hai iska ladka..school going student hi toh hai..

haan,nayi nayi jawani ka khoon hoga toh garam hona laazmi hai par agar zyada ubaal maara toh kar denge usse bhi thanda...


man man hi khudse ye sab bolne ke baad ek aur right liya HARISH ne par is baar VERONICA ne usse toka nahi..

darasal globe chowk se hokar hi bina ghume jaaya ja sakta tha RADHA SWAMI NAGAR..

par agar koi bhi aur route pakda jaaye toh GLOBE CHOWK ke peeche se pura ghumte hue nikalna padta tha jisme waqt kaafi lagta tha..

VERONICA ko pata tha woh pura ghumavdaar route isiliye kuch kaha nahi usne..


HARISH-so, normally sundays ko kya karti ho tum..???apne bete ke saath hi time spend karti ho ya kuch friends bhi hain jinke saath hang out karti ho...

VERONICA-friends hain hi nahi yahan mere...haan kuch pehchaan ke log hain jinke ghar kabhi kabhar aana jaana hota rehta hai..

aur rahi sundays as in holiday ki baat toh woh mujhe bas apne bete ke saath spend karna hi acha lagta hai...

work load aur uske upar continous site tours ki wajah se waqt zyada milta nahi mujhe uske saath isiliye jitna bhi spare time milta hai,usme i like to be with my son..


HARISH-matlab social life zero hai tumhari..

phir itni beautiful hone ka kya matlab hua bhala...!!!

VERONICA-hahahaha..tumhe maalum hai naa ki ye beautiful waala compliment aaj do baar de chuke ho tum...

HARISH-ab jo sach hai so hai..usse ek baar kya hazar baar bolne me bhi kaisi burayi basharte tumhe bura naa laga ho..laga kya..???


VERONICA ki taraf dekhte hue puchi ye baat HARISH ne jispar muskurate hue..


VERONICA-khubsoort shabd koi gaali toh hai nahi ki buri lage.. anyways,ek baat batao,is duniya me sabse khubsurat kya hai...???

HARISH-ye kaisa sawal hua..??itni saari beautiful chizen hain duniya me aise me kisi ek cheez ko sabse upar kaise rakhen..???

VERONICA-bilkul rakh sakte hain...!!!!agar woh chiz nature ho..

nature se khubsurat kuch nahi.. par kya kabhi nature ko apni khubsoorati ka bakhaan karne ke liye shor ke beech khudko adjust karte dekha hai..!!!

nahi naa..kyunki jahan shor hota hai,wahan sabkuch mil sakta hai bas nature nahi...

nazaare wahi sukoon deh aur khubsoorat hote hain jahan shaanti ho,sukoon ho,akelapan hone ke baawjud santushti ho...

apne bete ke saath mujhe wahi sukoon milta hai...chhutiyon me jab saath hote hain toh zyada baatein nahi karte hum..

camping karne hill side ya lake point par jaate hain hum dono..

aur woh bhi meri scooty me...

charcoal waali sigdi le jaate hain saath hum jisme woh wahan mere liye lunch bana deta hai aur mai jab woh ektak nature ko dekhte baitha rehta hai,uske sir ki maalish kar deti hun...

baal halke bade rakhta hai woh jispar alag alag tarah ke hair styles try karti hun mai aur mere waisa karne me mooh ban jaata hai uska..

chidhne ki acting bhi karta hai.. acting isiliye kyunki mana nahi karta kabhi..

aise hi ul julool par shaant aur sukoon bhare palon me kab woh holiday khatm ho jaata hai,pata hi nahi chalta..

prakriti ki us khaamosh khubsoorat godh me hum maa bete khud me magan apni life ka best day enjoy karte hain...

ab isse meri khubsoorati zaaya hoti hai ya nahi,ye toh nahi jaanti mai par haan,woh pura din mera zaroor khubsoorat ban jaata hai aur mere liye wahi kaafi hai...


dhyan se sun rahe VERONICA ki baaton se ab kahin na kahin HARISH SANVY se bina mile hi jalne laga tha..

maa aur bete ke is unheard bonding se usse man hi man taklif hone lagi thi..

uska plan VERONICA ko apne rang me rangna tha par uski duniya me uske bete ki ehmiyat itni zyada thi jo khatak rahi thi usse...

khair,in sabke baawjud dheeth toh tha hi HARISH isiliye indirectly alag alag tarah se healthy flirt karte hue gaadi ausat gati se bhi behadh dheeme chala is drive ko jitna ho sake lamba karne me laga hua tha woh...





OUTSIDE SANEEL'S RESIDENCE:-




HARISH-so,this is your house..nice....


lagbhag aadhe dehradun ka gol chakkar lagate hue lagbhag aadhe ghante baad HARISH ki car finally VERONICA ke ghar ke saamne khadi hui..


VERONICA-yes.. that's my house and more importantly, that's my son...aaiye,milwati hun...


bahar chabutare par hi baitha tha mai jispar muskurakar kahi thi ye baat MAA ne..

wahin apni taraf ka door khol mujhe dekhte hue HARISH bhi badha meri taraf...

ek dubla patla sa aur bhola sa dikhne waala ladka..aakarshak chehra par patle hone ki wajah se woh aakarshan khul ke saamne nahi aa raha...

mujhe dekh mere personality ka aakalan nikalte hue man hi man..


HARISH-ye hai VERONICA ka angrakshak...!!!!chaar thappad me hi behosh ho jaana hai isse toh...


man hi man hasta hua MAA ke piche piche mere pass pahunch chuka tha HARISH jiske baad...


VERONICA-HARISH,meet my son..SANVY...aur SANVY ye hain...

HARISH-mera intro mai hi de deta hun...hie SANVY,myself HARISH KHATRI...


haath meri taraf badhate hue apna intro diya tha HARISH ne jispar halki si smile naach uthi thi mere face par..


REASON..


woh tarika jisse haath aage badhaya tha usne.. sidha nahi tha uske haathon ka line balki usse tedha kar jis wajah se hatheli neeche ki taraf ho gayi thi,rakha tha usne apna haath...

jiska matlab tha ki mujhe usse haath milane ke liye apna haath uske haath ke neeche rakhna padega..

darasal aise haath milana asal me saamne waale ke liye ek message hota hai....message saamne waale par apni superiority dikhane ka...

apni dhaak samjhane ka..isiliye hi smile di thi maine par phir jaisa HARISH chahta tha waisa hi kiya maine..


MAI-SANVEER AHARYA...


neeche se uske hatheli ko pakad apna pura naam bata hand shake kiya maine jispar smile karte hue garmjoshi se mere haath ko apni hatheli me grab sa kar halka zor laga hilate hue...


HARISH-kaafi suna hai tumhari mom se tumhare baare me maine...

bohot lucky ho tum..you have a very loving and caring mother..

MAI-i know...

HARISH-waise tumhari mom bata rahi thi ki bete ke saath saath bodyguard bhi ho tum inke...

VERONICA-woh toh hai ye..aur woh bhi without salary...


hamesha ki tarah mere gaal ko bigaad haste hue kahi thi ye baat MAA ne jispar..


HARISH-well i can feel that.. kaafi strong grip hai tumhare bete ka...

par ek chuk ho gayi aaj...


mera haath jisse abhi bhi waise hi neech rakh thaama hua tha,usse ek baar phirse shake kar usse chhodte hue kahi thi ye baat HARISH ne jisse sun..


VERONICA-kaisi chuk...???

HARISH-arre wahi.. puncture ho gayi thi tumhari scooty aur akeli hi thi tum.. woh toh acha hua ki...

MAI-ye scooty...


us HARISH ki baat beech me kaat apne dusre haath se ghar ki taraf ishara kiya maine jahan dekh mom toh normal hi rahi par HARISH ki aankhein badi ho gayi..

hamari hi scooty rakhi thi ghar ke side me jispar ab se pehle dhyan nahi gaya tha HARISH ka..

OM THAKUR..issi colony se mera ek friend jo laaya tha scooty bank se,mom ko smile de aur mujhe bye bol woh apne ghar ki taraf badh chuka tha..

khair,kuch seconds shock se scooty ko dekh...


