- 3,777
- 16,044
- 159
✦ UPDATE 217 ✦
➤
Bb (dheemi, bhaari awaaz mai): …aur woh teer… sirf ek baar chal sakta tha… jisse koi bhi mar sakta hai.
Aditi (gusse aur dar mai): Dev bhi…?
Bb: Nahi… ab unke paas jo shaktiyaan hain… unke baad nahi.
Aditi (tez awaaz mai): Udhar se hum asaani se aur jaldi pahunch jaayenge!
(Woh dono tez bhaag kar uss taraf badhne lagte hain. Bb ek kala gola peeche fekta hai – Bhukhasur ke 3–4 sainik turant bhashm ho jaate hain.)
Bhukhasur (gusse mai dahad): Nahi…! Ab tune apni maut ko dawat de di hai!
Bb (thandi muskurahat ke saath): Marega toh tu… bas ek baar… hume waha pahunchne de.
(Tabhi unke samne ek rakshas aata hai.)
Guramasur: Pita, chinta na karo… main ise maar dunga!
Bb (tanz mai): Lagta hai tera baap pagal ho gaya…
Bhukhasur: Hat jaa waha se!
(Par usse pehle hi Bb ne us par waar kiya – aur saath hi Aditi ne bhi. Guramasur ki maut ki cheekh nikalti hai… dono aage badh jaate hain.)
➤
Aditi (saans phoolti hui): Uff… baal baal bach gaye!
Bb (thak kar, dheemi awaaz mai): Haan… bach toh gaye…
➤
Edhar:
Kaafi raat ho gayi thi… mujhe kuch awaaz aayi, toh main uth gaya.
Thodi bechaini thi… dekha toh Pari mere paas thi… maine uska haath hataaya, aur balcony ki taraf jaane laga.
Par jaise hi saamne dekha… main bhaag kar gaya!
Bb (zakhmi, thakaa hua): Samrat… yeh lijiye… aapki amaanat.
Mai (hairan, gusse mai): Yeh… kya kar diya tumne?!
Bb (thandi awaaz mai): Kuch nahi… bas… marte hue ek accha kaam karna tha…
(Saamne dekha – side mai Aditi ki body padi thi… khoon mai latpat.)
Meri aankho se aansu bhi nahi aa rahe the… soch bhi nahi sakta tha ki yeh sab etni jaldi ho jaayega…
Bb (thak kar): Main inhe bacha toh liya… par pankh nahi bacha paya…
Jab mai yaha pahunch hi raha tha… Bhukhasur ne woh teer chalaya…
Woh maine apne upar le liya… par yaha tak pahuchte pahuchte… usne Aditi ke pankh tod diye… aur wahi pheek diya…
Mai (aansu bhar kar): Tum dono ko kuch nahi hoga… mai hoon naa…
(Main apni shaktiyon se Bb ke ghaav heal karne ki koshish kar raha tha… par ho nahi raha tha.)
Bb (halki si muskurahat): Aapne… mujhe bhai keh diya… bas… yahi kaafi hai mere liye…
Alvida…
Mai (aankho mai aansu): Alvida… mere bhai…
(Bb ki body kaali dhuan ban kar ud gayi…)
➤
(Maine Aditi ko uthaya… bister par lita kar apni shaktiyon se heal karne laga. Pankh nahi rahe… toh pata nahi aage kya hoga.)
Kuch log sochte hain main bahut complicated hoon… par unhe kya pata… zindagi hi complicated hai…
Main toh koi gyaan nahi de raha… bas jab tak Aditi heal nahi hoti… soch raha tha…
Aur mujhe pata tha woh pankh kyon le gaya… aur aage kya hone wala hai…
Bas tension yeh thi… ki Pari ko agar sach pata chala… toh…
➤
(Tabhi room mai Pari aa gayi…)
Pari (aansu bhari aankho se): Bhaiya… yeh kya ho gaya Aditi ko… uske haath… aise kyon ho gaye…?
Mai (dard bhari awaaz mai): Pari… uske pankh Bhukhasur ne chhin liye… aur Bb ko bhi maar diya…
Pari (gusse mai): Aur aap… kuch nahi kar sake?! Bhaiya… aapko kya ho gaya…?
