• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Behad hi shandar update tha shubham bhai______
Saundarya ne apne sapne me wahi dekha jo real me ho chuka hai. Uske sapne se pata chalta hai ki jai aur saundarya ek dusre se bahut pyar karte the. Avinash/vijay starting se hi saundarya par buri najar rakhta tha lekin saundarya ko yakin tha ki shadi ke baad uska devar yaani vijay samajh jayega ki use apni bhabhi par gandi najar nahi rakhni chahiye par shayad aisa hua nahi. Jai ki baato se pata chala ki vijay ne saundarya ke maa baap ko jaan se maar dala tha. Ye vijay to sach me bahut hi kharab tha. Ye begunah kaise ho sakta hai_______
Pratiksha ne aakhir apne bhai ko vidhi ke sath picnic par bhej hi diya. Inspector abhi bhi confuse hai ki uski bahan aisa kyo kar rahi hai. Dekhte hain is picnic par dushyant aur vidhi kya karte hain______


BEGUNAAH
Update - 28
____________________________



Ab Tak,,,,,

Dushyant ke kaano me uski bahan ka ye waakya goonj raha tha. Uske zahen me sawaal ubhra ki aakhir pratiksha aisa bol kar kya samjhana chaahti thi use.? Kahi aisa to nahi ki use is baat ka pata chal gaya ho ki wo vidhi se prem karta hai aur vidhi uske prem ko swikaar nahi ki hai. Kya vidhi ne use is bare me bataya hoga...lekin vidhi usse is sambandh me baat kyo karegi.? Kahi aisa to nahi ki vidhi ne use ye bata diya ho ki wo usse kyo kat raha hai...magar ye to abhi ki baat hai. Pratiksha kya samjhana chaahti thi use. Jo dikhta hai wahi sach ho zaruri nahi aur jo ham samajhte hain asal me waisa bhi nahi hota hai. Kya wo aisa mere aur vidhi ke bare me kah rahi thi.?


Dushyant buri tarah ulajh kar rah gaya tha. Police department ke ek kaabil police officer ka dimaag maano kund sa pad gaya tha. Yaha par Mirza Ghalib ka ek sher us par bilkul fit baithta hai ki______"Ishq ne hame nikamma kar diya ghalib...Warna aadmi ham bhi the bade kaam ke."

Ab Aage,,,,,,

Raat ka waqt tha.
Har taraf syaah andhkaar faila hua tha. Charo taraf byaapt khamoshi me sirf jhinguro ki awaaze hi sunaayi de rahi thi. Gali ke mod par ek bada sa pedh tha, jiske pichhe ek insaani saya jaise khud ko chhupaye huye khada tha. Chehre par pareshani ke bhaav ke sath sath tanaav ke bhaav bhi gardish kar rahe the.

"Aaj kuch zyada hi andhera hai shayad." Pedh ke pichhe chhupe us saye ne dhimi awaaz me jaise khud se hi kaha______"Kaash mera mobile phone gum na hua hota to aaj usi se roshni kar ke araam se uske ghar tak pahuch jata....par koi baat nahi. Andhera hai to kya hua. Ab jab yaha tak aa hi gaya hu to uske ghar tak bhi kisi tarah pahuch hi jaauga."

Pedh ke pichhe chhupe us saye ne idhar udhar dekha aur fir pedh ke pichhe se nikal kar kachchi sadak par aa gaya. Aas paas andhere me kuch dikh nahi raha tha. Halaaki kuch hi doori par insaani abaadi thi. Use bas is baat ka dar tha ki is andhere me koi saamne se chalta hua usse takra na jaye. Waise bhi aaj kal choro aur badmasho ka bada khatra tha.

Light gayi huyi thi jiski vajah se use aas paas kahi par bhi koi bulb roshan hua dikh nahi raha tha. Raat ke is wakt gharo me rahne wale log kha pi kar aur batti bujha kar so jate the. Khair wo sadak par andaze se chalne laga. Kismat kuch zyada hi kharab thi uski kyo ki ghar me jo moter cycle thi wo aaj hi kharab ho gayi thi warna use itni pareshani na uthani padti.

Paanch minute ka safar kareeb das minute me pura hua aur aakhir wo apne mukaam tak pahuch hi gaya. Saamne andhere me duba ek makaan tha jiske kareeb wo khada tha. Us makaan se lage huye aur bhi kayi saare makaan the jo andhere me hi dube huye the. Saye ne kuch der khade rah kar apni saanso ko durust kiya aur fir makaan ki taraf badi saawdhani se badh chala. Chaar fit uchi baundary ke paas pahuch kar wo ruka. Do kadam ki doori par hi lohe ka gate tha aur use pura yakeen tha ki is wakt usme andar se tala laga hua hoga. Fir bhi usne aage badh kar ek baar check kiya. Jaisa ki use yakeen tha...yaani sach me gate par tala laga hua tha.

Use dar tha ki kahi light na aa jaye jiski vajah se koi use yaha par dekh le. Halaaki aaj kal raat me light aksar gul hi rahti thi. Log kheto me tube bell chala kar sichaayi karte the. Bijli vibhaag wale bade sayaane the. Aksar raat me bijli cut kar dete the. Usne ek nazar idhar udhar daali aur baundary par apne dono haath jamate huye uchhal kar baundary par chadh gaya. Kuch hi palo me wo baundary se us paar kood gaya. Zameen par dhapp se awaaz huyi to usne kuch pal ruk kar idhar udhar dekha uske baad makaan ki diwaar ki taraf badh gaya. Jaldi hi wo diwaar ke kareeb pahuch gaya. Diwaar se upar kuch hi doori par khidki thi. Halaaki andhere me zyada dikh nahi raha tha magar safed diwaar ke bich dhundhli si khidki ka abhaas zarur ho raha tha.

Makaan do manjil ka tha. Saye ne kuch der khidki ki taraf dekha aur fir makaan ke piche ki taraf badh gaya. Kuch hi der me jab wo aaya to uske hath me lakdi ki bani badi si seedhi thi. Idhar udhar dekhte huye usne badi saawdhani se us seedhi ko diwaar par lagaya aur fir us par chadhta chala gaya. Kuch hi palo me wo khidki ke paas pahuch gaya. Is wakt uska dil joro se dhadak raha tha. Khidki ke kareeb pahuch kar usne halke hatho se khidki par lagi jaali ke us paar lakdi ke band pallo par knock kiya. Jaldi hi khidki ka ek palla khula aur andhere me ek saya nazar aaya.

"Hey bhagwan! maine tumhe mana kiya tha na jai ki raat me mat aana." Khidki par nazar aaye saye ne chaunkte huye kaha tha. Uski awaaz se pata chala ki wo saya kisi ladki ya aurat ka tha.
"Kya karu tumhari yaad hi itna aa rahi thi ki yaha aane se khud ko rok nahi saka." Seedhi ke paye par khade saye ne dhimi awaaz me kaha______"Dekh lo raat ke is wakt main paidal yaha tak aaya hu. Tum mere dil ki betaabi ko achhi tarah samajh sakti ho. Achha suno...kamre me thoda ujala karo na. Mujhe apni saundarya ka sundar ka mukhda dekhna hai."

"Tum sach me paagal ho jai." Saundarya ne dhimi awaaz me kaha______"Sirf mera chehra dekhne ke liye tum apne gaon se yaha mere gaon tak paidal chal kar aaye ho...wo bhi itni andheri raat me. Abhi parso hi to mile the ham. Waise bhi ham dono ka milan jaldi hi hoga. Pure das din rah gaye hain hamari shadi ko. Uske baad to main tumhare paas hi rahugi. Fir dekhte rahna mera chehra."

"Ye das din kaise guzrenge saundarya.?" Jai ne maano aahe bharte huye kaha______"Mera to ek ek pal jaise shadiyo me tabdeel ho gaya hai."
"Mera bhi wahi haal hai babu." Saundarya ne kaha______"Mera bhi dil karta hai ki ye das din ek hi pal me guzar jaye aur fir main us ek hi pal me tumhare paas aa jaau."

"Kya aisa nahi ho sakta." Jai ne adheerta se kaha_____"Ki tum niche ka darwaza khol do taaki main tumhare kamre me aa jaau. Aaj ki raat ham dono ek sath rahege kamre me."
"Chaahti to main bhi yahi hu babu." Saundarya ne kaha____"Par ye sambhav nahi hai. Pita ji ko pata chal gaya to bahut bada hangama ho jayega aur main to sharm se hi mar jaaugi. Is liye hame kisi tarah ye das din guzarne hi hoge."

"Apna chehra hi dikha do mujhe." Jai ne mayoos ho ke kaha_____"Tumhara chehra dekh luga to mere dil ko thoda karaar aa jayega aur main khushi khushi yaha se ja bhi sakuga."
"Achha thik hai ruko." Saundarya ne kaha aur fir uska saya khidki se hat kar andar ki taraf chala gaya.

Thodi hi der me saundarya khidki ke kareeb aayi. Uske hath me ek laalten thi. Usne laalten wale hath ko upar kiya to laalten ki roshni me saundarya ka sundar sa chehra chamakne laga. Khidki ke is paar seedhi ke paye par khada jai uske chamakte chehre ko dekhne laga. Uske mayoos ho gaye chehre par wapas chamak aa gayi thi.

"Dekh liya na babu." Saundarya ne laalten ko niche karte huye kaha_____"Ab main laalten bujha rahi hu. Kahi aisa na ho ki saamne wale makaan se koi dekh le is taraf. Waise bhi raat bahut ho gayi hai...aur haan meri tumse ek vinti bhi hai aur wo ye ki itni raat ko ghar se baahar kahi bhi mat aaya jaya karo. Aaj kal halaat thik nahi hain. Ek to choro madmasho ka khatra aur dusra tumhare us bhai vijay ka."

"Kya fir se usne tumhe kuch kaha.?" Jai ne kathorta se kaha______"Us neech ko zara bhi sharam nahi aati hai ki wo apni hone wali bhabhi ko aisi nazar se na dekhe."
"Uski vajah se tum khud ko na jalaao jai." Saundarya ne sanjidgi se kaha______"Jab hamari shadi ho jayegi to shayad use samajh me aa jaye ki ab waisa nahi ho sakta jiske wo sapne dekhta hai."

"Tum use nahi jaanti saundarya." Jai ne hataash bhaav se kaha______"Wo hamare ghar ka kalank hai. Use rishto ki koi parwaah nahi hai. Use to bas ek hi cheez nazar aati hai....aurat aur uska jism. Main uska bada bhai hu iske bavjud main use badal nahi sakta aur na hi us par mera koi zor chal sakta hai. Wo ek bigda hua saand hai...jiske aage piche na jane kitne hi uske jaise uski chaakri me ghumte rahte hain. Isi liye to maine faisla kiya hai ki hamari shadi hote hi ham kahi door chale jayege."

"Shayad aisa karne ki naubat na aaye jai." Saundarya ne kaha______"Mujhe yakeen hai ki jab main uski bhabhi ban kar ghar aa jaaugi to wo mera khayaal apne dil se nikaal dega. Ham dono use samjhayege jai aur mujhe pura bharosa hai ki wo hamari baate samjhega. Khair chhodo in baato ko aur ab tum jaao yaha se. Bas das din ki hi to baat hai mere sona babu. Apne jazbaato ko kaabu me rakho kuch din aur itni raato me mat aaya karo. Mujhe chinta rahti hai tumhari."

"Saundarya..." Tabhi kamre ke kisi bhaag se ek mardana awaaz aayi______"Ye tum itni raat ko kisse baate kar rahi ho.?"
"Mar gaye." Saundarya buri tarah hadbada gayi. Hadbadaya jai bhi tha aur fir ek dam se do cheeze ek sath huyi. Udhar kamre ke darwaze ko zor se bhadbhadaya gaya aur idhar hadbadahat me jai ka pair seedhi ke paye se fisal gaya. Sab kuch itna jaldi hua ki jai khud ko samhaal na paya aur wo seedhi se fisal kar seedha niche kachchi zameen par dhadaam se gira.

"Jaiiiiiiiiiii...!!!" Bed par leti saundarya cheekhte huye hadbada kar uth baithi. Uski is cheekh se uske bagal me soya pada jai bhi uchhal pada tha.
"Kya hua.??" Hakbakaye se jai ne ajeeb bhaav se pucha.
"Ohhh jai...mere babu...mere sona." Saundarya ne jai ko dekha to jhapat kar usse lipat gayi.

"Kya hua.?" Jai ne bhi use khud se chhupkate huye pucha_____"Koi bura sapna dekha kya tumne.?"
"Achha hua ki wo bas sapna hi tha jai." Saundarya ne jai ke sir ke baalo me apni ungaliyo ko fasate huye kaha_____"Warna main to buri tarah dar gayi thi."

"Aisa kya dekh liya tha sapne me.?" Jai ne saundarya ko khud se alag karte huye pucha_____"Jiski vajah se tum itna zor se cheekh kar uth baithi thi."
"Wo main sapne me ham dono ko hi dekh rahi thi." Saundarya ne kaha______"Lekin jai sapne to sapne hi hote hain na.? Unka haqiqat se koi waasta nahi hota na.?"

"Haan bilkul." Jai ne na-samajhne wale bhaav se kaha_____"Par tum ye kyo puch rahi ho.? Aakhir sapne me tumne ham dono ko aisa kya karte huye dekha jiski vajah se tum is tarah cheekh kar uth baithi thi.?"
"Batati hu babu." Saundarya ne kaha______"Par badi ajeeb baat hai. Main jo sapna dekh rahi thi waisa to haqiqat me pahle hi ho chuka hai lekin aisa kaise ho sakta hai jai.?"

"Aree lekin tumne dekha kya hai sapne me.?" Jai ne ajeeb bhaav se pucha______"Aur to aur tum kis baat ke ho chuke hone ki baat kar rahi ho jo abhi sapne me bhi tumne dekha.?"
"Tumhe yaad hai jai.?" Saundarya ne kaha_____"Jab hamari shadi ke das din bache the tab tum aadhi raat ko apne gaon se paidal hi mujhse milne mere gaon me mere ghar aaye the.?"

"Ye tum kya kah rahi ho.?" Jai ne apne dimaag par zor daala aur fir aise bola jaise use ekdam se yaad aa gaya ho_____"Ohh haan yaad aaya. To kya tum usi ka sapna dekh rahi thi.?"
"Haan jai." Saundarya ne kaha_____"Main wahi sab abhi sapne me dekh rahi thi."

"Lekin sapne me tumne aisa kya dekh liya ki tum itni zoro se cheekh kar uth baithi.?" Jai ne uljhan bhare bhaav se pucha.
"Maine dekha ki tum seedhi par chadhe the." Saundarya ne maano yaad karte huye batana shuru kiya_____"Aur main apne kamre ki khidki par khadi tumse baate kar rahi thi."

"Ohh haan fir.???" Jai ne kaha_____"Fir uske baad.??"
"Ham dono baate kar rahe the." Saundarya ne badi adheerta se kaha_____"Main tumhe samjha rahi thi ki tumhe raat ke us wakt nahi aana chahiye tha lekin tum utni raat me sirf is liye aaye the kyo ki tum mera chehra dekhna chahte the. Khair uske baad achanak hi mere kamre ke darwaze ke baahar se pita ji ne mujhe pukarte huye kaha ki main itni raat me kisse baate kar rahi hu.? Pita ji ki awaaz sun kar ham dono hi hadbada gaye the aur isi hadbadahat me tum seedhi se fisal kar niche gir gaye the. Sapne me jab maine tumhe seedhi se fisal kar niche girte dekha to main tumhara naam le kar zor se cheekh uthi aur fir meri neend khul gayi."

"Ohhh to is vajah se tum is tarah cheekh kar uth baithi thi." Jai ko jaise saari baat samajh me aa gayi, bola_____"Main to dar hi gaya tha tumhari aisi cheekh sun kar."
"Lekin jai." Saundarya ne sochne wale bhaav se kaha_____"Ye vichitra baat hai na.? Mera matlab ki jo hamare sath haqiqat me ho chuka hai usi ka sapna kaise aa sakta hai.?"

"Ab is bare me bhala main kya kahu.?" Jai ne kaha_____"Ye to ishwar ki maya hai. Wo jis tarah chahe dikha de hame. Khair chhodo ye sab aur ab chalo so jaao. Bahut raat ho gayi hai."
"Waise us raat ke baad fir tum mujhse milne nahi aaye the." Saundarya ne kaha_____"Is vajah se main bhi tumse ye nahi puch paayi thi ki us raat tumhe zyada chot to nahi lagi thi na.? Main to saari raat isi chinta me nahi so paayi thi ki itne upar se girne par tumhe chot lag gayi hogi aur tum ghayal awastha me kaise apne gaon ghar tak gaye hoge. Tumse meri mulaqaat fir shadi ke baad suhaagraat me hi huyi thi."

"Chot to lagni hi thi." Jai ne wapas bed par lette huye kaha_____"Aakhir itni uchaayi se jo gira tha. Uske baad bas kisi tarah laut hi aaya tha ghar."
"Pita ji kamre ka darwaza khatkhata rahe the." Saundarya ne kaha______"Is liye mujhe darwaza kholna pada tha. Shukar tha ki darwaza kholne se pahle maine khidki ko jhat se band kar diya tha warna wo jaan jate ki main kisi se to baat kar hi rahi thi. Pita ji ne kamre me aa kar charo taraf dekha. Maine unse yahi kaha ki main apne aapse hi baate kar rahi thi kyo ki mujhe laalten jalane ke liye machis nahi mil rahi thi. Meri baate sun kar pita ji jab kamre se chale gaye to maine darwaza band kiya aur fir jaldi se khidki khol kar tumhe dekhne ki koshish ki magar baahar andhera tha to kuch dikha nahi tha mujhe. Halaaki dhimi awaaz me maine tumhe awaaz bhi di thi."

"Mujhe tumhari awaaz nahi sunaayi di thi." Jai ne kaha_____"Zameen par main kuch der dard ko bardaast karte huye pada raha aur fir ye soch kar waha se bhaag nikla ki kahi tumhare pita ji baahar na aa jaye."
"Waise agar wo tumhe us wakt dekh bhi lete to kuch nahi kahte." Saundarya ne kaha_____"Aakhir tum unke hone wale damaad the lekin isse ye zarur hota ki wo yahi sochte ki ham dono kitne besharm aur utaawle hain jo ek dusre se milne ke liye na raat dekhte hain aur na hi din."

"Kitni baar kaha hai ki ye sab baate na socha karo aur na hi bola karo." Jai ne is baar zara kathorta se kaha_____"Kyo ki fir tum ye soch kar dukhi hone lagti ho ki aakhir tumhare mata pita ne vijay ka kya bigada tha jiske liye usne unko jaan se maar dala tha."

"Wo kamina jis din milega." Saundarya ne is baar kisi naagin ki tarah funkaarte huye kaha_____"To uska girehbaan pakad kar usse puchugi ki usne mere mata pita ko kis vajah se jaan se maar dala tha.? Aakhir unhone uske sath kya bura kiya tha.?"
"Bas ab chup ho jaao." Saundarya ko ekdam se subakte dekh jai ne use kheech kar apne se chhupka liya, bola_____"Use har cheez ka hisaab dena padega. Bas kuch waqt aur intzaar kar lo."

Jai ke samjhane ke baad saundarya kuch der me chup ho gayi aur fir jai se chhupke chhupke hi so gayi. Use apne se chhupkaye jai uski baato ke bare me sochta raha. Uske chehre par is waqt patthar jaisi kathorta chha gayi thi. Aankho me angare se naachte nazar aane lage the.


<>•<>•<>

Subah dushyant ki aankh uski natkhat bahan ke jagane par khuli. Pratiksha bada hi khush nazar aa rahi thi aur uska chehra kisi taaze khile gulaab ki maanind khila hua tha. Apni bahan ko khush dekh kar dushyant ke hotho par muskaan ubhar aayi. Wo uth kar baitha aur fir apni bahan ke chehre ko apni hatheliyo me le kar uske maathe par pyar se choom liya.

"Good morning meri gudiya." Fir usne muskurate huye kaha.
"Ye sab chhodiye aur chaay pi kar jaldi se fresh ho jaiye." Pratiksha ne tray ko dushyant ki taraf badhate huye kaha_____"Aapko yaad hai na ki aaj aapko apni dost vidhi ji ke sath picnic par jana hai aur haan koi bhi bahana nahi chalega. Agar aapne iske liye koi bahana banaya to soch lijiyega fir. Aapki ye gudiya kabhi aapse baat nahi karegi...haan nahi to."

"Mujhe ye samajh me nahi aa raha gudiya ki tu aisa kyo chaahti hai ki main vidhi ko le kar picnic par jaau.?" Dushyant ne sahsa pareshan ho kar kaha_____"Hamare bich aisa kuch bhi nahi hai jiske bare me tu soch rahi hai...ham sirf dost hain. Maine tujhe samjhaya tha na gudiya.? Iske bavjud tu wahi kar rahi hai. Aakhir tu samajhti kyo nahi meri bahna.?"

"Samajhne ki zarurat to aapko hai bhaiya." Pratiksha ne is baar sanjidgi se kaha______"Maine kal aapse kaha tha na ki kabhi kabhi ham jo samajhte hain asal me waisa hota nahi hai. Main janti hu ki aaj kal aap kis case me uljhe huye hain magar main ye bhi janti hu ki aaj kal aapka man sahi tarah se kuch soch nahi pata hai. Main aapse chhoti hu is liye main aapko samjhane laayak nahi hu magar haan itna zarur kah rahi hu ki agar aap vidhi ji ke sath picnic par jayenge to aapko kisi baat se niraash nahi hona padega."

"Achha thik hai gudiya." Dushyant ne jaise haar maante huye kaha______"Magar ye bata ki kya vidhi picnic par mere sath jayegi.?"
"Bilkul jaayengi wo." Pratiksha ne khushi se chahakte huye kaha_____"Aapko kya lagta hai maine kachchi gotiya kheli hain.?"

"Kachchi gotiya.???" Dushyant ne chaunkte hue kaha_____"Ye kya kah hai tu.?"
"Mera matlab hai." Pratiksha ne baat ko samhaalte huye kaha_____"Mera matlab hai ki vidhi ji bhi aapke sath jane ko taiyar hain aur wo is waqt jane ke liye ready bhi ho rahi hain. Bas aap hi abhi tak taiyar nahi huye."

"Badi ajeeb baat hai." Dushyant ne sochne wale bhaav se kaha_____"Vidhi bhi picnic par jane ko taiyar hai. Aakhir wo iske liye maan kaise gayi.?"
"Ab aap zyada dimaag na lagaiye." Pratiksha ne kaha_____"Uthiye aur ja kar jaldi se fresh ho lijiye. Aapke paas sirf das minute ka time hai. Uske baad aap taiyar ho kar niche aa jaiyega."

"Sirf das minute.???" Dushyant ne aankhe faila kar kaha_____"Das minute me bhala main kaise ready ho kar aa paauga gudiya.?"
"Okk pandrah minute." Pratiksha ne kaha_____"Isse zyada ke bare me aap sochiyega bhi mat. Ab ja rahi hu main. Pandrah se solah nahi hona chahiye warna fir soch lijiyega...haan nahi to."

Pratiksha dushyant ka cup le kar kamre se chali gayi jabki dushyant hairan pareshan kuch palo tak bed par hi baitha raha. Uske baad jaise hi use time ka khayaal aaya to wo jaldi se uth kar bathroom me ghus gaya. Bathroom me bhi wo yahi soch raha tha ki aakhir is picnic par jane ka kya matlab hai aur to aur vidhi bhi uske sath jane ko taiyar hai jo ki bahut hi chaunkane wali baat hai. Khair wo puri taiyar ho kar niche aa gaya.

"Do minute zyada laga diya aapne." Khane ki table ke paas jaise hi dushyant pahucha to pratiksha ne kaha______"Khair is wakt to kuch nahi kahugi aapko magar aage se dhyaan rakhiyega..haan nahi to."

"Sorry gudiya." Dushyant ne kaha______"Maine apni taraf se puri koshish ki thi magar pandrah minute me ready ho kar nahi aa paya."
"Aap dono ek jaise hi hain." Pratiksha ne ek nazar vidhi par daalte huye kaha_____"Inhe bhi maine bola tha ki bees minute me ready ho jaaiyega magar pata hai pura dedh ghanta laga diya inhone taiyar hone me. Ye bhi koi baat hui bhala...haan nahi to."

"Us hisaab se to main jaldi hi taiyar ho ke aa gaya hu na gudiya." Dushyant ne kaha_____"Ladkiyo ko to chaar din lag jate hain taiyar hone me. Pata nahi kya karti rahti hain.?"
"Ye zyada hi ho gaya bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Aap ham ladkiyo ki insult kar rahe hain. Mat bhuliye ki ham ladkiya khubsurti ka paryawachi hoti hain.

"Ohh aisa kya." Dushyant ne halki muskan ke sath kaha_____"Maine to ye baat aaj pahli baar hi jani hai."
"Tumhe pata hai pratiksha." Vidhi ne pratiksha ki taraf dekhte huye kaha______"Ladko ke paas dhele bhar ka bhi sense nahi hota hai aur wo samajhte hain ki jems bond wahi hain."

Vidhi ki is baat se dushyant ekdam se chup ho gaya. Wo samajh chuka tha ki vidhi ne usi ke liye kaha tha aur is baat se pata nahi kyo use gussa aa gaya tha. Ye alag baat hai ki usne apne gusse ko fauran hi daba diya tha. Udhar vidhi ki baat sun kar pratiksha pahle to zor zor se hasne lagi thi fir jaise hi use samajh aaya ki vidhi ne wo sab kah kar uske bhaiya ko sunaya hai to usne jaldi se apni hasi rok li.

"Par mere bhaiya ke paas sense ki koi kami nahi hai." Fir usne jaise garv se kaha_____"Aapko bhi ye baat jaldi hi samajh me aa jayegi...haan nahi to."
"Chhodo is baat ko." Vidhi ne ye soch kar kaha ki kahi in baato se baat badh na jaye jisse dushyant naraz ho jaye, boli_____"Ab fatafat breakfast shuru karo."

"Haye haye lagta hai ki." Pratiksha ne muskurate huye kaha_____"Bhaiya ke sath picnic par jane ki badi jaldi hai aapko."
"Haan kyo nahi." Vidhi ne kaha_____"Yaha se jaldi jayege to time se ghar bhi to waapas aa jayege. Main ye kaise bhool sakti hu ki tum yaha akeli rahogi tab tak. Is liye ham jaldi hi waapas laut aayenge."

"Meri chinta mat kijiye." Pratiksha ne kaha______"Main yaha akele nahi darugi. Waise bhi yaha baahar itni zyada security lagi hai to fir darne jaisi baat hi nahi hogi."
"Tu kyo nahi ja rahi sath me.?" Dushyant ne pratiksha se pucha______"Mujhe laga tu bhi ja rahi hai sath me."
"Main aap dono ke sath next time chalugi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Is baar sirf aap dono hi jaaiye aur haan picnic ka khoob enjoy karna. Waha par photo bhi lena aur fir mujhe dikhana."

Baato hi baato me breakfast ho gaya aur fir kuch hi der me dushyant aur vidhi ghar se baahar ki taraf chal pade. Pratiksha ne ek bag bhi de diya tha dushyant ko jisme kuch zaruri samaan tha. Dushyant baahar jane se pahle avinash ke kamre me gaya aur use samjha bujha kar waapas aa gaya tha.

Ghar se baahar aa kar dushyant ne security officer ko bataya ki wo ek zaruri kaam se baahar ja raha hai is liye ghar ki aur ghar ke andar maujud uski bahan aur vinash dono ki suraksha ki jimmedari ab uski hai. Security officer ne dushyant ko kaha ki wo iski fikar na kare. Dushyant gate ke paas khadi apni bahan ko dekh kar uske paas gaya aur uske chehre ko pakad kar uske maathe par halke se choom liya, fir bola apna khayaal rakhna gudiya. Uske aisa kahne par pratiksha bas muskura kar rah gayi.

Vidhi ne dushyant ko apni car ki chaabhi di. Chaabhi le kar dushyant ne garage se car nikaali aur fir vidhi ko baitha kar lohe wale gate se baahar aa gaya. Car gate se baahar nikli to security officer ke kahne par gate ko band kar diya gaya. Udhar mukhya sadak par aate hi dushyant ne car ki speed badha di. Car ke andar khamoshi thi. Vidhi dushyant ke bagal se hi baithi huyi thi magar wo kuch bol nahi rahi thi. Ya shayad soch rahi thi ki wo dushyant se kis silsile me baate kare. Udhar dushyant bhi khamoshi se car chala raha tha. Wo bhi shayad yahi soch raha tha ki vidhi se wo kya baate kare. Use to abhi tak yahi samajh me nahi aaya tha ki uski bahan ne use vidhi ko sath le kar picnic par jane ke liye itna zor kyo diya tha.??


<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

Keep calm and carry on...
Supreme
80,151
118,105
354
Greattt bro. Such a mind blowing update and your writing skills. :applause: :applause: :applause:

Saundarya ne aisa sapna dekha jo real tha and pahle hi waisa ho chuka tha intresting. Dono ki conversation se pata chala ki vijay ne saundarya ke parents ko jaan se maar dala tha but vijay ne aisa kyo kiya hoga. Ye vijay to bada hi danger person tha. Saundarya uski hone wali bhabhi thi fir bhi uski buri najar thi us par but ye shocking baat hai ki vijay ne usko parents ki jaan ki. Aakhir kya reason raha hoga. :coffee1:

So inspector dushyant apni sister ke jor dene par vidhi ko le kar picnic par nikal hi gaya. By the way ye achha hi kiya uski sister ne bcoz dono ekaant me apne apne dil ki baat kar sakege. Vidhi ne to soch hi liya tha ki wo ab dushyant ko bata hi degi ki wo bhi usse love karti hai. Anyways let's see what happens next. :coffee1:



:celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf: :celebconf:
Shukriya bhai,,,,:hug:
Avinash urf vijay ne saundarya ke mata pita ko kyo mara iska jawaab to wahi de sakta hai. Abhi to uske dimaag ka fuse uda hua hai to kya batayega,,,,:lol1:
 

TheBlackBlood

Keep calm and carry on...
Supreme
80,151
118,105
354
nice update ..saundarya sapna dekh rahi thi ,,aur usme ho hua tha wahi dekha ki kaise jai shadi ke 10 din pehle usse chori chupe milne aaya tha aadhi raat ko ..
vijay itna kamina tha ki usne saundarya ke maa baap ko jaan se maar diya tha ..

dushyant ko abhi pratiksha ki baat samajh hi nahi aayi 🤣..
aur ab vidhi ko leke picnic par chala gaya 😍..
dushyant kuch jyada hi gussa ho raha hai 🤔..
dekhte hai ab vidhi apne dil ki baat keh paati hai ya nahi ..
Shukriya bhai,,,,:hug:
Achha hua ki pratiksha ne dono ko picnic par bhej diya warna dushyant isi tarah apni na Samjhi aur murkhta ka pradarshan karta rahta,,,,:D
 

TheBlackBlood

Keep calm and carry on...
Supreme
80,151
118,105
354
सौंदर्या की सपने और जय के साथ हुई बातों से ये तो क्लियर हो गया है कि अविनाश उर्फ विजय कोई बेगुनाह नहीं है । बल्कि वो एक क्रिमिनल है ।
जय और सौंदर्या दोनों ही उसके सताये हुए हैं । सौंदर्या के मां बाप तक को उसने मार डाला है ।
अब उसने अपने याददाश्त जाने का नाटक क्यों कर रखा है ये तो राइटर ही जानें ! शायद कोई बड़ा सस्पेंस हो !

दुश्यंत और विधि फायनली डेट पर जा रहे हैं। देखें ! वहां क्या होने वाला है ?

बहुत बढ़िया अपडेट शुभम भाई ।
Shukriya Sanju bhaiya ji,,,,,,:hug:
Aapne sahi kaha, suspense to hai. Bina suspense ke kahani me maza kaisa.??? Aap to achhi tarah jante hain,,,,:hug:
 

TheBlackBlood

Keep calm and carry on...
Supreme
80,151
118,105
354
Behad hi shandar update tha shubham bhai______
Saundarya ne apne sapne me wahi dekha jo real me ho chuka hai. Uske sapne se pata chalta hai ki jai aur saundarya ek dusre se bahut pyar karte the. Avinash/vijay starting se hi saundarya par buri najar rakhta tha lekin saundarya ko yakin tha ki shadi ke baad uska devar yaani vijay samajh jayega ki use apni bhabhi par gandi najar nahi rakhni chahiye par shayad aisa hua nahi. Jai ki baato se pata chala ki vijay ne saundarya ke maa baap ko jaan se maar dala tha. Ye vijay to sach me bahut hi kharab tha. Ye begunah kaise ho sakta hai_______
Pratiksha ne aakhir apne bhai ko vidhi ke sath picnic par bhej hi diya. Inspector abhi bhi confuse hai ki uski bahan aisa kyo kar rahi hai. Dekhte hain is picnic par dushyant aur vidhi kya karte hain______
Shukriya bhai,,,,,:hug:
Pratiksha ki vajah se dushyant ka uddhaar hone wala hai,,,, :D
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Suspense to abhi yahi hai shubham bhai ki vijay ne kise chhupa ke rakha hai aur usne saundarya ke maa baap ko kyo maar dala tha_______
Ek suspense ye bhi hai ki inspector ab kaun sa khel khelne wala hai. Kya use pata chal gaya hai ki nakab posh kaha hai aur wo kaun hai______
Next update ka intjar hai bhai______


Shukriya Sanju bhaiya ji,,,,,,:hug:
Aapne sahi kaha, suspense to hai. Bina suspense ke kahani me maza kaisa.??? Aap to achhi tarah jante hain,,,,:hug:
 
Top