• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller "Awarapan - Love Can't Change Destiny "

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Chotuiaf

New Member
78
190
48
Very nice start.
De Dana Dan update. Padhkar Maja AA gaya.

Ab dekhte hain ki rishi ki entry dubara Hoti hai ya nahi. Aur Hoti hai to kaise.
 

Assassin

Supreme
4,494
3,991
159
:congrats:for new story
 

Guffy

Well-Known Member
2,068
2,174
159
Congratulations bro wainting next
 

Royal Lover

"लंड फकीर"
Prime
698
511
109
Agle Din Rat Ko Yusuf ke Ghar par mahfil saji ...Us Mahfil me Yusuf ,Ranu ,Monu ,Rahul ,Rishabh,Pintu ...aur ynha tak khud SP bhi shamil the ...
"Aur SP sahab kya hal hai ...Aap bhi biryani ke shaukin ho gye ....'" Rishahh ne taunt kaste huye kha ..

SP :- tum logo ki wajjah se hi biryani ki aadat lag gayi varna ham to Dal Roti vale insan the ...

Ek bde hall me ..ek bdi si dinning table par mahfil jma thi....
Yusuf :- Aap sabhi logo ko bulane ki wajah mai nahi hun ...Asal me Monu bhai chahte the ki ye meeting arrange kari jaye .....

Rahul :- koi khas wajah ...bhai sahab ...
Monu :- Mai is bar MP ka chunav ladna chahta hu ...isliye tum sabhi logo se support chahta hu ....
Yusuf :- ham to taiyar hai ...
Ranu ,:- Mai bhi taiyar hu ..

Rahul ne Rishabh ki taraf dekha jo abhi bhi biryani khane me mast tha ..

Monu - Rahul tumhe koi problem hai ..
Rahul ne Rishabh ki tarf ek bar phir se dekha ...
Rishabh :- Mujhe problem hai ...
Monu :- aur vo kyo ...
Yusuf :- tujhe to har chij se problem hai ...mere dhandhe se ..pintu ke dhandhe se ...jyada ud mat ...

Rishabh :- Yusuf miyan jyada phadphdao mat ....varna ...

Monu :- Mere sawal ka jawab nahi diya abhi tak. ..

Rishabh :- aapki umra kitani hai
Monu :- 58..ye kyo pucch rhe ho ...

Rishabh :- vo isliye ki aap picchle do bar se MP ban rhe hai ....aap MP ke alawa aur kuch ban paye ....

Monu :- Matlab ....
Rishabh :- Minister ....
Monu :- han to ..Mujhe kuch samajh nahi aa rha ...

Rishabh :- Ye huyi na bat ...Man lo Aap MP ban gaye ...phir se Delhi jayege ...lekin aapko Minister ki post nahi milegi ...kyonki aapki vnha aukat ...ek gunde se jyada aur kuch nahi hai ...To aap MP hi rah jayenge ...iske aage aapka koi bhavishya nahi hai ...lekin agar aap Centrel ki politics chhodkar State ki karenge to chances jyada hai ki aapko Minister bna diya jaye kyonki aapse ynha log darte hai ..ijjat karte hai ...aur agar ek bar aap ynha chamak gaye to phir centrel se sidha bulava aayega...aur tab tak ynha mja lijiye ....

Ranu :- tumhari himmat kaise huyi chacha se ye kahne ki ...ynhi ke ynhj thok dunga tujhe ...abhi mai ..

Rishabh :- sacchai se to aap bhag hi nahi sakte aap Monu bhai ...aur aapko bhi ye pta hai ki ..aapki vnha koi do kaudi ki bhi aukat nahi hai ...samjhe ..unko bhi ek MP chahiye aur aapko ..aur jnha tak mujhe khabar mil rahi hai ...is bar Aapka ticket bhi kat rahe hai ...agar nahi bhi kata to aapko ye seat to milani mushkil lag rahi hai ...aapko knhi aur se ticket milega ...jnha se aapko jeetna ..bahut hi kam chance ...aur isliye aapne ye meeting arrange karwayi taki ham sab log aapka support kare aur aap ek challange pesh kar sake ..party ki election comettie ke samne ....aur agar is bar ticket mil bhi gya to next time aapka carrier khatm...

Sabke chehre ki hwaiyan ud chuki thi ....kisi ko kuch samjh nahi aaya ki aakhir Rishi ne abhi kha kya hai.....
Khan :- Man lo tumhara ganit theek hai to Monu bhai karege kya
Rishabh :- Simple ...is bar vo MP ka chunav na lade ...
Ranu :- Kuch jyada nahi bol rha hai ..tu ..aukat me rah tu ...
Monu ko to Rishabh ne sochne par majboor kar diya tha ...
Monu :- bat to tumhari ek had tak to sahi hai ...par agar mai election nhi ldta to mere liye kya sambhavnaye hai ...mera to carrier khatm ..
Rishabh :- Ye ek durdarshi chal hai ..dur se dekho iske fayde ...
Khan :- ek bat btao Monu jnha tak mujhe pta hai ..ynha se koi bda leader hi ldega ..party ka ..
Monu :- udte huye khabar aayi hai Prince Sharma hai nam ..Centrel Minister ka ldka hai ..uski dusari seat hai ye .....
Khan :- Dekho Rishabh agar Monu election nahi ldta to krega kya ..plan hai koi ..
Rishabh :- ek MP ke taur par aap kam se kam 10 Vidhansabha seaton ko effect kar sakte hai ..par as a MP ..you have only one seat ...sochiye agar aap kisi party ko 10 seats de sakte hai usme aapki kitni value hogi ....
Monu :- Bat ghumao mat...sidha point par aao ...
Rishabh :- Rahul bhai MP ka election ldenge ...jis wajah se vo apni seat se resign denge ...to vnha bhi upchunav honge ...janha se ap khade ho jaiyega ...aur jeetkar Lucknow ...aur next do sal bad phir chunav ...aur phir King Maker ki bhumika me aa jana..uske bad Minister post ...
Rahul ka nam sunte hi sabka muh khul gya ...Ranu Yusuf sab ghoor kar dekh rhe the ...
Ranu :- kah to aise rha jaise iski bapauti hai Minister ki post ...to phir next chunav me Rahul ko minister bna de ..ham MP ka election ldege ..bat khatm ...
Rishabh :- Maine suna tha ki tera dimag ghutne me hai par dekh bhi liya aaj ....aapka varish to bahut ghatiya hai Monu bhai ...Ek bta Ranu Monu bhai kitne sal se politics me hai ...35 sal se ..aur Rahul maharaj sirf teen sal se .....to Kad kiska bda hai ...baki aage samjhdar ho ...
Monu :- Itne dino se hone ke bad bhi is party ne koi value nahi di mujhe ...
Rishabh :- Exactly ...yahi kah rha ...ham party chhodenge ..aur shamil honge hmari BLP me.......Mai agle ek hafte me pta karke bta dunga ...aapko ticket milegi ya nahi ynha se ...mili bhi to bhi chhod kar shamil ho jana BLP me ...
Khan :- Lekin Rajat Yadav se kaun bat krega...
Rishabh :- chunav ke silsile me vo aa rhe hai char din bad ....usko bta diya hai ki Ham milna chah rha hai ...
Yusuf :- ek min meri bat bhi sun lo ki aakhir mera kya fayda hai .....mai kyo support karu Rahul ko ...tum logo ne to apna apna fayda dekh liya ..Mai na to MLA aur na hi MP ke kabil rakha tum logo ne ..
Rishabh :- Tera jo kal rat maal pakda hai ..vo mil jayega aur meri area me daru supply karne ka permit de dunga ....but mera percentage mujhe milte rahna chahiye ..... Aur kya chahiye ...
Yusuf :- lekin power knha hai ...mere pas ..tere talwe chatunga mai ...tu jo kahega vo krna pdega mujhe ...
Rishabh :- Rahul ko support kar MLA ki ticket pakki teri ...Khan Bhai aap btaiye aur kya kar sakte hai ...
Khan :- Mujhe koi burayi nazar nahi aa rahi ...Mujhe manjoor hai ..
Yusuf :- Lekin mujhe manjoor nahi hai ...
Khan :- Koi khas fark nahi pdta ...tumne kya socha Monu ..
Monu :- Bat to kafi had tak sahi hai ...Mai gaur karke btaunga ..ek bar upar bat kar lu ...

