• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Aryamani:- A Pure Alfa Between Two World's

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Der se aaye... Durust aaye... WOW 😳😲 Awesome 😎... Great... Best story... Best Update... Best wishes for upcoming updates...

Waiting for the fight update between Palak and Aryamani

Thankoo soo much umakant ji... Bus aise hi comment karte rahe...


Aaila bhediya banne ke baad iss roohi ke kapde fate nahi... Sab kuch dhaka hai :D..

Thanks for this pic
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Oye hoye hoye hoye kya baat hai nhi nhi kya baat hai maza hi aa gya padh kr
Double dj ki single paidaish jadugar mahan, sasura ek pal lagta hai Jaise ye sahi hai or uske agle hi pal vo galat ho jata hai, yha kah rha tha ki arya ko teliportation sikha rha hai or vhi vashikaran karke chori bhi karne ja rha tha anant Kirti ki, arya logo ko alian ko saupne ka bhi plan bna rkha tha...

Kya sunaya hai Albeli ne maza type aa gya Nyi viksit galiya Sunkr, Vaise sunaya to lagbhag sabhi ne hai...

Bhumi Di ne sirf sanyashi ke Marne ki khabar di arya ko Lekin arya samajh gya ki mamla kitna sangeen hai, Sayad it's called love and care for the family...

Palak ki training ne use Bhaki sab se badhkr bna diya hai ab vo supreme Ho gyi hai un alian me sath hi uski buddhi Matta ke chalte vo lokpriya bhi ho gyi hai or ab vo jarmani me fielding baithane me lagi hai sath hi uski ma ne bhi nitya ko 400 ke sath bhej diya or 600 ke karib alag se logo ne bheje huye hai...

Dekhte hai arya kya karta hai vha pr, yha puri Alfa team parvatiya rakh ke dono taraf Chalne firne me saksham ho chuke hai or jameen ke andar se jitna jahar nikal sakte hain utna nikal rhe hai Taki ladai me kaam aa sake...




Superb updates bhai sandar jabarjast lajvab amazing updates with awesome writing skills Nainu bhaya

Hahahaha.... Aaj kal galiyon me bhi thodi creativity laani padti hai... Haan evolution to ho gaya palak ka ab dekhiye Arya aur palak ki mulakat ka natija kya hota hai .... Baki alfa pack bhi taiyar ho rahi aur taiyar alian bhi hai.... Dono ka takrav kya visphot laata hai wah dekhna rochak hoga ..

Thankoo for your beautiful revooo
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Arya ne sanyashi shivam ko teliportation Vidya sikhane ka chuna na ki apasyu ko ya Nishant ko, yah darsata hai ki bhale hi apasyu unka guru isliye hai kyoki shivam ji ke guru ji ne use chuna tha, yha shivam ji ko duniya dari ka gyan jyada hai or vo ek yogya ko hi is Vidya ko denge na ki kisi aire gaire ko, Isi visvash ne arya ko yah raah dikhai, isme pakshpat bhi nhi hai or arya kuchh varsho me apni kundalini jagrit karke khud hi sikh jayega...

Apasyu abhi chhota hai or use margdarsan ki bhi avasyakta hai isliye abhi use nhi sikhai bhale hi guru ban gya ho...

Jadugar ki atma ko samman diya ja rha tha na ki use, yah baat yha kisi ne bhi gaur nhi kiya hoga pichhle updates me pr aapne yah bhi soch kr rakha tha ki atma parmatma ke ansh se hi nirmit hai or use samman va sthan dena chahiye, hat's off bhai :bow:

Kya ladai dikhai jadugar ki arya se yha hame Nishant ke gyan ko bhi dikhaya Jisme dhairya bhi dekhne mila, Alfa team ko is baat ka gahrai se samajhna chahiye or arya ko bhi yah baat btani chahiye Apne team ko ki kisi bhi member ke fase hone pr Uski taraf na jakr vo jis vajah se fasa hai Pahle use khatm karna chahiye...

Ojal ko jadugar ke dansh ne swikar kiya hai or uski atma se bhi baat ki hai, dosti to Jabardast hui hai inke bich, ek ke pass varsho se prayog huye sare mantro ka sangrah hai Kai sau varsho ke Vahi dusre ke pass bahri duniya ya kahe vatavaran ki knowledge, Jisse dono dosto ki jugalbandi badi hi deadly combination hone vala hai or abhi to Ojal ki shaktiya bhi samne nhi aayi hai...

Mujhe ek samay aisa bhi lga ki arya ne janbhujh kr apni team ko mauka diya hai dansh ko hasil karne ka Jisme Ojal safal Hui... Ho sakta hai mera bhram ho...

Nishant 4 dishao se vishesh fool or mitti lekr aaya hai sath hi jadugar ka sarir hi gayab krke le aaye, ab pta nhi un alian ko pta chla bhi ya nhi...

Atma mukt Hui Ya nhi jadugar ki, ya sasura abhi bhi atma bankr us gole me kaid kr liya sanyashi shivam ne...

Mind blowing superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing with awesome writing skills Nainu bhai :applause: :applause:
Thankoo sooo much abhi bhai.... Har chij ka vishleshn kiya hai aur har chhoti baat ko aapne najarandaj nahi kiya .. hats off...

Aur bus ab jab aa gaye hain to dhum machane me koi kami nahi hogi.... Bus aage aage dekhiye hota hai kya 😍😍😍😍
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
दंश को स्पर्श एवं उठाने से पहले ओजल का दंश को नमन करना वैसा ही था जैसे श्रीराम ने सीता स्वयंवर मे शिव धनुष को उठाने से पहले किया था।
यह उस वस्तु के प्रति सम्मान का सूचक होता है। निष्ठा का प्रतीक होता है।

इसी तरह का एक और अद्भुत प्रसंग ,
आर्य ने टेलीपोर्ट विधा प्राप्त करने के लिए स्वयं को नही चुना और न ही अपस्यू या इशांत को। उसने इसके लिए संत शिवम का चुनाव किया। क्योंकि इस विधा को वही प्राप्त कर सकता था जिसके नौ ग्रह अनुकूल दिशा मे हो। और ऐसा होना लगभग असंभव जैसा है। पर संत शिवम इस कसौटी पर खरे उतर रहे थे।
यह भी वैसा ही लगा जैसे मेघनाथ को वही मार सकता है जो चौदह वर्ष तक सोया न हो , चौदह वर्ष तक स्त्री का मुख न देखा हो , चौदह वर्ष तक भोजन न किया हो।
ये बाते अगस्त्य मुनि ने स्वयं श्रीराम से कही थी।

कुछ चीजें ऐसी होती है जो सब नही कर सकते। कोई खास व्यक्ति ही कर सकता है। आर्य के क्षमता पर किसी को संदेह नही लेकिन टेलीपोर्ट विधा प्राप्त करना फिलहाल के लिए असम्भव था।

जादूगर महान की आत्मा को इज्जत देना एवं उसके शरीर का बर्बरतापूर्वक नाश कर देना भी एक अद्भुत सोच थी नैन भाई की। और इस चीज को Xabhi भाई ने भी समझा।
आत्मा अनश्वर होता है। और इसे ईश्वर का ही एक अंग माना जाता है लेकिन शरीर नश्वर होता है जो कर्म के अनुसार फल को प्राप्त करता है।

बहुत बहुत खुबसूरत अपडेट नैन भाई।
और जगमग जगमग भी।

Haan bilkul sahi likha hai aapne.... Kundlini chakr jagrit karna... Mantr sidhh karne jaisa to bilkul nahi aur arya us kasauti me kahin dur dur tak nahi tha... Rahi baat aatma wali baat itne chhote Bindu par bhi dhyan dene ka shukriya... Yun to bahut si chhoti–chhoti baton ko bahut dhyan se likhta hun.... Mudda ye nahi ki mujhe unhe apni kahani me darshan hota hai balki ye chhoti–chhoti chijen kirdar ke character ko sarthak banate hai...

Dhanywad itne vishleshan ka :hug:
 
Top