Update 1
Sab kuch aacha chal raha tha in sab ki zindagi may.
Ek din gaon se Vaishali ka phone aya ki bhaiya jaldi chale aoo dada ji ki tabiyat kharab ho gayi unhe hospital may bhartti karaya hai abhi,
Tum jadi aa jao mujhe aur mummy ko Darr lag raha hai.
Mene kaha thik hai guddi (Vaishali ka Ghar ka naam) mein jaldi ata hu
Mein kuch hi der may Car

book kar k waha kuch pahoch gaya
4 ghante Lage Town se gaon aane may
Mein sidhe hospital gaya
To waha doctor ne bataya ki dada serious hai bachne ki umed kam hai kyu ki ek bete ki death k baad aur dusre beta
Humesha k liye videsh chale Jane k baad vo bhaut udas ho gaye thy
Aur isi gamm may vo chori chupe sharab pine lage thy
To isi wajeh se unka liver kharab ho gaye hai
Halaki vo jada alcohol nahi pite thy par unki age jada hone k karan unka liver kharab ho gaya hai.
(Ye baat hum logo ko pata thi par phir bhi hum log unhe kuch nahi kehte thy kyu ki vo kabhi kabhi hi thodi sharab pite thy)
Hospital may dono maa beti mujhe dekh k rone lage aur mujhse aa k gale lag gaye
Unhe rota dekh Mera Maan bhi rone jaisa ho gaya par mene apne aap ko samhala aur un logo ko thodi himat di sab thik ho jayega chinta na karo.
Chachi nay thoda apne aap p control kiya aur thoda shant hui par meri behen mujhe usne nahi chhoda.
Vo mujhse gaale lagi Rahi bahut der tak par thodi der may mene usse bhi shant karwa liya.
Mene un dono ko ghar bhej diya.
2 din bit gaye par dada ki tabiyat may koi sudhar nahi aya, aur 3 din baad dada bhi hume chodh k chale. Ab bhagwan ne humme anath kar diya.
Ye baat Chachi aur Vaishali jab pata lagi vo dono bahut rone lage, unki rone ki awaz sun k pura gaon ikatha ho gaya humare ghar p.
Mein bhi apne dada ki lash le k ghar p aya aur phir hume unka antim sanskaar kiya pue riti riwaj se. Unka mere ilawa aur koi relative nahi tha jiske liye hum sab wait karte
To unka antim sanskaar zaldi hi kar diya.
Aur kuch din wahi ruk k terwi bhi kar diya pure riti riwaj se.
Dada ko gaye 1 mahine ho gaya tha.
Mein 2 din Town may rehta aur 2 din gaon may kyu ki Chachi aur bahen akeli thi waha to mey bhi Up Down karne laga unke liye.
Dada ne saari property ka warish mujhe bana k rakha tha pehle se vo jante thy unke Jane k baad mein hi zimmedari le payunga, vo jante thy ki unke jaane baad unhe chinta karne ki zarurat nahi hai Chachi aur Vaishali ki kyu mein un dono se pyaar karta hu aur undono ko koi taklif nahi hogi.
Par aise baar baar Up Down karmay bahut dikkat ho rahi thi. ( Town se village - Village se Town)
Meri tabiyat kharab rehne lagi is karan se
Aise karte karte 3 mahine bit gaye
Meri sehat ko dekh k Chachi ne kaha beta tum ye baar baar Up Down na kiya karo tumhari tabiyat aur bigad jayegi.
Agar tum bura na mano to mein ek baat kahena chahti hu
Mene kaha ha Chachi batoo
To unhone kaha ab is duniya may tumhare siwaye kyun hai humara agar tumhe kuch ho gaya to humara kya hoga.
Mein chahti hu ki mein aur guddi tumhare sath hi chale Town aur ab se waha hi rahe.
To mein khush ho gaya ye sun k kyu ki baar baar Up Down kar k mein thak gaya tha.
To mene kaha thik hai Chachi jaisa tum kaho.
Aur phir hum taiyari karne lage kuch dino may Town Jane k liye.
To be continued.