EPISODE : 20
---------------
DATE - 09th March 2017
LOCATION: GRAVEYARD, SWITZERLAND
Switzerland ke ek graveyard mein wahi ladka jo Pihu ke saath hotel mein tha, jeans aur shirt pehne hue aur apne chehre par mask lagaye khada hai, ek kabre ke saamne.
"Shukriya aapka. Aaj aapki wajah se main RAW ka one of the best agents ban paya hoon. Maine socha nahi tha ki main kabhi RAW ko join kar sakunga aur RAW ke secret part ka one of the best agent ban paunga. Bas ye regret rahega ki aapka shishya aapke akhri samay mein aapke saath nahi reh paya. Mujhe maaf kar dena, 'AGENT SHADOW'."
Ye sochte sochte woh ladka aasman ki taraf dekhta hai, jahan aaj tare timtima rahe hain. Ladka un taron ko dekh kar muskura deta hai aur phir se sochne lagta hai.
"Aakhir mujhe kyu aise sapne aate hain, Bhagwan? Kya is duniya mein mera apna koi zinda hai jisko talash shayad main nahi kar paya hoon? Aakhir kon hoon main, mere maa-baap kon hain, mera past kya hai, mujhe kuch nahi pata, Bhagwan. Aakhir kyu mujhe aise sapne aate hain, kyu main do shakshon ka lash sapne mein dekhta hoon, kyu mujhe ek ladki ka dhundla dhundla chehra nazar aata hai sapno mein? Us ladki ka dhundla chehra aur wo do lashay dekh kar aisa pratit hota hai ki ye teeno kahin na kahin mere se juda hua hain."
Ladka ye sab soch kar ek gehri saans leta hai.
"Ab meri dharmapatni hi pata laga sakti hai mere past ke baare mein. Bhagwan, bas meri dharmapatni safal ho apne mission mein, aisi kripa banaaye rakhna aur aap uski raksha karna, Bhagwan."
Uske baad woh ladka uss graveyard se chala jata hai.
------------------------------------------------------------------
Bittu se phone par baat karne ke baad Ayesha phone ko apni jeb mein rakh leti hai aur woh ek sunsan sadak par chalti jaati hai.
Thodi dur chalne ke baad Ayesha ek ghar ke saamne aakar rukti hai. Us ghar ke aas-paas kareeb 7-8 ghar aur hain aur sabhi gharon ke saamne 6-7 feet ki deewarein maujood hain, un deewaron ke upar kaanch ke tukde gade hue hain, aur sabhi ghar do manzil ke hain.
Ayesha us ghar ke saamne wale deewar par nameplate dekhti hai, toh us par likha hota hai
"Mrs. Sonalika".
Nameplate padhne ke baad Ayesha us ghar ko dekhta hua apne mann mein sochti hai,
"Hmm, yahi ghar hai. Chal Ayesha, apne kaam par lag ja."
Yeh kehkar Ayesha apni jeb se ek chabi nikalti hai aur us ghar ke gate par jo tala laga tha, use kholne lagti hai.
Kuch second bitne ke baad Ayesha us ghar ka tala khol leti hai aur fir woh gate khol kar andar jaati hai aur wapas se tala laga deti hai jaise pehle tha. Lawn wale area mein aane ke baad Ayesha us ghar ka main door dhundhne lagti hai, jo use mil bhi jaata hai.
Ayesha us ghar ke main door ke paas jaati hai aur phir us ghar ka main door usi chabi se kholti hai, aur kuch seconds ke baad Ayesha woh main door ka lock khol leti hai aur andar chali jaati hai.
Andar jaane ke baad Ayesha apne pocket se ek chashma nikalti hai aur use pehenti hai.
[Basically , woh chashma khaas tor par NINJA TASK FORCE ke agents ke liye banaya gaya hota hai. Iss chashme mein kuch features hain, jaise is chashme ki madad se andhere mein bina kisi light ke dekha ja sakta hai. Uske saath-saath ye chashma ek spy camera ki tarah bhi kaam karta hai aur aur bhi kuch features hain jo aap sabhi ko aane wale episodes mein pata chalega.]
Ayesha chashma pehnne ke baad usko Ghar ka har ek kone achha sa dikh raha hota hai.
Ayesha dheere dheere us ghar ke ek bedroom ke andar entry karti hai. Bedroom ke andar jaane ke baad Ayesha us bedroom ka door lock kar deti hai ekdum.
Fir woh bed ke paas jaake bed ko thoda khisakti hai, aur bed ko khisakane ke baad Ayesha neeche jhukti hai aur apne dono haathon ke thumbe ko ek alag distance par rakh leti hai aur floor par press karti hai.
