- 6,845
- 25,713
- 219
"tumse koi kaam hoga bhi ya nahi??"gusse se Sunita Devi boli
Sar jhuka kar ranjan pandey baithe the,aaj fir school se armaan ko laane me late ho gaye
"Na tum Ghar ka kiraya maang sakte ho,na bachhe ko school se la sakte ho na tumhara promotion hota hai,karte kya ho office me"sunita baras rahi thi aur ranjan sun rahe the
"Sunita....maine koshish ki lekin...."chup ho gaye ranjan
Sunita ne ek lambi saans li,darpok kism ke insan se shaadi hui uska dukh nahi tha sunita ko
Dukh yahi tha ki is insan ne ek baar bhi na bahas ki na gussa Kiya na kisi topic me khade hue
"Mai nikalta hoon"ranjan bole aur nikal gaye
"Jaate waqt kiraya maang lena"sunita boli,ranjan haan me sar hila kar chale gaye
Ghar 2 male ka tha,oopar male me sunita,armaan aur ranjan rehte the jabki neeche kiraya diya hua tha
"Kya hua ??itni subah aane ko mana kiya tha na"cigerette ka kash nikal kar kirayedar Sunil bola
"Wo....agar ....kiraya mil jata to..."ranjan ruk ruk kar bola
"Koun sa bhaga ja raha hoon,de dunga....baat baat par mat aaya karo yahan"bola gusse me sunil
"Ek.saal tak ka kiraya nahi diya tumne dost"sar jhuka kar dheere se bola ranjan
"Zyada chabar chabar ki to wo bhi nahi dunga,kaha na de dunga"Sunil bola aur isse pehle ranjan kuch bolta darwaza band kar diya usne
Ranjan kuch der khada raha aur fir apne bachhe ke saath nikal pada
"Papa you are a coward,aap darte kyun hai itna"arman bola aur ranjan sirf muskura utha aur dono chal pade jahan bus aata tha arman ke school ka
"Kya re??"bol ek dhakka diya ek mote se ladke ne arman ko ,arman ladne hi wala tha ki ranjan ne pakad liya arman ko
"Papa choro mujhe har roz tang karta hai mujhe"arman bola
"Bhai sahab zara apne bachhe ko samjha dijiye na"ranjan is more bachhe ke mummy se bola
"Bachhe hai bhai sahab,chalta hai"mote bachhe ki mummy haste hue boli aur arman ne ranjan ka haath apne sar se jhatak diya
"I hate you papa i hate you"arman bola,bus a chuki thi aur arman ki bus nikal gayi thi
Ranjan jab office pohuncha tab ek staff laddoo lekar a gaya tha
"Kisliye??"ranjan ne poocha
"Prashant mishra ka promotion ho gaya bhai,aaj se wo assistant manager ban gaya"staff bola aur laddo ka box wahi chod gaya
"L lekin poori mehnat meri hai maine raat din Mila kar project poora kiya"bol ranjan daud kar Prashant ke paas gaya
"Sab ko sab nahi milta hai ranjan.tum sirf kaam karne ke liye paida hue ho aage badhne ke liye nahi"bol Prashant has pada aur ranjan ko rona a gaya
Office khatam karte hi sunita scooty lekar pohunch chuki thi ranjan ke office ke bahar.aaj bohut kuch suna Diya tha ranjan ko.isliye aayi thi dinner bahar koi restaurant me karne ke liye
Ranjan ne bahar dekha to sunita khadi thi,sunita ne dekha ranjan bujha bujha sa hai
"Kya hua ranjan??"sunita me poocha
Aur ranjan ne sab kuch bata diya.sunita sunti rahi.bura lag raha tha sunita ko aur isliye wo ranjan ko khush karna chahti thi
"Dekho golgappa chalo khate hai scooty rok diya sunita ne aur ranjan utar pada
"Kya maal hai yaar"kuch mawali khade the golgappe ke dukan ke paas aur comment karne lage
Sunita ne gusse se unko bolna chaha lekin ranjan ne rok diya
"Chi ranjan.kabhi to apna muh kholo kabhi to gussa dikhao kabhi to lado,kosti hun is time ko jab maine tumse shaadi karne ka socha tha"bol rote hue sunita scooty lekar chali gayi jabki ranjan wahi khada raha
Baarish pad rahi thi,mawali baarish dekh chale gaye.golgappe wale ne bhi apne oopar ka chata khol diya lekin ranjan baarish me bhiga raha,khada raha
Tabhi police ki jeep aayi aur ek inspector ne aakar poocha
"Mr ranjan pandey??"inspector ne confirm Kiya
Haan me sar hilaya ranjan ne
"You are under arrest,aapne manager Prashant mishra ne aap par office ke papers leak karwane ka arop lagaya hai"inspector bole aur ranjan ke kuch samajh paane se pehle hi use arrest kar police jeep me bitha liya aur keep chal di station ki aur

Last edited: