• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Emperor, Rule out Darkness:

Is the story of Emperor going good? Should I continue it? Choose after reading.

  • Yes?

    Votes: 30 96.8%
  • No?

    Votes: 1 3.2%

  • Total voters
    31

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,004
143
Peep Show Fate GIF
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Sr. Moderator
25,825
24,860
274
Annual Story Contest - XForum
Hello everyone!
We are thrilled to present the annual story contest of XForum!
"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Win cash prizes up to Rs 8500!"


Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 8000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 25th March ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th April 2025 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Important Links:
- Chit Chat Thread (For discussions)
- Review Thread (For reviews)
- Rules & Queries Thread (For contest details)
- Entry Thread (To submit your story)

Prizes
Position Rewards
Winner 3500 ₹ + image Award + 7000 Likes + 30-day Sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 2000 ₹ + image1 Award + 5000 Likes + 15-day Sticky Thread (Stories)
2nd Runner-Up 1000 ₹ + 3000 Likes + 7-day Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-Up 500 ₹ + 3000 Likes
Best Supporting Reader (Top 3) 500 ₹ (Each) + image2 Award + 1000 Likes
Reporting Plagiarized Stories imag3 200 Likes per valid report


Regards, XForum Staff
 

Had

A land seeker lost in the oceans of fire.
490
1,258
124
hello dear dosto, first of all aik boht bara sorry mn kafi koshish kay bad dubara apna account open kar paya hu. kafi problems chal pari thi life mn or un sab cheezon mn ye website be bar bar crash hori thi. so im back again or aik naya thread bna kar dubara say emperor ki dastan ko shuru kartay hi. apkay support ke umeed karta hun thanks.
 

Had

A land seeker lost in the oceans of fire.
490
1,258
124
Update-37:
The Trust Issues:
Abi tak Emperor ki kahani may:
Sad: check MONA!,
MONA: ok.
Ding: error check failure.
Sad: wha!
MONA: sorry baby. Maybe--------
Zan: hmph, humsay nahi milna mr. sad. Waisy acha laga sun kar kay ankhay tik ho gi tumari.
Sad: hmmm, side hato please.
Zan: nah hatu too?
Dono amnay samnay kharay huay aik doosray ko dekh he rahay thay kay tab he…………..
MONA: baby don’t
Sad: but how MONA---------
Now Next:
Mayusi galat hi kufer hi yea sab kehtay hai. Per jab yea mayusi meri takdeer ban chuki hi to ismay mai akhir kya kar sakti hun. Akhir meri is zindagi ka asal maqqsad kya tha or ab hi? Mujay har mod par Khushi kay libas may chupi hui wo gandi ghaleez mayusi he mili. To ab kya? Khud ko aisy he biknay dun ya koi ai ga mujay or meri jaisy baki ladkiyo ko yaha is jisam kay bhookay jungle say nikalnay. Mujay har nahi manani mujay yakeen hi us jaisa koi to hoga jiska dil abi tak mara nahi hi. Akhir achay log be to hai is dunia may. Jo in shetanno ka khatma kar kay hamay izet bakshay gay. Per hum kitna she sakti hai? Mujay himet karni hogi.
Ha, bilkul mai himet karu gi. Itni ahsani say dubara har man kay to nahi bichu gi. Nahi kabbi be nahi.
Din ka ujala to tha he per aik andehray kamray may a ladki Roshni ki us kiran ki Umeed bandhnay may khud ko surf kar rahi thi.
________
Doosri terf university campus ki class kay bahir corridor may kuch ajeeb sa he hua tha,
Zan or sad aik doosray kay amnay samnay khaday ho kar khamoshi may na Janay aik doosray ko kitni he batay suna chukay thay per abi be unkay chehray par aik ajeeb sa bao dekha ja sakta tha. dono kissy khas waja say andar he andar confuse thay. Ab dono ko samaj nahi ari thi kay samnay walay ka agla qadam kya hony wala tha.
MONA: baby let it go for now pleaseee!
Sad: per MONA yea kya hua abi?
MONA: mujay lagta hi hamara system abi proper upgrade nahi hua is he waja say yea clinch aya hi.
Sad: per he is just like others. Phir is pay he kiu yea error?
Yea sawal sun kar MONA be khamosh ho chuki thi.
Sad fil hal to confuse tha per aglay he pal
(pffft! Hahahah, tum to such much kuch or he ho. Wow maza ai ga game ka.)
Zan ke yea bat sad kay kuch be palay nahi pari thi. Wo Bechara to abi aik sadmay say nahi nikla tha kay zan ki us ajeeb se hasi nay usko or chonka dia.
Zan: ab tumay jana nahi hi kya? Come boy cross me or jao.
Sad: dekho please rasta chor do I don’t want a fight. Is bar sad ki tone ka confidence kafi hila hua mehsoos hua MONA or zan ko.
Zan: acha!, awe, kya hua tumay ab apnay ego nay chore dia kya. Class may to bohet hero ban rahay thay. Kya sirf tanya ki class may he himet ati hi tumay? Waisy bat logical to hi. Teacher mal ho to kon hero nah banay, (hahhaahah!)
Sad: *clutched fist!* how dare you!!, *angry face!*. zan ki batay sad kay conscious ko trigger kar chuki thi.
MONA: noooo, baby ruk jao not now.
MONA ki awaz ko ignore kartay jaisy he sad zan ke terf taizy say badha, wahi tab he-------.
Aik chodha saya dono kay tik bich-o-bich namoodar ho gaya.
MONA: fue bal bal buch gay.
Sad: kya matlab?
MONA: bad may batati hun. Jab bolri thi tab suna to hi nahi.
Ghulam baksh: gentleman ap kiu tang kar rahay hai sad baba ko?
Aik tanz or ghusy say bhari hui leher say Ghulam baksh nay zan say apnay simple say andaz may sawal poocha.
Zan: or apki tareef?
Ghulam baksh: apko yea pata hona zaruri nahi bus rasta choray. Werna-
Zan: werna?
Ghulam baksh: werna mujay staff members ko bula kay apki complain karni pad jai gi.
Zan: aik hath apni jaib may dal kar. Ja kay koshish karlo mai be dekhta hun mujpay kon action lay ga. Baki apnay baba ko sambhal kar rakho nahi to isko bachanay kay lia har bar tum ya koi or nahi hoga.
