- 104
- 180
- 44
Chapter 11
Agli subah jab meri aankh khuli toh aisa laga jaise main bahut jyada gehri aur lambi neend so kar uthi hun. Meri nazar kamre ki khidki ki taraf gayi toh parde ke peeche kafi tez suraj ki roshni dikhayi de rahi thi. Maine turant ghadi ki taraf dekha toh paaya ki subah ke 11 baj chuke they.
Main jaldi se hadbadate hue uth baithi. Bed ke doosre chhor par Aditya so raha tha. Abhi bhi gehri neend mein, woh kafi innocent sa... cute sa lag raha tha. Main use dekh kar halke se muskurayi. Shayad kal main kuch jyada hi soch rahi thi. Aditya ne kal raat meri baat maan kar mujhe aaram se sone diya tha, aur usse pehle woh kitne pyaar se mujhse baat kar raha tha. Shayad jo kuch pehli raat ko hua use bhula kar aage badne mein hi samajhdaari thi. Shayad mujhe apne sapno ka jeewan abhi bhi mil sakta tha.
Main muskurate hue khadi hui aur suitcase se ek aur nayi saree nikaali. Aaj main yeh suitcase khaali kar ke almari mein saara saman set kar dungi, maine socha. Par kal toh shayad hum log honeymoon ke liye jaane wale they, toh fir shayad ek aur bag pack karna padega. Us sab ke baare mein sochte hi mann mein fir se excitement si hone lagi.
Main jaldi se kapde lekar nahane ghusi, aur andar hi bra, panty, petticoat aur blouse pehen kar bahar nikli, apne upar ke hisse par ek tauliya daal kar. Aditya abhi bhi wahin bed par they, soye hue. Maine jaldi se apni saree bandhi aur mirror mein dekhte hue ek chhoti si bindi apne sar par lagayi.

Mere mann mein fir se wohi chulbulapan soojh raha tha, jaise main shaadi se pehle thi. Main apne geele baal elkar Adi ke paas pahuchi.
Maine Adi ki side bed par baithte hue apne geele baal uske chehre par halke se fere - Good morning...
Adi ekdam hadbada kar utha, usko bhi shayad abhi meri aadat nahi padi thi - Huhhh... kaunnnn... ohhh... tum... hhhhhuhhhh....
Ek do pal woh mujhe dekhta raha aur mujhe pakadte hue apni taraf kheench liya. Main jaakar Adi ke upar giri, meri chest uski chest ke upar, halke se dabti hui - Ouchhh....
Hum dono ke chehre behad paas they, itne ke bas zara sa aage badhe aur kiss kar le. Adi ki chhaati par lete hue mera seene zor se upar neeche ho raha tha, jo shayad Adi ko bhi mehsoos ho raha hoga.
Adi ne mere kandho par haath rakhte hue kaha - Good morning... sach mein... its a very good morning...
Usne mujhe apni taraf kheencha hi tha ki maine apna chehra doosri taraf kar liya aur fir jaldi se uske upar se uth gayi. Main haste hue boli - Time dekha hai... 12 bajne ko aaye hain... main neeche jaa rahi hoon... nahi toh mujhe daant padegi.
Adi turant bistar se uth khada hua - Kaun daatega tumhe?
Main muskurate hue boli - Aapki Mummy!
Adi - Woh toh kisi ko kuch nahi kehti...
Adi meri taraf badh rahe they aur main peeche ho rahi thi, jaise koi bagh ek hiran ko pakadne ki koshish kar raha ho.
Main - Main jaa rahi hoon...
Adi - Yahan toh aayo... tumhari aankhen... wow... aaj pehli baar itni paas se dekhi hain...
Main - Nahi... mujhe abhi nahi aana... baad mein baat karte hain...
Main haste hue jaldi se kamre se bahar nikal gayi aur darwaza band kar diya. Main kamre se bahar nikli hi thi ki ek dam Drishti ki aawaz ne mujhe dara diya, jaise woh bahar khadi mera intezaar hi kar rahi ho.
Drishti - Bhabhi!!! Good morning!
Maine muskurate hue kaha - Good morning!
Drishti - Wow... aaj toh aap smile karti hui aur bhi pretty lag rahi hain!
Main - Acha... thank you... tum bhi bohot pyaari lag rahi ho.
Drishti - Mujhe kuch samajh nahi aa raha...
Main - Kya nahi samajh aa raha?
Drishti - Aapka face dekh kar lag raha hai jaise aap poori raat aaram se so paayi ho... par aapki ye naughty si smile dekh kar lag raha hai ki romance saari hade paar kar chuka hai!