HARISH-ye yahan kaise...???ye toh bank ke saamne puncture hokar khadi thi...

MAI-puncture nahi thi ye..bas hawa nikal gaya tha.. puncture hoti toh puri hawa nikal chuki hoti par kuch air points baaki the isme...

HARISH-aur ye tumhe kaise maalum...???

MAI-aapne hi toh kaha naa ki bodyguard hoon mai MAA ka..ab bodyguard toh apni duty karega hi...

HAHAHAHA...


meri baat par mom toh has di par aakhon me sawal liye HARISH mujhe hi dekh raha tha isiliye...


VERONICA-arre daily 5.15 tak ghar pahunch jaati hun mai...par agar 5 minute bhi upar hua toh ye nikal jaata hai bank ki taraf..

MAI-coffee house me baithe the aap dono isiliye MAA ki scooty ke paas hi khada ho gaya tha mai apne friend ke saath..

VERONICA-tune dekha jab mujhe coffee shop me toh andar kyun nahi aaya...???

MAI-relaxed mood me aakhri baar kab gayi thi aap coffee shop..???3 saal pehle...

isiliye socha scooty ke paas hi wait kar leta hun...


meri baat sun sir shake kiya MAA ne wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAI-scooty ke pass pahunchte pahunchte nazar gayi meri uske front tyre par jiski hawa nikli hui thi toh mai aur OM gaye air filling machine lene...

wapas loute toh aap dono car se nikal hi rahe the...

air fill kiya aur guard se call karwa confirmation liya ki scooty le jaa raha hun mai aur nikal gaya...

(NOTE:-ussi guard se baat kar rahi thi VERONICA car me baiththe ke just baad)


VERONICA-aage ki baat mai batati hun...OM ko bol scooty uske haath hi bhijwa di tune yahan aur khud uski bike par hamare piche aane laga...

HARISH-really...???


MAA ki baat sun hairangi se bhar mujhe dekhne laga HARISH..

"kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi..

REASON...SANVY"...


man me HARISH ke is waqt MAA ki kahi mere baare me ye baat ghum rahi thi...


MAI-waise itna ghum kar kyun aaye aap dono...???

VERONICA-woh GLOBE CHOWK me koi dharna tha kya jisse pura raasta jaam ho gaya tha.. isiliye pura ghum kar aana pada hume...

MAI-really..par GLOBE CHOWK toh khaali tha...

HARISH-wwoh dopahar me tha wahan dharna toh mujhe laga abhi bhi chaalu hoga..

ab aise me us taraf se jaane ka risk nahi liya maine...

halka hadbada gaya tha HARISH par kisi tarah khudko normal rakh apni baat boli usne jispar..


MAI-anyways thanks sir MAA ko drop karne ke liye...

HARISH-ahh...don't mention it...ok then,chalta hun mai...see you tomorrow in bank...

VERONICA-ok..bye...


ek formal smile MAA ko dene ke baad HARISH apni car ki taraf mood gaya..

mai bhi ek sea off gesture ke liye uske saath ho liya..

car ke paas pahunch driving door khol meri taraf mooda HARISH jispar...


MAI-waise GLOBE CHOWK me dharna dopahar ko bhi nahi tha..mai nikla tha us waqt wahan se...

kisi ne GALATH info di thi aapko...


meri baat sun man hi man kuch zyada hi hadbada gaya tha HARISH jispar baad smile karte hue..


MAI-anyways,it was nice to meet you sir..


haath aage badhate hue kahi ye baat maine jisse nervousness me turant hold kiya HARISH ne par tabhi meri smile jo thodi aur badh gayi thi,usse dekh nazar uski hamare mile hue haathon par gayi jiske baad man hi man jhunjhla gaya woh...


REASON...

is baar mera haath upar tha aur uska neeche...

power se twist kar apne hatheli ko ghumate hue straight karne ki koshish ki usne par kar nahi paaya woh...


MAI-bye sir...


muskurate hue sea off kiya maine usse aur uska haath chhod apne ghar ki taraf badh gaya mai.

wahin apni kalayi ko ghumate hue mujhe jaata hue dekhta raha HARISH aur...


HARISH-saala hai kya ye chiz...!!! behenchod,tez bhi hai aur dum bhi hai.. beta HARISH,jo bhi karna hai,is saale se bach ke karna hoga verna...





pata nahi saala kab, kahan, kaun sa ganith LAGAYEGA....

us baadal ki tarah laga ye jo bin mousam hi mere upar CHAAYEGA....

isse door rehkar hi kareeb lana hoga iski MAA ko apne warna...

tamasha banaane nikle hain, apna hi tamasha ban JAAYEGA...












AAJ KE LIYE ITNA HI...











AAPKA APNA V...J...
Harish veronica k karib akar uske saath galat karne ki soch raha lekin samne sanvy ayega usko ye malum nehni.usko ek jhatka mila sanvy se mulakat karke.
 

Rajesh

Well-Known Member
3,857
8,185
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DUBEY SIR SANEEL AHARYA KE UNPAR KIYE EHSAAN KO YAAD KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SANVY APNE DOSTON KO SUSPEND HONE SE BACHA LETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-8


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS




OH BHAI...KASAM SE YAAR..AGAR YAHAN YE BAALIKAAYEN NAHI HOTI NAA TOH THREE IDIOTS ME THANKS KEHNE KA RIWAZ" JAHAN PANAH,TUSSI GREAT HO,"TOUFA KUBOOL KARO" ABHI KE ABHI LAAGU KAR DETA MAI....


mujhe zabardasti hug karte hue kahi thi ye baat NITS ne..

PRINCI ke office se aate aate recess khatm ho chuki thi isiliye class me toh hum mese kisine koi baat nahi ki par jaise hi baaki ki teen classes ke baad school over hone ki bell baji toh mere sabhi friends lapke meri taraf aur NITS ,joki mere baaju me hi baitha hua tha,usne turant hug kar liya tha mujhe..

wahin us gale padu ko khudse hataya maine aur..


MAI-hath be CHO.......MU.....

abbe kya kar rahe ho..???hato be sabke sab...


DU ko MU karna pada mujhe kyunki ANJALI,NAISHA,RASHI ke saath KHANAK bhi hamare paas aa chuke the..

wahin ,mere NITS ko hathaate hi SAM, EKPREET, RAJAT aur SONU bhi sidha kood hi pade the mujhpar jispar chidhte hue un sabko hatane laga mai par saalon ko fark hi nahi pada..

kuch time mujhe chaaron taraf se hug karne ke baad khud hi alag hue sab ke sab jiske baad...


EKPREET-sach me bhai..aaj ek baar phirse bacha liya tune...

RAJAT-aur woh bhi PRINCI se...i mean, it's like a next to impossible thing yaar..

pichle 6 saal se RANJANA MATTHEWS hamari PRINCI hain par maine aaj tak nahi suna ki unhone apna koi faisla aise badla ho..

SONU-kkyunki aaj sse ppehle unkke kkisi ffaisle kke bbeech appna SANVY bhi toh nnahi aayya nna..

MAI-beta ye zyada ho gaya...

SAM-naa, it's true buddy...jis tarah se tu ghumata hai,bhale woh haath ho,laath ho yaa phir dimag, it's mesmerizingly rare...

EKPREET-haan yaar, uncountables baar you have saved our asses man...

just like yesterday..un SAMRAT waalon ko kya pela bhai tu.. DUSHYANT ki puri dushtatha ki nichod di..

MAI-tumhe kya hua...??


baaton ka rukh modne ke liye KHANAK se kahi maine ye baat joki halki sad dikh rahi thi jispar...


RASHI-kuch nahi yaar..aaj morning hi apne dad se daant khaayi hai isne... isiliye madam ka mood subah se hi thoda off hai..

NITS-baap ki daant se bhi mood off hota hai...??? gazab...mere saath bhi aisa hota toh mai saala ab tak depression me hi chala gaya hota..

apna toh ulta hi hai..jis din bhi mere baap ne mujhe gaali nahi di hai,mujhe lagta hai woh mera baap hi nahi hai..


