Chapter - 6
Sana andar se darr ke kanmpe jaa rahi thi, uska pura sarir akad gaya tha aur wo na aage ya piche jaa paa rahi thi, lekin uska sarir ne harakatein karani suru kar di thi, aur Sana jaldi se wahan se badi muskil se uth bhagati hai, aur auto khojane lagati hai, lekin kafi der ke baad bhi use kuch nahi mila aur uske andar ka shaitaan jagane laga, aur Sana ka kadam ghabrate hue Fatima ke ghar ki aur badh jata hai...
Sana dheere dheere Fatima ke kamare ke paas pahunchi, use janane ka dil tha ki akhir mazara kya hai, lekin wo andar se dari hui bhi thi... Sana haule se andar ki aur dakhil hoti hai, aur kone se temp chabhi nikal haulse se darwaza kholati hai, andar wo fatima ko dhundhane lagati hai, Sana ko koi awaz nahi aa rahi thi na koi, aur Sana ko pehale wala deja vu sa hone lagata hai, busra aunty ke ghar ka, Sana ke pair kanmpane lage, uska sarir pasine se bhar gaya jab use bedroom bhi khali mila, aur wo buri tarah se ghabra ke cheekhati hai,
-Fatima baji kahan hain aap,
Koi awaz nahi aata, Sana ke aankh se anshu bahane lage, aur use aisa lagane laga ki jarur kuch na kuch bura hua hai, ur Sana phone utha ke police ka number dial kar call lagane hi wali thi ki, ki use main darwaza khulata hua awaz aata hai,
-koi hai ghar, kaun?,
Ye awaz Fatima ki thi, jise sun daud ke Sana fatima ko gale laga leti hai, Fatima thodi confused thi ki akhir Sana ko kya ho gaya hai, wahi Sana ki jaan me jaan aayi, wahin Fatima jo abhi abhi bagal wale garden me maje se chud ke aayi thi, use kuch samajh me nahi aaya lekin usne Sana ko dilasa dene lagi...
Sana jab normal hui to wo wahan se jaldi se cab leke apne ghar ko nikali, use yaad aaya ki bacchche wahan akele the, Sana ka dimag lekin kafi disturb hone laga tha, aur use samajh me nahi aa raha tha ki akhir wo aadmi jise khud uske aur uske sauhar ne talab me daal aayi thi, wo akhir kaise jinda ho sakta hai,
Sana ke dimag me yahi ghume jaa raha tha, aur raat ko gayi aur uska sauhar Farhan ghar pahuncha thaka hara, aur Sana ne use us aaadmi ki baat batayi, use ye bataya ki uski nazar padi, kaise aur kahan usne chipa liya, Farhan ka bhi gaand fatt gaya, aur un dono ne raat ko usi jagah jaane ka faisala kiya...
Farhan ne raat ko kareeb 11:30 bacchon ke so jaane ke baad, dono miya bibi gaadi me baithe usi talab ke taraf nikal jaate hain, dono bilkul sannate me baithe hue the, aur dono kafi dare hue the... ek ghante me wo dono talab ke paas pahunchate hain, aur dono torch jala bade jhadiyon ke paas dhundane lage, us lash ko lekin un dono ko kuch nahi mila, aur Sana aur Farhan ka gaand faat gaya, aur wo turant waha se gaadi le farar hue, dono ki halat patli thi ki Farhan ka phone bajata hai,
-Hello bhaijaan kahiye, itni raat ko...
-Farhan tu abhi ke abhi ghar aa, bahut bada kaand ho gaya hai,
Farhan apne bhai ke awaz ke dard aur gusse ko jhatak se samajh liye,
-kya hua hai...
Farhan aage kuch bolata, Fawad ne phone kat di, aur Farhan ne apne bhai ke taraf gaadi mod li, wahi Sana ko laga ki sayad mamala kuch bada bigadane wala hai...