If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Quick Recap of the Arc: After Aarav's encounter with kim Min-soo as Avinash Kim Min-soo ran away. Then Kunle got invitation from the Carnival of death (COD) to save him and for Aarav's alterior motive aarav and Yoo-Jung decided to go with him and joined them Becky and also Caroline who wanted undiscovered her father's murderer.
In carnival with Aarav and Yoo-Jung's help they clear each floor and Aarav was taking all game master out until at floor 3 they got tricked by the game master and lost becky there.
Later they are joined by another team's 2 remaining players (Mira&Daryl) and they entered the 4th floor where they got summoned into another world to complete a quest, Save this world from demon kind and from the demon king and an side quest to save both of Priestesses twin daughters(Eira&Sola). To save them Aarav made a sacred bond(Marriage by earth means) with both of daughters them and get into a physical relationship with them.
Caroline: Sir! Rescue team ne ek aur party ko rescue ker liya hai, Ab tak rescue team 46th Floor per chali gayi hai.
Caroline ne aage ate huwe Michael ko sab details de di, Michael khara sab kuch khud handle ker raha tha.
Caroline(Hesitating): Umm.....Sir!
Michael: Huh?
Caroline: Sir tower ko unlock huwe kaafi samay ho gaya hai! Lekin abhi tak Aarav ki Party baahir nahi ayi hai, Kya hum rescue team ko tez aage badhne ka keh de?
Michael: Aur hum ye kyu kare gye? Abhi lower floors per bohat se player's rescue ka wait ker rahe hai, Agar Rescue team aur tezi se aage badhi to rescue ke liye bohat se player's reh jaye gye.
Caroline: Lekin sir?
Michael(Sigh): Huh, Caroline! Tower raid ka Aarav aur uski party ka khud ka nirnay tha, Mia ke paas bhi choice thi ke wo raid me participate karne se refuse ker sakti thi, Unhone sab risk pata hote huwe bhi ye nirnay liya tha, Ab hum unke liye baakiyo ko mushkil me chhod sakte, Phir chahe dusri taraf meri khud ki beti he kyu na ho.
Michael ne kathor awaaz ke saath kaha to Caroline bhi chup ker gayi, Lekin usko dikh raha tha ke Michael kitna dara huwa tha, Michael ki nigahen gate ki taraf he ruki huwi thi.
Usko khud yanha ane ki kuch bhi zaroorat nahi thi, Lekin wo phir bhi yanha aya tha, Uska kaaran Mia thi, Michael baahir se khud ko kitna bhi strong dikha le, Lekin uske andar bhi ek baap ka dil tha, Lekin uska kartavya uske emotions ko uske upar havi hone se rok raha tha.
*Zap!*
*Fzzzt!*
Ek baar dobara Gate active ho gaya, Lekin ab ki baar sab ka dhayan udhar chala gaya, Kyu ke Gate ka rang Laal ho chuka tha, Sab ek dusre ki taraf herani ke saath daikhne lage.
Caroline: Sir? Ye red gate?
Michael: Hmm! Kisi ne Red Ranked floor clear ker liya hai, 100th Floor ke boss Red dragon ko kisi ne ek baar dobara hara diya hai aur tower conquer ker liya hai.
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Ek saath kadmon ki awaaze gate ki taraf se ane lagi, Sab ki nigahen gate ki taraf he thi, Agle he lamhe gate se pehle Shakhs baahir aa gaya, Unke saamne Malia baahir aa rahi thi.
Uske peeche he Mia aur Akansha baahir aa gayi aur uske baad he Tarun aur Aarav bhi baahir aa gaye, Lekin unke saath ek naya chehra bhi baahir aya tha, Aarav ke saath he Rahul bhi baahir aa gaya.
Caroline: Sir, Kya Aarav ki team sach me 100th Floor ker ke ayi hai? I mean ke hum ne he unhe permission di thi, Lekin hamay laga nahi tha ke wo sach me Red Dragon ko challenge kare gye.
Caroline heraan thi, Lekin Michael bilkul shaant tha, Jaise Michael situation ko ache se observe ker raha ho, Caroline bhi chup ho gayi.
Michael: Caroline! Aarav ki team ab pehle jaisi nahi hai, the air around them has shifted, Ye sab ab pehle ki tarha lower rank player nahi hai.......Player Ranking test ki taiyari shuru ker do......Aur Aarav ko uski party ke saath Building ane ke liye keh do, Ye naya chehra mujhe sadharan nahi lag raha.
Michael seedhe Rahul ki taraf he daikh raha tha, Lekin uski sabhi baate aage badhta huwa Aarav sun raha tha, Lekin usne kuch bhi react nahi kiya aur aage badhte huwe Malia ke paas aa gaya.
Aarav: Ab kaisi ho?
Malia abhi bhi kaafi weak thi, Ye uski tails sacrifice karne se huwa tha, Usko ab uski Energy ko balance karna tha aur khud ko bachi huwi tails ke saath rehna sikhana tha.
Malia: Ab pehle se theek hu! Lekin abhi bhi kuch samay lage ga, Uske baad main ap ko dobara serve ker saku gi.
Aarav: Tum ne pehle he bohat ker diya hai! Abhi ke liye tumhe recovery per dhayan dena ho ga.
Aarav ki baat sun ker Malia khush ho gayi aur muskurane lagi, Uske liye ye he kaafi tha ke uske Master uski chinta ker rahe hai, Malia ne haan me sar hila diya.
Sabhi chalte huwe seedhe receptionist ke paas chale gye, Yanha se wo Mana Stones ko paiso ke liye exchange ker sakte the, Malia ne aage badhte huwe Mana stone se bhara huwa bag desk ke upar rakh diya.
“Huh?”
Aarav kuch sense karte he ruk gaya, Usko aise daikh ker Tinkerbell uske paas aa gayi.
Tinkerbell: [Kya Huwa?]
Aarav: They are back!
****
Nishiki Market, Kyoto
Japan ~ 9:52 AM
daichi(Glittering): Yanha ane ka kuch to fayida huwa! Yoo-Jung to rumours se bhi bohat khubsurat hai, Lekin khubsurati ke saath Strong aur Genius bhi hai, Suna kya? Red Ranked Portal sirf Yoo-Jung ke kaaran itni jaldi clear ho gaya, Agar unhe Worms ke scale collect nahi karne hote to ye raid 1 din me he puri ho sakti thi.
Daichi ek taraf khara tuk-tuki baandhe sirf Yoo-Jung ko daikh raha tha, Yoo-Jung aur baaki Player's ko baahir aye kaafi samay ho gaya tha, Ab sabhi Worms ke scales ko trucks me load kiya ja raha tha.
Daichi ke paas he baitha Fuji muskurate huwe usko daikh raha tha, Ye halat sirf Daichi ki nahi thi, Bohat se Player's chor nazar se Yoo-Jung ko daikh rahe the.
Yoo-Jung ek taraf baithi huwi thi, Usko aur baaki sab ko scales load hone tak udhar he rukna tha.
Daichi: Senpai, Kya Yoo-Jung ki koi Guild hai kya? Hum Join ker sakte hai na?
Fuji: Yoo-Jung kisi bhi Guild ke saath nahi hai! Yoo-Jung ek Solo Ranker hai, Even ke kisi ko pata bhi nahi hai ke Yoo-Jung kab kanha hoti hai, Yoo-Jung yanha sirf uske friends ke liye ayi thi.
Daichi: Friend's?
Fuji: Yup! Wind Clan ka Leader Daisuke Takahashi bhi ab ki baar Raid me saath tha, Usko Japan Government ne special request ker ke bulaya tha, Yoo-Jung strong hai, Lekin Daisuke ki true power bhi ab tak kisi ne bhi nahi daikhi hai.
Fuji ki baat sun ker Daichi bhi shaant ho ker reh gaya, Usko pata tha ke ek Red Rank gate ko raid karne ke liye ap ko bohat high rank hona padta hai, Lekin yanha sab Player's alag he league ke the.
“Daisuke!”
Ek awaaz ne Daisuke ka dhayan uski taraf kheench liya, Daisuke ke paas he Protector Guild ka Leader khara huwa tha, Ek pal ke liye Daisuke heraan ho gaya, Kyu ke puri raid ke time unki ek baar bhi baat nahi huwi thi.
Daisuke: Kuch huwa hai kya?
P-G Leader: Huh? Aise kuch huwa nahi hai! Actually main ap se kuch puchne aya tha.
Daisuke(Exhale): Fuuuu! Good, Main abhi extra kaam karne ke mood me bhi nahi tha, Kya puchna hai tumhe?
P-G Leader: A-Aarav Arya?
Daisuke: Huh?
Ek dum se aya naam sun ker Daisuke bhi heraan reh gaya, Usko Aarav bhale he yaad nahi tha, Lekin usko ye Naam ache se yaad tha, Ye naam kisi aur ke muh se sun ker wo aur bhi chaunk gaya tha.
P-G Leader: Kya ap kisi Aarav Arya ko jaante ho?
Daisuke usko ek pal ke liye daikhta raha Lekin uske chehre per pehne huwe Mask ke kaaran wo uske expression nahi daikh sakta tha, Lekin uski awaaz se usko thori hichkichahat zaroor mehsoos huwi thi.