HAHAHA..


NITS ki baat par sabhi has pade the aur khaaskar KHANAK ke face par bhi ek halki si smile naach uthi jisse dekh..


MAI-bina chaand ke din me hi "EID MUBARAK" ho gaya aaj toh...

NITS-hain....!!!ab ye kya bakwas ki tune...???


KHANAK ko halka sa dekh kahi thi woh baat maine jispar jahan ek taraf NITS ke sawal se sehmat baaki sabhi mujhe dekhne lage, dusri taraf SAM jisne meri baat aur meri nazar, dono ka rukh dekh liya tha,woh halke se muskurane laga wahin teesri taraf KHANAK jisne mera ishara aur meri nazar, dono hi padh li thi,uski smile sharam me badal chuki thi..

anyways,sabko mujhe ghurta paakar...


MAI-abbe,kal suni thi kisi se ye line..achi lagi thi par bhool gaya tha mai...

subah se yaad karne ki koshish kar raha tha mai,abhi achanak se yaad aa gayi toh mooh se nikal gaya....

ANJALI-bas faaltu chizen hi toh yaad karni hoti hai tujhe...kabhi book ka, syllabus ka kuch yaad kiya hai tune...

MAI-kuch chizen kabhi nahi ho sakti ANJALI UDAASI...mera syllabus mese kuch yaad karna utna hi naamumkin hai jitna tera meri baaton ke beech bina apni chonch ghusaye rehna..


SANVEER AHARYA..AAPKO PRINCIPALS OFFICE ME BULAYA GAYA HAI...


meri baat par ANJALI kuch kehti ki ek baar phirse peon ne classroom ki entrance me aakar ye baat kahi jispar..


SAB-phirse..

RAJAT-ab kya ho gaya yaar..??

BHAI,WOH ROHAN KA BAAP DEVANG MALHOTRA AAYA HAI..USSINE SANVEER AHARYA KO BULWAYA HAI...


ye tha apna SATTU jisne peon ke saath khade hote hue apni baat kahi thi aur jisse sun mere sabhi dost khade ho gaye...


EKPREET-what the fuck..woh kisliye aaya hai aur usse SANVY se kya kaam....???

RAJAT-aur kya kaam hoga..???us ROHAN ne bata diya hoga ki SANVY ne kal usse bhi maara tha..

ab ye DEVANG MALHOTRA thehra SIRIUS ka TRUSTEE... zaroor apne bete ki kutaayi ke liye SANVY ko dhamkaane aaya hoga..

MAI-nopes...tum sabka suspension rok diya gaya hai but ROHAN ab bhi SUSPENDED hai..

aur reason mera statement hai jisme kal jo hua,usme woh sole culprit hai isiliye aaya hai uska baap..

SAM-jo bhi ho..hum sab saath jaayenge tere... bhale hi tu sahi tha,par hai toh woh trustee hi.

apni dhouns zaroor dikhayega woh..

MAI-relax dude..kuch nahi kar sakta woh mera..

NITS-abbe woh TRUSTEE hai... kuch bhi kar sakta hai..

MAI-GALATH..woh trustee zaroor hai par akela nahi..their are three bodies that run SIRIUS...woh akela kuch nahi kar sakta, isiliye as i said,relax..kuch nahi hoga mujhe...

SAM-bhai,hum toh saath chalenge...aur tu isme behes nahi karega..


ANJALI,NAISHA,KHANAK,RASHI.tum sab ghar niklo...hum sabko thoda late ho jaayega..

chalo guyz..


apni baat bol bina meri sune SAM aur uske saath EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU princi ke office ki taraf badh gaye jiske baad mai bhi muskurakar sir ko shake karta hua un sabke piche ho liya...



PRINCIPAL'S OFFICE:-



KNOCK,KNOCK,KNOCK..

PRINCI-come in..


ma'am ki permission milte hi mai, mere saath saath SAM, EKPREET, RAJAT aur NITS bhi unki cabin me enter kar gaye..

is waqt apni chair par PRINCIPAL MA'AM baithi hui thi aur unke saamne chair par puri akad ke saath three piece suit pehne ek aadmi joki ROHAN ke dad DEVANSH MALHOTRA the,ek pair par dusri pair chadhaye baithe hue the..

unke theek piche ek 6 feet 2 inch lamba aur kaafi tagda black safari pehne middle aged aadmi khada tha joki DEVANSH MALHOTRA ka body guard tha.

waise is waqt uske 5 body guards aur bhi the par woh sab PRINCIPAL'S OFFICE ke bahar khade the..

anyways,hum sabke andar aate hi jahan ek taraf DEVANSH MALHOTRA ghumkar hume dekhne lage wahin dusri taraf jab ma'am ne mere saath mere doston ko dekha toh woh samajh gayi ki meri fikr thi un sabko aur isiliye woh bhi mere saath yahan aaye hue hain.

ye jaan ek smile naach uthi unke face par jiske baad..


MA'AM-SIR...kal jo bhi hua,ye sabhi students uske victims bhi hain aur witness bhi...

aap khud hi puch lijiye...

DEVANSH-mujhe sirf SANVEER AHARYA se baat karni hai...baaki sab bahar jaaiye...


mujhe ghurte hue kahi ye baat us DEVANSH MALHOTRA ne jispar..


SAM-sorry sir but jis reason se SANVY ko yahan bulaya gaya hai,usme hum sab bhi shaamil hain..

in fact,humari wajah se hi SANVY kal ki incident ka part bana tha..so,if he is gonna be here, than so are we...


SAM ki baat sun ab DEVANSH MALHOTRA ki ghurti nazar mujhse hath uspar tik gayi jiske baad...


DEVANSH-SMRITI CHANDER ke bete ho naa tum...!!!

(SMRITI CHANDER.SAM'S MOM.one of Uttarakhand's leading DIAMOND MANUFACTORS COMPANY,"GLITTERS" ki C.E.O...pure uttarakhand me lagbhagh 50 branches hain GLITTERS ke)


SAM-yes sir...

DEVANSH-isiliye itni akad hai...

MAI-akad ka reason kuch aur hai sir...actually, SAM is the champion of SIRIUS...

kayi wannabe iski jagah lena chahte hain par le nahi paa rahe..

ab aise me thodi akad toh hogi hi..

you can ask your son about it..usse ache se pata hai...


HHHHNNNH.

meri aakhri baat sun mere sabhi dost sir neeche kar halka sa has diye jisse dekh DEVANSH MALHOTRA ka woh ghussa jo woh badi mushkil se dabaye hue the,woh bhadak gaya aur...


DEVANSH-i very well know about SAMEER and his background...but the question is who the hell are you jo pehle toh mere bete par ilzaam lagate ho aur phir is school ke trustee ke aage zubaan chalate ho...

you will pay for this..aur woh bhi abhi...your are resticated...right now..

PRINCI-no,he is not...


DEVANSH ki baat sun turant halke zor se kahi ye baat PRINCI ne jispar DEVANSH unki taraf palta aur..


DEVANSH-what did you say..???maine pucha nahi hai PRINCIPAL tumhe ki isse nikalna hai ki nahi..bataya hai..

and don't you forget ki mai SIRIUS ka TRUSTEE hun aur tum sirf ek PRINCIPAL...so don't dare to overtalk on my decisions....

PRINCI-correction sir...you are one of the TRUSTEE..you don't hold full authority of SIRIUS...

infact,baaki TRUSTEE'S bhi full authority hold nahi karte..

