Insaan ghaltiyo ka ek putla hai.. chahe kitni bhi koshish kaarlo sab sahi karne ki phir bhi kuch na kuch galat ho hi jata hai.
Or ussi galti ka parinam kabhi-kabhi ek tufaan ka roop le leta hai.. or jab tufaan aata hai to sab ko hi udda le jata hai or tahas nahas kar deta hai.. usme achhe or bhure dono tarah ke logo ko bhugatna padta hai.. ek insaan ki galti ki saza us insaan se jude hue insaano ko bhi jhelni padti hai..
Khair thoda gyaan deni ki koshish ki hai.. jo hai nahi mere pass...heehee..
Chalo story ke bare me batata hu.. To meri story jo gyaan mene dene ki koshish ki hai ussi ke anushar hai.. ghaltiyo ke parinam kaise wapis hamare pass aate hai ussi ke anushar kahani chalegi. Zindagi ka ashul hai jaise karm karoge waisa faal paoge. To galti ki parinam swaroop kon kon " badla (revenge) " lene aata hai or kyu ye sab dekhte hai aage kahani me.
Note :- kaahani puri tarah se kalpnik hai.. real zindagi or duniya se iska koi lena dena nahi hai.. ye bas mere dimang ki ek chutiyapa soch hai. Jisse aapke samne lane ki ek meri koshish hai.. agar phir ki kisi ko meri kahani se koi problem ho abhi ya phir aage to mujhe DM karke bata dijiye ga.
KAL INTRO OR FIRST UPDATE KE SAATH MILTE HAI PHIR.