Daisuke(Sigh): Huh, Ye naam main bohat baar sun chuka hu! Lekin main kisi Aarav naam ke vyakti se kabhi bhi nahi mila, Lekin main puch sakta hu ke ye sawal tum ne kyu kiya?
Daisuke ki baat sun ker Leader ek pal ke liye khamosh khara raha, Daisuke khara uske kuch kehne ka intezar karta raha.
P-G Leader(Chuckle): Yaani wo sapna nahi tha! Aarav Arya sach me exist karta hai?
Daisuke: Kehna kya chahte ho?
P-G Leader: Nevermind! I know ke ap ke Mann me kuch sawal ho gye, Lekin main ap ko abhi kuch bhi nahi bata sakta, Lekin ap ko jald he pata lag jaye ga.
Leader ye keh ker waapis jaane laga abhi Daisuke ko usse bohat sawal karne the, Lekin sirf ek naam per Daisuke usko interrogate nahi ker sakta tha, Daisuke ne abhi ke liye usko jaane dena he sahi samjha.
Daisuke(Yawn): Unhhh! Ye extra load ek din mujhe kuch ker ke he rahe ga, Let's not think about that for now!
Daisuke ne side per daikha to usko ek taraf Yoo-Jung aur Isabella baate karti huwi dikh gayi, Daisuke bhi unke paas aa gaya.
Daisuke: Hello Ladies! Yanha ke baad ek round per jaane ke baare me kya kehti ho?
Daisuke ne haath se peene ka ishara karte huwe kaha.
Isabella: Raid me tumhe kam daikh liya hai kya ke hum ab dobara tumhare saath he jaye? Kitne bare sar dard ho yaar tum?
Daisuke: Oye! Yanha mere saath ane ke liye sab taiyar ho jaye gye, Ye tumhare liye garv ki baat hai ke main tumhe puch raha hu.
Daisuke ne chhati ko baahir nikalte huwe kaha, Uski harkat daikh ker Isabella hansne lagi.
Isabella: Garv ki baat? Ye to sharm ki baat ho gi.
Daisuke: Yo-
Yoo-Jung: Kya hum ye plan phir kabhi ker sakte hai?
Daisuke: Huh? Sure! Main to aise he mood fresh karne ke liye puch raha tha.
Yoo-Jung: Thanks, Lekin abhi hamay jana ho ga! Usko pata lag gaya hai ke main aa gayi hu, Wo mera intezar ker raha ho ga.
****
Level Up Tower
Player's Association Building ~ 11:39 AM
Michael(Sigh): Huh, Mia ne mujhe Raid ke related sabhi details de di hai! I'm not sure ke kya zyada weird incident tha? Orc's ka Behavior? ya Guardian Wolves ki tumhari help karna? Ya phir sirf 3 logo ka Dragon ko harana?.......Lekin abhi ke liye hum kisi aur baat per dhayan nahi de sakte, Kyu ek baar dobara Tower ke andar se ek Vyakti baahir aya hai, Hamare data ke hisaab se Rahul kabhi bhi Tower Enter nahi kiya tha.
Ek Aarav ke ane se he sab kuch uthal puthal ho gaya tha, Aise me ek aur aisa case unke liye mushkil hone wala tha, Lekin unhe ye case bhi dhayan se handle karna tha, Michael ko ache se pata tha ke wo kiske saath deal ker raha hai.
*Munch-Munch*
Michael bilkul serious ho ker baat ker raha tha, Lekin Aarav uske saamne baitha huwa chips kha raha tha, Unke saath he Caroline Mia aur Rahul baithe huwe the, Baaki sabhi Re-Ranking Test ke liye gye huwe the.
Tinkerbell: [Aarav! Abhi hamay khaane se zyada Discussion per dhayan dena chahiye na?]
Aarav: [Abhi khaana bhi important hai! Ye khaane se main Evil Heart ko stable rakh sakta hu, Mujhe uski Energy bhi puri fill karni ho gi, Uske liye Substance Sustainer meri help ker raha hai]
Michael: Kya Rahul bhi ek Player hai?
Michael ne sab kuch handle karne ka soch ker sawal kiya, Uska sawal bilkul reasonable tha, Aarav bhi aise savalon ko expect ker ke he aya tha.
Aarav: Nope! Rahul Player nahi hai, Lekin Rahul ek sadharan vyakti bhi nahi hai, Ek tarha se Rahul ek Player ki tarha he hai.
Michael: W-Wait What? Phir kya Qi User?
Aarav: Nope! Lekin kuch similar bhi keh sakte ho, Rahul ek bilkul Alag Energy use karta hai, Lekin uska method kaafi Similar hai.
Ab Michael bhi mushkil me aa gaya tha, Ye situation uski soch se kaafi mushkil thi, Lekin usko zyada se zyada details chahiye thi, Aarav usko sab bata raha tha, Lekin phir bhi sab kuch bohat confusing tha.
Aarav: Don't worry! Rahul mere Under hai to chinta ki baat nahi hai, Lekin mujhe ap ki help chahiye ho gi.
Michael: Kaisi Help?
Aarav: Actually, Hum Rahul ko guild me le rahe hai! Probably Rahul hamare saath gates bhi clear kare ga, Ap ko Rahul ko as a Player Register karna ho ga.
Aarav Rahul ko strong banana chahta tha, Uske liye usko As a Player register karna zaroori tha, Ye kaam sirf Michael he ker sakta tha, Lekin ye request accept karna uske liye bhi easy nahi tha.
Michael: Aarav, Main tumhari request Accept nahi ker sakta! Kyu ke hum sirf Player's ko register nahi karte, Hum unki safety ka bhi dhayan rakhte hai, Agar main chahu bhi to bina Rank Test ke kisi ko bhi Player Register nahi ker sakta hu.
Aarav bhi samajh sakta tha ke ek leader hone ke kaaran Michael ke upar kitni responsibilities thi, Usko aage bhi report karna hota tha, Aise me kisi ko bhi Player Register karna possible nahi tha.
Aarav: Rahul ek tank hai! Lekin uska offence bhi kaafi strong hai, Rahul Defense ke liye ek A ranker ke barabar hai, Lekin uska offence bhi easily C Ranker ko hara sakta hai.
Michael: Lekin ye tum keh rahe ho! Ye nahi hai ke main ye sab maan nahi sakta, Lekin hamay record ke liye kuch to chahiye ho ga.
Aarav: Hmm! Then, How about a spar?
Michael: Huh?
Aarav: Sparring? Rahul kisi bhi B Ranker ke saath Spar ker sakta hai, Ye record ke liye kaafi ho ga?
“Master?”
Ab tak chup baitha huwa Rahul chaunkate huwe bola, Aarav ne usko kuch bhi nahi bataya tha, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha.
Michael: I think ke ye kaafi ho ga! Caroline, Theo ko inform ker do, 10 Minute me hum training hall me mile gye, Udhar Theo aur Rahul ke beech ek short sparring match ho ga.
Michael ke request accept karne per sab he heraan ho gye, Lekin ye impossible bhi nahi tha, Ek Sparring match test ke liye kaafi tha, Caroline aur Michael dono he baahir chale gye.
Rahul(Hesitating): M-Master! Kya spar sach me zaroori hai? Kya hum kuch aur raasta nahi nikal sakte?
Aarav: Obviously ye situation handle karne ke aur bhi raaste the! Lekin ye experience tumhare liye zaroori hai, Ab tak tum sirf Monster's se ladte aye ho, Lekin un danvon se bhi bara danav insaan khud hota hai, Tumhe unse ladna bhi sikhna ho ga.
Aarav ki baat bhi sahi thi, Lekin ye Rahul ke liye abhi bhi mushkil tha, Usne aj tak kisi bhi insaan ko kuch nahi kiya tha, Lekin ab usko Sparring match karna tha.
“Mr. Aarav? Ap ke test ka time ho gaya hai”
Aarav bhi Test Room aa gaya, Baaki sabhi Test ker chuke the, Unka Card bhi update ho gaya tha, Aarav ne bhi Rank test ker liya aur bilkul jaisa usne expect kiya tha, Uska Rank D tha, Sab heraan huwe.
Lekin test ke baad wo kuch ker bhi nahi sakte the, Aarav ka card bhi Update ho gaya, Ye sab karte huwe he Match ka time bhi ho gaya, Sab log Training Hall me aa gye.
Hall ke beech me spar ke liye jagha banayi gayi thi, Sab ek balcony me khare ho gye, Unke dusri taraf he balcony me Michael aur Association ke kuch log khare huwe the, Neeche Rahul khara tha aur uske paas he Theo khara huwa tha.
Aarav: [Check]
[Player Name: Theo Raeken
Level: 122
Rank: C]
Aarav: C Rank, Not bad! I think Michael ye situation zyada bigadna nahi chah raha.
“Ready?”
Michael ne dono se pucha to dono ne he Nod karte huwe Haan keh diya, Theo bilkul confident khara huwa tha, Lekin Rahul abhi bhi Nervous tha.
“Start!”
*Ka-booooom*
Michael ke start kehte he Rahul ki position per gravity badh gayi, Lekin Rahul ne usko dodge ker liya.
Aarav: Gravity User? That Sly fox! Usne ek lower Rank player choose kiya hai, Lekin uski Ability usko easily ek B Ranker banati hai, Huh, Sach budhe log apni Pride sacrifice nahi ker sakte hai.
