• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,446 82.6%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.5%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 240 13.7%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 38 2.2%

  • Total voters
    1,751

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,466
114,768
259
Last edited:

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,167
218
Mega Update

[Yes! Ek aur Mega Update! Enjoy!]

Update - 70 ~ Face Slapping!

Ab tak...

Aur stats me appearance 75 dekhte hi Veer ke andar kaafi confidence tha aaj. Kyuki usse pata tha ki andar jaate hi kya hone waala tha.


'Let's go!'

[Yeah!!!]

Ab aage...

Aaj ki ye bhavya daavat, keval kehne ke liye daavat thi. Iska asli maqsad toh kuch aur hi tha. Veer jaanta tha ki uske Dada jii ne ye daavat kyu rakhi thi.

Taaki wo iss daavat me aane waale bade bade logo se ghul mil sake aur unse pehchaan bana sake. Veer ke Dada jii ab buzurg ho chuke the. Toh woh harr samay uske liye kisi badi family ke paas jaa kar usse introduce nahi karwaane waale the. Veer ab baccha nahi tha.

Isliye, aaj unhone apni zimmedaariyo se muqt hone ke baad Veer ko mauqa diya tha. Ab ye Veer ke upar tha ki woh kese iss mauqe ka fayda uthaata hai. Aur beshaq, Veer apne saamne gayi iss parosi hui thaal ko thukraane thodi waala tha. Bhale hi usse jaydaat me koi interest nahi tha. Par ab jab jaydaat ka kuch hissa usse mila tha toh woh uska poora ka poora istemaal karne waala tha.

Aur bina Dada jii ki iccha ke wo ye jaydaat ab kisi ke bhi hawaale nahi karne waala tha. Jab tak ki uske Dada jii khud uss se ye jaydaat nahi maangte, tab tak Veer ki ye jaydaat, uski apni thi. Kisi aur ki katayi nahi.

Car se utarte hi Veer uss aalishaan 5 star hotel ki entrance ke paas pohucha. Aur udhar pohuchte hi usse do jaani maani ladkiya wahi seedhiyo par khadi dikhaayi dii. Aur wo thi...

Arohi aur Kavya.

Jo aaj itni khubsoorat lag rahi thi ki harr andar jaata hua aadmi ek se do baar unhe zaroor dekh raha tha mud mud ke. Kavya maroon colour ki ek shining sii dress pehne hue thi toh wahi Arohi silver colour ki thighs tak aati ek dress me thi.

Veer ki presence ka abhaas hote hi jese hi Arohi aur Kavya ne usse dekha toh dono wahi jamm sii gayi.

Unn dono ko ek bada jhatka sa laga. Dono hi itna shock me thi ki kuch seconds tak toh kuch bol hi nahi paayi. Kyuki, aaj Veer unhe itna zyaada attractive lag raha tha ki dono ki hi nazre uske chehre par jami rahi. Veer ki handsomeness kayi guna badh chuki thi.

Aur uska asar, saaf dikh raha tha.

Arohi : V-Veeeer!??

Kavya : Bhaiya???

Dono ke hi muh khule ke khule reh gaye the.

Veer (smiles) : Kya hua? Party andar hai meri pyaari behno. Why are you guys waiting outside?

Arohi (blushes) : W-We... We were waiting for you.

Kavya (blushes) : Bh-Bhaiya! A-Aap aaj... Aaj boht handsome lag rahe ho.

Dono hi behno ki awaaz thoda ladkhada gayi. Paas se Veer ko dekh wo behad hi shock me thi. Veer ka appearance bhala itna kese badal gaya? Arre kal hi toh mile the wo sab. Fir ek raat me itna badlaav kese aa gaya Veer me?

'He... He looks so handsome!'

'Bh-Bhaiya? Bhaiya itne zyaada handsome kab se ho gaye? Kya mene bhaiya ko theek se nahi dekha tha ab tak? K-Kya bhaiya ne makeover karaaya hai?'

Kuch aisi hi thoughts unke mann me aa rahe the.

Kavya : Bhaiya? A-Aapne kuch lagaaya hai kya apne face pe?

Veer : Hmm? Nahi toh! Haha! Just the usual. Tum toh jaanti hi ho. Mein apne face pe utna dhyaan nahi deta. Bas, bath liya tha. Aur normal moisturizer. Nothing else.

Arohi (jalte hue) : Uske bawajood tumhari skin itni acchi hai. Aur upar se hum ladkiya din bhar apni skin par dhyaan deti hai. Then too, kahi pimples, toh kahi dark circles. I hate it. Sirf muh dhoke hi you... You look so smart. It's so unfair.

Kavya : Right didi!!! Bhaiyaaa~ I hate you!!!

*Thud*

Kavya : Ughhuuu~

Par iske pehle Kavya Veer se aur jal paati, Veer ne uske sarr par ek tapli de maari.

Veer : Let's go inside~

Kavya : Uhuuu~ Maara kyu!? Waaaa~

Iss baar bhi bechaari kuch na keh paayi kyuki Veer ne uske gulaabi narm se gaal ko kheech jo diya tha. Veer Kavya se behad pyaar karta tha. Aur ye choti moti nok jhok uske saath karne me usse boht accha lagta tha. Upar se, ahem Kavya ke gaal bhi boht soft the.

Veer : So? Kaun sii floor par hai?

Arohi : 7th floor!

Veer : Alright!

Teeno hi lift me jaate hue upar hotel ki 7th floor par pohuche aur lift khulte hi usme se baahar nikle.

Baahar nikal kar ek right turn liya aur bas, unhe entrance dikh gayi thi.

Entrance ke baahar 4 khubsoorat ladies ek sii dress pehne hue guests ko welcome kar rahi thi. 2 ladies phool ki pankhudiya phekte hue unka swaagat kar rahi thi toh wahi aage do khadi hui aane waale guests ke kapdo par perfume chidak rahi thi.

Kavya Veer ki baazu ko apne haatho me jakdi hui thi. Jese maano wo uska boyfriend ho. Ye harqat dekh Arohi ke bhi mann me kuch aaya. Par wo Veer ki dusri side hi chalti rahi. Shayad wo bhi Veer ka haath thaamna chaahti thi. But she decided against it.

Jese hi unn ladies ne Veer ko dekha toh pal bhar ke liye unki aankho me bhi chamak aa gayi.

Aur bade hi aadar ke saath muskuraate hue Veer ka swaagat karne lagi woh.

'Ye kitna handsome hai.'

'Haaye~ Ye ladka!'

Na jaane unke mann me kya kya chal raha tha. Par jese Arohi ne unn saari ladkiyo ke dekhne ke dhang ko mehsoos kar liya. Aur iss baar...

Arohi : Let's go fast~

Veer : Hmm?

Arohi Veer ka haath thaam usse jaldbaazi me andar le gayi. Andar jaate jaate wo palat ke unn ladkiyo ko ek look dena nahi bhuli.

Andar aate hi Veer ne dekha ki kya hi shandaar hotel thi ye. Waqai! Ye 5 star hotel kehlaane laayak hi thi.

Upar ceiling se latak rahe bade bade jhoomar itne mehnge aur aakarshak lag rahe the ki unki chamak hi logo ka dhyaan kheech rahi thi. Aur zameen par bicha hua wo shandaar kaaleen. Aisa lag raha tha jese kisi Raja ki sabha ka main hall ho.

100 se bhi upar aadmi andar ghus chuka tha iss waqt. Aur uske bawajood, hall me itni space thi ki lag raha tha ki bas kuch hi aadmi aaye hai.

Veer Arohi aur Kavya jese hi andar aaye, andar maujood logo ki bhi nazre unn par padi. Aur unme se jo Veer ki age ki ladkiya thi wo aankho me chamak liye usse dekhne lagi.

Aaj Veer ne personally customized ek high end tuxedo pehna hua tha. Uska lamba seedha aur lean figure ek dum perfect tareeqe se unn kapdo ke upar se jhalak raha tha. Ekdum fit!

Kaali ghani eyebrows, aankho me tej, hontho pe halki muskurahat, kaale wavy medium length baal, aur halki beard me wo kisi celebrity se kam nahi lag raha tha aaj.

Haar khubsoorat ladkiyo se aaj uske eye contacts ho rahe the. Aur kayi toh lagataar usse hi dekhe jaa rahi thi. Uske bagal me khadi Arohi aur Kavya bhi ye notice kar rahi thi.

Toh gusse me Kavya ne apna muh bilkul kisi pufferfish ki tarah phula liya.

"Hmph~ Bhaiya yaha nahi khade hote, chalo kahi aur." Kavya ne Veer ke haath ko kheechte hue bola.