SIRIUS kul teen pillars par khada hai.. pehla pillar aapka hai as in TRUSTEE'S..

dusra hai STUDENT'S BODY ka aur teesra hai TEACHER'S BODY ka jiski head mai hun...

aur kyunki STUDENTS BODY bhi hamare antargath hi aati hai, isiliye kisi bhi student par koi faisla lene ka adhikar mera zyada hai..

agar aapko yaad ho toh issi sharth par maine SIRIUS join kiya tha ki STUDENTS affair ka pura hold aur zimmedari meri hogi..

toh agar SANVEER ya kisi aur students actions ke liye unke saath kuch bhi karna hai,toh woh sirf mai karungi..

aur agar as a TRUSTEE aap apni power ka misuse karenge toh phir i am sorry...

i have to resign from my post...


ab yahan fati DEVANSH MALHOTRA ki..RANJANA MATTHEWS koi normal PRINCIPAL nahi thi..

pichle 6 saal se woh is school ki principal hain..

par unhone SIRIUS ka PRINCIPAL banane ke liye koi interview nahi diya tha balki unki achievements aur talent ko dekh SIRIUS ne saamne se unhe ye job offer ki thi aur woh bhi unki saari sharton ke saath...

baaki ke TRUSTEES RANJANA MATTHEWS se aur unke aane ke baad SIRIUS ke har department me jo speed growth hui hai, usse behadh khush the..

aise me unka yun resign karna bohot bada issue create kar deti jo SIRIUS ke reputation ke liye kaafi bura hota..

ye jaanta tha DEVANG MALHOTRA aur isiliye..


DEVANG-fine...you will stay kid.. atleast for now,in school....

can we have a moment alone PRINCIPAL..


DEVANG MALHOTRA ki baat sun PRINCI kuch bolne ko hui par tabhi...


DEVANG-dont you worry PRINCIPAL...bilkul fikr mat kijiye..kuch nahi karunga mai aapke is student ko..

HMMMNNN...


DEVANG MALHOTRA ki baat sun ek baar firse mere sabhi doston ki halki si hi sahi,par hasi chhut gayi jiske baad un sabko dekha DEVANG MALHOTRA ne aur...


DEVANG-have i joked or something...??

NITS-joke hi toh kiya hai sir...aapne kaha,aap kuch nahi karenge SANVY ko..

actually sir,ye iska nahi aapka health insurance hai...

HMMMMNNN..


ek baar phir has diye mere baaki sab dost NITS ki baat sun par DEVANG ke just piche khada uska body guard NITS ki baat sun taav me aa gaya aur aage badhne ko hua par tabhi DEVANG ne haath upar kar usse rookne ka ishara kiya..

aisa kar piche mood DEVANG MALHOTRA ne ek baar princi ko dekha jiske baad woh apne hi cabin se bahar nikal gayi.

maine bhi baaki sabko bahar jaane ko bola jiske baad mere sabhi friends bhi ma'am ke piche piche cabin se bahar nikal gaye aur phir...


DEVANG-aakhri mouka de raha hun.school se,infact apne parents ke saath dehradun se nikal jaa ladke..zinda rahega...

MAI-parents...mere parents ke baare me kya jaante hain aap...???

DEVANG-kyun,jaanana chahiye tha..

ek average ghar se hai tu...bas itna pata chala mujhe jiske baad jaanane ke liye kuch bacha hi nahi..

har average middle class ghar ki typical kahani ka hissa hai tu..

apni aam si kamayi ka har aakhri ounce jodkar tere mom dad SIRIUS me bhej paate hain tujhe...

MAI-correction...mom dad nahi,sirf mom...dad guzar chuke hain mere..

par jab woh zinda the, you have met him once..yaad hoga aapko...???

DEVANG-do you even know,who i am...i am DEVANG MALHOTRA...har din saikdon logon se milta hun mai...

some of them are V.I.P'S...jab unhe yaad nahi rakhta mai toh who the hell was your father jisse mai...


MAI-SANEEL AHARYA...HUSBAND OF VERONICA PAUL AHARYA....

bohot kareeb se mile ho aap mere dad se...


naam hi kaafi hai..is jumle ka practical matlab abhi dekh raha tha mai apne saamne...

mere dad aur phir mom ka naam sun kuch pal puri tarah chup hi ho gaye DEVANG MALHOTRA....

par phir achanak..


DEVANG-and your dad is..

MAI-dead..par sher ki dahad uske khamosh hone ke baad bhi kaafi der tak gunjti hai,and i think you know it too...

meri baat ka matlab badi achi tarah se samajh rahe the DEVANG MALHOTRA..

mere dad ki death ke 2 mahine baad jab unhe is baare me pata chala tha tab unhone meri mom ko unki post se hatane aur saath hi hamare ghar ko avaidhya dikhate hue giraane ki bohot koshish ki thi but asar kuch alag hi ho gaya..

kyunki unke waisa karne ki koshish karte waqt hi unke company ke 6 branches me INCOMETAX ki raid padi..

kisi bhi corporation me lagne waale corporate tax ya phir A.M.T jisme har company net taxable income ko manupalate kar profit leti hai,DEVANG ENTERPRISES ke un saari tax filings aur unme dikhaye gaye frauds saamne aane lage the..

itna hi nahi, DEVANG ke jitne bhi political connections the,woh bhi without reason bataye cut hone lage jiske baad unki fati aur unhone hamari taraf kabhi mood kar dekha bhi nahi...

par aaj SANVEER AHARYA yaani ki mere roop me woh naam,SANEEL AHARYA,jinse hui bhar ek direct mulakat woh bhi bas 5 minute ki,taaza ho chuki thi DEVANG MALHOTRA ke zehen me....

woh memory jisse apne conscious brain se toh bhula chuke the woh par unke subconscious brain me ye do naam aur inke saath unki hui bas woh ek mulakat jaise permanant tattoo ki tarah imprint ho chuki thi..


MAI-i will take your leave sir...


DEVANG MALHOTRA ko unke us paused haalath me chhod me muskurata hua cabin se bahar nikal chuka tha..

waise mere baad chal toh DEVANG MALHOTRA bhi pade the par dimag me unke ab bhi chal raha tha mere dad ke saath unki hui pehli mulakat ka drishyam...




SAATH SAATH PEHLE:-



CITY-DEHRADUN

PLACE-MEAL CAGE(RESTURANT)





KAISA CHAMP HAI YAAR TU...???ITNI DISHES RAKHI HAI SAAMNE PAR TUJHE BAS KETCHUP HI CHAKHNA HAI AUR WOH BHI CHILLI....!!!!

apni godh me lekar baithe chote se SANVEER ko dekh muskurate hue ek mithi si shikayat ki uske dad SANEEL ne..


(SANEEL AHARYA:-exact 6 feet lambe behadh aakarshak chehre aur khudki mehnet se banaye lajawab sharir ke maalik..aankhein itni gehri maano saamne waale ko hypnotize karne ke liye banayi gayi ho..

har waqt face par smile par kaaran har baar alag.peshe se toh ye ek investor banker hain par saath me aur bhi kayi kaam aur pehchaan hai inke... personality itni lajawab hai inki ki agar VERONICA ke saath khada koi unhe match kar sakta tha toh woh the SANEEL)

anyways,apne dad ki baat sun bina kuch kahe bas saamne plate par rakhi chilli sauce ko me finger chips ka ek behadh chota sa tukda thodi der tak ghumata raha SANVEER aur phir usse mooh me daal zor zor se chabane laga....

PANEER RAJDARBARI, CHICKEN MUGLAYI aur aise hi kuch aur lazzatdaar dishes rakhi hui thi table par lekin apne chote se SANVEER ko bas chilli sauce hi bhaaya tha...

kabhi finger chips ke saath par zyadatar aise hi lick kar raha tha woh us chilli sauce ko jispar uske dad SANEEL ne ek mitthi si shikayat ki par phir khud hi halka sa sauce lekar khud bhi chakhne lage jispar saath baithi unki wife aur SANVEER ki mom VERONICA bas muskura uthi...

aisa har baar hota tha jab SANVEER kuch alag karta tha tab uske dad pehle toh usse tokte the par phir uske saath milkar woh khud bhi wahi kaam karne lagte..


SANEEL-arre yaar...jeans gayi meri...


sauce jo SANVEER ne khaate khaate apne dad ki jeans par gira diya tha,usse dekh ye baat kahi unhone jiske baad..


SANEEL-pakdiye apne laadle ko madam..mai zara washroom se aaya...

VERONICA-bhuliyega mat.. sirf sauce saaf karne jaa rahe hain aap...

hair set karte aur chehra dekhte mat khade reh jaana varna yahan khaana thanda ho jaayega..


