- 18,473
- 114,852
- 259
Last edited:
Ha ye samjh nahi aayaYeh Veer keise Kritika ka status check karna bhul gaya kyunki woh to koi bhi nayi beautiful ladki ka status check na karke usse ek sabd bhi nahi bolta.
Either she is not beautiful or else Veer aaj ke liye sudhar gaya hey.
Behtreen updateMega UpdateAb tak...
[Yes! Ek aur Mega Update! Enjoy!]
Update - 70 ~ Face Slapping!
Aur stats me appearance 75 dekhte hi Veer ke andar kaafi confidence tha aaj. Kyuki usse pata tha ki andar jaate hi kya hone waala tha.
'Let's go!'
[Yeah!!!]
Ab aage...
Aaj ki ye bhavya daavat, keval kehne ke liye daavat thi. Iska asli maqsad toh kuch aur hi tha. Veer jaanta tha ki uske Dada jii ne ye daavat kyu rakhi thi.
Taaki wo iss daavat me aane waale bade bade logo se ghul mil sake aur unse pehchaan bana sake. Veer ke Dada jii ab buzurg ho chuke the. Toh woh harr samay uske liye kisi badi family ke paas jaa kar usse introduce nahi karwaane waale the. Veer ab baccha nahi tha.
Isliye, aaj unhone apni zimmedaariyo se muqt hone ke baad Veer ko mauqa diya tha. Ab ye Veer ke upar tha ki woh kese iss mauqe ka fayda uthaata hai. Aur beshaq, Veer apne saamne gayi iss parosi hui thaal ko thukraane thodi waala tha. Bhale hi usse jaydaat me koi interest nahi tha. Par ab jab jaydaat ka kuch hissa usse mila tha toh woh uska poora ka poora istemaal karne waala tha.
Aur bina Dada jii ki iccha ke wo ye jaydaat ab kisi ke bhi hawaale nahi karne waala tha. Jab tak ki uske Dada jii khud uss se ye jaydaat nahi maangte, tab tak Veer ki ye jaydaat, uski apni thi. Kisi aur ki katayi nahi.
Car se utarte hi Veer uss aalishaan 5 star hotel ki entrance ke paas pohucha. Aur udhar pohuchte hi usse do jaani maani ladkiya wahi seedhiyo par khadi dikhaayi dii. Aur wo thi...
Arohi aur Kavya.
Jo aaj itni khubsoorat lag rahi thi ki harr andar jaata hua aadmi ek se do baar unhe zaroor dekh raha tha mud mud ke. Kavya maroon colour ki ek shining sii dress pehne hue thi toh wahi Arohi silver colour ki thighs tak aati ek dress me thi.
Veer ki presence ka abhaas hote hi jese hi Arohi aur Kavya ne usse dekha toh dono wahi jamm sii gayi.
Unn dono ko ek bada jhatka sa laga. Dono hi itna shock me thi ki kuch seconds tak toh kuch bol hi nahi paayi. Kyuki, aaj Veer unhe itna zyaada attractive lag raha tha ki dono ki hi nazre uske chehre par jami rahi. Veer ki handsomeness kayi guna badh chuki thi.
Aur uska asar, saaf dikh raha tha.
Arohi : V-Veeeer!??
Kavya : Bhaiya???
Dono ke hi muh khule ke khule reh gaye the.
Veer (smiles) : Kya hua? Party andar hai meri pyaari behno. Why are you guys waiting outside?
Arohi (blushes) : W-We... We were waiting for you.
Kavya (blushes) : Bh-Bhaiya! A-Aap aaj... Aaj boht handsome lag rahe ho.
Dono hi behno ki awaaz thoda ladkhada gayi. Paas se Veer ko dekh wo behad hi shock me thi. Veer ka appearance bhala itna kese badal gaya? Arre kal hi toh mile the wo sab. Fir ek raat me itna badlaav kese aa gaya Veer me?
'He... He looks so handsome!'
'Bh-Bhaiya? Bhaiya itne zyaada handsome kab se ho gaye? Kya mene bhaiya ko theek se nahi dekha tha ab tak? K-Kya bhaiya ne makeover karaaya hai?'
Kuch aisi hi thoughts unke mann me aa rahe the.
Kavya : Bhaiya? A-Aapne kuch lagaaya hai kya apne face pe?
Veer : Hmm? Nahi toh! Haha! Just the usual. Tum toh jaanti hi ho. Mein apne face pe utna dhyaan nahi deta. Bas, bath liya tha. Aur normal moisturizer. Nothing else.
Arohi (jalte hue) : Uske bawajood tumhari skin itni acchi hai. Aur upar se hum ladkiya din bhar apni skin par dhyaan deti hai. Then too, kahi pimples, toh kahi dark circles. I hate it. Sirf muh dhoke hi you... You look so smart. It's so unfair.
Kavya : Right didi!!! Bhaiyaaa~ I hate you!!!
*Thud*
Kavya : Ughhuuu~
Par iske pehle Kavya Veer se aur jal paati, Veer ne uske sarr par ek tapli de maari.
Veer : Let's go inside~
Kavya : Uhuuu~ Maara kyu!? Waaaa~
Iss baar bhi bechaari kuch na keh paayi kyuki Veer ne uske gulaabi narm se gaal ko kheech jo diya tha. Veer Kavya se behad pyaar karta tha. Aur ye choti moti nok jhok uske saath karne me usse boht accha lagta tha. Upar se, ahem Kavya ke gaal bhi boht soft the.
Veer : So? Kaun sii floor par hai?
Arohi : 7th floor!
Veer : Alright!
Teeno hi lift me jaate hue upar hotel ki 7th floor par pohuche aur lift khulte hi usme se baahar nikle.
Baahar nikal kar ek right turn liya aur bas, unhe entrance dikh gayi thi.
Entrance ke baahar 4 khubsoorat ladies ek sii dress pehne hue guests ko welcome kar rahi thi. 2 ladies phool ki pankhudiya phekte hue unka swaagat kar rahi thi toh wahi aage do khadi hui aane waale guests ke kapdo par perfume chidak rahi thi.
Kavya Veer ki baazu ko apne haatho me jakdi hui thi. Jese maano wo uska boyfriend ho. Ye harqat dekh Arohi ke bhi mann me kuch aaya. Par wo Veer ki dusri side hi chalti rahi. Shayad wo bhi Veer ka haath thaamna chaahti thi. But she decided against it.
Jese hi unn ladies ne Veer ko dekha toh pal bhar ke liye unki aankho me bhi chamak aa gayi.
Aur bade hi aadar ke saath muskuraate hue Veer ka swaagat karne lagi woh.
'Ye kitna handsome hai.'
'Haaye~ Ye ladka!'
