A global underworld saga blending legacy, blood, power, and shadows.
Update 1 – The Prince Among Men
“Tum logon ke liye yeh sirf ek naam hai…
...par kuch logon ke liye, yeh maut ka dusra roop hai.”
— Dabi huvi awaje from the East Mumbai Docks, about The Revenant
Mumbai – 6:45 AM – Rajan Estate, Sea-Facing Balcony
Chai ki halki si khushbu udti thi, lekin Ayaan Rajan ke chehre pe koi softness nahi thi.
Uska suit press ho chuka tha, leather strapped watch sharp thi — aur aankhon mein wahi shanti , jo uske baare mein legends banati jaa rahi thi.
Par abhi, wo sirf ek business student tha.
Ek heir.
Ek golden boy.
Kabir Rajan, uska bada bhai — solid build, army-cut hair, — balcony mein aaya.
Kabir: "Meeting 9 baje hai. Tu tayyar hai?"
Ayaan : "Hamesha."
Kabir: "Tu meri tarah fight karta hota, toh tu bhi army mein hota."
Ayaan : "Mujhe fight karni nahi padti, bhai. Main bas sab kuch shantise khatam karta hoon."
Kabir hansa, aur jaane laga. Usse kya pata — uske chhote bhai ne kal raat ek gun-runner ka cold clean-up kiya tha, bina ek boond khoon dikhaye.
10:30 AM – Mumbai Business University
Ayaan ne apni matte black Audi R8 campus ke bahar park ki. Do ladkiyan uski gaadi aur uske suit ko dekh kar ek dusri ko kohni mari.
Wo popular tha, but na milnewala .
College ke doston mein Dev tha — chill banda, mid-level business family, thoda funny.
Aur Shruti — smart, khud ko hi hoshiyar samjne wali , and ... curious about Ayaan.
Shruti: "Sir Rajan, hum normal log aapko coffee pilane laayak hain kya?"
Ayaan : "Bas yeh mat kehna ki main alag hoon."
Dev: "Nahi nahi... tu alag nahi. Tu seedha dusri planet ka hai."
– South Mumbai, Old Port Warehouse
Do aadmi ek table par baith ke deal kar rahe the. Ek Takla , body wala , gold chain pehenewala — Chiku, right hand of Nayak Bhau.
Chiku: "Rajan ka Maal firse bechna shuru krega toh bhai tereko goli dega."
Dealer: "Tu dara raha hai ya bata raha hai?"
Chiku ne thoda muskuraake ek video play kiya — ek aadmi ke dono haath kaat ke petrol ke drum mein gira diye gaye the.
2:00 PM – Campus Library – Ayaan ka Phone vibrate huva
Ek safety app pe ek message blink karta hai:
Trial aarahi hey : "Red Envelope – Code 72X – Location: Mandvi Docks – sirf dekhna . No kill."
Ayaan :
Toh aaj raat fir ek mission hai… Sirf dekhna hey … shamil nahi hona hey .
6:30 PM – Rajan Mansion – Private Dining Room
Table pe sirf teen log the:
Vikram Rajan – father, grey hair, Bussines circle ka Kingmaker
Kabir Rajan – bada bhai , politics mein badhta huva suraj
Ayaan – chota beta , sabse shant, sabse khatarnak, sab kilye paheli
Vikram: "Kabir, Delhi lobby ready hai?"
Kabir: "Final ha chahiye CM office se. Bas... humara naam clean rehna chahiye."
Vikram: "Aur tu, Ayaan? Campus mein sab thik?"
Ayaan: "Haan. Log soch rahe hain ki main normal banda hoon."
Vikram: "Hona bhi chahiye."
Ayaan ki aankhon mein ek second ke liye chamak aayi. Wo ek second jaisa kisika dil dhakane wali chamak thi
11:45 PM – Mandvi Docks – Operation Mode
Black hoodie, gloves, chehara Adha dhaka huva .
Ayaan silent age badhta hey containers ke beech.
Uski contact lens UV chalu hai — jo invisible ink track kar sakta hai.
Target: Ek chota Hatiyar bechnewala — Bahadur Jaiswal — meeting with unknown buyer.
Ayaan ne chat se scene dekha.
Dur se hi record kiya.
Aur apne link par send kiya
Tabhi ek naya message flash hota hai:
“Welcome to The Vestige. Trial Complete.”
Uske haath pe ek black inverted flame tattoo glow karta hai — UV ke under.
Symbol of The Revenant.
Next Morning – College Campus
Dev: "Abe tu kal party mein nahi aaya?"
Ayaan: "Bas thoda chill kar raha tha."
Shruti : "Tum jaise logon ke pass bhi kuch chhupane layak hota hai kya?"
Ayaan : "Har kisi ke paas hota hai... fark sirf yeh hai ki kuch logon ke raaz chupte nahi... maarte hain."..