*Boooom*
*Boooooooom*
*Ka-booooom*
Theo ek ke baad ek attack ker raha tha, Uski strategy Rahul ko Gravity me pakdane ki thi, Lekin Rahul bhi lagatar bhaag raha tha, Uski speed Theo ke liye usko follow karna mushkil bana rahi thi.
*Woooosh*
*Woooosh*
*Woooosh*
Rahul Gravity se bachte huwe Theo ke kareeb hone laga, Theo hand combat me Gravity ka use nahi ker sakta tha, Rahul ne Theo se distance kam ki aur chance milte he uski taraf bhaagne laga.
Uski speed itni thi ke ek pal ke liye Theo bhi chaunk gaya, Rahul ne punch banaya aur uske kareeb pohanch gaya, Lekin uske kareeb hote he Rahul saamne daikh ker ruk gaya.
“Gravity Slap”
Ek taraf se Gravity ne usko push ker diya, Rahul ek jhatke ke saath Theo se dur ho gaya, Unke beeech ek baar dobara distance badh gayi.
Akansha: Darling! Rahul kisi ko bhi hurt nahi karna chahta, Ye he kaaran hai ke wo vaar karne se hichkicha raha hai.
Aarav: Lekin ye ek excuse se badh ker kuch bhi nahi hai! Agar Rahul ko strong hona hai to usko har situation me har kisi ke saath ladne ke liye taiyar hona ho ga.
Akansha: Leki-
Aarav: Akansha! Main usko har kisi se ladne ke liye nahi keh raha, Lekin jab samay aye to usko ye hickichahat nahi honi chahiye, Main usko worst situation ke liye taiyar rehne ke liye keh raha hu.
Akansha ke paas kehne ke liye ab kuch bhi nahi tha, Aarav kathor ban raha tha, Lekin uski baat bilkul sahi thi, Ye Akansha ne khud experience kiya huwa tha.
*Boooooooom*
Theo ne ek baar dobara Gravity Attacks karne shuru ker diye, Rahul unhe dodge karne laga, Lekin ab ki baar Theo usko underestimate nahi ker raha tha.
Theo: Gravity Circle!
Ab ki baar Theo ne Rahul ke around ek gravity circle bana diya, Uske baad Theo usko chota karne laga, Rahul ko baahir nikalne ke liye Gravity se ho ker nikalna padna tha, Agar wo ye karta to wo Theo ke Gravity trap me phansne wala tha.
“Instant”
*Clap*
“Ughhhhhh!”
Theo ke clap karte he circle tezi se chota ho gaya aur Rahul usme phans gaya, Theo samay barbad kiye bina Rahul ki body per pressure badhane laga.
*Thud*
Rahul(Groans): Ughhhhhh!
Rahul dard se karahne laga aur neeche gir gaya, Ye daikh ker sabhi pareshan hone lage, Akansha Aarav ki taraf daikhne lagi, Lekin Aarav bilkul shaant khara huwa tha.
Tinkerbell: [Master! Rahul se nahi ho ga, Ye usko nature he nahi hai, Agar usko change karna bhi hai to tumhe easy approach karni ho gi]
Aarav(Smirk): A person tends to take on the characteristics of those with whom he or she associates! If you run with wolves, you will learn how to howl.
“Uggggghhhhhhh”
Sab abhi Aarav ki kahi baat se heraan the ke unhe neeche se Rahul ke karahane ki awaaz ane lagi, Rahul ek baar dobara uske pairon per khara ho gaya tha, Ye daikh ker Baakiyo ke saath Theo bhi heraan ho gaya.
*Boooooooom*
Rahul ne Energy se khud ko lapait liya aur Energy se khud ko push karte huwe ek boom ke sound ke saath Gravity se baahir aa gaya, Rahul ek pal me Theo ke saamne aa gaya tha.
Lekin ab ki baar uski movement me bilkul bhi hickichahat nahi thi, Theo ke paas kuch karne ka bhi samay nahi tha, Punch uske chehre ke paas aa gaya tha.
*Boooooooom*
*Crash*
Punch seedhe Theo ke muh per laga aur wo peeche deewar per lag gaya, Yanha tak ke deewar me bhi chhed ho gaya, Theo ne ek gravity Shield use ki thi, Lekin phir bhi punch itna strong tha ke uska pura sharir sunn per gaya tha.
Uske haath paon kaam nahi ker rahe the Ye permanent damage nahi tha, Lekin kuch samay tak ye aise he rehne wala tha, Aarav seedhe Michael ki taraf daikh raha tha, Michael ne hoshiyari go to dikhayi thi lekin ye uske upar he bhaari padh gayi thi.
Michael: Enough! Sparring winner is Rahul.
Michael ke Rahul ko winner announce karte he Rahul neeche baith gaya, Usne ek saath bohat energy sirf khud ko move karne ke liye use ker li thi, Uski body Gravity ke pressure se exhaust aur damage ho gayi thi, Lekin phir bhi uske chehre per muskurahat thi.
Usne seedhe upar khare Aarav ki taraf daikha, Usko daikhte he Aarav ne palkon se usko sarah diya, Rahul ki muskurahat aur bhi gehri ho gayi.
“Sir! Becky ki team se kuch log baahir aye hai, Unka kehna hai ke 100th Floor tower me ab hai he nahi”
Caroline ne dheere se Michael kaan me kaha, Lekin Aarav ne udhar se he sab kuch sun liya, Uske chehre per ek katilana muskurahat aa gayi.
Tinkerbell: [Tum sach me Evil ho! Kya karne gye the aur kya ker ke aa gye?]
Aarav(Smile): [Ab opportunity saamne ho to main utna budhu nahi hu ke usko thukra ker aa jau]
Michael ki taraf ek hadbadi mach gayi thi aur sabhi uth ker baahir chale gye, Aarav ki taraf se bhi sab neeche Rahul ke paas aa gye, Healers Theo aur Rahul ko heal ker rahe the, Michael ne ek Employee ko Aarav ke paas bhej diya, Rahul ko Register karne ke liye.
Aarav: Rahul, Congrats!
Aarav ki mubarakbad sun ket Rahul khara ho gaya aur Aarav ke paas aa gaya.
Rahul: Master! Mera ye kehna sahi to nahi hai, Lekin main jeetne per ap se kuch request karna chahta hu.
Aarav: Sure! Kya request hai?
Rahul aage ho ker Aarav ke paas aa gaya aur uske kaan me request batane laga, Sab unhe daikh rahe the aur Jan'nna chah rahe the ke Rahul kya maang raha hai.
Rahul ne peeche ho ker Aarav ki taraf daikha to Aarav ne nod karte huwe uski request accept ker li, Rahul bhi khush ho gaya aur Employee ke saath registration ke liye chala gaya.
Tinkerbell: [Master! Main bhi ap se kuch puchna chahti hu]
Aarav: [Ab tumhe kya chahiye?]
Tinkerbell: [Ye rukha andaz sirf mere liye he hai kya? Usko to aise nahi pucha]
Aarav: [Puchna hai kya ya main mood badal lu?]
Tinkerbell(Frustrated): [Ughhh! Fine......Kya ab ap bataye gye ke ap khud ki Alpha presence chupa kyu rahe hai?]
Aarav uski Alpha presence ko kab se bilkul kam kiye huwa tha, Yanha tak ke Tinkerbell ke liye bhi usko sense karna mushkil ho raha tha.
Aarav: [Kyu ke main nahi chahta ke unhen mere baare me abhi pata lage! Abhi mujhe bohat kuch karna hai, Unka role abhi nahi aya, Unhe abhi kuch aur samay ke liye andhere me rehna ho ga]
****
Wind Clan
Japan ~ 2:27 AM
“Clan Leader!”
Daisuke ke Clan ke baahir ate he sabhi uska swagat karne lage, Daisuke bhi bilkul Serious ho ker chal raha tha, Uske saath he Yoo-Jung aur Isabella bhi aa rahi thi.
Daisuke: Nee-San?
Unke andar ate he unhe entrance per he Tsubame khari huwi dikh gayi, Chand ki roshni me uska chamakta huwa chehra behad khubsurat lag raha tha.
Tsubame: Welcome Back! Main kab se tum sabhi ka intezar ker rahi thi.
Daisuke: Kuch huwa hai kya?
Tsubame: Yanha baat karna sahi nahi rahe ga! Hum kal subha baat ker sakte hai, Clan Leader!
Daisuke(Nod): Better! Abhi ke liye andar chalte hai.
Tsubame ne aage hote huwe Yoo-Jung aur Isabella ko bhi greet kiya aur sab andar ki taraf jaane lage, Unke paas se guzarta huwa har Clan member unhe greet ker raha tha.
*Clang*
*Clang*
Yoo-Jung: Raat ke ye samay per kon spar ker raha hai?
Tsubame(Smile):Ye tumhe khud daikhna ho ga!
Tsubame ki baat sun ker sabhi training ground per aa gye, Unhe ground ke beech me he Daisuke father aur previous Clan Leader Hiroshi Takahashi haath me ek katana pakade huwe dikh gye, Unke saamne ek ladka khara huwa tha.
