Chapter 8:- Beginning of Agriculture 1
Arjun ne in beete tin dino mein kuch khaas nahi kiya tha usne bass apne subordinates ko Black Plan mein talented logon ko dhoondhne na kaam diya tha. Arjun bahut jald hi Dry City ki army ko increase karne ki firak mein tha isi liye use talented logon ki jarurat thi.
Akhirkar peechli hi raat Arjun level 4 par pahunch chuka tha. Abh bass uske dimag mein yahi tha ke woh ajj ek bahut vardi problem ko solve kar dega.
Arjun apne sath Buttler Ramesh aur sang do guards ke chal diya city ke west ki taraf jahan 100 m ghera gadha khooda giya tha. Buttler Ramesh ne in do guards ko khud sath chlane ko kaha tha jiska mtlb yeh tha ke dono bahut hi loyal hai aur ek v baat bahr nahi nikle gi.
Halanki un guards ko yeh nahi pata tha ke Arjun ek devine grade medicine ko dafnane ja raha hai. Lekin phir v guards sath the kahi aur log hamla na kar de kyunki Arjun abhi itna strong nahi tha.
Kuch hi samye mein arjun apne spiritual beast par us khali ilake mein pahunch gya jahan 100 m gehra gaadha kiya huya tha.
Arjun ne bilkul v samay nahi kaharab kiya aur apni spatial ring se nikal kar devine grade medicine gaadhe mein fenk di. Aur kuch der wait karne ke baad woh granpa se bola grandpa kyun na aap ajj phir pehle jaise jahan par energy ko shorden.
Apne young master ke adesh par ramesh ne spiritual energy ka ek gola baneya aur gaadhe se kuch dur fenk diya.
Lekin ajj pehle se kuch alag huya, spiritual energy pehle ki tarah zameen mein observ hone ki bajaye zameen mein ek dhamake ke sath 1 m gehra gaadha bna gyi.
Jis se yeh saaf ho gya ke spiritual roots abhi free energy absorb nahi kar rahi hai.
Ramesh yeh dekh kar khush ho gya aur woh apne young master se bola app sahi te master apne ek vardi problem ko solve kar diya hai.
Phir Arjun apne sahmne tin logo ko gaadhe ko bharta dekhta raha. Arjun ko abh bahut kam karna tha poori ki poori city ke liye fasal ugani thi.
Is jagah fasal ugana abhi v mushkil tha kyunki jahan ke pani mein itni spiritual energy nahi thi ke fasal ko sabhi nuterients mil sake isi liye Arjun ne artificial lake banane ko kaha tha kyunki woh usme apne spatial kingdom ka pani dal sake jo spiritual energy mein bahut jayda ghana(concentrated) hai.
Arjun ne yeh v socha tha ke woh apne spatial kingdom mein leaves trees se neeche gir jate hai unko jahan ke fertilizers mein istemal kare ga jis ke chalte jahan ka fertilizer ek super fertilizer ban jaye ga. Arjun yeh sab imagine kar pa raha tha ke agar woh yeh sab karta hai toh result kitne ache honge.
Grandpa chalo hum vapis chale abhi toh hamne yeh v nahi socha ke hame konsi konsi fasal ugani hai ohh abhi tak toh humne kisano ko v ikatha nahi kiya hai. Aur dono apne mansion ki taraf chal deye.
Young master farmers ka group artifical lake ke banne se pehle tiyar ho jaye ga aap chinta na kre.
Toh theek hai grandpa mujhe lagta hai hume wheat, corn, and rice ki fasal sabse pehle ugani chaheye. Yeh tin fasle utari rajayo mein bahut demand mein hai aur inka harvesting period v kam hai.
***************
Jahan le world mein fasal normal se adhik jaldi hi tiyar ho jati hai.
Jaise ke is world mein wheat,corn and rice 2-3 months mein tiyar ho jate hai aur 9-10 tons per hectare tak ki matra mil jati hai.
****************
Mansion mein vapis aane ke vaad grandpa ramesh toh apne kamo mein lag gaye lekin Arjun sidah office gya kyunki woh secretary Shikha se kuch sawal karna chahta tha. Arjun apni ugai fasal ko sirf apni city tak hi simit nahi rakhna chahta tha woh bahari rajyon ko v yeh export karna chahta tha.
Arjun ki theory ke according jo v fasal woh ugaye ga woh Spiritual energy mein sabhi desho se adhik hogi. Isi liye woh kheti ko do bagho mein bhibajit karna chahta tha ek woh sirf apne sehar ke liye rakhna chahta tah aur dusra bahri rajayo mein export karne ke liye. Lekin abhi export karne mein bahut samay tha.
Arjun ke aisa karne ke v do karan the pehla ke woh apne shehar ki strength ko increase karna tha. Dusra uske pass na toh abhi inte resources the aur na hi itne workers ki woh itni jldi inti jayda production kar sake.
Pehle toh use ek shota sa hisa tiyar karna hoga jispar woh fasal ugah kar apni shehar ki hi local markit mein bechega. Aur usse jo profit hoga usse woh apne rajya ka vikas kare ga. Lekin yeh sab chutki mein nahi hone wala tha isko time lage ga.
Yeh sab sochne mein viyast Arjun ko soch se bahar nikalti hai secretary Shikha jo uske office ka darwaza kholte hute andar dakhil hoti hai.
Shikha kiya tum mujhe bata sakti ho ke mujhe Dry City ke logon ka food consumption data kaha mile ga..?
Shikha:- young master purani jo local government thi woh is mamle par dhiyan bilkul v nahi deti thi. Isi liye aisi jankari abhi hamare pass nahi hai.
Arjun:- toh phir mujhe jald se jald yeh pata laga kar do ke hamare shehar mein wheat, rice aur corn ki kitni average consumption hai.
Shikha:- jo agya young master meij turant is par kam karna shuru karti hoon.
Iske vaad Arjun shehar mein ghumne chala gya. Ek toh woh jaha ke logon ke rehan sehan ko ache se janana chahta tha aur dusra veh kahi ruk kar kahna v kahne wala tha.
Par shehar mein ghumte use kuch v khas nazar nahi aeya bss shehar mein log apne kamo mein viyast the.
Lagta hai jahan ke logon ne halaton se samjota kar liya hai. Bss yeh jee hi rahe hai.
Isse acha hai mein apne mahel mein vapis jayon aur apni cultivation par dhiyan doon.
***************
Doh aur din gujar gaye isi veech Arjun level 5 ko par kar gya. Aur jo artifical lake Arjun ne banane ko kaha tha woh v ban kar tiyar ho gyi thi aur usme pani v bhar diya gaya tha.
Jaise hi Arjun ko artifical lake ke vare mein pata chala usne apne Spatial Kingdom se tin Spatial Ring li aur use Spatial Kingdom mein majood pani se bhar diya.
Aur uske vaad Arjun ne lake ke pass jakar ek ek karke tino rings ka pani artifical lake mein bhar diya. Abh bass baki tha is pani se zameen ki cichayi karna.
****************
Isi veech Dry City mein yeh khabar bahut jaldi fail gayi ke unke shehar mein jo unka new lord aeya hai woh kheti ke liye 200 workers ko recruit kar raha hai.
Kuch logon ka group isi baat par shehar mein kahin baat kar raha tha.
1 aadmi:- ise kiya lagta hai ke woh kuch kissano ko ikathe karke is shehar mein kheti kare ga use nahi pata ke jahan kuch nahi ughta.
2 aadmi:- hahaha lagta hai use nah pata is rajaya ke halton ke vare mein. Akhir mein use haar maan kar is baat ko maanna hi parde ga ke jahan ki zameen banzar hai.
3 aadmi:- meine suna hai ke usne koi rasta nikal liya hai iska mera jo cousin hai woh uske liye guard ka kaam karta hai woh keh raha tha ke jab se hamare shehar ke naye raja jahan aye kuch na kuch kar rahe abhi kuch din pehle unho ne ek lake banane ka adesh diya tha. Aur zameen mein 100 m ka gaadha v khudwaeya tha.
Uske commander ne bola tha ke isi do cheezon ke karan hi hamari city mein abh kheti karna sambabh hai.
4 aadmi:- aur tum is baat par zakeen kar rahe ho. Kiya tumhe nahi pata kitne sal ho gaye kitne logon ne kohsis ki kuch nahi ukhard paye yeh kiya ukhard lega.?
5 aadmi:- lekin woh 40 low garde crystal per month de raha hai.
6 aadmi:- agar aisa phir toh mein pakka bharti ho jayon ga.
Aisa hi shehar mein bahut log the jo aise hi batton mein lage huye the.
***************
Kisi aur jagah Dry City mein hi ek sofe ek blue dress pehne lardki bethi huyi thi uski baal blond the aur uski akhein hari.
Woh stone island ki ek viyapari thi aur woh Brown Kingdom se viyapar karke vapis a rahi thi.
Woh hotel ke kisi karamchari se sun rahi thi ke unke shehar ka jo nya raja hai usne fasal ugane ka koi tareeka khoj nikala hai.
Acha toh yeh baat hai intresting agar aisa sahi hai toh yeh kahabar bahr jaye mujhe pehle hi is naye raja se baat kakre mere sath viyapar karne ko kehna hoga.
Parkash hum kuch din isi shehar mein hi ruke ge aur jane ge ki yeh kahabar kitni sahi hai.
Lekin Miss Vishali is jagah par rukna apke liye profitable nahi hai. Yeh shabad Parkash ke the jo hari kahon wali lardki Vishali ka personal guard tha.
Agar jo khabar itni fail rahi hai aur sahi hai toh mujhe lagta hai mera jahan rukna bekar nahi jaye ga.
Milte hai next update mein aur dekhte kiya hota hai Arjun ke plan ka. Aur bane rahe kahani ke sath.
Thank you