Raat ka sanata khatam hote hi agli subah ek baar phir khauf lekar ayi, logon ki bhed kohre se dhaki chadar mein jama ho chuki thi jiske sath police ki jeep vahan aa pahunchi. Jeep rukte hi inspector ne apne kadam zameen par rakhe aur bheed ko side karta hua us ghar ki taraf badne laga jahan pehle se kuch log maujud the.
" sir... " vahan kaam kar raha sub-inspector use dekhte hi bola.
" to ? " usne uski taraf dekhte hue ishare mein pucha.
" ye vala abhi tak ka sabse jada bhayanak hai sir... "
" hmm.. " vo andar ki aur badha. Andar pehle se hi 2 log maujud vahan ki halat ki tasveerein le rahe the, andar ki halat dekh inspector bhi hairan reh gaya, farsh ke sath sath deewar par khun ki chap har taraf thi. Vo chota sa kamra kis tarah ke atank mein pichli raat raha hoga uski kalpana karke ek pal uski ruh kanp gayi.
" khun ke sath alag-alag jagah par mans aur hadi ke tukde mile hain sir... aisi maut to mene apni zindagi mein nahi dekhi.. " sub-inspector ne use soch se bahar nikala.
" body kab bhijwai ? "
" logon mein dehshat faile use pehle hi bhijwa di thi.. "
" acha kiya... " uski nazre us kone mein padi thi jahan khoon ikhata pada tha jiske andar dhero mans ke tukde pade the. " shankar se pucho us admi ne abhi tak kuch bataya ya nahi "
" yes sir.. " bol kar vo jane laga.
" suno "
" sir "
" tum usi ke sath jeep mein nikal jana mein body dekh kar sidha chauki pahuchunga.. tab tak use puch taach karo "
" par sir vo bahut dara hua hai, jabse chauki aya hai tabse kuch nahi keh raha "
" to tumhe bulawana nahi ata " vo thodi unchi awaz mein bola.
" yes sir " keh kar sub-inspector nikal gaya.
" achi tarah se dekhna ek bhi finger print ya koi bhi hatiyar mile to mujhe fauran suchit karna.. " Vo kuch der vahin khada raha, phir bahar akar logon ke bich se jate hue unke bich ho rahi kana fusi uske kan mein padne lagi. Koi keh raha tha ki ye sab kisi bhayanak janwar ka kaam hai jaisa ki kuch mahino se log keh rahe the to kuch keh rahe the ki lukha chor tha kisi ne apsi-ranjish mein mar dia, ye sab batein vo sun chuka tha, par jab tak vo gadi mein baith kar vahan se nikalta ek awaz uske kano
mein padi.
" insan-insan nahi raha, shaitan uske sath bas chuka hai koi usse humse ab alag nahi kar sakta, koi nahi.Kudrat ab hum insano se bahut dur ja chuki hai usi tarah jis tarah humse hamari ruh " awaz itni najdeek se ayi thi ki sunte hi vo muda to use sirf kohre ki chadar hi dikhi, vo kuch dur chal kar aage bhi aya par use koi nahi dikha. " Kaun tha ? " man mein sawal to aya par usne ye mana ki gaon valon mein se hi koi hoga. Usne apna dhayan hataya aur jeep mein baith kar hospital ki taraf chal diya. Dhayan to usne hata liya tha par phir bhi vo baat mano uske zehen mein atak gayi thi isliye bar-bar dimag mein ghum rahi thi.
" ajay tum ? kab aye ? " hospital ke andar ghuste hi vo bola.
" kuch der pehle "
" sidha yahan aa gaye ? "
" shankar se phone par baat hui to sidha yahan chala aya "
" chale andar.. " Dono corridor mein chalte hue ek kamre ke samne ja khade hue, ajay darwaja kholta use pehle dr. darwaja kholta hua bahar aa nikla.
" mein janta tha inspector sharma aap ane vale hai, aiye aiye.. andar aiye.. " dr andar chala gaya.