Press karte hi
"CLLLICCKKK"
uss floor par ek square shape ka hidden darwaza khulta hai aur darwaze ke andar ek rassi latak rahi hoti hai. Ayesha us rassi ko pakadti hai aur rassi ke sahare ek underground floor par aa jaati hai.
Underground floor par aane ke baad Ayesha us floor par chalte hue ek switchboard ke paas jaati hai aur ek switch on karti hai.
Switch on karte hi uss poore underground floor ki lights chalu ho jaati hain.
Ayesha yeh dekh kar muskurati hai aur apne mann mein sochti hai,
"Waisa jagah toh ekdum mast hai, kisi ko bhi shak nahi hoga ki is ghar ke neeche ek secret basement bhi ho sakta hai."
--------------------------------------------------
-------------------------------
Bittu Ayesha ka phone disconnect hone ke baad woh apne bed par leita hai aur sone ki koshish karta hai, lekin pata nahi kyu aaj Bittu ki aankhon se neend kaisi door hai.
Bittu bed par karvate badal raha hota hai, lekin tab bhi use neend nahi aa rahi hoti.
" Aakhir kyu so nahi pa raha hu main? Kyu mera dil itna bechain ho raha hai aaj? Ye sab Nikita ji ke ghar se aane ke baad ho raha hai. Aakhir kyu mujhe unke ghar se aane ke baad ye hi mehsoos ho raha hai ? "
Bittu apne soch mein se bahar aata hai aur wapas se sone ki koshish karta hai. Bahut koshishon ke baad Bittu so jata hai.
------------------------------------------------------------------
DATE - 10th March 2017
LOCATION : AGGARWAL MANSION
Agli subah Nikita so kar uth ti hai toh dekhti hai ki uska samna uski pyaari aur khubsurat didi Nidhi so rahi hoti hai.
Raat ko Nidhi thoda late aati hai kyunki meeting thodi extend ho gayi thi.
Jis wajah se jab Nidhi apne room mein jaakar dekhti hai toh paati hai ki Sunaina uske room mein so rahi hoti hai. Toh isliye woh Nikita ka saath sona sochti hai.
Nikita (Hayee... Kitni pyaari aur khubsurat lag rahi hai meri didi... Masumiyat toh mano kut kut ke bhari hai... Haye Bhagwan meri didi ko aisa husband dena jo unki bahut care kare aur pyaar kare aur meri didi ka chehra par ye muskaan hamesha banaye rakhe.)
Idhar Nikita apne mann mein ye sab soch rahi hoti hai toh wahi Nidhi kuch barabar rahi hoti hai.
Nidhi ( nind me ) : Ohh jannuu... Kitni rasela hoti hai aapka... Aapka saath time spend karna mein maza aata hai aur sukoon bhi milta hai... Ohh jannuu please ek baar aur aao na apni Nidhi darling ke paas, aapko pyaar karna hai mujhe aaj ji bhar ke.
Ye barabar hoti hui Nidhi apne hothon par apni jeebh ferhti hai aur face expression banana lagti hai kiss ka. Nikita ye sun kar khush ho jati hai aur apne chehre par ek kamini smile leti hui kuch sochti hai.
Nikita (Ohh didi... Badi jaanu jaanu kar rahi ho na... Ruko abhi aapko bataati hoon...)
Ye bol kar Nikita ne apne side mein rakhe table par paani ka bottle le aaya, uska dhakan khola aur bottle ka pura paani apni Nidhi didi ke upar fek di.
Nidhi, jo itni der se ek khubsurat sapna dekh rahi hoti hai, apne upar paani ka sailab mehsoos karne ke baad uthti hai aur apni aankhein malte hue apne saamne apni choti behen Nikita ko paati hai jiska haath mein paani ka bottle hota hai. Aur Nidhi apne bed par dekhti hai ki woh poori gili ho chuki hai. Itna dekh kar usko samajh aa chuka hota hai ki ye harkat Nikita ki hi hai isliye apne chehre par gussa leke cheekhti hai,
"Nikki ki bachi aaj tu nahi bachegi mere haathon se!"
Nikita: Ohh jannuu, pehle pakad ke toh dikhao...
Ye bol kar Nikita room se bahar bhag jati hai aur neeche hall mein aati hai. Thik uska peecha Nidhi bhi daud laga deti hai aur woh bhi Nikita ke saath neeche aa jati hai.
Nikita hal mai aane ke baad sidhe jaake apne papa ke piche chhup jaati hai jo newspaper padh rahe the sofa par baith kar.
Rakesh kuch kahta, usse pehle hi Nidhi aa chuki thi aur uska chehra par gussa saaf nazar aa raha tha .
Nidhi (gusse se): Nikki ki bachi, aaj tu mere haathon se nahi bachegi... Ruk, Nikkiii!
Rakesh: Kya ho raha hai ye sab?
Issi beech Nidhi kuch kehti hai ki tabhi Ek aawaaz aati hai...
"Kya ho raha hai ye sab? Tum dono subah hui nahi ki ladai jhagda shuru kar rahi ho!" Ragini jo kitchen se bolti hai aur bahar aati hai... Haath mein ghunda hua aata laga hua tha .
Nikita jo itni der se apne papa ke piche chhupi thi, ab wahaan se bhag kar jaldi se apni maa ke piche jaakar chhup jaati hai .
Nikita (bade pyaar se): Mumma dekho na, didiya aapki phool si bachi ko subah subah maar rahi hai.... Main toh bas inko uthaya tha.... Aur ye dekho kitna gussa kar rahi hai... Mummy
(rotlu sa face bana kar) .
Ragini (ko Nikita par bahut pyaar aata hai aur Nidhi ko dekhte hue bolti hai): Nidhi, kyun apni choti behen ko maar rahi hai?
Nidhi: Mummy, main so rahi thi aur isne poora pani ka bottle mera upar fek diya . Kitna accha sapna dekh rahi thi , Lekin aapki is phool ki bachi ne mera sapna bigad diya .
Nikita (fatak se): Achha wahi sapna na jahan aap jannu... Ohhh, jannu kar rahi thi.... (Haskar).
Nidhi (ye sun kar sharma jaati hai aur apna sar neeche kar leti hai sharam se)
Nikita: (apni maa ka aanchal sa nikaal kar apni didi Nidhi ke paas jaati hai aur bolti hai): Aahyee hayyee dekho toh meri khubsurat didi kaisi sharma gayi....
Ragini: Ohh tum dono... Ye jannu kaun hai?
Nidhi: Mm... Mummy, koi bhi nahi toh , Ye bas aisa hi bakrahi hai .
Nikita: Are mummy, main bataati hu na , Aapko pata hai sapna mai didiya kya dekh rhi thi .
Ragini: Nahi pata, tu bhi bata de meri bachi, aisa kya dekh rahi thi teri didiya sapne mein...
Nikita (ek nazar apni didi Nidhi ki aur dekhti hai aur uski didi usko kuch na bolne ke liye apna sar hilati hai , apna chehra par ek kamini smile le aati hai): Are mummy, chhodo, kabhi aur bataungi... Waise mummy, khane mein kya banaya ho aap?
Ragini: Tum log jao, pehle fresh ho lo... Uske baad khana khane baithna, toh dekhna ko milega ki kya banaya hai maine...
Nikita: Oh, meri sweet mummy... (Yeh bol kar Nikita jaake apni maa ka gala lag jaati hai...)
Ragini: (pyaar se): Apne haathon mein laga aata, Nikita ka gaalo mein laga deti hai... Oh meri pyaari bachi...
Nidhi: Mummy... This is not fair... Aap sirf Nikki ko hi pyaar karti ho kya?
Ragini: Pagal ho gayi ho kya? Idhar aao, meri dusri phool jaisi bachi...
Uske baad Nidhi sidhe jaake apni maa Ragini ka gale lag jaati hai...
Rakesh ji itni der se ye masti mazak dekh rahe the, woh bhi haste hue bolte hain, "Toh kya mai akela rahun?"
Teeno maa-betiya Rakesh ki taraf dekhti hain aur Nidhi aur Nikita daud ke apne papa Rakesh ka gale lag jaati hain.
Rakesh apni dono bachiyon ke sar par pyaar se haath fhirta hai: Yeh hui na baat... Ab chalo meri pyaari bachiyon, jaake ready ho jao... Nikita, tumhe college jaana hai na? Aur Nidhi, tumhe office?
Nikita aur Nidhi: Haan papa, jaana hai...
Phir uske baad Nidhi aur Nikita dono chale jaati hain apne room mein; idhar neeche Rakesh jaake Ragini ko apni baahon mein le leta hai aur apne seena se laga leta hai...
Ragini: Aji, kya kar rahe ho aap?
Rakesh: Apni khubsurat si phool aur khubsurat si biwi ke saath romance kar raha hoon...
Ragini: Hmm, chhodo pyaar raat ko karna, abhi mujhe khana banana hai, chhodiye...
Rakesh: Ragini, mai bahut khus-nasib hoon jo mujhe tum jaisi patni mili hai aur hamare iss parivaar ka teen bachon ka sambhal rakha hai...
Ragini: Sahi kaha aapne... (Aur aankhon se aasu nikalna lagte hain)...
Rakesh (Ragini ke aankhon se aasu poch kar): Ragini, ro mat, mujhe bhi mera beta Siddharth ki yaad aati hai... Agar hum dono royenge toh Nikita aur Nidhi ko kaun sambhalega? Chalo ab rona band karo...
Ragini: Apne aankhon se aasu saaf karte hua...
Rakesh (ek kiss karta hai apni patni Ragini ke forehead par): That's like a good wife...
--------------------------------------------------------------------------
Toh wahi dusri taraf subah hota hi Suraj ki kirne Priyanka aur Pihu ka chehra par aa rahi hoti hai khidki se. Jis se chalte Priyanka jag jaati hai aur dekhti hai ki abhi 5 baj rahe hain. Toh isliye woh bed se uthti hai aur apne side mein so rahi Pihu ko dekhti hai, uska masoom sa chehra aur woh jhuk kar uski forehead par ek kiss kar deti hai. Aur bathroom jaake fresh hone lag jaati hai.
Karib 20 minute ke baad Priyanka bathroom se aati hai, apne badan par towel lapet te hue. Bathroom se bahar aake Priyanka seedhe mirror ke saamne khadi ho jaati hai aur apne aap ko thodi der tak nihar rahi hoti hai.
Pihu ye sab apni aankhon se dekh rahi thi, jo halki halki khuli thi. Jisko dekh kar koi nahi bol sakta tha ki aankhein khuli hain ya band.
Phir Priyanka wardrobe se ek jodi kapde nikaalti hai aur uske saath ek red color ki bra aur panty.
Bra aur jo panty tha woh designer tha, jisme ek top aur ek jeans pant tha.
Priyanka kapde pehenti hai aur fir mirror ke saamne apne aap ko dekhne lagti hai. Aur phir makeup karti hai.

[
Priyanka red bra panty mai kuch Aisa dikh rhi hoti hai ]
Uske baad woh peeche murti hai toh dekhti hai ki Pihu abhi bhi soyi hui thi.
Toh isliye woh neeche aake khana banati hai apne aur Pihu ke liye. Karib 6 baje tak woh apna aur apni choti behen Pihu ke liye nashta ready kar leti hai. Aur fir wapas upar chali aati hai Pihu ko uthane.
Priyanka: Ohh Maharani Sahiba, uth jao!
Pihu (sona ka natak karti hui ): Are sona sone do na... Mujhe neend aa rahi hai... Babu, tum bhi so jao na...
Priyanka (ye dekh kar khush hoti hai): Shayad sapna dekh rahi hogi... Ruk, abhi tera Babu Sona nikalti hoon...
Uske baad Priyanka bed par chadh jati hai aur Pihu ki bump par nazar daalti hai.
Priyanka (Haye meri behan ki kitni sundar si gaand hai, ekdam gol gol! Sorry meri behan, tujhe aj Babu Sona ka maza chakhaugi).
Sochne ke baad Priyanka ek laat maarti hai Pihu ki bump par.
Pihu ko apni bump par Priyanka ka laat padte hi wo harbarati hui uthti hai.
Pihu: ouchhhh .. Kaun hai... kaun hai...?
Priyanka: Main hu teri didi...
Pihu: (aankh masalte hue): Uff didi, kyun subah-subah meri neend kharab kar rahi ho...?
Priyanka: Taaki tu apne Babu Sona wale sapne se bahar aa sake...
Pihu ye sun thoda sharma jati hai, yeh dekh Priyanka ko ek masti sujhti hai...
(Ye sab Pihu isliye kar rahi hoti hai taki Priyanka ko ye na lage ki woh jag rahi hai.)
Priyanka: Waisa Pihu, bata na kaun hai jisko tu Sona keh kar pukar rahi thi...? Kahi koi ladki toh pasand nahi kar li... Haye Bhagwan, ye kya ho gaya, meri behan toh lesbian nikli!
Pihu: Kya didi, aap bhi aisa kuch nahi hai... Aur agar hota toh main aapko zaroor batati...
Priyanka: Haan, woh toh hai... Waisa chal uth ja, maine breakfast bana diya hai, jaldi se fresh ho kar aa niche...
Pihu: Aati hun didi...
Uske baad Pihu bathroom fresh hone chali jaati hai aur Priyanka neeche aake khana set karne lagti hai dining table par.
Kuch der baad Pihu neeche aati hai aur aake seedha dining table ke ek chair par baith jaati hai.
Pihu: Waisa didi, aap subah subah kahaan ja rahi ho?
Priyanka: Yaar, ek case ka silsila lekar ja rahi hoon.
Pihu: Didi, aap case bata sakti ho?
Priyanka: Tumhe kyun jaana hai?
Pihu: Are didi, aisa hi... main bhi toh dekhun ki koi aasan case hua toh main solve kar dungi... Aapko apna dimaag chalana nahi padega.
Priyanka: Acha bacchu, bahut hoshiyaar samajhti ho apne aap ko?
Pihu: Didi, ismein samajhne ka kya hai... main toh hu hi hoshiyaar.
Priyanka: Acha bacchu... Toh sun, case hai ki hamare sheher mein bahut si ladkiyaan gayab ho rahi hain... Aur humein pata chala hai ki ek aadmi hai jiska connection is case se ho sakta hai aur woh aadmi hamesha ek hi dukaan par aata hai aur bahut zyada amount mein aate hain aur chawal ki boriyaan le jaata hai... Toh ho sakta hai ki us aadmi ko pakadkar hum kidnapping gang tak ponch sakte hain aur saari ladkiyon ko bacha sakte hain.
Pihu: Toh iska matlab aap pehle intezaar karengi... Jaisa hi woh shikaar ke jaal mein phasega, aap usse apne kabze mein kar logi.
Priyanka: Hmmm, sahi samjhi tum... Ab bata, kya bolegi ismein tum?
Pihu thodi der sochti hai aur fir bolti hai...
Pihu: Ufff didi... Main apne is dimaag ko pareshan nahi karna chahti... Mujhe laga ki aise case honge jaise chori, accident, waqera waqera lekin yahan toh case bahut gambhir hai... Sorry didi, is mamle mein main apna dimaag nahi chalungi.
Priyanka: Acha bacchu... Bahut hoshiyaar ban rahi thi... Ab aagayi na akal thikane?
Pihu: Nahi didi, aisi koi baat nahi hai. Asal mein, main apna dimag aise mamle mein nahi daurna chahti, isliye aapki madad nahi kar sakti. Varna aisa koi nahi hai jiska dimag Pihu se zyada ho, samjhi aap? (thoda gussa se)
Priyanka (apne chehre par smile laaye hue): Haan baba, samajh gayi... Chal bye, main chalti hoon. Aur apna dhyaan rakhna. Kahin bahar jaogi toh mujhe phone karna, pehle samjhi...
Pihu: Theek hai didi.
Uske baad Pihu Priyanka ko hug kar leti hai aur bolti hai, "Aap apna bhi khayal rakhna, samjhi meri bachi," smiles ke saath.
Priyanka ke chehre par bhi smile aa gayi aur woh Pihu ke gaal ko chumm leti hai... "Haan meri maa."
Phir dono behne hasta hain... Uske baad Priyanka nikal jaati hai DEAR GENERAL STORE ke area ke paas... Toh wahi Pihu abhi bhi ghar mein dining table par baith kar kuch soch rahi hoti hai...
"Kya main didi ka peecha karu... Ho sakta hai didi wahi ja rahi ho jahan par didi ne woh file rakhi ho. Didi mujhse bhala kyun jhoot bolegi?"
"Ek minute, agar sahar se ladkiyan kidnapped hui hain toh ye news ab tak toh newspaper par chap jaani chahiye thi aur sahar mein hungama mach jana chahiye tha. Lekin aisa toh abhi kuch bhi nahi hua hai, tab didi kahan gayi hogi?"
Pihu kuch der tak sochti hai.
"Hmm Pihu, chal apne hone wale pati dev ke past ke baare mein jaan na hai toh Priyanka didi ka peecha karte rehna padega, har samay ye khabar rakhni padegi ke woh kahan ja rahi hai."
Uske kuch der baad Pihu bhi ready hokar bahar nikal jaati hai... Aur bahar taxi le kar nikal jaati hai...
____________________________________________________________
Ayesha & Priyanka apne apne mission pe lge pare h
Bechra Bittu usko to kuch bhi achha nhi lag rha jab se vo Nikita ke ghar se aaya h
Idhar Nidhi thora or der sapna dekhti to bat kiss se aage badh jati

akhir kon h vo launda
Update mast tha or long bhi to or maja aaya