Rishabh ne aakhir kisi na kisi tarah har kisi ko is bat par raji kra liya ki Rahul hi is bar MP ka election ldega ..Kyonki har insan apna fayda dekhta hai ...aur ...har kisi ko apna fayda dikh rha tha is proposal me ....
Is tarah Ye Meeting to over huyi ....par ek chingari chhod di thi ynha jo bad me ek aag ka roop legi ya sirf sulgati hi rahegi ...????
 
  • Like
Reactions: Guffy

Royal Lover

"लंड फकीर"
Prime
698
511
109
"Usne kha aur aapne man liya Papa ..." Ranu ne ghar me ghuste hi Monu par chillate huye bola ...

Monu :- beta ise politics khte hai ...politics koi murder nahi hai ki gaye aur trigger dba diya aur dhany ke sath aawaz huyi aur samne vala dher ...Ye Rajneeti hai ....itne salo se jo bat mujhe sochni chahiye thi vo usne mujhe btayi ....Party me mujhe meri asali aukat pta hai ...MP tak to theek hai par Minister kabhi nahi bna aur na ban paunga ....aur mera sapna hai beta....aur vaise bhi is bar samikaran badal rhe hai beta ....

Ranu :- bat ye nahi hai ...

Monu :- phir kya hai ...

Ranu :- aap kal ke aaye us launde ki bat man liye ....jaise hmari koi ijjat hi nahi hai ....vo aaya ...farman sunaya aur hamne ek aagyakari ki tarah uski bat man li ...Mai Raji nahi hun...
Monu :- Kabhi Kabhi Gadhe ko bhi baap bnana pdta hai ...aur ye tujhe. Bhi pta hai ...paise se jyada power jaruri hai ...aur teri bat kyo manu ..khud ka dimag to ghutne me hai ...ja jakar daru pi aur aish kar ...jo kam diya hai vo kam kar ...beech me tang mat ada ...mujhe pta hai ....kya karna hai ...mai tera baap hu ..tu mera nahi ...samjha ...

Ynha sawal sakh ka tha ki aakhir kaise kisi ring ke purane khiladi ko ek naye khiladi ne mat di ho ...Monu bhi bekhabar nhi tha

Idhar Yusuf ka vahi hal tha jo Ranu ka tha .

Yusuf :- Aakhir aapne uske ghutne kyo teke ...itne kamjor nahi huye abhi ham ...jo vo kahega ham vo kare ...

Khan :- aacha ek bat bta teri 20 sal ki mehnat ko usne 3 sal me hi barbad kar diya ....tune kya kar liya ...ek baal tak ukhad paya ...kal rat usne tera saman pakda ...teri himmat padi ki jake usse bole ki mera maal mujhe wapas karde ....aur bat karta hai majboori ki aur kamjori ki ....asaliyat yahi hai Yusuf ki hmari koi aukat nahi bachi ...Ateet me rahna chhod aur Sacchai swikar karo ...koi power nahi hai ...tujhe daru bechne ki permission di sath me Next election me MLA ki ticket bhi ...aur kya chahiye ....

Yusuf :- matlab ab mai uske rahamo karam par jiyun ....

Khan :- sacchai to yahi hai ...sahi mauke ka intejar kro nahi to muh ki khani pdegi ...

Yusuf :- Kabhi nahi Khan chacha ...mar jaunga par mai uske aage sar nahi jhukaunga....

Khan :- to theek hai ...ek kabra taiyar karwa leta hu tere liye ....

Yusuf :- par lash meri nahi uski hogi ...jald hi dekhna chacha .....

Aakhir Swabhiman insan ko haiwan bna deta hai..kyonki vo jhukne ko taiyar hi nahi hota hai ...chahe kaisi bhi situtation ho ....yahi hal yusuf ka tha ...uske dukhati rag par hath rakha tha Khan chacha ne ....use ye btakar ki ab vo is sahar ka king nahi rah gya hai ....Yusuf us ped ki tarh ho gya tha jo sukh chuka tha par phir bhi akad ke sath khda tha

Idhar Pintu Aur Rahul ghar panhuchte hai .....

Pintu :- aapne kha tha ki usase maal ke bare me bat kroge ...

Rahul :- usne mujhe bolne ka mauka diya kya aur asal me mera vnha chup rahna hi behtar tha ...

Pintu :- par mera nuksan ho rha hai ...subah mera maal khatm ho chuka hai ...aur mujhe ghata ho rha hai ......
Rahul :- mai tere maal ki abhi usase koi bat nahi kar sakta ...

Pintu :- kyo nahi kar sakte ...

Rahul :- kyonki abhi vo tere bare me bat karne ke mood me nahi hoga ...

Pintu :- phir uska mood ..bahanchod mai hu kaun...mera koi astitva bacha hai ..ya nahi ..mai khud ja rha hu bat karne usase ...

Rahul :- chupchap so ja jake ...subah kar lunga ...aur han uske samne tu kuchh bhi nahi ...dekha kis tarah usne Monu aur khan ko sambhal liya aur mujhe MP candidate ke liye mna liya ....aur tu teri to khan ke samne bolne tak ki himmat Nahi hoti ...to jo ho rha hai ..vo hone de ...samjha

Pintu :- mujhe mera maal chahiye aur usse bol do ki mere kam me dakhalandazi na kare varna bahut bura hoga ...

Rahul :- lagta hai daru chad gayi hai isko jyada ....abe lekar ja isko ynha se ....

Ek dusre se behtar sabit karne ki hod me Insan ...ye bhi nahi dekhta hai ...ki aakhir vo jis raste par jayega ya ja rha hai ...vo kitna sahi hai aur kitna galat ..kya uske faislo se uspar ya kisi. Ko koi farak pdega ...unke natijo ka kya pratifal nikalega ....

