• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
beta raanu uth jaa beta subha ho gayi kab tak soyega..?? maa apne chote se bete rehan ke sar se kambal

khincte hhue kehti hai..
ummmmmm...chone dijiye na ammi jaan abhi chulaj ( suraj ) bhi kha nikla hai..??
chota sa rehan apni pyari si totli zaban me apni maa se kehne laga or wapas kambal apne moo par daal kar so gaya...
are beta suraj nahi nikla to kya hua tujhe jungal se lakdiya bhi to katni hai phir unhe bazar le jakar bechaga tabhi kuch paise milenge or humare ghar ka chula jalega...
warna aaj dinbhar tujhe or mujhe hum dono ko bhuka rehna padega..
jaise hi rehan ki maa ne usse ye kaha wo foran bistar chod kar uth gaya ...
nahi ammi jaan.... mere rehte hue aap kaise bhuki reh shakti
hai...
mai abhi jaakar kuch intejaam karta hu....
maa ko apne is chote se laadle ki itni badi badi baate or apni maa ke liye itni parwaah dekh kar bohat khushi hoti hai..
or woh muskurakar rehan nke mote mote gaalo ko pakad kar khincne lagti hai...
sach me bechara rehan tha hi kitna bada..??
tab hi guzar chuka tha bas apni maa ke sath jungle se lagi hui ek choti si
jhoppdi me rehta tha maa ne bhi jaise taise karke use itna bada kar diya tha gharo me bartan maajhti jhadu katka karti
or kisi tarha apna or apne bete ka pet paal liya karti thi..
par ab na jane use kaun si bimari ne jakad liya tha haath pair se zyada kahi chal phir nahi paati thi..
bas apni hi jhopdi me padi hui idhar se udhar thoda bohat chal liya karti thi usse zyada mehnat ke kaam bhi nahi ho pate the ,,
isi liye rehan abhi zara sa hi bada hua hoga ke uski maa ki ye halat
dekh kar usne apni 6th standard ki sari ki sari kitabe phad kar henk di thi kuke ab halaat to itne kharab ho chuke the ke ghar me daane daane ko mohtaaj ho gaye the study kaha se karte..
ab wo roz subha jugal se kuch sookhi lakdiya or gaay bakriyo ka
chaara ikathha karta or use gaao ke paas hi ek mandi me le jaakar bech deta tha ..
jo bhi thode bohat paise aate the usse apna or apni maa ka guzar basar kar liya karta tha..
aaj bhi uski maa use subha subha isi liye uhta rahi thi taaki wo jaldi se jungle se lakdiya wagaira chun kar laaye kyuke mandi subha subha hhi lagti thi or ye sare samaan subha subha hi bik jaya karte
isi liye rehan ko roz subha tadke hi uthna padta tha.. waah re mere laddu bohat bada ho gaya hai re
tu to apni maa ki bohat chinta hai tujuhe haina..
haan hikar karu bhi kyu naa..??
koi 2-3 nahi ek hi to maa hai meri...
ale ,,ale mele raja beta aaja mere aas aa..
or rehan ki ammi rehan ko apne chote se or pyare se bete ko gale se laga leti hai... rehan jaldi jaldi moo hath dhota hai or bhukhe pet hi jungle ki taraf jane lagta hai.. jate waqt wo apni maa se poochta hai..
ammi jaan... haan beta..
sab log kehte hai ke humare jungle me bohat chale bhoot pilet or bade bade rakshas kya ye baat sach hai..??
are beta aaj ke zamane me insaano se bada rakshas is duniya me koi nahi hai... insaan naam ke rakshas se har bhoot har pret darta hai....
tu in sab baato ki fikar mat kiya kar meri duaai hamesha tere saath hai koi bhi kisi bhi tarha ki chiz tera kabhi kuch nahi bigaad sakti samjha..?
ji ammi jaan mai to roz jungle se aana jaana karta rehta hu mujhe bhi aaj tak waha kuch bhi nazar nahi aaya..
s haan beta ye sari chize bina matlab kabhi kisi ka nuksaan nahi karti
gaao wale waha jane se darte hai kyuke unhone khud galat kaam kiye hue hai..
ye chize unhi ar haawi hoti hai jo galat hota hai ya unke aade aata hai..

agar unhe nuksaan ohchaya jaaye taabhi wo alat kar waar karti hai.. tu aisi chizo ke raste me kabhi mat aana samjha ...???
thik hai ammi jaan mai is baat ka khyal rakhunga..
or agar koi mele laaste me aayega to mai unhe tumhala ??s naam bata dunga thik hai naa.???
rehan ki maa rehan ke is bhole pan par muskurar kar reh jati hai.. thik hai beta ab jaldi jaa warna mandi shuru ho jayegi or
tu bhi der se pohnchega,,
thik hai ammi jaan mai jaa laha hun.. alvida..
alvida mere bacche..
rehan ki ammi ane nanhe se bacche ko ani aankho se door ghane jungalo me jate hue dekhne lagi..
darr to use bhi lagta tha ke itni s nanhi si jaan akele kaise is bhayanak jungle me kaam karega..
par kliya bhi kya ja sakta tha...
rehan ke ilawa us ghar me kamane wala koi or mard nahi tha...
wo khud ab kisi kaam ki nahi thi warna wo rehan ko kabhi aise akele jungle me jane nahi deti..
rehan ke chacha chachi bhi usi gaao me rehte the ppar wo log in maa bete se kabhi koi rishta nahi rakhte bas ye dono maa bete hi jungle se lagi hui is ek choti si jhopdi me pade
rehte the..
rehan apni msatime chala jaa raha tha ghana jungle hai par use is baat ki koi parwaah nahi thi...
ye to uska roz kaa kaam tha,,
jungle me jaana sukhi lakdiya chunna or bariyo ke liye haari chaara todna.. ek do dino se use raste me ek darwesh baba dikhayi dene lage...
wo ek bargad ke edh ke niche akele bhaithe rehte or aankhe band kiye na jane kya kya mooh hi mooh me bad badaya karte un ke mooh se koi awaz to nahi aati ar hont barabar hilte rehte the..
aaj rehan raste se jaate jaate ruk gaya or thodi der khada reh kar darvesh baba ko dekhne laga..

aage bad kar wo unke kareeb gaya ...
usne dekha ke darvesh baba jis jaga kar bhaithe hai
wo jaga kafi gandi hai or waha kide makaude bhi chal rahe hai..
use ye baat achi nahi lagi usne dhire se awaz lagai baba...
darvesh baba ki aankhe band thi par rehan ki awaz sunkar unke hont hilte hilte ruk gaye..
or unhone apni aankhe khol kar rehan ki taraf dekha..
baba aap bas ek mint ke liye apni jaga se uthiye naa.. baba ne rehan ki is baat ka koi jawab nahi diya
bas chup chap uski baat sunkar apni jaga se uth kar bazu me kahde ho gaye..
rehan ne nariyal ki ek badi si patti kahi se utha kar layi or darvesh baba ki bhaithne ki jaga par jhadu marne laga..
us jaga ko ache se saaf karne ke baad usne waha par kuch narm or aramdayak pattiya lakar bicha di taki baba yaha araam se bhaith sake..
baba rehan se thodi hi door khade uski sari harkate dekhe jaa rahe the..
unke honto par ek muskurahat si aagayi wo rehan ko bas ek tak dekhe jaa rahe the.. rehan ka dhyan baba ki tarf nahi tha wo to bas apne kaam me magan tha ..
thodi der baad rehan ne wo jaga achi tarha saaf karli.. or baba ki taraf mud kar unse kaha..
baba ab aap bhaith jayiye keele makule nahi katenge aapko... baba muskurate hue ani jaga aaye..
or bhaithe hue rehan se kaha..
kya naam hai tera..??
ammi ne to mela naam lehaan ( rehan ) rakha hai baba..
hmmmmmm...
yaha itne ghane jungle me akele kya kar raha hai..?? rehan ne apni sari kahani baba ko suna di

baba ne rehan ki sari bate sunne ke baad usse kaha.. thik hai ab jaa apna kaam kar le..
or rehan apna kaam me lag gaya...
bechara khud chot sa or chote chote haath kaha tak lakdiya or chaara jama karta jitni uske haatho me taakat thi wo sari laga kar usne sookhi lakdiyo or hari pattiyo ka ek ghatra banaya...
or utha kar use apne kandho par laada or waha se nikal pada mandi ki taraf.. jate waqt bhi use wahi baba bargad ke ped ke niche bhiathe hue mile
par phir unki aankhe band thi or wo na jaane kaun si duniya
me magan the ..
rehan unhe dekhta hua aage bad gaya...
mandi pohanch kar usne apna puarana bora bhichaya..or laga a awaz maar kar apna samaan bechne ..
baklii ka chaala lelooooo.........jalawan lakdiyaa leloooooo... aye chaaalee waaaalaaaa... leloooo bhai leloooo..
raste kaa maal saste me lelooooo...
bohat se log to sirf uski totli awaz sun kar hi ruk jate or use dekh kar muskurane lagte phir aage bad jaaya karte..
dhire dhire karke uska sara ka sara maal bik gaya.. maal tha hi kitna ..???
jitni bechare chote se rehan ke hatho me jaan thi utna hi utha kar laa pata tha koi or sadhan to tha nai uske paas jo zyad maal lakar zyada paise kama pata...
bas jo bhi mila usme uparwale ka shukar ada kiya or waha se raashan ki dukaan se ghar ke liye jo bhi laga wo rasha khareed liya...
or usi bore me apna samaan lapeta or usi bore ko apne kandho pe daal ke apne ghar ki taraf nikal pada.. ghar me maa shayad usi ki raah dekh rahi thi..
jaise hi wo ghar me aya.. maa ne usse kaha.. raanu agaya beta...??

kaisa raha aaj ka din ..??
acha tha ammi jaan maine aaj bhi acchi tamai ti ( kamai ki )..
ye dekhiyei rashan bhi laya hoo chaliye jaldi se khana banaiye mujhe bohat zoro ki bhuk lagi hai..
thik hai beta maine chulha pehle hi jala kar rakh diya tha..
jaa tu haath moo dhokar aaja tab mai kuch bana leti hun phir hum dono sath bhith kar khayenge,,,
thik hai maa ..
or rehan bahar rakhi hui paani ki naan me se pani nikal kar hath moo dhone lagta hai.. uski maa andar chulhe ke paas bhaith kar kuch pakane lagti hai...
thodi hi der me kahan ban jata hai..
or dono maa bete mil kar sath me khana khate hai...
isi tarha in logo ki zindagi tangi me magar khushi se guzar rahi thi..
jo bhi mil jata usi me ye log hamesha khush rehte kabhi or zyada ki lalach in logo me nahi thi....
par waqt ki godh me rehan ke liye khuch alag hi kahani likhi jaa rahi thi..

nanhe se rehan nahi maloom tha ke aage jaakar uske saath kya kya hone wala hai.. ??
isi rehan ki zindagi me bohat si takleefe or dukh dard shamil the par uska nanha sa rehan shayad in chizo ka matlab bhi nahi janta hoga...
wo jab subha
apne nanhe nanhe hatho me lakdiyo ka bojh uthye
bazar ki taraf jata to use apne sath ke apne hum umar bacche apni hatho me school ka bag pani ki botal or teffin box liya apni apni schoolo ki taraf jate hue nazar aate
 
Last edited:

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
rehan badi hi hasrat bhari nighaho se un baccho ki taraf dekhta.. uske dil me bhi hook uthti hai ke..
kaash mai bhi kabhi in bacho ki tarha school jata..

par acahank se uski aankho ke saamne uski bimaar maa ka chera aajata hai..

or wo jaldi se is khayal ko apne zehan se jhatak deta hai ..


nahi..nahi agal ( agar ) mai ishcool jaaonga to meli ammi jaan ka khayal kaun lakhega...??

or wo apne kandho par lakdiyo ka ghattha lekar mandi ki taraf nikal jata .. isi tarha rehan ke din or raat katne lage ..
uska roz yahi kaam tha subha savere uthna jungle se lakdiya laakar
bazar me bech dena or jo bhi thode paise mile unse thode se chawal aata
or daal kharidna or apni maa ka or apna pet inhi mamooli or ubli hui chizo se bharna..


wo kabhi kabhi apne chacha chachi ke gahr ke aas se bhi guzarta tha.. chachi ki 2 betiya or ek chta beta tha..
paiso ke male me ye log rehan ke ghar se bohat ameer the...

chachi ki badi beti rehan se 3 saal choti thi kabhi kabhar rehan
unke ghar ke taraf se guzarta to use apne chacha ki badi beti khelte hue nazar aajati or or rehan bhi ruk kar thodi der uske sath khelne lagta na jane kyu rehan ko dekh kar us
ke chere par ek bohat hi yari or bholi si mukaan aajati or nanhe rehan ko bhi uske sath khelna bohat acha lagta tha..

wo dono hi gudiya gudde ka khel khela karte jisme cahachi ki badi beti neha biwi banti or rehan uaka pati ban jata ....
neha ki chote bhai behan un dono ke baccho ka role play kiya karte the..


neha or rehan dono hi sath sath ye khel khela karte.. neha rehan se kehti..
suniye ji... aaj aap bazar se aate aate mere liye chameli ke phoolo
wala gajra lete ayyi ga..

neha ke maqaable rehan totli awaz me kehta tha kyuke uski zabaan abhi saaf nahi hui thi..
uski awaz sunkar neha or uske chote bhai bheno ka bada maza aata tha.. haan ...haan ..jalool jalool ( zaroor zaroor)
lekal aaounga tumhale liye tomai chaand taale bhi tol ke laa
sakta hun ye chota sa jajra ( gajra ) kya chiz hai..

rehan ki aisi totli awaz sun kar wo teeno ke teeno bohat haste hai.. aap to bohat totla totla kar bolte hoji..

apni zabaan ka ilaaj karwaine..

na jaane ye chote chote bacche aise badi badi bate kaha se sun liya karte the..

unki acting dekhne laik hua karti thi shayad ye bacche bado ko dekh kar hi seekha karte the ... acahnak hi gahr se chachi ki awaz aati hai or ye teeno ghar ki or daudne lagte hai..
jate jate neha rehan se kehti hai kal phir aana rehan hum sab kal phir sath me yahi khel khelnghe.. tumhre sath is khel me mujhe bada maza aata ahi..

rehan bhi muskurakar kehta hai.. haan ..mai aaounga jalool aaunga..
or neha rehan ki baat sunkar ek baar phir haste hue waha se bhag jatai hai.. rehan bhi kuch der wahi khad use jate hue dekhne lagta hai....
jab neha chali jati hai to rehan bhi waaha se aage bad jata ahi...
aaj phir ek nayi subha hui rehhan roz ki tarha subha tadke hi uth gaya sahaya aaj maa ki tabiyat kuch kharab hai isi liye wo abhi tak nahi uthi ..

rehan bhi maa se kuch nahi kehta or hath moo dhokar jungle ki taraf jane lagta hai..

kyuke raat me khana nahi khaya tha or subha ka nashta bhi nahi kar paya tha isi liye use bohat zoro ki bhuk lagne lagti hai...

wo in jaugli jhado me apne khane ke liye kuch dhudne lagta hai.. acahanak hi uski nazar ek tendoo ke ped par padti hai..
bohat bada ped tha us par chadna to rehan jaise chote se bacche ke liye imppossible tha...

par phir bhi rehan us ped ke kareeb gaya waha jkakar usne dekha ke ped ke niche kuch pake hue meethe tendu ke phal gire pade hai ..

rehan ne un phalo ko jaldi jaldi chun kar apne bore me daal liya or waha se aage badne laga.. raste me wahi darvesh baba mile..
rehan unke paas gaya or unse kaha ...........

baba utho.......

baba phir apni jaga se uth gaye ...

rehan ne apna bora ek side me rakha or darvesh baba ke bhaithne ke liye us jaga ko saaf karne laga...

ye ab rehan ka roz ka kaam sa ban gaya tha ..


wo roz jate waqt baba se milta or unke liye bad ke phed ki neeche ki jaga jaha wo bhaith kar ibadat kiya karte the us jaga ko ache se saaf karta or phir unhe waha bhaitha deta pped se kuch door hi ek choti si gaas hus ki j jhopdi thi jaha shayad baba rehte the...

aaj phir reahn ne bina kuch bole bina kuch kahe baba ki us jaga ko saaf kar diya.. or baba bas use dekh kar muskurate rahe,,,
lo baba maine aap ki jaga saaf kardi ab aap araam se bhaith jao ...

itne dino se rehan ke is khidmat se baba ko rehan se lagao sa ho gaya tha baba apni jaga bhaith gaye ..
rehan bhi unke samne aakar bhaith gaya or apne bore me se sare tendooo ke phal nikal kar baba ke samne rakh diye..

lijiye baba aaj mujhe raste se aate aate kuch phal mile hai mai janta hun ye kuch zyada nahi pal phil bhi aap khalo..

baba muskurakar rehan ki taraf dekhte hai..

rehan ke bhole se chere ko dekh kar unhe uspar bada pyar aata hai.. wo usse poochte hai..
kya tune kuch khaya hai..?? rehan na me sar hila deta hai..
to pehle tu khale agar in mese kuch bachega to mujhe de dena...

nahi baba ppehle aapp khao phil mai khaunga.. aap mujhse bale ho na isi liye.. bab phir se muskurane lagte hai..
acha ek phal tu utha ekj mai uthata hun.. dono sath me khayege..
thik hai baba..

or reha or baba ek sath phal utha kar khane lagte hai..

pphal khatam hone ke baad rehan arvi ke ek bade se patte me paas hi ki ek nadi se pani lekar aata hai..
or baba ko ppilata hai..

chaliye baba ab mai jata hun jaldis se ladiya lejakar mandi me bechni bhi to hai mujhe..


or rehan apna bora utha kar waha se aage badne lgata hai.. acahanak se hi use pich se awaz aati hai..
ruk jaa rehan...

rehan ke badte hue kadam ekdum se ruk jate hai.. ye darvesh baba ki awaz thi...
rehan palat kar unki taraf dekhne lagta hai.. idhar aa mere paas aakar bhaith thodi der..
rehan kuch nahi kehta bas chup cahp baba ke samne jaakar bhaith jata hai.. baba rehan ki aankho me dekhne lagte hai or muskurate hue kehte hai..
rehan beta tune meri itni khidmat ki hai par iske badle me tune aaj tak mujh se kuch maanga kyu nahi..??? rehan baba ki baat sunkar muskurane lagta hai..
or bade hi bholepan se kehta hai..

baba.... aap to ek chote fakeel ( fakeer ) ho aap ki jhopli ( jhopdi ) bhi choti si ghaas poos ki hai..

mai aapse kya mangu... ??
or agar kuch maanguga bhi to aap mujhe kya de sakte ho..??


or mai aap ki mada sirf isi liye karta hu ke mujhe acha lagta hai aap ke kaam karne me maza aata ahi or kuch nahi.. haan beta maine tere dil ko phada hai tere dil me kisi ke liye koi burai koi PM nahi hai ek kora kagaz hai tera dil

or mera dil kehta hai ke mai tujhe kuch doo..??

nahi baba mujhe aap se kuch nahi chaiye bas aap ne itna keh diya utna hi kafi hai.. or mujhe bhi pata hai ke aap ke paas aisa kuch bhi nahi jo aap mujhe de sake.. rehan ki baat sunkar baba muskurane lagte hai...
or rehan se kehte hai..

mere thoda or kareeb aaja beta.. rehan baba ke or kareeb ajat hai..
baba rehan ke sar par hath rakhte hai or apni aankhe band karke

kuch padne lagte hai rehan kuch sun to nahi pata par use baba ke hont barabar hilte hue nazar aate hai acahnak rehan ki aankhe band hojati hai..
use ek ajeeb si takat ek ajeeb sa bharipan or bechaini si mehsoos hoti hai,,

use bilkul aisa lagta hai ke bohat hi bhari sa wazan uske seene me utara jaa raha ho.. uske dil ki dhadkane tak use apne kano me sunayi dene lagti hai...
bohat hi ajeeb sa or anokha ahsaas tha ye use kuch bhi samajh nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha hai..??

usne laakh koshis ki ke apni aankhe khol sake par uski aankhe khul nahi paa rahi thi.. or takat or bechaini ka ye anokha ahsaas use pagal kiye de raha tha..
use yu lag raha tha ke bohat si chize bohat si bate or bohat si ajeeb ajeeb na samajh me aane wali
baate uske dil me bohat hi tez raftaar se ghusti chali jaa rahi hai na hi uspar rehan ka kaboo tha na hi uske dil kaa...

is kuch der ke wakfe me hi na jane usne apni band aankho se kya kya dekh liya tha or uska zehan roshan sa ho gaya tha.. ye ajeeb sa ahsaas jab uske bardast ke bahar ho gaya to badi hi mushkil se uske honto se awzaz nikli ...
bbb...bbb..baba ..ye mujhe kya ho raha hai mujhe band aankho se ye kya kya nazar aa raha hai.. mera seena mujhe itna bhali bahli ( bahri bhari ) kyu lag raha hai aap mere sath kya kar rahe hai..?? or thodi der baad baba rehan ke sar se apna hath hata lete hai..
shan apni aankhe khota or dekhta hai ke baba ke saanse bohat tez chal rahi hai.. poora ka poora chera paseene se tarbatar ho gaya hai ..
rehan ne jab baba ki ye haalt dekhi to usne jaldi se unhe sambhla or unse poocha... baba ye aapko kya hogaya hai baba..
bab ne badi hi mushkil se awaz nikal kar kaha .. ppp.pp.pani ..pani pildo mujhe beta..
hhh.hhhh.han baba abhi laya aap yahi .. 'mai ,,,,abhi apni lekar aata hun..

rehan turant arvi ka wahi patta lekar nadi ki taraf daudta hai ..

par ye kya uski daudne ki arftaar ppehle se kayi guna zyada tez ho gayi thi..

wo bilkul aise daud raha tha jaise koi chita appne shikar ke eeche apni ppoori raftaar se daudta hai.. or uska zehan bohat hi etzi se kaam karne laga tha raste me aane wali kaatiyo or pedo ki

daaliyo se wo badi hi tezi ke sath apne aap ko bachate hue.. daudne laga wo

hairani se apne pairo ki taraf dekhta hai par use kucha samajkh nahi aata hai..
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
daudne ke liye wo apni takat utni hi lagat hai jitni ki pehle lagaya karta tha par ab na jane kya hua uski ye raftaar kai 100 guna bad chuki thi..

wo nadi ke 10 mint ke arste ko 1mint me pura kar leta hai or jaldi se arvi ke patte me pani bhar kar baba ke paas wapas ajata hai or unhe paani ppilata hai..

paani peene ke baad baba ki halat pehle se vthik ho jati hai.. rehan baba ki taraf hairat se dekhta hai,..
baba aap ko kya hua tha..

kuch nahi beta jab jism se takate jati hai tab jism thoda kamzor sa ho jata hai..

mera jism bhi zara der ke liye kamzor ho gaya tha par ab mai thik hunn.. baba pata hai abhi mere sath kya hua..??
mujhe sab pata hai beta tujhe baatne ki koi zarurat nahi hai.. or baba rehan ki bat kat hue kehte hai..
beta tu bachpan se hi KAALE ZEHAN ka malik hai ye baat mujhe usi din pata chal gayi thi jis din tu pehli bar mere paas aya tha..

or jo takate maine tujhe dee hai in takato ki wajha se teri in zehni takato me bhi bohat nikhar aa jayega...

( ENGLISH ME KAALE ZEHAN WALE INSAAN KO BLACKEES KAHA JATA HAI
IS TARHA KE KALE ZEHAN WALE INSAAN KARODO ME EK HOTE HAI OR IS SOCH OR IS TAKAT KE BALBOOTE PAR WO JISE CHAHE USE APNE WASH ME KAR SAKTE HAI WO JAISA CHATE HAI WAISA HI HOTA HAI
JAISA SOCHTE HAI AGLA INSAAN WAISA HI KARTA HAI....
UN KE JISM SE EK AISI KHUSBOO NIKALTI HAI JISKI WAJHA SE KAI LOG UNSE AKARSHIT HOTE HAI OR ISI ATTRACTION KE KARAN WO IS INSAAN KI TARAF KHINCHE CHALE AATE HAI
KAHA JATA HAI KE PURI DUNIYA ME KAALE ZEHAN KI TAKAT RAKHNE WALI SIRF ..100 YA 102 LOG HI HAI JINME YE TAKAT GOD GIFTED HAI...
ISKE ILAWA OR BHI KAI TAKATE OR CHIZE HAI JO AISE INSAN KE PAS HOTI HAI JO MAI AAGE WQAT AANE PAR BATATA CHALA JAAONGA )



Tujhe aaj se duniya pehchanegi....

ye ek sacche darvesh ka qaul ( wachan ) hai..

or rehan baba ko hairat bahri nighaho se dekhne lagta hai ....


yaha se rehan ki roohani takato ka khel shuru ho jata hai..

ab aage aage uski zindagi in takato ki wajha se kaun kaun se mod lene wali hai ye khud bechara nanha rehan bhi nahi janta tha...
baba ne apni jholi me haath daal kar ek soorme ki choti si kanch ki shishi nikal kar rehan ke hatho par rakh di..

ye kya hai baba..?


beta ise soorma kehte hai..
ye mujhe kisi ka diya hua tohfa hai par mujhe kabhi iski zaroorat nahi padi ..
tu ise rakh le ye chiz tere kaam aayegi..


par baba iska mai karunga kya..??


jab kabhi bhi tu pareshni or tangi me ghir jayega is soorme ek selaiyi ko apni aankho me laga lena tujhe apni preshaniyo ke hal khud teri hi aankho se dikhayi dene lagenge..



or bhi kai chize or takate tere andar maujood hai beta jo waqt ke saath nikhati or swarti chali jayegi...

jaise jaise tu bada hota jayega teri dabi hui takate bhi teri badti umar ke sath badti chali jayegi...
par beta ek baat yad rakh,,,
ho sake to tu aoni in roohani takato ka istemal soch samajh kar or kisi ki madad karne ke liye istemal karna..
in chizo ke galat istemal se hamesha gurez karna mere bacche.. tu samajh raha haina mai kya keh raha hu..


rehan apna sar haan me hilate hue kehta hai.. han baba mai samajh gaya..

chal ab jaa apna kam dekh le ..
or in takato se ghabrana mat ye tujhe kabhi koi nuksan nahi pohchayegi par inke dikhawe se bhi hamesha bachna logo ke samne apni in takato ka dikhawa mat karne rehan..
kuch din tujhe apni in nayi salahiyato ki wajha se thoda ajeeb zaroor lagega par bad me tujhe in chizo ki adat pad jayegi..


thik hai baba mai sab samajh gaya .. kya ab mai apne kam pe jaou..??

acha beta jaa..

or rehan baba ke pass se uth kar andar janglo ki taraf lakdiya chunne nikal jata hai...

sach to ye tha ke wo bechara bas baba ki han me han mila raha tha
par uske samajh me to kuch bhi nahi aaya ke baba aakhir usse keh kya rahe the..??


khair wo baba ki bato ko apne zehan se jhatak kar apne kam me masroof ho gaya..

aaj kam bohat jaldi ho gaya..

usne jaldi jaldi sari lakdiya jama ki or use apne kandho utha kar mandi ki taraf chal pada..

isi tarha se din guzarte chale gaye..
or rehan bhi waqt ki is chakkar ke sath or bada ho gaya.. darwesh baba us din ke bad use dobara waha nazar nahi aaye..
rehan ne kai bar unki khali jhopdi me jaker dekha jungle me unhe dhoondha par wo use kahi nazar nahi aaye..


rehan ko kabhi kabhi baba ki bohat yad aati..



ab rehan apna zyada tar waqt akele junglo me ghoom phir kar hi bitata tha..


us ki roohani takate bhi roz ba roz badti chali ja rahi thi..

ab use ek jaga bhaithe bhaithe hi meelo door ki awaze sunayi diya karti thi..



wo usi ped ke niche jaha baba bhaitha karte the roz thodi der bhaitha karta
or apni aankhe band karke dhyan lagaya karta use apni aankho ke samne apni maa dekhiyi deti jo is waqt ghar me bhaithi uska intezar kar rahi hai..


wo waha se kuch or door dhyan lagata achanak us ke zehan me neha ka pyara sa chera ghoom jata..


wo foran hi neha ke bare me sochta..


use apni band aankho me neha dekhiyi deti..


is waqt wo apni ghar me bhaithi bhaithi kuch sabziya kat rahi thi.. ke achanak sabzi katte katte churi neha ki ungli par lag jati hai
or neha ki ungli se khoon niakl aata hai.. neha rote hue kehti hai kehti ,,
ooch...
ammi... dekho meri ungli kat gayii..



neha......
acahnak rehan neha ko pukarta hai or waise hi us ki aankhe khul jati hai..

wo samjajh jata hai neha ke sath kuch galat hua hai.. sham me jab wo neha se milta hai to uski ungli
par rehan ko patti bandhi hui dekhyi deti hai..


rehan neha se poochta hai..

ye tumhari ungli ko kya hua neha..





kuch nahi,,
wo kya hai aaj subah sabziya katte katte churi ungli par chal gayi isi liye ungli kat gayi..


ab rehan ko pakka yakeen ho gaya tha ke wo jo chize dekhta wo 100 percnt sach hoti hai..
ab rehan apni doosri khubiyo ko bhi aazmane laga..
or wo apni sari takato ko aazmane ke liye junglo ka hi rukh kiya karta.



kyuki kafi ghana or drawna jungle hone ki wajha se aam taur par log yaha
aane se katrate the jiski wajha se rehan ko kisi ke dekh lena ka bhi khatra nahi tha..

par kuch chize thi jo kabhi kabhi rehan ke samajh me nahi aati thi ..


kai bar aisa hota ke jab rehan subah subha lakdiya lane jata to
use pehle se hi lakdiyo ka bana banaya ghatta wahi pada mil jata..??



rehan sochta ke mere ilawa to yaha koi aata nahi phir ylakdiyo ka ye ghatta aya kaha se..


khair mujhe kya karna hai..?? chalo ise hi liye chalta hun..

or rehan us ghatte ko utha kar apne kandho par dal leta.. par ye kya..???

un lakdiyo ka wazan rehan ko kuch bhi mehsoos nahi hota..

use aise lagta hai ke kisi ne upar se us ghatte ko pakda hua hai or wo ghatta rehan ke kadho ko bas chu raha tha us ka wazan rehan par nahi pad raha tha..



rehan ne peeche palat kar dekha par waha koi nahi tha.. bat kafi hairat ki lag rahi thi..??

aisi koi takat to uske pas nahi thi ke ladiya khud ba kkhud jama hokar
ek ghatte ki shakal me band jaye or unka wazan bhi rehan ko apne kandho par mehsoos na ho..??


phir ye sab kya hai..??


wo yahi sochta raha par waqt kam tha or use jaldi se mandi bhi pohancna tha isi liye wo is bat ko nazar andaz karte hue aage bad gaya..


raste bhar use yuhi laga jaise ke uske kandho par kuch bhi nahi rakha hua hai.. ye koi dusri hi shaye ( chiz ) hai jo us ghatte ka wazan sambhal rahi hai..

khaie isi ke saath din guzarte gaye ab rehan jungle se thodi zyada lakdiya laa liya karta tha jiski wajha se paise bhi kuch zyada mil jaya karte the,,


ab wo apni maa ka bade hi ache se khayal rakha karta tha..


rehan ki maa bhi rehan se bohat khush thi wo hamesha apne dono
haath utha kar rehan ko duaye diya karti or pyar se us ke sar par apna haath phera karti..


par shayad kismat ko rehan ke sar par uski maa ka aanchal zyada dino tak raas nahi aaya..



kuch dino bad rehan ki maa apni beemari ke chalte is duniya se rukhsat ho gayi..



ehan jab mandi se anaj khareed kar wapas aaya to use apni ammi jan ki laash uska intezar karti hui mili..


gum or dard se rehan ka kaleja mano phat sa gaya ... ab is duniya me uske liya kya reh gaya..???


ab kaun use duaye dega..??
kaun use apni mamta ke saaye me jaga dega ..??

ab ...
ab... ab kya bacha hai is bacche ke liye is duniya me..??


rehan bohat roya or bohat roya..


jab basti ke kuch logo ko is baat ki khbar lagi to wo bechare insaniyat ke nate is gareeb bete ki maa ko dafnaane chale aaye..


par in logo me bhi rehan ka saga chacha shamil nahi tha ..

rehan ko kisi se pata chala ke wo kam ke silsile me bahar gaon gaya hua hai,.,


rehan ko maa ko dafnane ke bad sare log apne apne gharo ko chale gaye kisi ne is bat ki khabar tak naa li ke rehan kaisa hai..???

ya kya is masoom bacche ko kisi chiz ki zaroorat to nahi..??

par is zalim duniya me logo ko ;MERA OR MAI; se agar fursat mil jaye to wo kisi dusre ke liye soche ..


yahi rehan ke saath hua use kisi na nahi poocha or sab ke sab use jungle se lagi is jhopdi me akela chod kar chale gaye...


kuch din yuhi guzar gaye..

ab rehan wahi rozana ke kam par lag gaya..

lakdiya lejakar mandi me bechta or usse jo paise aate un paiso se thode se chawal or ataa khareed kar apne hatho se apne liye khana banata..

kabhi roti jal jati to kabhi chawal kacche reh jate ... par shayad use in chizo ka koi ehsaas hi nahi tha..

kyuke in sari taleefo par uski ek takleef haavi ho jati thi.. uski maa ka yu achanak use chodkar chala jana..

ye takleef ya ye gham rehan ke liye itna bada tha ke uske saamne duniya ki har takleef use choti lagti thi..


ek do bar neha ke ghar ki taraf se bhi rehan ka guzar hua..


neha samne hi darwaze par bhaithi kitab kiye kuch pad rahi thi jaise hi usne dekha ke rehan ghar ke samne se jaa raha hai usne apni kitab wahi rakh di or daud kar rehan ke paas aayi or uske gale lag gayi.....


neha ne rote rote rehan se kaha..


mujhe tayammi ( rehan ki mom ) ke bare me pata chala bohat bura laga sunkar ke ab tum akele ho gaye ho..
maine ammi se bohat kaha ke mujhe tumhare paas jane do par unhone meri ek na suni
or mere zidd karne par mujhe bohat mara bhi ye dekho neha ne apne daye bazu ki aasteen upar karke rehan ko dikhayi neha ke bazao par lakdiyo se padne wale hare hare nishan ban gaye the...



rehan ne jab neha ke bazuo par chot ke ye nishan dekhe to use bohat gussa aya..

achanak uski aanko ka rang ekdum kala ho gaya...
usne apni aankho ko ek bar aasman ki taraf kiya or phir foran hi zameen ki taraf dekhne laga..

achanak neha ke ghar se uski maa ke chikhne ki awaz aayi ..


neha foran hi bhag kar kar ke taraf jane lagi to reha ne uska hath pakad liya..

rehan ne apni hathli neha ke chot ke nishano par rakhi or uspar apni hathli ko halke se pherne laga ..



neha ne dekh ke uski sari chot ke nishan acanak se gayab ho gaye or jism me jo dard tha wo sara ka sara ekdum se khatam sa hogaya..



wo hairat se rehan ko upar se neeche tak dekhne lagi...

hairat ke mare uski aankhe phati ke phati reh gayi ke itne sare chot ke nishan or itna dard rehan ke ek hath lagate hi kaise gayab ho gaye..???


rehan ne muskurakar kaha..


jao ...
andar jakar apni ammi ko sambhalo unhe tumhari zaroorat hogi..


neha kuch bol nahi payi or chup chap daud kar apne gahr ke andar chali gayi..


ghar me jate hi usne dekha ke uski maa apni kamar sehla rahi hai or langda landa kae chal rahi hai..


neha ne hairat se poocha ..


kya hua ammi aap ko..


neha ki maa ne kharahte hue kaha..


are....
mat pooch mooyi ..aisa laga ke kisi ne hawa me upar utha
kar mujhe bohat zor se zammen par patak diya ho kuch samajh nahi

aa raha ke ye sab kaise hue,,???







acahnak neha ko rehan ki kaali kaali or gehri aankhe yaad aagayi jab usne apni aankho ko ek khas harkat di thi..



to kya ye rehan ne kiya hai..???



acahnak khud neha ke dil ne neha se sawal kiya..
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
rehan ko ye kya ho gaya hai ..??? wo pehle to kabhi aisa nahi tha..

neha ke zehan par rehan kisi pur israar saaye ki tarha havi hota jaa raha tha..


or wo rehan ki is nayi shaksiyat ke bare me sochti rahi....
din yuhi guzarte chale gaye or rehan ab apne aap ko sambhalne laga tha kam wahi pehle jaisa chal raha tha rozana lakidiya kato or bazar me lejakar becho ..

rehan apne hi hatho se jale bhune chawal or aadi tedi rotiya banata or khuda ka shukar mana kar kha liya karta tha..

na hi uske dil me khuch zyada pane ki lalach thi na hi aage badne ki hawas apni isi halat par wo bohat khush tha par apni maa se bichadne ka ghum use andar hi andar khaye jaa raha tha..

kabhi kabhar apne chachi ke ghar jane ki koshish karta par beizzat or zaleel kar ke waha se bhi nikala jata uski chachi use bohat na pasand karti jiski wajha aaj tak khud rehan nahi jaan paya tha..


par kuch din us par aise aaye ke wo kuch samajh hi nahi paya or apne chacha ke ghar ki taraf badne laga..

hua yu ke gao me dange fasaad shuru ho gaye the jiski wajha se mandi 3-4lagatar band thi rehan bechara kuch kar hi nahi paa raha tha us bechare ki rozi roti to usi mandi se hone
wali kamayi par chala karti thi uske pass ka sara rashan khatam ho gaya ab na hi rashan lane ke liye paise bache the or naa hi paise aane ka koi zariya nazar aa raha tha ..

bechare bacche se jab tak bardasth hua usne apni bhook ko paani ke kadwe ghoont pee pee kar bardast kiya par aaj 3 din se upar ho gaye par uske pet me anaaj ka ek dana tak naa gaya..

majboori or kamzori ki is halat me use apne chacha ka ghar yaad agaya kamzor kadmo se rengte rengte wo kisi tarha apne chacha ke ghar tak pohancha..

use andar se khane ki bohat hi badiya khuboo aa rahi thi andar jakar dekha to samne ke hi kamre me neha..

uski choti behan or bhai bhaithe khana kha rahe the..


neha ne jaise hi rehan ko aate dekha wo khushi se muskurane lagi.. or usne kaha..

andar aayiye na.. bahar kyu khade hai..
akar humare saath khane me shareek ho jaiye..

rehan muskurakar aage bada aaisha ne rehan ko apne bagal me hi chatai par bhitha diya or apni plate aage bada kar use khane ka ishara kiya..

rehan ne neha se poocha..

par tum kis plate me khaogi..?? neha ne muskurakar jawab diya..
aap ki plate se kyu kya nahi kha sakti ..??


nahi neha aisi baat nahi hai..


to phir shuru kijiye ab kis ka intezar hai..


thik hai neha khata hun..


or rehan ne plate me se ek niwala utha kar jaise hi apne honto tak laya waise hi ek zordar thappad uske chere par pada ...

rehan ke hath me rakha hua niwala niche gir gaya or kamzori ki wajha se wo bhi ek taraf ludak gaya..

samne hi uski jallad chachi khadi hui thi..


cahchi rehan ko kha jane wali nazro se deekhti hui boli..

namoorad kahi ke ..teri himmat kaise hui mere ghar me kadam rakhne ki tujhe maine bola tha na ke mere ghar ke aas paas bhi nazar mat aana ... phir tu yaha kyu aaya hai..


chote se rehan ki aankho se aansu nikla aaye.. usne badi hi masoomiyat se kaha..

chachi jaan ..
fasaad or jhagdo ki wajha se pichle ek hafte se mandi band hai mere paas jitna bhi khana tha sab khatam ho chuka tha pichle 3 dino se maine kuch nahi khaya aaj jab bhook bardast se bahar ho gayi tab majboori
ki wajha se mujhe aap ke ghar aana pada aap mujhe thoda sa khana khilwa do jaise hi mandi phir se shuru ho jayegi mai aap ke rashan ke sare paise wapas lauta doomga kasam se..


chachi phir dhadti hui boli..


mai kuch nahi janti,,
tu 3 din ka bhuka ho ya 3 mahino ka mujhe tujh se koi lena dena nahi hai.. neha ne aage bad kar kaha..
ruk jaiye ammi jaan wo keh rahe hai na ke aap ko paise de denge
or waise bhi mai unhe apne hisse ka khana khila rahi hun phir aap ko kya takleef hai..??

cahchi ne neha ko ek taraf dhakka dete hue kaha...

tu chup kar neha mere bich me mat bol warna abhi bands ki lakdi se
teri khal udhed kar rakh dungi samjhi chup chap jakar apna khana khatam kar.. or rehan ke taraf dekh kar boli ..
or tu..

paida hote se apne baap ko kha gaya...

uske kuch din baad apni maa ko kha gaya manhoos kahi ke.. ab yaha kya hume khayega manhoos ..??
door hoja meri nazro se or aainda phir kabhi mere ghar me aane ki jurrat mat karna warna mujh se bura koi na hoga,,

rehan phir bhi wahi khada raha..

or neha ke chote bhai behan ko kahte hue dekhta raha..


chachi ne foran rehan ka hath pakda or use ghar ke darwaze se bahar dhakel kar darwaza band kar diya...


rehan ki aankho se achanak aansoo nikal aaye...

ek hasrat bhari nighaho se usne apni chachi ke ghar ko dekha...

takate to uske pas itni thi jiske dum par wo abhi ke abhi is ghar ko gira kar mitti me mila sakta tha... ya apni us chachi ko ek acha sa sabak sikha sakta tha ..
par har surat me takleef neha ko hi hoti or rehan apne aap ko takleef me dekh sakta tha par neha ko...??

kabhi nahi wo neha ko bohat zyada pasand karta tha isi liye wo bina kuch kahe aankho me aansu liye waha se aage bad gaya..



aaj use badi hi shiddat se apni maa ki yaad aa rahi thi purane zakhmo ko kured kar aaj phir uski chachi ne uske zakhmo ko hara kar diya tha...


uske dil se aaj sirf dard bhari aahe or sadaye hi nikal rahi thi ...

dil jab rota hai to uske sath sath ye aasman o zameen bhi roti hai ...

aaj rehan thake or bhojal kadmo se apni jhopdi ki taraf bad raha tha usi dauran use ke dil ke rote rote ye sara ka sara aasman bhi ro pada..

or achanak jhama jham barish hone lagi..

raste par maujood sare ke sare log barish se bacne ke liye idhar udhar bhagne lage par rehan raste ke bicho bich is barish se bekhabar chala jaa raha tha..

jab wo ek ghar ke samne se guzra to ek angan ki chat ke neeche khadi hui aurat ne use awaz lagayi.. beta ...
barish me kyu bhig rahe ho idhar aajao warna bimaar pad jaoge...


rehan ne muskurakar us bhali aurat ko jawab diya.. mujhe barish me bhigna bohat acha lagta hai khala...
aurat ne muskura kar poocha..r kyu beta..??
tumhe barish me bhigna kyu acha lagta hai...


rehan ne phir jawab diya ...


kyuke koi bhi ye nahi jaan pata ke mai ro raha hun or meri aankho se girne wala paani asal me barish ki boonde nahi mere aansu hai...

rehan itna keh kar aage bad gaya..


wo aurat us ajeeb ladke ko badi hi hairat se jate hue dekh rahi thi...
usne socha itni si umar or bato me sare jahan ka dard chupaye ye bacha aakhir kaha jaa raha hai...?? or us aurat ke dekhte hi dekhte rehan barish ki is aandhi me kahi gum ho gaya...
rehan akela is barish me bhigta hua chala jaa raha
tha use pata hi nahi tha ke use jana kaha hai..??

bas uske kadam yuhi chale jaa rahe the or wo bhi bina soche samjhe kadam badaye jaa raha tha..

wo soch raha tha..

kya aurte aisi hi hoti hai..?? jaisi uski chachi thi..??

agar aisa hai to aaj se mujhe lafz aurat or aurat zaat se nafrat hai... usne apne hi dil me socha ..

par ruk ja rehan..

uske dil ne use awaz dee..

or usi ke dil ne use jawab diya..

rehan...teri maa bhi to ek aurat hi thi na..??

kya itni jaldi uski mohabbat uski shafaqqat or uski mamta ko bhul gaya tu..???

or tere dil me basne wali neha...??

wo bhi to ek aurat zaat hi hai phir kyu na tu usse bhi nafart karne lag jaa tujhe kisne roka hai..??
achanak hi aurat ke teen alag alag roop uski nigaho ke samne agaye.. ek roop uski maa ka tha jise wo apni zindagi se bhi zyada chata
tha apni maa ke ek ishare par wo apni jan de sakta tha ya kisi ki jaan
le sakta tha..
dusra roop tha neha ka.. neha ...
soch kar hi dil o dimaag ko ek sukoon or rahat ka ehsaas hua karta tha.. neha rehan ki zindagi me shamil ek aisi ladki jise wo apni dil ki gehraiyo se pasand karta tha chata tha ..

neha me wo sari khubiyan thi jo ek sharik-e-hayat me honi chayie...

is zindagi ko khushgawar or ghar ko jannat bana dene wali aurat ka ek roop thi neha ek behtareen humsafar..



or ek aurat ka teesra,, aakhri,,or sabse bhayanak roop tha uski sagi chachi..

sang dil ..bereham or jeete ji is duniya me hi dozak ka manzar dikha dene wali uski chachi..
naam se hi nafrat ho rahi thi uske...

chachi ka kaha har lafz abhi tak rehan ke kano me gunj raha tha..


manhoos..paida hote se hi apne baap ko kha gaya.. uske kuch dino baad apni maa ko kha gaya..




to kya mai sach me itna manhoos hun..?? usne ek sawal apne aap me dhauraya..
kya meri wajha se mere abbu or ammi is duniya me nahi rahe..??


haan ,,,
yahi sach hai mai hi is tabahai ki wajha hun meri manhoosiyat ne hi mere maa baap ko mujh se juda kar diya..

or rehan in sari bato ka dosh apne aap ko dene laga.. chalte chalte achanak us ke kadam ruk gaye..

saamne hi qabaristan ka bada sa gate nazar aaya..


uske kadam use kabaristaan ki taraf le aaye the..


acahanak hi maa ki yaad ne dil me dard ki ek lehar utha dee.. ammi ki yaad se dil me lallak si uthi..
wo aage bada or apne hatho se gate ko khol kar andar daakhil hua..

kabro ki bich se hota hua kuch aage bada
to use saamne hi apni maa ki qabar nazar aayi..



qabar par dale gaye phool ab murjha chuke the.. khuc pattiyan or naye pode qabar par uge hue the..


barish lagatar hone ki wajha se zameen kafi bhigi or gili thi rehan ke paao bar bar kichad me phas jate phir bhi wo kisi tarha apni maa ki qabar tak pohanch gaya..


qabar ke sirhane bhaitha or achank se hi uske honto se ek sada nikli.. maa........
dil ko chir dene wali rooh ko jhajhod kar rakh dene wali awaz thi rehan ki...

apni maa ko pukarne ke baad hi thodi der tak wo khamoosh raha shayad use umeed thi ke uski maa abhi aakar use apne aancahl ki chaao me le legi or use is barish me bhigne se bacha legi..

par..

par aisa kuch nahi hua..


wo hasrat bhari nighaho se apne maa ki kabar ko dekhne laga.. or acahank hi uski aankho se aansuo ki barish hone lagi..
wo zaar-o-qatar rone laga..
or rote rote kene laga.. ammi...
kya mai hi teri maut ki wajha hun..??
kya meri hi wajha se tu ab mere pass na rahi..???

wapas ajaa ammi..
khuda ke liye wapas aaja..

mai ab kabhi koi shararat nahi karunga.. tujhe kabhi nahi sataunga..

kya meri shararato ka tune itna bura maan liya jo tu mujhse rooth kar chali gayi..??

kya mai itna bura hun maa..??

tune mujhe is zaalim duniya ki bhid me tanha kyu chod diya maa..??



lafz uske honto se pisalte cahle jaa rahe the wo khud nahi jaan paa raha tha ke aakhir wo keh kya raha hai..??



bas dil tootne ki awaz thi or uske honto se nikalne wale alafaz the waha par..



jazbaat ki shiddat ne use is kadar andha kar diya ke wo pagal sa ho gaya ..

or achanak use aisa laga jaise ke uski maa ne use pukara ho.. rehan..

mat ro mere bacche mei to yahi hun tere paas phir tu kyu is tarha apne

aap ko mere gham me barbaad kiye jaa raha hai mere bacche..??



rehan ..

ke chere par ek muskurahat si agayi..





use aisa laga ke uske maa ne use qabar ke andar se awaz dee ho or wo qabar par jhuka or use khodne laga..

ke shayad andar maa zinda ho.. abhi zara sa hi khoda hoga ke..

acahank hi kisi ne use peeche se pakar kar khincha or ek zordaar

thappad uske chere par maara.. rehan foran hi ek janib gir gaya..

ye qabarstaan ki dekh rekh karne wale hazrat the.. unhone aage bad kar rehan ko uthaya..

or ek shaffaqat bhara haath rehan ke sar par phera.. or usse poocha..

rehan beta..



ye tu kya kar raha tha..??
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
rehan ne jazbati hote hue kaha..


baba...
maine abhi ammi ki awaz suni hai wo abhi andar hi hai. mujhe pukaar rahi thi mujhe bula rahi thi..

mujhe un se milne dijiye baba..

meharbani kijiye mujh par bas mai unse ek baar milna chata hun baba.. rehan par jaise deewangi si tari ho gayi thi..
maa ki mohabbat or chahat me wo ye bhi bhul chuka tha ke ab wo is duniya me nahi hai..


hazrat uski is zehani kefiyat ko turant bhaanp gaye.. wo samajh gaye ke abhi rehan apne aape me nahi hai..
unhone turant hi rehan ke sar par haath rakha or apne honto me kuch badbadane lage shayad kuch pad rahe the..


rehan ko aisa mehsoos hua jaisa ke uske dil se dukh or gham ke hazaro kilo ke bojh ko kisi ne halka kar diya ho or dukh or gum ki shiddat kisi tarha halki ho gayi thi..