Main haste hue majak mein uske kandhe par halke se haath maara - Bohot bolti ho tum...
Drishti muh banate hue - Aapko mera bolna acha nahi laga kya?
Main - Chalo ab yeh nautanki band karo... neeche jaana hai mujhe... itna late ho gaya...
Drishti - Are aap tension mat lo itni... sab chill hai yahan...
Main Drishti ke saath neeche aayi aur dekha ki meri Saas bhi mera intezaar kar rahi thi. Maine unke pair chhoone ki koshish kari par unhone mujhe rok liya - Suhani... ab se nahi beta... ho gaya bas pair chhoona... Waise aaj kafi fresh lag rahi ho.
Drishti - Maine bhi yehi kaha tha!
Saas - Adi utha ya nahi?
Maine dheere se kaha - Uth gaye hain... par abhi nahaye nahi hain.
Saas - Koi nahi, tum baith kar naashta karo... woh kar lega baad mein. Drishti... ek baar bhai ko bol degi ki Papa use bula rahe hain!
Drishti - Haan... main bol deti hoon.
Mujhe realize hua ki maine ab tak Adi ke Papa ko yahan ek baar bhi nahi dekha tha. Shaadi ke time par shayad koi keh raha tha ki unki tabiyat kharaab hai. Par main unse ab tak mili bhi nahi thi.
Main - Mummy ji... woh Papa ji... woh kahan hai?
Saas - Beta woh... apne kamre mein hi rehte hain... 1 saal pehle unhe paralysis ho gaya tha aur woh chal fir nahi sakte... toh bas apne room mein hi rehna pasand karte hain.
Main - Ohhh acha... mujhe nahi pata tha.
Saas - Chahe woh kamre se bahar na nikle, par unhe fir bhi pata sab hota hai ki ghar mein... business mein... kya chal raha hai. Waise bhi Kunwar Sa... tumhare Jiju roz aakar unhe poora update dete hain.
Mujhe realize hua ki mujhe is family ke baare mein kitna kam pata tha. Shayad Jiju hi business ko chala rahe they, aur isliye ghar mein sab unhe itna maan samman dete they. Ya fir wohi sab ko chala rahe they is ghar mein? Jiju ke baare mein sochte hue kal wali ghabrahat toh nahi ho rahi thi, par abhi bhi thoda ajeeb toh lag raha tha.
Saas - Tum naashta kar lo... fir unke kamre mein khana le jaana... aur unka aashirwaad bhi le lena.
Main - Ji Mummy ji...
Main baith kar apna naashta karne lagi, kuch der baad Drishti bhi wapas aa gayi thi, aur woh mujhse yahan wahan ki baatein fir se karne lagi. Maine nashta khatam hi kiya tha ki Drishti ka phone bajne laga, aur apne phone ki taraf dekh kar uske gaal ekdam se laal ho gaye. Woh turant mujhe wahin chhod kar kahin chali gayi. Shayad uska boyfriend hoga, jiska jiqr Jiju kal raat kar rahe they.
Meri Saas ek tray lekar mere saamne aayi - Suhani beta... yeh lo... unka kamra... hallway se seedha aage jakar... seediyon ko paar karke... left mein hai...
Maine haan mein sar hilaya aur tray mein khaana lekar us taraf chal padhi. Main stairs se thoda pehle hallway mein pahuchi hi thi ki achanak se dekha ki saamne se Adi gusse mein badbadate hue aa rahe they, aur fir woh dandanate hue seediyon se upar chaddh gaye. Unhone meri taraf dekha bhi nahi. Mujhe samajh nahi aaya ki unhe kyun gussa aa raha tha.
Maine seediyon ke paas pahuch kar upar dekha par woh dikh nahi rahe they. Maine socha ki main ek baar Papa ji ko khana de kar jaldi se upar jaakar unse puchungi ki kya hua tha.
Main left right mein thoda confuse ho rahi thi, aur ek kamre mein ghusne hi wali thi ki mujhe kamre se kisi ki kadak aawaz aayi aur main ek pal wahin tham gayi.
Aadmi - Aisa kya galat bol diya maine jo tunakta hua yahan se chala gaya? Kuch galat bola main Prachi?
Prachi - Nahi Papa...
Oh! Mujhe ekdam se realize hua ki us kamre mein Papa ji aur Prachi aapas mein baat kar rahe they. Mujhe toh yeh tak nahi pata tha ki Prachi Didi is waqt yahan ghar par thi. Jaane anjaane, main kuch pal wahin ruki rahi.
Papa - Apni jimmedaari ka zara bhi ehsaas nahi hai... aur ab shaadi ho gayi hai toh biwi ke pallu se bandha rahega...
