Update 08
Aakhir wo mahos ghari aa he gayi. Mai use station tak chorne gaya. Train ke jane tak mai bhagdor kar us ke liye pani falo ka intejaam karta raha. Bede bari Man se maine use bida kiya. Mujhe laga, lagatar mere sarir ka ek hissa cutata jar aha hai par mujhe to apne hiss eke pida bhogni thi, or use apne hiss eke.
Nupur kya gayi mera sara such chain he chala gaya. Mujhe sab kuch viran sa lagne laga. Barso tak jo baat sine mai chippi thi wo fir se papdi pade gawk o kured gayi. Won a milti to acha tha. Mai jald se ghar pahuchana chata tha taki raste mai koi mujhe rota hua na dekh le.
Nupur ke yaado ne fir se mujhe tod kar rakh diya. Uske bina kuch bhi karne ko man nhi karta. Jab man jayda beechen hone lagta to use lambe lambe khat likhta or fad kar fek deta.
Is umar mai jab mai zindgi ko samtene mai vayast tha, Nupur ke parti itni chahat bani rahegi, ye pahle pata hota to kabhi us se milta he nhi. Ghante Dino mai badal gaye, Din hafto mai or hafte mahino mai. Humare bich niranter sampark bana raha. Phone ke har ghanti par mai dil ke dharkan mai teji mahsus karta.
Mera VRS accept ho gaya. Maine sahar se dur pahadi par bani ek colony mai ek flat le liya or jab Nupur ko is bare mai batayato wo bhut khus hui. Pucha, “Kab tak kabja milega.”
“Wo sab to mil chukka hai, bas, Ghureparwes baki hai.”
“Acha kab kar rahe ho Ghureparwes?”
“Jab tum aa jao. Mera duniya mai hai he kaun? 14 March tik rahegi.”
“Samjh gayi, Tumhare janamdin wale din se acha or koi din ho sakta hai. Mai kosis karungi par mera itejar mat karna.”
14 March ke din subh se he mai ne ghar gulwa kar 2 gende ke malee darwaje par latka di thi or moli maiaam ke patte bhand kar upper turan band diya. Mujhe maa ke kahe sabd yaad gaye. Wok aha karti thi, “Bahar darwaje par aam ke paate moli mai guth kar jarur bandhana qke aam hamesha harabhara rahta hai.
Aam ke patte bandhne ke baad meri gharsthi kitni haribhari rahi is ko dekhne ke liye Maa mere bich nhi thi. Unke bare mai soch kar meri aankhe bhar aayi.
Mai mithai ke dukan se ek dibba kaju katli or namkin le aaya. Dono ko Nupur ko bhut pasand the. Mujhe asha nhi viswas bhi tha ke Nupur yaha pahucne ke harsambhv pryatn karegi.
Update 09
Mujhe Nupur ka jayda intejar nhi karna pada. Wo sidhe mere flat par aa gayi. Uske sath uske beti bhi thi. Ekdum waise he jaise Nupur ko maine bachpan mai dekha tha. Mujhe dekh uska chehra khil uthato man mai aaya ke use sinne se laga lo. AAj mere bache bhi itne he bade honge. Rundhe gale se mai itna he kah paya, “Kaash aaj mere bache bhi hote.”
“Ye bhi tumhari he bachi haifir bhi apne bacho ko dekna chate ho to samne dekho,” Usne mere kandho ko sahara le samne taxi ke tarf isara kiya, “Maine inhe hostal se le kar aai ho. Mai janti the ke Patni ke marne ke baad tum inke kami mahsus karoge.”
“Kya won hi rahi?” Mai chowk gaya.
“Unhe gujre hue to 6 month ho gaye. Unho ne jaan buj kar tum ko nhi bataya, “Fir mujhe ek tarf le ja kar boli, “In bachoo ke man mai ye bol kar tumhare parti zehar bhar diya gaya hai ke tum unke antim kaam kriya mai bhi nhi aayae. Badi muskilo or aaswasno ke sath in ko yaha layi ho.”
Mujhe apni aakho par viswas he nhi ho raha tha. Mai jhat se Nupur ko sath le kar Taxi ke pass gaya or kas kar bachoo se lipat gaya.
Thodi der sath rahne ke baad Nupur vapas jane lagi to mera man tutne laga. Kis adikar se use rook. Fir bhi bhare kanth se bola, “Nupur Mujhe is tarah akela chor kar mat jao.”
Wo kahmos asahtjta ko chipane ka praytn karti rahi. Uske chuppi mujhe niras kar gayi. Ek thandi dirgh saas le kar maine pucha, “Nupur, Kya mera koi adikar hai tum par?”
“Aisa sarir ka koi kona nhi jaha tumhara adhikar na ho,” Wo meri aankho mai jhakte hue boli thi. Uske sabd mere dil ke gahraiyo mai utar gaye. Jaise is chotte se letter ne jiwan ka sara nicor samaya ho. Fir dabdbai Aankho se boli, “Tum kya chahte ho?”
“Mai tumhe chata ho, Nupur. Kya ab hum sab sath sath nhi rah sakte?”
“Tumne aise chij mangi hai jo pahle se he tumhari thi.” Wo siskane lagi. Sayad wo bhi mujhe se sahara chati thi.
Maine ek bar bachoo ke taraf dekha. Mere man ke bhaw ko padhte hue Nupur boli, “Ab ye bache itne naadan nhi hai. Maine unhe apne or tunhare bare mai sab kuch saaf saaf bata diya hai. Kal puri raat bache mere sath he the. Ye sab kuch smjhte hai.”
Maine dur se bacho ke tarf dekha. Teeno bache aankho se is riste ko siwkar kar rahe the.
Samay kab, kaun se karwat badle koi nhi janta. Is naye bandhan ke jhurjhuri humare man mai bhitar tak fail gayi.
Happy rest life
THE END