Bolta hua zan mud kar corridor say bahir ki janib chala gaya.
Ghulam baksh nay jaisay he usko jata dekha wo aikdum say sad ki terf muda or is bar uska chehra ghusay say lal hua tha.
Ghulam baksh: baba!, ap abi tik ho kar wapis ai hai or atay sath he apnay aj phir masla khada kar dena tha. agger aj mai nah ata to phir kuch bura ho sakta tha apkay sath. Kya apko zara se be fikar hi apni or apkay baba ki?
Yea sari batay sad kay ubaal ko pani bana chuki thi or wo aik obedient bachay ki terha sar jhuka kay apnay GB ka ghusa she raha tha.
MONA: bilkul aysa he hona chahia baby. You deserve it. Ab chup kar kay yea wali class be lo. Har waqat attack wise option nahi hota. Kabbi kabar thanday dimag say be soch kay faisla lo. Is terha to har bar hum mushkil may per jai gay. Tumari power aik weapon nahi hi is bat ko dimag may bitha lo.
Dono terf say batay sun kar sad ka dil kar raha tha kay wo zameen may he kahi ghus kay chup jai. Akhir dekha jai to galti to us say hui thi. Bina samnay walay ko samjay wo aik panic attack kay lia ja raha tha jo back fire be ho sakta tha. dono kay lecture kay doran sad ko khud he samaj ah chuka tha kay is bar usnay jald bazi ke.
Sad: I’m sorry GB ainda mai is cheez ka khas dehan rakhu ga kay yea dubara nah ho. Baki ap tension nah layn.
Ghulam baksh nay be sad ka confession sun kay kuch dare ki khamoshi rakhi or phir aik gheri sans lay kar bola. Hamay gher jana chahia baba.
Sad: chonk kay, gher? Per kiu.
Ghulam baksh: wo baba, Yasir ki call aii thi.
Ssad: to? Kya hua. Sab tik to hi nah. GB jaldi batai mujay. Is bar sad be thora tension may ah chuka tha. aj subha jab wo nashtay ki table par pohncha tha to usnay mr. khan ko aik message say ghabra kar phone ki screen band kartay dekha tha or jab poocha to unhonay jawab ki bajai usko uska naya phone thama dia tha.
Ghulam baksh: ge wo baba ap bus chalay. Mai apko kuch nahi bata sakta is time.
Sad nay yea suntay he taizy say Ghulam baksh kay sath parking ka rukh kia or uni say nikel gaya.
Jatay jatay parking ki terf achanek say pal bhar kay lia he uska dil zor say dherka.
Ding: experiencing surge.
MONA: someone close to heart is nearby.
Sad: shush MONA aysa kuch be nahi hi wo yaha kiu ai gi.
Per usko kia pata tha kay wo wahi per thi.
Rastay say kuch he dure zanny laiba or haya ko lay kar bethi hui thi or jo hal sad ka hua jaisy he haya ka dil zor say dherka usnay apni jhuki nazer ko palko ki jali say aazad kar kay sirf samnay dekha to usko sad nazer ah he gay ajis cheez say wo subha say bachna cha rahi thi sad ko dekh kar uska dil baykabu ho chuka tha or wo nah chahtay huay be zanny or laiba ki fazool se girl gossip ko ignore kar kay sirf or sirf sad per nazer tika kay beth chuki thi. Jaisy jaisy sad us rastay say guzer kar us say dure hora tha haya kay dil may aik ajeeb see khich pad rahi thi. Wo is bat pay be heran thi kay sad yaha kaisy aya jab kay uski bedrest kay din be baki thay or ab aya to itni taizy say kaha ja raha tha. in saray sawalo ko kabu kar kay wo aikdum uth gi or apna bag khol kay phone ko bahir nikala.
Uskay is terha kay behavior ko dekh kar zanny or laiba be chup ho kar usko dekh rahi thi kay akhir wo aikdum say kya kar rahi hi.
Zanny: kya hua haya. Anything wrong?
Haya: hadbadahat may, aik minute aik call kar kay ati hun.
Or kehtay sath he wo unsay thora dure ja kay call milanay lagi.
Zanny: she is so strange. Iska to pata he nahi chalta.
(kis ki bat hori hi guys?)
Yea awaz sun kar dono zanny or laiba nay doosri terf dekha to zan ko apnay us he cool andaz may unkay pass khada paya.
Zan: zanny kya hua and who is she?
