Dr ragini trivedi sgs hospital ke surgery department ke chief thi.. Sgs hospital shahar ka jana mana hospital tha.. Dr. Ragini ki umar 35 hai..
Uske cabin mai uske junior aur kuch staff nurse khade the.. ragini aab gusse mai thi.. Kyon ki icu mai koi nightshift ke liye wardboy nahi hone ke wajah se kal 2 patients jada hi critical ho gaye the aur us wajah se uske senior ne use danta tha..wo surgery department ke chief ke saath wo icu ki incharge bhi thi.. Uske senior ne use kaha tha kuch bhi kah ke aaj ke aaj night duty ke liye ek ward boy appoint karo.. aur yahi wo aab iss waqt aapne junior ko kah rahi thi.. kah rahi thi ya daant rahi thi ..
Agar aaj wardboy nahi mila to nilesh icu ka kya hoga
Madam hum dekh rahe hai
Sirf dekhane se kya hoga.. tumane dekha na us 2 patients ki halat kya ho gayi thi.. Yaha raat ko koi na koi chahiye na
Haan madam
Tabhi kavya aati hai .. uske cabin mai.. Wo ek staff nurse thi..
Madam ward boy mil gaya
Tab ragini kahte hai
Kon hai tumare pachan ka hai kya
Nahi nahi madam
Sister didi ne bheja hai.. Kya naam hai uska..
Wo yaad karne lagi..
Naam jane do.. Kab aane wala hai
Golu naam hai.. Unke colony mai rahta hai..
Age
20-25 ka hai
Payment ka kuch bola
Nahi
Thik hai mai baat karti hu..
kuch qqualification aur experience ke bare mai pata hai..
nahi na madam.. Sirf itana pata hai madam aaj se join karne wala hai..
pakka
didi ne aisa kaha hai..
uska number lelo aur baat karo..
number liya hai par switch off aa raha hai..
shit ye aayega ya nahi
aayega aaayega.. didi ne kaha hai to aayega hi..
call lagao manda didi ko
aur phir nandini manda didi ko call lagati hai..
Ragini - sister didi ladka kaisa hai.. Experience hai kya
experience nahi hai par sab kaam karega maine nandini ko sab bata diya hai..
tum achhe se janati ho
haan
thik hai .. Par payment ka kya.. Aapne payment mai karega
usko 25 bola hai
maang gaya
35 maang raha tha
phir
aap dekh lo