SANEEL ki washroom jaane par ki jaane waali har baar ki harkat ko yaad dilaate hue ek taana sa maara VERONICA ne jispar..


SANEEL-begum saahiba,hamara aayna aapki aankhein hain..

agar ghanton dekhna hi hai toh inme khud ko naa dekhe hum...

VERONICA-jo mahine me ek baar apna chehra dikhate hon,unke ek do ghante ki didaar-e-talab zyada maayne nahi rakhte..


ek mithi shikayat si thi VERONICA ke is tanz me jispar...


SANEEL-aapke hi hukm ki taamil kar rahe hain hum jaan..warna agar hum apni chalane lage toh ek mahine kya,ek din bhi alag naa ho hum aapse...

VERONICA-baatein banana ho gaya ho toh apni jeans ka khayal kar lijiye...

ek minute aur ye daag apni jagah raha toh sirf paani se saaf nahi hoga..


jahan VERONICA ki is baat par bas smile dete SANEEL washroom ki taraf badh gaye wahin unke jaate hi ab VERONICA apni godh me baithe SANVY ko finger chips khilane lagi par tabhi...


EXCUSE ME...YOU ARE MISS VERONICA PAUL RIGHT..B.O.B'S newly oppointed FIELD OFFICER..


ek roubdar awaaz padi VERONICA ke kaano par jispar jab unhone apne saamne dekha toh ek anjaana chehra unke saamne tha..

TOM FORD ki ek behadh mehengi grey colour ke suit pehne ek above average lookin middle aged banda khada tha VERONICA ke saamne jiske kuch zyada hi rahees hone ka saboot the uske piche khade 6 hatte katte bodyguards...

chehre se ghaagh aur ghamand,dono hi tapak raha tha us bande ke jisse analyse karte hue..


VERONICA-jee..but MISS nahi MRS VERONICA PAUL AHARYA... that's my name and the right introduction...


HELLO, MYSELF DEVANG MALHOTRA...DEVANG ENTERPRISES KA CHAIRMAN..

haath aage badhate hue kahi ye baat DEVANG ne jispar...


VERONICA-DEVANG ENTERPRISES...aap hi ki company ke DEHRADUN branch ke manager se kal meeting hui thi meri..


bina haath milaye SANVY ko liye baithe baithe hi kahi ye baat VERONICA ne jispar apne us badhaye haath ko rub karta hua neeche kiya DEVANG ne aur...


DEVANG-jee,mai ussi enterprise ka owner hun...loan proposal ke liye aaya tha mera manager aapke bank me par mujhe bataya gaya hai ki aapne loan ke liye mana kar diya...

VERONICA-loan nahi paas karne ka reason mai aapke manager ko bata chuki hun..aap unse details le lijiyega..

now if you will excuse me...is waqt mai apni family ke saath hun..toh abhi mai work related baatein nahi kar paaungi...

DEVANG-oh come on VERONICA ji...aap jaisi khubsoorat shaksiyat kaam ki baat bhi kare toh woh pleasure se kam nahi hoti...

chaliye,aapke bacche ko ghar drop karte hai aur phir aaj ki raat i mean shaam saath guzaarte hain..

aur zyada sochiyega mat..DEVANG MALHOTRA ki company har kisiko naseeb nahi hoti...


DEVANG ki baat sun ek second ke liye VERONICA ka face sakht ho gaya par phir achanak se hi unke face par smile naach uthi...

apne bete ko jiska face is waqt DEVANG ki taraf hi tha,usse ghumate hue unhone apni taraf kar liya..

wahin dusri taraf jab DEVANG ne VERONICA ko smile karte dekha toh uske face par ek proud smile naach uthi aur woh VERONICA ki taraf badhne ko hua par tabhi...


DHABBB..DHABBB...KHATTT..DHAAKKKK...AHHHHHHHH...


6 baar ajeeb si awaazein aayi jinke saath dabi awaaz me cheekhein bhi thi jiske baad naa sirf DEVANG ke badhte kadam rook gaye balki woh turant piche ghum bhi gaya aur aisa karte hi uski aankhein hairat se badi ho gayi...

uski hi kya,is waqt resturant me moujud har shakhs apni jagah me khada aankhein faade is taraf hi dekh raha tha...

reason...

uske 6 bodyguards neeche zamin par behosh pade the aur un sabke beech ek behadh hi aakarshak aadmi apni aastin ko theek karte hue neeche kar raha tha jiske baad woh DEVANG ki taraf badha aur theek uske saamne pahunch...


SANEEL AHARYA... VERONICA'S HUSBAND...

raatein guzarni hai aapko...aur koi farmaish...???

DEVANG-you..who the hell do you think you are..???

SANEEL-maara tere aadmiyon ko hai,kaan tere band ho gaye..

DEVANG-tu jaanta hai tu kisse baat kar raha hai..???

SANEEL-DEVANG MALHOTRA..cosmetic goods ka dhandha hai tera..pure uttarakhand ko make-up karata hai tu..

election ke waqt moujuda C.M ko bhi acha khaasa chanda diya tha tune...

masoori,shimla aur manali me kuch hotels, resorts bhi hain tere...ye tha tera intro jiske hone naa hone se koi fark nahi padta..

main sawal ye hai ki meri biwi ke saamne kyun khada hai tu..???

VERONICA-200 crore ka ek loan approval chahiye tha inhe jiske liye mana kar diya tha maine..

ussike baare me baat karni thi inhe...

SANEEL-200 crore...hmm..jaisi teri company ki production aur distribution hai,har saal kamsekam jitna tune maanga hai,200 crores, utne ka toh clear profit hota hai tujhe...

2000 crore se upar toh araam se sirf pure asset savings hogi teri..

phir bhi loan lekar nayi production karni hai tujhe..

taaki AT,BT tax par overall kamsekam 70 crore ki funding bacha sake aur damaged goods jisse tum log wrapers me kam keemat lagakar quantity wise,zyada paise me bechte ho,uske through 50 crores tax deductible amount se kam karwa sake..

kamsekam teen banks se toh tune already ye kaam kar bhi liya hoga but peth nahi bharta naa tum brasht logon ka...

kutte saale..jitna mila,jahan se mila,khaate jaayenge...

DEVANG-you mother fu..

CHATAKKHHHH... CHATAKKHHHH.. CHATAKKHHHH...


DEVANG angrezi me maa ki gaali puri kar paata,usse pehle hi teen baar chala SANEEL ka haath aur jab woh haath ruka toh DEVANG ke honth,naak aur kaan ke kinaaron se khun nikalne laga tha.

wahin restaurant me baithe log DEVANG MALHOTRA ko joki dehradun hi kya,pure uttarakhand ka ek naami hasti tha,ache se jaante the,usse yun maar khaate dekh bhouchhake se reh gaye the...

wahin jo teen thappad pade the,unke asar se bahar aane me hi DEVANG ko kuch seconds lag gaye par jab woh kuch sthir hua toh uski aankhein ghusse aur apmaan se jal uthi aur..


DEVANG-i will bloody destroy your life...


ye bol apna mobile nikal ek number dial karne laga DEVANG par screen par flash hote naam joki yahan DEHRADUN DISTRICT ke superintendent ka tha,dekh liye tha SANEEL ne jiske baad bijli ki speed se DEVANG ke haath se phone chhin liya usne...


ye dekh jahan DEVANG smile karne laga sochte hue ki SANEEL dar gaya wahin S.P ke dialed number ko kaat uski mobile directory check karne laga tha SANEEL jiske baad ek number par atka woh aur usse dial kar diya..


C.M.....

yahi number flash ho raha tha is waqt DEVANG ke mobile screen par jisse dekh DEVANG ki smile hairangi me badal gayi aur ye dekh..


SANEEL-abbe phone lagana hai toh kisi aise ko laga jisse baat karte waqt SANEEL AHARYA ko insult feel naa ho..


HELLO,JI DEVANG SIR...


phone ke dusri taraf tha C.M ka P.A jiski awaaz aate hi SANEEL AHARYA ne mobile speaker par kar usse DEVANG ke saamne kar diya jo waise hi surprised reaction ke saath..