"Hmm~ Hmm~" Aur Arohi bhi uski baat se sehmat hote hue Veer ko kheech ke thoda aage le gayi.

Kyuki ab keval ladkiya hi nahi, kuch shaadi shuda middle aged aunties toh wahi newly married bhabhiya bhi ab Veer ko taadne lagi thi. Arohi aur Kavya isliye jald se jald Veer ko waha se le bhaagi.

Abhi wo thoda hi aage aaye the ki itne me ek Kavya jitni height ki ladki unke paas aayi, "Kavya!!!!"

Kavya : Arre!?? Kritika tum aa gayi!?

Kritika : Haan! Ahahaha~

Ye Kritika Kavya ki classmate thi. Wo bhi Kavya ke jese hi cute thi par wo thodi aur mature thi Kavya se. Dono hi shayad agal bagal baithate the college me. Veer unn dono ko dekh khush tha. Kam se kam uski choti behan apni college life acche se vyateet toh kar rahi thi. Naye dost toh bana rahi thi. Uski tarah nahi, jaha uska college me koi ata pata nahi tha. Aur na hi koi dost.

Kritika (khuspusaate hue) : W-Wow! Kavya! Y-Ye tumhaare bhaiya hai? Tumhare cousin bhaiya toh boht handsome hai. M-Mujhe introduce karwao na.

Kavya : Umm... Bhaiya! Ye meri friend hai Kritika aur Kritika ye mere sabse favourite bhaiya, Veer!

Veer (smiles) : Nice to meet you!

Kritika (blushes) : N-Nice to meet you t-too!!!!

Kavya : Huh!? Kritika? Tum itna kyu sharma rahi ho?

Kritika : Umm... Wo... K-Kya aap mujhe apna insta account bata sakte ho?

Veer : Hmm? Well sure!

Aur Veer ne apni Insta ID ka QR code khol ke Kritika ko scan karne de diya. Usse scan karte hi ab wo Veer ko follow karne lagi thi.

Kritika : Th-Thank you!

Kavya : Huh? Bhaiyaaaaa??

Kritika : Mein chalti hu. Kavya! You enjoy! Hum kal milte hai college me.

Aur Kritika waha se khushi me bhaag gayi. Kavya bechaari usse bas dekhti hi reh gayi.

Kavya : Bhaiya??? Apne apni ID usse kyu dii?? Haan? I hate yo.... Waaaaaaaaa~

Ek baar fir uska sentence adhura hi reh gaya kyuki uske gulaab gaal Veer ke haatho me the.

Veer : By the way, tumhari friend yaha kese?

Kavya (gaal malte hue) : Wo... Dada jii ne mujhe permission de dii thi ki mein apni kuch friends ko bula sakti hu. Hehehe~ Special treatment you know.

***

Veer Arohi aur Kavya ko kuch derr akela chorr aur aage badhte hue jab aaya toh usse ek bada hi parichit chehra dekhne ko mila.

Veer ne apni bauhe usse dekh ke upar kari.

Iss waqt, uske saamne koi aur nahi navy blue suit pehne wo khada hua tha.

Pranjal!!!

Veer ne apni nazre ghumaayi toh usse aur bhi kuch familiar faces dekhne ko mile.

Vivek jo side me khade hoke kisi couple se baat kar raha tha. Veer ke chacha chachi jo kisi buzurg uncle aunty se baat kar rahe the.

Toh wahi Veer ne dekha ki dur Shweta baithi hui thi ek chair par aur uske bagal se khadi Bhumika uss se kuch kehne ki koshish kar rahi thi. Wahi Veer ke pita abhi abhi aaye the aur entrance ke paas khade hote hue sabhi ko welcome kar rahe the.

Abhi uske Dada jii ka aana baaki tha. Bas kuch derr me hi wo yaha aane waale the.

Par filhaal... Pranjal!!!

Veer ne dekha ki uske bagal me 5 se 6 log khade hue the aur sabhi badi hi hassi khushi se baat kar rahe the. Shayad Pranjal ne apni bhole bhed ki costume pehn lii thi. Meethe bol fek raha tha lagta hai wo unpe.

'I'll have to take the chances.' Veer ne mann me socha.

[Yeah! You better! Warna wo Pranjal apni meethi meethi chikni chupdi baato se tumhaare future potential business partners tumhare haatho se chhina ke le jaega.]

'Don't worry!'

[Hmm~]

Veer ki intelligence already 90 paar nikal chuki thi. Iss waqt wo boht hi calm tha. Ekdum shaant. Bas sherr ki tarah apne shikaar ko jese dekh raha tha uss par hamla karne se pehle.

Aur tabhi...

Pranjal ne bhi usse mud ke dekha. Aur jese dono ki nazre aapas me bhidte hi ek sparking sii hui ho maano. Dono hi apni nazro se ek dusre ko aazma rahe the. Jaanch rahe the.

Bhale hi Pranjal ek nihaayti kapti insaan tha. Par uski pehchaan toh thi. Boht pehchaan thi. Uske baat karne ka dhang bhi accha tha.

Of course! Ye toh swabhaavik sii baat thi. After all, wo dikhne me bhi smart tha. Veer jitna nahi par wo bura nahi dikhta tha. Toh logo ka uski vaani aur uske haav bhaav ke parti rujhaan rakhna, ye swabhaavik tha.

Pranjal ka charm aisa tha ki kuch derr andar aane ke baad hi usne 5 se 6 naye logo se pehchaan bhi bana lii thi. Obviously, wo charm jhootha charm tha. Keval ek dikhaava. Par uska dikhaava itna on point rehta tha ki acche se accha aadmi usse parakh nahi paata tha. Jab Veer ke Dada jii Manorath khud usse nahi jaan paaye toh bhala koi aur kese jaan sakta tha uski asliyat?

Koi Mr. Bhargav Pranjal se baat kar rahe the. Veer ne pehle hi unhe check kar liya tha. Aur unhone jab Veer aur Pranjal ko aapas me nazre milaate dekha toh wo bol uthe, "Arre? Ye!? Manorath jii ka pota hai na?"

Veer unki baat sunn, naturally usse aage jaana hi pada.

Veer (smiles) : Jii namaste! Mein Veer! Jii haan! Aapne sahi kaha. Mein unka sabse chota pota hu.

Mr. Bhargav (smiles) : Kya baat hai! Dono pote kitne smart hai Manorath jii ke. Wo mere pita ke khaas dost rahe hai. Ab mere pita toh nahi rahe. Par mere bhi boht acche sambandh hai unse. Haha~

Veer : Jii!

Mr. Bhargav : Aur sunao aap? Kya chal raha hai beta aapka? Education me?

Veer kuch keh paata ki tabhi Pranjal ne uske gale me haath daala aur khud keh utha.

Pranjal : Hahaha!? Ye!? Uncle! Veer toh science student hai. Iski engineering chal rahi hai. Commerce wala toh mein hu. Mein business me active rehta hu zyada. Hahaha~

Veer muskuraaya aur usne agle hi pal apne kandhe se Pranjal ka haath neeche kiya aur bola,

Veer : Mein science se zaroor hu Uncle. But at the same time, mein apna khud ka business bhi kar raha hu. Dono cheeze parallel me chal rahi hai.

Mr. Bhargav (surprised) : Ohhh!? Ye toh acchi baat hai. Acchi baat hai waqai...

Pranjal (smiles) : Mere chote bhai! FOOD TRUCK ka business bhi koi business hota hai?

Pranjal ne kehte hue 'Food truck' par kaafi zorr dete hue kaha. Jese bataana chaah raha ho ki Manorath ka chota pota kisi kaam ka nahi hai aur itna chota kaam kar raha hai woh.

Veer (smiles) : Aadmi chote business se hi apne business ko bada banaata hai bhai. Kyu? Mr. Bhargav? Mene sahi kaha na? After all, aapke pita jii ne bhi toh tiles ka business ek choti sii dukaan se shuru kiya tha na? Yadi aaj aapka itna bada tiles ka business hai toh kya aap unn dino ko bhula sakte ho? Jaha se aapke iss mazboot business ki shuruaat hui thi.

Mr. Bhargav Veer ki baat sunte hi sann reh gaye the. Unhe Veer se mile abhi kuch hi seconds hue the aur uske bawajood Veer ko itna sab pata tha unke baare me. Of course! Ye sab toh Veer ko khaali Check karke pata lag gaya tha. Par Mr. Bhargav ye nahi jaante the ki Veer ke paas koi system hai.

Mr. Bhargav (surprised) : Huh?? N-Nahi! Bilkul nahi! Mein aaj bhi apne pita jii ke unn beete dino ki mehnat ki daat deta hu. Unhe yaad karta hu. Unhi ke kaaran toh aaj mera itna naam hai. P-Par tumhe itna kuch pata hai mere baare me? Hahaha~ Manorath jii ka chota pota waqai boht knowledgeable hai. Tum boht aage jaoge beta.

Veer (smiles) : Jii Thank you Uncle! I wish you the same. Aapka business bhi aage badhta rahe. By the way, can I have your business card Mr. Bhargav?

Mr. Bhargav : Hahaha~ Arre arre why not? Tum bejhijak mujhe contact kar sakte ho. Koi bhi zaroorat pade toh mujhe yaad kar lena. Okay?

Veer (smiles) : Thank you!

Bagal me khade Pranjal saamne chal rahe conversation sunn ke aisa hakka bakka ho gaya tha ki uski samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kese ho gaya. Usne apne chehre par toh koi bhaav nahi badle, bas smile karte hue dekhta raha. Par andar mann me jese bhuchaal sa aa gaya tha uske.

Uske saamne se Veer uske ek future partner ko jese chheen ke le gaya tha. Gussa toh behad aa raha tha usse.

Veer jese hi mud ke jaane ke liye hua toh Pranjal ne uske kandhe par haath rakha. Aur bade hi dheere se swar me uske kaan ki orr jhukte hue bola,

"Zyaada khush nahi hote Veer! Zyaada udte nahi. Kyuki jo jitna uucha udta hai na, wo zameen par bhi utni hi zorr se girta hai."

Pranjal usse aagah karne ki koshish kar raha tha. Ki hawa me udna aur khayaali pulaav pakaana acchi baat nahi. Warna baad me muh ki khaani padti hai.

Par tabhi, Veer ne bhi uske kaan ke paas aate hue dheere se kaha, "Dragons soar into the sky. Not the insects."

Aur wo Pranjal ko wahi chorr nikal gaya.

Pranjal ko jese apne shabdo se muh par tamaacha maar ke gaya tha Veer. Pranjal kehna chaah raha tha ki Veer hawa me na ude warna neeche aa girega.

Toh wahi Veer ne usse ye kaha ki Dragons hawa me hi udte hai, keede nahi. Ek prakaar se Veer Pranjal ko ye bataana chaah raha tha ki wo Dragon ke bhaati tha jo aakaash me uchaaiyo me udne ke liye paida hua tha. Na ki unn tucch keedo ki tarah tha jo bas nichle starr par mandraate rehte the. Dusre shabdo me wo Pranjal ko neeche mandraane waala keeda bhi keh ke gaya tha.

Aur ye baat Pranjal ko samajh aate hi, uski mutthi apne aap gusse me kass gayi. Daant meesne laga wo par uske bawajood, sabke saamne uski smile abhi bhi maujood thi. Khud ke bhaav chhupaane ka talent bhi koi Pranjal se seekhe.

'Mujhe laga hi tha tum koi na koi harqat zaroor karoge Veer. Isliye, I came prepared. Tum dekhte jao. Kya haalat karta hu mein tumhaari abhi.'

Sochte hue Pranjal ne apne jeb me kuch tatola aur fir waha se nikal gaya.

***

Kuch samay beeta aur ab Veer ke Dada jii ka aagman ho chuka tha. Unhe zyaada shor sharaaba pasand nahi tha. Isliye, wo late hi aane waale the aur kuch derr sabhi se milke waapas lautne waale the. Unhone ye party mainly Veer aur Pranjal ke liye hi rakhi thi.

Jese hi Manorath andar aaye sabhi unka swaagat karne lage. Aur unse ghul milkar baatein karne lage. Veer dur khada bas sab kuch dekh raha tha ki itne me hi uske Dada jii ne usse dekha aur uske paas gaye aur dheere se puche, "Kya bahu nahi aayi?"

Veer : Jii nahi Dada jii! Mene kaha bhi tha ki aapne bulaaya hai. Par unhone kaha ki unse nahi aaya jaega. Keh rahi thi ki Dada jii se kehna mujhe maaf kar de.

Manorath (niraash hote hue) : Koi baat nahi! Kya tum mile kisi se yaha par?

Veer (smiles) : Jii!

Manorath (smiles) : Boht acche! Aise hi aage badhte raho. Mata rani sab kushal mangal kar dengi.

Aur Manorath fir hall ke center me chale gaye jaha sabhi se wo baatein karne lage.

Aur dekhte hi dekhte gifts dene ka silsila shuru ho chuka tha.

Veer chair par baitha hua kuch soch raha tha ki itne me hi uske bagal se aake Pranjal dusri chair par baith gaya.

Dono ne hi ek dusre par ek nazar maari aur uske baad dono me se hi koi kuch nahi bola.

'Just wait Veer! I'll show you ki mere se panga lena kyu mehnga padega tujhe.'

Pranjal ne sochte hi apne jeb me se tatol ke ek pudiya nikaali. Uske chehre par ek kapti muskuraahat thi.

Pranjal : Waiter!!! Do cold drinks idhar!

Veer : Hmm?

Pranjal ne ek waiter ko dekh bulaaya jo cold drinks guests ko serve kar raha tha aur uss se do glass rakhwa liye.

Pranjal : Chote bhai! Tum shayad sahi the. Dragons really soar into the sky. And of course, mera bhai bhi ek dragon ke samaan hai. Jo ab aage badhta rahega. Aur uski aur kal hume property milne ki khushi me... Here's a toast. Ab wine ya beer toh nahi hai. Toh ye cold drink se hi kaam chalaana padega. Haha~ Hmm? Dada jii ne gifts accept karna start kar diya lagta.

Usne cold drink dene ki baat karte hue, Dada jii ki orr Veer ka dhyaan bhatkaaya aur badi hi chaaplusi se chupke se wo pudiya cold drink me daal dii.

Itni bheed me ghanta koi uske actions ko notice kar raha tha.

Uske baad wo waapas se apne topic par aa gaya.

Pranjal : Arre lo Veer!

Usne Veer ki side waali drink me wo pudiya daal le Veer se peene ko kaha. Veer kyuki Pranjal ke action ko nahi dekh paaya tha isliye usse nahi pata tha ki isme kya mila hua tha.

Isme constipation ka drug mila hua tha. Wahi shit drug jo Jassi ko diya gaya tha jab Kaera ko kidnap kiya gaya tha. Bas, farq ye tha ki Pranjal ka ye drug aur bhi strong tha. Itna ki yadi koi isse le le, toh kuch hi derr me lambi lambi shehnaaiya bajna tay tha.

Par Veer kaun tha? Uska intelligence 95 pe tha. Pranjal ka ab wo sly intelligence Veer ke intelligence ke muqaable kuch bhi nahi tha.

Drink dekhte hi Veer muskuraaya aur...

'Check!'

*Ding*

[Cold drink.
Bio : A cold drink with added constipation drug. Do not consume it.]

Bas, itna sa padhte hi Veer ko saari planning ke baare me pata lag gaya tha jo Pranjal uske peeth peeche kar raha tha.

'I'll show you brother, how it's done!'

[Just smack him in the face. This bastard~]

Veer : Waqai! Gifts toh dene lage hai log. Hmm? Par wo kaun hai?

Iss baar Veer ne achraj me Dada jii ki orr dekhte hue kaha. Aur behsaq, Pranjal bhi uski nazro ko follow karte hue waha dekha.

Aur jese hi wo palta,

*Swap*

Veer ne agle hi pal waapas se apni glass Pranjal ke glass se exchange kar dii.

Pranjal : Ohh! Wo lady? Hmph~ Interior decor ke showrooms hai unke. Already unka visiting card hai mere paas.

Pranjal ne jeb me se ek safed card nikaalte hue Veer ko chamkaane ki koshish kii.

Par Veer bas muskuraa raha tha.

Veer (smiles) : That's so good for you!

Pranjal (mann me) : Of course Veer! Baahar se tu smile kar raha hai. Par andar hi andar jal raha hoga tu. Hahaha~

Pranjal : Arre ye kya? Tumne drink nahi lii?

Veer : Aap ne ek ghooth nahi piya aur mujhe drink karwa rahe ho?

Pranjal : Arre isme kya? Ye lo!

Kehte hue Pranjal gataagat saari cold drink pee gaya. Ye soch ke ki drugged waali drink Veer ke side hai. Aur usne jo pee wo normal thi. Par usse kya pata tha ki kuch derr me hi uske pait me bhuchaal aane waala tha.

Veer (smiles) : Ab aapne pee hai toh mujhe toh peeni hi padegi.

Aur fir...

*Gulp* *Gulp* *Gulp*

Veer dheere dheere saari drink pee gaya. Jese jese glass me maujood drink Veer ke pait me jaa rahi thi, wese wese Pranjal ki muskuraahat bhi felti jaa rahi thi.

Pranjal : Good! Hahaha! Ye hui na baat!

Veer : Ye taste kuch ajeeb sa kyu hai?

Pranjal : H-Huh? N-Nahi toh? Mujhe toh ekdum sahi laga.

Veer : Aisa? Well...

Pranjal : A-Anyways! Ab jald hi hamaari baari hai gifts dene ki. Be prepared.

Aur Pranjal sharaarti bhari muskaan lete hue waha se nikal gaya. Veer toh jese bas usse chomu bana raha tha. Usne jaan bujh ke aisa kaha tha taaki Pranjal ko lage ki waqai Veer ne wo drugged drink pee lii. Jab ki aisa koi case hi nahi tha. Veer toh perfectly fine tha. Par Pranjal? Not so much!

Arohi aur Kavya bhi idhar udhar sabse milke aa chuki thi aur Veer ke saath hi aake khadi ho gayi.

Kuch derr ke baad jab sabhi ne gifts de diya. Toh bas ab parivaar waale hi gifts dene ke liye bache hue the.

Par uske pehle Manorath kuch kehna chaahte the.

Mic ke aate hi unhone sabhi guests ki orr dekha aur bolna shuru kiya, "Aaj!!! Aaj mere liye... Ye bada hi khushi ka mauka hai. Mein... Jo apni saari zindagi me aap jese itne preeya logo se jud paaya, ye mere liye saubhaagya ki baat hai. Inn beete saalo me... Jo kuch bhi... Jo kuch bhi mene kamaaya tha. Unke do bade hisse mere pote Veer aur Pranjal ke naam kar chuka hu mein. Aaj! Aaj mein apni iss zimmedaari se muqt ho chuka hu. Aap sabhi yaha aaye, mera maan rakha... Uske liye boht boht Dhanyavaad! Aur... Mere pote... Ye mere do pote, mere liye heera hai. Inki raah me aap inka ho sake toh zaroor saath dena. Bas! Yahi kehna chaahunga. Dhanyavaad!!!"

Aur taaliyo se poora hall goonj utha.

Arohi : It's time for our gift.

Kavya : Hmm hmm! Chalo bhaiya!

Veer : Wait!

Arohi : Hmm?

Veer : Pranjal bhaiya gift dene jaa rahe hai. Look! I think unka gift boht bada hai.

Veer ki baat sunn dono hi behne stage ki taraf dekhne lagi.

Pranjal waqai kaafi kuch cheeze leke aaya tha.

Jaise hi wo muskuraate hue stage par chadha...

*Gudgudgud*

"Huh!??"

Uska pait andar se gudgud hua. Shayad drug ne apna kaam karna shuru kar diya tha.

Andar se pait aisi marod maar raha tha uska ki uss se khada nahi hua jaa raha tha achanak se.

Wo apne face ke expressions ko chhupaate hue aage badha. Kyuki ab photos bhi click ho rahi thi. Itni lights me aur itni bheed me aaj pehli baar Pranjal ko andar se dhak dhak ho rela tha.

"Shit!!"

Wo dheere dheere aage aaya. Aur tabhi...

Uski gaand se jese koi cheez baahar nikalne ka prayaas karne lagi. Pranjal ka muh aisa tha jese abhi usne koi kadvi dawaai kha lii ho.

Apni gaand ko sikod ke wo aage badha aur usne bolna shuru kiya,

"Y-Ye gift... Y-Ye... Ughh! Special gift... Ye... Mein... Dada jii ke liye... Dada... Dada jii ke liye..."

Aur tabhi...

*Phuuuuuuurrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr*

"Huh?"

"Hmm?"

Ek zordaar awaaz Pranjal ki gaand se aayi.

Aisa laga maano kisi ne chinghaada baja diya ho. Ya bhopu...

"Cough cough!!! Mein ye dada jii ke liye..."

Pranjal ne khaaste hue apni shehnaai ki dhun ko cover up karne ki koshish kii, par sab bekaar tha kyuki agle hi pal...

*Phuuuuuuusssssssss*

*Phuuuuiiiiiiiiiii*

*Phurururururuuuuuuuu*

Maano jese kisi ne aatishbaazi shuru kar dii ho. Upar se jidhar wo khada tha, uske theek peeche Manorath ne apna mic ka stand rakha tha. Mic seedha Pranjal ki gaand ki orr focused tha.

Shor hone ke bawajood sabhi ne wo awaaz suni thi.

Suni kya, jo aas paas Pranjal ke khade the, unhone toh soongh bhi lii.

"Yuuuukkkkk!!! Gwaaakkkk!! Chhheeee~"

"Ye kya hai??? Kisi ne paada.... Chheee~"

"Arre... Ye... Isne... Isne paada."

"Aise mauke par... Aisi harqat! Chhee~ Yukkk!! Mujhe vomiting aa rahi hai."

"Mummyyyyy badbu aa rahi hai... Waaaaa~"

Uske peeche khade log sab uss se dur bhaag gaye.
Koi naak pakad ke khada tha toh koi dur bhaag raha tha.

Aur Pranjal apni roti hui shaqal bana ke forun hi Dada jii ko gift Diya aur seedha washroom ki orr bhaag gaya.

Arohi aur Kavya wahi khadi hairaan aur sharminda reh gayi thi. Manorath khud behad sharminda the. Vivek khade hoke muskura raha tha. Toh wahi Karunesh gusse me tha. Aur Brijesh Veer ko dekh raha tha. Shayad aaj wo apne bete par proud tha?

Uske baad Veer ki baari jab aayi toh Veer ne Dada jii ko ek bhagwaan jii ki murti gift kii.

Sabke gifts lene ke baad finally, khaana shuru hua aur Banquet ke khatam hone ke baad sabhi jaane lage.

Par shuru se ant tak Pranjal kahi nazar nahi aaya.

Shayad wo bathroom me alag alag dhunn bana raha tha.

***

Hotel ki hi terrace par iss waqt Arohi khadi hui thi.

Mand mand hawaein chal rahi thi aur uske baalo ko hawa me lehra rahi thi.

"You are alone here?"

Tabhi uske peeche se ek awaaz aayi toh woh mudi, paaya ki Veer khada hua tha.

Arohi : Hmm! Bas kuch nahi! Tum yaha?

Veer : Aapko dhundte hue hi aaya.

Arohi : Ohhh!

Veer : You look tensed!?

Arohi : Aaj... Dada jii ko sharminda hona pada.

Veer (smiles) : Ohh you mean!? Pranjal waali baat?

Arohi : Hmm~ But...

Veer : ?

Arohi : Why do I think ki tumhe pehle se pata tha?

Veer (smiles) : Of course mujhe pehle se pata tha.

Arohi (shocked) : Huh!?

Veer dheere se Arohi ke kaan ke paas aaya aur bola, "That drink was made for me."

Arohi : Hmm?

Par Arohi kuch samajh nahi paayi.

Veer : Pranjal! He mixed a constipation drug in my drink and wanted to give that to me.

Aur ab Arohi ko jese saari baat samajh aayi. Hairat ke maare uska muh khula ka khula reh gaya.

Arohi : He... He.. what!?

Veer (smiles) : Yes! But I exchanged mine with his drink. Aur uske baad... Bas pataakho ki awaaz thi.

Arohi bhauchakki sii Veer ko dekh rahi thi. Uske baad wo shaant hui aur muskuraayi.

Arohi : You did him good! He deserves it.

Par ek pal ke liye wo ghabra bhi gayi. Kahi ye sab Veer ke saath hua hota toh? Veer ko usne dekha toh paaya ki Veer ekdum confident nazar aa raha tha. Aur wo neeche cars me jaate hue guests ko dekh raha tha.

Pata nahi kyu, par Arohi ko aaj Veer boht hi attractive lag raha tha.

Aur wo aage badhi... Apne honth leke... Uske gaal ki taraf...

Ki tabhi...

"Umm... Wese..."

Aur Veer mud gaya.

Veer : !????

Arohi : Mm!????

Veer aur Arohi dono ki nazre phati ki phati reh gayi thi. Kyuki...

Dono ke honth aapas me jude hue the. Arohi toh keval uske gaal ko chumna chaahti thi. Par utne me hi Veer palat gaya tha... Aur nateeja...

Arohi : Aaahhh!

Wo hadbada ke peeche hati aur bina Veer ko dekhe hi bhaag gayi.

Veer bechaara bas apni thodi kaapti hui ungli se apne honth par firaata reh gaya aur mann me bas yahi kehta raha...

'It... It was an accident!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Ye mega update hai. 5k words bhailog.

Like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Superb and mazedaar update Bhai
 

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,466
114,768
259
Ok bhai and hero tera wale pe dhiyan mat do CID me show nahi dekhta or vo story likh raha he wah kiya din aa gaye
Bhai pehla injection pls hero tera ko lagwa dena agar ye kar diya to aapka bohat bohat aabhari rahunga sirf main hi nai or bhi bohat sare he unka bhi yahi manana he
Kyu bhai kya ho gaya?
Kaun hai ye!? :hmm:
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,688
174
Update - 69 ~ The Grand Banquet!
Ab tak...

Intermediate Martial Art Skill!!!

Neeche price likha hi tha~

400 Points!

Aur Veer ne ek baar me hi purchase ke option pe click kiya aur...

*Ding*

[Intermediate Martial Art Skill is now available.]

Aur ye notification sunte hi Veer muskuraate hue waapas se apni dono sevikaao ke beech lait gaya.

'Pranjal! I'm preparing a surprise for you!!!'


Ab aage...

"Ouch ouch!!!!"

"Bolo ab? Ab kabhi karoge aisa? Haan?"

"N-Nahi! Bilkul nahi!"

"Hmm! Chalo maaf kiya! Par ahinda se dhyaan rakhna. Okay!?"

"Of course!"

Ye awaaz thi Veer ki jo apne aap ko churraane ki koshish kar raha tha Ragini ke haatho se. Kyuki Ragini uske kaan ko pakde hue aaj uski khabar le rahi thi.

Doctor Mrinal ke ghar se toh theek hoke aa gaya tha Veer. Par ab tak usne apni Ragini Bhabhi ko poori baat nahi bataayi thi. Jesa ki Ragini ne pehle hi usse keh ke rakha tha ki wo uske theek hone ke baad uski acche se pareeksha legi. Toh bas, wahi paath chal raha tha abhi. Veer ki class lag rahi thi.

Aur uski aisi haalat dekh Aabha aur Sonali dono hi dur se hasste hue maze le rahi thi. Wahi Suman bechaari apne maalik ko dekh bas asahaay waali muskuraahat hi de paa rahi thi. Isme wo kuch nahi kar sakti thi.

Ant me Ragini ne bhi dheere se muskuraate hue Veer ke kaan ko chorra aur boli, "Apna khayaal rakha karo Veer pehle. Pehle khud ki jaan hai, fir dusro ki."

Ragini usse aaj ki duniya ka gyaan padhaana chaah rahi thi. Aur theek hi toh keh rahi thi woh. Aaj ki iss swaarth sii bhari duniya me aadmi pehle apni jaan ki parvaah karta hai. Baad me dusre ki. Sochte hue usse jese Vivek ki harqat ki yaad aa gayi.

Par Veer ki toh jaise alag hi soch thi. Wo bhi muskuraya aur bola, "Mein Vivek Bhaiya ki tarah nahi Bhabhi! Mere liye apne pehle hai. Fir mein khud."

*Badump*

Aur pal bhar ke liye Ragini ka dil ek dhadkan jese phaand gaya.

"H-Huh!?" Wo zorr se saans kheechte hue Veer ko aashcharya bhare bhaav se dekhi.

Veer ko bhi jese dhyaan aaya ki shayad usse Vivek ka naam aise beech me nahi laana chahiye tha. Toh usne agle hi pal maafi maangi.

Ragini : Nahi Veer! Isme maafi maangne ki koi zaroorat nahi. Aur wese bhi, sahi hi toh kaha tumne.

Iss baar uski nazre jhuk gayi. Aur awaaz me maayusi bhi thi.

Ragini : Suman jii! K-Kya aap sab baahar jaa sakte ho? M-Mujhe Veer se akele me kuch baat karni hai.

Suman : Jii Ragini jii! Aabha beti, Sonali, chalo baahar.

Aur Suman unn dono ko lekar baahar chali gayi.

Kamre me keval Veer aur Ragini hi the ab. Abhi subah ke 8:30 baj rahe the aur Ragini bas naha ke naashta hi banaane jaa rahi thi jab usse yaad aaya ki Veer se usne wo baatein puchi hi nahi. Toh isliye wo aaj Veer se saari baat jaan'ne ke liye aayi thi uske kamre me.

Uske ghane baal, abhi bhi paani se halke bheege hue the aur khule hue the. Kyuki wo Vivek ke saath uske ghar pe nahi rehti thi ab toh usse saare kapde pehn'ne ki chhoot thi. Wo top bhi pehenti thi, saree bhi, kurta, suit, salwaar sab kuch.

Aur aaj Ragini ek pink aur black colour combination ki saree pehni hui thi jisme wo husn ki mallika lag rahi thi. Ye kehna ki Veer Ragini se attracted nahi tha jab se wo ghar me aayi thi toh ye galat tha. Jab se Vivek ki shaadi hui thi, Veer hamesha se Ragini ke sang baatein karna chaahta tha.

Kaun nahi chaahega ki aapke saath ek khubsoorat bhabhi ho jo aapse baatein kare? Par Ragini uss samay Veer ko bhaav nahi deti thi. Aur aaj dekho, aaj kismat aisi thi Veer ki, ki wo Ragini ke sang reh raha tha, Ragini khud uss se upat ke baatein karti thi, yaha tak ki uski behad parvah aur uska khayaal bhi rakhti thi. Shayad isliye samay ko sabse shaktishaali maana gaya hai.

Lekin Ragini ke mann me idhar jese abhi bhi kuch bechaini thi.

Ragini : Veer?

Veer : Hmm?

Ragini : Tum... Tumne sach me maaf kar diya hai na mujhe? Mein tumse baat bhi nahi karti thi pehle. Fir dheere dheere hum dono ki beech sulaah ho gayi. Dooriya hatt gayi. Par... Par kahi tum ye toh nahi sochte na ki tumhari ye bhabhi, mauka dekh ke palat gayi aur ab tumhaare sang acche se pesh aane lagi. Kahi tum aisa toh nahi sochte na? Bolo?

Ragini ki insecurity, Veer dekh paa raha tha. Wo dekh paa raha tha ki Ragini iss baat ko lekar behad chintit thi. Toh usne forun hi jawaab diya.

Veer : Bhabhi! Yadi aisi baat hoti toh mein aapse kabhi itna friendly hoke pesh aata hi nahi. Isliye aap ye baat mann se nikaal dijiye. Aisi koi baat nahi hai. Aur wese bhi, aapka koi zyaada dosh tha bhi nahi. Mere dimaag me unn logo ke naam acche se maujood hai jinka sabse zyaada kasoor tha.

Veer ki kahi gayi baat se Ragini muskuraayi aur ek chenn ki saas lii. Wo sheeshe ke saamne jaake khadi hui aur nazre jhukaate hue boli,

Ragini : Tumhari yahi baat toh mujhe sabse acchi lagti hai Veer. Aur... Kahi tumhe bura toh nahi lagta na? Meri baato ka? Meri harqato ka? Mene aaj sabke saamne tumhaare kaan kheeche, tumse baatein bulwaayi. Kahi tum bura toh nahi maante na?

Wo Veer ka jawaab sunn'ne ke liye intezaar kar hi rahi thi ki jab achanak hi usse apne nange pait par kisi ka haath mehsoos hua.

"Haaaaahhhhh!?"

Zorr se sisakte hue Ragini ne jese hi sheeshe me dekha toh paaya ki Veer uske theek peeche tha aur apni thuddi ko uske kandhe par rakh usse peeche se apni orr kheech liya.

'This... This...! Aah!'

Ragini bechaari bhauchakki sii aankhein phaade sheeshe me dekh rahi thi, jisme usse khud ki aakriti toh dikh hi rahi thi par saath hi saath uske peeche se chipke hue Veer ki bhi aakrit nazar aa rahi thi.

Veer ke haath ka touch apne nagn pait par paate hi Ragini ki saasein tezz ho chuki thi. Veer ki hatheli Vivek ki hatheli sii kayi guna alag thi. Ya yu kahe ki behtar thi. Ragini ko garm sa ehsaas ho raha tha apne pait par.

Itni ladaayiyo me bhidne ke baad Veer ki hatheli ab pehle ki tarah narm nahi thi. Unme halki halki kharoche thi, kul milaake uski twacha sakht, aur thodi rough thi. Par yahi rough sii skin Ragini ko ek protective aur mardaana feeling de rahi thi aaj jo feeling Vivek usse kabhi nahi de paaya tha.

Na chaahte hue bhi, Ragini ka mann dol raha tha aaj. Wo apni saasein kaabu me hi nahi kar paa rahi thi. Aisa kuch toh usne aaj tak feel nahi kiya tha.

Veer ke haath ka touch usse uss raat ko yaad dila raha tha jis din Veer usse bachaane aaya tha. Uski hatheli ka maatr sparsh hi Ragini ko sabse surakshit anubhooti pradaan kar raha tha. Jese maano duniya me iss se safe jagah koi aur ho hi nahi sakti thi.

Veer toh anjaane me ye kar raha tha. Wo toh bas saantvna dena chaahta tha Ragini ko ki wo uski baat ka bura nahi maanta hai.

Aur uske baad hi, Ragini ki saasein uncontrollable ho gayi jab Veer ne achanak hi...

*Chu~*

Ragini ke gaal ko chum liya.

"Aaaaaaaaaahhhhhh!"

Ragini hadbadaate hue palti aur Veer ko dekh wo fatafat waha se apne surkh laal gaal lete hue nikal ke bhaag gayi.

"Hmm?"

Veer bechaara bas dekhta hi reh gaya. Usse iss baat ka koi andaaza nahi tha ki Ragini apne mann me iss waqt kya kya soch rahi thi usko lekar.

***

****** Hospital...

"Dekhiye! Humne X-Ray nikaala hai. Hum aapki bhalaayi ke liye hi keh rahe hai. Iska theek hona asambhav hai. Aap baat maaniye aur...."

"Nahi!!!!!"

*Thud*

"!???"

Ek bada hi sajjan doctor iss waqt saamne khade aadmi ko apni baat samjha raha tha. Par saamne khade vyakti ne uski baat sunte hi apne dono haath uski table par patak diye.

Jii haan! Ye vyakti aur koi nahi, Balhaar hi tha jo kal Veer ke haatho apna daaya haath kho baitha tha. Kyuki uska woh haath ab kisi kaam ka nahi tha.

Ye chautha jaana maana doctor tha sheher ka jisse aaj Balhaar apna haath dikhaane aaya tha. Par yaha bhi wahi jawaab mila usse.

Uska gussa saatve aasmaan par tha.

Balhaar : Bewakufo!!! Kaahe ka doctor ho saalo? Ek haath bhi pehle jesa nahi kar sakte? Nahi karwani mujhe koi surgery... Mujhe mera yahi haath chahiye samjhe!??? Koi artificial haath nahi!!

Doctor : Dekhiye! Y-Ye impossible hai. Ye beyond repair hai. Mein aapki bhalayi ke liye hi...

Iss se pehle ki doctor kuch keh paata, Balhaar ne uski collor pakad usse uski chair se uthaaya aur uchi awaaz me chillaya,

Balhaar : Dekh behanchod!!! Tu kuch bhi kar, jisse bhi bulaana hai bula par mera ye haath theek kar. Samjha?

Doctor : Dekhiye! A-Aap tameez se baat kijiye! Y-Ye impossible hai. Aap... Aapki limb iss tareeqe se mudi hui hai ki isse waapas se seedha karna asambhav hai. Ye... Ye koi rubber nahi hai. Ye haath hai. Zara sii bhi chuk hui toh dard toh hoga hi, saath hi poori tareeke se haddi toot sakti hai.

"Aaaaaarrrrghhhhhhhhhh!" Balhaar gusse me chillaaya aur uss doctor ko wahi dhakka dekar baahar nikal gaya.

Mann me uske Veer ke wahi shabd gunj rahe the.

"Tera jo ye haath hai na. Tu duniya ke kisi bhi doctor ke paas hi kyu na chala jaaye. Chaahe usse kitne bhi paise kyu na de de. Tera ye haath duniya me koi repair nahi kar sakta. Siwae mere!"

Ab shayad, Balhaar ko Veer ki baat ka visvaash ho raha tha. Wo chaar bade se bade sheher ke doctors ke paas ho aaya tha. Par kabhi bhi usse umeed nazar nahi aayi. Yadi aise hi chalta raha toh...!?

"Nahi!!! M-Mein apna haath nahi kho sakta."

Usne abhi tak Slogan ya kisi anya ko Veer ke baare me koi jankaari nahi dii thi. Wo isliye Kyuki pehle wo confirm karna chaahta tha ki Veer ki baat sahi hai bhi ya nahi? Lekin veer ki baat ab usse sach hoti nazar aa rahi thi.

"Tchhhh!" Daato ko meeste hue usne apna nirnay forun hi le liya.

Aur wo tha...

Wo SLOGAN ki saari khabre Veer ko dene waala tha!

***

Veer's Old House...
11:30 AM...

"Sab maujood hai na?" Manorath kehte hue single seat sofe par viraajmaan ho gaye.

"Jii Dada jii! Sab yahi hai!" Manorath ke bagal me khade Pranjal ne kaha.

Aaj Manorath apna faisla apni jaydaat ko lekar sunaane waale the.

Ghar me aaj sabhi maujood the. Veer chup chaap apni aankhein band kiye, dono haath mode ek sofe par baitha hua tha. Uske bagal se Arohi aur Kavya dono hi baithi hui thi.

Toh wahi Brijesh aur Karunesh ek saath viraajmaan the. Vivek apni Maa Sumitra ke saath baitha hua tha. Aur Bhumika aur Shweta dono Maa beti alag se ek seat me.

Manorath formally ye decison suna rahe the. Toh vakeel se leke documents sab maujood the. Saara kaam aaj hi shuru hone waala tha. Wo jald se jald iss jaydaat se chhutkaara paana chaahte the.

Brijesh ne ek jhalak Veer ki orr dekha aur Veer ne bhi usse dekha. Par dono me se kisi ne kuch kaha.

Pranjal Dada jii ke bagal se hi baith gaya.

Aur fir Manorath bolna shuru kiye,

Manorath : Toh mein baato ko zyaada ghumaunga nahi. Seedha mudde par aata hu. Meri saari jaydaat ko aaj mein apne pote potiyo me baatne jaa raha hu. Aur haan, ye mein poore hosh me rehke suna raha hu. Jaydaat me se koi bhi cheez Brijesh, Karunesh aur unki dharm patniyo ko nahi baati jaegi. Ye keval mere pote potiyo ke liye hi hai. Aur wo bhi unke liye jo mujhe lagta hai sahi tarah se iss jaydaat ka upyog kar paenge.

Manorath ki baat sunn sabhi shaant the. Par sabhi ke dil ki dhadkan zorro se dhadak rahi thi. Khaaskar Vivek, aur Shweta ki.

Manorath : Toh mera faisla tay raha...

Kehte hue Manorath ne harr ek waha baithe shaks par nazre ghumaayi. Veer ko koi matlab nahi tha. Uske hisaab se Dada jii ko ye kaam abhi nahi karna chaahiye tha. Isliye, wo bas chup chaap side me baitha raha.

Sab ki nazre Manorath ki orr hi thi. Aur tabhi Manorath ne apna faisla sunaaya jisse sunke waha maujood sabhi ke hosh udd gaye.

Manorath : Meri 40% jaydaat... Mein Veer ke naam karta hu.

*Boom*

Jese ek bam phata waha baithe logo par.

Veer : Huh?

[Hahaha~ Ye hui na baat ab! Just look at their faces.]

Pranjal abhi bhi shaant baitha hua tha. Par uske maathe par paseena zaroor jhalak raha tha.

Manorath : Aur 40% jaydaat... Mein apne pote Pranjal ke naam karta hu.

Jo paseena Pranjal ke maathe par tha. Ye sunte hi usne wo paseena poch liya. Baaki sab bas apne gale me atka hua thook hi gutak ke reh gaye.

Manorath : Baaki ki bachi hui 20% jaydaat me se... Mein 10% apni poti Arohi aur baaki ki 10% apni sabse choti poti Kavya ke naam karta hu.

Shweta : H-Huh!? Y-Ye?

Vivek : !???

Manorath : Yahi hai mera poora faisla.

Shweta jiske chehra ka rang hi udd chuka tha faisla sunn ke wo forun hi apni jagah se uth khadi hui.

Shweta : P-Papa jii!? Ye... Ye aap kya keh rahe hai?

Manorath : Sahi keh raha hu.

Shweta : H-Huh? P-Par meri beti Bhumika. Wo... Wo bhi toh aapki poti hai na? Aur wo bhi sabse badi poti... T-Toh uska naam kaha hai? Aapne usse kuch kyu nahi diya?

Manorath : Kuch samay pehle, mene inn sabhi ko apne kamre me bulaaya tha. Tab mein inse ye nahi puchna chaah raha tha ki jaydaat kisse dii jaaye. Mein inn sabhi ka vyaktitv parakh raha tha. Jiski pareeskha me Vivek aur Bhumika dono hi fail ho gaye.

Bhumika ka ye baat sunn apne aap sarr jhuk gaya. Wo naraaz nahi thi. Na hi gussa thi. Usse jese waqai koi gham nahi tha. Kaafi calm thi woh.

Par yahi baat uski Maa Shweta ke liye nahi kahi jaa sakti thi. Shweta ka toh bechaini ke chalte poora shareer thitur raha tha.

Shweta : Ye... Ye aap!?? Aisa kese kar sakte hai? A-Arohi aur K-Kavya ko toh dii na aapne? Fir bechaari meri Bhumika hi kyi reh gayi?

Manorath : Mein bataata hu ki kyu Bhumika aur Vivek ko ratti bhar bhi jaydaat nahi mil paayi. Kyuki jab Vivek se mene pucha tha ki jaydaat kitne hisso me kisse baati jaaye. Toh Vivek ne sabhi ka naam liya tha. Siwae Veer ke. Jis bhai ko apne sabse chote bhai ki fiqr tak na ho usse bhala mein ye jaydaat kese de sakta hu? Yahi kaaran Bhumika ka bhi hai. Bhumika bitiya ne ek baar bhi apne bhai Veer ka zikr nahi kiya tha.

Manorath ki baat sunn, Shweta ka dimaag hi sann reh gaya. Uss din khud ussi ne toh Bhumika ko patti padha ke bheja tha ki Apne Dada jii se directly apna haq maang lena. Aur dekho kya ho gaya aaj. Shweta ko apni galti ka abhaas hote hi itna zyaada pachtaava ho raha tha ki uski mutthi me saree ka bhaag poora nichud ke reh gaya. Yaha tak ki aankho ke kono me halke halke aasu bhi utpann ho chuke the.

Vivek wahi baithe apne mann me khud ko hi kos raha tha. Usse laga tha ki shayad Veer ka naam nahi lete hue Dada jii ne uski baato ko zyaada dhyaan nahi diya hoga. Par wo galat tha. Bas mann me gaali hi nikal rahi thi uske.

Manorath : Wahi dusri orr, Pranjal Arohi, aur Kavya teeno ne hi Veer ko apne dhyaan me rakh uska naam lete hue usse jaydaat dene ko kaha tha. Arohi bitiya toh apna poora hissa Veer ko dena chaahti thi. Toh wahi Kavya ko kuch nahi chaahiye tha. Wo bhi yahi kahi thi ki jaydaat Veer ko de dii jaaye. Aur Pranjal bete ka bhi yahi kehna tha.

Veer ne palat'te hue dono hi Arohi aur Kavya ko dekha toh dono hi behno ne usse ek smile pass kii.

Manorath : Arohi sahi maayno me haqdaar nahi thi. Kyuki jaydaat usse hi sahi phalti hai jo iska upyog sahi se karna jaane aur ek iccha rakhe. Arohi bitiya ke mann me koi iccha nahi thi. Usse koi matlab nahi tha. Yahi kaaran hai ki usse keval 10% hi jaydaat ka hissa mila. Wo isliye, kyuki usse apne bhai Veer ka dhyaan tha. Dhyaan tha ki wo iss ghar se dur tha.

Arohi : ....

Manorath : Wahi Kavya ko ye jaydaat ka 10% isliye diya gaya kyuki wo ghar ki sabse choti poti hai meri. Aur sabse pyaari. Abhi usse utni samajh nahi. Aisa ho sakta hai ki aage jaa ke usse aur samajh aaye toh kahi usse pachtaava na ho. Isliye uske jeb me kuch toh hona chahiye na? Ye 10% ki jaydaat ab wo jese chaahe upyog kare, ye uske upar hai.

Shweta aur Vivek dono hi Manorath ki baat vistaar se sunn'ne ke baad wahi jamm ke reh gaye. Aisa lag raha tha jese kisi ne unke muh me nimbu nichod diya ho. Aisa muh ho gaya tha dono ka.

Aur fir Shweta jese bhadak uthi,

Shweta (chilaate hue) : Ye galat hai. Ye sarasar anyaay hai... Ye galat hai! Aap... Aap aisa nahi kar sakte. Aapne galat nirnay liya hai. Ye meri beti ke saath chhal hai. Sabko aapne kuch na kuch diya par meri beti ke liye ek rupaya bhi nahi chhootha aapke haath se? K-Kya kami reh hai meri beti me?
Kyu kiya aapne aisa!? Haaan?

Shweta ki ladkhadaati hui awaaz sunn, waha baitha Brijesh usse bauhe sikod ke dekhne laga. Toh wahi Bhumika apni Maa ke kandho ko thaam usse rokne ka prayatn karne lagi. Par aaj jese Shweta bilkul bhi nahi baithne waali thi.

Shweta (screams) : AAPNE GALAT KIYA HAI! AAP GALAT HO!!!! AAPNE MERI BETI SE USKA HAQ CHHEENA HAI!!!!!

Uski cheenkhe poore hall me goonj rahi thi. Aur uska chehra poora laal ho chuka tha. Aur aankho se aasu behte hue gaal par bikhar chuke the. Bhumika bhi sehemte hue apni Maa ko rokne ki koshish kar rahi thi.

Baar baar samjhaane par bhi jab Shweta na chup hui toh iss baar Brijesh nahi ruka. Wo utha aur tezz kadmo ke saath Shweta ke sameep aaya.

Brijesh (chillaate hue) : SHWETAAAA!!!

Shweta : !!?

Brijesh : Mene tumhare liye kitna kuch nahi kiya? Arre itni badi hotel tumhare aur Bhumika ke naam par hai. Fir tum Papa jii se aisi baatein kyu kar rahi ho? Aur kya chahiye tumhe? Yaha toh hum sabhi gharwale hai na? Fir ab aur kya chahiye tumhe? Kya tum itne se bhi santusht nahi ho? Sab kuch toh de hi raha hu na mein tumhe!? Fir Papa jii se kyu zabaan lada rahi ho?

Shweta (screams) : KYUKI YE DHONGI HAI!!!! YE BAS MEETHI MEETHI BAATEIN KARTE HAI! INHE MERI BACCHI KI KOI PARVAAH NAHI!!! YE DHONGII HAI....!!!!

Bas, Shweta ka itna chillana hi tha ki tabhi...

*Chataaaaaaaaaaaaaaak*

Ek zordaar thappad ki goonj poore hall me fel gayi.

Shweta : !!!?

Shweta apne gaal ko pakad ek taraf chehra jhukaaye hairat ke maare khade reh gayi. Brijesh ne usse ek zordaar tamaacha jad diya tha.

Aur maano waha jese sannaata saa chha gaya.

Manorath samet sabhi apni jagah se hairat ke maare khade ho gaye.

Bhumika : M-Mom!!!!!

Shweta ne fir Brijesh ko wahi roti hui soorat se dekha. Aaj jese uske andar kuch toot chuka tha.

Brijesh jesa bhi tha. Wo apne pita ki boht izzat karta tha. Haan, kabhi kabhi uski apne pita se kaha suni ho jaati thi. Par kabhi palat ke jawaab nahi deta tha Brijesh. Par aaj...

Aaj uski hi patni uske pita ko sabke saamne dhongi keh ke bula rahi thi? Kya kami reh gayi thi uski aur uski beti ki parvarish me?

Brijesh : Abhi ke abhi andar jao. Bhumika!!!! Leke jao apni Maa ko.

Shweta toh jese sann sii pad gayi thi. Wo Bhumika ke saath kab hall chorr ke baahar nikal gayi usse pata hi nahi chala.

Brijesh : Papa jii! Yadi sab kuch ho gaya ho toh kya...

Manorath : Tumhe haath nahi uthaana tha bahu pe. Aurat pe haath uthaana...

Brijesh : M-Mein jaanta hu. Par uss samay mujhe wo zaroori laga.

Manorath ne toh jese ye pal pehle hi parakh liya tha. Isliye wo shaant ho gaye.

Manorath : Aaj mein apni saari zimmedaariyo se mukt ho chuka hu. Toh isliye, kal mene iski khushi me ek bhavya daavat rakhi hai 5 star hotel me. Kal sabhi ko waha time se raat me maujood hona hai. Aur... Bahu ko mana lena. Mein nahi chaahta wo waha par na mile.

Brijesh : J-Jii!!

Manorath : Ye program mene isliye rakha hai. Kyuki mein chaahta hu ki Veer aur Pranjal dono hi waha apni kaabiliyat dikhaaye. Ab kyuki wo do bade hisso ke maalik hai. Toh waha dherr saare bade bade logo ka aagman hoga. Wo saare mere pehchaan ke hai. Unse acche rishte banaoge toh aage jaldi badhoge. Ab dekhna ye hai ki tum dono me se kaun acche se rishte bana paata hai. Samay aur jagah raat tak tum logo ko message dwaara bata diye jaengi. Parivaarik baithak yahi samaapt hoti hai. Tum sab jaa sakte ho.

Aur fir jo bhi documents ke kaam the, unhe niptane ke baad Veer bhi apne ghar aa gaya.

Yaha Pranjal apne room ki orr jaa raha tha jab Vivek ne usse peeche se thaam ke paltaaya.

Vivek : Chote!!! Ye vaar toh ulta hi pad gaya mere liye. Mujhe nahi laga tha ki...

Pranjal (smiles) : Ab kuch nahi ho sakta bhaiya! Aap ne apne khud ke perr par kulhaadi maar lii.

Vivek : Huh?

Pranjal : Chalta hu.

Vivek : Ek... Ek minute! Tujhe 40% mili hai na... Toh...

Pranjal : Haan toh? Ye 40% mujhe mili hai. Aapko bhi milti. Yadi aapne Veer ka dhyaan rakha hota toh. Ab isme mein kuch nahi kar sakta bhaiya.

Vivek Pranjal ki baat sunte hi itna aag baboola ho gaya ki usne forun hi apne chote bhai ki collor pakad lii. Saala iss chote bhai ke liye itna risk utha raha tha woh? Usse laga tha ki 40 kam se kam Pranjal ko toh mili hi hai. Wo aadhi toh de hi dega. Akhir wo dono partners the. Par...

Dene ki toh baat chorro, Pranjal ne saaf inkaar kar diya kuch bhi dene se. Gussa aana toh swabhaavik tha.

Vivek : Mein tujhe harr kadam par saath leke chala. Aur tune ye kiya? Bhul mat chote! Ki mene hi tujhe iss plan me shaamil kiya tha. Yadi mein na hota toh tujhe ye sab...

Pranjal : Hahahaha~

Pranjal ne hasste hue apni collor se Vivek ke haath hataaye aur muskuraate hue usse dekhte hue bola,

Pranjal : Kamaal karte ho bhaiya! Itni badi company ke maalik ho. Dad ne aap pe na jaane kitna paisa phooka hoga. Uske baad ab jab itne jeevan me mujhe kuch mil raha hai toh wo bhi aapko hi chaahiye? Na bhaiya na! Bilkul nahi! Aapne na keval Bhabhi ko khoya, balki khud ke hi perr me kulhaadi maar aapne ye jaydaat bhi kho dii. Kherr, jaisa jiska naseeb... Chalta hu!

Aur wo Vivek se dur hatt apne kamre ki orr nikal gaya. Idhar Vivek bas apni mutthi ko gusse me kassta hi reh gaya.

"Chote!!!"

Kamre me aate hi Pranjal ki jo muskaan thi wo gaayab ho chuki thi. Wash basin ke paas aate hi usne apne chehre par paani ke chheethe maare aur saamne lagae sheeshe me khud ko dekhne laga.

'What went wrong???'

Manorath ka decision uski predictibility se bilkul alag tha. Usne socha tha ki uske Dada jii 50% usse, 30% Veer aur 10-10% Arohi aur Kavya ko baatenge.

Par wo galat tha.

Veer bhi utne hi pratishat ka maalik tha jitna ki woh khud. Aur issi ke chalte uske mann me dherro sawaal aa rahe the. Uska plan fail ho chuka tha.

'Sab kuch toh sahi kar raha tha mein. Galti kaha reh gayi? Damn it!!! Veer bhi mera equal ka partner hai. Mujhe...

Hmm!!! Mujhe jald se jald Arohi dii aur Kavya se unka hissa kese bhi karke lena hoga. At least tab mein 60% ka maalik toh kehla paunga. Baaki ki jaydaat Veer se kese hadapni hai. Uske baare me baad me sochunga. Kal major gathering rakhi hai Dada jii ne. Bade bade log aaenge. Mein kisi bhi haalat me Veer ko unse milne ke chances nahi de sakta. Mujhe uske saare chances intercept karne honge. Kal! Kal mein uski saari izzat ka aisa faaluda banaunga ki paraaye toh kya uske apno ke beech uski izzat mitti me milke reh jaegi!'

Wo khud se itna soch chala gaya kapde badalne.

***

Agli raat aaj Banquet ka din tha. Bhavya daavat rakhi gayi thi Manorath dwaara 5 star hotel me.

Ek se ek log aaye the. Bhale hi Veer ki family Kaera ya Sonia jitne level ki nahi thi. Par kaafi log unke hi standard ke aaye hue the. Wo isliye kyuki Manorath ne apni guzarti life me inse contact banaaye the.

Manorath ko chorr ke uske ghar se sabhi hotel me aa chuke the. Wese toh ye program Shweta ke hotel me hi rakha jaa sakta tha. Par...

Kal ki ghatna ke chalte aur saath hi saath ye sochke chalte ki Shweta fir hotel ke kaamo me busy ho jaegi. Isliye, fir ye banquet ek 5 star hotel me aayojit kiya gaya.

Mehngi se mehngi cars ki parking hoti jaa rahi thi. Aur aadmi aurat mehnge mehnge kapde pehne hue andar jaa rahe the. Manorath ne iss baar koi kami nahi dikhaayi thi. Laakho rupaye kharch kiye the unhone aaj ki iss daavat me.

Brijesh aur Karunesh andar hi saath me suit pehne khade hue aapas me baatein kar rahe the.

Karunesh : Lo bolo! Papa jii hume samjhaate the ki party mat karo, party mat karo. Aur ab khud ko dekho. Aisi party pheki unhone ki kya hi kahe ab...

Brijesh : Wo Papa jii hai. Kuch bhi kar sakte hai.

Wahi dusri orr, Arohi aur Kavya hasinaayo jesi saji hui Veer ka hi wait kar rahi thi jab ek car parking me aakar ruki. Aur usme se Veer nikla.

Shandaar ek tuxedo pehne aaj wo bhi poori tarah se taiyaar hoke aaya tha.

Kyuki wo jaanta tha, ki iss Banquet me usse kayi saare relationship banaane hai bade logo se.

Aur upar se... Usne apne 200 points ka upyog bhi stats me use kar liya the. Usne 60 points Strength me, 30 points Intelligence me, 30-30 points Agility aur Endurance me aur baaki ke 50 seedhe appearance me daal diye the.

'Pari'

[Hmm?]

'Show me my full status!'

[Okay!]

*Ding*

[Name : Veer

Age : 21
Status : Student

Stats :
Strength - 96/100
Intelligence - 95/100
Agility - 65/100
Endurance - 65/100
Appearance - 75/100


Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill) upgraded to Intermediate Martial Arts Skill (Silver Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)
4) Limbo (Silver Tier Skill)
5) Basic Enemy Tracker (Bronze Tier Skill)
6) Absolute Chef (Gold Tier Skill)
7) Basic Driving Skills (Bronze Tier Skill)

System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration, Translator, Quest Hunt, Slot.

Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 92)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 68)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 45)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 70)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 54)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 65)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 89)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 62)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 64)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 85)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 66)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 30)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 5)
14) Kaera : Best Friend (Favourability : 72)

System Level : Level 5
(120 EXP more to reach Level 6)]

Aur stats me appearance 75 dekhte hi Veer ke andar kaafi confidence tha aaj. Kyuki usse pata tha ki andar jaate hi kya hone waala tha.

'Let's go!'

[Yeah!!!]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad! This update contains more than 4.7k words. Mega update ke kaafi nazdeek hai ye waala. Toh apna apna kaam kar ke jaane ka aur apni sameeksha rakhne ka. 😁
Are pagle ab rulayega kya itne achhe well written well describe update ki kya hi samaksha prastut karu, bas itna hi kahunga vo bhi other new comar se ki dekho or sikho Sayad ek din aap log bhi aisa ya Isse badhiya Tarah se kuchh ham readers ke samne prastut kar sake...
Aap un chuninda logo me se ho wolf bhai jo Bahut se writers ko kuchh Accha likhne ki prerna dete ho... 🙏🙏🙏
Ragini ji ke sath ka incident kafi Achha tha unka kaan pakad kar yu pahle hak se daant lgana or fir veer ki fikar karna sandar vhi veer ke purane ghar me dada ji ne property bati Jisme veer ko 40%mila utna hi pranjal ko bhi mila or sath hi 10-10% 2 chhoti bahano ko mila, bhumika ki ma ka sean dekh kr padosiyo ke ghar ka cold war yaad aa gya vha to lathi bhi Chal gyi thi... To Ab dada ji ne ek 5star hotel me grand party Di hai Jisme veer or pranjal ko apni kabiliyat siddh karni hai pr is pranjal ko kya pta kaera soniya suhana jaisi grand hastiya jab veer ko support karengi to pranjal ki kya mjal... Pr kuchh na kuchh tigadam to chlayega hi akhir koot niti me chhal ka jyada prayog karta hai pranjal... Awesome update bhai jabarjast superb amazing
 
Top