Zanny: hua to kuch be nahi and she is my friend laiba.
Zan: a sweet friend you have. Kehtay he usnay hath laiba ki terf badha dia tha. glad to meet you.
Laiba bechari to zan jaisy personality ko dekh kar heran kay sath sath lal be hori thi upper say uskay style pay he flat ho chuki thi kay usko pata be nahi chala kay kab uska hath zan kay hath may aya or mila.
Zan doosri terf laiba ko dekh kar apni classroom frustration bhool chuka tha or aik charming gentleman ban kar usko mila. Ap ab yaha he rahay gi nah with us!!?
Laiba: um, ja-ge yes. Yaha he hun.
Zan: *smiles!!* great news. To kya yea wohi dost hi jiska ziker kia tha tumnay aj subha?
Zanny nay be zan kay question ko answer kar kay apna sar hila dia.
Zan: hmph, sahi ho gaya. Waisy tum dono kiski bat kar rahi thi kon strange hi?
Zanny: koi nahi bus iski aik friend aii hi or wo to pata nahi kis zone may rehti kabbi be kuch be kar dalti hi.
Zan: oh? Interesting to kaha hi wo strange friend apki? Aik or ladki ka sun kar zan apna ghusa sara bhool chuka tha or ab uski jaga aik excitement nay lay lee thi.
Laiba: gee, wo abi call karti hui us terf gi hi.
Uskay hath ka ishara follow kar kay jab zan ki nazer call per dure khadi bat karti hui haya per gi to uski un lal ankho may hawas ki chamak ah chuki thi.
(wow what a babe!)
Zanny: hay! Zan?
Zan: hmph, bolo? Kya hua.
Zanny: hmm, hua to kuch nahi per mainay us say bat ke hi and wo shaid hamara kam nahi karay gi. Kafi simple type behenji hi wo yar.
Zan: to isko kissy or tarikay say pakadna hoga.
Zanny: um, what?
Zan: ah, mera matlab hi kay yea kam tum muj per chore do aik dafa mai bat kar kay dekhta hun and phir hum plan ko execute kartay hai.
Zanny: jo be ho dekh lo kay kam hona chahia werna bohet problem ho jai gi.
Zan: don’t worry problem honi nahi ho chuki hi.
Zanny: uf ho yar pata nahi kya boltay ho tum kuch palay he nahi parta.
Laiba: jo be ho confidence kafi hi banday may.
Zan: *smiles* abi apnay kuch be nahi dekha my dear.
Laiba: oh really?
Wo log yea batay kar he rahay thay kay tab he apni call khatam kar kay haya taizy say unki taraf aii or jald bazi may apna bag pakad kay boli.
Haya: wo, excuse me mujay abi kay abi gher jana hoga. Kuch masla hi.
Laiba: yar haya aik minute suno to ye-----
Haya: abi time nahi hi. Boltay sath he hawa ke terha waha say nikel kar campus kay gate ki taraf bhad chuki thi.
Zanny: bola tha nah she is a fire.
Zan: wo fire hi to hum be ocean hi. Dekhtay hai kab tak ignore kar sakti hai mujay.
Zanny: huh?
Zan: by the way, mujay be kuch kam hi see you guys.
Boltay he wo aik taraf ko nikel gaya. Hala kay uskay zehan may sirf haya or uski wo khoobsuret tasweer jam se gai thi. Aik janver ki terha shikar ab uskay bilkul samnay tha or ab bari thi to usko hasil karnay ke.
Laiba or zanny dono usko jatay huay sirf dekh rahi thi. Dono kay dil or dimag may kuch to chal raha tha per wo dono bilkul khamosh rahi.
________
Wahi say kuch door khan residence may:
anum taizy say mr. khan kay pass unkay room may aii.
chachuuuu ye kya hua apko?
mujay btay ye sab kaisy hua ap to achay bhalay gay thay nah?
mr. khan: beta bus business may ye sab hota rehta hi don't you worry. bus please keep it a secret for me?
anum: but chachu may to haya ko bata chuki hun kay apka accident hua hi or wo be ari hi.
mr. khan: beta kya karti ho tum. wo bechari be tense hogi ho gi.
anum: ap ye sab choray or ai late jai please/ mujay batai hua kya tha.
mr. khan: kuch be nahi hua bus tum mera aik kam kardo mujay aik strong sa pain killer laga do takay sad kay anay say pehlay may tik ho jau.
anum: but chachu bina pata lagay may ye kaisy laga du apko?
mr. khan: anum please questions mat karo and do it.