" ye itna khush kyun hai ? " ajay ne asmanjas mein sharma ko dekhte hue darwaja khola aur phir dono andar ghus gaye.
" kuch waqt se mein ajeebo gareeb mauton ko notice kar raha hu kya aap log nahi kar rahe ? " dr. ne nazre utha kar kaha, par na sharma kuch bola na ajay dono jante the ki dr. bhi logon ki tarah unhe ye puchna chahta hai ki ye sab kab tak band hoga.
" lekin is baar mera dekha abhi tak ka sabse bhayanak katl hai ye.. " usne strecher ke uppar padi body se chadar hata di. Chadar hat-te hi jo nazara un dono ne dekha use dekh kar ek pal dono inspector ka kaleja muh ko aa gaya. Dono ne rumal apne muh par rakh liye, dono hi us badbu se ubkai liye na reh sake.
" apne abhi tak iski biopsy nahi ki dr. " ajay ke puchte hi dr. ne use ajeeb nazron se dekha.
" biopsy karne ke liye isme kuch bacha hai ? " dr. ke kehne par ajay ne ek baar phir us laash ko dekha, vakai mein kuch tha nahi, gardan ke niche tangon tak sirf sharir par maas ki patle patle tukde bache the. Hadiyan bhi chur-chur ho rakhi thi, sharir ke andar koi bhi ek ang na tha, na dil, na fefde na hi kuch aur.
" na jane marne valle ne kya socha hoga, itni behrami se kese maar sakta hai bhala aur na ang chhoda sharir mein " sharma kuch soch kar bola.
" mujhe bhi ascharya hai ki bhala koi kese maar sakte hai vo bhi is kadar "
" maut kab hui hogi iski ? "
" maut kal der raat 2 se3 baje ki bich hui hogi "
" marne ki vajah bata sakte hain "
" isme kehna mushkil hai lekin mujhe lagta hai pehla vaar galle par kiya gaya hoga, nishan dikh raha hai na " galle par nishan to the lekin maas ke tukde hadiyun mein fanse hote hue latak rahe the.
" marne ke baad jisne jo haal kiya us is khoon ko aur bhi jada pechida bana dia hai, aisa lag raha hai mano koi apna badla le raha ho " ajay ki baat sahi thi.
" tumhare kehne ka matlab koi iska dushman tha pehle se ? "
" ho sakta hai ya phir.. " ajay kuch kehta use pehle dr. bola.
" phir ye koi insan ka kaam ho hi na, koi janwar ho "
" aap bhi logon ki baton mien aa gaye ? " sharma ko dr. ki baat pasand nahi ayi.
" nahi sharma ji, mein isliye keh raha hun kyun ki jisne bhi ise mara uske baad usne kisi nukeli chiz ka istemal kiya hai vo bhi itni jada power ke sath ki usne iski
sharir ke tukde kar die "
" apke kehne ka matlab ye hai ki ? "
" koi bahut takatwar janwar hai, ya phir koi shaitani takat " dr ne apna chasma chehre par uppar ki taraf kar dia.
" kya bakwas kar rahe hain aap ? jada book padne lage hain " sharma ki nazar kamre mein ghuste hi sabse pehle ek book par gayi thi, jo counter par ek taraf padi thi.
" book padna mera shauk hai inspector. Par kuch chizen yakeen manne mein burai nahi hai, apko jald se jald is khuni ko pakdna hoga varna ye shuruwat ka kabhi ant nahi
hoga " dr ki is baat mein na jane kis baat ka khauf tha ki teeno ek sath us table par padi lash ko ghurte gaye.
Khamoshi aise bandhi thi jaise kisi ne sari awaz dharti se chin li ho, jeep mein do log baithe the lekin aisa lag raha tha jaise jeep apne aap hi chal rahi ho. Dr. se milne ke baad dono shant the, par zehan mein bahut se sawal chal rahe the.
" sir ek sawal puchun ? " usne jeep ki gati badate hue pucha. Jaise jaise jeep raftar pakad rahi thi thandi hawa tezi se dono ke sharir ko chu rahi thi.
" pucho " sharma abhi bhi soch mein tha.
" kya vakai in hadso ke piche kisi janwar ka hath hai ? " vo janta tha ki sharma is sawal ka kya matlab samjhega. Ek to uski soch bhi usi jagah atki thi aur ajay ne baat bhi wahi kahi thi. Insan ka dimag sabse tez hota hai, vo un baton ko aur vishwas ke sath man leta hai jise vo khud soch raha ho.
" tum kehna kya chahte ho ? " sharma kuch der sochne ke baad bola.
" sir apko kya lagta hai ki mein ate hi sabse apse milne kyun aya ? "
" mein samjha nahi.. "
" mein jo report lekar aya hun use sun kar shayad aap meri baat par vishwas nahi karenge "
" aisa kya aya hai report mein " sharma ke man mein jigasya thi to ajay baat ko kaise kahe vo yahi sochne laga.
" humne jo abhi dekha vo hamare liye behad khaufnak hai lekin jo kahaniyan mere pas hai uske baad shayad aap bhi sochne par majbur padh jaye " ajay apni baat puri karta use pehle usne break laga dia. Sharma kuch janna chahta tha lekin ise pehle vo is vishay par kuch puchta ajay ne gaddi rok di thi.
Police station ke kamre sharma chai ka cup liye baitha tha, sharma kisi chiz ke intezar mein tha isliye uski nazar samne baithe us admi par tiki thi.
" subah se bahut aram kar liya ab kuch batane ka irada hai ya nahi ? " sharma ne chai ki chuski li. Ajay us admi ke bagal mein baitha tha, sardi se sabhi ka bura haal tha, ek kone mein aag jal rahi thi lekin asar na ke bara-bar tha. Sharma ko ab gussa aa raha tha vo chahta tha to apne dande ki jor par uglwa leta lekin vo janta tha ki is case ki kahani kuch alag hai.
" ghabro mat hume malum hai tum kya karte ho aur vo kya karta tha aur hum tumhe kuch nahi karenge bas tum hume ye batao ki tumne kal kya dekha ? " ajay uski taraf dekh raha tha lekin vo apni nazre jhukaye baitha raha mano uska sharir jinda ho lekin uski ankh kahin aur tehr gayi ho. Ajay ne uski halat ko dekh ek baar phir kosish ki. " dekho, na bata kar tum sabko khatre mein dal rahe ho agar tum hume bata doge ki tumne kya dekha to shayad hum tumhare dost ke katil ko pakad sakenge, us insan ko ya phir us janwar ko.... "
" nahi... nahi pakad sakte aap use, vo koi insan nahi hai sahab, na hi koi janwar, vo ek shaitan hai sahab... ek shaitan..... " achanak se vo apni jagah se khada hua aur chillane laga. Uske ek dum chillane se police station mein majud sabhi ghabra gaye.Sharma aur ajay uska chehra dekh kar hi bata sakte the ki vo is waqt kitna ghabraya hua hai. Uske chehre par dar aisa tha mano vo pal jo usne kabhi dekha ho vo theek uski ankhon ke samne tha.
Sharma achi tarah janta tha ki jo dar vo is waqt mehsus kar raha hai vo bilkul thik hai lekin agar usne uska sath dia to vo ye baat nahi jaan payega ki akhir kal raat aisa kya hua ? kyun ki pichle 17 kison mein ye peha kis-sa tha jisme koi tha jo is hadse ka gawah bana tha varna aaj tak sirf lashein hi ayi thi hadse ke baad koi insan nahi.
" ye sab bakwas band kar, shaitan ? dimag thik hai tera.. dekh mein janta hun ki kal tum dono ne bahut pii rakhi thi. Ab tu mujhe sach bata de varna mujhe sach bulwane ke aur bhi raste ate hai " sharma ka chillana police station mein khamoshi cha gayi.
" mene apni ankhon se dekha hai sahab.. use... " haklate hue usne akhir-kar batana shuru kiya, vo pehli kahani jisko pehli bar kisi ne apni ankhon se dekha tha.