Aur in sab se bekhabhar ..Rishi apni dhun me hi magan tha ...
Use koi farak nahi pdta log uske bare me kya sochte hai ...
Sanjay :- Rishi bhai ..ek bat btaiye ...aapko yakin hai Monu manega

Rishabh :- pta hai Sanjay ...insan ki sabse bdi kamjori uska lalach hi hai ....aur Monu ko kya lalach hai ...sabhi ko pta hai ...lekin Monu ek aisa shaksh hai jo hwa k bahav ki taraf bahta na ki uske khilaf ...yahi antar usme aur Ranu me ..Andar ki ek bat btaun ...Monu ko aaj tak koi bhav kyo nahi diya ...kyonki isne ek bahut bde neta ko meeting me thappad mari thi bahut pahle ...aur vahi Party ka National President hai is waqt...to samjh sakte ho ..ki inhe to hashiye par jana hi tha....

Sanjay :- par isme aapka kya fayda ..

Rishabh :- mai koi kam fayde ke liye nahi karta ...mujhe sirf jeena hai is zindagi ko ...sirf katna hai ...aur vo kat rha hu

Sanjay :- pta hai ...aapki life bore kyo hai ...

Rishabh :- koi hai nahi na ...jo rato ko rangeen kar sake ..

Sanjay :- Matlab.....

Rishabh :- Zindagi haseen kar sake..

Sanjay :- Bhai us ladki ke bare me kya khyal hai .....
Rishabh :- kaun...
Sanjay :- vahi quraishi ke ynha vali ..

Rishabh :- pagal hai kya...rat ho gayi hai ..nikal le ynha se....

Sanjay muskurate huye vnha se chla jata hai .....
Lekin Sanjay ne jo bat chhedi thi uspar dhyan to jana hi tha aur yahi se to shuruwat hoti hai kisi ke sath ishq ke ehsas ki ...aur yahi ehsas to hua tha ...jab Zoya ke ankhon me jhanka tha ....
Sone ki bar bar koshish kar rhe the Mr.Rishi par Zoya jo thi vo nam hi nhi le rahi thi unke ankhon ke samne se hatne ki ..kabhi chutaki bajata hua chehra to kabhi collar pakade uske honthon ki lali ...aur achanak man se ek awaz aayi ...asal me ye man nahi tha ye dil ki awaz thi jo bar bar kah rahi thi ..chal uske ghar chalte hai ...

" ohhh teri ye kaise soch liya tune ..."
"To kya hua ...dekhne me kya burayi hai ..." Lekin tabhi ek aur awaz sunayi di ...
"Kya kahege log aadhi rat ko jayega...pagal hai..."
" kuch to bat hai ..jo yad aa rahi hai..."

Rishabh :- sala inka yudh to chalta hi rahega ...mai bahar ghumkar aata hu ...
Apne ghar ke watchman ko bolkar bike uthayi aur lga di daud sadako par .....sawal ye tha ki aakhir ab jaya knha jaye ...
" Bike to autometic chal rahi ...abe bc ..knha ja rha ha ...are nahi ..vnha nahi jana..are nahi jana bhai ..kuch to sahrm kar ..bhai plz..."
Lekin kahte hai agar dil kisi ki taraf machalne lage to phir rokna to mushkil hota hi hai ....
Rishabh ne sidha bike uske ghar ke samne rok di ....
"Par sala rokne se kya hoga ..vo dikhegi bhi ...rat ko 11 baj gaye hai...kya karu ...vo sakta hai so gayi ho...." Rishabh apne man hi man me lde ja rha tha .....
"Iske ghr jaun ki na jaun ...lekin jaun kyo ..abe mai ynha kar kya rha hu " Rishabh ne khud ke sar par ek chapat lgate huye kha ...aur muskurte huye ghar ki taraf nikl liya ...aur jakar bas use yad karte huye bistar par dher ho gya ..
 
  • Like
Reactions: Guffy

Royal Lover

"लंड फकीर"
Prime
698
511
109
UPDATE _10

Subah neend khulte hi Sanjay ne paigam bhijwaya ki Rahul bhai ne bulaya hi ...
"Sala isko bhi subah subah koi kam nahi hai ...jo bulane lga ..." Rishabh ne bistar chhoda aur Fresh hone chla gya ...nashta kiya ,gym gya...aur phir se so gya....do ghante bad Sanjay ne use jabardasti jgaya ...
Sanjay :- Rahul ..subah se ..

Rishabh :- uska gulam nahi hun...jab man hoga tab aaunga .....

Sanjay :- puri bat to suno ...Rahul bhai Subah se bula rhe the par aap nahi gye to pta nahi Pintu kyo aa dhamka ..bol rha hai ki Rishabh se aabhi bat krni ...

Rishabh :- Aa gya ...chalo theek hai ..mai aata hun ...

"Kaise aana hua Pintu Saheb ...hame bta diya hota ..ham aapki khidmat me hajir ho jate .." Rishabh ne Seediyon se utarte huye kha ..

Pintu :- mujhe koi bakwas nahi sunana hai ...

Rishabh :- kisi ne inko thanda nahi pilaya ...

Pintu :- mujhe nahi pina thanda garam ....

Rishabh :- to phir kaise aana hua itni subah ...

Pintu :- mujhe mera maal chahiye ..,.

Rishabh :- kaun sa mal ..

Pintu :- vahi jo Parso rat ko tumne hotel se uthaya tha...

Rishabh :- isliye aaye ho ...

"Hmmm" Pintoo ne gardan hilate huye kha ...

"Thanda ya garam piyo aur ynha se dafa ho jao ...." Itna kahkar Rishabh utha aur bahar ki taraf nikal gya....

Pintu :- ye tu accha nahi kar rha ..mera bahut loss ho rha ...

Rishabh :- mujhse pucchkar shuru kiya tha tune .....

Pintu :- tujhse kyo pucchun mai ..hota kaun hai ...

Rishabh :- is sawal ki jarurat nahi hai ...aur phir kabhi mere darwaze par dikhayi nahi dena ...is masle ko lekar ...

Rishabh ne Sanjay ko sath liya aur nikal gya kisi meeting attend karne aur pintu bas uss picche se ghurte huye dekhte rha .....

Sanjay :- Rishi bhai aapne maal kyo vapas nahi kiya ...

Rishi :- nahi kar sakta ..philhal to nahi ...use apni asali aukat to pta honi chahiye ...

Sanjay :- Rahul ko bura bhi lag sakta hai ..

Rishi :- kabhi nahi ...kyonki use MP banana hai abhi ..vaise bhi Dost hai mera ..bharosha karta hu uspar ...btw ja knha rha hai ...

Sanjay :- Are bhul gye vo Collage ke principal ne bulaya tha ..

Rishabh :- Han par kyo ...

Sanjay :- Mujhe kya pta ...

Rishabh aur Sanjay Principal office ke andar panhuchte hai ...unhe dekhkar Principal shocked ho jata hai ...aur khade hote hi tote ki tarah chillane lgta hai..

"Are Rishi koi galati ho gayi kya ...ynha kaise aaj ...aana hua ..."

Rishabh :- tune hi to bulaya tha ...

"Nahi to Rishi ..mai bhla kyo bulaunga ..mai khud hi aa jata hu jab bhi jarurat pdti hai ..."

Rishi :- par Sanjay to kah rha tha ki ....

Sanjay :- Sorry bhai ...collage yad nahi rha ..vo Himmatpur se tha call ...

Rishi :- kya yar ....Sanjay ..yad rakha kar ...ab usko bol de call karke sham ko ghar aa jaye ..

Sanjay :- okk.

Rishi :- chal Principal nikalta hun ..agar koi dikkat ho to btana ..kisi bhi launde se ...

"Ek dikkat thi .."
Rishi :- kya

Principal :- Kuch ladke hai jo ynha nasha vagairah bhejte hai ...aur bechate bhi hai ...

Rishi :- jawani ka josh hai ....aapke ghar ka kya jata hai ...

Principal :- bat vo nahi thi ...mujhe pta tha aapke permission se ho rha sab par nasha karne ke bad ..jante hi hai mahaul bahut bigad jata hai...aur shayad Himmatpur se bhi isi liye call aaya hoga ...Vnha to proffesior ko hi mara ...aur kuchh din pahle hmare ynha bhi yahi ghtna huyi thi ...

Rishabh :- to collage de bahar phenk do ...

Principal :- collage ke bahar vale log aisa karte hai ...

Rishabh :- aur tum mujhe abhi bta rhe ho ..chlo chhodo ...mai dekhta hu ...

Rishabh aur Sanjay principal office se bahar aate hai ...
Rishabh :- ynha ki cateen knha hai ..
Ek ladke ko bulate huye usne puccha ....usne cateen ki jagah btayi

Rishabh :- Ynha ke laundo ko bulao ..vaise collage ka nam kya hai

Sanjay :-Maharaja Suryasen Rishi bhau ...

Rishabh :- sahi hai ...ynha par pintu ka dhandha kaun chalata hai ...

"Namste bhai ..." Ek ladke ne Rishi se hath milate huye kha ...

Rishabh:- ye kaun hai ..

"Bhai mera nam Gagan hai ...aur Pintoo bhai ka sara kam mai hi krta hai ..."

Rishabh :- Mujhe janta hai na ...

"Han bhai ..."

Rishabh :- to phir dubara ynha aane ki jarurat nahi pdni chahiye ..

"Matlab bhai samjhaa nahi .."

Rishabh :- sanjay ise sab samjha de ....

Sanjay :- ji bhai ...

Itna kahkar Rishabh canteen se bahar nikal aayaa ..ye sab itni shanti se hua tha ..ki canteen me dekhne vale sab yahi samjh rhe the ki Rishabh Gagan se milne aaya hai ...

Canteen se bahar aakar Rishabh ne ek cigerate sulgayi ...aur use dono hontho ke beech dbakar apni car ki taraf chalne lga ...

"Oye..hello " picche se ek awaz ne uska dhyan bhang kar diya ...asal me dhyan to bhng hua hi par uski dhadkne us awaz ko pahchanane ke bad bijali raftar se daudane lagi ....

"Kyo ...picche mudne ka irada nahi hai ...." Ek bar phir usne toka ....

"Nahi aisa kuchh nahi hai .." Rishi paltate huye bola...

"Ynha kya kar rhe ho ..." Usne phir se jawab dag diya ..

"Tumahara nam Zoya hai na ..." Uski bat ko ansuna karte huye Rishi ne kha ..

"Chehra ke bhav to aise badal rahe ho ..jaise sach me mera nam nahi pta ....." Usne Rishi ke karib aate huye kha ..

"Ynha kya karne aaye ho ..." Zoya chikhate huye boli ...

"Kuch nhi ..."

Zoya :- kuch to karne aaye hoge na ...vo dekha maine canteen me ...tumse aur kya umeed hi kar sakti hun...us kamine Gagan se mile the na ...mujhe pta hai ...

"Lag gayi beta" Rishi ne man hi man khud ko koste huye kha ...

Zoya :- poster par to bde bde vade karte ho ....aur ynha khud hi ...

Rishi :- aisa kuch bhi nahi hai jo soch rhi ho tun ..

Zoya :- do ankhein hai mere pas ...button nahi hai ...sab dikhta hi ..

Rishabh :- Mujhe sach me ynha ki problem ke bare me Principal ne btaya ...pahle pta hota to ..

Zoya :- To kya band kra dete ...

"Hmmmm" aakhir muh se majboori me Rishi ke ye nikla...

Zoya :- to ab to pta chla gya na ...ab band krao ..abhi ke abhi ...abhi bhi Gagan ke pas hoga ...

Zoya ne apni bat puri kah bhi nahi payi thi ki picche se Sanjay ne use bina dekhe hi muh khol diya ..

Sanjay :- bhai vo Gagan ko samjha diya hai ...ab vo shanti se bechega aur koi lafda nahi hone dega collage me ....

"Gayi bhains pani me ..." Is bar Rishi ne apni ankhein band kar li ....

Zoya :- to ye hai tumhara asli rang ...abhi to badi badi batein kar rahe the ...

Zoya ki awaz sunate hi Sanjay ka bhi muh khula ka khula rah gya ...
Sanjay :- isko maine kaise nahi dekha ....kam hi bigad gya sara ...

"Are Suno to Zoya ...." Rishi uske picche jate huye bola jo ki itna sunane aur kahne ke bad aage bad gayi thi ...

Zoya :-mujhe kuchh nahi sunana...

Rishi :- tum kya chahti ho ...btao to sahi ....Utna bura bhi nahi jitna soch rahi ho ...

Zoya :- dekha maine us dina mamu ko mara aur aaj ye ...sab ke sab ek jaise hai ......

Rishi :- tum chahati ho ye sab band ho jaye ..

Zoya :- han ..mai yahi chahti hun ...karwa sakte ho ...

Rishi :- Sanjay ..Gagan ko idhar bulao ...

" Bhai ...Matter bigad jayega ...to bigadne do....bhabhi to yahi banegi..."

Rishi :- Sanjayyyyyy...Gagan..

"Ji bhai ....ab kya hua samjh gya mai sab ....sanjay bhai ne sab bta diya hai .."

Rishi :- Mood change ho gya hai...asal me tumhara dhandha ..Zoya madam ko raas nahi aaya ...to Ynha se boriya bistar sameto aur nikal lo ....

"Aise kaise ..nikal le ..Pintoo bhai se puccha kya ...." Gagan ne bas apni awaz ka volume halka sa bdaya tha ki ...agale hi pal uske pet me ek jabardast lat padi ...

"Meri bat sun m#*#***d ....Pintu hota kaun hai b****k......Sale mutne layak nahi bachega agar mere samne unchi awaz me bat kari ...samjha ...Aaj ke bad is collage me agar pdane ke alawa kuch hota dikhayi diya na to sala pure campus me dauda dauda kar marunga ...aur kisi bhi ki picchwade me itani aukat nahi hai jo tujhe bacha sake ...samjha na...."

"Ji bhai ...galati ho gayi ...ab aisa nahi hoga ..." Gagan hath jodkar ghutno par baitha hua tha...

"Ab to theek hai na madam ..." Rishabh ne Zoya ki taraf dekhte huye kha ..

"Hmmm"
Rishi :- bas itna sa jawab ...ab to muskura dijiye ....

Zoya ne halka sa muskuraya aur aage bad gayi ...

Rishi :- bhagne ki kitni jaldi rahti hai tumhe ...Knha ja rhi ho ...

Zoya :- Ghar jana hai ...

Rishi :- Mai drop kar doon ...agar aap ki ijajat ho to ..

Zoya :- mai khud chali jaungi ...

Rishi :- Are mai chhod dunga na ...

Zoya :- mere pas scooty hai ...:p: ..

Rishi :faint: ke pas koi jawab hi nahi tha ...

Rishi :- thik hai phir ..aap jaiye ...

"Bye.." Itna kahkar Zoya bhi nikal gayi ...

"Bye....Are Sanjay jra apni bhi gadi lekar aao ...ham bhi chale kanhi ..."


Continued.............
 
  • Like
Reactions: Guffy

Royal Lover

"लंड फकीर"
Prime
698
511
109
UPDATE _11
"Sanjay ....aisa kar tu auto karke ghar aa ja ..."

Sanjay :-...kya ...

Rishabh :- :p: sahi suna tumne...Auto lo ya ghar nikalo ...

Sanjay :- par Ja knha rahe ho...

Rishabh :- koi bhi hi bol dena bhai ..knhi ghumne gya hai ....

Sanjay :- theek hai ...samjh rha hu ...jaiye ...

Rishabh ne car ki start ki aur speed bda di ....

"Knha gayi...." Rishi man hi man sochte car ko sadak par daudaye ja rha tha ...
"Ye sali scooty kab se itna tej bhagne lagi ...knha gayab ho gayi ..."

"Mil gayi....meri nazaro se bach kar knha jaogi ..Zoya Madam ...par is meat shop par kya jarurat hai ...inki ..kar kya rahi hai ..dekhna chahiye ...." Itna sochkar Rishi car se utarkar shop ke bahar khda ho gya ...matlab just uske side me hi ...
Usko apni dukan par dekhkar shop vale ki to phat kar hath par aa gayi..par iske pahle ..uske munh se kuchh niklta Rishi ne chup rahne ka ishara kar diya ...

Zoya :- kya chacha ..agar picchli bar ki tarah rakha hua meat chipkaya na...sari biryani yanhi par khilaungi aake aapko .....sari biryani kharab kar ho gayi thi ...

"Sahi bola...ekdum ..aise logo ki na dukan band kar deni chahiye ..kaise sidhe sadhe logo ko bevkoof bnate hai ..." Rishi ne Zoya ki taraf dekhte huye kha ..

Zoya ne awaz sunte hi ghur kar dekha aur dekhte hi chillaye ..

"Tum ynha kya kar rhe ho ...."

Rishi :- ye bat aaram sgle bhi kah sakti thi isme chillane ki jarurat kya thi....

Zoya :- kitna time lagega chacha ....

"Bus panch minute ...zameel katne gya hai " chacha ne Zoya ki taraf dekhte huye kha ..

Zoya :- agar do minute ke andar nahi aaya na to soch lijiyega ...

"Do kilo aise kaise....itni jali ...dhai so gram thodi hai ..." Dukan vale chacha ki to hwa nikal chuki thi ...kyonki ek to samne Khud Yamraj jaisa insan khda tha ...uske bad Zoya jisko vo bachpan se hi janta tha ...kitni khunkhar thi ...agar zid par aa jaye to phir ...pahad tak utha sakti hai :D kyonki vo unke bhai ki hi beti thi ..aur puri mandi me unki dukan sabse acchi thi meat vagairah ke mamlo me aisa unka dava tha ....jo ki sarasar galat tha :approve:

"Do kilo ....kitna khati ho ...itna kaun khayega ..." Rishabh ne majak bnate huye kha ..

Zoya :- tumse matlab ...piccha kyo kar rhe hi .....ye btao

Rishabh :- pagal ho kya puri ...itni tej koi scooty chlata hai kya vo bhi bina helmet ke ......kanhi accident ho jata to ...

Zoya :- to kya hota ....jyada se jyada hath pair me lagti aur kya hota mar thodi jati ....apna kam karo ...

Rishabh :- woww...itna bda kam karwaya uske liye thanks to door ...sidhe munh bat bhi nahi kar rahi .....

Zoya :- Poster par bdi bdi batein likhane se pahle nahi socha tha kya ...to phir neta kahe ke bante hi ...ye kam hai tumhara ....samjhe ...

"Are baap re ..:doh: bahut tedi hai ye ...Rishabh ne man me hi socha ...

Rishabh :- ek cup coffee to pila sakti thi na ...

Zoya :- bas itni si bat ...ye lo 50. Rs. Itne me ho jayega na ...jake pi lena ...

Rishabh :- pagal hai ..

Zoya :- han hun ...

Rishabh:- khoobsurati ka jyada ghamand hai ...

Zoya :- han hai ...

Rishabh :- biryani accha bnati ho ...

Zoya :- han bnati hun...

Rishabh :- to sham ko aa jaun ..

Zoya :- han aa jao .....nahiiiiii....

Rishabh :- ab kya ...ab to invite kar diya ...

Zoya :- tumhe maine invite nahi kiya ...
Rishabh :- abhi to kiya ...
Zoya :- maine nahi kiya ...
Rishabh :- aap btaiye chacha inhone invite kiya ki nahi ...han ya na ...

Chacha be bas mundi hila di asal me Ye sab itni jaldi ho gya ki Zoya ko sochne tak ka mauka nahi mila ....

Zoya :- ...chacchhhhhhhaa....

" ho gya Zoya ...jao tum ...ye lo ..."

Zoya :- tumhe to mai bad me dekhati hun ...

Rishabh :- btaiye to aapki khidaki ke samne hi hording lgwa de ...har waqt dekhati rahna ....

Zoya ne ek nazar ghura aur vnha se chali gayi ...

"Bacchi hai bhai jane do na ...." Dukan vale ne Rishabh ki taraf dekhte huye kha ...

Rishabh :- apni dukan chlani hai na..

"Ji..."

Rishabh :- to dukan chla ...mere kam me tang mat ada .....


Iske bad Rishabh ne bhi car aage bda di .....

Sham ka waqt ho chla tha .....Idhar Aaj Rishabh ne pure din kisi se koi contact nahi kiya tha Jabki subah se Rahul use milane ke liye bar bar bula rha tha .....abhi to vo Zoya ke ghar jane ke liye taiyar ho rha tha ...
Aur idhar Zoya idhar udhar pareshani me chakkar lga rahi thi ...

Zoya :- agar vo aa gya to kya krungi...mummy ..

"Usko kyo kha tune biryani ke liye ..."

Zoya :- Maine nahi kha ...asal me maine hi kha tha mummy par vo to flow me nikal gya tha :cry: ...

"Vo to theek hai mummy Par mujhe abhi tak samajh nahi aa rha ki aakhir vo inse biryani ke liye kyo bolenge...aakhir vo didi ke sath kar kya rhe the ....." Sanaya ne kitchen me entry marte huye kha ..

"Bat to tu bhi sahi kah rhi Sanaya ...Zoya kya kar rhi thi uske sath ...."

Zoya :- mai nahi thi uske sath vo aaya tha mere picche ....

"Lekin kyo ..."

Zoya :- collage ki problem btayi thi na to vahi usne solve kar di thi na to isliye ....

"Ha ha thik hai. Tu kam kar ...vo itna bekar nahi hai ....ki tere picche aa jaye ..."

"Zoya ....Zoya ...idhar aana " Iqbal khan ne awaz dete huye kha ...

Sanaya :- Di Papa bula rahe ..

Zoya :- Mujhe bhi sunayi de rha ..apna munh band kar ...

"Ji Papa .." Zoya unke samne khade hote huye boli ..

Iqbal :- tumhare chacha ka call aaya tha ....

Zoya :- unhone kya kha ...

Zoya ki awaz me dar jhalak rha rha ...par dar kis bat ka tha use ...usne to kuchh galat nahi kiya tha Picche to Rishi aaya tha ...vo nahi ..

Iqbal :- In logo se jitna door raho ...utna hi bdiya hai ....mai acche se janta hun use ....aur Iqrar to kah rha tha ki tumne use biryani ke liye bulaya hai ...

Zoya :- maine nahi kha tha...papa vo to usne apne man ..

Iqbal :- pta hai mujhe ....tum jao ..mai sambhal lunga ...

"Hey..upar vale ...agar tu sach me hai to vo nahi aayega " Vo man hi man yahi dua mang rahi thi ki tabhi darwaze ki ghanti baji ..

"Ding dong....ding dong..."

Darwaze ki ghanti sunate hi Zoya bhagte huye darwaze ki taraf bhagi aur ek jhatke me darwaza khol diya ....

Zoya ne to darwaza khol diya par asali Bijali to Rishi par giri jab usne Zoya ke is roop ko dekha ...daudne ki wajah se uski sansein tej ho chuki thi jisase uske ubharo ki gati bhi upar niche hone ki bd gayi thi ....
Par asli vajah to uski julfein thi ...jiski ek lat sidha uske bayein gal ko choom rahi thi ....uski ankhein bhale hi use ghoor rahi thi ...par unme ajeeb si kashish thi .......
Rishi ko is tarah ghoorta dekh Zoya thodi ghabra si gayi aur usi ghabrahat me usne bol diya ...
"Maine aaj biryani nahi bnayi ..."

Rishi:- to phir ....

Zoya :- jao ynha se ...Papa ghar par hai ...bewajah unke samne sharmind hona pdega ...

Rishi :- Darwaza chhodo ...biryani ki khusaboo aa rahi hai ....

Use samne se dhakka dekar htate huye Rishi andar aa gya ....

Rishi :- Namskar Iqbal sahab ...aap bhi ghar par hi ...accha hua mulaqat ho gayi ...

Iqbal :- Namskar....par tu kar kya rha ynha par ...tujhe bulaya kisne hai ...do kaudi ka gunda ...sale teri aukat hai ..ham jaise shareefo ke ynha baithane ki ....

Rishi :- chuppppp.....dhang se baithane bhi nahi diya ....aur gali sunana shuru ....asal me aapki aukat nahi hai mere samne baithane ki ...

Iqbal :- tu jata hai ya police valo ko bulaun ....

Rishi :- Iqbal pahle ye tu ..tujhe kahna band kar mera mood ghoom jata hai ...ye sunkar ...mai gali ka kutta nahi hun ....ynha ka sher hoon ...

Iqbal :- par ho to janwar hi na ...

Rishi :- Biryani khane aaya hoon ...teri ladki ka hath mangne nahi....samjha na ...aur ye engery bachake rakh ...Zoya ki shadi me kam aayegi ....Ayee...Zoya Biryani lekar aa na ...munh kya dekh rahi mera ....

Zoya :- abhi layi .....

Do minute bhi nahi beeta hoga ki Rishi ke samne vo thali lekar hajir ho gayi ...

Rishi :- abhi to biryani bani nahi thi ...

Zoya...:- vo maiiiii..vo...maiii....tumm khao na ...dimag kyo kha rhe ....

Iqbal bas use ghoore ja rha tha ...abhi panch minute hi beete honge ki ghar ki ghanti phir baji ....is bar darwaza Sanaya ne khola ....
"Tera baap hai ghar par ...bula usko bahut charbi chadi hai sale ko ..puar se samajh nahi aata usko ..."

Rishabh ke kano me awaz to pdi par usne nazarandaz kar diya ...

Rishi :- Zoya ..yar biryani to gazab bnayi hai ....

Zoya :- mai accha hi bnati hoon...

Iqbal :- Sanaya kaun hai ye log ...

"Tera baap hoon bahan ke :love: de ..." Us aadmi ne andar aate huye kha ....uske sath char panch aadmi aur bhi the aur sare ek se bde ek mustande the ....

"Are yar Ghar me ladkiyan hai ...is tarah ki abhadra bhasha ka upyog nahi karte hai ....apne matter bahar hi saltya kar ...." Murge ki tang ko chabate huye Rishabh ne kha ...

"Kaun hai be tu ...jo gyan chod rha hai ..." Us aadmi ne Rishabh ke karib jate huye kha ...

"Tera baap hoon hun bsdk " itna kahkar Rishabh ne ek jordar laat uske pet me jma di ...

"Shukar mna tu shareefo ke ghar me hai aur mai biryani kha rha hoon ...varna tu ynha se apni tangon par nahi jata ...."Rishabh ne Iqbal ki taraf dekhte huye kha ..

" Rishi bhai ...aap ynha ....kaise " Usne khade hote kha ...

"Kya Iqbal bhai ...Rishi bhai ko biryani khilate ho aur hame btaya tak nahi..." Iqbal ki taraf muskurate huye usne kha ...

Rishi :- Aaj ke bad agar kabhi bhi inke as pas bhi nazar aaya to pure shahar me tu nazar nahi aayega ....

"Are bhai pahle pta hota to apun is fatke me pdta hi nahi ...kah dunga mai bhul jaye us jameen ko ...lekhpal sahab ne mna kar diya hai ...."

Rishi :- tera nam Dinesh hai na ...

"Han bhai ..."

Rishi :- ab dikhna bhi mat idhar...
Aur han sabko samjha dena ...