anum chup chap khadi hui sirf mr. khan kay us chehray ko dekh rahi thi jis per aj confidence ke jaga dar or dard nay lee hui thi.
______
kuch he dare may khan residence kay compound may zoom ki awaz say aik gari ah kar ruki
Usmay say sad or Ghulam baksh nikal kay ahista ahista gher kay andar ki taraf Janay lagay.
Chaltay chaltay be sad ki dimag may wohi bat bar bar ah rahi thi. Kay us time zan ka status show q nahi hua.
MONA: are you ok?
Sad: no MONA aj kal kuch be ok nahi hi.
MONA: hmph, baby tum us baray may he q soch rahay ho? Dekho kuch cheezay time per ho to achi bat hoti hi.
Sad: MONA tumari koi be bat mujay samaj nahi ati ye kia game khel rahi ho tum meray sath he. System jab meray pass hi to aisa q hi kay mujay uska status show nahi hua?
MONA: silence.
Sad jaisy he khan kay kamray may dakhil hua uski is discussion ko aikdum say brake lag chuki thi jab usnay apnay baba ko us halat may dekha.
Sad: baba!! Ye sab kya hi.
Uski bat ka jawab abi aya nahi tha kay aikdum say aik hath seedha uski bazu per ah kar usko kamray say bahir ghaseet kar laya.
Ye koi nahi balkay anum thi.
Apnay us he ghusy kay sath jo wo subha say chehray per saja kar ghum rahi thi.
Anum: kaha thay tum? Ha!
Sad: mmm university but ye baba kay sath----
Anum: tumay zara sa be khayal hi kissy ka itnay selfish hona tum. Chachu ke halat jo be hi its you jo responsible hi sad.
Sad: but---- how me?
Anum: tum agger aj gher say bahir nah jatay to ye sab kuch be nahi hona tha. its only because of you. Ab thori dare kay lia chachu ko tang mat karna abi unko injection lagaya hi. Let him rest.
Sad wahi derwazay kay pass aik udas chehra lay kar khada ho chuka tha.
Anum: waha khaday kya kar rahay ho come with me.
________
Doosri terf hanya dubara say tayar hori thi apnay room may kay uska phone flash hua aik text message say. Haris nay jab ye dekha to chaha kay wo aj hanya ka mobile chupkay he sahi check to karay. Per ye bat hony se pehlay he hanya ka hath haris kay hath per ah chuka tha.
Hanya: kafi taiz hory ho?
Aukat bhool gay ho apni?
Haris: *pleading face!* nnnnn nahi to wo mmmmm tumay he dayra tha phone.
Hanya: *smiles!* acha to do na. uska hath dbati hui hanya nay apna chehra aikdum say serious kia. Jantay ho nah mujay phir be tum chahtay ho kay tumay may tumari jaga dikhau? So ok! Boltay he hanya ke heels utri or apna pao agay kar kay usnay zor sy haris ka chehra dbaya. Ye hi tumari asal jaga my dear husband. Samaj ari hi kay nahiii?
Haris bechara sirf apni bivi ka zulam chup chap bardasht karta hua Pichay ko bed per gir chuka tha.
Hanya: jo tumay kam kaha tha wo kia?
Haris: hhhhh han kar dia shaid tumay uska he notification aya hi. Please bus karo.
Hanya: hmmm agger nah aya hua to tum phir ready rehna is bar tumari saza dad kay samnay paish karu gi tumay.
_________
_______ apnay kamray may ah kar sad aik hara hua Khiladi ban kar bed per betha.
MONA: baby?
Sad: please MONA though kay tum muj may ho per aj mujay tumari in bato say doubt hora.
MONA: per baby.
Sad: owner may hun is system ka ya ye system mujay use kar raha hi apnay lia? Bolo MONA answer me. aik terf tum bolti ho kay ye mainframe system hi per tumnay khud dekha wo error. aikdum say kaisy wo error aya. tum mujay khul kar sab kuch q nahi batati. please MONA bolo/
MONA is say pehlay kuch bolti kay-------
Anum: sad! Ttt tum kis say bat kar rahay ho?
Sad: wtffffff/ God kya is say be bura or kuch likha hi meray lia?
________
to be continued.....
Note: mafi chata hun itna wait karwaya. story end nahi hui q kay abi hum baki hi or babu bahiya be. bus perhay or kohsish hi kay dubara say track per ah jai hum be or kahani be. thanks.
 
Top