Na jaane unke mann me kya kya chal raha tha. Par jese Arohi ne unn saari ladkiyo ke dekhne ke dhang ko mehsoos kar liya. Aur iss baar...
Arohi : Let's go fast~
Veer : Hmm?
Arohi Veer ka haath thaam usse jaldbaazi me andar le gayi. Andar jaate jaate wo palat ke unn ladkiyo ko ek look dena nahi bhuli.
Andar aate hi Veer ne dekha ki kya hi shandaar hotel thi ye. Waqai! Ye 5 star hotel kehlaane laayak hi thi.
Upar ceiling se latak rahe bade bade jhoomar itne mehnge aur aakarshak lag rahe the ki unki chamak hi logo ka dhyaan kheech rahi thi. Aur zameen par bicha hua wo shandaar kaaleen. Aisa lag raha tha jese kisi Raja ki sabha ka main hall ho.
100 se bhi upar aadmi andar ghus chuka tha iss waqt. Aur uske bawajood, hall me itni space thi ki lag raha tha ki bas kuch hi aadmi aaye hai.
Veer Arohi aur Kavya jese hi andar aaye, andar maujood logo ki bhi nazre unn par padi. Aur unme se jo Veer ki age ki ladkiya thi wo aankho me chamak liye usse dekhne lagi.
Aaj Veer ne personally customized ek high end tuxedo pehna hua tha. Uska lamba seedha aur lean figure ek dum perfect tareeqe se unn kapdo ke upar se jhalak raha tha. Ekdum fit!
Kaali ghani eyebrows, aankho me tej, hontho pe halki muskurahat, kaale wavy medium length baal, aur halki beard me wo kisi celebrity se kam nahi lag raha tha aaj.
Haar khubsoorat ladkiyo se aaj uske eye contacts ho rahe the. Aur kayi toh lagataar usse hi dekhe jaa rahi thi. Uske bagal me khadi Arohi aur Kavya bhi ye notice kar rahi thi.
Toh gusse me Kavya ne apna muh bilkul kisi pufferfish ki tarah phula liya.
"Hmph~ Bhaiya yaha nahi khade hote, chalo kahi aur." Kavya ne Veer ke haath ko kheechte hue bola.
"Hmm~ Hmm~" Aur Arohi bhi uski baat se sehmat hote hue Veer ko kheech ke thoda aage le gayi.
Kyuki ab keval ladkiya hi nahi, kuch shaadi shuda middle aged aunties toh wahi newly married bhabhiya bhi ab Veer ko taadne lagi thi. Arohi aur Kavya isliye jald se jald Veer ko waha se le bhaagi.
Abhi wo thoda hi aage aaye the ki itne me ek Kavya jitni height ki ladki unke paas aayi, "Kavya!!!!"
Kavya : Arre!?? Kritika tum aa gayi!?
Kritika : Haan! Ahahaha~
Ye Kritika Kavya ki classmate thi. Wo bhi Kavya ke jese hi cute thi par wo thodi aur mature thi Kavya se. Dono hi shayad agal bagal baithate the college me. Veer unn dono ko dekh khush tha. Kam se kam uski choti behan apni college life acche se vyateet toh kar rahi thi. Naye dost toh bana rahi thi. Uski tarah nahi, jaha uska college me koi ata pata nahi tha. Aur na hi koi dost.
Kritika (khuspusaate hue) : W-Wow! Kavya! Y-Ye tumhaare bhaiya hai? Tumhare cousin bhaiya toh boht handsome hai. M-Mujhe introduce karwao na.
Kavya : Umm... Bhaiya! Ye meri friend hai Kritika aur Kritika ye mere sabse favourite bhaiya, Veer!
Veer (smiles) : Nice to meet you!
Kritika (blushes) : N-Nice to meet you t-too!!!!
Kavya : Huh!? Kritika? Tum itna kyu sharma rahi ho?
Kritika : Umm... Wo... K-Kya aap mujhe apna insta account bata sakte ho?
Veer : Hmm? Well sure!
Aur Veer ne apni Insta ID ka QR code khol ke Kritika ko scan karne de diya. Usse scan karte hi ab wo Veer ko follow karne lagi thi.
Kritika : Th-Thank you!
Kavya : Huh? Bhaiyaaaaa??
Kritika : Mein chalti hu. Kavya! You enjoy! Hum kal milte hai college me.
Aur Kritika waha se khushi me bhaag gayi. Kavya bechaari usse bas dekhti hi reh gayi.
Kavya : Bhaiya??? Apne apni ID usse kyu dii?? Haan? I hate yo.... Waaaaaaaaa~
Ek baar fir uska sentence adhura hi reh gaya kyuki uske gulaab gaal Veer ke haatho me the.
Veer : By the way, tumhari friend yaha kese?
Kavya (gaal malte hue) : Wo... Dada jii ne mujhe permission de dii thi ki mein apni kuch friends ko bula sakti hu. Hehehe~ Special treatment you know.
***
Veer Arohi aur Kavya ko kuch derr akela chorr aur aage badhte hue jab aaya toh usse ek bada hi parichit chehra dekhne ko mila.
Veer ne apni bauhe usse dekh ke upar kari.
Iss waqt, uske saamne koi aur nahi navy blue suit pehne wo khada hua tha.
Pranjal!!!
Veer ne apni nazre ghumaayi toh usse aur bhi kuch familiar faces dekhne ko mile.
Vivek jo side me khade hoke kisi couple se baat kar raha tha. Veer ke chacha chachi jo kisi buzurg uncle aunty se baat kar rahe the.
Toh wahi Veer ne dekha ki dur Shweta baithi hui thi ek chair par aur uske bagal se khadi Bhumika uss se kuch kehne ki koshish kar rahi thi. Wahi Veer ke pita abhi abhi aaye the aur entrance ke paas khade hote hue sabhi ko welcome kar rahe the.
Abhi uske Dada jii ka aana baaki tha. Bas kuch derr me hi wo yaha aane waale the.
Par filhaal... Pranjal!!!
Veer ne dekha ki uske bagal me 5 se 6 log khade hue the aur sabhi badi hi hassi khushi se baat kar rahe the. Shayad Pranjal ne apni bhole bhed ki costume pehn lii thi. Meethe bol fek raha tha lagta hai wo unpe.
'I'll have to take the chances.' Veer ne mann me socha.
[Yeah! You better! Warna wo Pranjal apni meethi meethi chikni chupdi baato se tumhaare future potential business partners tumhare haatho se chhina ke le jaega.]
'Don't worry!'
[Hmm~]
Veer ki intelligence already 90 paar nikal chuki thi. Iss waqt wo boht hi calm tha. Ekdum shaant. Bas sherr ki tarah apne shikaar ko jese dekh raha tha uss par hamla karne se pehle.
Aur tabhi...
Pranjal ne bhi usse mud ke dekha. Aur jese dono ki nazre aapas me bhidte hi ek sparking sii hui ho maano. Dono hi apni nazro se ek dusre ko aazma rahe the. Jaanch rahe the.
Bhale hi Pranjal ek nihaayti kapti insaan tha. Par uski pehchaan toh thi. Boht pehchaan thi. Uske baat karne ka dhang bhi accha tha.
Of course! Ye toh swabhaavik sii baat thi. After all, wo dikhne me bhi smart tha. Veer jitna nahi par wo bura nahi dikhta tha. Toh logo ka uski vaani aur uske haav bhaav ke parti rujhaan rakhna, ye swabhaavik tha.
Pranjal ka charm aisa tha ki kuch derr andar aane ke baad hi usne 5 se 6 naye logo se pehchaan bhi bana lii thi. Obviously, wo charm jhootha charm tha. Keval ek dikhaava. Par uska dikhaava itna on point rehta tha ki acche se accha aadmi usse parakh nahi paata tha. Jab Veer ke Dada jii Manorath khud usse nahi jaan paaye toh bhala koi aur kese jaan sakta tha uski asliyat?
Koi Mr. Bhargav Pranjal se baat kar rahe the. Veer ne pehle hi unhe check kar liya tha. Aur unhone jab Veer aur Pranjal ko aapas me nazre milaate dekha toh wo bol uthe, "Arre? Ye!? Manorath jii ka pota hai na?"
Veer unki baat sunn, naturally usse aage jaana hi pada.
Veer (smiles) : Jii namaste! Mein Veer! Jii haan! Aapne sahi kaha. Mein unka sabse chota pota hu.
Mr. Bhargav (smiles) : Kya baat hai! Dono pote kitne smart hai Manorath jii ke. Wo mere pita ke khaas dost rahe hai. Ab mere pita toh nahi rahe. Par mere bhi boht acche sambandh hai unse. Haha~
Veer : Jii!
Mr. Bhargav : Aur sunao aap? Kya chal raha hai beta aapka? Education me?
Veer kuch keh paata ki tabhi Pranjal ne uske gale me haath daala aur khud keh utha.
Pranjal : Hahaha!? Ye!? Uncle! Veer toh science student hai. Iski engineering chal rahi hai. Commerce wala toh mein hu. Mein business me active rehta hu zyada. Hahaha~
Veer muskuraaya aur usne agle hi pal apne kandhe se Pranjal ka haath neeche kiya aur bola,
Veer : Mein science se zaroor hu Uncle. But at the same time, mein apna khud ka business bhi kar raha hu. Dono cheeze parallel me chal rahi hai.
Mr. Bhargav (surprised) : Ohhh!? Ye toh acchi baat hai. Acchi baat hai waqai...
Pranjal (smiles) : Mere chote bhai! FOOD TRUCK ka business bhi koi business hota hai?
Pranjal ne kehte hue 'Food truck' par kaafi zorr dete hue kaha. Jese bataana chaah raha ho ki Manorath ka chota pota kisi kaam ka nahi hai aur itna chota kaam kar raha hai woh.
Veer (smiles) : Aadmi chote business se hi apne business ko bada banaata hai bhai. Kyu? Mr. Bhargav? Mene sahi kaha na? After all, aapke pita jii ne bhi toh tiles ka business ek choti sii dukaan se shuru kiya tha na? Yadi aaj aapka itna bada tiles ka business hai toh kya aap unn dino ko bhula sakte ho? Jaha se aapke iss mazboot business ki shuruaat hui thi.
Mr. Bhargav Veer ki baat sunte hi sann reh gaye the. Unhe Veer se mile abhi kuch hi seconds hue the aur uske bawajood Veer ko itna sab pata tha unke baare me. Of course! Ye sab toh Veer ko khaali Check karke pata lag gaya tha. Par Mr. Bhargav ye nahi jaante the ki Veer ke paas koi system hai.
Mr. Bhargav (surprised) : Huh?? N-Nahi! Bilkul nahi! Mein aaj bhi apne pita jii ke unn beete dino ki mehnat ki daat deta hu. Unhe yaad karta hu. Unhi ke kaaran toh aaj mera itna naam hai. P-Par tumhe itna kuch pata hai mere baare me? Hahaha~ Manorath jii ka chota pota waqai boht knowledgeable hai. Tum boht aage jaoge beta.
Veer (smiles) : Jii Thank you Uncle! I wish you the same. Aapka business bhi aage badhta rahe. By the way, can I have your business card Mr. Bhargav?
Mr. Bhargav : Hahaha~ Arre arre why not? Tum bejhijak mujhe contact kar sakte ho. Koi bhi zaroorat pade toh mujhe yaad kar lena. Okay?
Veer (smiles) : Thank you!
Bagal me khade Pranjal saamne chal rahe conversation sunn ke aisa hakka bakka ho gaya tha ki uski samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kese ho gaya. Usne apne chehre par toh koi bhaav nahi badle, bas smile karte hue dekhta raha. Par andar mann me jese bhuchaal sa aa gaya tha uske.
Uske saamne se Veer uske ek future partner ko jese chheen ke le gaya tha. Gussa toh behad aa raha tha usse.
Veer jese hi mud ke jaane ke liye hua toh Pranjal ne uske kandhe par haath rakha. Aur bade hi dheere se swar me uske kaan ki orr jhukte hue bola,
"Zyaada khush nahi hote Veer! Zyaada udte nahi. Kyuki jo jitna uucha udta hai na, wo zameen par bhi utni hi zorr se girta hai."
Pranjal usse aagah karne ki koshish kar raha tha. Ki hawa me udna aur khayaali pulaav pakaana acchi baat nahi. Warna baad me muh ki khaani padti hai.
Par tabhi, Veer ne bhi uske kaan ke paas aate hue dheere se kaha, "Dragons soar into the sky. Not the insects."
Aur wo Pranjal ko wahi chorr nikal gaya.
Pranjal ko jese apne shabdo se muh par tamaacha maar ke gaya tha Veer. Pranjal kehna chaah raha tha ki Veer hawa me na ude warna neeche aa girega.
Toh wahi Veer ne usse ye kaha ki Dragons hawa me hi udte hai, keede nahi. Ek prakaar se Veer Pranjal ko ye bataana chaah raha tha ki wo Dragon ke bhaati tha jo aakaash me uchaaiyo me udne ke liye paida hua tha. Na ki unn tucch keedo ki tarah tha jo bas nichle starr par mandraate rehte the. Dusre shabdo me wo Pranjal ko neeche mandraane waala keeda bhi keh ke gaya tha.
Aur ye baat Pranjal ko samajh aate hi, uski mutthi apne aap gusse me kass gayi. Daant meesne laga wo par uske bawajood, sabke saamne uski smile abhi bhi maujood thi. Khud ke bhaav chhupaane ka talent bhi koi Pranjal se seekhe.
'Mujhe laga hi tha tum koi na koi harqat zaroor karoge Veer. Isliye, I came prepared. Tum dekhte jao. Kya haalat karta hu mein tumhaari abhi.'
Sochte hue Pranjal ne apne jeb me kuch tatola aur fir waha se nikal gaya.
***
Kuch samay beeta aur ab Veer ke Dada jii ka aagman ho chuka tha. Unhe zyaada shor sharaaba pasand nahi tha. Isliye, wo late hi aane waale the aur kuch derr sabhi se milke waapas lautne waale the. Unhone ye party mainly Veer aur Pranjal ke liye hi rakhi thi.
Jese hi Manorath andar aaye sabhi unka swaagat karne lage. Aur unse ghul milkar baatein karne lage. Veer dur khada bas sab kuch dekh raha tha ki itne me hi uske Dada jii ne usse dekha aur uske paas gaye aur dheere se puche, "Kya bahu nahi aayi?"
Veer : Jii nahi Dada jii! Mene kaha bhi tha ki aapne bulaaya hai. Par unhone kaha ki unse nahi aaya jaega. Keh rahi thi ki Dada jii se kehna mujhe maaf kar de.
Manorath (niraash hote hue) : Koi baat nahi! Kya tum mile kisi se yaha par?
Veer (smiles) : Jii!
Manorath (smiles) : Boht acche! Aise hi aage badhte raho. Mata rani sab kushal mangal kar dengi.
Aur Manorath fir hall ke center me chale gaye jaha sabhi se wo baatein karne lage.
Aur dekhte hi dekhte gifts dene ka silsila shuru ho chuka tha.
Veer chair par baitha hua kuch soch raha tha ki itne me hi uske bagal se aake Pranjal dusri chair par baith gaya.
Dono ne hi ek dusre par ek nazar maari aur uske baad dono me se hi koi kuch nahi bola.
'Just wait Veer! I'll show you ki mere se panga lena kyu mehnga padega tujhe.'
Pranjal ne sochte hi apne jeb me se tatol ke ek pudiya nikaali. Uske chehre par ek kapti muskuraahat thi.
Pranjal : Waiter!!! Do cold drinks idhar!
Veer : Hmm?
Pranjal ne ek waiter ko dekh bulaaya jo cold drinks guests ko serve kar raha tha aur uss se do glass rakhwa liye.
Pranjal : Chote bhai! Tum shayad sahi the. Dragons really soar into the sky. And of course, mera bhai bhi ek dragon ke samaan hai. Jo ab aage badhta rahega. Aur uski aur kal hume property milne ki khushi me... Here's a toast. Ab wine ya beer toh nahi hai. Toh ye cold drink se hi kaam chalaana padega. Haha~ Hmm? Dada jii ne gifts accept karna start kar diya lagta.
Usne cold drink dene ki baat karte hue, Dada jii ki orr Veer ka dhyaan bhatkaaya aur badi hi chaaplusi se chupke se wo pudiya cold drink me daal dii.
Itni bheed me ghanta koi uske actions ko notice kar raha tha.
Uske baad wo waapas se apne topic par aa gaya.
Pranjal : Arre lo Veer!
Usne Veer ki side waali drink me wo pudiya daal le Veer se peene ko kaha. Veer kyuki Pranjal ke action ko nahi dekh paaya tha isliye usse nahi pata tha ki isme kya mila hua tha.
Isme constipation ka drug mila hua tha. Wahi shit drug jo Jassi ko diya gaya tha jab Kaera ko kidnap kiya gaya tha. Bas, farq ye tha ki Pranjal ka ye drug aur bhi strong tha. Itna ki yadi koi isse le le, toh kuch hi derr me lambi lambi shehnaaiya bajna tay tha.
Par Veer kaun tha? Uska intelligence 95 pe tha. Pranjal ka ab wo sly intelligence Veer ke intelligence ke muqaable kuch bhi nahi tha.
Drink dekhte hi Veer muskuraaya aur...
'Check!'
*Ding*
[Cold drink.
Bio : A cold drink with added constipation drug. Do not consume it.]
Bas, itna sa padhte hi Veer ko saari planning ke baare me pata lag gaya tha jo Pranjal uske peeth peeche kar raha tha.
'I'll show you brother, how it's done!'
[Just smack him in the face. This bastard~]
Veer : Waqai! Gifts toh dene lage hai log. Hmm? Par wo kaun hai?
Iss baar Veer ne achraj me Dada jii ki orr dekhte hue kaha. Aur behsaq, Pranjal bhi uski nazro ko follow karte hue waha dekha.
Aur jese hi wo palta,
*Swap*
Veer ne agle hi pal waapas se apni glass Pranjal ke glass se exchange kar dii.
Pranjal : Ohh! Wo lady? Hmph~ Interior decor ke showrooms hai unke. Already unka visiting card hai mere paas.
Pranjal ne jeb me se ek safed card nikaalte hue Veer ko chamkaane ki koshish kii.
Par Veer bas muskuraa raha tha.
Veer (smiles) : That's so good for you!
Pranjal (mann me) : Of course Veer! Baahar se tu smile kar raha hai. Par andar hi andar jal raha hoga tu. Hahaha~
Pranjal : Arre ye kya? Tumne drink nahi lii?
Veer : Aap ne ek ghooth nahi piya aur mujhe drink karwa rahe ho?
Pranjal : Arre isme kya? Ye lo!
Kehte hue Pranjal gataagat saari cold drink pee gaya. Ye soch ke ki drugged waali drink Veer ke side hai. Aur usne jo pee wo normal thi. Par usse kya pata tha ki kuch derr me hi uske pait me bhuchaal aane waala tha.
Veer (smiles) : Ab aapne pee hai toh mujhe toh peeni hi padegi.
Aur fir...
*Gulp* *Gulp* *Gulp*
Veer dheere dheere saari drink pee gaya. Jese jese glass me maujood drink Veer ke pait me jaa rahi thi, wese wese Pranjal ki muskuraahat bhi felti jaa rahi thi.
Pranjal : Good! Hahaha! Ye hui na baat!
Veer : Ye taste kuch ajeeb sa kyu hai?
Pranjal : H-Huh? N-Nahi toh? Mujhe toh ekdum sahi laga.
Veer : Aisa? Well...
Pranjal : A-Anyways! Ab jald hi hamaari baari hai gifts dene ki. Be prepared.
Aur Pranjal sharaarti bhari muskaan lete hue waha se nikal gaya. Veer toh jese bas usse chomu bana raha tha. Usne jaan bujh ke aisa kaha tha taaki Pranjal ko lage ki waqai Veer ne wo drugged drink pee lii. Jab ki aisa koi case hi nahi tha. Veer toh perfectly fine tha. Par Pranjal? Not so much!
Arohi aur Kavya bhi idhar udhar sabse milke aa chuki thi aur Veer ke saath hi aake khadi ho gayi.
Kuch derr ke baad jab sabhi ne gifts de diya. Toh bas ab parivaar waale hi gifts dene ke liye bache hue the.
Par uske pehle Manorath kuch kehna chaahte the.
Mic ke aate hi unhone sabhi guests ki orr dekha aur bolna shuru kiya, "Aaj!!! Aaj mere liye... Ye bada hi khushi ka mauka hai. Mein... Jo apni saari zindagi me aap jese itne preeya logo se jud paaya, ye mere liye saubhaagya ki baat hai. Inn beete saalo me... Jo kuch bhi... Jo kuch bhi mene kamaaya tha. Unke do bade hisse mere pote Veer aur Pranjal ke naam kar chuka hu mein. Aaj! Aaj mein apni iss zimmedaari se muqt ho chuka hu. Aap sabhi yaha aaye, mera maan rakha... Uske liye boht boht Dhanyavaad! Aur... Mere pote... Ye mere do pote, mere liye heera hai. Inki raah me aap inka ho sake toh zaroor saath dena. Bas! Yahi kehna chaahunga. Dhanyavaad!!!"
Aur taaliyo se poora hall goonj utha.
Arohi : It's time for our gift.
Kavya : Hmm hmm! Chalo bhaiya!
Veer : Wait!
Arohi : Hmm?
Veer : Pranjal bhaiya gift dene jaa rahe hai. Look! I think unka gift boht bada hai.
Veer ki baat sunn dono hi behne stage ki taraf dekhne lagi.
Pranjal waqai kaafi kuch cheeze leke aaya tha.
Jaise hi wo muskuraate hue stage par chadha...
*Gudgudgud*
"Huh!??"
Uska pait andar se gudgud hua. Shayad drug ne apna kaam karna shuru kar diya tha.
Andar se pait aisi marod maar raha tha uska ki uss se khada nahi hua jaa raha tha achanak se.
Wo apne face ke expressions ko chhupaate hue aage badha. Kyuki ab photos bhi click ho rahi thi. Itni lights me aur itni bheed me aaj pehli baar Pranjal ko andar se dhak dhak ho rela tha.
"Shit!!"
Wo dheere dheere aage aaya. Aur tabhi...
Uski gaand se jese koi cheez baahar nikalne ka prayaas karne lagi. Pranjal ka muh aisa tha jese abhi usne koi kadvi dawaai kha lii ho.
Apni gaand ko sikod ke wo aage badha aur usne bolna shuru kiya,
"Y-Ye gift... Y-Ye... Ughh! Special gift... Ye... Mein... Dada jii ke liye... Dada... Dada jii ke liye..."
Aur tabhi...
*Phuuuuuuurrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr*
"Huh?"
"Hmm?"
Ek zordaar awaaz Pranjal ki gaand se aayi.
Aisa laga maano kisi ne chinghaada baja diya ho. Ya bhopu...
"Cough cough!!! Mein ye dada jii ke liye..."
Pranjal ne khaaste hue apni shehnaai ki dhun ko cover up karne ki koshish kii, par sab bekaar tha kyuki agle hi pal...
*Phuuuuuuusssssssss*
*Phuuuuiiiiiiiiiii*
*Phurururururuuuuuuuu*
Maano jese kisi ne aatishbaazi shuru kar dii ho. Upar se jidhar wo khada tha, uske theek peeche Manorath ne apna mic ka stand rakha tha. Mic seedha Pranjal ki gaand ki orr focused tha.
Shor hone ke bawajood sabhi ne wo awaaz suni thi.
Suni kya, jo aas paas Pranjal ke khade the, unhone toh soongh bhi lii.
"Yuuuukkkkk!!! Gwaaakkkk!! Chhheeee~"
"Ye kya hai??? Kisi ne paada.... Chheee~"
"Arre... Ye... Isne... Isne paada."
"Aise mauke par... Aisi harqat! Chhee~ Yukkk!! Mujhe vomiting aa rahi hai."
"Mummyyyyy badbu aa rahi hai... Waaaaa~"
Uske peeche khade log sab uss se dur bhaag gaye.
Koi naak pakad ke khada tha toh koi dur bhaag raha tha.
Aur Pranjal apni roti hui shaqal bana ke forun hi Dada jii ko gift Diya aur seedha washroom ki orr bhaag gaya.
Arohi aur Kavya wahi khadi hairaan aur sharminda reh gayi thi. Manorath khud behad sharminda the. Vivek khade hoke muskura raha tha. Toh wahi Karunesh gusse me tha. Aur Brijesh Veer ko dekh raha tha. Shayad aaj wo apne bete par proud tha?
Uske baad Veer ki baari jab aayi toh Veer ne Dada jii ko ek bhagwaan jii ki murti gift kii.
Sabke gifts lene ke baad finally, khaana shuru hua aur Banquet ke khatam hone ke baad sabhi jaane lage.
Par shuru se ant tak Pranjal kahi nazar nahi aaya.
Shayad wo bathroom me alag alag dhunn bana raha tha.
***
Hotel ki hi terrace par iss waqt Arohi khadi hui thi.
Mand mand hawaein chal rahi thi aur uske baalo ko hawa me lehra rahi thi.
"You are alone here?"
Tabhi uske peeche se ek awaaz aayi toh woh mudi, paaya ki Veer khada hua tha.
Arohi : Hmm! Bas kuch nahi! Tum yaha?
Veer : Aapko dhundte hue hi aaya.
Arohi : Ohhh!
Veer : You look tensed!?
Arohi : Aaj... Dada jii ko sharminda hona pada.
Veer (smiles) : Ohh you mean!? Pranjal waali baat?
Arohi : Hmm~ But...
Veer : ?
Arohi : Why do I think ki tumhe pehle se pata tha?
Veer (smiles) : Of course mujhe pehle se pata tha.
Arohi (shocked) : Huh!?
Veer dheere se Arohi ke kaan ke paas aaya aur bola, "That drink was made for me."
Arohi : Hmm?
Par Arohi kuch samajh nahi paayi.
Veer : Pranjal! He mixed a constipation drug in my drink and wanted to give that to me.
Aur ab Arohi ko jese saari baat samajh aayi. Hairat ke maare uska muh khula ka khula reh gaya.
Arohi : He... He.. what!?
Veer (smiles) : Yes! But I exchanged mine with his drink. Aur uske baad... Bas pataakho ki awaaz thi.
Arohi bhauchakki sii Veer ko dekh rahi thi. Uske baad wo shaant hui aur muskuraayi.
Arohi : You did him good! He deserves it.
Par ek pal ke liye wo ghabra bhi gayi. Kahi ye sab Veer ke saath hua hota toh? Veer ko usne dekha toh paaya ki Veer ekdum confident nazar aa raha tha. Aur wo neeche cars me jaate hue guests ko dekh raha tha.
Pata nahi kyu, par Arohi ko aaj Veer boht hi attractive lag raha tha.
Aur wo aage badhi... Apne honth leke... Uske gaal ki taraf...
Ki tabhi...
"Umm... Wese..."
Aur Veer mud gaya.
Veer : !????
Arohi : Mm!????
Veer aur Arohi dono ki nazre phati ki phati reh gayi thi. Kyuki...
Dono ke honth aapas me jude hue the. Arohi toh keval uske gaal ko chumna chaahti thi. Par utne me hi Veer palat gaya tha... Aur nateeja...
Arohi : Aaahhh!
Wo hadbada ke peeche hati aur bina Veer ko dekhe hi bhaag gayi.
Veer bechaara bas apni thodi kaapti hui ungli se apne honth par firaata reh gaya aur mann me bas yahi kehta raha...
'It... It was an accident!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Ye mega update hai. 5k words bhailog.
Like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Update - 5 ~ System Activation
Ab tak...
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
Ab aage...
Veer ke accident ke kuch ghanto baad hi jab Brijesh ka phone baja tha aur screen par Veer naam jab usne dekha tha toh pata nahi kyu Brijesh ne call nahi uthaaya.
Shayad kuch derr pehle usne khud hi apne bete ko dhakke maar ke ghar se baahar nikaala tha iss kaaran vash? Ya fir wo abhi Veer ke muh se koi bhi baat nahi sunn'na chaahta tha. Kuch tha jo usse rok raha tha Veer se baat karne ke liye.
Ki tabhi uske phone par firse call aaya par ye uske khud ke vyakti ka tha.
Brijesh : Hello?
Aadmi : Saahab! Veer jii ka car se accident hua hai. Abhi wo xxxxxxxxxx hospital me bharti hai.
Aur ye sunte hi Brijesh uth khada hua. Aur forun hi hospital ke liye jaane laga.
***
Agle din Kavya college me apni soch me ghum thi.
'Veer bhaiya ka call uske baad se aaya hi nahi. Kya karu? Call back karu? Iske pehle unhone kabhi mujhe call nahi kiya fir achanak kal kyu? Kahi koi dikkat toh nahi? Kal unke beech mein call na kar saki thi...'
Aur ye soch wo call lagaati hai par call nahi laga. Kese lagta? Ward boy ne Veer ki SIM waapas se uske phone me jo daal dii thi.
Ant me Kavya uske whtsapp par message daal deti hai ye puchne ki wo theek hai ya nahi?
Idhar Nidhi din me hi Veer ke ghar gayi thi taaki wo jaan sake ki kyu uske Maa Baap ne call nahi uthaaya tha.
Jab wo waha pohuchi aur jesa ravaiyaa usne dekha Brijesh, Shweta aur baaki ghar waalo ka Veer ke prati ye dekh ke usse itna gussa aaya ki wo khud ko control na kar saki.
Nidhi ek Maa bhi thi. Uski khud ki beti abhi choti thi aur aise me wo jaanti thi ki ek parent hona kya hota hai. Aise me jab usne Brijesh aur Shweta ka behaviour dekha toh bas wo bhadak uthi.
Nidhi : Kese Maa Baap ho aap log? Aapka Beta waha apni zindagi se ladd raha hai aur aap logo ko koi chinta hi nahi hai? Yaha tak ki aapne usse apne ghar se baahar hi nikaal diya!?
Brijesh : Dekhiye Madam! Veer ab iss parivaar ka hissa nahi hai. Rahi baat paise ki toh uske medical kharcho ki bharpayi mein kar chuka hu par iske baad ab wo jaane ki wo kaha rahega kese rahega... Aur aap hamare parivaarik maamlo se dur rahe toh hi accha hoga.
Nidhi : Bhul se bhi aise Maa Baap na de bhagwaan kisi ko...
Aur Nidhi apni namm aankhe liye waha se bhaag aayi. Usse Veer ke liye waqai boht bura lag raha tha. Kaha wo khud ko badqismat samajhti thi par ab Veer ko dekh usse mehsoos hua ki kam se kam usse Maa Baap ka pyaar toh mil raha tha par Veer ko toh wo bhi nahi mila...
Na jaane kya kya saha hoga uss bechaare ne ab tak?
Na jaane kese kese din bitaaye honge Veer ne unke beech rehke?
Idhar hospital me abhi shaam ke waqt Veer ko hosh aa chuka tha.
"Arrrghhh!" Ek karaah ke saath uski aankh khuli.
Aankho se dhundhlapan hata, saamne ka nazaara nazar aaya.
Usne dekha ki wo hospital me hai. Aankhein uski jal rahi thi. Usse sab kuch jese yaad aane laga...
Kya hua tha?
Haan! Aur kal ki saari vardaat flashback ki tarah uske dimaag me mandraane lagi.
Aur usne apna sar pakad liya...
Aankho se aasu behne lage...
Abhi wo soch hi raha tha ki itne me uske andar ek awaaz gunji jiske chalte uske raungte khade ho gaye.
[Sytem has been activated. You are now the owner of the system.]
Veer (ghabraate hue) : Huh? Kaun? Kaun hai?
Awaaz se maano Veer bechaara darr hi gaya. Usne apna sar idhar udhar hilaate hue dekha par wo awaaz kaha se aayi usse kuch bhi pata na chala.
[Name the System!!]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Mein puchta hu kaun hai?
Aur firse ek awaaz uske dimaag me gunji...
[Analyzing Hindi language from owner's mind...
Processing...
Process completed.
Hindi Language has been recognised.]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Saamne aao... Kiski awaaz hai ye jo mere sarr me gunj rahi hai...!?
Tabhi wahi awaaz firse uske mann me gunji...
Par iss baar uske bol alag bhaasha me the.
[Shaant! Mein System hu. Aur ab se tum mere master ho.]
Veer (darrte hue) : Kaun bol raha hai? Mujhe tum dikhayi kyu nahi de rahe?
[Mene kaha na Shaant! Mein ek system hu. Meri koi physical body nahi hai. Mein tumhare andar hu.]
Veer (ghabraate hue) : Me... Mere andar?
[Haa! Kya tumhe yaad hai kal tumhare saath kya hua tha? Tumhara accident hua tha. Aur tum marrte marrte bache ho tumhe pata hai? Yadi mene samay par madad na ki hoti toh tum zinda nahi bachte.]
Veer (chillaate hue) : Kesi madad? Tum mere andar kese ho? Baahar aao...
[Arre! Itni zorr se mat chillao. Andar mann me hi kaho jo kuch bhi kehna hai. Mein tumhaare mann, dil, dimag sab se judd chuki hu. Aur tumhare mann ki baat sunn sakti hu. Aise chillaoge toh log tumhe pagal samjhenge.]
Aur uss vichitr mann ki awaaz sunn Veer apne mann me hi baat karne laga.
Veer : Meri... Meri kuch samajh me nahi aa raha hai. Ye sab kya chal raha hai?
[I know! Abhi tumhe samajhne me time lagega. Bas itna samajh lo ki mein tumhe koi nuksaan nahi pohuchaane wali. Ulta mein tumhari madad ke liye yaha hu.]
Veer : Meri madad?
Veer ne kaapte hue pucha.
[Haa! Tumhari madad! Mein tumhari madad karungi. Hamesha tum apni kismat ko koste the na? Ab mein tumhara saath dungi aur tum apni kismat palat ke rakh doge.]
Veer : Wo... Wo kaise?
[Yahi toh mera kaam hai. Yadi mera istemaal sahi se kiya. Toh tum duniya par raaj kar sakte ho.]
Veer : Sach!?
[Ekdum sach.]
Veer : Toh kya tum ladki ho? Kyuki tumhari awaaz ladkiyo jesi hai.
[Nahi! Mein na hi ladki hu na hi ladka. Mein kisi bhi gender me apne aap ko dhaal sakti hu. Mene tumhaare mann me jhaank ke dekha toh pata chala tumhe ladkiya zyada pasand hai ladko ke muqaable isliye mene apni awaaz ladki ki rakhi hui hai.]
Veer (blush) : Huh? Obviously Mujhe ladkiya pasand hai. Ladke nahi. I'm not gay...
[Yadi kaho toh awaaz ladke ki rakh lu!?]
Veer : Huh? Nahi! Nahi! Aise hi theek hai.
[Hehehe~]
Veer : ..........
[Accha! Ab apni aankhein band karo aur mann me hi kaho ~ Status]
Veer (aankhein band karte hue) : Status!
Aur Veer ke itna kehte hi uske mann me ek window khul gayi,
[ Name - Veer
Age - 20
Status - Abandoned student.
Stats :
Strength - 3/100
Intelligence - 4/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 6/100
Talents - 0
Points - 0 ]
Ye sab dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye.
[Baap re Baap! Tumhara toh boht bura haal hai. Itne bekaar stats mene kabhi nahi dekhe apne life cycle me. Ye kya? Zero talents? Baap re!!! Tum reh kese liye itne din? Hmm? Endurance bas zyada hai tumhara. Arre haa! Itni maar khaoge toh ye toh zaahir si hi baat hai. Hehehe~]
Veer : Udaa lo... Tum bhi mera mazaak uda lo... Ab toh mujhe aadat pad gayi hai.
[Hey! Hey! Sorry! But ab tension mat lo. Mein hu na. Mein tumhe dekhna kaha se kaha pohucha dungi.]
Veer : Aur tum aisa kyu karogi? Kya milega tumhe aisa karke?
[Mera kaam hi yahi hai. Mera kaam hai logo ko sabse sarvashreshth banaana.]
Veer : Toh tumne mujhe hi kyu chuna?
[Mene chuna nahi. Jab mein yaha se guzri toh tum hi paas me the aur mein tumhare shareer me pravesh kar gayi. Apne aap ko Lucky keh sakte ho tum.]
Veer (shocked) : Yaha se guzri matlab?
[Uss baare me mein zyaada baat nahi kar sakti.]
Veer : Toh? Toh Doctor ko pata nahi chala? Ki tum mere andar ho?
[Hahaha~ Doctor kya... Tumhaari Prithvi me rehne waala koi bhi vyakti ye nahi bata sakta ki tumhaare andar mein maujood hu.]
Aur ek aur jhatka Veer ko. Ye kya bala ghuss gayi achanak se uske andar aake?
Veer : Aur tumhe Hindi kese aati hai??
[Arre buddhu abhi toh bataya, mein tumhare mann, dimaag aur dil se jud chuki hu. Aur abhi abhi toh seekhi tumhaare dimaag se hi. Isliye jitni Hindi tumhe aati hai utni hi mujhe bhi.]
Veer : O... Okay!
[Par tumhaare stats boht hi bekaar hai. Mujhe khud taras aa raha hai dekh ke. Tumhe jald se jald apne stats badhaane honge.]
Veer : Ye? Ye stats kya hai?
[Ye tumhari asli shamtaaye hai. Tumhari strength 3 hai yaani ki jo taaqat hai tumhare andar usse yadi number se darshaaya jae toh woh 3 hai. Intelligence matlab tumhari buddhi, agility tumhari furti, endurance tumhari sehan-sheelta aur appearance tumhare physical features yaani ki chehra body haath perr ye sab.]
Veer : Aur mein inhe badha sakta hu? Toh mere asli shareer me badlaav aaenge?
[Haa!]
Veer (shocked) : Baap re! Aise me toh mein fir...
[Tabhi toh kaha ki ab mein tumhari kismat palat ke rakh dungi.]
Veer : Par wo points kese badhenge?
[Missions karke. Samay samay par tumhe missions milenge aur jese jese tum unhe complete karoge tumhe points milenge. Unn points se tum apne stats badha paoge aur saath hi saath nayi skills khareed paoge. Saath hi saath jitni uplabdhiya aur naam kamaoge tumhe points milte rahenge.]
Veer : Mein kuch samjha nahi...
[Hmm! Tumhara intelligence kam hai na isliye abhi sab kuch tumhare bheje ke upar se jaega. Bas itna samajh lo. Jese jese tum missions poore karte jaoge, mera level aur saath hi saath tumhaara level badhta jaega. Jiske chalte aur bhi anokhi skills unlock hoti jaengi. Dhyaan rahe! Yadi mission ko time limit me poora nahi kiya gaya. Toh tum hamesha hamesha ke liye mujhe kho doge.]
Veer : O... Okay!!
[Hmm! Ek aur akhiri baat. Kabhi bhi... Kabhi bhi ghamand mat karna. Jis din tumhe ghamand aana shuru hua, uss din se hi tumhara ant bhi shuru ho jaega.]
System ki baat sunn Veer ke raungte khade ho gaye. Apna thook nigalte hue usne firse kaha.
Veer : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha ki duniya me aisi bhi koi cheez hoti hai.
[Duniya me aisi koi cheez nahi hai. Saari duniya me mein hi ek hu jo tumhare andar iss waqt maujood hu. Mein iss planet se nahi hu. Aur planet ke baahar kesi kesi cheeze maujood hai ye tum insaan soch bhi nahi sakte.]
Veer : .........
Iske pehle ki Veer kuch aage keh paata, Nidhi uske ward me aa gayi.
Darwaaze ki aahat se jab Veer ne palat ke dekha toh apni ma'am ko dekh kar chaunk gaya.
Veer : Ma'am!?
Nidhi : Ohh God!! Finally... Tumhe hosh aa gaya.
Aur Nidhi tezz kadmo ke saath aage aayi aur Veer ka haath thaam lii...
Veer (shocked) : Nidhi Ma'am aap yaha!?
Nidhi ne fir saari baat usse bata dii. Jab usse pata chala ki Brijesh ne uska call nahi uthaaya tha toh uske chehre par dard bhari muskuraahat aa gayi. Nidhi usse bechain bhari nazro se dekh rahi thi.
Veer : Aapne mere liye medical fees dii!?
Nidhi : Mene toh sirf advance diya tha baad me tumhaare Dad ne saari pay kii.
Kehte hue usne Veer ka haath ek baar fir thaam liya.
Nidhi (bauhe sikodte hue) : Tumhe... Tumhe bura lag raha hoga na? Tumhare Maa Baap tumhe dekhne tak nahi aaye. Jese maano unhe koi parvaah hi nahi hai tumhari.
Veer (smiles) : Isme koi nayi baat nahi hai Ma'am. Ye sab toh roz ka hai. I'm not surprised. Haha~
Uski wo fake hassi dekh pata nahi kyu, par Nidhi ko apne dil me atyant hi dard mehsoos hua. Aur usne Veer ka haath aur zorr se bheench liya.
Tabhi Veer ke andar firse awaaz gunji,
[Apne mann me kaho 'Check' aur fir iss aurat ki taraf dekho.]
System ki baat sunn Veer ne wesa hi kiya aur jese hi usne check kehte hue Nidhi ko dekha toh uske hosh hi udd gaye.
Nidhi ke sar ke upar hawa me ek window mandraa rahi thi jisme kuch shabd likhe hue the ~
[ Name - Nidhi
Age - 30
Status - Divorce pending.
Bio - Nidhi ki ek beti hai jiska naam hai Juhi. Saath hi ek beta hai jisse wo apne saath rakhna chaahti hai par uske Pati Rajat ne usse apne paas rakha hua hai. Rajat se uska rishta kharaab chal raha hai jiske chalte Nidhi akeli apni beti ke saath ek ghar me rent dete hue rehti hai kyuki wo apne mata pita par bojh nahi bann na chaahti. Uski Maa ko do din pehle hi dil ka daura pada tha aur wo bhi issi hospital me bharti hai. Nidhi ki life boht hi dukh aur pareshaniyo se bhari hui hai.
Favourability - 20
Relationship - Student - Teacher ]
Ye sab kuch Veer ko Nidhi ke sar ke upar nazar aa raha tha.
Veer (ghabraate hue) : Ye... Ye aapke sar pe...
Nidhi : Huh? Kya hua? Mere sar pe!?
[Arre Buddhu! Ye sirf tum dekh sakte ho? Baaki koi nahi.]
Veer : Nahi! Ma'am! Wo mein aise hi...
'Itna toh mein ek saal me nahi jaan paaya Ma'am ke baare me jitna abhi jaan gaya. Kya kamaal cheez hai ye.'
Usne mann me socha.
'System? Ye favourability 20 ka kya matlab hai?'
[Iska matlab hai ki wo tumhaare baare me kya sochti hai. Ek prakaar se uske mann me tumhare liye jo bhaav hai usko darshaata hai.]
'Toh ye 20 matlab?'
[Matlab ki abhi wo tumhare liye sirf 20 favourability rakhti hai. Jese jese tumhara aur uska relation accha hoega ye badhta jaega. Yadi ye 80 ke upar hai matlab ki koi tumhe chaahta hai. Yadi ye 90 ke upar hai matlab ki koi tumhe dil se pyaar karta hai. Aur yadi 100 hai matlab ki dil-o-jaan se pyaar karne waala vyakti.]
'Samjha!'
Nidhi : Veer? Kaha kho gaye?
Jab Nidhi ne chutki bajaate hue apna haath uske saamne hilaaya toh Veer jese apne khayaalo se baahar aaya.
Veer : Haa! Wo mein... Ma'am...
Nidhi (haath thaamte hue) : Just forget about everything Veer! Aur kuch mat socho. Bas tumhe jald se jald thik hona hai. Okay? And don't think tumhara koi nahi hai. I'm with you okay? Abhi tum rest karo ab. Mein ab kal shaam ko hi aaungi. Aaj mene wese hi leave lii thi. Roz nahi le sakti.
Veer : Jii ma'am! Thank you!
Nidhi : Thank you kesa isme...?? *Smiles* Take care okay?
Veer : Hmmm!
Aur Nidhi uske ward se chali gayi. Veer keval Nidhi ko jaate hue dekhta raha.
Nidhi 30 saal ki ek aisi husn ki mallika prateet hoti thi ki maano keher hi dhaa de. Par limited paiso aur din bhar ki mehnat aur thakaan ke chalte jaise uska husn poora khil ke nahi jhalak paa raha tha. Kyuki wo dhyaan hi nahi de paati thi apne upar.
Ye dekh Veer ko waqai taras aa raha tha uss par. Uski khud ki Maa yaha admit thi par uske bawajood Nidhi ne uski madad ki aur uske liye advance me paise bhi bharwae. Wahi dusri orr uske gharwale jo saari sampatti se sampann hai unhone ek shan bhi nahi socha ki wo jee raha hai ya marr raha hai.
*Ding*
Aur achaanak hi uske dimaag me ghanti baji aur uske saamne ek window khuli.
[Mission : Solve Nidhi's problem.
Reward : ?? points
Time limit : 1 year ]
'Huh? Mission?'
[Haa! Mission mil chuka hai tumhe.]
'Nidhi Ma'am ki problem? Konsi problem?'
[Ye toh tumhe khud dekhna padega.]
'O... Okay!'
[Ab tumhara safar shuru ho chuka hai. Ya toh tum yahi ke yahi reh jaoge ya meri madad paa ke ek Badshaah banoge. Toh bolo? Kesa jeevan chahiye? Ek aam aadmi ki tarah jesa ki tum abhi jee rahe the ya fir ek Badshaah ka?]
Sawaal sunn ke Veer ne socha hi nahi. Usse pata tha usse kya jawaab dena hai.
Veer (smiles) : Ek Baadshah!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Mega UpdateAb tak...