DEVANG- C.M sahab se baat karwaiye...

P.A-C.M sahab toh abhi ek meeting me baithe hain...agar kuch important kaam hai toh aap mujhe bata dijiye ya phir jaise hi woh free hote hain,mai unki aapse baat karwa deta hun...


SANEEL AHARYA bol raha hun..

P.A-maaf kijiyega SANEEL AHARYA JI...mujhe maalum nahi tha..ek minute rukiye,mai baat karata hun...


DEVANG kuch kehta,usse pehle SANEEL ne apna naam bataya.. sirf apna naam par shayad utna hi kaafi tha kyunki naam sunte hi hadbadate hue jo turant jawab aaya P.A ka usse sun DEVANG ki aankhein apni aakhri hadh tak faile chuki thi..

is beech P.A pahunch chuka tha C.M ke paas jiske baad..


C.M-M.R SANEEL AHARYA..what a pleasant surprise..kahiye,kya kar sakta hun mai aapke liye...???

SANEEL-mere saamne DEVANG MALHOTRA khada hai...and he wants to destroy me... isiliye phone lagaya hai aapko...

zara help kar dijiye iski...

C.M-kyun mazak kar rahe hain SANEEL JI...???

SANEEL-mazak me hi sahi..kar dijiye help..baat kijiye..


ye bol SANEEL ne phone pakda diya DEVANG ko jiske baad phone speaker se hata kaan se lagaya hi tha usne ki..


C.M-DEVANG...ye kya bol rahe hain MR SANEEL..??? it's all a joke, right...???

DEVANG-pehle aap batao,hain kaun ye jisse itne salike se baat kar rahe hain aap...???

C.M-dhyan se suno DEVANG...???agar ye sab mazak hai toh koi baat nahi par agar tumne MR SANEEL se kuch bhi ulta sidha bola hai toh turant maafi maango unse...

trust me,you will not want to go in his bad books..

DEVANSH-what...???kya bol rahe hain C.M sahab...i am bloody DEVANG MALHOTRA...

aur aap keh rahe hain ki mai kisi raah chalte se maafi maangu..!!!

C.M-raah chalta!!!kisi raah chalte se ek C.M apni zaroori meeting ko hold me rakh baat nahi karta DEVANG..

ek baat aur.unhe sirf ek hafta lagega...sirf ek..tumhari woh position,tumhari company jiske dum par tum khudko bada samajh rahe ho,usse khatm karne me..

and trust me, kuch nahi kar paaoge tum... isiliye phir kehta hun,maafi maango aur unse apna rasta badal lo...

beep....


jahan itna bol phone cut kar diya C.M ne wahin apne face par wahin purani hairat jo ab kuch aur badh chuki thi,usse liye palta DEVANG par tabhi...

apne just saamne SANEEL ko dekh hadbadakar piche hath gaya DEVANG..

is waqt SANEEL ki godh me unka chota sa beta tha jo apne pitah ki hi tarah DEVANG ko dekh raha tha..

SANVY ke baalon ko sehlate hue halke se muskura rahe the SANEEL jisse dekh..


DEVANG-who are you...???

SANEEL-ek aam aadmi...

DEVANSH-what...?????

SANEEL-kyun...???aam aadmi ko kamzor maanta hai tu...!!!

aam aadmi se khaas koi nahi hota...sarkaaren badal jaati hain jab aam aadmi apni raay badal deta hai..

hum bhi waise hi aam hai,par apne aap me khaas..



paani hai hum,magar samandar ke jisse PIYA NAHI JAA SAKTA...

dard hai hum,aur dard ko dard DIYA NAHI JAA SAKTA...

aam bande ki sateek paribhasha hain hum....

bina humare kaam KIYA NAHI JAA SAKTA aur,

bhid kar humse JIYA NAHI JAA SAKTA....













AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J....
Ultimate update bro maza aa gaya
 

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,309
174
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KI SCOOTY GUARD SE PUNCTURE KARWA HARISH USSE USKE GHAR TAK LIFT DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY SE MIL USKI SHARPNESS DEKH SE HARISH GHABRA JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-26


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

DATE-1ST OF AUGUST...





I HAVE GOT A VERY GOOD NEWZZZ...


phone kaan se hata jeb me daal VERONICA ke cabin me ghuste hue bade excitement se kahi thi ye baat HARISH ne jispar apne laptop ne kaam kar rahi VERONICA aakhon me sawal liya usse dekhne lagi...


HARISH-tumhare ULIP aur PPF plan ko delhi head branch ne clearence de di hai...

infact,un dono hi plans ke report charts par bhi directors ne sign karkar F.M.O bhej diya hai...(finance minister's office)

and the last plan,APF,uski monitoring bhi chalu ho chuki hai..

agar us plan ke liye bhi tumhara taiyar kiya hua plan sahi laga board members ko joki i am damn sure ki unhe lagega hi then agle week aaj hi ke din tak woh plan bhi approve ho F.M.O bhej diya jaayega...


jitne excitement se HARISH ne ye sab bataya tha, VERONICA ne unhi hi simplicity aur saadgi se smile di aur..


VERONICA-mera nahi...tumhara plan...promise kiya tha tumne ki credit in teeno plans ka tum hi loge.

mujhe sirf ek subordinate ki tarah hi bataoge sabko woh bhi agar pucha gaya toh..


waise toh VERONICA ko ye sab bolne ki bhi zaroorat nahi thi..

kyunki HARISH ne pehle hi B.O.B directors ke aage teeno plans ka shrey khudko hi de diya tha..

infact ye subordinate waali baat bhi gol kar gaya tha woh aur isiliye B.O.B state officer ke liye uska naam recomend bhi ho chuka tha..

par apne fake goody nature ka dikhawa karte hue VERONICA ki baat par udaasi bhara expression laaya RAJESH aur...


RAJESH-but kyun..??? kyun khud ke kiye itne hard work ko mere naam karna chahti ho tum...!!!

tumhe pata hai naa isse tum yahin ki yahin reh jaaogi aur mera promotion ho jaayega...


chehre par zamane bhar ki sharafat laa VERONICA ke table par apna pichwada tika kar baiththe hue kahi thi ye baat RAJESH ne...


VERONICA-is type ke projects se jo promotions milte hain, woh kadmo ko nayi jagah bhi le jaate hain...

aur maine pehle hi kaha tha ki mujhe apni ye post aur ye sheher bohot pasand hai jisse mai kisi bhi haal me chhod kar nahi jaaungi...

so, promotion tumhe hi mubarak ho...aur acha hai naa,kisi bade city me high ranked position par baithoge tum jahan monthly analysis ka jhanjhat hi nahi hoga...

HARISH-well normal conditions me toh mujhe is baat se khush hona chahiye tha,but ab aisa hai nahi...

VERONICA-really..???aur woh kyun bhala...???

HARISH-ab ye sheher apna jo lagne laga hai..


VERONICA ki taraf halka aage jhuk uski aankhon me jhaankte hue kahi thi ye baat HARISH ne jispar ek second usse dekh halki hadbada gayi VERONICA aur turant apne laptop ko checkout karne lagi..


aur ye sab dekh halki smile naach uthi HARISH ke face par jiske baad apna haath aage kar laptop ko band hi kar diya usne..


VERONICA-arre ye kya kiya...!!! account page open tha...

HARISH-dobara open ho jaayega...infact ghar par kar lena..abhi ek choti si coffee break le len...

VERONICA-abhi..!!!!bank hours shuru hue 1 ghanta bhi nahi hua aur tumhe break chahiye...

HARISH-no time is wrong time for coffee...

VERONICA-hahahaha....

HARISH-arre chalo naa yaar.. pleaseeee...


haath jodte hue plead si ki HARISH ne jispar haste hue...


VERONICA-ok ok..par pehle mujhe ye pending work khatm kar lene do..

zyada nahi,bas paanch minute ka kaam hi baaki hai...

HARISH-arre toh theek hai naa...laptop bhi saath hi le lo..


waise bhi coffee aane me 5 minute toh lagenge hi,tab tak tum apna pending kaam dekh lena aur mai tumhe dekh lunga..

VERONICA-excuse me...!!!

HARISH-arre mera matlab hai tumhare saath mai bhi tumhara work dekh lunga...

VERONICA-home work nahi hai jo check karna padega tumhe.. simple account chart hai...

HARISH-wahi toh.. simple work hai toh kahin se bhi kiya jaa sakta hai...

VERONICA-HARISH..bilkul chote bacche ki tarah zidh karte ho tum... coffee ki itni addiction...!!!

HARISH man me-zidh toh tujhe haasil karne ki hai mujhe..lath, addiction sab lag gayi hai..pata nahi kab pee paaunga tujhe...

VERONICA-kahan kho gaye..???

HARISH-wahi, additiction matlab coffee ke baare me soch raha tha...

VERONICA-really...???

HARISH-yup..aur isse pehle ki ye talab aur badhe,chalen...

VERONICA-chalo...


hathiyar daalne waale tone me kahi ye baat VERONICA ne aur apna laptop pakad HARISH ko cross karte hue uske aage badh gayi...

wahin usse follow kar ek thandi saans chhodte hue...


HARISH-kaash mere neeche aane ke liye bhi itni asaani se maan jaaye tu toh jeene ka maza hi aa jaaye...




SAME DAY:-




AISA LAG RAHA HAI DULHAN KI BIDAYI KE LIYE IKATTHA HUE HAIN HUM SAB...


SAM ki taraf point karte hue kahi thi ye baat NITS ne...

third period ke baad ki pehli recess khatm ho chuki thi par class me jaane ke bajaye school ground me khade the is waqt hum sab..

hum sab as in hamara section aur hamare saath B section...

REASON..

SAM.... 2019 national level I.Q competition me uttarakhand state ko represent karne waale do students me se ek...

us competition me jaane ke liye agle 3 ghante me DELHI ke liye flight thi uski..waise toh apne ghar se bhi airport ke liye nikal sakta tha woh par uske jaane se pehle PRINCI assembly me is uske is tour ka purpose sabhi students ke saamne highlight karna chahti thi taaki baaki students bhi SAM ke is feat se prerit ho future me khudko aur zyada nikharne ki koshish karen..

isiliye school aa assembly aur first three classes attend karne ke baad school bus se hi airport ke liye nikalne waala tha woh aur kyunki hum sab uske classmates the, isiliye hamari ye fourth class vacant rakhi thi PRINCI ne..

hum sab usse competition me jeetne ke liye best wishes dene ke liye yahan ground me gather hue the...


SAM-saale kabhi toh sahi aur positive examples de diya kar...


NITS ke comment par kahi thi ye baat SAM ne jispar apni khise niporne ke baad jab NITS ki nazar paas hi khade B section ke halke utre hue faces par padi toh...


NITS- kaisi lund jaisi shakal banayi hui hai in sabne..chudke toh nahi aaye ye sab kahin se...???

aur ye ROHAN...bina pant khole hi gaand maar li ho kisine,aisa thobda banaye hue hai ye...


bhale hi hamare school se ek ladka itne bade event ke liye choose hua tha par kyunki woh ladka SAM tha aur most importantly hamari section se tha isiliye chehre B waalon ke utre hue the aur is expression ko lead kar raha tha ROHAN ka face jahan udaasi baakiyon se thodi zyada thi..

ladkiyon ke kaano se bacha dheere par haste hue kahi thi NITS ne apni baat par naa sun paane ke baawjud B waale jaan gaye the ki woh un sabka hi mazak uda raha hai isiliye usse ghurne lage the woh sab...


ANJALI-list sambhal kar rakhi hai naa...???


sabhi girls jo is waqt SAM ke paas hi khade the,unke usse best wishes dene ke baad ANJALI ne ki apne kaam ki baat jispar..


SAM-paper pe toh likhkar diya nahi tha tumne jo kahin bhul jaaunga..

whatsapp kiya tha toh list intact hi hogi naa...

ANJALI-very funny..ek bhi chiz bhulna mat...!!!


ek warning si thi ANJALI ki baat me jisse sun..


MAI-arre aise kaise bhulega...??? aakhir tumhari shopping list se important thodi na kuch hai iske liye..

aur competition toh bas bahana hai..

asal me udhar ye tum sabki cheezen lene hi toh jaa raha hai..

SAM,bhale hi questions kam rat liyo, competition haar jaaiyo par list me se ek bhi saaman kam mat laaiyo...

ANJALI-tujhse baat ki maine...!!!

MAI-baat toh maine bhi SAM se hi ki thi...

ANJALI-shut up...

MAI-bilkul..par shuruat aap karen...

ANJALI-you...

KHANAK-oh,stop it yaar...SAM,maine suna hai lajpath nagar aur karol baagh market me latest with best price clothes milte hain..

time mile toh wahan chale jaana...

SAM-latest toh theek hai,but ye best price kya hota hai...!!!agar gaya toh best chizen hi lunga naa...

ANJALI-agar gaya matlab...kuch bhi ho jaaye,humari list ka har samaan lana hai tumhe...

ek kaam karna...delhi airport par utarte hi pehle puri shopping kar lena..

kya pata,venue me jaane ke baad mouka mile naa mile...!!!

MUJHE PATA NAHI THA SCHOOL PRIVATE TOURS KI FUNDING BHI KARNE WAALI HAI...


ek nayi awaaz ubhri hum sabke beech jisse sun jahan ek taraf baaki sabhi students alert mode me khade ho chuke the wahin dusri taraf ANJALI,KHANAK,RASHI aur NAISHA ki saansein upar neeche ho chali thi..

RANJANA MATTHEWS..hamari PRINCI thi ye jinhone abhi hui puri convo chupchap suni thi aur ANJALI ki kahi aakhri baat par apni pratikriya dete hue uske aur SAM ke taraf badh chuki thi...


PRINCI-firstly,apni friendship aur usme jatane waale demand school hours ke baad ke liye bacha kar rakho...

second but most importantly,ek national level competition me hissa lene jaa raha hai SAMEER...

is school ke saath saath pure state ki ummid ka bhaar hoga uspar..

aise me real friendship woh hoti hai jo usse cheer kare,back kare aur track par rakhe naa ki apni khwahishon ka bojh daal usse track se utaar de...

aap sabki class free karwakar aap sabko yahan SAMEER ko sea off karne ke liye bulaane ka maksad yahi tha ki competition se pehle school ke in final moments me isse aap sab woh housla den jo event ke waqt isse yaad rahe jo hua nahi abhi tak...

so,last 10 minutes..wish him best of luck..


is chote par most importantly,to the point speech ke baad SAMEER ke competition entrance ke saare documents joki national level ke hone ki wajah se bulk me the,thoda aage jaate hue recheck karne lagi thi ma'am.

MA'AM ke saamne se haththe hi jahan ek taraf baaki sabhi students baari baari SAM ko apni best wishes dene lage wahin dusri taraf MA'AM ki daant sun ANJALI, KHANAK, RASHI aur NAISHA ka mooh chota sa ho gaya tha aur woh sabse thoda piche hokar khade ho chuke the..

par ROHAN SAM ko wish karne ke liye aage nahi badha tha.. infact woh dekh bhi baaki sab jagah raha tha siway SAM ke..

aur bache mai,NITS aur SONU.hum teeno toh girls ka chota mooh dekh dheere dheere has rahe the aur ye dekh un chaaron ki udaasi ghusse me badal chuki thi..

anyways,sabke wishes par thanks bolne ke baad...


SAM-yaar,zor ki bathroom lagi hai...aata hun mai...


apni baat bol turant school building ki taraf badh chala tha SAM jiske kuch seconds baad SONU ko bhi apne mutrashaya me bhaaripan ka abhaas hua isiliye woh bhi lapka bathrooms ki taraf..


NITS-kya lagta hai...???nikaal lega apna lounda competition...!!!

