Update - 20
Location Chaudhary's farm house.....
aam tor par is farm house ko Choudhary apni aiyashi or apne kale kamo ko chupane ke liye kiya karte the
par aaj hamesha ke mukable yaha kuch zada bheed thi
abhi is jagha 6 se 8 ladke the or farm ke andar ek sand jaise ladke ke aage rokey baitha hua tha
or ye shirimaan koi or nhi ye the tinka Chaudhary
tinka - itne admi kafi h
rokey - haa bhai itne kafi h
us akele ke liye to 2 3 hi bahut the par me aaj hi avni thakur se shadi kar lena cahta hu taki raat ko woh aapke niche ho
tinka - agar ayisi baat h to me bhi sath hi chalta hu kyuki tere sirf shadi karne se kuch nahi hoga agar tu use chod nahi paya to
aap nhi uske sath me jauga
Ye ek awaz thi is ghar ke ek or chirag or tinka ke chacha ke bete gopal Chaudhary ki
tinka - gopu ye tera kaam nhi h
gopal - agar tum waha gye or kisi bhi tarha ki koi gadbadi ho gyi to yaha sab tumhare gusse ke bare m jaante h
tum apne aap par kabu nahi rakh_pate
tumhare gusse ki wajha se sabko pata chal jayega ki is kand me chaudhary pariwar ka hath h
or hamare kand ki wajha se galti se bhi thakuro ne hamse rishta toda ya raja tak baat pahuchai to dadaji or tauji hamare sar kaat kar ek ko hath rakhne ke liye istmaal krige to dusre par pair rakhne ke liye
tinka ko baat sahi lagi bhale hi tinka bahar khud ko Chaudhary pariwar ka sabse bada or tagatwar dikhata ho par andar hi andar woh jaanta tha ki chaudhri pariwar me usse zada bekaar koi nahi tha
or uska ye bhai gopal jo chaudharyo me sabse kamzor h
jiski bahar itni zada izzat nhi h or jo khud ko hamesha hi Sharif dikhata h ye kitne tez dimag wala or kamina h
tinka - thik h tu jaa par naam naa aaye
Idhar gopal rokey and gang jisme koi 6 se 8 ladke the woh collage ki taraf nikal rahe the to wahi dusri taraf
Jaldi chala naa yaar itni slow kyu drive kar rahi h
rani - ab kya uda dun scotty h hawai jahaj nhi
or aaj tune car bhi nahi lane di pata h naa dhul mitti se face kharaab ho jata h
avni - nhi car se agar traffic me fas jate to socha h kitna or time lag jata
rani - teri collage me konsi flight chut rahi h
avni - nhi yaar mujhe pakka lag raha h aaj kuch hoga collage me
rani ko kal wali baat yaad aati h
rani - to tu kyu jaldi jana cahti h ab tujhe bhi ladai karni h kya
avni - nahi yaar pata nahi kyu par kal se hi bura feel kar rahi hu usne meri faltu me hi sahi par madat to ki h naa
isi liye aaj ham waha jaldi pahuch jayige or jab rokey usse apna badla lega or use sach me help ki zarurat hogi tob ham aru(arav) ko call karke us lambe baal wale ki madat kar dige
choti madat ke badle badi madat ham thakur h naa
dekha mera idea
rani - waoo yaar tu to bahut smart h
avni - dekha par kabhi ghamand nahi kiya
3rd place
subha subha ki dhup_se meri aankh khuli
me - aaaahhhh sali ye daru kya chez h puri duniya hi idhar se udhar kardi
mene uth kar idhar udhar dekha to bahut sari khali bottle padi hui thi
or ek khali glass yoda ke aage rakha hua tha
me - sale yoda itni pi tune raat_ko fir bhi sidha baitha hua h pakka bewda nikla re tu to
fir mene yoda ko liya or car se sidha hotel pahucha
waha jake sabse pahle nahaya
par abhi bhi mere sar me dard ho raha tha sharaab ki wajha se mene kal pahli baar sharaab pi_thi
pahle jab bhi mujhe gussa aata tha jab me shikaar par nikal jata tha