Prachi Didi ki dheemi aawaz aayi - Ji Papa... abhi chhota hai...
Papa - Chhota hai??!! Uski umar mein toh poora dhandha ghol kar pee gaya tha main! Chhota hai...
Prachi - Thoda time dijiye use...
Papa - Business ka maalik hokar naukro jaisi harkate karta hai... aur doosra woh naukar ho kar maalik bana firta hai...
Mujhe samajh nahi aaya woh kiski baat kar rahe they, par Prachi Didi ka is baat par koi jawaab nahi aaya.
Papa - Mujhe pata hai tujhe bura lagega... par pata nahi tune kya dekha us mein...
Prachi - Papa woh...
Papa - Maana maine... dekhne mein acha hai... hoshiyaar hai... kuch jyada hi hoshiyaar hai... par kahan woh tha... aur kahan hum they... isse ache pariwaar mein teri shaadi karata agar tu zidd na karti...
Prachi ki aawaz aise lag rahi thi jaise use kisi ne uski jabaan par taala laga rakha ho - Ji...
Papa - Par dekh... main tujhe fir samjha deta hoon... woh aadmi kuch jyada hi ghunna hai... koi nahi keh sakta uske dimaag mein kya chal raha hai. Aur ab main bhi yahan is kursi par baitha kisi cheez par nazar nahi rakh sakta.
Prachi - Papa... main hoon na...
Papa - Prachi... agar tu mera ladka hoti na... toh saara business tere hawale karke aaram se aankhen band kar leta... par kya karu... chahe tu kitni achi ho... hamare business mein abhi bhi koi aurat ke saath kaam nahi karna chahta...
Prachi - Ji...
Papa - Par isliye... chahe Samar sab chala raha ho... saari power maine tere haathon mein chhodi hui hai. Use jyada dheel mat diyo... nahi toh pata chala sabko bech khayega...
Mujhe ekdam se tab realize hua ki woh log Samar Jiju ki baat kar rahe they. Maine kitna kuch sun liya tha, aur mujhe ghabrahat si ho rahi thi. Kahin unhe pata chal gaya ki main bahar khadi thi toh. Main chupke se peeche hone lagi.
Tabhi Papa ki aawaz fir se mere kaano mein padhi - Aur woh ladki... us par bhi poori nazar rakhiyo... isiliye tujhe bhej raha hoon... Aajkal ki ladkiyon ka koi bharosa nahi hai. Hamara ladka waise hi bewakoof hai... pata chala khai se gir gaya ya neele drum mein pada mila... koi bharosa nahi...
Ufff... yeh toh ab meri baat kar rahe they. Main turant peeche hatt kar wahan se wapas aa gayi. Abhi abhi jo kuch suna tha main use process karne ki koshish kar rahi thi. Koi kisi ke baare mein aisa kaise soch sakta tha... Mere baare mein... Jiju ke baare mein bhi. Aur Prachi didi toh bas unki haan mein haan milaye jaa rahi thi.
Mummy ne mujhe aate dekha - Kya hua Suhani beta?
Maine kisi tarah baat ko gol mol karne ki koshish kari - Kuch nahi Mummy ji... woh kamra nahi mila mujhe...
Mummy - Acha koi nahi... mujhe de de... Adi nahi aaya ab tak... ek baar dekhegi zara?
Main - Haan... main dekhti hoon.
Main turant upar apne kamre tak pahuchi. Mere haath abhi bhi jaise kaanp rahe they. Sab kuch fir se ajeeb sa lag raha tha. Kamre ka darwaza khola toh Adi bistar par apna laptop khole baithe they. Unke chehre par ek naraazgi saaf dikh rahi thi. Mujhe andar aata dekh unhone apna laptop band kar diya.
Main - Adi... woh... Mummy aapko dhoond rahi hain... aapne nashta bhi nahi kiya hai.
Adi ki aawaz thodi flat thi - Mujhe bhook nahi lag rahi...
Main - Kuch hua kya?
Main bolne ko hui thi maine aapko wahan aapke Papa ke kamre se gusse mein aata dekha tha, par fir woh kehne ki meri himmat nahi hui.
Adi - Nahi... kuch nahi...
Main - Laptop par... kuch kaam kar rahe they...
Adi - Nahi woh... hotel booking mein kuch change kar raha tha...
Main - Uhhh... kya change?
Adi - Kuch nahi... woh Didi aur Jiju bhi hamare saath jayenge... toh hotel change kiya hai...
Main - Oh! Woh bhi jayenge hamare saath?
Adi - Haan...
