Toh aakhir Aarav ne sub challenges ko pura kar ke Deathwatchers ko duvidha me daal diya. Kahan weh maut ka khel dekhna chahte the, ab unhe apne paise udte huye dikhne lage aur sab Stage 2 ko pura kerne ki request kerne lage.
Malphas Aarav se kafi impress dikhta lag raha hai, ho sakta hai ki weh C.O.D. se nikalne ke baad Aarav ka friend ban jaye.
Eren ka character pehle bahut kharab laga tha lekin jis tarah se weh Mira ka saath de raha hai, padh kar accha laga. Kuch to usme insaniyat hai. Old Man to pehle hi Aarav ka abhaari ho gaya hai, yahan Yoo-Jung ne Eren ko bacha kar usko bhi apni team ka abhaari bana liya, halanki usne keval apna challenge pura kiya. Idhar Mass execution bhi complete ho gaya.
Game Master ko Aarav ne bahut hoshiyari se murkh bana kar 'Anti-Mana Zone Artifact' activate kar diya. Game Master ke saath kya game khela ha, kyon ki koi bhi player game ke rules ke hisab se Game Master par attack nahi kar sakta hai, usko Undeads se hi trap karva diya, aur aakhir me Undead Arthur se hi marva diya.
Uska jeevan waise bhi bahut krurta se bhara hua tha, apne hi mata-pita ki mrityu ko live stream kar raha tha.
Ab dekhna hai ki Stage 3 par kaun Game Master aata hai. Kahin Dungeon Master khud na aa jaye aur Aarav usko marva kar pura C.O.D. ko khatam na kar de.
Again, a great update.