khun baha kar aksar hi mera gussa shant ho jaya karta tha
par kal rani or Avni ko dekhne or unki baat sunne ke baad me mujhe fir se gussa aa gya tha ab yaha koi ayisi jagha to thi nahi jaha me khun baha saku
isi liye naa cahte hue bhi mujhe sharaab ka sahara lena pada
khair nashe ki wajha se me pahle hi late utha tha par ab mujhe bukh bhi lag rahi thi to mene pahle khana oder kar diya
mujhe is sab me thoda time or lagne wala tha
Location collage
Yaar 2 ghante se zada ho wait karte karte ab to sab log class me bhi jane lage h
un_ladko me se 1 bola jo abhay ko pitne aaye the
woh log subha bahut jaldi aa gye the collage ke sab log bhi ab apni apni classes me jane lage the
Rokey bhi bahut time se intzaar kar kar ke irritat ho gya tha
tabhi uski nazar kisi par padi
rani - yaar Avni lagta nhi h ki woh aayega
Avni - haa yaar lagta h meri baat maan gya chala gya hoga city chhod kar
accha h jaan bach gyi uski
rani - tujhse kisne kaha ki uski jaan bach gyi hogi ye bhi to ho sakta h rokey ne kal hi uska kaam tamam karwa diya ho
ye sun kar kahi naa kahi avni bechain ho uthi use nahi pata tha woh kya feel kar rahi h
anvi - to ho jane de hame kya
bhale hi andar se avni kuch bhi feel kre par woh kabhi bhi apne ghamand par apni feelings ko havi nahi hone deti thi
rani - chal class me chalte h
ye kah woh dono class ki taraf chal deti h
ki tabhi rani ki aankho ke aage andhera cha jata h
Agle hi pal kuch ladke ek ladki ko car me daalte h or 2 car tezi se collage se rawana ho jati h
Or unse thodi hi piche ek or car chalne lagti h jaise uska un_dono cars se uska koi wasta hi naa ho
me collage ke tak pahucha to mene dekha ki collage se badi hi speed se 2 car nikli or uske kuch sec.... Baad ek or car collage se nikli jis par mene dhiyaan nahi diya
me andar ghusa hi tha ki meri nazar kuch logo par padi jo bhaag kar ek ladki ki taraf jaa rahe the
me bhi tezi se harkat me aaya or jab pass jake detha to ye rani thakur thi mujhe sab samajh aane me zada der nahi lagi or me dubara gadi ki taraf bhaga
10 min baad me road par car ko tezi se bhaga raha tha
waise to me car or zada tez bhaga sakta tha par mujhe car itni acchi tarha se nahi aati thi mene mushkil se 4 5 din hi delhi me seekhi thi or 10 15 din se hi chala raha tha
Kyuki mujhe nhi laga tha ki mujhe kabhi car race bhi karni padegi
par me fir bhi apni auqat se tez chala raha tha
dusri taraf rani ko behosh karke avni ko agwa karke le gye ye khabar thakur pariwar tak pahuch gyi or thakur pariwar ki beti lapata hui thi to bakiyo ko kaise na pata chalta
chaudhary's house
tinka ko rokey ne phone karke bata diya tha ki avni thakur ko unhone utha liya h or ab woh mandir jaa raha h usse shadi karne
is khabar ko sunne ke baad tinka ke pair zamin par nahi the use lag raha tha ki usne ek hi war me thakur or sangwan pariwar dono ko hi chitt kar diya
use laga ye baat jab uske bapu or papa ko pata chalega to woh use bhi vikram ki tarha layak samjhinge isi khushi me woh unhe batane bhaga
likin jab tinka shyaam Chaudhary kr room ke aage pahucha tab
shyaam - pata lagwao bheku pata lagwao kiss suar ki aulaad ki itni himmat hui jo hamara khel bigaadne ki himmat kar raha h
