Shahrukh
Well-Known Member
- 5,374
- 14,734
- 188
Bhai ham bhi to itna chaha te hai ke app jitne points diye hai utna hi bataye nake deep me jakar
awesome updateupdate. 124
inisha ......nahi sweety sartaj ki life me koi bhi aaye wo tumhara sthan kabhi nahi le sakti hai
kiran .....janti hun bhabi our mujhe is baat ki khushi bhi hai ki bhai se jo bhi prem karti hai bhai unhe nirash nahi karta hai
wo unke prem ko swikar karte hai bhale he wo sabhi ko samay nahi de pate hai
jinisha .....sahi kaha sweety ab hame inhe akela chodh dena chaiye taki ye kuch samay sath me bitaye
jinisha kiran ko le kar mahal lout jati hai surya our parijat ko wahi udhyan me chodh kar ............
Ab aaghe ......
rani pari ne gurudev ke chir dhyaan yog me leen hone ki khabar sarvajanik kar di thi jis se sabhi ko pta chal chuka tha ki rajguru lambe samay ke liya dhyaan sthiti me rahenge
ek kaksh me j.king .rani pari .pretraj ishi vishya ki charcha kar rahe the
J.king ......ab kya hoga rani pari gurudev to dhyaan awastha me ja chuke hai
Rani pari ......kuch samaj nahi aa raha hai j.king aaghe kya karna
hai
pretraj ........aise me to jinisha ke vivaah ke samay bhi pta nahi rajguru dhyaan se bahar bhi aayenge ki nahi
rani pari .......abhi ham is vishya me kuch bhi nahi kah sakte hai pretraj our j.king aapko apna rajgiri niyukt karname hoga rajguru ka yahi aadesh hai aapke liya our surya our unke pariwar ko yahi jinlok me roke rakhna hai kab tak ham aapse na kahe unhe jinlok ya pari lok ke alawa kisi anya lok me na jane de
j.king ......kya ye bhi gurudev ka he aadesh hai
rani pari ......ha ye unka he aadesh hai
pretraj .....kintu iski aawasayqta kyu aan padi ki surya our unke pariwar ko yaha rakha jaye our dusri baat surya agar yaha se parilok jata hai to bhi ushe antriksh ka marg he chunna padega
j.king ......ham aaj he jinlok ke rajguru ke chunav ke liya pure jinlok me goshona karva dete hai
rani pari ......ha yahi uchit hoga j.king our rahi baat surya ko parilok jane ke liya antriksh se ho kar jana nahi padega uska marg ham jante hai
pretraj .....aisa konsa marg hai jis se jinlok se parilok bina antriksh se ho kar bhi jaya ja sakta hai
rani pari ......aap bhul rahe hai har lok me ek jadui dwar hota hai jis se kabhi bhi kisi bhi lok me pahucha ja sakta hai us dwar se ho kar ke
j.king .....uchit kaha aapne rani pari ham surya ko our ke pariwar ko us vishya me bta denge
kuch der our inki charcha chalti rahti hai
fir rani pari jinlok se parilok lout jati hai pretraj bhi apni putri jinat ke sath pretlok lout gaye
parijat kuch samay apni sakhi jinisha ke pass he rukh gai jisme rani pari ko ya anya kisi our ko koi etraj nahi tha
Deree deree samay apni gati se bitne laga is bich surya our jinisha ke bich najdikiya kaffi bhadh chuki thi bas prem ka ejhar karna baki tha
kuch din baad parijat apne mahal parilok lout gai kiran choti bua ke pure parivar ko sath le kar
sri lanka .......
chandal ne bhut paryash kiye asur lok ke dwar ko kholne ka kintu wo vifal raha ant me ushe mohini dwara sujaya hua marg he uchit laga
chandal din rat bas maa patal bhervi ke puja upasna me laga rahne laga deree deree samya ke sath chandal ki puja ne bhi apna asar dikhana suru kar diya tha
our maa patal bhervi chandal se prashan ho chandal ko darshan de deti hai
maa bhervi ........aankhe khole chandal chandresh ham tumhari bhakti se parshan hai
chandal .....parnam maa patal bhervi
Maa bhervi......kaho chandal kya iccha hai tumhari kya var chaiye tumhe
chandal ......maa patal bhervi mujhe is mahal me bane asur lok ke dwar ko kholne meri shayta kijiye
maa bhervi ........ye sambhav nahi hai chandal kyuki wo dwar hamare he vardaan swarup asuro ko mila tha keval ushe asur raj ke pariwar se ya uske rakt se juda koi asur he khol sakta hai
chandal .....fir mujhe ye var dijiye ki main apni iccha se kisi bhi lok me aa ja sakta hun apni iccha anusar
maa bhervi .......ham tumhe tumhara icchit var dene ko saz hai kintu var se tum keval unhi lok me ja sakte ho jimme burai our paap ka sthan acchai se ucha ho
chandal ......ji maa patal bhervi mujhe swikar hai
maa bhervi ......tathastu putra
maa patal bhervi chandal ko var de kar antardhyaan ho gai
wahi chandal khushi se jumme lagta hai kaha wo ek lok ka dwar kholna chahta tha ab wo kisi bhi lok me kabhi bhi aa ja sakta tha jis me burai ka sthan acchai se uper ho
mohini ......malik chandal aapko ab apna icchit var mil gaya hai ab to mujhe mukt kar do
chandal ......abhi nahi mohini tumhe kuch samay our meri kaid me rahna hoga fir main tumhe muqt kar dunga
chadal maa patal bhervi se mile var ka prayog kar asurlok ke liya antardhyaan ho gaya
kuch he palo baad chandal asur lok me tha jaha charo taraf ghor andera vyaapt tha
chandal ......mohini kya yahi asur lok hai
Mohini ....ji malik yahi asur lok hai
chandal chalo fir pahle yaha koi upyukt sthan ka chunav kiya jaye jaha main aaghe santi se apna karya kar saku
wahi asur lok pahari ko pta chal jata hai ki kisi ne asur lok me parivesh kiya
jiski khabar wah sabhi guptchari our asurlok raja narkasur ko pahucha deta hai
narkasur apni mayavi vidhya se chandal ka pta kar leta hai our
ushe bandi banane ka aadesh de deta hai
mohini ......malik asur raj narkasur ko aapke yaha hone ka pta chal gaya hai our unhone apni sena ko aapko bandi banane ka aadesh diya hai
chandal ......aane do unhe ab yahi moka hai apni sakti ka prayog kar asur mahal me parivesh karne ka
kuch he der me ek tukdi asur sena ki aa kar chandal ko gher leti hai
chandal apne asur aatmaao ko muqt kar deta hai jo dekhte he dekhte puri sena ko nigal jati hai
narkasur ko jab ye khabar lagti hai to ushe krodh bhi aata hai our aashcharya bhi hota hai ki ye kon hai jisne kuch he pali me uske veer asuro ki tukdi ko khatam kar diya
asurraj .....senapati ushe saman sahit mahal le kar aao ham us se milna chahte hai
senapati kuch he der me chandal ko le kar mahal pahuch jata hai
jaha narkasur chandal ke bheetar asuro ki aatmaao ko kaid dekh samaj jata hai ki ye koi sadaran vayakti nahi hai
narkasur chandal se bhet kar bhut kuch jaan chuka tha uske baare me chandal ne vistar se apne baare me sab kuch barka sur ko btaya our uska yaha aane ka udeshya bhi kintu ardh satya
asurguru ..........kya sach me aisa manav partvilok me hai kintu hame uske vishya me gyaat kaise nahi hua
chandal .....kyuki wo koi sadaran manav nahi hai uska janam utam naksatro me hua hai janam ke sath he ushe divya ansh prapt hai
asurguru ......ye aapko kaise gyaat ki wah divya ansh hai
chandal .........ye dekho ye hai uski kundali
asururu us kundali ko dhyaan se dekhte hai
har badalte pal ke sath asur guru ke chehre pe chinta ki akire ubharne lagti hai
asurguru hawa me he ek our kundli ka nirman karte hai
jo ki asurlok ke asur raj narkasur ki thi
doni kundali ka milan karte he asurguru apne singhasan se niche gir padte hai
asurguru .......kaaal hai ye yahi hai wo kaaal
narkasur ......kaisa kaal kiska kaal asurguru ye aap kaise baate kar rahe hai
asurguru ......asur raj aapka kal hai ye kundali wala manushya
aapko jo vardaan mahakal se mila hai uski ye kat hai
aapko marne wala janam le chuka hai
asurguru ki baat sun narkasur ke bhi mathe se pasina bahne lagta hai
narkasur ......nahi ye nahi ho sakta hai asurguru mahakal mere sath chaal nahi kar sakte hai
aap bhul rahe hai asurguru mujhe keval mahakal se he nahi mahakali se bhi vardaan prapt hai
asurguru .......aap apne vardaan ko he bhul gaye hai kya asurraj
asurraj .....kya matlab asurguru
asurguru .....jab mahakal ke ansh ne janam le liya hai to fir mahakali ki sakti ne bhi kahi na kahi janam le he liya hoga aapke vadh ke liya
chandal .....iske sath me koi our bhi divya sakti hai agar ye mahakal ka ansh hai to fir wo avashya mahakali ki sakti darak hogi ( chandal ......yaha to bina kisi sadyantra ke he uski marityu ki tyaari ho chuki hai ab bas kuch chal chalne hai our surya ki mout nischit )
chandal ......agar aap meri salah mane to mere pass ek marg hai
narkasur .....kya marg hai mitra chandal
( chandal ....murkh samja hai kya mujhe jo apni mout aati dekh mujhe mitra bol apni mout takna chahta hai )
chandal .....iska name surya hai our ye partvilok vashi hai kintu is waqt ye jinlok ya parilok me ho sakta hai jaha main to pahuch nahi sakta hun
asurguru .....in dono loko me to ham me se bhi koi nahi ja sakta kyuki ye dono he lok mahakal ke adin hai in loko ki suraksha khud mahakal karte hai
narkasur ....koi to marg hoga he us tak pahuchne ka
chandal ......mere pass hai kintu ....
narkasur .....kintu kya mitra chandal
chandal. .........mujhe koi rupavati pavitra kanya ki aawsaykta hogi jo ki asurlok ya partvi lok me to milne se rahi
asurguru .....asurlok our partvi lok me mil bhi sakti hai kintu samay ka pta nahi kitna samay lag sakta hai
narkasur ........ham abhi kantkasur ko partvilok bhejte hai kisi aisi he kanya ki talash me
asurguru ......kintu hame keval putra kantkasur pe he aasrit nahi rahna chaiye asurraj hame kisi anya lok me bhi khojbin suru karni chaiye
asurguru ......kis lok me asurguru
Asurguru .......aise he kanya ek meri najar me bhi hai kintu ushe ham nahi la sakte hai uske liya chandal aapko he jana hoga
chandal .......main ushi lok me ja sakta hu jaha paap acchai se adik ho
asurguru ......aapko naglok jana hoga waha aapko koi preshani nahi hogi pahuchne me
chandal ......kya naglok me koi aise kanya hai jo pavitra ho kunvaari ho our sath divya bhi ho
asurguru ........ha hai ek aisi kanya nagraj vasuki ki padpotri rajukmari komalangi ( komal ) jo divya sondarya se paripurn
chandal kinitu us tak pahuchana bhi aasan nahi hoga
narkasur ......mitra chandal usme tumhari shayta takshak nag krenge jo hamare mitra bhi hai
chandal .....tab to ye sambhav ho sakta hai
narkasur kantkasur ko partvilok kisi aisi kanya ki talash me nikal gaya
wahi narkasur our chandal aaghe ki yojana banane lagte hai .............
update posted friends ........
read and enjoy friends ............
Too good Bhaiupdate. 124

Fantastic Update...update. 120
wahi ridhi pari surya ko ek khubasurat udhyan me le kar jati hai
surya .....ye to bhut he sant our khubasurat jagha hai ridhi pari ji
ridhi ....main yaha aksar aati thi pita ji ke sath maine yahi pe dhyaan lagana sikha tha
surya ....thik hai main yahi pe dhyaan lagata hun aap dekh lijiye koi preshani na ho
surya wahi jamin pe aasan laga kar beth jata hai..........
ab aaghe ...........
parilok ......
pahari ridhi pari se aagya le rajmahal rajsabha me pahuchi jaha is waqt parilok ki maharani apne singhasan pe virajman apne sabhasadho se kisi vishya pe charcha kar rahi thi
pahari sabha me pahuch rani pari ko jukh kar salam karti hai
pahari .....rani pari ko pahari disha pari ka salam
rani pari .....kaho disha pari tumhara yaha aane ka karan
disha pari ......maff kre rani pari rajguru putri ridhi pari parilok me kisi manav ko apne sath le kar aai hai
rani pari ....kayaa manav wo bhi parilok me ye sambhav nahi hai
kaha hai ridhi pari unhe hamare samne sar saman pesh kijiye
disha pari .....maff kre rani pari wo is waqt ishi manav ke sath dakshini disha ke sahi udhyaan me us manav ka dhyaan rakh rahi hai
taki koi uske dhyaan ko bhang na kre
ridhi pari to yaha aana chahti thi kintu us manav ne mahal me aane se mna kar diya
disha pari ki baat sun sabko yahi laga ki jaise surya ne yaha na aa kar ke parilok our unka apmaan kiya
sabhasadh .......us manav ka itna dushahsh ki vo yaha aane se mna kar diya
tabhi waha ek sevika daudti hui aati hai
sevika ....rani pari wo rajkumari parijat......
rani pari .....kya hua hamari putri ko
sevika .....rani pari wo acchanak joro se kisi ka name pukarte hue murchhit ho gai
rani pari ......pta nahi kya ho raha hamari putri ko aaj unhe kitna samay ho gaya hai kisi se baat bhi nahi karti our kya name liya unhone
sevika .... ....rajkumaari baar baar yahi kah rahi thi ki surya aap lout aaye surya aap lout aaye
rani pari .....kya kha suryaa
disha pari .....rani pari ridhi pari ke sath jo manav hai uska prichya bhi ridhi pari ne surya ke name se he diya hai
rani pari ......waha se gayab ho rajkumaari parijat ke pass pahuchi jo abhi bhi murchhit awastha me thi
rani pari .....utho putri dekho to aaj wo lout aaye hai parilok me jinki tum itne varsho se partiksha kar rahi thi wo lout aaye hai
rani pari kaffi paryash karti hai kintu parijat ki murcha bhang i hoti hai
rani pari .....sevika rajvaidya ko bulao our rajkumari ka ilaz karwaaiye
sevika .....jo aagya rani pari
rani pari ....hame unse milna hoga kya ye wahi hai ya koi our kintu unke alawa mahakal ke kavach ko bhedh kar koi manav parilok me parvesh nahi kar sakta hame pta karname he hoga
rani pari waha se gayab ho dakshini disha udhyaan me pahuchi jaha surya dhyaan me leen tha ridhi pari wahi pass me bethi surya ko dekh rahi thi
tabhi ridhi pari ko kisi ka apni our aane ka ahsash hota hai
ridhi ......parnam rani maa aap yaha pe
rani pari .....kalyan ho putri yahi hame aapse puchna hai ki aap mahal na aa kar ke yaha pe kya kar rahi hai
ridhi .....aap mere sath aaiye
Ridhi rani pari ko surya se kuch dur le kar jati hai
ridhi .....ham kya karte rani maa jinka swagat parilok ke sabse utam puspo ki varsha kar karname chaiye tha unpe he parilok me agni parhar se swagat kiya gaya to aap he btaye ham unhe kis muh se mahal me chalne ka aagrah karte
rani pari ......ye tum kya kah rahi ho putri kisne tumpe agni parhar kiya ham ushe martudand denge
ridhi .....rani maa ham pe agni parhar hota to hame itna dukh nahi hota kintu jinka varsho se parilok palke bichaaye intjaar karta raha unhi surya shiv thakur ka swagat unke he seene pe agni parhar se hota hai
rani pari ......kaha hai hamara putra surya ham unse maffi mangana chahte hai ham unhe mahal me le jane ke liya aaye hai
ridhi .....wo rahe aapke putra our jamata surya thakur
Ridhi surya ki our isara karti hai jaha surya dhyaan me leen tha
rani pari ko ek pal nahi laga surya ke vastvikta ko pahechanne me
rani pari .......ye wahi hai mahakal ke ansh surya ke saman urjawan tejmayi mahakal se
kya inki sakti inke sath nahi aai ridhi beti
ridhi ......aap kis sakti ki baat kar rahi hai rani maa
rani pari ......jo inka kawach jinke sath hone bhar se ye ajar amar avijit ho jate hai
ridhi .....ham ab bhi kuch nahi samje rani maa
Rani pari .....inki sakti inki bahan ya inki ardhangini kiran
ridhi .......kyaaaaa kiran inki patni hai
Rani pari .....athart tum abhi is rahashya se anjan ho wo inki patni nahi thi per hone wali awashya thi
ridhi .......main itne samay unke sath thi kintu main unhe phulechan he nahi pai
rani pari ........mahakal ki iccha ke bina hawa tak nahi chalti fir tum kaise jan pati unki ucha ke virudh
rani pari .....chalo putri mahal chalo waha tumhari sakhi parijat sayad tumhe dekh thik ho jaye
ridhi......rani maa kya hua parijat ko
rani maa .....jab se mahakal mandir antardhyaan hua hai tab se ushe pta nahi kya hua hai na kisi se kuch bolti hai har waqt bas apne kaksh se ishi sthan ko dekhti rahti hai jaha mahakal virajman the
ridhi .......mujhe maff kre rani maa kintu abhi ham mahal nahi lout sakte kyuki mahakal mandir kisi bhi samay sabke samne drushtigochar ho sakta hai our surya ka waha uchit samay pe pahuchana jaruri hai ananyta ham surya our pita shree dono ko ek baar fir se kho sakte hai
rani pari .......kya aaj he wo samay hai
Ridhi ......ji rani maa bas kisi bhi samay mahakal mandir parkat ho sakta hai
tabhi surya apne dhyaan se bahar nikalta hai
our mahakal stuti karne lagta hai
surya ki mahakal stuti purn hone per bhi koi prabhav nahi pada
ridhi ......rani maa ye kya surya ke stuti karne ke baad bhi mahal darshan nahi de rahe hai
Tabhi waha parijat aa jati hai
parijat .......mahakal aise prashan nahi honge sakhi ridhi
Parijat ki aawaj sun jane anjane he sahi per surya ki dil ki dhadkan acchanak se kisi apne ko pa lene ki khushi me bhadhai se gai
rani pari .......putri parijat aap yaha pe kaise
parijat .......mere mahakal ka aadesh hai rani maa bhala unki iccha kaise tal sakti hun
ridhi aaghe bhad parijat se gale milti hai
parijat ......abhi samay nahi hai meri bahan
parijat aaghe bhadhai surya ke pair chuthi hai
surya ki aankho se ek bund aansu bah kar parinat ke mathe pe girtaa hai jab parinat pair chune ke liya jukhti hai
surya ......kon hai aap aapko dekh hamara man itna khush kyu hai kya rista hai hamara aap se kyu aap hame apni lagti hai
parijat .......ham nahi jante kya rista hai aapse hamara per ham apna baki ka jivan mahakal ki iccha se aapke charnon me bitana chahte hai
surya .........ham nahi jante aapke in vachano kya utar de
parijat .......mere parbu mahakal mujhe mera utar sawayam de denge
abhi hame unhe prashan karna hai
surya our parijat dono ek sath mahakal vandana aarambh karte hai
jaise jaise dono ki mahakal vandana aaghe bhad rahi the waise waise parilok ka mosam bhi parivartit ho raha tha
charo taraf ek alag he khushiyo bhari khusbu se fal rahi thi
pasu pakshi jumme lage madhur kalraw me apni mithi saani me jaise pakshi bhi mahakal vandana kar surya our parijat ki shayta kar rahe ho
deree deree sabhi pariya udhyaan me ekatrit hone lagi hiran more koyal chidiya bhati bhati ke jivo se udhyam pura bhar gaya
tabhi wo hua jiski sab partiksha kar rahe the
jaha pahele mahakal mandir hua karta tha waha teji se duha he duha failane laga us duhe se aati khusbu se sab mantramugdh ho us taraf bhadane lage
kuch he der baad duha jab waha se hatha to wahi mahakal mandir sabke samne tha
surya ......ab aapko loutna hoga devi our aap sabhi ko bhi
ridhi ......surya kya ham andar nahi aa sakte hai
ham bhi mahakal ke darshan karna chahte hai
surya ........main janta hun ridhi ji aap apne pita rajguru ji ko dekhna chahti hai kintu ye abhi sambhav nahi hai is waqt keval mujhe waha jane ki ejajat hai
jab tak gurudev ya main bahar nahi aate rani pari is mandir me koi bhi parivesh na kre ye aapke liya aadesh hai gurudev ka
rani pari ......uchit hai putra surya aap jaiye
surya waha se vida le mandir me parivesh kar jata hai
jaise surya mandir me parivesh karta hai mandir ke bahar ek pahredar upasthit ho jata hai jo bhut he bhayanak lag raha tga
surya ke andar jate he gurudev ki aawaj surya ke kano me padti hai
surya sawran ( gold ) partima ke samne ja kar gurudev ko parnam karta hai
surya ......parnam gurudev
Gurudev ......kalyan ho putra surya aaj mera praayshchit purna hua
surya .....abhi nahi gurudev abhi kuch samay partiksha kijiye
surya waha se uth mandir me bane sarovar me sanan kar swach ho mahakal ki partima ko sawach jal se sawach kar puja karta hai
puja samaapt hone ke baad surya gurudev ke samiap he mahakal ka name le mahakal yantra ka aahavan karta hai
jo agle he pal mahakal yantra jamin pe sthapit ho jata hai
surya mahakal yantra ko parnam kar mahakal yantra me dhyan awastha me beth
mahakal ka samaran karne lagta hai
deree deree surya ke sarir se bhut tej parkas futhne lagta hai
gurudev ......putra apni kundalini chakri ko jaagrit kro
surya ......ji gurudev ........om .....
surya ke muh band tha kintu pura mandir..om..ke naadh se gunjane laga
deree deree surya ke kundalini chakra jaagrit hone lage
dekhte he dekhte surya ke 7 kundalini chakra jaagrit hone lagte hai
mandir ke andar ek nahi he duniya ban gai surya mandir me nahi balki antriksh me dhyaan kar raha ho
surya ke sarir se nikal rahe parkash se gurudev ke sarir pe chadhi sawaran parat pingal kar kar ek sthan pe ekatrit hone lagi
kuch ek gante baad gurudev us sadaran parat se mukh ho chuke the unka pura sarir dup me rakhe sone jaise chamak raha tha
gurudev .......dhanyavad putra surya aaj mera praayshchit pura huwa ho sake to mujhe maff kar dena putra
Gurudev waha se uth kar us sawaran ko ekatrit kar mahakal ki partima ke samne rakh dete hai
jo deree deree kisi astra ka rup daran karne lagti hai
gurudev ushe laal kapde se puri tarha chakh dete hai
gurudev ......putra surya ab tum apni dhyaan me apni purva janam ki yaado ke sath sath apni sabhi youdh vidya our sabhi shaktiyo ka prayog kaise karna jan jaoge jab tak tum apni sab shaktiyo our unko uchit prayog karna nahi shikh jaoge tum chah kar bhi dhyaan se bahar nahi aa sakte
Purva janam me tumne apni saktiyo ko galat prayog kiya jo ki ek guru hone ke nate mujhe tumhe uchit marg dikhana chaiye tha jisme main asafal raha
maine kabhi tumhe apni saktiyo apne dayitvon ke parti savdhan nahi kiya tumhare janam ke udeshya se bhatkane me sabse bada apradhi main he hun putra
ek guru ka jo dayitwa tha maine ushe he bula tumhe uchit anuchit tumhare iccha anusar karne diya
jiska main saalo se praayshchit kar raha tha jo aaj purn hua hai aaj agar tum nahi aate to meri aatma bhi mera sarir tyaag chuki hoti
Gurudev kuch der surya ke samne be the rahe fir pure mandir ki saf safai ki apne hatho se na ki jadu se
Deree deree surya roshni ka picha karte hue pta nahi apni mastiksh ke kis hisshe me khota jata raha tha
wahi partvilok pe
kuch our he gathan ghat rahi thi
kiran our sapna komal ke sath sath koi our bhi gajri neend me ja chuka tha ..........
Update posted friends .......
read and enjoy friends ..........
Dosto next update jo aayega wo flashback se juda hoga to sayad kal koi update post nahi kar paunga kyuki mujhe ek baar fir se 51 update pe najar dalni hogi
flashback sort me rakhte hue jo jaruri hoga story me wahi add karunga
Good night friends .....