Main kuch pal chup khadi rahi. Kya isliye Adi naraaz they ki unke Papa hamare saath unki Didi aur Jiju ko bhi bhej rahe they.
Maine kuch sochte hue kaha - Koi nahi... acha hi rahega... hum log saath mein ghoom lenge... akele thoda boring bhi ho sakta hai na...
Adi - Hmmm.... Jiju wahan kisi kaam ke matter mein jaa rahe hain...
Main - Oh acha...
Mujhe samajh nahi aa raha tha main kya bolu.
Adi ne ek gehri saans bhari - Ummm... sorry... maine shayad tumhara mood bhi spoil kar diya.
Main - Nahi nahi... aisa kuch nahi...
Adi ne smile karne ki koshish kari - Thanks.... ummm... chalo main ek suitcase nikaal deta hoon... packing kar lete hain...
Main - Haan... par nashta?
Adi - Woh main uske baad kar lunga.
Adi ne bed ke andar se ek suitcase nikaala aur fir almari mein se apne kapde nikaalne lage. Main bhi apne suitcase ke kapde nikaal kar almari mein lagane lagi aur kuch kapde trip wale suitcase mein rakhne lagi. Fir uske baad Adi ke kapde bhi fold karke suitcase mein rakhe. Yeh sab karte karte Adi ka mood bhi theek hota dikh raha tha.
Main samaan pack karke wapas neeche aayi toh Prachi Didi living room mein hi khadi thi, mujhe unhe dekh kar surprise hone ka natak karna pada.

Main - Didi! Aap kab aayi?
Prachi muskurate hue - Jab tum log aaram se so rahe they...
Main - Sorry... aaj kafi der neend khuli...
Prachi - Isme sorry ki kya baat hai... neend bhi toh poori karni hi thi.
Main Prachi Didi ki taraf dekh kar kuch pal pehle suni baatein ke baare mein soch rahi thi. Kya woh sach mein itni achi thi ya bas mere saamne acha hona ka natak kar rahi thi.
Prachi - Bhai ne tumhe bata hi diya hoga! Sorry... tum logo ka honeymoon crash karne ke liye!
Main - Haan... mujhe abhi pata chala. Main toh balki kafi excited hoon ki aap saath mein chal rahi hain. Adi aur main toh shayad ek doosre se jaldi se bore hi ho jaye.
Agar woh natak kar sakti thi... toh main bhi kar sakti thi.
Prachi haste hue - Abhi abhi shaadi hui hai aur abhi se ek doosre se bore ho jayoge? Nahi... tum dono saath mein time spend karna... chahe kamre se hi nahi nikalna... woh toh bas tumhare Jiju kisi kaam se wahan jaa rahe hain toh mujhe bhi saath le jaa rahe hain.
Jhooth! Bilkul Jhooth! Maine socha. Woh mujh par nazar rakhne wahan jaa rahi thi, taaki unke pyaare bhai ko kahin main kuch kar na du!
Drishti ek dam se wahan pahuchi - Kya kya kya! Didi aap bhi jaa rahe ho! Yeh kab hua? Toh bas main kyun nahi jaa rahi?
Prachi haste hue - Ab yahan bhi toh koi chahiye na hame.
Drishti - Nahi nahi! Main bhi chalungi... yaar yeh toh bilkul unfair hai.
Prachi - Aree baba... unke honeymoon par poori baraat lekar chale kya?
Drishti - Sirf mere aur jaane se baraat ho jayegi? Main abhi Mummy se baat karti hoon.
Drishti pair patakti hui wahan se kitchen ki taraf gayi.
Prachi - Tum iski tension mat lo... woh sab sort out kar denge...
Main - Drishti bhi chalegi toh mujhe koi problem nahi hai... woh mere saath ruk sakti hai...
Prachi - Nahi! Bilkul nahi! Yeh tumhara aur Adi ka time hai fun karne ka... ek doosre ko jaanne ka... plane se utar kar tum wahan mujhe bhi bhool jaana.
Main halke se muskurayi
Prachi - Tumhare paas beachwear hai na... thoda sexy type ka... wahan khul ke pehenna... Adi ko bhi acha lagega... wahan yeh saree waree mat lekar jaana bilkul bhi!
Maine sharmate hue kaha - Nahi... mere paas toh nahi hai...
Prachi - Acha koi nahi... wahin se le lenge... main bhi bas abhi chalti hoon... ghar jakar kuch kaam niptane hain... legs shave karne hai... packing karni hai... subah ham log tum dono ko yahin ghar se pick kar lenge.
Maine haan mein sar hilaya aur kuch pal baad Prachi Didi wahan se chali gayi.

Last edited: