Update 26
Jab maine or Palak ne jab yah suna to ham dono ke hi hosh udh gaye. Hamne to yah socha bhi nahi tha ki ham logo ko aisa kuchh pata chalega. Palak to vahi baith gayi or rone lagi jiski vajah se sab logo ki najar hamare upar padhi to Sabhi log socked ho gaye kunki is wakt jo ham logo ki dasha thi use dekhkar un logo ko yah baat to samjh me aa chuki thi ki ham logo ko sabhi baato ki jaankari ho chuki hai
Ab agge
Soniya ki halat yah baat sunkar buri trah se kharab ho gayi thi. Vah yah baat to janati thi ki yah dono log ek ghatiya vichar ke log hai par yah log itna niche gir sakte hai is baat ka to use yakin nahi ho rha tha. Vah apne aap ko sambhalate hue Rajiv ke pass gayi or boli
Palak - bhaiya mai jo kuchh bhi puchhu uska jawab sirf haa ya naa me dena aap.
Rajiv uski baat sunkar ek baar use gusse me ghura or phir bola
Rajiv - mai tumhare kisi sawal ka jawab dena jaruri nahi samjhata hai. Jo mushibat ke wakt apno ko chhodkar dusro ka sath de bhala uske sawalo ka jawab dena koi jaruri hai.
Palak - bhaiya yah baat aap bhi achhi trah se jante hai ki aap logo ki is ghatiya kaam ke liye kabhi naa raji thi or naa hi kabhi ho sakti hu. Akhir kar in logo ne aap dono ka kya bigada hai maine suna hai dadi se yanha ane se pahale hamara parivaar kis halat me tha. Are hame to sukrgujaar hona chahiye bade dadu ka jo unhone ham logo ko kabhi apne parivaar se kam nahi samjha or aap logo ne in logo ke sath aisa kiya jise soch kar mujhe khud se nafart hone lagi hai ki yah sab mere bhai or maa ne kiya hai. Aap logo ne aaj tak jo kiya use mai najarandaj karti gayi par Soniya didi ne jo abhi bola ki aap or maa ke bich me. Chhi mujhe to soch kar bhi sharm aa rahi hai ki aap mere bhai hai.
Itna bolate hue vah rote hue bahar bhag gayi to mai bhi sab kuchh chhodkar uske pichhe ho liya kunki is wakt uske man me jo dard tha use mai saff mahshoos kar paa rha tha or mujhe dar tha ki kanhi vah kuchh ulta naa kar le isliye mai uske pichhe ho liya. Idhar hamare jaane ke baad sabhi log ek dusare ka muh dekh rahe the to badi maa boli. (maa or badi maa adalat me jarur thi par jis wakt Soniya di or Chitra di Rajiv se baate kar rahi thi us wakt vah log dur the jiski vajah se in logo ke bich me kya baate hui yah to vah nahi jaan payi par Haa Palak or mujhe yanha dekhkar vah log ham logo ke pass aagye or us wakt Palak Rajiv se baate kar rahi thi)
Badi maa - Chitra ab kya hoga beti Aryan ke yanha hone ka matlab to ek hi nikalta hai ki vah sab kuchh jaan gya hai ab kya karogi beti.
Chitra didi - maa mai yah sab baate use batane hi wali thi par is trah se use pata chalega maine kabhi socha nahi tha. Par ab to jo hona tha vah ho chuka hai isliye uske baare me soch kar ab koi fayda nahi hai isliye ab uske sawalo ka jawab to dena hi hoga.
Idhar mai jab Palak ke pass gya to vah besudh hokar bahar bhage jaa rahi thi or mai use lagatar awaj laga rha tha lekin vah jaise ki meri koi baat sun hi nahi rahi thi to main thodi si teji laate hue ja kar use pakad liya or bola
Mai - Palak meri baat suno tum aisa kuchh bhi nahi karogi jo ki mujhe taklif de samjhi meri baat ko.
Palak meri baat sunkar ek baar meri traf dekhi or phir rote hue boli
Palak - mujhe maaf kar do Arya meri faimly ki wajah se tumhe or tumhare parivaar ko itna sab kuchh jhelana padh rha hai. Ab to mai is kabil bhi nahi ki mai tumse najare bhi mila saku isliye mujhe jaane do Pls
Mai - Palak un logo ne jo kuchh bhi kiya hai usme tunhari koi galati nahi hai isliye tum khud ko kyu dosh de rahi hai. Jab un logo ko aisa nich karm karte hue sharm nahi ayi to usme tunhari koi galti nahi hai.
Palak - mai us baare me nahi baat kar rahi balki Soniya didi tumhari judwa bahan ke baare me jo bol rhi thi uske liye bol rahi hu.
Mai - tum uski chinta mat karo agar yah baat sach hai to iska jawab to sabko dena hi hoga sabhi logo ne itni badi baat aaj tak kyu chhupai hai or isliye ab tum hamare sath chalo.
Palak - mai tumhare sath chalungi Arya par tujhe ek vachan dena hoga ki tu unke upar ab koi raham nahi karga kunki aise logo ko chhod dene ka matlab hai ki unko phir se mouka dena.
Idhar tab tak Chitra didi ham logo ko khojate hue hamare pass aa gayi or ham logo ko dekhkar vah boli
Chitra didi - sukr hai tum dono mil gaye (palak ke pass jaa kar use gale lagate hue boli) chhoti tu kabhi khud ko akeli mat samjhana jab tak mai hu tab tujhe kisi bhi trah ki chinta karne ki koi jarurat nahi hai.
Mai didi ke pass jakar unse bola
Mai - didi mujhe apse kuchh baate karni hai
Chitra didi - mai janti hu ki tumhare man me bahut se sawal honge ki yah sab kya ho rha hai or kyu. Par abhi yah sahi jagah nahi hai in sab baato ke liye ham ghar chal kar is baare me baate kar sakte hai.
Mai - thik hai didi agar aap bolati hai to mai abhi ke liye shant ho jata hu par aaj apko sabhi sawalo ka jawab dena hi hoga.
Udhar Rajiv ko police lekar jaane ke baad Papa sabhi logo ko pass bula kar or phir Rupali didi se bole
Papa - beta Soniya ab kanha jayegi ghar ya hospital kya yah possible hai ki tum iska ilaj ghar par hi karo kunki aaj yah baat puri media me fail gayi or aise me iska hospital me rahana thik nahi hoga.
Rupali didi - haa uncle aap sahi bol rahe hai or mai hu naa iske liye isliye aap bilkul chinta naa kare yah kuchh hi dino me bilkul thik ho jayegi par sirf bahari roop se yah andar se puri trah se toot chuki hai sayad aap logo ne gour nahi kiya jab Aryan yanha aya tha to vah use dekhane ke baad sirf roye jaa rahi thi or yah uske samane se bilkul dur ho gyi ki uski najar bhi naa pade aise me ab aap log hi ise sambhal sakte hai.
Soniya didi ( rote hue) - Didi maine jo galti ki uske liye to is kabil bhi nahi hu ki mai uske pass jakar mafi maang saku isliye agar ho sake to aap hi usase meri traf se mafi maang lena kunki ab mere me itni himmmat nahi hai ki mai uske samne bhi jaa saku
Soniya di ki baat ko sunkar maa unke pass or khud ke gale lagate hue boli
Maa - beti tu kyu chinta kar rahi hai jab tak mai hu tumhe koi bhi chinta karne ki jaroorat nahi hai..
Tabhi bahar se ati hui Chitra didi boli
Chitra didi - ab yanha ka kaam khatm ho chuka hai or isliye ab ham logo ko ghar chalana chahiye. Vaise didi ab Soniya ko ghar lekar chale ya hospital
Rupali didi - vaise to ab yah pahale se kafi behatar hai or iske chot me teji se sudhar ho rha hai isliye ab ise ham ghar hi lekar chalte hai kunki ghar par iska behtar dekh bhal ho jayegi kyu maa
Badi beti - haa tu ab meri beti ki chinta mat kar use to mai dekh lungi samjhi. Tu bas meri beti ko pahale jaise kar de.
Iske baad yah log ghar ki traf chal diye. Mai or Palak Chitra didi ke bolane par pahale hi nikal chuke. Ab jab mujhe apni ek or bahan hone kw baare me pata chala to maine soch liya ki aaj to mai uske baare me pata lagakar hi rahunga or iske liye hi mai ghar jaa rha tha. Ghar jakar mai teji se apne room ke traf chal diya or Palak bhi meri mano bhav ko padh chuki thi or ab vah bhi samjh chuki thi usko rokana ashan nahi hoga isliye vah bhi apne room me jakar Adiguru ko bulaya or jab vah aye to Palak unko parnaam karte hue boli
Palak - gurudev aap to jaan hi chuke hai ki Aryan ko sab baate pata chal chuki isliye ab use rokana kathin hoga
Adiguru - haa putri mai sab kuchh janta hu or ab yah jaruri bhi ho chuka hai kunki vah balika hi hai jo ki Arayan ki saktiyo ko usase jod sakti hai. Kunki vah dono ek hi atma ke do roop hai ialiye unka milana to tay hai or ab use apni saktiyo ke khoj me nikalana hi hoga jald se jald or uske liye jaruri hai ki uska surkchha kavach use mil jaye or yah tabhi sambhav hoga jab uski bahan ( ek dhaga dete hue) yah uske kalai me bandh de or agar aisa nahi hua to uski jaan bhi jaa sakti hai.
Palak - gurdev agar aisi baat hai to yanha par to uski teen bahane pahale se hi hai to ku naa unse hi bandhva de
Adiguru - nahi putri aisa karne se iska koi prbahav nahi padega or haa ek baat ka khas khyaal rahe ki yah kary aaj Suraj dhalane se pahale ho jaye warna Aryan ko bachana muskil ho jayega kunki aaj uske upar kaalyog hai or yah tabhi tal skta hai jab uski bahan yah use bandhe.
Palak turant hi unke hatho se vah dhaga lete hue boli
Palak - gurdev aap chinta naa kare chahe mujhe kuchh bhi karna padhe lekin mai Aryan ko kuchh hone nahi dungi ek baar to mai use kho chuki hu or ab dubara nahi kho sakti hu.
Adiguru - uski saktiya abhi puri trah se bandhan mukt nahi hui hai isliye usko thodi parshani hogi apni bahan ko khojane me lekin iske baad bhi yah mat bhulana ki vah koun hai. Abhi bhi vah bahut taktvar hai or vah jald hi use khoj lega isliye uske khojane se pahale yah baat us ladki ko bata do taki vah apna kary purn kar sake.
Itna bolkar Adiguru vanha se chale gaye or jate hue Palak ke upar ek samay sima bandh gaye ki agar usne yah karay itne samay me nhi kiya to kuchh bhi ho sakta hai. Isliye unke jaane ke turant baad usne apne kapade change kiya or chal di Arpita se milane ke liye lekin ab bhi problem yah thi ki vah apni pahchan nahi bata sakti thi kunki is wajah se use kai sawalo ka jawab dena padhata isliye usne jaane se pahale apne face ko puri trah se cover kiya or phir chal di.
Udhar Arpita night me ghar jate wakt uski didi Nidhi ne bola ki
Nidhi - ek baat ka sabhi log khyaal rakhana ki ghar par kisi ko kuchh pata naa chale ayi baat sabhi ko samjh me
Manshi - didi agar ham log maan bhi jaye to yah maa ka laal hai naa yah to jarur bata dega.
Nidhi - nahi Manshi tum bilkul chinta naa Karo Manshi mai hu naa yah kisi ko kuchh bhi nahi bolega yah mwea vada hi tum sabko or tum Mohit ek baat ka khyaal rahe ki yah baat ghar par pata naa chale warna aaj ke baad maa kbhi bahar nahi jaane degi. Mera kya mai to job par jaungi to apni marji se kuchh bhi kha sakti hu or Arpita to maa papa ki ladli hai iske muh nikali baat papa kisi bhi kimat par puri karte hi hai to ab bache sirf tum isliye maa ko agar khabar di to uska anjaam tumhe hi chukana hoga.
Nidhi ki baat sunkar Mohit ki hawa tight ho gyi uski maa ne use un dono par najar rakhane ke liye bheji thi or vanha par jo kuchh bhi hua tha vah to pahale hi bata chuka tha isliye uski halat patli ho gayi idhar Arpita Nidhi ke boalne ke sath hi Mohit ke chahere par aane wale bhavo ko dekh kar boli
Arpita - Di mujhe aisa lag rha hai ki apne bolane me der kar di hai. Khabrilaal ne maa ko sab kuchh bol diya hai. Kyu Mohit mai sach bol rahi hu naa.
Arpita ki baat sunkar Nidhi or Manshi dono hi uska chahere ki traf dekhane lagi to Mohit ne apna sar jhuka liya to Nidhi boli
Nidhi - tere pass dimag hai ya nahi kya jaroorat thi maa ko sab kuchh bolane ki ab tak to unhone pura ghar sar par utha liya hoga or ab jaane ke baad unke sawalo ka jawab dena mushkik ho jayega
Apni badi bahan ki baat sunkar Arpita boli
Arpita - di aap chinta naa karo mai hu naa mai maa ko dekh lungi bas ab age se is baat ka. Khyal rahe samjhi naa.
Nidhi - haa yaar chhoti tu sach bol rahi thi ise apne sath kanhi bhi le jana khatre se khali nahi hai. Achha ab ham ghar pahuchane wale hai to sabhi log shant rahe or Manshi tum bahar se hi nikal lo warna tumhe bhi sunane ko mil jayega
Manshi ( haste hue) - di agar aap nahi bhi bolati to bhi mai jaane hi wali thi nahi to aaj to mai yanhi par rukane ka mood bna kar ayi thi...
Arpita ( bich me baat ko katate hue) - agar aisi baat hai to tu bilkul chinta naa kar mai hu naa maa kisi ko kuchh nahi bolegi yah wada hai mera.
Arpita ki baat sunkar Manshi Nidhi ki traf dekhane lagi to Nidhi boli
Nidhi - meri tarf kya dekh rahi hai tu to janti hi hai ki yah maa or papa dono ki ladli hai iska koi bhi baat vah log nahi talte hai. Agar mujhe bhi koi baat manvani hoti hai to isko hi bolati hu isliye agar yah bol rahi hai to baat ko sambhal legi tu chinta mat kar.
Yah log jab ghar pahuche to inki maa Karishama bahar hi in logo ka besbri se intjaar kar rahi thi or inke papa bhi vahi khade the dono hi kitna pareshaan hai yah inke chahere ko dekhkar hi pata chal rha tha ki yah log kitane pareshaan hai yah dekhkar Nidhi bolati hai
Nidhi - chhoti ab kya hoga is bevkoof ki vajah se dekh maa or papa kitne pareshan ho gaye hai.
Arpita - didi dekh to mai bhi rahi par ho sakta hai ki hame sahi salamt dekhkar un logo ka gussa kam ho jaye to phir achha hi rahega.
Karishma jab in logo ko dekhati hai to uske chahere par thoda rahat dikhai deta hai or vah turant hi gadi ke pass aa jati hai or bolati hai
Karishma - tum sab thik to ho naa jabse mujhe pata chala tabse mai kitna pareshaan thi or upar se tum log phone kyu nahi utha rahe the.
Karishma ne jab phone ka yaad dilaya to Nidhi ko yaad aya ki jaate wakt usne sabhi ka phone gadi me hi rakh diya tha kunki lagatar sab phone me busy ho rahe the isliye vah boli
Nidhi - are maa shant ho jao kisi ko kuchh bhi nahi hua hai. Ham sabhi log thik hai vah thoda sa lafda ho gya tha par baad me sab sahi ho gya tha.
Abhi Karishma is baat par apna koi risponse de pati usase pahale hi Arpita bol padi
Arpita - maa ham is baare me baat karte hai abhi ham sab bahut thake. Hue hai isliye abhi ham baat nahi kar sakte hai
Iske baad Arpita ne kuchh ishara kiya apni maa ko to vah shant ho kar ek traf ho gayi. Iske baad vah sabhi log apne room me Chale gaye kuchh hi der baad Nidhi teeno ladkiya ek jagah baithi hui baate kar rahi thi ki Mohit vanha par aa gaya to Use dekh kar Nidhi boli
Nidhi - dekh liya apni bewkoofi ka natija maa or papa kitna pareshaan ho gaye the isliye har baat unko batayi jaye yah jaruri nahi or ab to iski jaroorat nahi padegi kunki ham ab tujhe kanhi lekar hi nahi jayengi.
Mohit ne jab dekha ki uski di kuchh jyada hi gussa hai to vah apna mashoom sa face bna kar bola
Mohit - didi maine to vahi kiya jo maa ne mujhase karne ko bola tha ab bhala isme meri koi glati kanha hai.
Arpita - dekh naa liya didi maine to pahle hi bola tha ki isko koi fark nahi padhata hai.
Nidhi - achha ise chhodo tum dono jao or jakar so jao mujhe bhi let ho rha kal office bhi jana hai.
Manshi - haa di hame bhi nid aa rahi hai chal Arpita ham bhi sone chale or tum jara sudhar jao nahi to kisi din pit dungi
Manshi itna bolkar vanha se chali gayi pichhe se Nidhi sochati rah gayi ki Manshi ne aisa kyu bola vahi room me jaane ke baad Arpita ne bola
Arpita - kya hua hai jo tu uspar bhadak rahi thi
Manshi - kuchh nahi hai yaar bas tu to janti hai naa use bas uske liye hi bol rhi thi use.
Arpita - tune mujhe rok rakha hai nahi to use to mai kabka sudhar deti.
Manshi - chhod yaar use vah to hai hi aisa uske liye tu kyu apna dimag kharab kar rahi hai.
Iske baad kuchh aisa nahi hua yah log aram se so gaye . Udhar Firoj jab vanha se nikala apne bhai ko lekar to salim bola
Salim - bhai apko kya jaroorat thi us ladki ke samne aise baat karne ki. Mai uska sara ghamand tod kar rakh deta
Firoj - tu kya karne ke layak hai yah mai achhi trah se jaanta hu or janta bhi hai vah koun thi usase to sidha panaga koi nahi leta or tune sidhe uske bhai par hath dal diya vah to sukr mana ki usne tujhe bacha samjh kar chhod di warna ab tak to teri kya halat hoti yah tu soch bhi nahi sakta
Salim apne bhai ki baat sunkar kuchh bola nahi bas chup chap baitha rha or usne soch liya ki use kya karna hai. Aise hi agale din kuchh logo se milkar ek planning kiya or uski taiyaari me jut gya or vahi Adiguru se baat karne ke baad Palak jab Arpita ke ghar pahuchi to us wakt ghar par Arpita or uski maa hi thi Arpita us wakt apne kamre me thi to Palak ne sidhe apni saktiyo ke bal par vanha hi pahuch gayi or jab vah Arpita ke samne pahuchi to Arpita apne samne ek ladki ko dekha jo ki apne aap ko puri trah se cover karke rakhi hui hai to vah boli
Arpita - koun ho tum or yanha kyu ayi hu.
Palak - mai koun hu yah baat jaruri nahi hai Arpita baat yah jaruri hai ki mai yanha par kyu ayi hu.
Arpita - pahale tum apna parichay do uske baad hi han tumse baat karenge samjhi
Palak - hamare pass itna wakt nahi hai isliye meri baat suno aaj tumhare bhai ki jaan kahatre me hai or use sirf tum hi bacha sakti ho
Arpita ne jab yah suna to vah socked ho gayi or vah turant bahar jaane lagi to Palak use rokate hue boli
Palak - abhi meri baat puri bhi nahi hui or tum jaa rahi ho
Arpita - tumhari baat sun to liya maine agar mere bhai ki jaan khatre me hai to mujhe uske pass jana hoga
Palak - tum jisko samjh rahi ho mai uski nahi balki tumhare ashli bhai ki baat kar rahi hu jo ki tumhara hi judwa bhai hai or vah bhi tumse chhota.
Arpita uski baat sunkar chounk gayi lekin phir khud ko sambhalte hue boli
Arpita - yah kaisi baate kar rahi ho tum mera to bas ek hi bhai hai or vah hai Mohit
Palak - ek baat mai tumhe bol du ki mujhase jhooth bol kar koi matlab nahi hai mai sab kuchh janti hu or haa agar tumne meri baat nahi mani to sach me tumhara bhai nahi rahega or jise tum apna bhai maan rahi ho vah kaisa hai jab uski sachai pata chalegi tab bhi yahi soch rakhti ho yah dekhana hoga.
Arpita - tum kya bol rahi ho mujhe kuchh samjh me nahi aa rha hai
Palak - samjh nahi rahi ho ya samjhna nahi chahti ho bas ek baat ka khyaal rahe vah tumhara bhai hai or aaj uske upar kaal ka saya hai jise kewal tum hi dur kar sakti ho or ab faishla tumhe karna hai apne bhai ki jaan bachaogi ya uska katil banogi yah sab ab tumhare hath me hai