Achanak Ruder ki aankhein bhar aati hai aur wo uthakar paani pine kitchen ki taraf chal jaata hai paani pikar wo apne room ki taraf aata hai aur sochne lagta hai ki kabhi toh uski zindagi mai sab badal jayega.
Aksar aisa hi hota hai insaan ke sath achai ke badle hamesha dhoka milata hai apamaan milta hai par iske bawajood bhi ek accha insaan dhoka nahi de sakta kisi ko kyuki yeh uske sachai ka imitian hota hai .
Ruder ke sath jo kuch bhi ho raha tha wo sab uske sapne mai ho raha tha usne yeh sab cheejein sapne mai dekh raha tha . Aksar usko aisi samane aate the halanki usse kabhi uske hisse ka pyar toh nahi mila sapne mai hi uske sath sare pyar se baat karte the .
Subah uthake Ruder school chala gya tha .Aisi hi Ruder ki zindagi chal jaa rahi thi kabhi haskar toh kabhi rokar par wo apni zindagi jee raha tha .
Ruder hamesha yehi sochta tha ki kyu uske sath aisa hota hai kyun uske gharwale uske sath aisa bhatav kar rahe hai. Har baar yeh swaal uske maan mai aate par iska koi jawab usse milta hi nahi tha .Kahi baar humein kuch sawalon ka jawab nahi milta chaye hum kuch bhi kar le
Ruder ki zindagi lagatar chal rhi thi uski zindagi mai kabhi uthae toh kabhi chadhav tha shyad isko hi zindagi kehte hai har haal mai jeena hi insaan ka karm hai .Ruder ka koi dost bhi nahi tha jo usse baat kare uske sath khada ho
Aaj kal ke samay mai har insaan akela hai kehne ko sabke apne hote par phir bhi insaan apne aap ko akela hi samajhta hai .kyuki sab dikhaawe ke apne hote hai asal mai apne hi apno se jalate hai bus khel sara paiso ka hai
Dusri taraf Ruder ke ghar mai uske khaillaf saazish ki jaa rahi thi uske apno ne hi usse itna dard diya tha jisse shyad hi koi bhar sakta tha .