ab rehan zara sa normal hua to baba use apne dalan (teen ka chota sa ek khula hua chbutra ) me lekar agaye..

use niche beechi hui sharanji ( mate ) par bhithaya or pani pilaya.. phir uski taraf dekh kar samjhate hue bole..
rehan..
beta jo insaan is duniya se ek baar chaala jata hai wo wapis laut kar kabhi nahi aata..

tumhari ammi bhi ab is duniya se dusri duniya me jaa chuki hai.. unka inteqaal ho chuka hai yani ke wo muntaqil ho chuki hai ek duniya se doosri duniya me jaa chuki hai bete..
ab wo laut kar nahi aayegi..

or tumhare is tarha rone or pareshan hone se unki rooh ko bohat takleef hoti hai beta tumhari aankho se nikla ek aansoo unki rooh par tezaab ki mannind jakar girta hai samjhe..

rehan ne hazrat ki taraf dekh kar kaha..

par baba maine abhi unki awaz suni thi phir wo kya tha..??


wo tumhara weham tha bete..

jazbaat ki shiddat jab had se tajawiz kar jaaye to insaan ko wahi dikhayi or sunayi deta hai jo wo dekhna ya sunna chata hai..


tum apni maa ko lekar itna zyada ranjeeda or dukhi ho gaye the ke tumhe unki awaz tak sunayi dene lagi thi...


par baba meri chachi kehti hai ke mai manhoos hu maine hi apni maa or baap ko kha liya hai unki jaan le li hai..

or mujhe bhi yahi lagta hai ke meri manhoosiyat ki wajha se wo log nahi rahe ..

baba..
kya mai sach much ek manhoos hun..?? rehan ne baba se sawal kiya...
hazrat ne rehan ki kaali or gehri aankho ko bade hi dhayan se dekha or muskura kar bole..


manhoos..??

beta tu to is duniya jahan se nirala hai..

jo chize or jo takate tere paas hai uske bal boote par tu is duniya par raaj kar sakta hai..

tu to apne aap me ek anokha hai mere bacche..

meri boodi aankhe wo dekh sakti hai jo teri chachi ye tujh se chidne wale duniya ke aam log nahi dekh sakte..

rehan ne mayoosi se kaha..

aisi duniya par mai kya raaj karunga jisme meri maa na rehti ho baba.. baba ne phir kaha..

bas teri isi ada par to tujhe aisi chize di gayi hai bete..

agar tere dil me lalach or duniya kamane ki hawas paayi jati to tujhe in takato se kabhi nawaza na jata..

hazrat ne kuch der rehan ko samjhaya..

or rehan thodi der baad apni maa ki kabar par salaam arz karke waha se aage bad gaya..

par waha se nikalte hi dukh or ghamo ke badlo ne use phir aa ghera..

achanak hi wo phir se rone laga.. or kehne laga..
nahi baba ne mujhe aise hi samjhane ke liye keh diya hai.. ammi ne mujhse baat ki thi maine unki awaz suni thi..
or use phir se apni maa ki yaad aane lagi.. or wo barish me chalte chalte rone laga..

ek to pehle hi bhook ne badhaal kiya hua tha upar se
yu betahasha rone ki wajha se nakahat or kamzori me or izafa ho gaya tha..

kisi bhi tarha rengte rente wo apni jhopdi tak pohancha.. jhopdi ke samne hi khada hokar use dekhne laga..
andar jane ki himmat nahi hui..

kyu ke andar har jaga use apni maa hi nazar aati or uski yaade use or bechain kar deti wo
waha se aage bad kar andar jungle ki taraf chala gaya..

kabar khodne ki wajha se jism or kapdo par jaga jaga kichad or mitti bhari hui thi jo ki barish ki boondo se dhire dhire beh rahi thi..

wo ek bade se bargad ke ped ke neeche akar bhaith gaya..

charo taraf sirf or sirf use apni maa ka hi tassuwur or usi ki parchayi nazar aa rahi thi..

or wo bhaithe bhaithe apne honto me koi lafz bad bada raha tha.. andaz kisi geet jaisa hi tha wo lafz kuch is tarha the..




MERA PEHLA DOST HAI TU HI MAA....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA....



MAI TERI AANKHO KA TARA HUNN....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA...



TERI ROTIYAN YAAD AAYEGI...
JAB JAB MAI DEKHUNGA CHANDRAMA...



TU HI MARGDARSHAK HAI MAA SAHARA BHI TU..


BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN .. IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..



BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN .. IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..


andazz itna masoom or itna dard bhara tha ke apne seene me dil rakhne wali har maa ka dil is bacche ke liye tadap uthta jo iski awaz ek baar sun leti ...


par rehan to gham or apno ke diye gaye zakhmo se toot toot kar bikhar chuka tha use lag raha tha ab is duniya me use sahara dene wala koi nahi raha..

par kya ye sach tha..... ????
ro ro kar aankhe soojh si gayi thi par dil ka dard tha ka kam hone ka naam hi nahi le raha tha..


par shayad apni maa ko kho dene ka dard to sirf ek aisi aulad
hi samajh sakti thi jo is beshkeemti dulat se mehroom ho chuki ho..

halki halki barish ab bhi jari thi or rehan ka dil or uski hasrat bhari aankhe idhar udhar apni nazre dauda rahi thi ke kahi se shayad koi aisi rah nazar aajaye jaha se wo apni maa ko pane ka rasta talaash le...

par aisi koi raah use nazar nahi aati thi...

or upar se bhook ki shiddat ab bardasht ke bahar ho chali thi.. bechara baccha na jane kitne dino se bhuka tha..??
aakhir kab tak bardasht kar pata..??

or ab nakahat or kamzori ki wajha se uski aankho ke samne andhera sa chane laga tha ..

or rehan usi ped ke niche bhaithe bhaithe ungne laga .. sar bohat bhari bhari sa lag raha tha..
shayad barish me bhigne ki wajha se dimag par bhukhar ki si kaifiyat

chad rahi thi..

or wo isi hosh or behoshi ki halat me kuch badbadane laga.. alfaz the......

MAA.....
BOHAT BHUKH LAGI HAI ..

AAJ APNE REHAN KO KUCH KHILAYEGI NAHI KYA..?? DEKH MAI CHACHI KE GHAR BHI GAYA THA..
PAR UNHONE MUJHE WAHA SE BHAGA DIYA..

WO KEHTI HAI KE MAI MANHOOS HUN MAINE TUMHARI JAAN LI HAI..

or wo ekdum se rone laga or rote rote phir badbadane laga.. MAI TERI JAAN KAISE LE SAKTA HUN MAA..??
MERI JAAN TO KHUD TUJH ME BASTI HAI..

TO PHIR MAI KHUD APNE HI HATHO SE APNI JAAN KAISE LE SAKTA HUN..?? KAISE MAA ..??

MAI MANHOOS NAHI HUN MAA.. MAINE TUJHE NAHI MARA ..
KASAM LE LE MUJH SE MAINE TUJHE NAHI MARA MAA.. MAINE TUJHE NAHI MARA..
....

AB TO TU MUJH SE NARAZ NAHI HAI NA..?? DEKH MAA BOHAT BHUKH LAGI HAI RE...
KUCH BHI KHILA DE JO BHI GHAR ME HAI MAI KOI NAKHRE NAHI KARUNGA ...

TUJHE BILKUL NAHI SATAUNGA..
TU APNE HATHO SE JO BHI KHILA DEGI MAI KHA LOONGA RE .. AB TO MAAN JAA ..
KYU MUJHE SE ITNI NARAZ HAI TU..??


KYA MERI NADANIYAN OR GALTIYA ITNI BADI THI JO TU MUJH SE BAAT NAHI KAR RAHI..??


par shayad waha rehan ki ye pukaar or awaze sunne wala koi nahi tha..

or isi kefiyat me us par behosi taari hone lagi or wo wahi pada pada behosh ho gaya... ek pyarii or meethi si khusbhu ka ehsaas rehan ke zehan par jaise chane
sa laga or use behoshi se hosh ki duniya ki taraf khincne laga...


koi bohat hi narm or mulaiam sa hath uski sar ko sehla raha tha sar
ke niche bhi zameen ka ehsas nahi ho raha tha rehan ko aisa mehsoos ho raha tha jaise kisi ne badi hi aahiste or aram se uske sir ko
apni godh me rakha ho bohat hi narm or nazuk si godh me bade hi aram se pada hua tha wo..


uski aankhe dhire dhire khulne lagi pehle pehle aankho ke samne koi dhundhla sa chera nazar aaya phir usne apni aankhe mal kar gaur
se dekha to ek badi hi khubsurat see aurat rehan ki taraf bade hi pyar or dular se use dekh rahi thi or rehan apni aaghosh me liye bhaithi uska sar sehla rahi thi...


rehan ne jab unhe dekha to achanak se hadbada kar uth bhaitha... wo aurat rehan ki is hadbahat par muskura uthi..
rehan ne us aurat se sawal kiya . kaun hai aap..??
or yaha is waqt is ghane jungle me aap kya kar rahi hai..?? us aurat ne phir muskurate hue kaha..
mai kaun hoon kya hun iske bare me bad me sochna beta.. pehle ye lo khana kha lo tumhe bhuk lagi thi naa..??
itna kehte hue unhone pas hi padi hui potli se ek badi see chandi ki thal nikali unki peeth rehan ki taraf thi isi liye rehan unhe dekh nahi paya ke wo kya kar rahi hai..??

par jaise hi wo palti chandi ki us badi si thal bohat sare khane ki chize rehan ko nazar aayi..

wo phir rehan ke karib aakar bhaith gayi or unhone rehan se kaha
...


lo beta kha lo is thali me wo sara saman hai jo tumhari bhuk mitane ke liye kafi hoga..

rehan ke kuch samajh nahi aaraha tha ke wo kya kare ..?? kai sawal uske man me ek sath aagaye the..
is waqt is jangle me ye kaun agaya ..?? ye aurat kaun hai..??
ise kaise pata ke mujhe bhuk lagi hai..??

or rehan ko unse thoda darr bhi lag raha tha.. aakhir rehan ne darte darte unse pooch hi liya...

aaa...aap kaun hai batayi na..?? or aap mujhe kaise janti hai..??
aap ko kaise pata chala ke mujhe bhuk lagi hai..?? f
or ye thali me achanak itna sara khana kaha se aagaya..??

wo phir se muskurakar boli.. are..are..
itne sare sawal ek sath ..??


acha m f t f¢dai tum hare ek sawal ka jawab diye deti hun..

mai tumhe aaj se nahi us roz se jan|¿ti hun jab tum pehli bar is jungle me lakdiyan katne aaye the..

tumhe kya lagta hai beta ..??

tumne gaur nahi kiya kai bar mai khud tumhare sath rehti thi tumhe kai bar lakdiyo ka jo bana banaya ghatta mila karta
tha wo mai hi to tumhare aane se pehle tumhare liye chun kar© rakh diya karti thi..

mujhe tum par bohat pyar aata jab tum apne nanhe or masoom se hatho se itni lakdiyo ka bojh apne kandho par lad kar le
jaya karte the...

tab wo mai hi thi jo upar se tumhari la xkdiyo ko pakad liya
karti thi jiski wajha se tumhe apne kandho par un lakdiyon ke wazan ka ehsas nahi hota tha or tum un lakdiyo ko aram se lekar mandi tak pohanch jaya karte

the..



jab tak tumhara sara saman nahi bik jata tha tab tak mai tumhare sath wahi bhaithi rehti thi or uske bad jab tak tum apne ghar nahi pohanch jate the tab

tak mai tumhare sath chala karti thi or tumhe tumhare ghar tak chod kar aaya karti thi... unhone phir se muskurakar kaha..

to batao din bhar tumhare sath rehne wala bhala tumhe kaise nahi pehcahnega...??







rehan hairat bhari nighaho se unki taraf dekhta raha..



uske honto se koi awaz nahi nikal pa rahi thi ke ab wo kya bole..??



waise uska zyada dhayan to chandi ki us thal par tha jisme alag alag tarha ke khane chun diye gaye the..



rehan ne dhayn se dekha to paya ke us thali me.

halwa poori. paneer ki sabzi . chole bhatoore..or is kism ki na jane or kaun kaun si khane ki chize thi jise rehan ne na aaj se pehle kabhi dekhi thi or na uske naam tak sune the...



khane ko dekh kar rehan ke moo me pani aane laga..



wo rehan ko khane ke taraf aise dekhta hue dekh kar muskuarne lagi... unhone rehan ko muskurate hue dobara kaha..

jab itna man hai to kha kyu nahi lete..?? ye sab mai tumhare liye hi layi hun..

rehan ne apne honto par zaban pherte hue kaha... khana to chata hun ..

pp.pp.pa..par..??

itna kehkar rehan ruk gaya..
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
unhone phir kaha.. par kya beta..??
bolo kya bolna chate ho..??

rehan na kaha..
aap ne abhi tak nahi bataya ke aap kaun ho..?? unhone kaha..
maine bata to diya ke mai hamesha tumhare sath hi raha karti thi..


rehan jaldi se bola..

agar aisa hai to aap mujhe aaj se pehle kabhi nazar kyu nahi aayi..??
jab ke aap to keh rahi hai ke aap din bhar mere sath raha karti thi.. unhone muskurakar kaha..
beta ..
tumne kabhi mujhe awaz hi nahi di...

na hi kabhi mujhe dekhne ki koshish ki..
isi liye mai tumhe kabhi nazar nahi aayi warna tumhare itne kareeb rehkar mai tumhe nazar kyu nahi aati..??


tumne aaj sacche dil se mujhe pukara to mai tumhari sadao ka tumhari awaz ka jawab dene or tumhare pukarne par chali aayi...

ye bate ab rehan ke sar ke upar se jane lagi thi wo kuch samjh nahi paa raha tha...

use bas boaht zoro ki bhuk lag rahi thi..

rehan ka dhayan phir se khane ki thal ki taraf jane laga.. usne phir se us aurat se kaha..
y...yy.ye..
ky ..Kya..??
kya ye khana aap sach me mere liye layi hai ..??





haan beta sab tumhare liye hi hai ye lo..??
or unhone wo thal rehan ke taraf aage bada di..

thal itni badi thi ke rehan ko use pakadne ke liye apne dono hatho
ko aage badana pada or uske dono hath thal ke balance adjust karne me lag gaye..

ab dono hath to thal pakadne me lag gaye ab wo thal ko zameen par bhi nahi rakh sakta tha kyunke niche kuch keede makude ghum rahe the..

ab wo khana kaise khaye wo yahi soch raha tha..? rehan ki halat to dekhne laik thi..

ek hath se thal pakadta to wo apne wazan ki wajha se unbalance ho kar gir jati..



bechara..
sakht bhuk lagi hai.. kahan samne hai..
par bechara khaye to kaise..??

uski masoom se chere par pareshani ka ye alam dekh kar uske samne bhathi wo aurat apne mooh par hath rakh kar hasne lagi..
use rehan ke is masoom or bholepan par bada pyar aa raha tha.. or uski khana na kha pane ki is wajha or is halat ko dekh kar
wo bigair hase na reh saki..

aakhir rehan se raha na gaya..

usne rooni si soorat bana kar kaha..

mai yaha bhuk se mara jaa raha hun .. or aap ko hasi aa rahi hai..??

aap ne itni badi thal mujhe pakda di ke mere dono hath inke neeche hi phas gaye ab mai khana kaise khaunga..??
or rehan ka chera rona sa ban gaya..
us aurat ne haste hue aage bad kar kaha.. acha..
acaha.. baba..
tum thal aise hi pakde raho mai tumhe kahana khilati hun..

or unhone thal me se kuch niwale banaye or apne hatho se rehan ko khilane lagi..

rehan unke hatho se kahne laga..

khate khate achanak rehan ko apni maa ki yad agayi..

rehan ne us aurat ki aankho me dekha un aankho me rehan ko
wahi pyar aur mamta nazar aayi jo rehan ko apni maa ki aankho me nazar aati jab wo use apne hatho se khana khilati ..

or khane kahte khate achank rehan ki aankho se aansoo nikal aaye,, uske hont khamoosh the or na hi koi awaz nikali thi usne..

bas eka ek aankho se aansoo ane lage..
shayad is bat ka khayl khud rehan ko bhi nahi tha ke us ki aankho se aansoo beh rahe hai..
kyuke wo usi tarha khana kahye jaa raha tha..


jab us aurat ne dekha ke rehan ro raha hai to uske hath bhi acnahak hi ruk gaye or usne turant hi rehan se poocha..

kya hua beta ro kyu rahe ho..??

khana pasand nahi aaya kya tumhe..??


rehan ke rote hue chere par ek muskurahat si aagayi.. usne kaha..
nahi aisi bat nahi hai..


itna laziz khana to maine apnni zindagi me kabhi nahi khaya.. bas aap ko dekh kar mujhe meri maa ki yad agayi..
wo bhi mujhe isi tarha pyar or dular se khilaya karti thi.. us aurat ne phir se kaha..
mujhe un ke bare me pata hai beta..

par vidhi ke vidhan ko koi pariwartit nahi kar sakta..
har insan jo is duniya me aya hai use to ek na ek din jana hi padta hai.. or yahi hai vidhi ka vidhan...
rehan ne kaha.. aap ne sahi kaha..
par ye kya aap ne abhi tak apna nam nahi bataya ..??
or mai bhi kitna buddhu hun maine aap se aap ka naam bhi nahi poocha..?? unhone muskurakar kaha..
mere bohat se naam hai beta tumhe kaun sa batau..??

unhone kuch soch kar kaha thik hai to

mai devi hun beta..

or yahi mera nam bhi hai... rehan ne kaha..
bohat acha nam hai aapka..

aur mera naam rehan hai..

aap mujhe rehan hi bula sakti hai..


par aap mujhse badi hai mai aapko aap ke naam se kaise bula sakta hun..??

ammi ne kaha tha apne se bade logo ko izzat se bulaya jata hai.. mai aap ko kaise pukaroo kya naam doon aapko..??

unhone phir kaha..
tumhe jo naam pasand ho beta tum mujhe us naam se pukaro.. rehan sochne laga achnak uske zehan me koi nam aaya ..
usne foran kaha..

ek nam hai mere zehan me par mai use kaise bolu..?? devi ji muskurakar kehne lagi
kyu us naam me kya pareshani hai ..?>? rehan bola..
kahi aapko wo naam bura na lag jaye..??


tum pehle bolo to phir mai faisla karungi ke wo naam acha hai ya bura,,

reha hichkichate or darte hue bola.. kk..kk.ky.k.kya..
kya mai aapko..??
kya mai aap ko..mm...m.mm.maa.. bula sakta hun..??


wo rehan ko ektak dekhne lagi..

or achanak hi aage bad kar rehan ko apne gale se laga liya..

rehan ne bhi khane ki thali ko neeche rakh diya or apni is nayi AJNABI or anokhi maa ke gale lag kar rone laga hai..

divya ki aankho se bhi aansoo nikal aaye ..

wo bhi rone lagi or usne rehan se kaha..

bilkul..
bilkul bola sakte ho beta..
tum mujhe maa bilkul bol sakte ho..
tumhare jaisa beta kaunsi maa nahi chati hogi..??
aaj se tum mere bete ho rehan or aaj se mai hi tumhari maa hun beta.. ek bar phir se mujhe maa bula kar dekh..
rehan ne phir se kaha ..
haan maa aaj se aap hi meri maa ho..


oh ...mere bacche...
haan aaj se mai hi teri maa hun beta.. or wo bhi rehan se lipat kar rone lagi...


rehan bhi na jane kyu unke gale lag kar phoot phoot kar rone laga.. or rote rote apni maa se kehne laga..

aap mujhe chod kar to nahi jayengi naa.?? boliye ..
mujhe akela mat chodiyega..
is duniya me mera koi nahi hai maa... mujhe kabhi akela mat chodiyega..


maa bhi rehan ko apne seene se lagaye rote rote kehne lagi..

nahi mere bacche mai tumhe kabhi akela nahi chodungi.. chahe kuch bhi ho jaye...

rehan apni is nayi or anokhi maa ke gale lag kar bohat rone laga..

har insaan ko apna dil ka dard or apna gham batne ke liye kisi sahare ya ek aise kandhe ki zaroorat hoti hai jispar wo pana sar rakh kar
ro sake..

or shayad aaj kudrat ne rehan ko wo sahara ataa kar diya tha jiske bina shayad rehan zyada din is duniya me jee nahi pata..


aaj is anokhi or neerali mulaqat ka gawah ye ghana jungle tha jaha
ek pyar ke bhuke bhcche ne apni maa ki pyar bhari aaghosh paa li thi... par rehan ki ye nayi maa.??
aakhir kaun thi ..?? kahase aayi thi..??

uski haqeeqat kya thi..??

ye kuch aise sawal the jiske jawab shayad kisi ke paas na ho..

or khudh rehan in chizo ke bare me kuch soch nahi pa raha tha use to bas maa mil gayi thi or wo isi me khush tha..

par aage rehan ki zindagi me or bhi bohat se utaar chahdao aane wale the jiske bare me shayad wo kuch nahi janta tha...
rehan ki maa ne rehan ko bohat pyar or dular diya...


khana khatam karne ke bad rehan ne maa se poocha..


maa..
ab is chandi ki thal ka kya karogi..??



maa ne muskurakar rehan se kaha..


tumhe pasand ahi kya ye thall.??



rehan ne kaha..

pasand kyu nahi hogi..??
chandi ki nazar aati hai or uthane me bhari bhi lagti hai.. kitne ki khareedi aap ne ise..??



maa muskurakar kaha....


beta in sab bato ke bare me kyu sochte ho..??


tumhe pasand hai to rakhlo..



nahi maa te aap ki hai mai kaise rakh sakta hun..??


maa ne phir se kaha..


are beta ...
jo mera hai ya jo bhi chize mere pass hai wo sab tere liye hi to hai..


rakh le ye thall apne pas..


or is thal ki khasiyat ye hai ke jab bhi tera kuch khane ka man karega to apni iccha is thal ko bata dena..

or is par ek kala kapda dhank dena or tere man me jo bhi khane ki iccha ho uske bare me kehna..


or phir us kapde ko thaal par se utha lena..
ye thal foran tere samne teri iccha ke mutabik khana le aayegi..



rehan kisi chote se bacche ki tarha khush hokar bola.. sach me maa..??
kya aisa ho sakta hai..??



maa muskurakar boli..


kyu nahi ho sakta beta..??
achal chalo mai is par abhi ek kala kapda dhank deti hun
uske bad tumhe jo bhi khana hai uske bare me apne dil me sochna phir dekhte hai kya hota hai..??



or maa ne us thaal par ek kapda dhank diya..

or rehan ne apni aankhe band karke boondi ke ladduo ke bare me socha..


or jaldi se apni aankhe kholi.. or maa se kaha..


maa maine soch liya ab aap thal par se kapda hatao..


maa ne muskurate hue thal par se kapda hataya..

or rehan ne apni aankho se dekha ke puri ki puri thal behtareen kism ke boondi se banaye gaye ladduo se bhari hui thi..



maa ne haste hue rehan se kaha..


kya beta..??

teri khawahish bhi teri soch ki tarha or teri umar ki tarha choti si hi hai..
manga bhi to kya ..?? bas boondi ke laddu..??

or wo rehan ki iccha par hasne lagi...





rehan ne bura sa moo banaya or chidte hue kaha..


to ab mai kya karu..??
aap ne hi to kaha tha ke kuch socho..??

ab mere dil me jo bhi aya wo maine maang liya.. or uspar aap has rahi hai..??

unhone haste hue kaha..


are hasu nahi to aur kya karu..??

tumhare haath me itni badi chiz pakdadi maine phir bhi tum ne usse manga bhi to kya..??

mamuli laddu..? rehan ne kaha..

maine to ye bhi kabhi nahi khaye maa..

bas roz mandi me halwai ke pas iski surat hi dekhi hai.. or naam suna hai ke ise laddu kehte hai to bas..
maine wahi maang liye..


maa ek dum se sanjeeda hote hue boli..

mujhe maaf kar do beta mai samajh nahi payi ke tumhare liye ye mamoooli chize bhi bohat ehmiyat rakhti hai..


koi bat nahi maa aap ke kehne me bhi koi burai ka pehlu nahi tha..


maa ne phir kaha..

acha ab tum samajh gaye na ke is thali ka istemal kaise karena hai..? rehan ne haan me sar hilaya..
haan to sunlo ab tumhe kaam karne ki koi zaroorat nahi hai..
mujhe acha nahi lagta ke tum do waqt ki roti ke liye itni mehnat karo samjhe..??

rehan jaldi se bola.. maa.
aap bura mat mainyega par mujhe aap se ek baat kehni hai..


haan beta kahona kya kehna chate ho..??


mujhe ye thal nahi chaiye maa..

maa ne hairat se rehan ki taraf dekha or usse poocha.. kyu beta ..??
aisa kyu..??
kyu nahi chaiye ye thaal tumhe..??

are ye mai tumhare liye hi to laayi hun..??


rehan ne jaldi se kaha..

mai samajhta hun maa ke ye aap mere liye laayi hai.. or aap meri bhalayi chati hai..

par maa ise lene ke baad mai is thaal ka aadi ho jauonga or mehant mazdoori karna chod dunga..

or maa mujhe rizk-e-halal ki adat hai..
jo mujhe apne balboote par kamana hai..


mehnat karne ke baad jo bhuk lagti hai usme apna hi ek alag maza hai..

or us mehnat se kamaye gaye paiso me bhi ek mithas hai maa..


din bhar ke saare kaam karne ke baad raat ko jo pyari or araam dayak nind aati hai kya aap us pyari or meethi nind se apne rehan ko vanchit karna chati hai maa..??

maa ne foran aage bad kar rehan ko apne seene se lagate hue kaha.. nahi mere bacche mai tujh se tera kuch bhi nahi chinna chati..
mai to tujhe kuch dene aayi thi..

tu to khudh zamane ka thukraya hua hai mai tujhe kisi chiz se kaise vanchit kar sakti hun mere bete..??

rehan ne bhi mauke ko samajhte hue kaha..

phir aap mujhpar zor mat daliye ke mujhe ye thall leni pade..


maa ne muskurakar kaha..

thik hai beta jaisi teri iccha tu jeeta mai hari..

or maa ne wo thal utha kar wapis apne jhole me daal li..


or rehan se kaha..

par tujhe bhi meri ek baat manni hogi ...


rehan jaldi se khada hokar bola.. aap aadesh dijiye maa..
majaal hai mai apne wachan se mukar jaoun..?? maa ne haste hue kaha..

itni bhi koi badi baat nahi hai mere bahadur bete..


tujhe bas mujhse ye wada karna hoga ke jab bhi tujhe kisi bhi kism ki zaroorat hogi tu seedha mere pass aayega..

kisi ke paas jane ki koi zaroorat nahi hai tujhe samjha..


kuch bhi tu mujh se kuch bhi maang sakta hai ..



rehan ne muskurakar kaha.. thik hai maa aap jaisa kaho..

maa ne phir rehan ke sar par haath phera or usse kaha.. chal ab mujhe bhi jana hai..

rehan jaldi se bola ..


kaha jana hai maa aapko..??


maa bhi mukrane lagi..

beta mujhe bhi teri tarha bohat se kaam dekhne padte hai.. par tu fikar kyu karta hai..
jab bhi tujhe meri zaroorat hogi bas mujhe dil se ek baar awaz dekar dekhna.. mai hazar kaam chod kar teri ek awaz par daudi chali aaoungi..

ab mujhe jana hoga beta jaoun..?? maa ne muskurakar rehan se kaha..

rehan ne ek dum mari hui awaz me kaha..

thik hai ma ajaiye par aap kal phir aayiengi na mujhse milne..??


haan beta zaroor aauongi ye bhi koi kehne wali baat hai kya..??


thik hai aap ab aap jaa sakti hai..


maa ne aaaage bad kar rehan ko ek baar phir apne seene se lagaya or uske galo or peshani ko chum kar jungle me andar ki taraf badne lagi...


rehan ne dekha ke wo or ghane jungle ki taraf jaa rahi to usne maa ko awaz di..


aap us taraf kaha jaa rahi hai ..?? gaon ka rasta dusri taraf se hai..
us taraf to aur ghana jungle padta hai ..

maine suna hai waha jungli janwar bhi raha karte hai..


maa ne muskurakar kaha..


beta ...

mera basera isi jungle ke us ghane ilake me hai ..

tum meri fikar mat karo mai kai sadiyon se yahi rehti aa rahi hun.. mujhe kuch nahi hoga ..
tum apna khayal rakhna mere bacche..

or itna kehte hue wo jungle ki taraf jane lagi or dekhte hi dekhte wo rehan ki nazro se aujhal ho gayi..



aaj rehan khush bhi tha or use hairat bhi thi ke ye sab uske sath kya ho raha hai,,??


par ye jo bhi tha use to aaj use koi aisa mil gaya tha jise wo is duniya me apna keh sakta tha...



wo wapas apni choti si jhopdi me aya or aaj wo ek chain ki nind so gaya... dusre din rehan so kar utha or pas ke hi aale se neem ki ek choti si lakdi nikali or usse kisi brush ki tarha apne daant ghista hua jhopdi ke bahar aya..


saamne hi use hariya kaka apni bail banddi par bohat sa saman lade mandi

ki taraf jate hue dikhayi diye..





rehan ne awaz de kar un se poocha...





hariya kaka ..

kaha jaa rahe ho ye saman lekar..??
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
hariya kaka ne awaz de kar rehan se kaha..



are rehan bituwa tumka naahi maloom kya..??
dange fasad band ho chuke hai or mandi phir se chalu ho gayi hai.. ye saman mai mandi hi le ja arha hu bechan waaste ...


bituwa tu bhi aja na jaldi se apni lakdiyan leke.. aaj bajaar bohut jordaar bharanwa...


rehan kush ho kar bola..


mai bhi jaldi se aata hun kaka... thik hai bituwa tu bhi aja..
or hariya kaka apni bandi lekar aage bad gaye...


rehan ne jaldi jaldi apna moo haath dhoye or jungle ki taraf bhaga..



jungle pohanch kar usne jaldi jaldi sari lakdiyan jo usne pehle se ek jaga ikkhathi kar rakhi thi
chuni or uska ek bada ghattha bana kar mandi ki taraf nij\kal pada..


hariya kaka ke kehne ke mutabik aaj wakai mandi bohat zyada bhari thi kyuke itne dino baad jo khuli thi...


rehan ka maal bhi jaldi bik gaya or aaj use roz ke muqable kuch paise zyada mil gaye...


wo paise lekar rashan ki dukaan par gaya. apni zaroorat ka kuch samaan khareedi..

apne ghar ke liye wapas ho hi raha tha ke raaste me achanak use do aadmi apas me jhagda karte hue mile..


pehla aadmi dusre se keh raha tha..

are agar tum is tarha kaam chod kar chale jaoge to baki ka maal kaun chun kar alag karega..??


dusra aadmi jo shayad pehle aadmi ka naukar tha haath jod kar malik ke saamne khada ho gaya or ghighiyate hue bola,,,



nahi malik..
ye kaam mai nahi kar sakta..

badi mushkil se 4 bore achi wali pyaaz chun kar alag ki thi par koi aata hai or pyaz ke boro ko palta deta hai..

maine jakar dekha to mujhe chante hi chante mare or kuch dikhayi nahi deta waha par ye shararat kaun karta hai kaun mujhe marta hai or pyaz ke bore palta deta
hai mujhe kuch samajh nahi aata..

darr ke mare meri jaan nikli jaa rahi thi..
mujhe lagta ahi aap ke godaam me koi bhut pret ka basera hai malik.. mai dobara us godaam me kabhi nahi jaounga ..

mailk bigad kar bola..

are agar tum nahi jaouge to waha kaam kaun karega ..?? mera saara maal wahi pada pada sad jayega..


nahi mailk nahi..
mujhe maaf kar do mai nahi jaounga..
mai gareeb zaroor hun par ek baat janta hun.. jaan hai to jahan hai..
mai jaa raha hun malik ab mujh se ye kaam nahi hoga..


malik apne naukar ko ruko ruko karta raha par wo naa ruka or waha se bhag gaya..


malik wahi khada sochta raha ke ab kya kiya jaaye..??



rehan us ke kareeb pohancha or dhire se bola..


agar aap chahe to mai aap ka kaam kar sakta hun..


mailk ne use gaur se dekha.. or muskurakar bola..

kyu tumhe bhut pret se darr nahi lagta kya bacche..?? abhi dekha nahi ke wo aadmi kaise darr kar bhag gaya..??


rehan ne muskurakar kaha..

is duniya ka sab se bada bhut or shaitaan to khud insaan hi hai sahab.. or jab in balao me sab se upar humara naam aata ahi to hum bhala kisi or chiz se kyu dare..??


mailk ne muskurakar kaha.. bada diler hai tu to..??
pyaz chatne or sadi or achi pyaz chun kar alag karne ka kaam janta ahi ..??



rehan ne kaha..


haan janta hun..
aap agar mujhe kaam doge to mai zaroor karunga..


malik ne kaha ...


thik hai mera maal raat me paas ke hi godaam me utarta hai..

tum raat ko hi pyaaz ke un boro me se 10 bore achi pyaz ke chun kar alag kar dena.. or 10 bore pyaz mujhe subha bilkul tayiyar chahiye..
shaher se roz mujhe 10 bori pyaz ka order aata ahi jo mujhe unhe pohchni hoti hai.. thik hai bol kar sakta hai tu..??

rehan ne haan me mundi hilate hue kaha..


haan kar sakta hun sahab..??

par aap is kaam ki mazdoori kya doge mujhe..??


mailk ne kaha..


abhi jo aadmi yaha se bhaga use mai 8 rupey bori diya karta tha.. thujhe 10 rupey bori dunga..
yani 10 bori par 100 rupey ..



rehan jaldi se bola..


mujhe manzoor hai sahab..


mailk bola..

dekh soch samajh kar faisla kar..
ab ,ai dobara ye nahi sunuga ke waha par bhut pret ahi ya koi dusra natak nahi chahiye mujhe..


rehan muskurakar bola..

aap wo sab mujh par chod dijiye..


thik hai aaj raat ko 9 baje aajana dukaan band hoti hai tab meri....
or yaha se kandil jala kar le jana.. thik hai sahab..


or rehan ye saoda tay karke aage bad gaya.. raat ka waqt tha 9 sawa nau ka waqt tha..


rehan apne haatho me laalten liye pyaaz ke godaam ki taraf badne laga..


pyaaz ka ye godaam ek dum sunsaan ilaake me tha..



rehan godam ke samne pohancha or taale me chabi laga kar us godam ke darwaze ko kholne laga..


churrrrrrrrr..
ki awaz ke saath darwaz khula..

pura ka pura godaam andhere or sannate me dooba hua tha..


rehan bedhadak godaam ke andar laaten liye ghus pada..


andar jakar usne dekha ke pyaz ke taraf pyaz ke boro ki thappi lagi hui thi..


ek ke upar ek bohat sare bore rakhe hue the..


godaam bohat hi ganda pada hua tha..

rehan ne paas hi padi jhadu se poore godam ko jhad kar saaf kiya or ek plastic ki chatayi bichai or pyaz ka ek bori us chatayi par kholi or bhaith kar use chunne
laga achi or kharab pyaz ko alag alag karke usne aadhe paoun ghante me 1 bori achi pyaz ki tayiyar ki or use khadi karke dusri bori ki pyaz chunne laga...


abhi wo dusri bori ki pyazz chun hi raha tha ke achanak uski pehli bori jisme usne badi mehnat se achi pyaz ikhatha ki thi kisi ne palta di..


bori palatte hi sari ki sari pyaz zameen par bikhar gayi or dobara jakar kaharab pyaz me mix ho gayi.. rehan ki itni der ki mehnat yun ek jhatke me barbaad ho gayi..

use bada afsos hua ke usne bori ko dhang se nahi khada kiya tha.. or wo is tarha gir gayi...

usne dobara se sari pyaz chuni or phir ek bori achi pyaz ki tayiyar ki..


or ab use achi tarha se baand kar khade kiya.. or dusri taraf mutawajjhe hua..

abhi wo dobara dusri bori par kaam kar hi raha tha ke dobara uski pehli bori palat gayi or usme se sari pyaz dobara gir kar bikhar gayi..


rehan ko ab gussa aane laga ..

wo samajh gaya ke ye kisi ki sharata hai ..??

kyuke usne bori ka moo rassi se achi tarha bandha tha phir uska mooh kaise khul gaya..??


phir bhi rehna ne dobara use utha kar sahi kiya.. or apne kaam me lag gaya..
ab wo dusir bori par dobara kaam kar raha tha.. kaam karte karte achanak rehan bola pada,..

ab aap log mujhe bewajha pareshan kar rahe hai...


apni is fizool harkat se baaz ajayie warna mai aap ki shikayat kaha karunga ye aap log behtar jante hai...


rehan ne apna sar nahi uthya tha bas apna kaam karte karte ye lafz dhoraye the usne.. achanak hi godam me ek bhari awaz gunji..
koi rehan se kehne laga..

ye humare khelne ka waqt hai ..

aap ne hume pareshan kiya hai isi liye hum bhi aap ke kaam me rukawate daal rahe hai..



ab rehan ne apni nazre utha ke dekhi..



uski hi tarha 4 cote chote bacche the wo..



par suarat shakal insaano se kisi qadar alag thi..


unki aankho me se maano aag jahalak rahi thi..

or chere bohat hi zyada noorani nazar aa rahe the..


ye jino ke bacche the ...

jo raat ke is waqt is godam me khela karte the..


or jo bhi yaha aaya karta use pareshan kiya karte the..


par aaj rehan ne unhe apni noorani nazar se dekh liya or unse baat bhi ki..


to wo bhi samajh gaye ke ye ladka bhi koi mamooli ladka nahi
ho sakta jo unhe dekh kar bina dare or bina ghabraaye un se baate kar raha hai..



rehan ne un se dobara kaha..


suno bhaiyo..

ye meri rozi roti ki masla hai..
or jab tak mai apna kaam pura nahi kar leta mai yaha se nahi jaounga... agar aap log chate hia ke mai yaha se jaldi chala jaoun to aao..

aao or mere saath bhaith kar pyaaz chun kar alag karne me meri madad karo..


jitni jaldi mera kaam khatam hoga mai utni hi jaldi yaha se chala jaounga..


chalo aao bhaitho mere saath..

rehan ke kehne ka andaz itna acha or pyara tha ke un baccho ko
laga jaise unka koi bada bhai unhe apne saath kaam karne ka hukm de raha ho,,


the to wo shararti par rehan ko mana nahi kar paaye..



or uske bagal me akar bhaitha gaye..


or rehan bhi apne kaam me masroof ho gaya...


thodi der baad rehan ne dekha ke pyaz ki boriyan khud ba khud hawa me udti hui uske kareeb aayi or uska moo khul gaya ..

or hairat ki baat to ye ke niche girne wali pyaz khud ba khud do taraf alag alag girne lagi

rehan ne gaur se dekha to paya..

achi pyaz ek taraf gir rahi thi or khaarab duri taraf..

or achi pyaz khud ba khud ud kar ek bori me jane lagi or bori bhar kar khud hi sil gayi..


jitni der me rehan ne do bori pyaz ki chun kar banayi thi usse aadhi der me un baccho ne 8 bori pyaz ki chun kar alag bhi kar di or bandh kar tayiyar kar di..

rehan aage bada or boriya utha kar godam ke saamne wale shade me rakhne laga.. abhi wo ek bori rakh kar dusri lane andar jaa hi raha tha ke usne dekha 9 ki 9 boriyan.. hawa me udti hui uske peeche peeche aane lagi or jaha usne pehli bori rakhi thi
uske upar bade hi saleeke se akar jam gayi..



rehan bohat khush tha kyuke aadhe se zyada kaam to use un baccho ne hi kar ke de diya tha..



rehan andar aya or unka shukriya da kiya..


unhone muskurate hue kaha..


hume bhi aap ke saath kaam kar ke bohat maza aya..



par ab aap yaha se jayiye or itni raat me yaha mat aya kijiye .. hume badi pareshani hoti hai..





rehan ne muskurakar kaha..





bhai ab to ye mera roz ka kam ho gaya hai..





par aap log fikar mat kijiye mai aap logo ke khel kud me kabhi koi dhakal nahi dunga..





or jitni jaldi ho sake apna kaam nipta kar yaha se chala jaounga.. or phir rehan unhe salam karke waha se nikal gaya..





ek bacche ne dusre se kaha..



bhaijaan ye ladka hum se darta kyu nahi hai..???





bhaijaan ne muskurakar apne chote bhai se kaha..





bechara allah ka nek banda hai..



iske saath kuch aisi shaksiyate humesha ghumti hai jiske bare me khud ye bhi nahi janta ..



or humare ammi aabu ne hume ye sikhaya hai ke apno se bado ka humesha ehteraam or izzat karni chahiye..



or humne inki izzat ki..



ye ladka har mamle me hum se bohat bada hai.. or tum logo se bhi mai keh deta hun..

kabhi bhi ise koi nuksaan pohchan eki koshish mat karna ... warna anjaam ke tum log khud zimmedar honge.,..





charo bacche ek sath bole.. ji bhaijaan aap jaisa kae,,
 

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
rehan ke saath aisi kaun si shaksiyate ghuma karti thi ye to khud bechaa rehan bhi nahi janta tha..






ab aage or kya kya hone wala hai ...

zindagi rehan ko kaha lekar jaati hai ye dekhna dilchasp hoga... isi tarha waqt guzarta chala gaya or rehan is tarha ki bohat
se ajeebo gareeb halat se guzarta chala gaya..



rehan ab jawani ki dehliz par kadam rakh chuka tha..


itne salo tak lohe ki kulhadi pakadate pakadte uske jism me bhi lohe ke asraat aa chuke the..



sara ka sara jism lohe ki traha skhat ho chuka tha...


jism ke ek ek hisse se jawani or mardangi jhalkti thi..



ab wo jungle apne hatho me hi bade bade lakdiyon ke khod utha kar laa liya karta tha or apni wazni or bhari kulhadi se lakdi ke un khodo ko badi hi asani se phod liya karta tha..


rehan tha to sanvla par uske chere par ek alag hi tarha ki kashish thi naak naksha bhi bohat acha tha..

uske saanvle rang me ek alag hi tarha ka sunhaira rang shamil tha.. jo dekhne walo ko apni taraf akarshit kiya karta tha..



jab rehan apni sando baniyan par apne johpdi ke bahar kulhadi se lakdiyan phodta to uska sara ka sara jism paseene me bhig jaya karta..

uska chera paseene se tar ho jaya karta or jab us chere par dhup ki kirne pada karti tab uska chera paseene ki wajha se ek sunhere rang ki tarha chamakne lagta..



gaon ki kai ladkiyon ki hasrat bhari nigahe rehan ki jism par pada karti..

or uske mazboot jism ke har hisse ko badi hi lalchayi nazro se dekha karti.. jab lakdiyan phodte phodte uske fauladi bazuo ki machliyan machla karti..

sach me rehan ke chere me naa jane kaisi kashish thi jo gaon ki bohat si ladkiyon ko uski taraf khincha karti thi...



kai ladkiyan rehan ke karreb aane ki uska qurb hasil karne ke chakkar me thi..


par rehan in sab chizo se bilkul anjaan apne kaam me masroof raha karta tha...



uske dil me pyar ke liye jo kona tha wo bachpan me hi bhar chuka tha...


uske dil me to neha ki mmohabbat ghar kar chuki thi..


or wo jagah itni choti thi ke us me neha ke ilawa kisi or ke liye koi jagahn nahi thi...





aaj bhi rehan jungle ki taraf nikla or lakdiyan talaashne laga..


aaj use jungle me kuch zyada hi andar jana pada kyuke lakdiyan is taraf se bilkul hi khatam ho chuki thi..


rehan lakdiyan talaashne ke liye or ghane jungle ki taraf nikal pada..


jab usne dhundha to use ek jagah beeja ke ped ka bohat bada tana nazar aaya..

ped shayad aandhi or toofan ki wajha se jhuk kar toot chuka tha.. or bilkul sookh chuka tha..

rehan uske kareeb gaya or us ped ko dekhne laga..


kafi bada tana tha uska..


rehan ne socha ise ek sath utha kar le jana to kafi mushkil hoga.. pehle iske yahi par tukde kar liye jaye..
uske bad hi ise lekar jaounga....

or rehan us ped ko apni kulhadi se katne laga...


abhi wo is kaam me masroof hi tha ke achanak kisi ne piche se uspar hamla kar diya..



rehan kyuke is hamle se ghafil tha.. isi liye wo samne ki taraf gir gaya...
or kulhadi bhi hath se choot gayi...



rehan moo ke bal zameen par gira tha..


wo turant palta..

wo abhi zameen par hiu pith ke bal palata tha ye dekhne ke us par achanak ye aafat kaha se toot padi ke,,,


ek narm or nazuk sa badan uske seene par sawaar ho gaya..

rehan ne use dhayan se dekha to paya ke.. ye ek ladki thi..
dekhne par umar 18-19 saal se zyada nahi rahi hogi..


rang ek dum safed tha.. gehri neeli aankhe..
khule or bhikre hue lambe bhure baal jin par suraj ki roshni ki wajha se halka sunhaira rang nazar aa raha tha...


par ek baat jo uske itne khubsurat wajood ko tabah kar rahi thi.. wo thi uski wehshipan wali hasi..



uske surkh laal honto se thook or raal beh beh kar rehan ke chaude seene par gir rahi thi...


or wo bade hi bhadde or wehsi andaaz me has rahi thi..



usne haste haste kaha...


hmmmmmmmmm...
aaj bade hi dino baad ek mota taza shikar haath laga hai.. ab mai tumhe bade hi maze se kahungi...



rehan ko uska ye andaz dekh kar hasi aa gayi..


rehan ki aankhe acahnak hi gehre kaale rang me badal gayi.. usne apni noorani nazro se us lakdi ko dekha..


wo samajh gaya ke ye ek YAKSHINI hai..



ek shararti muskurahat rehan ke honto par nachne lagi...


rehan ne us ladki se kaha..


acha to tum ek YAKSHINI ho..



( YAKSHINI YANI KE CHUDAILO KI EK AISI PRAJATI JO INSANO OR JANWARO KA KHOON PIYA KARTI HAI TAKI UN KI KHOBSURTI HAMESHA BANI RAHE.. OR HAR 10 SAAL ME UNHE EK INSANI BACCHE KI BALI DENI PADTI HAI TAKI UNKI UMAR OR BAD JAAYE..)






ladki foran rehan ko chod kar uth gayi..

or hairat bhari nazro se use dekhne lagi..

tum meri haqeeqat ke bare me kaise jante ho...?? kaun ho tum..??



rehan apni jagah se uth kar khada ho gaya.. or apne kapde jhatakta hua bola..
is bare me tum mujh se kuch naa hi poocho to behtar hai..





par ek baat sun lo tumhe meri taraf se mayoosi hi hogi.. tum abhi mera shikar karne ke qabil nahi huyi ho..


yakshini chid kar boli.. kyu nahi hui hun..??
mai koi bacchi hun kya..??
mai tumhe zaroor marungi or tumhara namkeen khoon piyungi..



rehan muskurata hua bola..
acha to thik hai aao koshsih kar ke dekh lo..



or rehan ne apna ek haath aage bada diya..


ladki foran hi kisi wehshi janwar ki tarha rehan ke haatho par pil padi..

or apne nokile daant uske haath me pewast karne ki koshish karne lagi..


par wo aisa kar nahi aapyi..

shayad uske jabdo me itni takat hi nahi thi ke wo rehan ke fauladi haatho ko chir sake..

ladki ko aisa mehsoos hua ke wo rehan ka haath nahi kisi lohe ka mazboot tukda ho jise uske haath me pakda diya gaya ho or kaha gaya ho
ke ise apne daanto se chaba kar dikhao..



wo kafi der koshsih karti rahi par nakaam rahi..

wo rehan ke haatho ya bazuoo me ek halki si kharaash tak paida nahi kar paayi..


or aakhir kaar usne rehan ke haatho ko chod diya or usse pare hat gayi..


rehan ne muskurakar kaha..

are tum to badi jaldi haar maan gayi..

aage bado ek baar phir se mujhe shikar banane ki koshsih karo..


ladki mayoos nazro se rehan ko dekhne lagi..
or apni aasteen ne apni behti hui raal ko saaf karti hui boli...


tum aadam zaad hi hona..?? insaan hi hona tum..??



rehan haste hue bola..


kyu..??

tumhe isme koi shak hai kkya..?? haan mai insaan hi hun..


ladki jaldi se boli..


phir tumhara jism kisi faulaad ki tarha kyu mehsoos hota hai mujhe,..?? maine aaj tak bade bade or khoonkhaar insaano or janwaro ka shikar kiya hai par unme se koi bhi tummhari tarha nahi tha...
tum un sab me sab se anokhe ho.. kaun ho tum..??



rehan ne kaha..

mera naam rehan hai..

or mai ek aadam zaad hi hun.. insaan hun mai bhi..

yakshini jaldi se boli.. phir tum..
tum itne mazboot kaise ho..??


rehan ne kaha .. mujhe nahi maloom...


mai bachpan se hi aisa hun..





or rehan wapis apne kaam me masroof ho gay or
paas padi kulhadi utha kar dobara lakdiyan katne laga..



yakshini wahi khadi rahi or rehan ko dekkhti rahi..


usne rehan se kaha..

tum jante ho ke mai ek yakshini hun.. insaano ka khoon peeti hun ..
phir bhi tumhe mujh se darr nahi lagta ..


wo yakshini ki taraf dekh nahi raha tha..
rehan ne kulhadi utahyi or ek tane zordar waar kate hue kaha..


kabhi mere saath meri chachi ke ghar chalna mai tumhe un se milwaounga..
un se milkar tumhe ye ehsaas hoga ke is duniyan me tum se bhi badi yakshiniyan raha kart hai..


ladki darr kar boli..

kya wo bhi meri tarha insaano ka khoon karti hai..??

rehan lakdiyon ke tukde karte hue bola..


haan khoon to karti hai.. par insaano ka nahi.,. unke jazbaato ka..
unke ehsaas ka.. or
badle me de jati hai aise zakham jo naasoor ban jaya karte hai..


or is duniyan me akeli wahi nahi or bhi aise kai log hai jo is tarah ke bade bade kaam kiya karte hai..