Woh Dev kahan gaya…? Jo bina shaktiyon ke bhi kuch nahi karta tha…? Jo jaadugaron aur veeron ko mitti mai mila deta tha… woh kahan gaya?!
(Main uska haath pakad kar samjhane ki koshish ki… par usse achanak kuch ho gaya…)
Pari (tez awaaz mai): Hatye! Vir se kayar ho gaye hain aap…! Lagta hai sabka pyaar aur fikr… aapko buzdil bana raha hai!
➤
(Shor sun kar Saloni, Neha aur Shikha aa gayi. Main turant ek shield banata hoon taaki koi aur na aa sake.)
Pari (dilon ko cheerte hue): Waah…! Ab toh badi jaldi shield chala diya… jab log marte hain tab kyun nahi bacha lete…?!
Saloni (uspar chilate hue): Tujhe kya…? Aur kyon chilla rahi hai…? Yeh bata, Aditi ko kya ho gaya?!
Mai (toot kar): Woh Bhukhasur ne…
Pari (beech mai): …Bb ko maar diya… inke dost ko… aur Aditi ke pankh cheen liye…
Aur yeh… shaanti se so rahe the…!
Neha (gusse se): Tu chup karegi?! Abhi sab ka time nahi hai…
Pari (toot kar): Waah! Mere liye toh kisi ke paas time nahi…
Meri baaton ke liye time nahi…
Mera pyaar bhi inhe chahiye nahi…
Main marr jaun ya zinda rahun… fark nahi padta…
➤
(Main uthta hoon… uski kamar pakadta hoon… usse khinch kar apne bahon mai le aata hoon… aur uske hoth mere hothon par rakh leta hoon. Woh tezzi se mere hoth chusne lagti hai…)
Saloni, Neha, Shikha – teeno chok gayi… aankhein phaad kar dekhne lagi…
Kuch pal ke liye… sab kuch… ruk gaya…
Woh… mere hothon ko kheenchne lagi…
Main ne uske hoth thoda se zor se hata diye –
Mai (dheemi, bhaari awaaz mai): Shaant Pari… shaant… gussa mat kar…
Pari ne apna shir pakad liya
Pari (aawaaz thartharati hui): Yeh… mujhe kya ho raha hai…? Mera shir… kyu ghoom raha hai…?
Mai (tez awaaz mai): Shikha! Isse apne room mai le jaao!
Pari (tooti awaaz mai): Bhaiya… aap bhi chalo na… mere saath…
Mai (aankhein jhukate hue): Pari… abhi Aditi ki tabiyat kharab hai… main aata hoon…
(Woh ruk ruk kar, nazar mai pareshani le kar chali gayi…)
➤
Saloni (teekhi nazar se): Kya ho raha hai…? Kya aap mujhe bataoge…?
Mai (thandi awaaz mai): Yeh ek behen pooch rahi hai… yaa… biwi…?
Neha: Aap bhi na… bataiye…
Mai: Wahi… jo tum sabko lag raha hai…
Saloni (dheere se): Kya… sach mai…?
Mai (thak kar): Haan… saayad yeh hona hi tha…
Jisey tum sabse zyada chaaho… woh hi tumse nafrat karne lage…
Neha (mazboot awaaz mai): Hum sab sambhaal lenge usse… aap chinta mat karo…
Saloni: Agar kuch chhupa hua hai humse… toh bata dijiye…
Mai (teekhi saans le kar): Yeh baat… tum na jaan pao toh hi accha hai…
Aur Neha… tu zara apna khoon iske ghaav par gira de…
Iske zakhm tez heal ho jaayenge… kyunki… tu… ek maada bhediya hai…
Neha (thoda sa gusse mai, nazar jhuka kar): Chahiye… hatiye… mujhe mat sikhaaiye… mai kya hoon…
Mai (mann mai, halki muskurahat ke saath): Uff… jaan bachi… mujhe laga aaj toh mai fas hi gaya tha…
➤
Hum wahi… baatein karte rahe… subah hone tak…
Aur phir… Aditi ki aankhein dheere dheere khul gayi…
Aditi (kamzor aawaaz mai): Mai… kaha hoon…?
Mujhe… meri maa se milao…
➤
Udhar:
Mahakaal (gambhir, gehri awaaz mai): Aao… aao… Bhukhasur…
Aakhir… tune woh paa hi liya… jo tujhe chaahiye tha…
Last edited:
