G goraya g
Member
- 322
- 1,006
- 138
Buht hi zabardast update bro keep it up and wrote more updateSecond upadte will be posted soon. Tab tak bataeye kaisa laga apko story ka pehla Update
Buht hi zabardast update bro keep it up and wrote more updateSecond upadte will be posted soon. Tab tak bataeye kaisa laga apko story ka pehla Update
Shandar update bhai gods and demons or rakshak ke baad fantasy story me ye story hi sbse badiya lgi hChapter 2:- Awakening
Last six years mein Arjun behos raha. Uske nakur Ramesh ne uske upar bahut Spiritual medicine ka v upyog kiya. Lekin Arjun behos hi raha.
Arjun ki mom jo ke use kabhi kabar hi milne aati thi uhno ne v bahut kohsis ki ke Arjun theek ho jaye. Par pata nahi kuch toh baat thi jo Arjun ko uthne nahi de rahi thi.
Biite(बीते) salon mein v bahut ghatnaye ghatit huyi. Red valley region jo ke cultivation karne ke liye brown kingdom ka sabse acha ilaka tha. Jisse general Avesh ke marne ke baad uski family ko pass on karna tha. Abh uspar Silva family ka adhikar tha. Silva family ki military force bahut strong thi. Keh sakte hai ki poore brown kingdom mein bass Royal family ke pass hi Silva family se jayda military force thi.
Silva family ne kingke upar davab bana kar red valley par khud ka raaj sathapit kar liya aur Avesh ki family ko Black Plain ki city Dry City ka rajaya dene ko mana liya. Unka kehna tha ke general Avesh ke marne ke baad aur uska beta jo ke marne ki kagar par hai woh kiya hi contribute kar salte hai Brown Kingdom ki development mein.
Isi tarah hi Silva Family ne Red Valley ki land ko hasil kar liya jisme use kuj ek mahina laga negotiations karne mein.
Aur Arjun ko mila Black Pain ka rajaya jo ke poore Brown Kingdom ka sabse banzar(बंजर) ilaka tha. Us ilake ki Spiritual density v na ke barabar hi thi. Aur economy ki toh kiya hi baat kare.
Isi vich, Arjun Singh poore 15 sal ka ho gya hai. Usne apni panch sal ki cultivation ko poora karne ka moka gawa diya tha. Vese toh cultivation karne ki best age 10 years hai. Lekin Arjun use v shuru nahi kar saka kyunki woh tab ke incidence ke karn abhi tak behos tha.
Ek 15 sal ki umar mein ek cultivator level 20 se 29 le beech ka fasla teh kar sakta hai. Jo ke Arjun ke hum umar baccho ne kar hi liya hoga. Lekin Arjun ne toh cultivation shuru ki hi nahi thi uska level 0 tha. Jo ke ek aam insaan ka hota hi hai jo cultivation shuru nahi karta.
Arjun ki cultivation mein deri toh thi lekin. Woh jab se behosh tha use God Henricus se jo le 100 level specialist the unse use siksha mil rahi thi. God se mili siksha se pehle Arjun ka talent Black tha. Lekin abh jab use knowledge hi level 100 specialist de rahe hai toh uska talent mutate hokar Golden Talent ko surpass kar gya tha.
Is talent ke hone ke karn Arjun ko abh sirf level 100 se pehle 99 par hi ek bottleneck mile gi. Aur Arjun ke level 100 tak pahunchane ke chances v 50 percent the.
Abh bss Arjun ko jahi karna tha kr woh apni behoshi se uthe aur apni cultivation shuru kare. Lekin Arjun aise hi Spatial Kingdom se koi v Devine medicine absorb karke khud ko level 100 par nahi la sakta tha kyunki human body ki v apni limitation hoti hai.
Aur agar usne aisa kiya v. Uski aatma tak explodeho sakti hai.
************
Wakat gujarta gya aur woh wakat v agya jab Arjun ki body ne awaken hone ke sign dikhane shuru kar diye. Aur jab Arjun ne apni akhein kholi aur room. Ke andar rakhe saman ko observe karna shuru kar diya.
Yeh usika hi kamra tha. Yeh abh v vaisa hi tha jaisa woh ise behosh hone se pehle shordh kar gya tha.
Uske kamre mein ek bookcase tha jo kitabon se bhara tha,uske kamre mein bahut sari medicine rakhi huyi thi aur uske kamre mein woh sari information majood thi you usne Spiritual Academy mein reh kar hassil ki thi.
Iske ilava uske kamre ek vardi almari, bed, study table rakhe huye the. Vaise toh Arjun kafi ameer tha lekin fir v woh simple sa bankar hi rehta tha. Isi wahah se uske kamre mein koi v faltu cheez nahi thi.
Jis pal Arjun ko yaad aeya ke kaise uske father ki death huyi. Phir kaise use God Aadhavan ki Inheritance parapat huyi. Yeh sab sochte hi uski akhon mein pani a gya.
Mere pita ne khud ka balidan de diya. Badkismati se tab mein kuch nahi kar saka. Lekin abh jab mujhe yeh moka mila hai mein apni cultivation par bahut mehnat karoonga. Aur jiske v kehne par mere pita ko ambush karke mara gya udka badla loonga.
Arjun jo ke six year se behosh tha lekin abh jab wo awaken ho gya tha uski samaj abh kisi 15 sal ke bacche ke jaisi nahi rahi thi. Use 50 hazar sal jine wale God se knowledge mili thi jiske karan uski personality kafi mature ho gyi thi.
Jaisa ke mujhe knowledge mili hai inheritance se cultivation ki 11 stages hai aur harek stage ko subdivide kiya gya hai 10 parts mein. Jise body foundation transition kehte hai jisme stages ke name hai :- Spiritual Beginner, Spiritual Warrior, Spiritual General, Spiritual King, Spiritual Emperor, Spiritual Saint, Spiritual Sage, Spiritual Demigod, and God.
Agar hum apne jeevan kal ki baat kare toh woh harek stages ke par hote dugani ho jaye gi. Jo ke God ki stage tak jate jate 50,000 sal tak pahunch jayegi.
Sirf jeevan kaal hi nahi varde ga balki harek level par uski energy efficiency v increse hogi. For example:- agar koi 7th stage ke level 69 par hai uski energy 7 times jayda hogi 6th stage ke level 59 wale bande se. Aur level 100 bale bande ke paas 11 times jayda energy hogi level 99 ke Demigod warrior se.
Iske ilava kyi log toh hawa mein udah v sakte hai jo Spiritual Emperor ki stage tak pahunch jate hai. Spiritual Saint ke level par pahunch kar log toh apni soul ke form mein v jinda reh sakte hai aur apne kyi khud ki new body tak bana sakte hai, Spiritual sage ke level par toh aap space mein v travel kar sakte hai. Aur level 100 par toh apna khud a Spatial Kingdom tak bana sakte hai. Jaisa ke God Aadhavan ne baneya hai aur agee Arjun ko pass on kiya hai.
Aur meri Physique, mein bahut kismat wala hoon ke abh mere pass mutant Common grade Physique hai jisee se mein varde araam se Devine Grade stage par ja sakta hoon. Aur mein energy v abh pehle se jayda store karke rakh sakta hoon.
Hmm! Agar mein galat nahi hoon toh mein abh apni harek stage par baki sab se 5% jayda Spiritual energy store kar sakta hoon. Aur jab meri Physique Devine Grade stage par pahunch jayegi tab mein 40% energy jayda energy store kar sakta hoon meri hi rank par pahunche baki logoon se.
This is great! Isse mujhe bahut help hogi speed se cultivation karne mein aur mein apne se same level wale bandon se jayda powerfull v hoga.
Usi wakt Arjun ke kamre ka darwaja khula aur ek middle age man kamre ke andar aeya. Yeh aadmi koi aur nahi butler Ramesh hi tha jo ke pehle general Avesh Singh ka butler tha lekin unke marne ke baad abh yeh Arjun ka butler hai.
Agar hum Ramesh ki baat kare toh Ramesh ka parivaar bahut samaye se Arjun ke parivar ka butler ki bhumika nibha rahe hai. Aur inki nishtha puri Arjun ki family ki prati hai. Butler Ramesh ki umar 150 sal thi aur unka level 45.
Jaise hi Ramesh ne apne sahmne Arjun ko jaga paeya woh baaagh kar Arjun ke pass gya. Jaise usne koi chamatkar dekh liya ho. Young Master aap uth gaye..? Aap kaise hai abhi..?
Mein ek dum theek hoon grandpa Ramesh. Mujhe toh aisa lag raha hai jaise mein bahut lambi sleep se jaga hoon. Arjun ki life mein apne papa ke baad butler Ramesh hi the jin par woh akh band karke vishvaash kar sakta tha. Butler Ramesh tab se uske pita ji ke sath hai jabse woh janma v nahi tha.
Young Master jab se aap behosh huye mujhe kabhi kabhi bahut gabrahat hoti thi ke kiya agar aap kabhi hothe hi na. Lekin abh aap jaag gaye hai toh mujhe shanti mili hai.
Arjun:- Grandpa kitna time beet gya mere pita ji ke sath hadsa huye..?
Ramesh:- Pore shee( six) sal gujar gye young master. Lekin jab se unki death huyi hai. Tab se aap ko jaha laeya gya aur tab se hi mein poori kohsis kar raha hoon ke apko kaise theek kiya jaye Mrs. Avantika ne v bahut kohsish ki ke koi tareeka mil jaye apko behoshi se jagane ka.
Arjun:- Meri mom ayi thi mujhe yakeen nahi ho raha. Meri zindagi ke 9 salon mein meine unhe sirf 5 vari hi dekha hoga. Mujhe toh lagta hai ke unhe toh sakoon mila hoga ke abh une mujhe dekhne nahi ana parde ga.
Butler Ramesh ne Arjun ko rokte huye kaha. Young Master apni mom ke vare mein aisa nahi bolte hai. Mrs. Avantika ke upar apni family ki bahut vardi zimmedari hai. Unhe bahut se varde varde maslon ko dekhna pardta hai. Aur unke peeche jo high power hai unhe unse bahut jayda expectation hai.
Tsh! Yeh bass unka excuse hai. Chalo unki battein shordo aap yeh batayo ine beete she(six) salon mein kiya huya…?
Phir Arjun aur Butler Ramesh ne kuch ghanto tak battein ki ke kiya kiya huya in beete salon mein.
Toh abh jaisa hai toh hai. Abh hamari situation v nahi hai ke hum is baat ka virod kar sake vaise v Black Plain ko mein improved kar sakta hoon.
Arjun itna keh hi raha tha ke use yaad aeya ke woh Spatial Kingdom mein jakar pata kare ki andar kaisa mahul hai kyunki usne toh sirf Aadhavan se suna hi tha ke usne Spatial Kingdom baneya hai lekin abhi tak Arjun ne use khud apni akhon se dekha nahi tha.
Arjun ne vardi gambirta se socha, mujhe Spatial Kingdom mein enter karke uski situation ko dekhna hoga phir mein Black Plain ke vare mein soochunga. Mujhe apni cultivation v jald se jald shuru karni hogi. Aur mujhe yeh v pata chal jaye ga ke Golden talent ko surpass karne wala talent kiya kar sakta hai.
Spatial Kingdom mein jane ke liye Arjun ki right hand ki index finger mein ek ring ban gayi thi jo Aadhavan ki inheritance milne se Arjun ko mili thi.
Yeh ring invisible thi baki sab ke liye ise sirf Arjun hi dekh sakta tha. Jahi ring hi ek rasta tha Spatial Kingdom mein andar aur bahar jane ka. Yeh process sirf Arjun apne sochne bhar se enter aur exit le sakta tha. Aur keh sakte hai ke yeh ek teleportation ki tarah hai.
Milte hai next update mein aur jante hai ke ke kiya hai yeh Spatial Kingdom aur kiya hoga jab Arjun is Kingdom mein teleport hoga.
बहुत बहुत धन्यावाद Bloody Reaper ब्रो ऐसे ही सपोर्ट करते रहोShandar update bhai gods and demons or rakshak ke baad fantasy story me ye story hi sbse badiya lgi h![]()