Sabne han me mundi hilayi aur dabe panv vapas laut gaye .....Aur Rishabh muskurate huye phir se vanhi baithkar biryani khane lga ...

Iqbal :- to ye sab tumhare aadmi the ...

Rishi :- are na sar mai aise chindi kam nahi krta ..

Iqbal :- phir kya karte ho tum ...murder ..kidnapping

Rishi :- kidnapping krta hun...murder nahi krta ...

Iqbal :- aur agar paise na mile to ...

Rishi :- uthata unhe hi hoon jna se paise milane ki guarantee ho ...

Iqbal :- suna hai sare log darte hai tumse ...

Rishi :- iska jawab to log hi de sakte hai ...aakhir mujhse darte hi kyo hai ...mai to kisi par hath hi nahi uthata ...

Iqbal :- bas bas rahne do ...

Bat chali to phir chalti hi gayi ..current politics ,city ki condition ...etc....aur jab bat ruki to rat ko 11 baj gaye the ...

Rishi :- ab mai chalta hoon ...

Iqbal :- theek hai time ho gya hai ...aur han beta apne behaviour ke liye sorry aur gundo se pitane se bachane ke liye thanks:D ...

Rishi :- ek bat bolun ...kisi ko bina jane use judge nahi karna chahiye ...kyonki har insan ka ek apna alag style or opinion hota hai ....Good night ...

Iqbal :- Good night ...

Iske bad Rishi ne Zoya ko bhi good night bola aur vnha se nikal aaya ....


Continued..............



 
  • Like
Reactions: Guffy

Royal Lover

"लंड फकीर"
Prime
698
511
109
"Subah uthana jaruri hai kya ..." ....Rishabh ne angdai lete huye kha..

Sanjay :- 10 baj gaye hai ....subah nahi hai ...

"Tujhe maine faltu me apna assistant bna liya ..tu driver hi theek tha ....."

Sanjay :- ab bnaya hai to bhugato ...

"Ankh nahi khul rahi ..."

Sanjay :- to ye pdo khul jayegi ..

Itna kahkar Sanjay ne newspaper Rishabh ke samne phenk diya ...

"Kya hai ye...'
Sanjay :- pdna aata hai na to pd lo ...

" chutiya ..." Itna kahkar jaise hi usne pradeshik samachar vala panna khola ....

"Are....bc....." Headline dekhate hi munh se ye Awaz nikali ...
Headline thi ....
"Gundo ka qahar ,Prasashan beasar ..."
Uske bad Rishabh Ki puri Kundali khol kar rakh di ...sath me kal ki ghatna ka bhi jikar tha ..College se lekar Dukan tak ka bhi ....sale ne ant me ye bhi likha ...Is shahar ki ladkiyan bilkul bhi surakhshit nahi hai ....
Rishi :- kis sajjan purush n likha hai ...

Sanjay :- Soni sahab ne ...

Rishi :- Aaj mulaqat kar hi lete hai ...

Rishi aur Sanjay sidha newspaper ke Distric Head office panhuche.....

Ab vnha Rishi bhai ko kaun nahi janega ..lagbhag sabko hi pta tha ki Rishi ynha kyo aaya hai ...

Sanjay :- vo sajjan purush knha hai re ...

Sabke chehre par chuppi thi..

Rishi :- are kuch kahunga nahi bas shabbasi dunga ....

"Apne cabin me hai editor sir .." Ek ne munh kholte huye kha ..

Sanjay :- cabin kidhar hai ..

" samne se left turn karna mil jayega"

Sanjay :- Dhanywad...

Rishabh aur Sanjay usse bina pucche andar ghus jate hai ...

Rishabh :- kya be editor ...samajseva karne ka jyada nasha chada hai ...

Soni :- Mera nam Raghav Soni hai ...

Rishabh :- jo bhi hai ..ye sab kya hai ..

Raghav :- tumhari kali kartoot ...

Rishabh :- kya kar diya maine aisa ...abe vo ladki mujhe pasand hai ...jiske bare me jikar kiya hai ...

Raghav :- kya ..kya nahi karte ...Daru,murder,kidnapping,...kuch baki bhi hai ....

Rishabh :- Murder nahi krta par aaj karna pdega ..

Raghav :- darta nahi hun mai kisi se ...samjhe ..tumse bhi ...nahi darunga ...

Rishabh :- mai tumhe daraane nahi aaya hun ..mai to bas itna kahne aaya hoon ki agar likhna hi hai to ..bijali.,sadak, pani aur safai ke liye likho ..aur jyada chahiye to berojgaro ke liye likho ...sala to tum to mere hi picch pd gaye ..

Raghav :- knha se bdega yuva ...Aisa ko bhi collage hai ..jnha tum afeem ,ganja nahi supply krate ..ynha tak ki ladkiyon ke collage tak me afeem supply karte ho ....

Rishabh :- agar koi ldka ganja afeem leta ..usme meri galati hai ....agar ek 20-22 sal ke ladke ko ye nahi pta ki use ganja afeem lena chahiye ya nahi ...agar use sahi aur galat me fark nahi samjh aata ...to vo is desh ka kya bhala karenge ....jab vo khud ke liye faisale nahi le pate ...to logo ke liye kya faisla karege ...to isliye aise youth ka koi kam nahi hai ...
Unhe aage bdne ki jarurat nahi hai ...

Raghav :- waah...khud ko sahi sabit karne ke liye kya logic hai .....bigadte ho tumhare ladke hi hai ...

Rishabh :- Sangat ka asar tabhi hota hai ...jab khud ka man asthir ho ..aur apne man ko sanymit kar liya to koi nahi bigad sakta ...aur isliye hame dosh dena band kariye...is desh ka yuva apne hathon se khud ko barbad karta hai ...agar kisi ke kahne par train ke aage nahi kood sakta to phir kisi ke kahne par nasha kyo karta hai ...isliye aainda mere bare me kucch likha to is tarah aakar bat nahi krunga sidha barsat krunga samajh gya na ...

Isase pahle Raghav Soni kuchh aur bolta Rishabh cabin ke bahar aa gya ....

Sanjay :- Ab kya kre ...Rahul bhal se mile chalkar kya ...

Rishabh :- nope ...

Sanjay :- phir knha ...

Rishabh :- collage ...Gagan ne kam karna band kiya ya nahi ..

Sanjay :- usme itni aukat hai ..

Rishabh :- abe pintoo to hai na...dekhne me kya jata hai ..

Sanjay :- kal rat me knha gaye the ..

Rishabh :- biryani khane ...

Sanjay :- hame bhi le chalte ...

Rishabh ne use ghoor kar dekha to Sanjay muskura diya ...aur apni car ko Sidha Collage ki taraf bhaga diya ...

Sanjay :- kya lagta hai ..editor maneg a..

Rishabh :- Na be...nahi manega ..abhi hero banane ka try karega tab mai use pakad ke dhounga ...

Sanjay :- accha ...collage kya karne ja rhe ..

Rishabh :- btaya to ...