*Clang*
Ladke ne aage badhte huwe Katana se vaar kiya, Lekin Hiroshi ne attack easily block ker liya, Lekin ladka ruka nahi aur ek ke baad ek attack karne laga.
*Clang*
*Clang*
*Clang*
Hiroshi sirf block ker raha tha, Ladke ne Hiroshi ko block per focus karne ke liye force ker diya aur chance daikhte he usne ek step side per liya aur ek diagonal thrust try karne laga, Lekin Hiroshi ne sword ki back se uske sar per vaar ker diya.
*Woooosh*
Ladka uchalte huwe thoda sa peeche ho gaya, Hiroshi abhi bhi muskura raha tha, Uske liye ye bilkul bhi mushkil nahi tha, Ye ladke ko bhi pata tha, Sab he unki fight ko dhayan se daikh rahe the.
*Turn*
*Woooosh*
Sab ka dhayan fight ki taraf he tha, Lekin Achanak se ladka ghoom gaya aur peeche ki taraf badhne laga, Uski speed tez thi aur sword bhi point per thi, Ladka seedhe dojo se baahir aa gaya.
Uske Aim per Yoo-Jung thi, Ladke ne uske paas ate he side per hote huwe diagonal slash se usko attack kiya.
*Thud*
*Woooosh*
*Crash*
Ladke ki sword Yoo-Jung ke paas bhi nahi ayi thi ke Yoo-Jung ne ghoomte huwe ek kick uski pasliyon per maar di, Ladka seedhe paas rakhe score board se lag ker gir gaya.
Hiroshi(Laughing): Hahahahaha! Shuru se tumhara ye Plan tha? Main bhi kahu ke itni raat ko tumhara ek budhe ke saath training karne ko mann kyu karne laga.
Ladka(Groan): Ughhhhh! Kaisi Maa hai ap? Koi khud ke bache ko bhi aise maarta hai kya?
Yoo-Jung: Aur konsa beta uski Maa per aise Attack karta hai? . . . . . . . . [Aj ke liye itna he, Ye update 5k Words ka tha aur kaafi shocker bhi raha ho ga But it is what it is, Target hamara wohi hai 90 Likes ke liye, Umeedkarta hu ap ko Update pasand aya ho ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Aarav neeche baith ker counter ke andar mithai rakh raha tha, Sardar Ji ki awaaz ko sunte he Aarav khada ho gaya, Sardar Ji dukan ke maalik the aur Avinash ke yanha per ek mitr bhi the.
Sardar Ji: Kithe c? Khana khane nahi gaya kya?
Aarav: Sardar Ji customer bohat zyada aa rahe the! Abhi main theek hu baad me kha lu ga.
Sardar Ji(Glare): Ek number ka gadha he rahe ga na tu? Udhar daikh tujhe dhundhte huwe kon yanha aa gaya hai.
Sardar Ji ki baat sun ker Aarav ne darwaze ki taraf daikha to usko Urvi khari huwi dikh gayi, Urvi ko wanha daikh ker Aarav bhi thoda chaunk gaya, Ye pehli baar nahi huwa tha ke Aarav khane ke liye ghar na gaya ho.
Sardar Ji: Aj ke liye tera sab kaam pura ho gaya hai! Behno ko aise intezar me khade nahi rakhte, Ye bhi pakad le, Usko kuch le ker de dena.
Sardar Ji ne kuch paise nikal ker Aarav ko pakada diye, Aarav unko hairat se daikhne laga, Abhi sirf month ka mid he tha aur usne salary ko already advance me bhi liya huwa tha.
Aarav: Sardar Ji! Ye kya hai? Abhi to-
Sardar Ji: Customer zyada aa rahe ye to dikh raha hai! Kyu aa rahe yaad bhi hai kya tujhe? Kya din hai aj?
Sardar Ji ki baat sun ker Aarav mobile ko nikal ker daikhne laga, Usko sach me kuch bhi yaad nahi tha.
Aarav: Raksha Bandhan? Ye kaise bhool gaya? Urvi 4 din se keh bhi rahi thi aur main bina bataye kaam per aa gaya.
Din ka pata lagte he Aarav ke chehre ke rang ud gye, Usko aise daikh ker Sardar Ji ko gussa bhi aa raha tha.
Sardar Ji: Ab khade mobile he daikhta rahe ga kya? Bachi kab se udhar khadi huwi hai, Dukan to Parth bhi daikh le ga.
Aarav ne Parth ko daikha to kirti ne uske haath per rakhi baandh di huwi thi, Aarav usko ghurne laga ke usne yaad kyu nahi karwaya, Uski halat daikh ker Parth ko bhi hansi aa rahi thi.
Aarav: Tujhe to main daikh lu ga! Ye yaad rahe ga.
Aarav Parth ko sunate huwe baahir nikal aya, Urvi muh fulaye huwe usko he daikh rahi thi, Usne haath me thali pakadi huwi thi.
Urvi: Bhool gye the na?
Aarav: Nahi! Kisne kaha? Mujhe to bohat dinon se yaad tha, Ye to bus huwa he kuch ais......*Sigh*.....Haan, bhool gaya tha.
Aarav bahane banane laga tha, Lekin usko bhi pata tha ke Urvi ko pata hai ke wo kab sach bolta hai aur kab jhoot bol raha hota hai, Aarav ne apne kaan pakad liye.
Aarav: Sorry!
Urvi(Sigh): Huh, Ab to kya he ker sakti hu? Kismat me ek bhulakar bhai he likha huwa tha, Shubh muhurat ka samay nikal raha hai, Yanha baithiye.
Urvi ne Aarav ko Dukan me side per rakhi huwi chair per baitha diya, Aarav seedha ho ker baith gaya, Urvi ne thali uthayi aur Aarav ne uska sar kapade se dhak liya.
Aarav ne Urvi ko daikha to uski hansi nikal gayi, Abhi gusse se bhari huwi Urvi ek pal me badal ker serious ho gayi thi, Urvi ne ek baar usko ghur ker daikha to uski battisi band ho gayi
Urvi ne kumkum aur chawal se Aarav ke tilak laga diya, Uske baad Aarav ne haath aage kiya to Urvi usko rakhi bandhane lagi, Ye Rakhi Urvi ne khud banayi thi to usko aur bhi khushi ho rahi thi.
Uske baad Urvi he sab kuch karti rahi aur Aarav baitha usko daikhta raha, Unke pita ke guzarne ke baad unko aise kuch lamhe he milte the, Aarav ko bhi pata tha ke Urvi uska saath dene ke liye kya kuch ker rahi hai.
Urvi: Ab gift?
Urvi ne haath aage karte huwe kaha, Aarav ne uske haath me paise rakh diye aur uska haath pakad ker usko apne paas baitha liya.
Aarav: Urvi, Papa ne kabhi bhi dikhaya nahi tha! Lekin unhone hamesha hamari raksha ki hai, Ab tak main kuch khaas ker to nahi saka hu, Lekin main vachan leta hu ke ane wali har mushkil me teri raksha karu ga.
Aarav ne Urvi ki aankhon me aankhen daal ker kaha, Aarav ki baat sun ker Urvi ki bhi aankhon me aansu aa gye, Lekin uske chehre per khushi se muskurahat thi.
Urvi(Smile): Mujhe ap ke kahe gye har ek shabd per vishwas hai! Lekin........Ap ko meri raksha se pehle khud ko bachane ke baare me sochna chahiye hai.
Urvi ne kehte huwe thali se mithai utha ker Aarav ke muh me thuns di, Aarav uske liye taiyar he nahi tha aur Urvi usko daikh ker hansne lagi.
Urvi(Giggle): Hahahaha! Kaisi lagi?
Aarav(Annoyed): Urviiiii!
****
Sayani Mansion
Vansh's Room ~ 8:15 PM
*Groan*
“Huh?”
Aarav kursi per baitha baitha kab khayalon me kho gaya usko pata he nahi laga, Aarav ne saamne daikha to Vansh uske bistar per laita huwa karah raha tha.
Aarav ne usko 24 ghanton tak uski kutton wali halat bana ker rakh di thi, Essence of healing monarch ke khatam hote he Vansh unconscious ho gaya tha, Aarav usko utha ker uske kamre me le aya tha.
Vansh(Groaning): Unghhhh! Sonia?
“Hi”
Aarav Vansh ko bulate huwe uth ker khada ho gaya, Aarav ki presence ka ehsaas hote he Vansh ke saamne 24 ghante ki film ki tarha chalne lage, Aarav ko daikhte he uski bolti band ho gayi.
Vansh ka shareer abhi bardasht se bohat zyada dard ker raha tha, Lekin Aarav ko daikhte he dard ki jagha dar ne le li.
Aarav ne kursi ko utha ker Vansh ke paas rakh diya, Vansh uski taraf daikh ker he khauf aa raha tha, Aarav baitha sirf usko daikh raha tha.
Vansh: A-A......A-Ab k-kya chahate ho? Sab k-kuch to le liya hai, Ab maar kyu n-nahi dete? Y- Ye mujhe kya huwa hai?
Vansh ne uthne ki koshish ki per uski body paralyzed thi, Vansh ki baat ko sun ker bhi Aarav sirf uski taraf daikhta he raha, Uski khamoshi ab Vansh ke aur bhi raungte khade ker rahi thi.
