Update...............108
Idhar subah ke 7 baj rahey they aur me apney room me soya hua tha aur wahi priyanka aunty gaadi se utar kar apna samaan le kar ke ghar ki door bell bajati hai.
Ab aage...................
Idhar priyanka aunty ghar ki door bell bajati hai to rekha bua door open karti hai aur jab rekha bua priyanka aunty ko subah subah dekhti hai to shocked ho jaati hai.
Rekha..............Tum yaha kya kar rahi ho priyanka.aur yaha aaney ki himmat kaisey huyee tumhari.
Priyanka..............Apne ghar me aaney ke liye himmat aur na hi kisi ki permission ki koi zarurat nhi hai.
Idhar priyanka ki baato ko rekha bua samajh nhi paati hai aur phir priyanka aunty apna bag le kar ghar ke andar aaney lagti hai to rekha bua kehti hai.
Rekha................Jaha ho wahi khadey rehna.hum ko ab poora sach pata chal gaya hai kis tarah tumhari wajah se mere bhai aur bhabhi ki jaan gayee hai.
Idhar rekha bua ghar ka door ko band karne lagti hai to priyanka haath se door ko band hone se rokti hai.
Priyanka..............Rekha mere mooh ke saamney door band karne ki harkat kabhi karna mat.
Idhar priyanka ki baato ko sun kar Rekha aag babula ho jaati hai aur sab ko chilla chilla kar bulaney lagti hai.rekha bua ki awaaz sun kar sab hall me aa jaate hai.aur jab badey papa,ajay chacha,Rakesh phuppa,badi maa,swati chachi,sunita bua,shweta,ankita,sushma aunty,teena ,ansh aur kavya and anjali di priyanka aunty ko dekhte hai subah subah to shocked ho jaatey hai.
Rekha.............Bhai ye subah subah hamarey ghar me ghusna chahti hai aur jab me ne isko rokna chaha to keh rahi hai ke ye ghar mera bhi hai.
Rohit.................Priyanka tumhari himmat kaisey huyee hamare saamney aaney ki.tum ko shayed pata nhi honga lekin hum ko tumhari sacchayee pata chal chuki hai.hum ko pata chal gaya hai ke deepak aur neha ka murder tumhare baap aur bhai ne kiya hai jis me tum ne bhi saath diya hai.isliye ab ye natak band karo acchey honey ka aur abhi ke abhi yaha se nikal jao.
Priyanka...............Ye mera bhi ghar hai aur aap sab ko ab sach pata chal gaya hai to ye bhi pata chal gaya honga ke deepak ne neha ke saamney neha ki permission se mujh se shaadi kiya tha aur mere galey me mangalsutra daala tha.is hisaab se me bhi is ghar ki bahu hu.agar aap sab ko ye yaad nhi hai to aap poonam bhabhi se puch sakte ho is baarey me to unko pata hi hai.
Sunita...............Hum ko sab pata hai aur ye bhi pata hai ke tumhare wajah se mere bhai aur bhabhi ki jaan gayee hai aur meri kavya aur karan dono anaath ho gaye they.ab tumhari bhalayee isi me hai ke tum is ghar se aur hamari zindagi se nikal jao.
Poonam..............humare saamney reh kar ke hamare zakhmo ko harbhara mat karo.aur yaha se nikal jao.
Priyanka..............Thik hai me sochi thi pyaar mohabbat se is ghar me deepak ki biwi ban kar rahungi lekin ab to mujhe apney baap aur bhai aur court ko involve karna honga.mere paas to photos bhi hai jis me deepak aur meri shaadi ki pics hai.
Ye baat sun kar ke sab shocked ho jaate hai.sab ko rajveer aur Rajvansh ke is matter me involve honey se darr lag raha tha q ke rajveer aur Rajvansh ka power kya hai wo sab ghar waaley ko pata tha.
Rohit..............Karan kaha hai usko bula kar le kar aao.
Idhar ansh mere room me bhaagte huye aata hai aur mujhe uthata hai aur uske uthate huye hi me uth jaata hu.
Ansh............bhai aap abhi tak so rahey hai yaha subah subah kaand ho gaya hai.
Karan............Q kya hua hai
Ansh............. nichey aa kar dekhiye aap ko badey papa ne bulaya hai jaldi se
Phir me fresh ho kar ke ansh ke saath nichey aata hu aur me priyanka aunty ko dekh kar natak karne lagta hu sab ke saamney.
Karan...............Is aurat ko ghar ke andar kis ne ghusne diya hai.aap logo ko pata nhi hai ke isi ki wajah se maa papa ki mout huyee thi.
Idhar badi maa poonam ko kuch samajh nhi aa raha hota hai ke ye sab kya chal raha hai.
Rohit............Karan ye zabardasti ghar ke andar ghusna chah rahi hai aur kehti hai ke meri deepak se shaadi huyee hai to ye ghar par rehne ka adhikaar uska bhi hai.
Karan.............Adhikaar gaya khaddey me.abhi ke abhi is ghar se Nikal.
Poonam abhi bhi isi soch me rehti hai ke jab me khud priyanka aunty ko ghar me rakhna chahta hu to is ghar se nikalne ke liye priyanka ko q bol raha hu.
Priyanka..............Karan soch ley agar me yaha se gayee to sidha apney baap aur bhai ke saath aaungi.phir kya honga ye mujhe batane ki zarurat nhi hai.
Karan............Tujhe jis ko le kar aana hai le kar aa jaa lekin tu is ghar me nhi rahengi.tere baap aur bhai ko to me apney lund se maarunga.chal nikal yaha se.
Idhar me sab ke saamney gussay se priyanka aunty ke paas jaata hu aur jaate huye poonam ko ishara karta hu aur phir priyanka aunty ka haath zor se pakad kar usko ghar se bahar nikaalney lagta hu to poonam kehti hai.
Poonam..............Karan tu ye kya kar raha hai chor priyanka ko.
Rekha ...............bhabhi karan sahi kar raha hai.hum is chudail ko is ghar me nhi rehne de sakte hai.
Poonam................Karan tujhe meri kasam hai chor priyanka ko
Jaisey hi priyanka mujhe khud ki kasam deti hai to me ruk jaata hu.
Poonam.............Priyanka tum oopar ke room reh sakti ho.
Ye room mere room ke bagal me tha aur phir priyanka aunty hum sab ke saamney apna bag le kar room me chali jaati hai.
Idhar priyanka ke room me jaate hi sab poonam par chadh jaatey hai.
Rohit...............Poonam tu ne priyanka ko ghar me rehne kaisey diya.karan to accha usko ghar se bahar nikaal raha tha na.
Sunita...........ha bhabhi ab sab sach jaanney ke baad bhi hum priyanka ko kaisey ghar me rakh sakte hai.pata nhi jaisey usne deepak aur neha bhabhi ko maara tha waisey hi shayed wo hum ko bhi maar dey.
Karan................Ha badi maa me to ghar se bahar nikaal hi raha tha to aap ne mujhe kasam de kar q Roka.
Poonam............To rokti nhi to kya karti.tum sab ko pata hai priyanka ne kya kiya hai.agar priyanka ne karan par ilzaam laga diya ke karan ne priyanka ke saath badtameezee kiya hai ya phir uske saath zabardasti kiya hai to karan ki badnami hongi aur aisey matter me police bhi aurat ka hi saath deti hai isliye me ne karan ko roki hu.
Idhar poonam ne acchey se baat ko cover kar diya tha aur jo hum chahte they wo ho chuka tha.
Rohit ...........ha poonam tu thik keh rahi hai.pehle se karan police me badnaam ho chuka hai.
Ajay..............Lekin ab kya karna hai.hum priyanka ko yaha rakh kar apni jaan ko daav par laga rakhey hai.
Karan...............me ek baat bolu aap sab ko.
Swati.............ha bolo karan
Karan...............Dekho aap sab priyanka yaha aayee hai dad ki wife ban kar ke aur usko wife ka adhikaar chahiye to me yahi kahunga ke jaisa wo chahti hai aap sab waisa hi karo.tab tak me kuch plan banata hu jis se wo khud ghar se bhaag jaaye.
Poonam...............Mujhe bhi aisa hi lagta hai karan.
Rohit...............Ha karan tum sahi keh rahey ho.lekin karan tum jaldi se kuch plan socho taa ke ye musibat jald se jald is ghar se Nikal jaaye.
Swati.............Mujhe to bohot darr lag raha hai.kahi ye hamare saath kuch galat na kar dey.usne pehle bhi deepak aur neha bhabhi ko maar chuki hai.
Kavya..............Chachi mujhe lagta hai aap sab log kuch zyaada hi soch rahey hai.priyanka aunty ko hum ko kuch karna hota to ab tak kar chuki hoti lekin hamari kitni baar help ki hai.
Rohit...............Kavya tu abhi bacchi hai tujhe kuch pata nhi hai aur is matter ko hum badey solve kar lengey.priyanka ki shaadi deepak se nhi huyee isliye usne deepak aur neha ko maari thi ab wo apna badla poora karna chahti hongi q ke hum ne bhi deepak ko roka nhi tha neha se shaadi karne ke liye.
Anjali...............Papa lekin hum ko to priyanka aunty sahi lagti hai.unho ne hum ko hamesha support kiya hai.
Poonam...............Tum dono ko kaha hai na bado ke maamlo me tum ko nhi kehna chahiye.tum sab oopar jao sivaye karan ke.
Phir kavya, anjali,ansh,ankita,shweta,
Nidhi aur teena apney rooms me chaley jaatey hai.
Karan..............me aap sab ko ek baat kehna chahta hu.
Rohit...............ha karan kaho
Karan...............abhi sab normal ho jaaye aur jitna ho sakey priyanka se door rehna tab tak me kuch sochta hu.
Idhar ab sab ke dilo me darr beth gaya tha priyanka ke aaney ka.
Rohit...............Karan mujhe to lagta hai ye plan rajveer aur Rajvansh ka hai.usi ne kisi plan ke tahat priyanka ko yaha ghar me bheja hai hum sab ko maarne ke liye.
Swati..............bhai sab se badi baat to ye hai ke uske paas proof hai deepak aur uski shaadi ka aur agar ye baat sab ko pata chal gayee to hamari kitni badnaami hongi.kavya, anjali aur shweta ki shaadi ki umar ho chuki hai agar badnami hongi to kon karenga hamari betiyo se shaadi.
Ajay.............ha bhai swati sahi keh rahi hai.hum ko is matter ko jald se jald close karna honga q ke ye matter ab hamari betiyo ki life ke saath bhi juda hai.aur rajveer,Rajvansh aur priyanka to hamari badnami hi chahte hai.
Karan...........abhi aap sab kuch zyaada hi soch rahey hai.me hu na aap sab ko tension leney ki koi zarurat nhi hai aur rajveer aur Rajvansh ko me handle kar lunga aap bas priyanka ko handle karna.
Itna keh kar me apney room me aa gaya q ke mujhe is matter ko jald hi khatam karna tha.me aur badi maa ka jo plan tha wo to successful ho chuka tha priyanka aunty ki ghar me entry karva kar ke.
Phir me fresh hua aur sidhey nichey aa gaya sab ke saath nashta karne ke liye.nashtey ke table par sab khamosh bethey huye they lekin me to apna mazey se nashta kar raha tha.phir nashta ho jaaney ke baad me ne badi maa se kaha.
Karan.............badi maa mujhe kuch kaam hai isliye me jaa raha hu
Swati............... Karan tum ko aaj reena mam ne bulaya hai na college me aur tu kal keh raha tha na ke me aaunga.
Karan..............ha chachi me college aa raha hu lekin mujhe kuch kaam hai isliye kaam khatam kar ke me college aa jaunga.
Swati..............Thik hai karan.
Karan..........(ghar waalo se) aur aap sab tension mat lo me kuch sochta hu priyanka aunty ke baarey me.
Ajay.............ha karan.
Meri ye baat sun kar ke anjali aur kavya di dono mujh se gussa ho jaatey hai aur dono bhi apney salon me nikal jaatey hai idhar me bhi ghar se Nikal jaata hu aur badi maa chup ke se priyanka aunty ke room me nashta le kar jaati hai.
Poonam.............Kaisi ho priyanka.
priyanka............khush hu bhabhi deepak ke ghar me aa kar ke.
Poonam...............priyanka jo bhi nichey hua uske liye me maafi maangti hu aur agar me ne kuch zyaada bol di hongi to mujhe maaf kar dena.
priyanka.............nhi bhabhi aap sorry mat kahiye aap ki koi galti nhi hai.
poonam.............lekin mujhe ek baat samajh nhi aa rahi hai karan tumhey is ghar me bulana chahta tha to tum ko ghar se nikaal q raha tha.aur usne aisa q kaha hum sab se ke tum se thora door rehna.
Priyanka.............bhabhi ye karan ka hi plan tha.aap ko to pata hi hai ke mere dad aur bhai ki sacchayee ab sab ko pata chal gayee hai jis wajah se wo mujh se nafrat kartey hai.aisa to nhi hota ke me yaha aati aur mera swagat ghar waaley pyaar se karte ,wo mujh se nafrat hi karte isliye karan ne is nafrat ko darr me badal kar mujhe is ghar me entry karvayee.agar mera darr paida nhi karta karan ghar waalo ke darr me to wo kabhi mujhe ghar ke andar aaney hi nhi detey.ab mujhe apney darr aur nafrat ko pyaar me badalna hai bhabhi aur me ye tabhi kar sakti jab mujhe is ghar me entry milti.ab mujhe entry mil gayee hai is ghar me to me poori koshish karungi ke ghar waaley mujhe apnaye jaisa aap ,kavya,anjali aur karan ne apnaya hai.
Poonam...............tum akeli nhi ho hum bhi poori help karenge tumhari.aur karan ne tumhari entry karva di hai iski khushi mujhe hai.ab tum nashta karo me nikalti hu yaha se.
Phir poonam room se chup ke se nikalti hai.idhar priyanka aunty bohot khush hoti hai dad ke ghar me aa kar ke wo bhi unke wife ki haisiyat se.
Idhar rajveer aur Rajvansh ko pata chal jaata hai ke uski beti priyanka hamare ghar me aa kar rehne lagi hai aur ye khabar suntey hi dono bhi gussay se pagal ho jaate hai.
Idhar me ghar se Nikal kar ke sidha builder se milney jaata hu jo meri li huyee building ka kaam kar raha tha aur ab meri 4 manzila building ban kar ready ho gayee thi.terrace par ek chota sa swimming pool tha aur first floor se le kar 4 floor tak har floor me 4 rooms they wo bhi 2 bhk ke.ground floor par parking thi aur ek chota sa office type room tha.ab me ready ho gaya tha mumbai se kalpana aur Purvi massi aur goan se pandit ki dono daasiya ekta aur chandni ko is building me shift karne ka.
Idhar me building ka kaam kaaj dekh kar college jaaney ke liye nikla q ke reena mam ko mujh se kuch baat karni thi.me abhi college ke liye nikla hi tha ke tabhi mamta aunty ka mujhe call aata hai.
Mamta..............Hello karan
Karan.............Hello aunty
Mamta............Karan me ne tum ko yaad dilaney ke liye call ki hu ke tum ko dinner hamare ghar karna hai.
Karan.............Ha aunty mujhe yaad hai me aa jaunga aur aap aur suchi dinner simple hi rakhna.
Mamta ..............Ha karan tum yaad se aa jaana hum sab intezaar karenge tumhara.
Karan.............Ok aunty.
Idhar me college ke liye nikal jaata hu idhar rajveer aur Rajvansh dono bhi gussay se pagal hotey hai aur phir rajveer ghar ke bhedi ko call laga kar poori information le leta hai ke ghar me kya kya hua tha.idhar ghar ke bhedi ke zariye rajveer ko pata chalta hai ke is wakt me ghar par nhi honga isliye rajveer aur Rajvansh dono ghar par aaney ka delay karte hai.
Next few update.........Rajveer and rajvansh mega plan
Friends aap ko update kaisa laga comments section me zarur batana.