bhiku - par baapu ye to acchi hi baat h naa ki koi avni thakur ko utha kar le gya ye thakur or sangwano dono ke muh par thappad jaisa h
shyaam - tu ullu h bhiku ullu aryy kya tu nahi jaanta ki kal hi me sanjay se kis bare m baat karke aaya hu
bhiku - jaanta hu baapu par ek baat mere samajh me nahi aa rahi ham thakuro ki ek beti se shadi kar to rahe h ab aap dusri bhi kyu laana cahte ho
shyaam - teri budhi kabhi maar dhad khana or pahlwani ke alawa or kahi chali h jo aaj chalegi
aree bail budhi tujhe kya lagta h kal ko jab woh thakuro ka lounda raja banega to sabse zada tagat kiske pass hogi
bheku - 3no me barabar hi hogi 1 1 beti jo jaa rahi h sabke ghar
shyaam - yahi wajha h ki mene apne baad ghar ka mukhiya tujhe ya ajit ko chod kar vikram ko chuna h
bhiku - baapu kyu bhigo bhigo ke juta maar raha h batana h to batade
shyaam - to sun mene maana ki 3no pariwar 1 1 ladki se shadi karne wale h par tu ramya thakur ko kaise bhool gya bhale hi uski shadi kafi saal pahle rathodo me ho gyi ho par h to woh bhi thakur pariwar ki beti hi naa
isi liye me cahta hu ki hamare ghar bhi thakur pariwar ki 2 beti aaye
or is wajha se hamare 2 faide honge
bhiku - ye sale rathod baji maar gye
par bapu 2ra konsa faida h
shyaam - sangwan pariwar boder ko cantrol karta h isi liye jab bhi hame hamara maal bahar ya andar lana hota h to unhe paise khilane padte h
hamara 25% munafa har saal sale sangwan le jate h
jab ham uske hisse me thakur ki 1 bhi beti nahi aane dege tab ham sangwano ka hissa bhi bade aram se hadap sakte h
bhiku - par baapu woh to Rathod bhi hadap sakte h naa 2 beti to unke pass bhi hongi
shyaam - hahahahaha uska intzaam bhi dheere dheere ho jayega rathod hamare samne muh bhi kholne layak nahi rahige hahahahahaha
bahaar khade tinka ke pairo ke niche se zamin nikal rahi thi use laga tha usne bada teer mara h par use kaha pata tha ki uska ye teer ghum kar uske dada ki gand me ghus jayega
usne socha woh bada khiladi ban gya h khel ka par ab use samajh aa raha tha ki uske dada or baap ke muqable woh bacha hi h
kya khel khel raha tha uska dada or pata nahi jitna uske baap ko bata raha h usse kitna bada khel h ye
par ab uski gand bhi fat rahi thi usne galti se hi sahi par shyaam Chaudhary ki puch par pair rakh diya tha jise agar bhanak bhi lagi ki avni thakur wale mamle me uska hath h to uske baap ko mamla thama dega or uska baap kitna bada jallad h iska andaza isi baat se lagaya jaa sakta h
ki ek baar jab galti se nashe me uske mama ne uske dada ko chutiya bola tha to uske baap ne uski jubaan hi kaatdi thi
tinka bhaga or jaldi jaldi rokey ko phone lagane laga
tinka - utha madarchod utha kaha mar gya bhen ka loda
dusri taraf collage ko chavni me tapdeel kar diya gya tha thakuro ke admi police
yaha tak ki sangwan ke admi collage nahi jung ka mahol lag raha tha
or apne office me baitha principal - apne cahre ka pasina pouch raha tha use lag raha tha isme mera hath h kyuki me kal hi aaya tha or aaj thakuro ki ladki gayab ho gyi
principal - kis manhus ghadi me ye ladka mujhe mila tha aree kya kahuga thakuro se meri jaan to gyi ab
Me abhi bhi un_gadiyo ke piche tha woh ab sunsaan road ki taraf bhad rahi thi
.
.
.
.
.
Kya hoga aage ab kya abhay bacha payega Avni ko
or kya hoga principal ke sath
Janne ke liye padhte rahe
bheed me aakela (abhay)