10 STATE SE 20 REPRESENTATIVES HONGE WAHAN...1ST,2ND,3rd CHHOD,9TH BHI AA GAYA TOH BOHOT BADI BAAT HOGI SAM KE LIYE...


AJAY TIWARI....B SECTION me ROHAN ka bestie tha ye jo abhi ussike baaju me khada tha..

ek khilli bhare awaaz me kiya tha usne ye comment jisse rokna chaha tha ROHAN ne par apna dialogue woh bol hi gaya jiske baad ROHAN ne bas apna sir shake kiya...


MAI-baat toh sahi hai teri...SAM ka competition me jaana sahi nahi hai..

kisi aur ko bhejna chahiye tha...par kisse...!!!ab itna bhaari gyan bhara hai tere me toh tu hi bata de deserving candidate ke baare me...

NITS-woh toh theek hai par maine suna hai ki I.Q demo me puche gaye teen questions mese ek ka bhi jawab nahi de paaye the iski class waale...

MAI-toh isme inki kya galti..I.Q questions ke jawab dene ke liye I.Q bhi toh hona chahiye...

ab jinke dimag hi insaano jaise viksit na hue hon,unse akalmandi ki ummid kaise lagaye bhala...

HAHAHAHA...


meri baat par lagbhag puri A section hi has padi thi aur ye dekh B section aur khaaskar us AJAY ka mooh sooj gaya tha..

dobara kuch bolne ko hua tha woh par ROHAN ne uske kandhe ko dabakar naa me ishara kiya usse jispar apne ghusse ko peete hue shaant khada reh gaya AJAY..


ROHAN-sorry guyz...competitive attitude hai iska isiliye ye sab bol gaya ye...

SAM-kaun kya bol gaya ab...???


handkerchief se apna haath sukhaate hue hamare paas pahunch chuka tha SAM...


NITS-tere selection par apna param gyan joki hai hi nahi,de rahe the SHRI AJAY TIWARI..

issi ke gyan bhare tark ka kaaran justify kar raha tha ROHAN...

waise tu badi jaldi halka ho gaya..itne se susu ko naa rok paata tu...aadha water bottle jitna bhi nahi moota hoga..

SAM-yuk...water bottle.. seriously...saale tere examples bhi tere dimag ki tarah messed up hi hote hain..

aur bathroom isiliye chala gaya mai kyunki half an hour ka drive hai yahan se airport.. phir check in, boarding paas submission,in sabme bhi time lagta aur aise me pressure zyada lag jaati toh breakdance shuru ho jaana tha mera beech airport me..

MAI-saale, bathroom kyun gaya, iska bhi detail explanation dena hai tujhe... chutiya...

SAM-tu chutiya...

MAI-ab teta dost hun toh thoda asar toh hoga hi naa..

DHAKKKK...AHHHHH..


ek mukka jama diya tha SAM ne mere kandhe par jispar apne shoulders ko masalte hue..

MAI-tu wapas aa...loutata hun tera punch byaaj ke saath..

abhi mil lo re isse...2 minute hi bache hain ma'am ke 10 minute waale stop watch ko rookne me...

ek second bhi extra nahi milega uske baad...


meri baat sun haste hue EKPREET,RAJAT, NITS aur chaaron girls baari baari aage badh SAM ko hug kar apni best wishes usse dene lage...

SONU bhi apni mutra mukti kriya puri kar aa chuka tha isiliye un sabke baad usne bhi hug kiya SAM ko..

sabko hug karne ke baad meri taraf muda hi tha SAM ki tabhi..


ROHAN-all the best SAM...give it your best..


apna haath aage badhate hue kahi ye baat ROHAN ne jispar kuch seconds usse dekhne ke baad SAM ne bhi ek formal smile ke saath thanks kaha usse...


RAJAT-ye saanp aaj kaise sidha chalne laga guyz.. pehle uske bestie ki taraf se sorry aur abhi aage badhkar SAM ko khud congrats karna...

NITS-abbe kuch nahi PRINCI ke good books me rehne ka dikhawa hai bas...

koi naa,karne de noutanki..agar fun uthaya toh kuchalna toh aata hi hai hume...


wahan girls ke saath khade boys ye sab baat kar rahe the aur idhar ROHAN ke wish karne ke baad uske piche haththe hi SAM aaya mere paas aur...


SAM-so...koi advice...

MAI-black chaar paanch hai mere paas...white le aayio...

SAM-what...!!!!!

MAI-t-shirt...white colour me le aaiyo 2,3....

SAM-ek aur punch khana hai...

MAI-matlab t-shirt nahi laayega...waah beta, ladkiyon ka pura list lekar ghum raha hai aur hamari thodi si bhi kadar nahi...

SAM-tu naa sudharne waala..saale ek dozen laa dunga..happy...!!!

MAI-very....

PRINCI-ok SAMEER...time to go.. documents tumhare saare incharge sir ke paas hain...sabhi formalities wahi puri karenge...

you will not have to worry about anything...your only focus should be on the competition...

SAMEER-it will be ma'am...


apni baat keh us incharged teacher ki taraf joki SAMEER ke saath competition me jaane ke liye appoint hua tha,badh gayi ma'am..

kul 3 din ka trip tha ye SAM ka isiliye travel bag saath hi lekar aaya tha woh school..

abhi neeche ghaans par rakhi hui thi woh bag jisse uthane ki liye jhukne ko hua par usse pehle hi us bag ko utha liya maine aur bus ki taraf badh gaya..

mujhe aisa karte dekh SAM smile kar mere piche ho liya tha...

uska bag luggage cover me daal diya tha maine jiske baad mujhe bhi hug karte hue woh bus me chadh gaya...


MAI-SAM....


abhi dusri stair chadha hi tha SAM ki tabhi meri awaaz sun palta woh jispar..


MAI-kisi bhi dimagi pratiyogita,brainy competition me woh nahi haarte jinka dimag kam hota hai..

balki woh jeet nahi paate jinka dimag kam chalta hai....

aur dimag tab kam chalta hai jab over analysis ke chalte hum extra aur unwanted tention lete hain...

ye baggage mat lena,jeetega tu hi....waise bhi SIRIUS waale hain hum...

hum tention lete nahi dete hain...

SAM-yes sir...


ek smile ke saath mazak me halka sa salute kar bus ke andar chala gaya SAM..teacher in charge toh pehle hi bus me baith chuke the isiliye jaise hi SAM andar gaya, bus ka automatic door lock ho gaya jiske baad bus aage badh gayi...

window compact aur shut down the isiliye wahan se haath nikaal wave kar nahi sakta tha woh par bus ke aage badhte hi sabhi students SAM ke liye clap aur hooting karne lage the..

ye ek kism ka riwaz tha hamare SIRIUS ka...


PRINCI-nice talk...agar yaad rahi tumhari baat SAMEER ko toh zaroor jeet jaayega woh...


mere piche hi khadi thi PRINCI is waqt jinki yun achanak awaaz sun waise toh koi bhi hadbada jaata par mai bade araam se ghuma unki taraf aur..


MAI-baat meri yaad nahi bhi rahi toh bhi jeetega wahi MA'AM...

PRINCI-really..itna confidence hai apne friend par...???

MAI-jee...

PRINCI-reason...!!!

MAI-he is very intelligent and sharp...desperate time me bhi asaani se nervous nahi hota woh...

and most importantly...


ye bol ek chota sa pause liya maine jispar...


MA'AM-most importantly..???

MAI-jo usse hara sakta hai,woh toh yahan hai...

can i take your leave ma'am...???


haan me sir hilaya ma'am ne jiske baad mai unhe cross kar aage badh gaya..

wahin mujhe piche se jaate hue dekhti rahi PRINCI par phir unke face par ek smile naach uthi aur..

PRINCI-baat toh sahi hai...waise bhi...





asli heera kaanch ki taraf toot kar BIKHARTA NAHI....

rutba aasman sa ho toh shohrat saansen thamne ke baad bhi MARTA NAHI....

haar ke dar se toh bohoton ne kadam piche liye hain magar...

us SIKANDAR ko kya kahen jo haar nahi sakta,ye jaankar bhi maidan me UTARTA NAHI....













AAJ KE LIYE ITNA HI...












AAPKA APNA V...J...
Awesome update ❤
 
Top