kisi ke jazbaato se khelna .. unki ghareebi ka mazak udana..
apne saamne kisi ko neech or gira hua samajhna..
ya saari insaano ki khubiyon me se khuch khubiyan hai..


ek waqt ko to mujhe ye lagta hai ke..
insaano ke muqable tum log zyada reham dil hua karte honge..

jo insano ka khoon peene ke baad unhe maar dala karte ho.. or wo bechara is bhayanak duniya se mukti paa leta hoga..


par insaan ..??

wo to ek aisa darinda hai jo logo ke jazbaato ka khoon karta hai..
or jo bardaasht se bahar ho aisa dard or takleef de diya karta hai.. or jise ye takleef milti hai ..
us kambhakht ko maut bhi nahi aati..

uski saza to yahi hoti hai ke wo zinda rahe or isi tarah ki or dukh or takleefe jhele..

samjhi..??



insaano ki basti aisi hi janwaro se bhari hui hai.. or mai unhi janwaro ke bich rehta hun..

or jab mai un se nahi darta to tum se darne ka sawaal hi nahi paida hota yakshini..


yakshini muskurakar boli..


ohooo.......

bade dil jale maloom padte ho..??



insano ki itni behtreen maloomat hai tumhe...
kitne ache andaaz me unki khamaiyon ko unki khoobiyan batla rahe ho..



or mera naam yakshini nahi hai.. SHALAKA naam hai mera..

mai shaitaan AAGHORA ki betiyon me sab se choti beti hun..


rehan ne shalaka ki taraf ek achitti nazar daali or bola..


acha tum chudailo ke bhi naam hua karte hai..?? mujhe pata nahi tha..

or tum shaitaan ki beti ho..?? achi baat hai..
acha ek baat batao.. tumhari umar kya hogi..??


shalaka muskurakar boli..

mai to abhi sirf 200 saal ki hun zyada umar kaha hai meri..?? or wo sharma kar ithlane lagi..

rehan hairat se bola.. 200 saal ..??
or tumhe lagta hai ke tumahri umar bohat hi kam hai..??



agar aisa hi to tumhare hisab se to mai abhi paida bhi nahi hua hoga.. dadi amma kahi ki..




shalaka chid kar boli..


ayeee...
rehan zaban sambhal kar samjhe..

agar mai insaan hoti to tum se kam se kam 5 ya 7 saal choti hoti samjhe..??



oh acha ..


par tum ho to chudail hi naa..


shalaka tunak kar boli..

khabardaar jo mujhe dobara chudail kaha to..



ab rehan ko bhi gussa aagaya..??


rehan ne apni kulhaldi ko wahi patka or uska phal jakar zameen me dhas gaya..??



rehan guuse me akar shalak ke nazdeek gaya or use kaha..


bolunga chudail..

are chudail ko chudail nahi to kya shezadi ya pariyo ki raani bulaaoo..?? jaao phir se kehta hun..
chudail.. chudail..chudail ho tum..


baato kya bigad logi mera..??




achanak hi shalak ki neeli neeli aankho se gulabi rang ka paani nikalne laga.. or wo zor zor se chilla kar rone lagi..

aaannnnn..

mai chudail nahi hun.. shalaka hun mai..
tum bohat gande ho rhan..

aaj tak mere baba ne mujhse aise baat nahi ki.. mere pariwaar me sab mujhe itna pyar karte hai..
wo to mujhse itna pyaar karte hai ke kabhi mujhse oonchi awaz me baat tak nahi ki.. or tum mujhe itni buri tarha daant rahe ho..??

mai baba se tumhari shikayat karungi.. wo tumahri achi khabar lenge dekhna..

tum bohat bure ho rehan.. bohat gande ho tum..

aaj ke baad mai tumse kabhi nahi milungi.. dekh lena mai kabhi nahi aaoungi..


or shalaka kisi 5 saal ki bacchi ki tarah rote rote waha se bhag gayi..



are...
are ..mera wo matlab nahi tha.. suno to shalaka..

par wo rote rote andar ghane jungalo ki taraf chali gayi..


rehan ko ehsas hua ki shayad usne kuch zyada hi bol diya..


ab chudail hui to kya hua..??

thi to wo ek ladki hi na..??

or kis ladki ko ye baat pasand aayigi ke koi ladka use chudail bole,,??


rehan ne apni kati hui lakdiyo ko band kar apne kaandho par lada or mandi ki taraf nikal gaya..


par raste bhar use shalaka ka hi khayal aata raha.. use afsos tha ke usse zyadati ho gayi hai..
use shalaka se is tarah nahi pesh aana chahiye tha..


phir usne socha ke kal dobara wo junglek eusi hisse me jakar shalaka ko talaash karga or phir use dhoondh kar usse maafi maang lega..


usne apne dil me ye faisla kiya or aage bad kar mandi ki taraf nikal gaya.. dusre din rehan subha subha hi shalaka ko talaash karne jungle me nikal pada...



wo usi jagah pohancha jaha kal shalaka se wo pehli bar mila tha..


rehan ne use bohat awaze di ke shayad wo kahi aas paas hi ho ..??


par uska koi jawab nahi mila..



rehan ab jungle me idhar udhar bhatakne laga ko shalak ko pukarne laga..


abhi wo ghane pedo ki taraf se guzar raha tha or awze laga raha tha..



shalaka.......
kaha ho tum..??
mujhe tumse baat karni ho..
agar tum aas paas ho to jawab do..

par koi jawab nahi mil raha tha use..





wo thodi or aage bada or awaze dene laga..





shalaka...

kaha ho tum ..?? jawab do..

mai rehan..

tum se kuch kenne aya hun..





achanak hi rehan ko apne kareeb hi ek awaz sunayi deti hai,,.







kya hai..??

kaun mar gaya..??

kyu itni buri tarha gala phaad phaad ke mujhe pukaar rahe ho..??







rehan foran palta..





par piche koi nahi tha..





rehan us awaz ko pehchan gaya tha.. ye shalak ki hi awaaz thi..



par wo kaha hai..??

use nazar nahi aa rahi thi ..





rehan ne kaha..





kaha ho tum dikhayi kyu nahi de rahi mujhe..??











yaha upar dekkho mai yaha hun..







rehan ne achanak upar ki taraf dekha..
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
shalaka upar ped ki ek bohat badi or mazboot shaak se ulti latki hui thi..



uske pairo ke panje kisi chamgadadh ( bat) ki tarha ped ki us shaakh ko jakde hue the...


or uske dono haath uski aankho ko dhaake hue the..


usne aankhe malte hue rehan ki taraf dekha or usse kaha..


kya hua hai tumhe..??
kyu itni buri tarah chilla rahe the..?? meri abhi abhi to nind lagi thi..
tum ne akar jaga diya mujhe..





rehan hairat se uski taraf dekhne laga.. usne kaha..
is waqt so rahi thi..??

are abhi to mai sokar utha hun..

din ho chuka hai kab tak soigi tum..??


achanak shalaka ped ki us shaakh ko chod deti hai.. or bade hi araam se haawa me tairti hui..
rehan ke saamne akar khadi ho jati hai..


hum raat me jagte hai or din me sote hai samjhe..? ab batao kyu aaye ho yaha..??
kya meri thodi or beizzati karne ka man hai tumhara..?? us din ki kasar puri nahi hui kya tumhari..??

shalaka zara gusse me thi..



rehan ne apni nazre niche jhuka li or bade hi narm lehje me shalaka se kaha..


mujhe maaf kardo shalaka...

mai us din ke bartao ke liye bohat sharminda hun.. mujhe tumhe is taraha se nahi daantna chahiye the..




shalaka ne rehan ko niche se upar tak dekha.. hmmmmmmmmm....
to maafi mangna chate ho..??


haan maafi mangne hi to yaha aaya hun..
mujhe tumhara dil nahi dukhana chaiye tha shalaka.. mujhe maaf kardo..




shalaka muskurane lagi..


or rehan se poocha..

itni si baat ke liye tum mujhe itni der se dhundh rahe the..??





haan bohat der se dhuhnd raha tha tumhe par tum mil hi nahi rahi thi..





shalaka ne muskurate hue kaha ..


acha chalo thik hai maine tumhe maaf kiya..

asal me shalaka ko rehan ka usse itne meethe andaaz me baat karna bohat

pasand aagaya tha isi lsi liye shalaka ne use jald hi maaf kar diya..


or rehan ne bhi usse wada kiya ke wo use aainda kabhi chudail nahi kahega..





shakala ab rehan se kafi had tak khul chuki thi..


usne rehan se kaha..

chalo paas ke hi ek jharne ke paas chal kar kuch der bhaitte hai..


rehan ne haan me sar hila diya..



shalaka or rehan paas ke hi ek jharne ke kinare pohach kar bhaith gaye..



ye ek chota sa jharna tja jo jungle ke bich se hota hua guzarta tha..


jhil ka paani bohat hi saaf or meetha tha..


rehan bhi aksar is jhil ke kareeb akar bhaitha karta tha..


sham ke waqt yaha ka mausam or bhi suhana ho jaya karta tha..



rehan ne apni sleeper utari or shalaka or rehan dono hi
jhil se behne wali is chiti si nadi me apne per duba kar kinar ki ghaas par bhaith gaye..


choti choti machliyan rehan ke panjo ko dhire dhire katne lagi..


jisse rehan ko apne pairo me gudgudi ka sa ehsaas hone laga or wo muskurane laga..



shalaka ne jab rehan ko muskurate hue dekha to usse pooch hi liya..



tum kyu muskura rahe ho..


rehan ne dhime dhime haste hue kaha..


wo..
wo..
machliyan..mere ,,pariro me gudgudi kar rahi hai..



shalaka bhi muskurane lagi..


or usne pani me dekha to paya ke sach me rehan ke pairo ke paas choti choti bareek si machliyon ki ek toli hai or wo rehan ki ediyon se nikli hui chamdi ko kat rahi hai..



usne rehan se kaha..


tumhare pair kafi kate phate nazar aa rahe hai..


aisa kyu..??


rehan ne kaha..


din bhar jungle jhadiyon me ghumna padta hai shalaka.. kaante or na jane kaun kaun si nokili chize mere pairo me ghus jaya karti hai..
isi liye pairo ki ye halat ho jati hai..



par mai jab bhi yaha is nadi ke paas aakar bhaitha karta hun.. to ye choti choti machliyan mere pairo ko saaf kar deti hai.. or mujhe bada maza aata hai..

ab to samajh lo inse bhi dosti ho chuki hai..




shalaka ne use gaur se dekhkte hue kaha,..


tum bhi ajeeb ladke ho rehan ...

tumhari umar ke ladke to ladkiyon se dosti kiya karte hai.. or unke saath apna waqt guzarte hai..


par tum ..??


jungle ke is weeraniyo me akele ghumte rehte ho.. ek chudail se baate kate ho..
jungli janwaro or machliyon se dosti karte ho..?? tum sach me bohat ajeeb ho rehan..
tumhe samajhna bohat muskil hai..






rehan ne bhi muskurate hue kaha..

isi liye to mai anokha kehlata hun shakala.. jo kaam koi nahi karta ..
wo mai karta hun..


jise koi pasand nahi karta .. use mai pasand karta hun..



jaha koi nahi jata .. waha mai jata hun..



or haqeeqat hai bhi yahi..

meri dosti aise hi logo se hai jinhe duniya me koi bhi pasand nahi karta..

or usne meri dosti itni gehri ho jati hai ke wo mere liye kuch bhi kar guzarte hai..







shalaka ne rehan ko dekha or muskurane lagi..


baat to thi hi kehte ho tum..


hum yakshiniyo ko kaun pasand karega..?? hum se to insan darte hai...
khauf khaate hai.. or ek tum ho..
mere hi bagal me bhaithe ho ..
or mujhse itni sari baate kar rahe ho..





acha ek baat batao rehan..??


haan poocho na shalaka .. kya baat hai..??






tumhare dosto me koi ladki bhi tumhari dost hai ..?? ya tum bas yuhi bhoot preto ke saath apni zindagi guzarne ke baare me socha rahe ho..??






rehan ne muskurate hue kaha..

ek ladki to hai shalaka..





shalaka sada sa moo bana kar boli..


acha..

kaun hai wo ..??
kya naam hai uska..??








rehan ne nadi ke paani me apna chera dekhte hue kaha..


neha..

neha naam hai uska ..


mai use bachpan se bohat chata hun..


or usse shadi bhi karna chta ahun..








shalaka zara sa udaas ho gayi..





usne rehan ki gehri kaali aankho me dekha or usse poocha..



kya wo mujhse bhi zyada khubsurat hai..??


rehan ko jaise kisi ne sooyi chubha di ho ..
wo ek dum se palta or shalaka ki aankho me dekhne laga..





rehan ko esa mehsoos hua jaise shalaka usse kaafi mutassir ho chuki hai..





rehan ne shalaka se kaha..



insano or yakshiniyo ka koi mel nahi hota shalaka..



tum ek yakshini ho.. or neha ek insaan hai..

phir bhi baat agar shakal surat ki hi ki jaaye to
mai insaaf karte hue ye kahunga ke tum shakal surat ke mamle me neha se zyada khubsurat ho..



shakala rehan ke is remark par khush ho gayi..



par mere dil me to sirf neha hi basi hui hai shalaka..



isi tarha ki kuch or dilchasp batchit rehan or shalaka ke dermiyaan hoti rahi..






rehan ne phir shalaka se ijazat maangi ke ab use mandi jana hai.. taki wo apna kam dekh sake..



shalaka ne us ka haath pakad liya..


or usse kaha..

mere hote hue tum fikar kyu karte ho rehan..


mere saath meri basti me chalo..


mai tumhe waha se itna sona chandi dilwa dungi ke tum zindagi bhar bhaith kar bhi khaoge to khatam nahi hoga,,

chodo na ye fizool ki mazdoori.


rehan ne muskurate hue shalaka se kaha..


mai mehnat mazdoori ka aadi ho chuka hun shalaka..

bina mehnat kiye mujhse khana nahi khaaye jata..

or mai usi me khush hu,,

mujhe daulat or shorat ki koi lalach nahi..

shalaka rehan ko dekh kar muskurane lagi..

sach me rehan ...
tum sach me is puri duniya me sab se anokhe ho.. insaan to daulat hasil karne ke liye apne sage bhai ka gala kaat dalte hai..


or tum apne paas aayi hui dualat ko thokar maar rahe ho..??


rehan ne muskurate hue kaha..

daulat..

daulat mujhe jab bhi kamani hogi mai badi hi asaani se kamaa sakta hun shalaka ..


par abhi mai apni isi tangi dasti ki zindagi me khush hun..


acaha ab mai chalta hun shalaka..


shalaka jaldi se boli..


dobara kab aaoge mujhse se milne..

rehan ne muskurate hue kaha..

tumse dobara milna zara mushkil hoga shalaka..

kyu ...??
kyu mushkil hoga... ??

are..
jis waqt mai sota hun us waqt tum jagti ho.. or jis waqt mai jagta hun us waqt tum soti ho..
to phir tum hi batao humara milna kaise ho sakta hai bhala..


shalaka kisi choti si bacchi ki tarha zidd karti hui boli..

mujhe kuch nahi pata..
tum mujhse milne zaroor aana..


jaise tum aaj aaye ho..
bas mujhe awaaz dena mai jaha kahi bhi rahungi.. sooyi hui ya jagti hui..
tum se milne zaroor aaoungi.. tum aaoge naa mujh se milne..??
tum se baate karna mujhe bohat acha lagta hai.. bolo aaoge naa...??

rehan haste hue bola.. acha..baba..
thik hai..
waqt milega to zaroor aaounga.. ab khush..??
shalaka khush hote hue boli bohat khush..

phir rehan waha se rukhsat hua..

or apne dinbhar ke saare kaam nipta kar raat ko apni jhopdi me wapis aagaya..



jhopdi me kaafi andhera tha.. usne ek chota sa chirag jalaya..
jisse jhopdi me thodi si roshni ho gayi..

apne liye apne hi andaaz me ulta seedha kuch bhi pakaya or kha kar apne usi purane palang par let gaya..
jaha uski maa kabhi leta karti thi..



raat ka waq tha..
usne pas hi pada ek puarana radio shuru kiya..
jo usne haal hi me ek kabadi wale se kharida tha,,,



radio par mohammad rafi ke classics songs chal rahe the..



rehan ki ab ye roz ki adat thi raat me wo isi tarha puarne gaane suna karta tha..



radio par rafi sahab ka ek bohat hi mashoor naghma baj raha tha.. rehan bhi gane ke saath gungunane laga..



DIN DHAL JAAYE HAAYE.. RAAT NA JAAYE...


TU TO NA AAYE TERI... YAAD SATAAYE...

DIN DHAL JAAYE HAAYE..


PYAR ME JINKE SAB JAG CHODA OR HUYE BADNAAM..
UNKE HI HAATHO HAAL HUA YE BHAITHE HAI DILKO THAAM.. AISE ME KISKO KAUN MANAAYE..


DIN DHAL JAAYE HAAYE.. RAAT NA JAAYE...
TU TO NAA AAYE TERI.. YAAD SATAYE...
DIN DHAL JAAYE HAAYE...

thadi hawao ke jhoke chal rahe the or rehan apni dhun me mast nagme gunguna raha tha..

or isi tarah rehan ki din dhal jaya karte the or raate beet jaya karti thi...

kitni ajeeb duniya thi naa uski..???

dusre din rehan subha jaldi hi uth gaya or mandi ki taraf nikal pada..

aaj usne jaldi hi apni dukaan laga li thi or awaz maar kar apni lakdiyan bech raha tha..


kuch girahak lakdiyan lene ke liye aaye.. rehan unhe lakdiyan tol tol kar de raha tha..

itne me rehan ke kano me ek jaani pehchani dilkhash awaaz gunj uthti hai..


zara humari taraf bhi dhyaan dijiye hum bhi lakdiyan khareedna chahte hai janab..

rehan turant palat kar us awaz ki taraf dekhta hai or ek halki si muskurahat rehan ke hont par raks karne lagti hai..

ye neha thi..

rehan ke sath sath ab wo bhi jawan ho chuki thi..
or ek haseen doshiza ki shakal ikhtiyaar kar chuki thi..


rehan jab bhi use dekhta to use apni aankho or dil me ek thandhak ka ehsaas hua karta..


rehan ne muskurakar kaha.. bilkul le jaiyye ji..
neki or pooch pooch..??


rehan ne jaldi se dusre grahko ko niptaya or neha ke liye achi sookhi jalawan lakdiyan chun chunh kar nikalne laga..



neha chup chap khadi use dekhti rahi..


usne rehan ko bade gaor se dekha..


rehan bilkul mamooli kism ke kapdo me tha..


ek phata purana boseeda sa shirt tha.. jo bohat maila ho chuka tha..
or usi se mel khata hua rehan ka pent tha jo ghutno or pindilyon ki side se phata hua tha..


neha ne jab rehan ko aise haalo me ghumte hue dekha to use rehan par bohat gussa aaya..

or usne gusse me akar rehan se kaha..


ye aap ne apna kya haal bana rakaha hai..?

rehan chunki lakdiyan nikalne me masroof tha isi liye wo neha ke is tarha kehne par achanak se palta or uski
taraf sawaliya nighaho se dekhne laga jaise ke wo samjha anhi ho ke neha ne usse kya kaha ..

ji kya bole..??

nena ne ek baar phir se kaha..

maine kaha..

ye aap ne kya haal bana rakha hai apna..?? kyu..??
aap ko majnoo banne ka bohat shauk charraya hai kya..?? jo itne bure halo me ghoom rahe ho..??
ye aapka shirt itni jaghao se phat chuka hai.. pent ki halat usse zyada kharaab nazar aati hai..

kya aap ko acha lagta hai aise ghumna..??;angry:


rehan ne muskuraate hue kaha.. are baba..

to isme naraz hone waali kaunsi baat hai..?? kiske ke liye sajhoo dhajoo..??

kiske liye tayiyar hokar ghumu neha..?? kaun hai mujhe dekhne wala..??

insaan tayiyar kyu hota hai..?? taaki use koi dekh kar khush ho..

par mujhe tayiyar dekh kar koi khush hone wala ab kaha hai neha..??

isi liye mujhe aise kapde pehanna hi pasand hai..
 
  • Like
Reactions: king1969

hira

Humaira Khan
8,263
12,481
189
neha rehan ke is jawab par or zyada naraaz ho gayi...
aap se ye kisne keh diya ke aap ko koi dekhta nahi... ??
kabhi apni nazre utha kar bazaar ki taraf dekha kijiye..
bazaar me aane waali gaaon ki aadhe se zyada mooyi ladkiyan aap ki jism ko ghura karti hai..
or aap par dore dalti hai..
or muhjhe ye baat bhi achi nahi lagti ke aap aise haalo se ghume..
or khabardaar jo aap ne kabhi aisa socha ke aap ko sajha dajha or tayiyar dekh kar koi khush nahi hota..
mai hamesha se aap ko ache or khubsurat libaas me dekh kar khush hoti hun..
allah miya ne bohat khubsurat sa chera or ek pyari si shaksiyat dee hai aapko..
uske bawajood aap apne aap ki nakadri kyu karte ho..??
ab aayinda aap aise phate puraane kapde nahi pehnoge samajh gaye na aap..??

rehan neha ke saamne khada muskuraata ...


acha baba..acha.. nahi pehnunga..
par ye to mera kaam hai neha..
kam se kam yaha to mujhe purane kapde hi pehnne cahiye..
kyuki in mehnat ke kamo me ache kapde to kharab ho jayenge na..??

neha boli..
mujhe kuch nahi pata..
bas mujhe acha nahi lagta aap ko aisa dekh kar.. aap khud hi boliye ..
agar aap ki jagah mai aap ko aise phate puraane or gande kapdo me nazar aaoun to aap ko kaisa lagega..??

rehan jaldi se bola.. are ..
are ...tum ye kya bate kar rahi ho neha..??
mujhe to bilkul acha nahi lagega tumhe or allah na kare ke aisa bhi koi din aaye..

phir aap bhi sochiye mujhe aap ko aise dekh kar kitna bura lagta hoga..??

reha ab neha ki baate samajh gaya.. ke wo kya chati hai,,??


rehan ne jaldi se apne kaan pakad liye or neha se kaha.. acha ji..
lo hum haare or aap jeeti..

aainda hum aapko aise kapdo me nazar nahi aayenge. ab ye lijiye aap ki lakdiyan or jaldi ghar jayiye..
aap ki ammi jaan aapka intezaar kar rahi hongi..
or thodi bohat idhar udhar ki baate karne ke baad neha. rehan se ache kapde pehanne ka wada lekar chali gayi..

thodi der baad SAABIR ALI..tashreef le aaye..

ye hazrat jinnato ki jamat se talluk rakhte the or khud bhi ek jinn the..

or rehan ke hum umar hi the..

rehan ki in se jaan pehchaan tab huyi thi jab rehan pyaz ke godam me pyaze chata karta tha..

or tabhi se SAABIR ALI or rehan ki dosti pakki ho gayi..

itne salo me saabir ali or rehan kafi ache dost ban chuke the.. saabir ali kyuke ek jinn the isi liye sirf rehan ko hi nazar aate the.. baki dusri duniya ke aam insaano ki aankho se wo aujhal the..

saabir ali aaye or unhone rehan ko salaam kiya..
rehan ne uske salaam ka jawab diya or apne bore ko jaha wo bhaitha tha.. use jhatak kar saaf kiya or saabir ali ke liye bicha diya..
rehan or saabir ali usi bore par ek dusre ke aazu baazu bhaith gaye.. rehan un se nazre nahi milata tha..
idhar udhar dekh kar baate kiye karta tha..

saabir ali bhi kabhi rehan ke chere ke taraf dekh kar baate nahi karte the par kabhi kabhi dono ki nighahe mil jaya karti thi..

rehan ne saabir ali se kaha..


or hazrat..??

kaise aana hua aaj..??

saabir ali ne bhi muskurrakar jawab diya.. rehan miya aa to hum bohat pehle chuke the..
par aap ka jalwa dekhne ke liye bas aap se zara door khade hue the..

rehan ne bina un ki taraf dekhe kaha..


mai aap ka matlab nahi samjha saabir bhai..??
saabir lai ne chutki lete hue kaha..

miya hum aap ki shareek-e-hayat ( biwi ) ki baate sun rahe the.. kitni sakhti se daant rahi thi wo aapko..
wakai me maza aagaya dekh kar.. biwi ho to aisi..

rehan ne muskuraate hue kaha..

kyu mujh ghareeb ki hasi udaate ho miya saabir ali..?? aap to jante hai na ke hum abhi akele hai.
or humari abhi koi shaadi waadi nahi hui hai..

saabir ali bole..
are miya hui nahi hai to kya hua..?? hum kis marz ki dawa hai rehan bhai..?? aap hukm karke dekhiye..
apni pyari bhabhi jaan ko hum hawao ke pehloo me bhitha kar aap ke paas le aayenge..

rehan ne muskurate hue kaha..
aap ki bhabhi jaan ko uthane ke liye aapki takato ki koi zaroorat nahi hai saabir bhai unhe uthane ke liye aap ke is bhai ke ye do bazoo hi kaafi hai..

saabir ali ne rehan ki phit thokte hue kaha.. waah mere sher,,
ye hui naa baat..
aakhir qubool kar hi liya ki wo humaari bhabhi jaan yaani ke rehan miya ki biwi hai..
haina..??

rehan jaldi se bola..
are saabir miya abhi aap itne utaawle mat ho jaiyye
abhi aisi koi baat to nahi hui hai mere or neha ke darmiyan..
saabir ali bole.. are miya rehan ..
mujhe nahi lagta ke baat karne ki koi zaroorat bhi hai...
un khatton ka aap ko yun daantne ka andaaz dekh kar to hume yun mehsoos hua ke sach me wo aap ki biwi hi ho..
or waise shaadi to humari bhi abhi tak hui nahi hai..
par aapko yun daant khaata hua dekh hume bhi baal bacchedaari ka maza aagaya miya sach kehte hai bada maza aaya aaj to..

rehan zara sa sharma gaya..
ab aap meri taang mat khichye saabir bhai..

saabir ali bole.. are waah ..waah..

aap ki taang hum nahi khichenge to kaun khinchega miya..?? or ab jaldi hi kijye warna kahi der na ho jaaye rehan miya..

reha ne kaha..
sab kismat ke khel hai saabir bhai..
WAQT SE PEHLE OR MUQADDAR SE ZYADA NA KISI KO MILA HAI OR NA MILEGA..
saabi lai ne phir kaha..
waah..rehan bhai kya khoob kahi hai aap ne..
waqt se pehle or muqddar se zyada na kisi ko mila hai or na milega..

waise rehan bhai..
aap ka jhagda kis baat par ho raha tha..??


rehan ne kaha..
are kuch nahi tha saabir bhai..
wo neha mujhse naraaz ho gayi thi ke mai phate puarne kapde pehan kar kyu ghumta hun ache kapde pehna karu..


saabir ali bole..
bilkul sahi kaha unhone..
mai apni bhabhi jaan ke saath hun.. tum sach me apni halat dekho.. kitne bure haalo se ghumte ho tum..
miya yehi to umar hai pehanne odhne ke abhi sajh
dhajh ke nahi ghumoge to kya budhaape me shauk farmaayege hazrat..??


rehan bola..
saabir bhai asal me mera dil nahi karta ye sab karne ka.. mai jaisa hun waisa hi khush hun bhai..
or phir haqeeqat to ye hai ..
ke mere paas me aise koi kapde hai hi nahi ke unhe mai pehan kar ghoom saku..
mere saare kapde yun mamooli andaaz ke or saade se hai..

saabir ali rehan se zara se naraaz ho gaye..

miya rehan hume aap ki ye baat bilkul pasand nahi aayi.. agar aap ka dil nahi karta to kam se kam aap dusre ke liye kuch waqt ke liye to apna huliya badal hi sakte hona..?? un bechari kahtoon ne aap ko itni achi tarha se samjahya uske bawajood aap nahi samajh paaye..??
mai unki hi misaal aap ke saamne pesh karta hun rehan miya..

kya ek mard ko ye baat kabhi pasand aayegi ke uski biwi phate puraane or boseeda kapde pehan kar gande haalo me uske saamne ghume..??
rehan ne turant kaha..
nahi saabir bhai mujhe to aisa nahi lagta..
or agar aap ye sawaal mujhse karoge to mai to yahi kahunga ke ek mard to marte mar jana pasand karega par jis aurat ko wo apne dum or apni zimmedari par uske apne maa baap se maang kar laya hai use wo kabhi aise halo me dekhna pasand nahi karega..
wo khud bhuke rahega par use zaroor khilaayega..
khud khuch bhi pehan lega par jaha tak us ki bisaat hogi waha tak
to wo zaroor apni biwi ko ache se ache kapde pehnaayega or uski khawahisho ko pura karega..
or itna sab kuch karne ke baad bhi agar uski biwi uske saamne aisi halat me aaye jaisa ke aap keh rahe ho to us mard ke dil par kya guzregi..??
use to lagega ke itna sab kuch karne ke baad bhi mai apne biwi baccho ke liye kuch naa kar paya..?
or meri nazar me apne shaohar ke aage aisi aane waali aurat ya to bewakoof hogi ya nashukri hhogi..
are,,
saabir bhai kaun mard ye nahi cahege ke uski biwi uske saath mehlo ki raani jaise rahe..?? or uski biwi uske liye saajh singhaar kare or sajh dhajh kar uske aane ka intezzar kare.

ye to har mard ki khawahish hoti haina saabir bhai..??

saabir ali bich me bol pade..

bilkul yahi baat rehan miya.. mai aap ko
yahi baat samjhana chata tha..
jis tarha aap chate hai ke aap ko aap ki biwiyan sajhi dhaji or achi khubsurat halat me nazar aaye..
kyuke aap ko unhe aise dekh kar acha lagta hai..
aap unhe ache or khubsurat libaas me dekh kar khush hote ho..

bilkul usi tarha aap ki biwiyan bhi to aap se khuch chati hongi na..?? kya unka dil nahi karta hoga ke uske shohar ache or khubsurat libaas pehne..??
kya uske dil me kabhi ye baat nahi aati hongi ke jis tarha wo apne shoahar ke jazbaato ka or unke araam ka itna khayal karti hai..
to uske badle me unke shoahar bhi unke jazbaato ko samajh kar unki khusi ke liye thodi der ke liye hi sahi,,,
unki baat maan le..

rehan miya..
jistarha aap unse kuch chizo ki maang karte ho usi tarha.. wo bhi aap se kuch chizo ki maang karti hai..
or jaha tak mai sochta hun unki ye maange najayaz bhi nahi hoti..

unhe bhi kitna acha lagta hoga jab unke shohar sajhj dhajh kar ache libaas ye kapdo me bahar nikalte honge..

jistarha aap ko unhe dekh kar khushi hoti hai bilkul use tarha jab aap ki biwiyan aapko aise dekhti hongi to unhe bhi bohat khushi milti hongi.. ye alag baat hai ke wo kabhi is baat ka izhaar aap par nahi karti..
par dil to unke seene me bhi hota hai reha miya.. jo har waqt aap ki salamti ke liye dhadakta ahi,,
or agar aaj humari bhabhi jaan ne aap ko ache kapde pehanne ke
liye kaha hai to beshak unhe bhi aap ko aisi halat me dekh kar ach nahi lagta hoga.. dil khudta hoga unka bhi..

or rahi baat aapke paas ache kapde naa hone ki.. to miya..
hum kis marz ki dawa hai..:0

yeh kehkar saabir ali ne apna hath hawa me utahya..

or foran hi unke haatho me ek nihayat hi keemti or zardozi ki behtareen karigari wali sherwaani agayi...

unhone wo sherwaani rehan ko dii..
rehan ne muskurate hue kaha..

saabir bhai .. ye kya hai...??
miya ye sherwaani hai.. or kasam le lijiye..
aap par bohat khiligi bas ek baar pehan kar dekhiyega..

rehan ne muskurate hue saabir bhai ke haatho se wo sherwani le li.. nahi saabir bhai ye kuch zyada ho gaya..
aisi chize to insaan tab pehanta hai jab uski shadi hoti hai.. or mai abhi aisi chize nahi pehanna chata...

saabir ali bura sa mooh banate hue bole.. miya aap ki ye baat bhi hume pasand nahi aayi ..
hum aapko itne pyar se ye tohfa de rahe hai or aap hai ke inkaar kiye jaa rahe ho....

rehan muskurata hua bola..
miya aap to khamakhan naraz hue jate ho....
mera kehne ka matlab ye hai ke aisi sherwaniyan ya aise kapde aam taur par log apni shadi ya kisi khaas mauko par pehana karte hai ..
or aaj na meri shadi hai or naa hi aisa koi khaas mauka jis par mujhe ye kapde zeb de..

saabir ali chid kar bole..
to phir aap hi boliye miya kya chahiye aap ko..??

rehan ne muskurate hue kaha.. aam tarha ke kapde..
ek jens or t-shirt hi de dijiye agar aap kuch dena hi chahate ho to.. or ye sherwaani mai aap ka tohfa samajh kar rakh leta hun..
agar kabhi zindagi ne koi aisa din bhi dikhaya to ise zaroor pehan lunga....
saaabir ali ne kaha..

miya wo din bhi insha allah bohat jald aa jayega.. aap fikar na kare..

or sabir ali ne dobara apne haath upar uthaye or unke hatho me ek ek jeans or t-shirt aa gayi..

lijiye rehan miya..

aap ka hukm sar aankho par..

aap hum se kuch maange or hum use pura naa kare ye kabhi nahi ho sakta.. par aap humse kuch maange ye bhi badi mushkil baat hai..

miya itne jazbaati or khuddar jo tehre..
 
  • Like
Reactions: king1969
Top