Awesome update,
Ramiya bhi undercover officer nikli Chandni ki bheji huyi, aur abhay ne apne sharp mind se phle hi samjh liya tha is bat ko,
Chandani apne ek maksad se gav aayi hai Sandhya ko lekr shayad uske sasur pati ki mout aur bete ke gayab hone ko lekr aur purane khandhar me ho rhi gatividhi ke maddenajaar,
Kahani me Sandhya ke alawa bhi bahut sauspance ho gaye hai
Udhar Sandhya ne sabki class laga rakhi hai haweli me,
Aman ko do thappad laga kr shayad Sandhya apne karmo ka paryshchit krna chah rahi hai lekin kar nhi pa rhi uski usi samay sab kabul name ke karan Aman ke parti uska payar hi samne aaya
Raman ko warning bhi bahut kuchh kah rhi hai bite huye aur aane wale kal ki kahani
Sandhya ke raman ko kahna ki usne uske priwar ko bachane ke liye badchalani ma ka khitab pa liya ye ek alag hi siyapa hai uska ab
Aisa kya hai jisse Raman ke sath sambandh banake wo unka priwar bacha rahi thi,
Last me wo ladies malti lag rahi hai jo apna ek alag hi sajis rach rahi hai aur khud ka hath bta rhi hai abhay ke dada aur bap ki mout ke pichhe ,
Abhi abhay ke sab kahani bhi use malum hai
Sab taraf mohare baitha diye gaye hai
Shah aur mat ka game shuru hai ab koun kisko mat deta hai dekhna hoga