Sanjay :- par aaj Gagan collage hi nahi aaya ...maine abhi pta kiya ...

Rishabh :- tu gadi chla faltu ka kyo bakwas kar rha hai

Collage ke gate par hi Rishabh ne gadi rukwayi aur vanhi utar gya ...

Rishabh :- Tu yanhi ruk mai abhi aata hoon...

Sanjay :- kitani der...

Rishabh :- 5 min me jake aadhe ghante me aata hoon...

Rishabh collage ke andar gya aur sidhe principal ke room me jakar baith gya ...

Principal :- aaj kaise ...aana hua ...

Rishabh :- Zoya Khan nam hai ..department pta nahi hai ..aur agle 15 min me mere samne hone chahiye ...

Principal :- kya kiya usne ...

Rishabh :- tum bulaoge use ..

Principal :- bulata hoon ...

Agle 15 min me Zoya bhi cabin me khadi thi ....usne ek nazar ghoor kar Rishi ko dekha ...aur phir Principal ko ...

Rishabh :- principal sir ..aap bahar jayege ...

Zoya :- kyyyaaaa....pagal ho kya ..kyo bulaya mujhe ...aur vo kanhi nahi jayege ...

Zoya ka statement pura bhi nahi ho paya tha ki Principal office ke bahar chla gya tha ...Zoya ki ankhon me halka sa dar dikhayi de rha tha...

Rishabh :- Kuchh karunga nahi ..tension mat lo ..

Zoya :- mai kyo loo tension ...Munh noch lungi tumhara agar kucch kiya to ...

Rishabh :- itni acchi biryani bnati ho ...Maja aa gya ..

Zoya :- Thanks ...

Rishabh :- mujhe sikhaogi ...

Zoya :- vo...mummyyy ne sikhaya mujhe bnana ...matlab vo accha bnati hai ..mujhe nahi aata ...

Rishabh :- jhooth bolna aata hai ...

Zoya ko samajh aa gya ki uski chori pakdi ja chuki hai ...

Rishabh :- to kab se sikha rahi ho ..

Zoya :- kabhi nahi ..

Rishabh :- to ghar aakar mummy se sikh lunga ...kyonki apne ko khud hi bnana pdta hai na ghar par ...

Zoya :- ghar aane ki jarurat nahi hai ...mai sikha dungi. ..

Rishabh :- Mere ghar par ...

Zoya :- Mai kal btaungi ...knha sikhna hai ....ok bye ...

Itna kahkar Zoya picche mudkar jane lagti hai tabhi Rishabh uska hath pakad leta hai ...

Rishabh :- abhi to aayi ho na ...itni jaldi bhi kya hai ..

Zoya :- meri class chal rahi hai ...tumhari tarah bekar nahi hoon ...kuchh kam dhandha bhi kiya karo ....

Rishabh apni chair se uthata hai aur Zoya ki taraf badne lagta hai ...ye dekhkar Zoya picche hatne lagti hai .....lekin Rishabh aage badta hi rahta hai aur agale pal Zoya diwar se sat jati hai .....kyonki picche ki taraf ab koi jagah nahi bachi thi ....Zoya ke dil ki dhadkne bdne lagti hai ....
Rishabh chalte chalte uske ekdum karib aa jata hai .....
Zoya ne apni akhein band kar li aur aage hone vali harqat ka intejar karne lagi ...

Rishabh:- tum sach me itani khoobsurat ho ...ya sirf mera vaham hai ..

Zoya ne apni akhein kholi aur Rishabh ki taraf ektak dekhne lagi ...

Rishabh :- Aise dekhogi to jan chali jayegi meri ...

Itna Sunate hi Zoya ne apni akhein phir se band kar li ....Rishabh ne apne ungliyon se uske galon par aayi julfon ko hata diya .....

"Tumne jawab nahi diya ..." Rishabh ne uske kano ke karib jate huye kha ...
"Kis bat ka ..." Zoya ki awaz me ab sahajta thi ...

"Tum sach me itani khoobsurat ho .....ya sirf mera vaham hai ..."

Zoya :- ye to tumhe pta hona chahiye .....

Rishabh :- mai to kho gya hoon ...

Zoya :- flirt kar rahe ho ...

Rishabh :- nahi ...

Zoya :- to phir ...

Rishabh :- tumhari maojudagi ko mahsus kar rha hoon...

Zoya :- are you virgin...

Rishabh :- whattttttt.......

Rishabh ka dimag kaundh gya ...sala pure Romantic mood ki maa bahan kar di ...

Zoya :- Mai nahi hoon ......virgin ...

Rishabh ka dimag sunn pad gya ...ye ho kya rha ...achanak ye sab kyo soojh rha hai ...pagal ho gayi hai kya ......
Aise kaii sare dimag me sawal aane lagi ...

Zoya :- aur ek bat aur ...Meri sagai ho chuki hai ...ye dekho anguthi ...

Ungli me pahni huyi anguthi dikhate huye Zoya ne kha ..Itna Sunkar Rishabh ka chehra dekhne layak tha ....

Rishabh :- Zoya ...pahle kyo nahi btaya ...dil tod diya yar ....

Zoya :- mujhe kya pta tha ki tum ptane ki koshish kroge

Rishabh :- biryani khane ainvayi aaya tha kya ...

Zoya :- maine socha ..khane ka man hoga ...

Rishabh kabhi Zoya ko dekhta to kabhi ..anguthi ko ...

Zoya :- accha to meri class hai ..mai chalti hoon ...bye ..

Rishabh:- bye ..

Zoya bahar nikal aayi aur Rishabh bhi ...Jnha Zoya ke chehare par muskan thi vanhi Rishabh ka chehra utra hua tha.....aise hi chehre ke sath vo Sanjay ke pas panhucha ..

Sanjay :- kya hua bhai ..munh kyo latka hai ...

Rishabh :- kya btaun dil ke gubbare me hawa bharne se pahle hi phoot gya ...

Sanjay :- sidhe bolo na matter kya hai ...

Rishabh :- engaged ....yani aage samjhdar ho ...
Sanjay :- matlab jis goalpost par tumhe goal karna tha vnha already ek goalkeeper hai ....

Rishabh :- han beta ....aab chalo ynha se ...do din se kam dhandha chhod kar baitha hoon ...

Sanjay :- to Gagan se kam chalu karne ko bol doon..

Rishabh :- ab band kraya hai ..to rahne de ....

Sanjay :- mai ye kah rha tha ... agar goalkeeper ho phir bhi to vnha goal hote hai na ...

Rishabh :- kahna kya hai tera ...

Sanjay :- engaged hai ...shadi to nahi huyi hai na .....

Rishabh :- ab mai aage picche ghoomun ...uske ..dimag sahi hai na tera ...

Sanjay :- to ladkiyan aise thodi pategi ...

Ye bolte waqt uska volume thoda down tha jise Rishi ne sun nahi paya tha ...

Rishabh :- Kya bola tu.....



Continued...........
 
  • Like
Reactions: Guffy and Rahul
Top