Aarav: *Sigh*
Aarav ne uski taraf daikhte huwe inventory se kuch nikal ker Vansh ke saamne rakh diya, Vansh ne usko daikha to ek seeshe ki Jar ke andar ek worm rakha huwa tha.
[Item: Yin and Yang Twin Worms]
[Rank: S]
[Description: The Ying and Yang Twin Worms are a pair of symbiotic creatures bound by an unbreakable connection. Their souls are intertwined, sharing senses, emotions, and experiences. This means that if one worm feels pain, the other will feel it too, and any injury inflicted upon one will be mirrored in the other]
[Shared Senses and Emotions: The worms experience the world through each other, granting them a unique perspective and heightened awareness. They share not only physical sensations but also emotions, making them deeply connected]
[Symbiotic Existence: The worms are dependent on each other for survival. If one worm dies, the other will immediately begin to devour itself, a process that takes decades to complete. The surviving worm will remain trapped within its own memories, unable to escape the torment until its body is fully consumed]
[Possession: The Ying and Yang worms can possess a person's body by entering their mind. The host will experience the world through the worms' shared senses and emotions, feeling everything they feel. This means that if one worm is injured, the host will feel the pain as well. If one worm dies while the other is possessing a person, the surviving worm will begin to devour the host's body. The host will be trapped within their own memories, unable to escape until their body is fully consumed]
Item: Yin and Yang Twin Worms
Rank: S
Description:
Yin aur yang twin worm 2 symbiotic creature ka joda hai unke beech ka connection unbreakable hai! Unki soul, Sabhi senses, emotions aur experience ek dusre se connect hai, Uska matlab ke agar ek worm ko dard hota hai to wo dusre ko bhi ho ga.
Shared Senses and Emotions: Worms ek dusre ke zariye sab kuch experience karte hai, Ye unko heightened awareness feta hai, Unki sirf physical sensation nahi emotions bho ek dusre se gherayi me connect hai.
Symbiotic Existence: Worms ek dusre per nirbhar hai, Agar ek worm marta hai to dusra bhi turant khud ko devour karna shuru ker deta hai, Lekin ye process sadiyan leta hai aur tab tak worm uski yaadon ke samundar me kaidi rehta hai, Jab tak uska pura shareer devour na ho jaye.
Possession: Yin and yang worm dusro ke shareer ko possess ker sakte hai unke mind me ghus ker, Shareer ke maalik bhi worms ke zariye duniya ko experience kare gye, Unke senses, emotions aur feeling sab kuch, matlab ke agar ek worm ghayal hai to shareer ka maalik bhi dard mehsoos kare ga, Agar possession ke duran ek worm mar gaya to bacha huwa worm shareer ke maalik ka Shareer devour karna shuru ker de ga, Shareer ka maalik uske yaadon ke samundar me kaid ho jaye ga jab tak worm uska shareer devour na ker le.
Aarav: Yin and Yang Twin Worms hai! Ye dono he bohat khaas species hai, S rank monster hone ke baad bhi kisi ko bhi pata nahi hai ke ye kya hai, Sab ko lagta he ke ye 2 bekar monster hai, Kyu ke ye dono he bohat fragile monster hote hai, Dono itne fragile hai ke ek phoonk bhi dono ko maar sakti hai.
Vansh: *Shivering*
Aarav: Lekin dono phir bhi S rank monster hai! Kyu ki dono ka aur bhi khatarnak Use hai, Ye khud se to harmful nahi hai, Lekin dono ka sahi Use kisi ke liye bhi narkh ban sakte hai, Kabhi daikhe hai kya?.......Yaad aya, Ye to tum ne he baiche the na?
Vansh phati aankhon ke saath Aarav ko daikh raha tha, Aarav ko ye worms peter ne diye the, Lekin ye underground auction per Vansh ne he diye the, Usko material ke liye paise chahiye the to usne unko bekar samajh ker de diya tha.
Vansh(Shivering): D-Dusra kanha hai?
Unke naam ki tarha he wo 2 twins worms the, Lekin Vansh ko Jar ke andar ab tak sirf ek he worm dikhayi diya tha, Vansh ka saval sunte he Aarav ke chehre per gehri muskurahat aa gayi.
*Ting*
Aarav ne Jar ke baahir halka hit kiya to ek sharp noise hone lagi, Worm buri tarha se tadapne laga, Lekin udhar Vansh bhi utni awaaz se he tadapne laga, Uska sar bhari hone laga tha.
Aarav: Yanha!
Aarav ne Vansh ke sar ki taraf point karte huwe kaha, Vansh ki halat aur bhi bigadne lagi thi, Aarav ne Vansh ko dusre worm ka host bana diya tha, Ab Vansh bhi worms se connect ho gaya tha.
[Inventory]
Aarav ne inventory ke andar se ek heater, needle aur icecubes nikal liye, Sab kuch daikh ker Vansh ko bhi pata lag gaya ke Aarav kya karne wala hai.
Vansh(Sweating): Kyu ker rahe ho ye sab kuch? Maar kyu nahi dete? Aakhir chahate kya ho?
Vansh ki strong mentality ab khatam ho gayi thi, Lekin ab worms se connect hone ke kaaran Vansh bilkul bhi unconscious nahi ho sakta tha, Usko sab kuch khud se bardasht karna tha, Sirf soch ker he uski ruh kaanp rahi thi.
Aarav: Sirf ek sach! Ek sach sunana hai.
Vansh: K-Kaisa sach?
Aarav: Huh....... Archana Ji ki Suicide ke peeche ka raaz kya hai?
Vansh: K-Kaisa raaz? U-Unko mental issue h-h-ho gye the.....D-Doctors ne bhi ye h-he bataya th....tha.
Vansh ki baat sun ker bhi Aarav uski taraf daikhta raha, Vansh ab Aarav se nazre churane laga tha.
Aarav: You're lying, Vansh! I'm not going to waste my time with your lies.
Vansh: L-l-lying? Ye s-sach tha.
Aarav ne uski baat ko ansuna ker diya aur Jar ko utha liya, Usko aise Jar uthate daikh ker Vansh ki shakal runasi ho gayi, Aarav ne Jar ko utha ker Icecube ke upar rakh diya.
Vansh(Shivering): Brrr! A-Aarav, S-sach to ba-bataya hai.
Vansh ko aisa laga ke kisi ne usko nanga ker ke baraf ki silli ke upar ulta laita diya ho, Lekin ye sab sirf usko feel he ho raha tha, Uski body ko bilkul bhi damage nahi ho raha tha.
Vansh Aarav ko bulata raha, Lekin Aarav uski kisi baat per bhi dhayan nahi de raha tha, Ice cube ke puri tarha se pighalne tak Aarav Vansh ko tadapte huwe daikhta raha.
Vansh(Freezing): K-Kyu?
Aarav: Kya? Kya keh rahe ho? Lagta hai ke thand ke kaaran se bolna mushkil ho raha hai? Huh, Help karta hu.
Aarav ne heater utha ker Jar ke paas rakh ker chalu ker diya, Vansh ko shuru me to kuch sakoon milne laga, Lekin kuch pal ke baad he usko aisa lagne laga ke usko kisi ne garam bhatti ke andar daal diya ho.
Vansh: Aghhhhhhh! Aaravvvvvv!! Batata hu, Sab kuch ba....batata hu.
Vansh se ab aur bilkul bhi bardasht nahi ho raha tha, Lekin uske kehne per ke baad bhi Aarav ne heater ko band nahi kiya aur usko aise he tadapne diya.
Vansh(Scream): Aarav! Pleaseeeeeee!!! Ab aur nahi bardasht ho raha.
Vansh ki aankhon se aansu nikalne shuru ho gye the, Ek player ho ker bhi uske liye ye bohat mushkil tha, Vansh Aarav ke aage girgirane ke liye bhi taiyar tha.
Aarav(Sigh): Huh, Ek chance! Ek chance he de raha hu, Ab ki baar sach hona chahiye hai.
Aarav ne heater ko band ker diya, Vansh khud ko sambhalne laga, Uski halat bohat bigad gayi thi, Uske liye kuch seedhi tarha se sochna bhi mushkil ho raha tha.
Vansh: Maa.........Maa ka dimagi santulan bilkul theek tha! Sayani parivar khatam ho gaya tha, Ab main sab kuch apna banana chahata tha, Lekin......Lekin Maa beech me aa rahi thi, Main ne doctor ko paise de ker Maa ko mental patient bata ker asylum bhej diya, Unko....Unko shock therapies bhi di gayi, Lekin mujhe nahi pata tha ke Maa suicide ker le gi, Usme meri galti bilkul bhi nahi thi.
Aarav ko uski baat sun ker ab gussa bhi nahi aa raha tha, Usko ache se pata tha ke Vansh kitna ghatiya insan tha.
*Ba-dump*
Lekin uske dil me ek ajeeb tarha ka dard hone laga tha, Uske saamne Archana ke dardnak lamhe dikhayi dene lage, Aarav ek baar dobara khud ko bebas mehsoos ker raha tha.
Vansh: Vanshika? Haan......Vanshika bohat samay tak chupi huwi thi.......Lekin din wo waapis aa gayi, Maa ko lene ke liye, Lekin M-main ne usko bhi pakad liya.....Maa ka naam le ker usko blackmail kiya, Sonia se shaadi karne ke liye main ne uski shaadi Neel se karwa di thi......Lekin Maa ke baad uske paas rukne ka kaaran nahi tha, Neel ke marte he wo bhi bhaag gayi thi.
Vansh Aarav ki soch se bhi zyada gatiya tha, Uski baate sun ker Aarav ke andar sirf uske liye nafrat badh rahi thi.
Vansh: Ab to sab bata diya hai na? Now, Kill me please!
Aarav: Sure!
Aarav ne kehte huwe ek baar dobara Jar ko utha liya aur usko kholne laga, Ye daikh ker Vansh hairan ho gaya.
Vansh: Y-Ye kya ker rahe ho?
Aarav: Vansh, you're the absolute lowest scum I've ever known! You don't even deserve the luxury of dying.
Aarav ne worm ko Jar se baahir nikal ker side table per rakh diya, Vansh khauf se usko daikhne laga, Aarav ne needle ko utha liya.
*Thud*
Aarav ne needle ko worm ke andar ghusa diya, Worm udhar he tadapne laga, Uske saath he Vansh bhi tadapne laga, Aarav ne uske sar per haath rakh diya.
[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]
[You're editing target's memories]
Aarav ne Vansh ki kuch memories ko edit ker diya, Baahir gira huwa worm aakhir me dum tod he gaya.
[One of the yin and yang Worm has died]
[Surviving worm is starting to devour it's host! You are now trapped in your own memories until the worm completely devoured your body]
[Estimated time: 167 Years]
Vansh ka vision dhundhla hone laga, Usko Aarav bhi saaf dikhayi nahi de raha tha aur dheeme dheeme uski aankhon ka aage andhera chhane laga aur Vansh ki aankhe band ho gayi.
“Vansh”
“Vansh!......10 baj rahe hai”
“Vansh”
Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.
Vansh: Sonia?
Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.
Sonia kehne kee baad peeche ho gayi aur jaane lagi, Lekin Vansh ne uske haath ko pakad liya, Sonia uski taraf daikhne lagi.
Sonia(Blush): Vansh? Ab aur nahi! Ye sab kuch din me acha nahi lagta....Ab utho!
Sonia ne Vansh ko khinchate huwe utha diya aur bathroom tak le gayi, Vansh usko hairat se daikhta raha, Usko bathroom ke andar dhaka de diya aur darwaza band ker diya.
Vansh heraan tha, Lekin usne shower liya aur uske liye rakhe huwe kapdon ko pehan liya, Vansh baahir aya to Sonia bhi taiyar ho gayi thi.
Sonia: Chale?
Vansh: Huh? *Nod* Haan!
Sonia ne Vansh ke haath ko pakad liya aur uske saath baahir aa gayi, Baahir servant kaam ker rahe the, Vansh ko le ker Sonia Adarsh ke study room ki taraf ja rahi thi
Vansh: Sonia! Hum papa ke stud-
*Click*
Dono abhi study room ke paas he aye the ke darwaza khul gaya, Vansh ki aankhe aur bho hairat se khulne lagi, Darwaza kholne wali Archana thi.
Archana: Arey, aa gye tum dono? Ab kitna time lagane lage ho? Newly wed ho bhi to thoda dhayan diya karo.
Archana ne muskurate huwe kaha to Sonia sharma gayi, Vansh dono ko sirf daikh he raha tha, Sonia usko le ker study ke andar aa gayi.
Vansh: Huh?
Study ke andar usko Adarsh uski kursi per baitha huwa dikhayi diya, Uske paas he Aakash aur Saanvi baithe the, Dusri taraf Vanshika aur Neel baithe huwe the, Aarti bhi Adarsh ke paas khari huwi ek file khole Adarsh se baat ker rahi thi.
Archana: Adarsh? Family ke time per to ye sab kaam ki baate rehne diya karo.
Adarsh(Smile): Madam Ji ne kaha hai to ab se aisa he ho ga! Vansh khade kyu ho? Biwi ko bhi khade kiya huwa hai, Uska bhai kya kahe ga ke usne to hamari beti ko khush rakha hai aur hum uski behan ko baithne bhi nahi dete?
Adarsh ki baat ko sun ker sabhi hansne lage, Sonia ne Vansh ko khincha aur saath le ker baith gayi, Archana ne un dono ko chai pakada di.
*Tip*
Vansh ki aankhe bheeg gayi, Usne saamne daikha to sabhi khush ho ker baate ker rahe the, Uske saath Sonia uske haath ko pakade huwe baithi huwi thi.
Vansh(Smile): Sab kuch sirf ek bura sapna tha! Ye sachayi hai......Ye sab kuch sach hai, *Happy* Da- Huh?
Adarsh se baat karne ke liye Vansh uski taraf huwa, Lekin saamne ka drishya daikh ker Vansh ke haath se chai ka cup neeche gir gaya.
Adarsh uski kursi per he baitha huwa tha, Lekin uska sar desk per gira huwa tha aur khoon se latpat tha, Uske paas he ek kaale kapdon me vyakti khada huwa tha.
Vansh: Soni-
Vansh ne Sonia bulane laga, Lekin kamre me Adarsh uske aur kaale kapdon wale ke sivaye aur koi bhi nahi tha, Vansh bhaagte huwe Adarsh ke paas chala gaya.
Vansh: Dad! Dad! Ye kaise? *Weep* Kon ho tum?
Vansh ne usko pakadna ke liye aage badh gaya, Lekin vyakti udhar se baahir ki taraf bhaag gaya, Vansh bhi uske peeche bhaag gaya.
*Click*
Vyakti kamre se baahir nikal gaya, Vansh bhi baahir aa gaya, Lekin baahir ate he uske kadam dobara ruk gye, Uske kadam ladkhadane lage.
Vansh(Shivering): Maa?
Vansh ke saamne Archana ki laash latak rahi thi, Uske gale me fanda tha aur usko dusri taraf se vyakti ne pakda huwa tha.
Vansh(Furious): Stop!
Vansh gusse ke saath dobara uski taraf bhaagne laga, Vyakti upar Vansh ke kamre ke andar chala gaya, Vansh bhi bhaagte huwe andar chala gaya.
“Vansh?”
Vansh ke kamre me ghuste he usko Sonia ki awaaz sunayi di, Vansh ne udhar daikha to uski saanse bhaari hone lagi, Sonia bed per nangi laiti huwi thi, Usne tangen failai huwi thi.
“Vansh?”
Sonia ki tangon ko pakade huwe ek aadmi baith huwa tha, Vansh ne uski taraf daikha to uska gussa badhne laga.
Vansh(Furious): Aaravvvvvvv!
Vansh Aarav ki taraf bhaagne laga, Usne Aarav ko pakad ker bed se utaar diya aur uska gala pakad liya.
*Stab*
Vansh ne Aarav ko pakada he tha ke uski chhati se ek talwar nikal ayi, Vansh peeche ho gaya, talwar ko Sonia ne pakade huwa tha.
*Thud*
Vansh neeche gir gaya, Sonia kaanp rahi thi, Aarav ne aage badh ker usko gale se laga liya usko thapthapane laga, Vansh ki aankhe gusse se laal ho rahi thi.
*Tuck*
*Tuck*
Vansh ko uske paas kisi aur ka bhi ehsaas huwa, Usne udhar daikha to kaale kapdon wala vyakti usko daikh raha tha.
Vansh(Groan): K-Kon h.....ho tum?
Vansh ki baat sun ker vyakti ne uska hood utaar diya, Uska chehra daikh ker Vansh ki halat aur bhi badtar hone lagi, Hood ke peeche ka chehra uska apna he tha.
Vansh khud ko he daikh raha tha, Uski aankho ke aage andhera chhane laga aur uski aankhe band hone lagi.

Sonia peeche hone lagi to Vansh ne usko pakad liya, Sonia usko herani se daikhne lagi.
Vansh: Nahi! Nahi! Sab kuch kharab ho jaye ga, Sonia, Hum neeche nahi jaye gye.
Sonia: Vansh! Kya ho gaya hai? Agar kuch tabiyat theek nahi hai to ap rest ker sakte ho.
Sonia Vansh se alag ho gayi aur Vansh ko herani se daikhne lagi, Vansh buri tarha se kaano raha tha.
Sonia: Ap ruko! Abhi ap ke liye medicine le ker ati hu....Ap tab tak Vanshika ka dhayan rakh sakte ho na?
Vansh: Vanshika?
*Clang-Clang*
Vansh ko paas se he kuch Kharakne ki awaaz sunayi di, Vansh ne saath daikha to Vanshika chains me bandhi huwi neeche giri huwi thi, Vanshika gusse Vansh ko he ghur rahi thi.
Vansh: Vanshika?
Vanshika ke upar kisi ne laat rakhi huwi thi, Vansh ne upar daikha to uske saamne ek baar dobara kaale kapdon me wo khud khada huwa tha, Uske haath me Vanshika ki chains thi.
“No matter what route you took, Vansh! it will always lead to the same end, Your destruction”
Kaale kapdon wale Vansh ne muskurate huwe kaha aur usne Vanshika ki chain ko chhod diya, Vanshika bhaagte huwe Vansh per kud gayi aur daanto se aur nakhunon se usko cheedne faadne lagi.
Vansh(Scream): Aghhhhhhhh!
*Blackout*
“Vansh”
“Vansh!......10 baj rahe hai”
“Vansh”
****
Sayani Mansion
New-York ~ 6:57 AM
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Aarav Sayani mansion ke andar se baahir aa gaya, Usne haath me ek bag pakada huwa tha, Mansion ke baahir ek barrie bana huwa tha.
“Master”
Ek taraf se Tinkerbell tezi se udte huwe ayi aur uske kandhe per baith gayi, Aarav ne upar daikha to barrier khatam hone laga.
Aarav: Kuch zyada hard kaam de diya tha kya?
Tinkerbell: Aur nahi to kya? 43 Hours tak barrier bana ker rakha hai! Sonia aur slave ko he andar ane diya tha, Unke sivaye aur koi bhi andar jhank bhi nahi saka.
Aarav(Smile): Thank You! Huh?
Aarav ne saamne daikha to udhar Barbie car ke saath khada huwa tha, Usko daikhte he Barbie aage aa gaya aur uske haath se bag le liya.
Barbie: Good Morning! Young master.
Aarav ne bhi usko bag de diya aur Barbie ne uske liye darwaza khol diya, Aarav car me peeche baith gaya, Bag ko rakhne ke baad Barbie driving seat per baith gaya.
Aarav: Kya situation hai?
Barbie: Ap ki party bilkul theek hai! Kunle ko minor injuries thi, Lekin wo bhi khatre se baahir hai, Abhi ap ki party puri battle ki detail report association ko de rahi hai, ap ke liye Yoo-Jung ki taraf se message tha ke association ke saath sab kuch khatam hone ke baad wo ap se milne aye gi.
Aarav(Breath): Thank You! Ab batao gye ke tum help kyu ker rahe ho?
Barbie: Ye main ap ko yanha per nahi bata sakta! Hamare liye abhi bhi ek private jet ready hai, Lekin agar ap ka kuch bhi kaam baaki hai to hum pehle wo bhi ker sakte hai.
Aarav: Kaam?.....Ek jagha per jaana baaki hai, Uske baad hum kanhi bhi ja sakte hai.
Aarav ne aage ho ker Barbie ko location bata di, Barbie location set karne ke baad car chalane laga, Aarav comfortable ho ker baith gaya.
Tinkerbell: [Master ap agar ye wala slave banao to main bohat khush ho jaungi! Ye ache se slavery bhi ker sake ga]
Aarav(Smile): [Barbie slave nahi hai! Kam se kam hamara slave nahi hai, Lekin tumhe bhi to ek diya hai na? Kya naam diya tha usko?]
Tinkerbell(Sigh): [Aayush? Usko naam dene per kitna socha tha main ne! Lekin wo kisi bhi kaam ka nahi hai, Upar se uska ego to, Ughhhh!]
****
Unique Hospital
Surat ~ 5:26 PM
“Haath kaise lagaya be? Haath ukhad ker gaand me daal du ga be, Madarchod”
Aayush hospital ke andar tha, Uska collar pakade huwe ek ladka usko beech me le ker khada tha, Uske saath he ek ladki khadi huwi thi.
“Kya huwa beta?”
“Kuch huwa hai kya?”
“Kya kiya isne?”
Unke paas bheed hone lagi, Ye daikh ker Ladka aur bhi confident ho gaya.
Ladka: Bhai sahab Ladies washroom me ghuse huwe the! Ye lady andar gayi to usko ghurne lage aur to, che che, Kya he batau ap ko, Aur kehte hai ke galat kya kiya hai?
“Kya zamana aa gaya hai”
“Logo ko to sharam he nahi hai”
“Police ke havale ker dete hai! 4 din thane rahe ga to pata lage ga ke galat kya kiya hai”
Aayush(Mumble): Kisi ko bhi maarna nahi hai! Farmhouse ke baahir kisi ko bhi maarna nahi hai..... Kisi ko bhi*Annoyed* Kisi ko bhi maarna nahi hai, Agar kisi ko bhi maara to chamakne wale keere ki baate sunani ho gi *Annoyed*
“Sorry! Sorry! Aayush se galti huwi hai, Inko thoda nazar kam ata hai to galti ho gayi ho gi”
Bheed ko cheerte huwe ek Ladki aage aa gayi, Aayush ne sar utha ker daikha to uske saamne Nandini khadi huwi thi, Usne haath jode huwe the.
Ladka: Tum kya lagti ho iski?
Ladke ki baat sun ker Nandini Aayush ke paas aa gayi.
Nandini: Ye Mere boyfriend hai! Please, Ye ek galti thi to maaf ker de.
Ladki: Agar aisa tha to theek hai! Lekin aage se dhayan rakhna.
Ladke ke paas khadi huwi Ladki ne Aayush ko maaf ker diya, Lekin Aayush kisi se bhi maafi nahi chahta tha, Uska gussa badh raha tha.
Bheed kam hone lagi, Nandini ne Aayush ka haath pakada aur usko le ker baahir aa gayi.
Nandini: Kya ho tum? Washroom bhi khud se nahi ja sakte kya? Kis pathar ke neeche zindgi guzar rahe the?
Aayush: Ye main nahi bata sakta! Ab uski kya halat hai? Kya naam tha uska?
Nandini(Sigh): Ishika! Abhi bhi hosh nahi aya....Tum sure ho na ke hamay uske ghar batane ki zaroorat nahi hai?
Nandini ki baat sun ker Aayush ki halat bhi kharab ho gayi, Usko aura se Ishika ko dur rakhne ke liye kaha tha, Lekin uska Aura usko bhi thoda hit ker gaya tha.
Ye he kaaran tha ke Ishika abhi hosh me nahi ayi thi, Lekin usko kuch bhi khatra nahi tha to Aayush uske hosh me ane ka wait ker raha tha.
Aayush: Usko rest chahiye hai! Main ne bhi daikh liya hai, Usko kuch bhi khatra nahi hai, Lekin kisi ko bhi batana nahi hai.
Nandini: Fine! Lekin tum bhi stupidity thodi kam ker do.
Aayush(Nod): Thank You!
****
The "Forgotten Souls" graveyard
New-York ~ 8:09 AM
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Aarav graveyard ke raaste per chalte huwe aage badh raha tha, Usne haath me Roses pakade huwe the, Aarav ek kabar ke aage aa ker ruk gaya.
Veronica Carmichael November 2, 1987 - March 13, 2013 Her spirit soared, a flame that burned bright. A love that lives on, forever in the light.
Aarav usko daikh ker ek pal ke liye tham sa gaya, Usko daikhte he Aarav ko uska chehra yaad ane laga, Uske sab se down moment per uska saath dene wali tab Veronica he thi.
“Young Master”
Barbie bhi Aarav ke paas aa gaya, Aarav ne Roses ko uski grave per rakh diya aur dono aise he khade ho gye.
Barbie: Young Master! Kya main kuch keh sakta hu?
Aarav: Sure!
Barbie: Thank You! Hannah ne ek badi galti ki thi, Lekin ap ke maaf karne per mujhe bohat khushi huwi hai, Thank You.
Aarav(Scoff): Huh, Thank You! Tum ne bhi meri bohat help ki hai, Kaaran kuch bhi ho farak nahi padta, Lekin tum ne help ki uske liye main thankful hu.......*Sigh*
Barbie: Kuch aur bhi puch sakta hu kya?
Aarav: *Nod*
Barbie: Are you regretting it now, Young master? Now you've fulfilled your vengeance, are you regretting it now?
Aarav(Scoff): Regret? Lekin kyu? You know what? Whoever said “'The best revenge is to be unlike him who performed the injury” “Living well is the best revenge”... they're all nothing but liars! They're the people who never even experienced it in the first place, All of them are just spouting whatever they want to say.
Singh parivar baahir baitha huwa tha, Unke saamne Tanu aur Kunal khade huwe the aur Priya unke paas khadi thi, Tanu kunal ke rakhi baandh rahi thi aur Priya usko sab kuch bata rahi thi.
Priya: Ab rakhi kunal ki kalayen per bandh do! Uske baad mitha khilana hai.
Tanu ne thali se rakhi uthayi aur Kunal ko bandhne lagi, Lekin uske chehre per ek udaasi thi, Rakhi bandh ker Tanu ne usko mithai khila di.
Kunal: Tanu! Ye waali rakhi kyu nahi bandhi mujhe?
Kunal ne Tanu ke haath me pakadi huwi rakhi ki taraf ishara karte huwe kaha, Uska ishara daikhte he Tanu ne rakhi chupa di.
Tanu: Ye ap ki nahi hai! Ab ap gift do aur chalte bano.
Priya(Smile): Ye Tanu ne special khud se Aar-
Tanu: Chachi! Ap ne bhi to Papa ko rakhi bandhani thi na?
Priya(Smile): Haan, Ab tum logo ke baad hamari he baari hai! Lekin dukh huwa ke Ishika aur Aarav dono he yanha nahi hai.
Priya ki baat sun ker Tanu ke chehre per bhi udaasi aa gayi, Priya ko bhi ehsaas ho gaya ke usne galti ker di hai.
Kunal: Ahem! Ab hum se pasandida bhayia bhi aa gye hai kya?
Tanu: Aisa kuch nahi hai! Y-Ye unko main ne welcome gift nahi diya to uske liye cover ker rahi hu.
Kunal: Aisa kya? Waise meri to ek pasandida behan hai.....Lekin wo abhi yanha nahi hai....Haye meri pasandida behan kanha hai?
Tanu(Angry): Bhayia! Aisa hai to theek hai, Waise mere liye wo pasandida ho ya na ho, Lekin Aarav ke liye unki sab se pasandida behan main he hu.....Meri jagha koi bhi nahi le sakta, beeee!
****
Charles de Gaulle Airport
France ~ 7:56 PM
Aarav: Paris? Yanha kya hai?
Barbie: You'll find out soon!
Aarav ka sab paperwork already ho gaya tha to usko kuch bhi issue nahi huwa ane ke liye, Aarav aur Barbie terminal 1 se baahir aa gye.
Aarav(Stunned): What the fuck?
Aarav ne saamne daikha to uske naam ka ek board uske saamne tha, Lekin usko aise hairan karne wala board nahi tha usko pakadne wala insaan tha.
Aarav: Aakash? Lekin aakash to coma me tha n- Damn it, why the fuck am I still getting surprised by anything anymore?
Aakash Aarav ke naam ka board pakad ker khada huwa tha, Aarav ko pata tha ke wo kya ker raha hai, Aakash aise he Aarav ke pehli baar newyork ane per usko lene aya tha.
Aakash: Aarav!
Aarav ko daikhte he Aakash bhi aage aa gaya aur usne seedhe Aarav ko gale se laga liya, Aarav usko daikhne laga, Lekin ye real Aakash he tha.
Barbie: Master, Young Master! Ap car me bhi baate ker sakte hai.
Barbie ki baat sunte he dono aage badh gye, Aarav ko ab samajh aa rahi thi ke Barbie kiske orders per uski madad karne ke liye aya tha, Archana ke message se usko ye bhi pata lag gaya tha ke Aakash aur Vansh ke beech uske kaaran ladai bhi huwi thi.
Lekin usko ab ye baat kab se khatak rahi thi ke Aakash uske sage bhai per Aarav ko kyu chhune ga? Aakash uski car khud le ker aya tha to Barbie key's le ker driving karne laga.
Aakash: Kuch puchna hai to puch sakte ho? Abhi sab kuch nahi bata sakta, Lekin kuch baate bata sakta hu.
Aarav: Kya tum sach me coma me the?
Aakash: Coma me? Nahi! Lekin kuch similar condition me tha, Uss raat ladne ke liye main ne apna pura Qi core exhaust ker diya tha, Uske baad Qi depletion ke kaaran se mujhe 4 saal core recover karne ke liye lag gye the, Lekin core recover hone ke baad bhi main abhi zyada move nahi ker sakta.
Aarav(Stare): Qi core?
Aakash(Nod): Haan! Lekin ab konsa aur kya ye main abhi nahi bata sakta.
Aarav: Fine! Lekin kya puch sakta hu ke tum ne Vansh per mujhe kyu chunna? Vansh tumhara saga bhai th-
Aakash(Stare): Vansh mera saga bhai nahi tha! Tum mere sage bhai ho.
Aakash ne straight face ke saath kaha to ek pal ke liye Aarav bhi chaunk gaya, Utne saal ke baad bhi Aarav Aakash ki presence ke saamne kuch bhi bolne se pehle soch raha tha.
Lekin Vansh ke baare me sun ker Aarav ab chup nahi reh sakta tha, Uske mann me bhi bohat se saval the, Un sab ka javab Aakash ke paas tha.
Aarav: Vansh saga bhai nahi hai? Lekin kais-
Barbie: We've arrived! Master, Young master.
Barbie ki awaaz sun ker Aarav bhi chup ker gaya, Abhi Aarav ke paas kaafi samay baki tha, Aarav aaram se sab kuch samajhna chahta tha.
*Click*
“Sayani Mansion?”
Aarav car se baahir nikla aur saamne he Sayani mansion ki name plate daikh ker chaunk gaya, Sayani Mansion ki tarha ye bada to nahi tha, Lekin ye ghar bhi kaafi bada tha.
Aakash(Nod): Ye hamara ghar hai! Ab se hum yanhi rahe gye.
Aarav: Hum?
Aakash ne uske puchne per bhi kuch nahi kaha, Barbie ne Aarav ka bag nikaal liya aur teeno andar chal diye, Sayani mansion ki tarha he ye bhi servants se bhada huwa tha, Lekin sabhi servant baahir khade huwe the.
Aakash: Aarav!
Aarav: Kya?
Aakash: Aarav, Andar kuch guest baithe huwe hai! Karne ko to tum kuch bhi ker sakte ho, Lekin ek baar baat ko sun lena.
Aakash kuch bhi aisa kehne walo me se nahi tha, Lekin agar wo aise keh raha tha to Aarav ko bhi ehsaas ho gaya ke ye guest kuch khaas hai.
*Click*
Aakash ne darwaza khola aur sab andar aa gye, Aakash peeche reh ker Aarav ko aage chalne de raha tha, Ab Aarav ko bhi chinta hone lagi thi.
Tinkerbell: [Master! Kuch gadbad hai]
Aarav: [Hmm! Lekin kuch bhi khatra nahi hai]
Aarav ki baat sun ker Tinkerbell bhi chup ker gayi, Aarav ke saath baat ker wo abhi uska dhayan nahi bhatkana chahati thi.
“Aarav”
*Ba-dump*
*Ba-dump*
*Ba-dump-Ba-dump*
*Gasping*
Ek awaaz, Sirf ek awaaz ne Aarav ki dil ki dhadkane badha di, Uske liye saans lena bhi mushkil hone lagi, Uski aankhe laal hone lagi.
[Player is overflowing with hatred! Player's emotions are now unstable]
[Warning!]
[Player is losing his emotions! Player is letting his negative personality take over him]
[Flash Steps]
*Woooosh*
*Grasped*
Aarav ek pal me he hall ki ek side se dusri side per pohanch gaya tha, Uske haath me kisi aurat ka gala pakada huwa tha, Aurat ki saanse ghut rahi thi.
“Oy-”
[Alpha Presence Activated]
Ek pal me Aarav ki taraf badhte kadam ruk gye, Unke liye khada rehna bhi mushkil ho raha tha, Lekin Aarav ki nazare uske haath me pakadi aurat per thi.
Aarav: Yanha kya ker rahi hai ap? Maa?
[Check]
[Name: Varsha Arya
Level: The Ascendant Level Qi User
Relationship: Mother]
Aarav ke haatho me uski sagi Maa Varsha thi, Lekin Aarav ka ye roop daikh ker bhi Varsha dar nahi rahi thi, Uska haath Aarav ke chehre per aa gaya.
Varsha(Sad): Aarav! you look just like him.
[Alpha Presence is shaking]
Aakash: Aarav! Let her go! I know you're not ready to kill her... yet!
*Thud*
Aarav ne Varsha ko chhod diya, Lekin uski nazar abhi bhi Varsha per thi, Varsha uski blood intent ko ache se mehsoos ker sakti thi, Lekin uske chehre ki udaasi ko daikh ker Aarav zyada samay ke liye uski taraf daikh nahi saka.
*Knock-Knock*
Darwaze per dastak huwi to Barbie Aakash ki taraf daikhne laga, Aakash ne nod karte huwe usko jaane ke liye keh diya.
Aakash(Smile): Aarav! Surprises aren't over yet.
Aarav: Huh?
“Mr. Barbie! Ap ka patient coma se kya baahir aa gye ap to gayab he ho gye, Ap ko pata hai interns ap ko kitna miss ker rahe hai”
Ek Ladki Barbie se baate karte huwe andar aa gayi, Usne haath me kuch gift pakade huwe the aur ache se taiyar ho ker ayi thi.
Ladki: Mom? Suhani? Ap dono kab se aa gayi hau? Mujhe laga tha ke hum hospital se saath he nikle gy-
*Hug*
Ladki baat karte huwe he beech me he ruk gayi, Uski aankhe hairat se khul gayi thi, Uski nazar kabhi Barbie ki taraf thi to kabhi Varsha ki taraf thi aur kabhi uske gale lage huwe Aarav ki taraf thi.
Mne to phele hi kha tha Urvi bach jae gi
Last me wapis aw hi aje gi
Aur loo aw bhi gyi
Ab next arc me bss sb mysterious ko clear krna h
I'm expecting kuch aur bhi charactere bhar aye ge and
Veer ka sch bhi
Mtlb veer ki story bhi
Mzza Aya
Anyways
Waiting ki next arc jldi start ho

Salty~Otaku apko 21 tobo Ke salami Deta hu Dimag Ke Dahi Aur Dahi Se Kadi Phr uska Bhajipala Kese krna hai bakhubi aata hai apko than
Phar de Apny Vansh Ke Aur AKHIR Mai Jo jhatke diye Sachi bolo Ek Ek word Mera Dil esa dhak dhak horila tha Kya he kar Dala yaar
I know urvi Ke Zinda hone Ke chances the but aarav Ke maa ko be Zinda dekhoga Sala Socha ich Nhi apun tha ab aarav Kese sub jhilta hai dekhna Hoga KYa Kya raaz khulte Hain
Kyu Ke Mai 3 Baar reaper mood Pe update read Kiya tab yakeen hua ya waqai ho gya