Maine sochya padded blouse kya hota hai. Mujhe ladkiyo ke kapdo ke baare me to pata tha par ye word he peheli baar sunna tha. Isliye sochne laga kahi maine kuch jada to gussa nahi kar diya ya koi galat chiz to nahi maag li. Fir maine google par dekha to samjha. Fir sochya chachi ye to pehen he skti hai. Isme kya problem hai. Fir se mummy boli.
Mummy- to kya hua. Le leti.
Chachi- kya didi aap he veera jaise he baat kar rahe ho.
Mummy- dekh Sangeeta tere jeth ji aur main to iss baare me tujhe kuch nahi bolte the. Ab veera naraz hai. Tujhe pata hai uska gussa kaisa hai. Isliye ab tu dekh.
Chachi- kya didi dara rahe ho. Veera mera beta hai. Dekhti hu apni maa se kitne din baat nahi karta hai.
Mummy- tum dono maa beta apna dekho main chali kitchen me.
Chachi- thik hai main bhi change karke aati hu.
Main apne bed par let gaya. Chachi ki chalte huye payal ki aawaz meri kaano me aayi. Mujhe samjh me aa gaya chachi meri room ki tarf aa rahi hai. Kuch he sec me meri room ka door thoda khula. Maine chor nazar se dekha to chachi mujhe dekh rahi hai.
Chachi- tera gussa shant hua he nahi kya.
Main- mujhe aap se baat nahi karni hai chachi jao yaha se plz

Chachi- dekhti hu na kab tak baat nahi karta
Main- ha dekh lena. Aur chachi bhi naraz ho kar Apni room me chali gayi. Raat ko jab sab khana khane dinning table par baith gaye. Tab chachi ne kavya ko kaha bhaiya ko lekar aao. Kavya meri room me aayi. Aur mujhe sath chalne kaha.
Kavya- chalo bhaiya khana khate hai.
Main- betu mujhe bhuk nahi hai jao aap khana kha lo.
Kavya- chalo na bhaiya sab aap wait kar rahe hai aur mujhe bhi bohat bhuk lagi hai. Maine kavya ki tarf dekha. Kavya ke samne to hum sab haar jate hai isliye main chup chap chal diya.
Dinning table par papa mummy baithe the aur chachi khana paros rahi thi.

Chachi ne meri tarf dekha aur smile kiya. Par mera gussa kam nhi hua tha. Kavya chair par ja kar baith gayi. Aur main bhi. Chachi ne pehele kavya ko plate paros kar di aur fir mujhe.
Main- (gusse se) mujhe nahi khana hai. Chachi meri tarf shock ho kar dekhne lagi.
Papa- tujhe kya hua khana kyu nahi kha raha hai.
Main- mujhe bhuk nahi hai.
Papa- ha bahar kha kar aaya hoga na.
Chachi- nahi bhaiya din bhar mere saath he tha. Kuch nahi khaya hai.
Papa- fir kyu nahi kha raha hai.
Main- (gusse se) btaya to bhuk nahi hai.
Mummy- veera aisa nahi karte. Khane par gussa mat nikalo. Main chup baith gaya.
Chachi- plz veera khana kha lo.
Papa- (chid kar) rahne do bahu khana hai to khayega.
Mummy- nahi ji aisa mat boliye. Chal beta khana kha le. Bhuke peth nahi sote.
Chachi- veera khana kha lo dekho tumhare liye mutton bnaya hai.
Main- mujhe nahi khana hai.
Papa- (chilla kar) ja yaha se nahi khana hai to mat kha. Jada hosiyar ban Raha hai kya. Teri maa bol rahi teri chachi bol rahi hai aur tu natak kar raha hai. Ja bhuka rah. Ja yaha se. Mere papa ko gusse me dekh kar mummy kavya aur chachi dar gaye aur chup rahe. Main bhi gusse se utha aur bike ki lene ke liye gaya to chachi bhag kar mere pass aayi aur mere hath pakad liya. Par main nahi rukha.

Chachi- plz veera aisa mat karo. Meri baat to maano
Papa- jane do bahu usse. Papa ki baat sunn kar chachi ne mera hath chodd diya. Aur main gusse bike nikal kar bahar chala gaya.
https://i.ibb.co/ch0YBJdY/on-the
-road-motorcyclist.gif